Update 1 The Prologue
BBBBOOOOOMMM……BBBBBOOOOOOMMMMM….
Essa ek ka baad ek kayi dhamaka hua aur unn dhamako na pura sehar ko hila kar rakh diya tha… Sehar mei maujood sabhi bade se bade jadugar ho ya fir behad kamzor aam log har koi inn dhamako se apne ander dhaishat mehsoos kar raha tha…. Ya aaj pheli baar nahi tha jab essa ho raha tha, pichle 15-20 dino mei ya teesri baar hai jab essa hua tha aur iss baar ka dhamaka se hona vali awaj aur uska prabhav pichle do ka mukable behad adhik tha…
Sehar ka RajMahal se khud Maharaj, unka vishesh salahkaar, mukhya jadugar aur lakho mei sainiko ki ek fauj bahar nikal aayi aur unhone pura sehar ko hi jaise gher liya tha…. Maharaj aur unka salahkaar aasman mei maujood uss jagah ko dekh rahe tha jaha abhi dhamaka hua tha….
Jiss jagah dhamaka hua tha vaha har taraf bus kaala dhua hi dhua chaa gaya tha… Kuch dikh nahi raha tha par ya jarur samajh aa gaya tha ki jaha humla hua tha vo koi mamuli jagah nahi thi bulki iss Rajya ki sabse khaas jagaho mei se ek thi jaha na jaane kitna hi saalo se band tha ek kaisa apradhi jisse kaid karna ka liya purv Maharaj aur unka saath lakho mei jadugaro aur sainiko na apna jeevan laga diya tha….
Iss apradhi ko yaha kaid karna ka liya Maharaj na samasth Rajye ko apne samaye ka sabse shaktishali rajyo ko girwi rakh diya tha sirf islye taaki iss apradhi ko pakad jan kalyan kiya jaa saka par aaj ka humla na ya sabit kar diya tha ki jisse yaha kaid kiya tha vo behad hi jaruri shaks tha kyunki uski aazadi ka dhamako ki ghoshna aajse 3 din phele hi kardi gayi thi…
Maharaj na apni taraf se har yatha sambhav prayas kiya tha ki aaj hona vala humla ko taal saka par shayad unka prayas kisi kaam ka nahi raha… Humla ho chukka tha aur jiss seal ki madat se uss apradhi ko yaha hazaro saalo se kaid kiya hua tha aaj vo seal tut chuki thi aur vo apradhi yaha se bahar nikalne vala tha…
Kuch palo mei jaha uss kaidi ko kaid kiya gaya tha vaha jama hua vo kaala dhua chata aur samne ka saaf dikhna laga tha… Jaise hi sab kuch saaf dikhna laga vaha aasman mei iss waqt chaar log maujood tha jinka sharir par iss waqt kewal kale rang ka kapda dala hua tha jisne unhe puri taraf se Dhaka hua tha yaha tak ki unki aankhe bhi kaali thi…
Vo charo hi vahi aasman mei apne ek pair par apna sar jhukaye khada tha… Vahi unki dusri taraf khada tha ek saya jiska sharir par maujood kapde purn safeed tha, aankho mei chamak aur sharir se nikalne vali sampurn urja mei kewal aur kewal ek essa prabhav jo apne samne kisiko bhi jhukna par majbur karde…
Samne khada shaks na apne samne jhuka unn charo logo ko dekha aur unhe dekh apna haath aage kar diya.... Uska haath se ek ka baad ek chaar alag alag roshni balls nikal kar unn charo ko lagi aur vo charo hi usse apne mei samaitna mei lag gaye….
(Please note, yaha mei iss White Kapda ka Aadmi ko W Aadmi likh raha hu, jab naam bata dunga tab naam se likhunga….)
