• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
nice update ..paridhi ne bahut kuch bata diya sabko ..
paridhi time se jud gayi hai aur ab uski kuch jimmedariya hai ..

manthan aur sabko us pipeline me se paridhi ne bachaya tha aur apne apne samay me bhej diya 🤩..
pehle mayank ko laga ki paridhi time wraith bann chuki hai par aisa nahi hai ..
paridhi apne bhai se milke thoda bhavuk ho gayi ..

abhi bhi kisi ko pata nahi ki paridhi kya karwana chahti hai unse ...
paridhi ne kaha ki sabko time ki madad karni hogi tab time sabki madad karega 🤔..
ab sabko khud hi jawab dhundne hai sabke 😁.paridhi ne to kuch sahi se bataya bhi nahi ..
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 23 (Power Dampener)

Sam “muje nahi maalum, ab yeh toh khud Manthan hi bata sakta hai”

Siddhi ka yeh sunna tha ki voh ab khud ko rone se rok nahi paati aur voh vanha se uthkar chali jaati hai

Ab aage…

Vese toh Naresh ne yeh kaha tha ki Manthan ko subah tak hosh nahi aayega, toh filhaal sabhi ke pass subah tak intezaar karne ke alawa aur koi option nahi tha
Sam aur Akshita ko kaafi samay baad ekdusre ke saath akele rehne ka mauka mila tha..toh voh dono aaram se baithkar apas me hi baat kare rahe the..toh hum filhaal inn dono ko akela hi chod dete hai
Vahi Aarav aankhe band kiye hue baitha tha..har roj voh isi tarah apni behen ko yaad karte rehta hai..1.5 saal hone aaya hai lekin voh aaj bhi Pari ki maut ko bhula nahi paa raha tha

Pathik “tu thik toh haina..??” usne siddhi ke pass jaate hue pucha

Siddhi turant apni aankho se aansu saaf karte hue kehti hai “haa, main thik hu”

Pathik “please yaar, atleast mujse toh juth naa bol”


Siddhi ki aankho se ek aur baar aansu nikal aate hai “tu kese kar leta hai..?? tuje Kruti ki yaad nahi aati”

Pathik ne uske pass baithe hue kaha “sach kahu toh bahut yaad aa rahi hai, par agar mai hi himmat haar gaya toh mai baakiyo ko kese sambhalunga..??” usne siddhi ki aur dekhte hue kaha

Siddhi kuch kehti nahi hai, voh pathik ke kandhe par apna sar rakh deti hai “Kruti mere saaath nahi hai..lekin mai use kabhi bhul nahi paunga, voh hamesa mere saath rahegi..mere dil me” pathik apni baat ko aage badhate hue kaha “agar mai uske pass laut sakta toh mai ek pal bhi nahi gawaunga..lekin mai aaisa kuch nahi kar sakta, par tu..tere pass ek mauka hai apne pyaar ke vaapas jaane ka, fr tu kyu khud ko saja de rahi hai..jaakar manthan ko bata kyu nahi deti ki tu aaj bhi manthan se pyaar karti hai”

Siddhi “mai nahi bata sakti”
usne ruanse hote hue kaha

Pathik “mai bas kahunga Siddhi, please iss mauke ko apne haath se naa jaane de, tuje khush rehne ka ek muka mila hai..ise ese hi mat gawa dena”


Siddhi vese hi bina apni aankhe khole hue kehti hai “nahi pathik, maine manthan ko bahut jyada hurt kiya hai..ab mai use yeh sab kehkar aur hurt karna nahi chahti”

Pathik “aur khud ka kya..?? tu khud ko hurt kar rahi hai Siddhi”

Siddhi “mai jee lungi aise hi”
uske baad Pathik kuch nahi bol paata

Next Day
Siddhi subah se manthan ke pass hi baithi hui thi, dheere se manthan apne haath ko sar par rakhta hai..aisa lag raha tha maano uske sar me abhi bhi thoda dard hai
Ek do baar apni palke japkate hue Manthan aankhe kholta hai toh uski najar Siddhi par padti hai..voh samaj nahi paa raha tha ki Siddhi yanha par kese aayi

Manthan ko hosh me aaye dekh Siddhi turant kehti hai “thank god tu theek hai, ab kesa feel ho raha hai..??”

Manthan halke se apne haath ko sar par dabate hue baith jaata hai, voh abhi bhi puri tarah se thik nahi tha…voh baar baar apne aankho ko band karta aur kholta “mai theek hu, par mai yanha kese aaya” usne apne charo aur dekhte hue kaha

Siddhi “relax manthan, aarav aur sam tuje yanha lekar aaye hai, tu please kuch der aaram kar le”

Manthan “nahi siddhi, iss waqt nahi..muje isi waqt jaana hoga”
uske awaaz se hi pata chal raha tha ki abhi tak uska sardard theek nahi hua

Siddhi “earth-1, par kyu..?? aur tuje yeh sab ho kya raha hai”

Manthan “meri yeh haalat yanha aane ke vajah se hi hui hai”

Sam “kese..?? aur tera kya matlab tha ki tere yanha hone ki vajah se hamari watch kaam nahi kar rahi..??”


Manthan apni jeb se watch nikalte hue kehta hai “iski vajah se” usne voh watch sam ki tarah ki

Sam uss watch ko lekar dekhne laga “yeh hai kya..??”

Manthan “yeh ek type ka frequency manipulator hai..I mean tha”

Sam “par kyu..?? tuje iski kya jarurat pad gayi”

Manthan “yeh jo mere saath ho raha hai”
usne apne sar ki aur ishara karte hue kaha “usse bachne ke liye muje kisine yeh device di thi tha”

Siddhi “kisne..?? agar aisa hai toh tune iska use kyu nahi kiya..??”

Manthan “yeh kharab ho chukka hai, jab mai yanha par aaya tabse hi yeh kaam nahi kar rahi..muje laga shayad ab muje iski jarurat nahi hai toh maine ise nikal diya”

Siddhi “aur tuje aisa kyu laga ki tuje iski jarurat nahi hai..jabki tu janta hai ki yeh device tuje bacha sakti hai, jo kuch bhi tere saath ho raha hai usse”

Manthan “maine yeh socha tha ki ab mai apne Earth par vapas aa gaya hu..toh muje ab iski jarurat nahi padegi”

Akshita “yeh watch..tuje kese bacha sakti hai..??”

Pathik “tune itni badi baad kyu chupayi..?? aur yeh sab ho kya raha hai tere saath”

Manthan “jab mai Earth-1 par pahucha, toh uss earth ki vibrational frequency hamare earth ki frequency se alag thi, aur uss frequency me meri bodu adjust nahi kar paayi..jiska siddha asar mere brain par hua aur vo baar baar crash hone laga”

Sam “theoretically yeh possible hai, aur tune yeh uss frequeccny ko counter karne ke liye banaya..taki tu uss earth par zinda reh paaye”

Manthan “haa, par actually yeh maine nahi banaya tha..yeh muje dad ne diya tha…I mean uss earth ke manthan ke papa ne”

Siddhi “aur iss hota kya hai..?? I mean yeh device kaam kese karti hai..??”

Manthan “yeh ek type ka manipulator hai..jo meri body ko uss earth ke frequency me rehne ke liye adjust karta hai”


Manthan ko iss device ki jarurat kyu padi iss baat ka jawab har kisiko mil gaya, par ek aur sawaal tha jiska jawab bhi har kisiko chahiye tha
Akshita “yeh toh samaj me aagaya, lekin ab tu apne earth vapas aa chukka hai..toh fir tere saath yeh kyu ho raha hai..?? aur iska asar ab kyu hua..?? I mean 2 din baad”

Manthan kuch sochte hue “shayad..hamare time-portals ke pass jaane ki vajah se”


Iss par sabhi log uski aur ghur rahe the Pathik “tu please hindi me samjana..teri language hume samaj nahi aayegi..kyunki muje aisa lag raha hai ki tu kuch aisa bolega jo hamare samaj ke baahar hoga”

Manthan haste hue bola “yaar, iska simple explanation yahi hai ki Time aur Frequcny dono hi ekdusre ke opposite hai..jaha time ki takaat jyada hogi vaha par frequency ki taakat kam ho jayegi”

Siddhi “mai abhi bhi nahi samaj rahi”

Manthan “jab mai uss time portals ke pass gaya..toh jaahir hai ki Time-Portals ke saath time energy bhi hogi, toh bas uss energy ne frequency ka asar khatam kar diya”

Pathik “okay, yeh baat toh mere samaj me aagayo, par iska asar tere par hi kyu hua..?? Sam aur Akshita bhi toh usi time-portals se aaye hai..unke saath toh aisa kuch nahi hua”

Manthan “kyunki unhone kabhi dimension travel nahi kiya..aur unke pass voh nahi hai jo mere pass hai”

Akshita “tachyons”
uski aur dekhte hue boli

Manthan “exactly” dheere dheere uski saanse fulne lagi thi, voh hanfte hue bolta hai “actually jo tachyons mere sharir ke andar hai, time ne tachyon particles ki frequency ko unstable kar diya..jiska asar mere brain par hua”

Sam “tachyons ke baare mein mai itna nahi janta..toh mai maan leta hu ki tu jo kuch bhi bol raha hai voh sahi hai..”

Manthan “muje aisa kyu lag raha hai ki tu kuch aur puchna chahta hai”

Sam “tune behosh hone se pehle yeh kaha tha ki tere yanha hone ki vajah se hamari watch kaam nahi kar rahi, iska kya matlab tha”

Manthan “actually tanchyons jab unstable hote hai toh usme me ek unknown energy release hoti hai..aur jo bhi device is energy ke contact me aata hai voh kaam karna band kar deti hai”

Siddhi “aur yeh kese hota hai..??”

Manthan “actually har device electromagnetic field se link rehta ha aur jaha current hota hai vaha frequency hoti hai..toh bas tachyons ki energy uss frequency ko disturb kar deti hai”

Pathik “par mere bhai, yeh device mere hisab se digital hai..matlab isme direct current hai..jiski frequcny ki value zero rehti hai..matlab voh time ke saath nahi badalti”

Manthan “haa bilkul, DC current ke saath time ka koi lena dena nahi hai aur DC current jisme current ek hi direction se flow hota hai..par use power dene vala koi bhi source ek particular frequcny yaa toh fir electromagnetic field par kaam karta hai..aur tachyon ki energy uss field yaa frequency par effect karti hai jiss vajah se har ek device kaam karna band kar deti hai”

Sam “tu itna sure kese hai..?? muje aisa lag raha hai ki shayad aisa tere saath pehle bhi ho chukka hai”

Manthan “well, yeh mere saath ek baar nahi kahi baar ho chukka hai..I mean earth-1 par, voh har ek device jo mere ya dexter ke contact me aate the voh kuch pal ke liye kaam karna band kar dete hai, atleast jab tak mere pass yeh device nahi tha tab tak toh yahi hota tha”
fir voh hospital vali baat sabko bata deta hai

Sam “par yeh abhi tak band hai” usne apni watch ko dikhate hue kaha

Manthan “iska ans abhi mere pass nahi hai”

Aarav “aur tuje earth-1 par vapas kyu jaana hai..?? aur tune yeh kyu kaha tha ki tere se koi bahut badi galti ho gayi hai”

Manthan “haa, galti yah hui hai ki yeh koi frequency manipulator nahi hai..I mean koi bhi frequency ko kese maniupulate kar sakta hai..aur voh bhi ek choti si watch”


Manthan kya bol raha tha yeh kisi ko bhi samaj me nahi aa raha tha “tu kya bol raha hai mere bhai..?? kabhi bolta hai yeh manipulator hai, ab bol raha hai yeh nahi hai, isiki vajah se tu bacha tha” pathik apne baalo ko khujate hue bolta hai

Manthan “mai bas itna kehna chah raha hu ki yeh device frequency manipulate nahi kar raha, muje lag raha hai ki yeh ek type ka dampener hai..jo tachyon ki power ko control karta hai, shayad yahi reason hai jiski vajah se mere apne Earth par vapas aane par bhi mera brain iss kadar crash ho raha hai”

Akhshita “agar aisa hi chalta raha toh..”
voh apni baat ko adhuri chod deti hai

Manthan “toh mai mar jaunga..isiliye maine kaha ki mere pass waqt bahut kam hai”

Manthan ke baat sabko jhanjhod kar rakh diya tha, iss waqt sab log chup the, aur vahi Siddhi..kese usne khud sambhala tha yeh vahi janti hai
Pathik kuch der ke baad bola “dekh bhai, yeh sab mere samaj ke baahar hai, so yeh bata ki ab tu kya karne ka soch raha hai..??”

Manthan “mai earth-1 par vapas jaunga, iss device ko papa hi sahi kar sakte hai..unhone ne hi iss device ko banaya hai”

Siddhi “kya tu iss watch ko yanha par thik nahi kar sakta..??”
usne thodi bhaari gale se pucha

Manthan “nahi siddhi, I mean mai kar sakta hu par usme muje waqt lagega..aur utna time shayad mere pass nahi hai”

Sam “ek baat baata, Gideon ne aisa kyu kaha ki Dexter is here, jabki tu use toh maar chukka hai”

Pathik “kyaa..?? Dexter..iska matlab voh tuje maarne yanha aaya hai..??”

Manthan “nahi..voh dexter nahi ho sakta..I mean dexter ek time-wraith hai, jo khatam ho chukka hai”

Sam “hum bhi toh vahi keh rahe hai..voh time-wraith voh bhala kese mar sakta hai”

Manthan “agar mai Time-wraith ko time force ke andar marta toh shayad use kuch nahi hota”

Akshita “aur voh bahar kyu aaya tha..??”

Manthan “kyunki voh unstable tha kisi reason se, isiliye use baar-baar time-froce me vapas jaana pad raha tha..par unstable hone ki vajah se andar bhi nahi reh sakta tha”

Sam “how can you so sure about this..??”

Manthan dheere se kehta hai “I just knew it..isiliye maine kaha ki maine use time-force ke baahar maara tha toh uska vapas aana impossible hai”

Sam “toh gideon ne aisa kyu kaha, voh kya chiz thi..??”

Manthan “simple hai..voh bhi ek time-wraith hi tha, uske chalne par jo energy release hoti hai uski signature dexter ki energy signature se milti hogi, shayad isi vajah se Gideon tay nahi kar paaya hoga ki voh dexter nahi koi dusra time-wraith hai..aur usne yeh kaha ho”

Sam “tu vapas kab tak aayega..?? aur yaad haina jab tu pichli baar gaya tha tab kya hua tha..??”