W Aadmi: Tum charo na mujhe yaha se aazad karwa kar inaam jeet liya hai…. Ab tum charo yaha se jao aur apne jeeta inaam ki shakti par purn niyantaran hassil karo... Iss rajye ka rakshak ko mei sambhal lunga aur vaise bhi tum charo uska samna nahi kar sakta ho….
Charo na ek baar fir uss aadmi ka samne sar jhukaya aur uska baad vaha se nikal gaye bina kuch kahe… Unka liya W Aadmi se mila aadesh hi sab kuch tha….
Unn charo ka jaane ka baad W Aadmi na Maharaj ki taraf apna rukh kiya….
W Aadmi: Tum aur tumhari samasth sena humara ek war bhi nahi sambhal sakta ho…. Hum tumhare iss pura sehar ko barbad karna cahata hai par apni taqat essa kamzoro par kharch kar apni taqat ka galat udharan bhi nahi isthapit karna cahate hai….
Hum tumhai aur tumhare logo ko ek mauka de raha hai… Agar tum humare saath shamil hota ho toh hum iss jagah ko na sirf surakshit chod dega bulki tumhare logo ko aur sainiko ko phele se bhi jada shaktishali bana dega… Koi bhi Rajye ya sehar tumhare samna apna sar uthane ki koshish nahi karega. Tumhai iss duniya ka malik bana sakta hai…
Maharaj: Na huma malik banana hai aurr na hi humare logo ko… Unhe insaan hi bana rahena do aur vo usmei hi khush hai…. Vaise bhi tum jaise gadar aur apno ko dhoka dena vala ka saath mei toh kya meri parchayi bhi kabhi saath nahi deti… Jisne khudka pariwar ko dhoka diya ho, apne… AAAAAAHHHHHHHHHH
Abhi unki baat khatam bhi nahi hui thi ki Maharaj ka sharir mei behad tej peeda uthna lagi… Unhe essa lagne laga jaise koi unke sharir mei ghus usse ander se hi chirna ki koshish kar raha hai…
W Aadmi: Apni aukad aur apni akad apne pass rakho… Tum jinda ho abhi tak kyunki huma tumhare ander vo unhar dikha hai jiski huma talash hai varna itna muh kholna vala ka pran hum uska muh se hi nikal deta…
Yaha W Aadmi ki baat khatam hui thi ki ek tej Prakash siddha jakar Maharaj ko laga jiska lagta hi unka sharir aur unka vo dard jo unhe apne sharir mei ho raha tha vo purn roop se thik ho gaya tha… Sharir mei ab kuch kami nahi thi aur vo dard gayab ho gaya tha…
Vahi Maharaj aur W Aadmi ka bich ek Mahila khadi thi jiska sharir par iss waqt ek sunhara rang ka cloak tha… Cehare par beshumar narmi aur aankho mei angaro si bhabhakti aag… Koi bhi dekh samajh nahi sakta tha ki ya Mahila kon aur kaisi hai…
Par jaise hi Maharaj na unhe dekha toh vo turant hi apne ghutna par aa gaye tha….
Maharaj: Rakshak aapko aane ki jarurat nahi thi… Iss waqt aapka dusra isthan par hona behad ahem hai…
Mahila: Maharaj humne iss duniya ki suraksha ka bhar liya hai essa mei huma yaha hona hi tha… Vaise bhi jaha ki baat aap kar rahe hai vaha humare hona na hona se kuch nahi hoga… Vaha jo niyati na likha hai vahi hoga… Islye aap uss jagah ki chinta chod dijiye aur aap khud apne samast praja aur sainiko sahit iss jagah se dhur nikal jaiye….
Maharaj: Nahi… Hum iss youdh se essa nahi jayega aur vaise bhi ya humara ghar hai aur hum apne ghar ko chod kar kahi nahi jayega….