Manthan “mer khayal se muje vaha jyada time nahi lagega..agar yeh watch working condition me rahi toh isme kuch modification karne rahenge”

Sam “tune humse yeh kaha ki tuje nahi malum ke tu 8 mahine kaha tha, par abhi abhi tune khud iska jawab de diya”

Manthan “kese..??”

Sam “frequency, dono earth alag frequency par vibrate karti hai”


Manthan chaunkte hue bola “ohh shitt..yeh maine pehle kyu nahi socha..?? yes yes, now I get”

Pathik apna maatha peet te hue bola “kya be..??”

Manthan “pathik, hamare earth ki frequcny aadhi hai..earth-1 ke compare me, matlab jab me yanha se gaya tab same date par hi vaha pahucha..par jab mai lautkar aaya tab half frequency hone ki vajah se mera time dugna ho gaya..yaani mai 8 mahine ke jagah 16 mahine par bahar aaya”

Sam “dekh bhai, jitna tu inn sab ke baare me janta hai..utna shayad hum sab milkar bhi nahi jaante, toh agar tu iss baare me kuch sochkar jaldi vapas aayega toh hamare liye sahi rahega”

Manthan “thik hai, mai jald hi vapas aane ki koshish karunga”

Pathik “aur tu vapas jayega kese..?? kya firse voh experiment karna chahta hai”
voh thoda darte hue puchta hai

Manthan “nahi pathik, mere pass uss tarah jaane ki ek key hai, jaldi milte hai”

Fir manthan voh extrapolator nikalkar uss par laga button press karta hai, aur vaha par ek worm hole open ho jaata hai, aur wormhole ke open hote hi voh daudte hue uss hole me kud gaya


Earth-1

Kruti darte hue kehti hai “manthan..yeh, yeh kya ho raha hai” usne apne samne ho rahi vardaat ko dekhte hue kaha

Manthan ne dekha usse thodi dur darwaaze ke pass halki halki bijli kadak rahi hai, aur dheere dheere karte hue voh bijli badi hoti gayi
Manthan ne turant hi pass me rahi banduk ko uthaya aur uske uthate hi usne uss roshni ke taraf rakha..ki acnahak se vaha ekdum se roshni chaa gayi aur ek dhamake ke saath Manthan (Mayank/Manthan-2) aaya

Mayank ne aate hi dekha ki Manthan aur Kruti gun liye hue uske samne khade hai “wait wait wait, it’s me”

darasal voh roshni itni jyada fail gayi thi ki jisne manthan aur Kruti ko apni aankhe band karne par majboor kar diya
jab mayank ki awaaz unn dono ke kaano me padi toh voh apni aankhe kholte hue dekhte hai toh samne mayank ko paate hai
voh dono mayank ko dekhkar kaafi khush hue the..lekin voh samaj nahi paa rahe hai ki mayank itne mahine ke baad kyu vapas aaya

tabhi turant Siddhi daudte hue aayi aur voh mayank ke gal lagti hai aur use marte hue kehne lagi “idiot..kaha tha tu itne din..?? hum sab to dar hi gaye the..kya hua tere saath..?? aur..aur tuje teri earth mili ya nahi..??”

tabhi achanak se vaha par joro se bhookamp aaya aur ek joro se dhamaka hua jise sunkar Mayank chaunk jaata hai

“yeh..yeh kya tha..??” aur voh apne charo aur dekhte hue bola “yanha par ho kya raha hai..??”

To be continued…

END OF PHASE-II
Gajab update bhai
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 24 (Dil hai ki Maanta Nahin)

Location : Earth-1
8 Months Ago


“pari.. muje yeh promise chahiye ki chahe kuch bhi ho jaaye, kitne bhi bure halat kyu naa ho..tu manthan ka saath kabhi nahi chodegi”

“aaj bhi meri aankho ke samne Paridhi ka chehra aata hai, uska dard..uski takleef aaj bhi muje mehsoos ho rahi hai, jab bhi mai apni aankhe band karti hu muje paridhi ki voh aankhe dikhati hai jisme ek aass thi, kitna dard tha uski aankho mein..voh sirf main hi mehsus kar sakti hu” pari chal toh rahi thi lekin uska pura dhyaan paridhi par tha “tu jaanti hai kruti, apne aakhri waqt usne manthan ke bajay mujse baat ki, ek aisa promise manga jo shayad duniya ki koi bhi ladki nahi kar sakti..usne mujse apna pyaar baanta tha..sirf mai jaanti hu uss waqt uske dil me kitna dard tha..fir bhi voh chehre par muskaan liye hue mujse promise mangti hai ki mai uske manthan ka khayaal rakhu..mere manthan ka khayaal rakhu”
pari ne apne pass baithi hui Kruti se kaha

Kruti “pari, uss hadse ko 1 hafta beet chukka hai, fir tu kyu khud ko takleef de rahi hai, aur voh bhi uske liye jo kabhi hamara hai hi nahi”

Pari ne behad pyaar se kruti ki baat ka jawaab diya “kisne kaha ki voh apna nahi hai, usne kya kuch nahi kiya hamare liye..tu bhi toh jaanti hai, hume bachane ke liye usne apni pyaar ko kurbaan kar diya yahan tak ki usne apni jaan ki bhi fikar nahi ki..yeh koi apna hi kar sakta hai”

Kruti “pari..mai manti hu usne jo kiya voh aur koi nahi kar sakta, par ab toh yeh ladayi khatam ho chuki hai, ab kya voh yanha rukega..?? pari voh vapas apne ghar chala jayega”

Pari “nahi kruti, mai use kahi nahi jaane dungi, voh yahi rahega..hamare saath, mere saath”
usne apni aankhe band karte hue kaha

Kruti “tu pagal ho gayi hai pari, sach me”

Pari “haa shayad, par agar ise pagal hona kehta hai toh yahi sahi”


Kruti thodi der rukkar kehti hai “pari..kya tu mayank se pyaar karne lagi hai..??”

Yeh sunna tha ki pari ke chehre par sharam ki laalaash aa jati hai, voh apna chehra jukate hue kehti hai “haa kruti, mai manthan se pyaar karne lagi ho” pari ne jaanbujkar apne jawab me Manthan ka asli naam liya

Kruti “kab hua..?? I mean tuje toh iss pyaar vyaar me beileve nahi tha”

Pari “pata nahi kruti, par aisa lagta hai ki mai use saalo se janti hu, uski aankhe..pata nahi kya hai uski aankho me, bas mann karta hai mai unn aankho me ese hi dekhte hue dub jau, tuje pata hai Kruti, uske saath rehne ka jo ehsaas haina, voh mai shabdo me bayaan nahi kar sakti”
pari ke chehre par ek alag hi chamaak thi

Pari ko iss kadar khush dekh Kruti bhi uske liye bahut khush thi, lekin usse voh jaana tha ki Pari kisi anjaan ladke se iss kadar kese pyaar kar sakti hai “jis ladke ko tu jaanti nahi hai, jiske saath tune kuch hi din beetaye hai tu usse itna jyada pyaar kese karne lagi”

Pari uski aur dekhte hue kehti hai “ise hi toh pyaar kehte hai, pyaar kabhi kisi se bata kar nahi hota..voh toh ek ehsaas hai jise hum mehsus kar sakte hai, maana ki maine kabhi iss manthan ko nahi dekha..par jo sapne muje Paridhi ke aate the, voh muje kabhi sapne lage hi nahi..aisa lag raha tha jese mai unn sapno ko jee rahi hu, aur tuje pata hai Kruti..jab maine mayank ko pehli baar dekha tha na..mai usi waqt samaj gayi thi ki yeh hamara vala manthan nahi balki koi aur hai..mai kese bhul sakti hu..uski aankho ko jise mai akshar haar raat apne sapno me dekha karti thi..??”

Kruti “acha acha baba, maan liya maine ki tu usse pyaar karti hai, par kya mayank ne tuje kabhi kuch kaha..?? kya use iss baat ka eshaas bhi hai ki tu usse pyaar karne lagi hai..??”



Mayank ne firse uske aansu ko saaf kiye aur "pari, let's go from here, mai jo jaan ne yaha aaya tha voh muje pata chal gaya hai"


Paridhi "no manthu, hum kahi nahi jaa rahe, tere sar se khun beh raha hai"

"Manthu" sunkar mayank kuch nahi bola, aur pyaar bhari najro se paridhi ki aur dekhne laga, kyunki isi naam se uski pari use hamesa bulaya karti thi

Iss waqt paridhi bahut jyada ghabra gayi thi, shayad use dar lagne laga tha…mayank ko khone ka dar, jab usne mayank ko dexter ke haatho me dekha, uska dil joro se dhadakne laga, uske man me dar baith gaya tha ki ab mayank bhi usse dur chala jayega

Paridhi mayank ki chot ko dekhte hue keh rahi thi, shayad usne mayank ki baat bhi nahi suni thi "tuje bahut pain ho raha haina..?? Mai hi pagal thi jo maine tere saath aane ki jid ki, tune mana bhi kiya tha, par mai..mai bahut hi selfish hu, meri hi vajah se tuje yeh chot lagi, na mai yaaha aane ki jid karti..aur naa hi tuje yeh chot lagti, sab isiliye mujse dur chale jaate hai..dekhna tu bhi muje chodkar chala jaayega"

Pata nahi kyu par mayank yeh aakhri baat sun nahi paaya, usne turant hi apne dono haatho ko pari ke chehre par rakha aur apne hoth ko pari ke hoth par rakh diye, aur fir uski aankho me dekhte hue bola "ssssshhhhhhh..chup, bilkul chup, muje kuch nahi hua, aur naa hi tu selfish hai, and i promise mai tuje chodkar kahi nahi jaunga"

Paridhi bhi mayank ki aankho me dekhte hue boli “pakka..??”

Mayank smile karte hue “haa..pakka”

Paridhi iske aage kuch nahi boli, voh turant mayank ke gale lag jaati hai, aur mayank bhi kuch der paridhi ko apne seene se lagaye rakhta hai


Pari ne apni aankhe band karte hue uss pal ko yaad kiya jab manthan ne uspar apna haq jataya tha, Pari aaj fir ek baar manthan ke chune ke uss ehsus me ghum ho gayi thi, aisa lag raha tha maano Pari apni hi yaado ke samandar me dubkiya laga rahi hai
Jab use yeh pal yaad aata hai toh apne aap hi uske chehre par ek pyaari si muskaan aa jati hai, jo ehsaas manthan ke hotho ka apne hotho par chune ka tha voh use apne andar mehsus kar rahi thi..sirf itna hi nahi, jab jab manthan ne use apni baanho me bhara tha tab tab usne apne liye Manthan ke dil rahe uss pyaar ko mehsoos kiya hai

Kruti uske aage chutki bajate hue boli “madam ji, kaanha kho gayi..??”

Pari ne dheere si apni aankhe kholi aur vahi muskaan liye hue manthan ke pyaar ko mehsoos karte hue kehti hai “jab insaan kisi se pyaar karta haina..toh use kehne ki jarurat nahi hoti, uski aankho me apne liye pyaar dikh jaata hai..aur maine kahi baar manthan ki aankho me apne liye pyaar ko dekha hai”

Pari ki baate kahi na kahi Kruti ke dil par bhi asar kar rahi thi, voh isse aage kuch nahi keh paati aur fir voh dono normal baate karte hue Manthan ke ghar ki aur chal padte hai
Yeh dono baate karte hue manthan ke ghar pahuch jaate hai aur jese hi pari ki najar samne padi toh use laga jese uska sab kuch khatam ho gaya..voh vahi par apne ghutno ke pal gir jaati hai aur aankho se aansu nikal aate hai

Pathik “so ab kya..?? yeh toh gaya..pari koooo kkkkkeee…keeessseeeeee” uski najar samne se aa rahi pari par padi

Pathik ko aise dekh Siddhi aur Manthan samaj jaata hai ki kya hua hai, voh dono mudkar uss taraf dekhte hai janha par pari iss waqt apne ghutno ke bal baithe hue ro rahi thi

Manthan “pari ko kese sambhalenge..??” usne siddhi se sawaal kiya

Siddhi chalte hue pari ke saath pahuchi, aur uske pass baithe hue “ppariiii..” voh kuch bol paati uske pehle hi pari ne ek aisa sawaal kiya jise sunkar sabhi log chup ho jaate hai

Pari “voh chala gaya na..?? bina mujse mile..kese jaane diya tum logo ne..?? tum sab toh mere dost the na..use roka kyu nahi”

Siddhi vese hi use side se apne gale lagate hue “pari..voh, voh apne ghar gaaya hai, humne use rokne ki bahut koshish ki..lekin voh nahi maana”

Pari vese hi siddhi ki aankho me dekhte hue boli “kya mai itni buri hu siddhi..??” uski aankho se lagatar aansu beh rahe the

Siddhi “nahi pari..tu aisa kyu soch rahi hai”

Pari “fir mere saath sab aisa kyu karte hai..?? jisse bhi mai pyaar karti hu voh muje iss tarah akela chodkar kyu chale jaate hai..?? pehle papa mummy aur aarav unhe mai aakhri baar bhi nahi paayi thi..voh iss duniya me muje akela chodkar chale gaye, aur aaj manthan..usne bhi mere saath vahi kiya..kya mai itni buri hu siddhi ki usne muje ek aakhri baar dekhna bhi nahi chaha..??”
ne behad hi narmi se apne uss dard ko bayaan kiya jo iss waqt uske dil me bojh bankar khada tha

Siddhi yaa vaha maujud mese koi bhi kuch nahi bol paa raha tha, aur vahi pari ek tak uss aur dekh rahi thi jaha se kuch der pehle usne manthan ko aakhri baar dekha tha

Pari “bol na siddhi, kya mai itni buri hu..?? kya muje pyaar karne ka koi haq nahi hai..??” voh siddhi ke dono haatho ko pakadte hue puchti hai

Siddhi bhi pari ke haal ko nahi dekh paa rahi thi, pari ne aise sawaal kiye the jiska jawaab naa toh uske tha aur naa hi kisi aur ke pass
Siddhi naa mein apna sar hilate hue Pari ko joro se apne seene se laga di “nahi pari, tu buri nahi hai, tuje bhi pyaar karne ka pura haq hai, aur koi tuje chodkar nahi gaya”

Pari “kyu jaane diya use..?? tu jaanti hai na ki mai usse pyaar karne lagi hu..?? kyu nahi roka tune use..?? agar voh mayank naa hokar tera manthan hota toh
” voh iss tarah tut chuki thi ke ab use rote naa bann raha tha..voh badi muskil se saans le paa rahi thi