Mahila: Maharaj aapko samajhna hoga… Ya samaye…
W Aadmi: Toh tum aa gayi aur aakhir itna salo mei tumne Mukhya Rakshak suchi mei apni jagah bana hi li…
Mahila: Tum jaise ko marna ka liya mujhe mukhya suchi ka bhagidar banana pada varna mujhe ya sab karna ki kabhi koi jarurat hi nahi thi… Tumhai toh meine pichli baar hi maut de di hoti yadi Guruji ka prem tumhari maut ka bich nahi aaya hota….
Na sirf pichli baar bulki humesha se hi Guruji ka prem ka chalta tumhai meine aur mera pati na jeevandan diya… Kitna hi Raja Maharajao na tumhai sahi rasta dikhane ki koshish kari par tum dhurt ka dhurt hi rahe… Apni mratyu shaya par bhi Guruji na sirf itna hi kaha ki tumhai sudharna ka mauka diya jaaye aur islye tumhai yaha kaid kiya par itne saal ki kaid ka baad bhi tum aur tumhari pravati badli nahi… Aaj bhi tumhai iss duniya ko apna gulam banane ki caha hai jabki tum ya nahi janta ho ki tum iss duniya ka paani vala uss maindak jaisa ho jisse kuwa se dikhna vala aasman hi bus aasman ki maujoodgi lagti hai….
Tumhai nahi pata hai tumse kitna hi adhik shakti shali aur kitna hi viksit duniya hai aur usse upar ka vo log jo tumhare jaise ko kida makoda ki tarah masal kar rakh deta hai… Par tumhai lagta hai tum behad shakti shali ho aur kisiko bhi apne adhin jhuka sakta ho…. Murkh ho tum aur kuch nahi….
W Aadmi: Uss Mahila ki baate sun jaha usse gussa aana cahaiye tha vahi uska cehare par ek muskaan thi…. Tum aaj bhi vaisi hi ho jaisi phele din tumhai dekha aur suna tha…. Khudko humesha duniya ka hitasi kahena vali… Jisse khud ya nahi pata ki iss duniya ko surakshit rakhna se jada usse barbadi ki taraf badhana vali tum ho…
Aur tum mujhe kya gyan de rahi ho… Bhul gayi vo samaye jab meri hi vajah se mera Pita na tumhai shiksha dena ka prastav mana tha aur jo tumhari ya galat faimi hai ki mera pita humesha hi mujhe bachata aaye hai… Sach ya hai ki vo humesha se tumhai aur tumhare pati ko meri asliyat se dhur rakha rahe… Vo nahi cahata tha ki tum kabhi meri asliyat ka samna karo kyunki jab mei apni asliyat par aata hu toh ya hota hai….
Ya kahe kar uss aadmi na apne haath hawa mei khula chod diya… Uske essa karta hi uska sharir se ek ka baad ek paancho tatva ki taqat aur uske saath beshumar urja pura vatavaran mei fail gayi…. Uss urja ka prakop kahe ya fir dhabav essa tha ki jo bhi vaha maujood tha sabhi ka sharir mei ek jhur jhuri si fail gayi thi… Har koi bus aawak sa hi uss drishya ko dekh raha tha….
W Aadmi: Kya janti ho tum mera baaremei… Jiss jagah ki tum baat kar rahi ho uss jagah ka malik ka malik bhi mera aage apna sar jhukata hai… Aur tum do kodi ki taqat ka numayda mujhe sikhana chala ho… Aaj mei tumhai aur iss jagah ko purn roop se nasht kar dunga…..
Ya kahena ka saath hi uska sharir se tej gati mei urja nikalne lagi, sabhi taraf bus uski urja ka hi prakop dekha jaa sakta tha…. Har koi apne aapko uska samne bebus hi mehsoos kar raha tha…… Vo urja aasman se hoti hui grah ki sampurn bhumi mei fail gayi aur dekhta hi dekhta tej dhamaka hona laga jisse rokna ki koshish maatra bhi nakam hi hona vala thi….