Siddhi “please pari, chup ho ja..please”
voh kuch nahi bol paati

Pari “nahi..voh nahi jaa sakta, galat hai..nahi manthan muje chodkar aise nahi jaa sakta..nahi voh..voh bhi mujse pyaar karta hai, mai jarur firse koi sapna dekh rahi hu, haina siddhi..mai sapna dekh rahi hu na”


Kuch hi der me Pari ka hasta khela chehra firse bikhar gaya tha..jo muskurahat voh apne chehre par sajaye Pari ghum rahi thi voh ab kahi bhi nahi dikhayi de rahi thi
Pari ne ro-rokar apna pura chehra bigad diya tha..aansuo ke saath uske aankho me raha kaajal bhi uske komal se chehre ko bigad raha tha, pari ki aankho me rahe dard ko manthan bhi nahi paata aur voh pari ke pass baithte hue kehta hai “nahi pari, voh sach me chala gaya hai”

Pari “juth, juth bol raha hai tu”
voh apni bheegi aankho se manthan ke aur dekhti hai

Manthan sirf naa mein apna sar hilata hai, jiske baad pari ki aakhri ummid bhi tut jaati hai, yaa yu kahi ki pari khud puri tarah se bikhar jaati hai aur siddhi ke gale lagkar jor jor se rone lagi

Siddhi “pari” lekin manthan uska haath pakad kar use rok deta hai aur apna sar naa mein hilane laga

Today
”aaj 8 mahine beet chuke hai..lekin aaj bhi mai manthan ko bhula nahi paayi hu, meri zindagi bhi kitni ajeeb haina” pari ek kamre me baithe hue Siddhi se baat kar rahi thi

Siddhi “pari kab tak..kab tak tu khud ko ese hi hurt karegi”

“mai kaha hurt kar rahi hu, usne kaha tha mujse..promise kiya tha usne muje ki voh meri aankho me kabhi aansu nahi aane dega, usne mujse yeh bhi promise kiya tha ki chahe kuch bhi ho jaaye..voh muje akela chodkar nahi jaayega”
fir kuch der ruk-kar pari kahti hai “tu jaanti hai Siddhi..mai sahi thi”

Siddhi sawaliya bhari najro se dekhte hue apna sar hilati hai “yeh pyaar vyaar kuch nahi hota, sab majak hai” pari ne apni baat rakhi

Siddhi “pari, tu kyu aisa soch rahi hai ki manthan ne kabhi tuje pyaar nahi kiya..??”

Pari “agar voh pyaar karta toh muje aise chodkar nahi jaata, aur agar use ghar hi jaana tha toh kya mai mana karti..?? kya meri usse itni ummid rakhna bhi galat hai..?? apne ghar se jaane se pehle kya voh mujse ek baar mil bhi nahi sakta tha..??”

Siddhi “pari..maine uss din bhi kaha tha tuje ki voh kyu vapas apne ghar gaya hai”


Pari naam aankho se “aur mera kya..?? meri feelings ka kya..?? chalo maana ki use takleef thi..voh muje face nahi kar sakta tha..par jab Paridhi ne mujse promise liya tab voh bhi toh vahi tha..kya voh apni pari ke khaatir mujse nahi mil sakta tha..??”

Siddhi iss baat par kuch nahi bol paati hai, Pari “kehte hai ki jab pyaar hota hai toh insaan ki puri zindagi hi badal jaati hai, jab voh meri life me aaya tab mere pass kya tha..?? mai toh yeh bhi nahi jaanti thi ke mai zinda kyu hu..?? yanha tak ki mere pass jeene ki bhi koi vajah nahi thi” voh aankhe band karte hue “lekin usne muje vajah di..usi ke karan maine firse hasna sikha tha, usi ne muje bataya ki yeh zindagi bhi itni khubsuraat ho sakti hai”

Siddhi “mai jaanti hu Pari ki tu usse kitna pyaar karti hai, maine dekha hai tuje”

Pari “tuje pata hai siddhi, manthan ke meri zindagi me aane ke baad meri toh puri life hi badal gayi thi..mai firse sapne dekhne lagi thi..khush rehne lagi thi”

Siddhi “pari, sapne dekhna koi buri baat nahi hai..akshar jo sapne hum dekhte hai voh hamesa pure nahi hote”

Pari “haa..par uss ehsaas ka kya..?? mai toh usse tabse pyaar karne lag gayi thi jabse muje voh sapne aa rahe the..voh ehsaas hi toh tha jisne muje manthan se milaya tha, mere akelepan..mere khaalipan ko bharne vale toh yahi sapne the aur inhi sapno ki vajah se mai uss insaan se pyaar kar baithi thi jisse mai kabhi mili bhi nahi”

Siddhi “par tu kyu nahi saamaj rahi hai”

Pari “mai samaj rahi hu siddhi..akshar hamare sapne tut jaate hai..mere saath bhi vahi hua, maine jo sapne dekhe the..jise dekhkar mai firse jeene lagi thi voh tut gaye hai, haalat ne firse muje vahi par laakar khada kar diya janha mai pehle the..ekdum akeli”

Siddhi “yeh juth hai, tu akeli nahi hai..hum sab tere saath hai”

Pari “haa, par..”
voh aage kuch nahi bol paati aur uski aankho se aansu nikal aaye

Siddhi “par kya..??”

Pari “Paridhi ne mujse jo vaada liya tha..mai uss vaade ko nahi nibha paayi”
voh apni aankhe band kar deti hai

“thank you so much paridhi..mere iss paglu ka khayal rakhne ke liye, aur mai yeh bhi janti hu ki tu iss pagal se pyaar karne lagi hai, aur mai tujse vaada karti hu ki mai tum dono ke bich nahi aaungi, bas muje ek promise chahiye”……..“muje yeh promise chahiye ki chahe kuch bhi ho jaaye, kitne bhi bure halat kyu naa ho..tu manthan ka saath kabhi nahi chodegi”

Paridhi “I promise you, mai manthan ka saath kabhi nahi chodungi”

Siddhi “tuje aaj bhi paridhi dikhayi de rahi haina..??”

Pari “haa siddhi, muje har raat jab soti hu uske chehra dikhta hai, uss din voh khush thi jab maine usse vaada kiya tha..uss din ke baad mere sapne me voh kabhi khush nahi dikhi, naa hi koi shikayat aur naa hi koi khushi..aisa lag raha tha maano voh andar hi andar ghut rahi hai”

Siddhi “pari..aisa kab tak chalega”


Pari gehri saans lete hue “jyada din nahi, vese bhi ab yeh planet tabaah ho raha hai, jyada din nahi hai hamare pass..bas ek aakhri iccha thi ki marne se pehle mai ke baar..bas ek baar Manthan ko dekh paau, usse mil paau aur yeh puchu ki usne mere saath aisa kyu kiya..??”

Siddhi ke pass ab kehne ke liye aur kuch nahi tha, voh pari ko hug karte hue kehti hai “tu usse jarur milegi, mera dil keh raha hai tuje apna pyaar jarur milega” aur voh vanha se chali jaati hai

Vahi pari apni aankhe band kar unn lamho me kho jaati hai jo usne manthan ke saath bitaye the
Pari ki haalat dekhkar Siddhi bhi bahut jyada pareshan thi..voh chalte hue manthan ke pass aayi thi lekin uski najar Mayank par padti hai jo vaha par khada tha

Pata nahi siddhi ko kya hua ki voh daudte hue mayank ke pass gayi aur uske gale lagte hue ek saath kahi saare sawaal karne lagi “kaha tha tu itne din..?? tuje pata bhi hai hume teri kitni fikar ho rahi hai”

Mayank “mai thik hu siddhi”
voh siddhi se alag hote hue bola

Siddhi “manthan, 8 mahine beet chuke hai, teri koi khabar nahi..aur pari ki haalat, please I beg you please tu pari ko sambhal le..mujse nahi hota ab..mai nahi sambhal sakti pari ko”
yeh kehti hue uski aankho se aansu nikal aaye

Mayank “don’t worry, mai usi ke liye aaya hu, bas thodi si madad chahiye tum sab ki”

Kruti “par tu itne din kaha tha..??”


tabhi achanak se vaha par bhookamp ka jatka aaya aur saath me joro se dhamaka hua jise sunkar Mayank chaunk jaata hai

“yeh..yeh kya tha..??” aur voh apne charo aur dekhte hue bola “yanha par ho kya raha hai..??”

To be continued…
Khubsurat update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 25 (Welcome to Earth-1)

Mayank “don’t worry, mai usi ke liye aaya hu, bas thodi si madad chahiye tum sab ki”

Kruti “par tu itne din kaha tha..??”

tabhi achanak se vaha par bhookamp ka jatka aaya aur saath me joro se dhamaka hua jise sunkar Mayank chaunk jaata hai

“yeh..yeh kya tha..??” aur voh apne charo aur dekhte hue bola “yanha par ho kya raha hai..??”


Ab aage…

NOTE : Iss updates se kahani me aage do Manthan hai, lekin alag alag Earth se, toh mai first part ki tarah hi jo Manthan (Earth-2) se aaya tha uska naam aage se Mayank likhunga taaki confusion naa ho

Mayank ne dekha ki Manthan ek ajeeb se gun liye hue uske samne khada hai, aur itna hi nahi, uske Earth-1 pe vapas aane par kuch aisa dikha jise dekhkar voh puri tarah se hil jaata hai
Jab mayank pichli baar yanha se gaya tha tab ke haalat aur aaj ke haalat me kaafi farak aagaya tha, Manthan ke pass ek ajeeb si dikhne vali gun thi..jisme halke se nile rang ki roshni gun ke bich me ek strip type me chamak rahi thi..Manthan ke hath aur chehre par halki halki chout ke nishan the..aur rahi Manthan ke ghar ki baat toh voh ghar naa hokar ab ek tute hue ghar ka malba ban chukka tha

Mayank “yeh ho kya raha hai yanha par..??” uske itna bolna tha ki pass mese ek jordar dhamake ki awaaz sunayi di

Uss awaaz ko sunkar Manyank ko yeh samaj ne me der nahi lagi ki vanha par kya ho raha hai, voh gusse se bol utha “Zorians.?? Voh yanha par kese..??”

Mayank ke aisa bolne par Siddhi, Manthan aur Kruti ajeeb si najro se use dekhne lage “kya..?? yahi soch rahe hona ki muje kesa pata..??” mayank halke gusse me bola

Manthan “naa, yeh soch rahi hai ki yeh Zorians kya hai..??”

Siddhi “aur yeh bhi ke teri yeh haalat kese hui”
siddhi ne mayank ke sar bandhi patti dekhte hue kaha

Manthan ki baat sunkar Mayank chaunk jaata hai, voh apne baal khujate hue bola “are vahi aliens ki baat kar raha hu, jisse tum sab lad rahe ho”

Manthan “lekin mere bhai, hum toh kisi bhi aliens se nahi lad rahe”
voh asamaj bhare bhaav apne chehre par laate hue bola

Mayank “kyyaa…????”
usne apne charo aur dekhte hue kaha “toh fir yaanha ke haalat..yeh sab kisne kiya..??”

Manthan ne apni gun ko side me rakhte hue “we are dying bro, tune sahi kaha tha...hamare earth ka ant najdik hai” voh ruasni awaaz me apne chehre par haath firate hue kehta hai

Mayank ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh unn tino ki aur halke gusse se dekhte hue bola “koi muje bataega ki yanha par ho kya raha hai”

Siddhi “voh sab chod, tu itne din kaha tha..?? aur aaj achanak 8 mahine ke baad kese aaya..?? kya tuje apni Earth mili ya nahi..??”
siddhi ne uski aankho me dekhte hue kaha

Mayank “haa, mai apni earth se hi aa raha hu, aur muje yanha se gaye hue bas 2 din hi hue hai”

Manthan chaunkte hue “kese..?? I mean..muje ache se yaad hai tuje gaye hue 8 mahine beet chuke hai”

Mayank “haa..real me shayad utna hi waqt hua hai..par mere liye voh 8 mahine 2 din ke baarbar the..aur yakeen maan mere bhai..yeh do dino me maine 2 baar hamare planets ki yeh haalat dekhi hai”


Siddhi ajeeb si shakal banate hue puchti hai “2 din..kese..??”

Manthan “2 planets se tera kya matlab hai.??”

Mayank “yaar muje nahi pata ki yeh worm hole kese kaam karte hai, but jab mai apne earth se yanha aaya toh dono earth ki date aur time same the..lekin jab mai yanha se apne ghar vapas gaya tab time dugna ho gaya”


Kruti ne taana marte hue kaha “bhai, yaha kisi ke bhi palle kuch nahi pada”

Mayank “simple way me samjata hu, mai iss Earth par pehli baar 20 October 2016 ko aaya tha, aur jab mai apne Earth vapas gaya toh uss din date 28 June 2017 thi, yaani ke mai karib 8 mahine ke liye iss Earth par ruka tha”
fir voh thoda saans lete hue “lekin jab mai apne Earth par pahucha tab date thi 16 February 2018”

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? I mean aaj date 17 February 2018 hai, matlab ke tu 2 din apne Earth par ruka tha..??”
kuch samajte hue apna sawal rakha

Mayank “haa..2 din ke liye mai apne earth par ruka tha, mai nahi janta exactly yeh dimension travel kese kaam karta hai..shayad ho sakta hai ki yeh hamari dono earth ki alag frequency ki vajah se ho”

Siddhi “leave it manthan, hume nahi jaana iske piche ka science kya hai, aakhir fayda kya..?? par tu yanha vapas aaya hi kyu..?? Please manthan..tu vapas chale jaa, yeh planet ab rehne ke liye nahi bacha”
siddhi ne nirash hote hue kaha

Siddhi ki awaaz me uske dard ko Mayank ache se mehsus kar raha tha, voh chalte hue uske pass gaya aur use sahara dete hue puchta hai “par yanha par ho kya raha hai..??”