Agle hi pal ek tej dhamaka hua aur uss dhamaka ka saath hi ek tej awaj bhi….. NNNNNNAAAAHHHHHHIIIIIIIIIIII
Iss tej awaj ka saath hi ek ladka apne bistar par uth kar baith gaya…. Uska sar mei behad tej dard hona laga tha aur uss dard ka chalta uski aankho se aasu behana laga tha… Vo turant hi bister se utar kar apne uss chota se kamre mei hi maujood ek lakdi ka bakse ka pass gaya aur usmei rakhi ek lakdi ka tukda ko muh mei daal chabane laga…
Kuch der lagi usse apni halat durust karne mei lekin fir vo samanye dikhna laga tha… Usne ek najar bahar daali aur fir uss kamre se nikal kar bahar ki taraf chal diya… Uska piche piche hi ek swan bhi chal raha tha…. Ladka apni jagah se nikal kar aage bani ek pani hi jheel ka kinare jakar khudko taro taja karta hai aur fir vahi kuch der baith uss paani ko dekhna lagta hai… Jamane bhar ka dukh aur dard uska cehare par dekha jaa sakta tha…. Na jaane kya dukh tha ya fir kya soch raha tha vo fir vo apni soch mei iss kadar kho gaya tha jaise uska iss duniya se koi nata hi nahi ho…
Usse essa khoya dekh uska saath maujood uss swan na uska upar uchalna kudna shuru kar diya… Uska essa bartav ki vajah se ladka firse hosh mei aa gaya aur uss swan ko dekh usse apne pass hi bitha uska sar par haath fairna laga….
Ladka: Na jaane kya rishta hai iss ghatna ka mujhc jo har raat mujhe yahi drishya dikhta hai aur uska baad agle din mera sar mei hona vali ya peeda…Iss ladki ka tukda tak kab ta kiss pida ko sehar kar sakunga koi nahi janta hai…
Kya kiya tha meine essa jo mujhe iss tarah ka jeevan jeena mila mujhe… Kitna saal ho gaye hai par kabhi tumhare aur mera alawa koi iss jagah nahi aaya aur agar aaya bhi toh na jaane kon agyat vyakti tha vo jo dhero kitabe saup chala gaya aur fir kabhi palat kar nahi aaya….
Ladka khudse hi badbada raha tha… Uski baate sun vo swan bhi jaise mayus ho gaya tha aur vo bhi vahi pasar gaya tha… Vo bhi ek tak bus paani ko hi dekh raha tha…
Tabhi unhe apne piche se ek awaj sunayi padi jisse sun dono hi turant hi chauk kar piche mud gaye…. Ya awaj ek aadmi ki thi jo unka piche khada tha…
Aadmi: Kya mei yaha baith sakta hu… Ya jagah baaki jagah se saaf hai…
Ladka na uss aadmi ko kuch der dekha aur fir haa mei garden ghuma di… Aadmi aakar un dono ka pass baith gaya… Aadmi ka haath bhi uss swan ka sar ko sehalane laga tha vahi uss ladka ka haath ruk gaya tha aur vo bus uss aadmi ko hi dekh raha tha…
Aadmi: Essa kya dekh rahe ho? Tumhari tarah mei bhi jinda hu…
Ladka: Aur yaha aaye kisi vishesh kaam se ho kyunki yaha koi essa hi nahi aata hai…
Aadmi: Iska matlab tum bhi yaha kisi vishesh kaam se aaye ho?
Ladka: Ek pal uss aadmi ko dekh aur fir samne talab mei dekhna laga…
Aadmi: Chalo mei hi tumhai bata deta hu… Mei yaha kisiko dhundna aaya hu jisko saath liya bagair mei yaha se nahi jaa sakta hu…. Iss duniya ka har hissa mei dhund chukka hu par abhi tak kahi nahi mila hai mujhe vo shaks aur ab bus ya aakhri jagah bachi hai islye mei yaha chala aaya hu….