Manthan “sab kuch khatam ho gaya mere bhai, hum bhi ab zinda nahi bachenge..yeh planet, hamari earth tabaah ho raha hai”
uske awaaz me bhi dard aur nirasha saaf jhalak rahi thi

Mayank ne pichle dino me aisa kuch dekha aur suna tha ki ab toh jese use inn sab ki aadat si ho gayi thi “kkesseee..?? aur kaun kar raha hai..??” voh haklate hue puchta hai

Siddhi “yeh koi nahi jaanta, bas achanak se hi yeh sab shuru hua hai”


Mayank unn sab ke chehre dekh raha tha..sabhi log kaafi jyada niraash lag rahe the, unn sabko ese dekh use kuch yaad aata hai “pathik kaha hai..?? mom dad aur baaki sab” usne vese halkate hue unn sabhi ke naam liya

Yeh sunna tha ki Manthan aur Kruti dono ke hi aankho se aansu nikal aaye, Siddhi bhi kaafi ruansi hote hue boli “manthan, koi nahi bacha..voh sab maare gaye hai”

Siddhi ki yeh baat mayank ke liye kisi bomb ke futne se kam naa thi, yeh sunkar voh 2 kadam piche chala gaya, aur bhari awaaz me bola “kese..??” uski aankho me halke halke aansu jhalak aate hai
Manthan bhi ruansi awaaz me jawab deta hai “jab tu gaya, uske baad pruthvi safe thi..dheere dheere logo ke dil se Dexter ka khaunf kam ho raha tha..aur roj mara ki zindagi bhi dheere dheere shuru hone lagi thi..aur yakeen maan mere bhai, isse behtar hamari zindagi kabhi itni hasin..itni khubsurat kabhi nahi hui thi, humne dharti ko itni khubsurat kabhi nahi dekhi jitni humne inn pichle 7 mahino me dekhi hai, aisa lag raha tha maano dharti khud ko thik kar rahi hai, har ek takleef jo hum insaano ne hamare planet ko di hai..voh unn sabse upar aakar firse khilne lagi thi..naa koi jung aur naa hi kisi se koi dushmani, aisa lag raha tha maano pura planet finally ek ho gaya hai, lekin…” voh bolte hue ruk gaya

Mayank “lekin kya..??”

Siddhi “lekin yeh din jyada nahi tike, har jagah se achanak se bhukump, tsunami, landslides ki khabar aane lagi, bhukamp ki intensity scale itne jyada ki shehar ke shehar tabah hone lage, tsunami me paani ki lehre itne badi aayi ke har ek coastal sehar aaj samandar me dub gaye hai..aur yeh sab pure planet pe har jagah ho raha hai”

Manthan “itna kaafi nahi tha, dharti ke andar raha lawaa bhi ab toh har jagah se fut fut kar bahar aane laga hai, aur yeh jo dhamaka tune kuch der pehle suna..voh bhi kuch aisa hi tha”


Mayank yeh sab sunkar bahut shock ho gaya tha..use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki iss earth ki itni jyada buri haalat kese ho sakti hai, usne fir jab upar asmaan ki aur dekha toh uske hosh udd jaate hai
Asmaan jo hamesa nile rang ka rehta hai..voh halka sa kaal pad chukka tha..asmaan me hi halki halki bijliya lagatar bina ruke kadak rahi thi..ek khaufnaak maahol iss pure planet par ban chukka tha
Fir ek aur baar bhukamp ke jabardast aanchke unn sabhi ko mehsus hue, aur iss baar Mayank bhi use mehsoos kar raha tha lekin voh kuch bol nahi pata

Kuch der ke liye sabhi log shant khade rahte hai, aur uss chuppi ko Siddhi apna sawal dohrate hue todti hai “tune bataya nahi, tu vaapas kyu aaya..??”

Mayank “actually, muje papa ki help chahiye thi”
usne apni watch dikhate hue kaha

Uss watch ko dekhkar sabhi samaj jaate hai ki Mayank kya kehna chahta hai Siddhi “firse..?? yaani teri yeh haalat iski vajah se hui hai”

Mayank haa mein apna sar hilate hue bola “haa bhi aur nahi bhi” voh kaafi nirash hote hue bola

Manthan “kya teri earth par bhi aisa ho raha hai..??”

Mayank “nahi manthan, lekin mere planet ke bhi haal sahi nahi hai..humpar aliens, time-wraiths aur dinosaurs ka ek saath hamla hua hai”

Kruti “kyaaa..?? tere planet par dinosaurs jinda hai..??”
uski mann ki utsukta dikh rahi thi

Mayank “nahi kruti” fir voh apne 2 din ki kahani bata deta hai

Manthan “papa toh ab nahi hai..aur hum itne intelligent nahi ki teri kisi bhi baat ko samaj paaye, but I think agar koi teri madad kar sakta hai toh voh Ajit hai, akhir iss gun ko usne hi banaya tha”

Mayank uss gun ko dekhte hue “yeh hai kya..??”

Manthan “tere jaane ke baad, Ajit ne teri hi concept se yeh gun banayi thi..yeh sochkar ki agar kabhi future me Dexter vapas aaya toh hum usse lad sake”
fir voh Ajit ko phone karke apne ghar bulata hai

Mayank “kab yeh hua yeh sab..?? I mean earth ki yeh haalat”

Manthan “yahi koyi..15 din pehle”


Mayank kuch sochte hue “15 din me yeh haalat, yeh ajeeb hai” fir usne kuch aur pucha “kese hua..papa aur mummy”

Iss par manthan kuch nahi bolta, Siddhi ne manthan ka haath pakadte hue kaha “hum sab college se vapas aa rahe the, aur raste me humne bhukamp ke dil dehla dene vale aanchke feel hue, bhukump itna tezz tha ki hamare samne hi kahi buildings puri puri ki gir gayi..kam se kam 2 lakh se bhi jyada log uss din Delhi me maare gaye the..hamare parents yaa toh ghar par the yaa apne office me..unke saath bhi” voh isse aage nahi bol paati aur manthan ke gale lagkar rone lagti hai

Yeh sab sunkar mayank bhi khud ko rok nahi paata, uski aankho se bhi aansu nikal aate hai, kyunki kahi na kahi pichle 8 mahino me use inn sabhi log se lagav ho gaya tha
Pichle 8 mahino me Mayank ne jindagi me bahut se dukh sahan kiye the..lekin shayad abhi bhi bahut kuch hona baaki tha
Mayank kuch sochte hue bolta hai “nahi, mai tum sab kuch nahi honge dunga”

Kruti “kese mayank..?? Pathik ne bhi mujse aakhri baar yahi vaada kiya tha..lekin uske saath bhi..”
voh bhi rone lagti hai

Manthan “kuch nahi kar sakte mere bhai, yeh koi tere science ke Dexter ke saath me ladayi nahi hai..government already declare kar chuki hai ki yeh hamare Planet ka ant hai”

Mayank “mai pure planet ko toh shayad nahi bacha sakta..lekin mai tum sabko jarur bachaunga, tum sab mere saath..mere earth par aa rahe ho”


Mayank fir kruti ke pass jaakar uske aansuo ko hatata hai aur apna sar naa mein hilate hue “nahi kruti, pathik mara nahi hai..voh jinda hai, mai tuje uske paas le jaunga, ab hum mese koyi nahi marega, I promise”

Tabhi mayank ke kaano me ek jaani pehchani awaaz gunjti hai “aise promise nahi karne chahiye jo tum kabhi pure naa kar sako”

Ek behad hi pyaari si awaaz mayank ke kaano me sunayi di, aur mayank samaj jaata hai ki yeh awaaz Pari ki hai..uski Pari ki
Lekin saath me voh yeh bhi mehsoos kar raha hai ki Pari ki uss awaaz me kitna jyada dard aur kitna jyada gussa hai

Mayank apni aankhe band karte hue Pari ki aur muda lekin aaj voh apni aankhe nahi khol paa raha tha