Ladka: Usse aaschariye se dekhta hua…. Kya yaha mera alawa bhi koi raheta hai…??
Aadmi: Uski taraf hi najar thi aur iss prashn ko sun vo muskurata hua…. Mera andaza se toh nahi… Baaki tum iss jagah ko mujhc behatar jante ho toh tum hi batao….
Ladka: Vo uss aadmi ko dekhta hai aur fir usse puch hi leta hai…. Saaf shabdo mei bataye ki kyu mujhe dhund rahe hai aap….
Aadmi: Tumne abhi ek sawal kiya tha ki aakhir tumne essa kya kiya ki tumhai yaha essi jagah jeena padh raha hai jaha koi dusra insaan nahi… Toh tumhai yaha se mukti dilwa deta hu aur tumhara sawal ki tum hi kyu toh uska jawab bhi tumhai vaha uss duniya mei mil jayega…
Ladka: Kaha….?
Aadmi: THE SCHOOL OF MAGICAL AND WEAPONARY ARTS mei… Vaha tum apni kala ko aur bhi nikhar sakta ho jo tumne unn kitabo se sikha hai aur usse kahi guna adhik sikh bhi sakte ho…
Ladka: Iska matlab yahi hua ki vo kitabe aapne hi mera liya rakhi thi aur aap mera upar najar rakhe hua tha….
Aadmi: Uski baat sun muskurata hua apni garden na mei hila diya…… Galat mei pheli baar uss duniya se iss duniya mei aaya hu…. Jisne ya kiya vo yaha aa nahi sakta tha islye mujhe yaha bheja hai…. Jab sahi samaye hoga tab vo tumse mulakat jarur karega…
Ladka: Mujhe yaha se lekar jaane ki koi khaas vajah…
Aadmi: Nahi vajah koi khaas nahi hai par ha mera dost ka maana hai ki tumhai bhi baakiyo ki tarah mauka milna cahaiye apni shaktiyo ko nikharna ka… Islye usne mujhe bheja hai tumhai lekar jaane ko… Par faisla tumhara hi hoga ki tum mera saath chalna cahate ho ya nahi…
Ladka: Mei tumpar bharosa kaise karu…??
Aadmi: Sahi sawal… Par ek baat batao yaha rahekar bhi tum kya hi kar rahe ho… Saare din iss jhel ka pass baithe raheta ho ya fir jharne ka pass jaha tum dhyan lagate ho ya fir iss swan ka saath kabhi kabar khel leta ho… Yaha toh janwar bhi nahi aas pass jinse baat kar sako… Toh fir mera saath chalna mei harj kya hai….
Vaise bhi tumhare pass essi koi bahumuliya chij toh hai nahi jo mei tumse chura lunga… Fir mujhe toh nuksaan kahi nahi dikh raha hai tumhare liya… Par jaisa meine kaha faisla tumhara apna hi hoga aur mei uska samaan karunga…
Ya kahe kar uss aadmi na apni najare uss jhel ki tarah kardi jo abhi behad shant thi… Usmei bus kuch machliya kabhi kabhi khelti hui upar aati aur fir vapas chali jaati… Uss aadmi na dubara uss ladka ki taraf nahi dekha par ladka ki najar uss aadmi par thi jaise vo usse parakh raha ho… Kuch der vo usse dekhta raha aur fir apni jagah se uth gaya…
Mei kuch der mei apna samaan lekar aata hu, par mera baad iss swan ka…..
Aadmi: Muskurata hua… Behad naram dil swabhav ka ho achi baat hai… Iss swan ko mei dusri duniya mei bhej dunga jaha iska pura dhyan rakha jayega… Vishwas nahi ho toh khud chalkar uss jagah ko dekh sakta ho tum phele….
Ladka: Bina bola vo piche mud gaya aur jaate jaate bus yahi bola… Mei kuch der mei yahi milunga….
Aadmi: Mei yahi intezar kar raha hu…
Ladka: Bhaga bhaga apne kamre tak aaya aur ek kapde mei jo thoda sa samaan uske pass tha vo usne dala aur uss ladki ka tukda ko bhi apne saath rakh liya…. Kuch der apne kamre ko dekh vo bahar nikala aur jameen par baith uss swan ko dekh bolna laga….
Dost shayad humara saath yahi tak tha… Ab samaye aa gaya hai jab hume alag alag duniya mei jana hoga…. Par mera jeevan ka sabse phele dost kewal tum hi tha aur tum hi rahoge… Aur ya kahe kar usne uss swan ko gale laga liya….
Na jaane kya tha, vo swan uss ladke ko samajh sakta tha ya uski bhavna ko mehsoos kar sakta tha par uss ladka ka gale lagne par usne bhi uske gaal par chatna shuru kar diya… Kuch der mei hi dono laut aaye uss jhel ka pass jaha vo aadmi abhi bhi vaise hi baitha tha jaise ya dono usse chod kar gaye tha….
Ladka: Hum tayar hai…
Aadmi: Bahut acha…. Ya kahe kar vo apna haath aage kar deta hai jaha unn dono ka aage ki do magical doors khul jaate hai… Tum dono ismei chale jao… Uss taraf tumhai koi receive karega aur vo tumhai sab kuch samjha dega….
Ladka: Aap nahi aa rahe hai saath….??
Aadmi: Jab uss duniya se nikala hi hu toh kuch samaye yaha mauj masti karke hi lautunga…. Par tum chinta mat karo vaha tumhai koi pareshani nahi hogi…
Ladka kuch der uss aadmi ko dekhta hai aur fir vo apne door mei chal deta hai aur vo swan apne door mei chala jaata hai…. Unn dono ka magical doors mei enter karna ka turant baad vo doors gayab ho jaate hai…. Unka gayab hota hi vo aadmi apni jagah se uth jata hai….
Na jaane ya AS kya kya sochta hai aur kya kya karta hai…. Itne ghane jungle ko pura hi bandh diya aur vo bhi kewal ek ladka ka liya…. Na jaane kya hi lagav hai inhe uss ladka se, mujhe toh vo kewal ek aam sa ladka ka alawa kuch khaas nahi laga…
Abhi vo apni baat bola hi tha ki ek saya turant uska baaju mei prakat ho gaya, ya saya ek ladki ka tha…
Ladki: Triffor (Aadmi) agar AS ki har baat ko tum ya mei hi samajh leta toh fir vo AS nahi hota… Unka har kaam ka piche kuch ghera raaj jarur hota hai…. Par ya baat sach hai ki unhone ek ladka maatra ka liya itni badi jagah se jeevan hi gayab kar diya ya sach mei chaukana vali baat hai….
Triffor: Vahi toh Samya…. Par chalo huma jo kaam diya gaya hai hum usse pura karta hai aur ya sab faltu baate chod deta hai… Iss jagah ko vapas iska purana roop mei badal kar agle kaam par chalta hai…
Samya: Sahi kaha… Aur iske baad dono hi apne haath aage kar deta hai… Unke essa karta hi unke haatho se nirantan roshni nikalne lagti hai aur dekhta hi dekhta jo jungle purn roop se shant aur jaha jeevan ka koi naamo nishan nahi tha vo jagah puri tarah badal gayi thi…. Har taraf jungli janwar hi janwar tha…
Khair Triffor aur Samya apna kaam karke nikal chuka tha apne agle padav ki taraf jo kya tha vo sirf vo dono jante tha ya fir AS…
Khair ab sawal jawab ka daur abhi shuru nahi kart ahu kyunki aap sabhi ko iss kahani ka behad kuch anumaan hai par iss baar ya anuman ka dhamak jarur hoga….Kab aur kaha vo sahi samaye par lagega pata…. Aaj ka liya itna hi…..