To be continued..
Jakash update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 26 (Ehsaas)

Achanak hue dhamake se Pari dar jaati hai, uss dhamake ki awaaz itni teezz thi ki Pari hosh me aajati hai aur voh uss tute hue kamre se bahaar aagayi
Baahar aate hi uske najar sabse pehle Mayank par padi, jise dekhkar voh saare dard jo uske dil me the, ek-ek karke sab baahar nikalne lage
Pari ki najar ektak Mayank par tiki hui thi..use abhi bhi viswash nahi ho raha tha ki uska pyaar iss waqt uske samne hai..use toh tab ehsaas hua jab Mayank kruti ke pass gaya

Mayank fir kruti ke pass jaakar uske aansuo ko hatata hai aur apna sar naa mein hilate hue “nahi kruti, pathik mara nahi hai..voh jinda hai, mai tuje uske paas le jaunga, ab hum mese koyi nahi marega, I promise”

Mayank ki yeh baat Pari ke dard ko badhava de gayi, aur usse ab raha nahi jaata “aise promise nahi karne chahiye jo tum kabhi pure naa kar sako”

Mayank apni aankhe band karte hue Pari ki aur muda, Mayank ka haal bhi pari ke haal se kuch kam nahi tha..voh apne dard ko shayad jatana nahi chaah raha tha..shayad yahi vajah thi ki voh Pari ki aur mud toh gaya lekin aaj voh apni aankhe nahi khol paa raha tha…lekin use yeh ehsaas jarur tha ki pari usi ke aur aa rahi hai aur yahi sockar uske dil ki dhadkan bhi dheere dheere badhne lagti hai

Pari ko vaha dekhkar sabhi log chup ho jaate hai..darasal koi samaj nahi paa raha tha ki voh iss waqt kya bole

“I think hume inn dono ko kuch der akele rehne dena chahiye” manthan ne uss shanti ko todte hue kaha

Siddhi aur Kruti uski baat samaj jaate hai aur voh tino hi inn dono ko akela chodkar thoda side me aagaye

Pari ko aaye hue karib 5 minutes beet chuke the, lekin Naa toh pari ne kuch bola aur naa hi mayank ne ek baar bhi apni aankhe kholkar pari ko dekha
“kyu..??” pari ki awaaz ne uske dil ka dard bayaan kiya

Pari ke dard ko mehsus karte hue “I… am sorry” mayank khud ko rok nahi paaya aur vahi par apne ghutno ke pal baith gaya

“kya kami reh gayi thi mere pyaar me..??” pari ne runasi awaaz me kaha “shayad yahi kami reh gayi thi ki mai teri Pari nahi hu..yaa fir mai kabhi teri thi hi nahi” voh mayank ke karib aakar uske pass apne ghutno ke sahare baith gayi

Manthan naa mein apna sar hilate hue “nahi pari..yeh sach nahi hai”

Pari vese hi bhari gale se “yahi sach hai manthan..isiliye tune jaane se pehle ek baar mujse milna jaruri nahi samja”

Manthan “mai darr gaya tha pari…mai”
voh aage kuch nahi bol paata

Pari “yeh tera darr hi hai..jo muje iss baat ko manne par majboor kar raha hai ki teri life me mera koi astitva nahi hai..” fir thoda rukkar “agar tu sach me muje apni maanta toh jaane se pehle ek baar mujse jarur milta..meri aankho me dekhkar tu yeh jarur batata ki tere dimaag me kya chal raha hai”

Mayank kuch nahi keh paata “tuje pata hai mai akshar yahi socha karti thi ki tune mere saath aisa kyu kiya..?? lekin dheere dheere mere samaj me aagaya ki tu muje yeh sab kyu bataega..?? kyunki mai toh kabhi teri thi hi nahi” itna kehte hue Pari ki aankho se aansu nikal aate hai

Mayank jo apni aankhe abhi tak band kiye hue baitha tha use ehsaas ho raha tha ki Pari ke dil me kitna dard basa hua hai “pari mai kese samjau ki uss waqt meri kya haalat thi..mai inn sab me itna jyada ulaj gaya tha ki muje kuch samaj hi nahi aa raha tha”

Pari “nahi manthan, ulaj tho mai gayi thi yeh samaj kar ki tu mujse pyaar karne laga hai..shayad isiliye mai dhokha khayi gayi thi..muje laga ki tuje mere saath waqt bitana acha lagta hai..mere saath rehna acha lagta hai, jo ehsaas tune muje dilaya tha use mai pyaar samaj ne lagi thi..lekin voh pyaar toh kabhi mere liye thaa hi nahi”
voh apni aansuo ko saaf karti hai lekin firse aankho se aansu chalak aate hai “tu mere saath isiliye rehta tha kyunki tuje kisika sahara chahiya tha..voh pyaar voh ehsaas voh sab kuch isliye tha kyunki meri shakal teri PARIDHI se milti hai”

Manthan apne aap ko ab jyada der rok nahi paaya, voh apni bheegi hui palko ko uthakar apni najar samne baithi pari ki aur karta hai “maine jitna bhi waqt tere saath bitaya hai voh maine tuje apna maan kar bitaya hai”

Mayank ki najar jab pari ke chehre par gayi toh voh puri tarah se tut gaya, Pari ke jis chehre par hamesa ek pyaari si muskaan rehti thi vaha aaj uske dil ka dard tha, jin aankho me voh hamesa apne liye pyaar dekhta tha aaj usme gehre amulya aansu the jise dekhkar Mayank ko aisa lag raha tha maano koi uski rooh..uski zindagi khech raha hai…ek sundar masoom sa chehra aaj iss kadar bikhar gaya tha ki mayank khud ko rok nahi paaya

Usne apne hath ko pari ke chehre par pyaar se rakhte hue “betu..yehh..yeh kya haalat kar rakhi hai”

Mayank ke chune ke ehsaas ko Pari mehsoos karti hai..use mehsoos hone laga ki pyaar ki ek anokhi taaqat jese uske rom rom me ujagar ho rahi hai..lekin voh khud ko mayank ke samne tutne nahi de sakti thi, usne fauran hi Mayank ke hath ko gusse se jhad diya

“tuje isse koi matlab nahi hona chahiye ki mai jiyu yaa maru” pari ne rukhe hue swaar me kaha

“please pari, atleast aisa toh nahi bol” mayank ne ruansi awaaz me kaha

“tuje toh kabhi meri fikar rahi hi nahi hai, hamesa tu bas apni man-mani karta hai, hamesa mere saath aisa bartaav karte aaya hai..kabhi cigeratte pita hai toh kabhi Dexter ke samne kud jaata hai..aur ab yeh” pari halke gusse me apni naak sikudte hue bolti

Pata nahi kyu par Mayank ko pari ka yeh karna pasand aata hai, voh bahut hi pyaar se uske chehre par ek aur baar haath rakhte hue bolta hai “yeh sach nahi hai pari, maanta hu maine bahut badi galti ki hai”

Mayank ki baat ko bich me hi kaat te hue “galti..?? manthan..galti ek baar hoti hai, baar-baar nahi” pari ne halke gusse se kaha

Mayank “I am sorry” apne kaan pakad te hue bolta hai

Pari “kya sorry bolne se sab kuch thik ho jayega..?? baar baar sorry bolne se uska koi mol nahi rehta, aaj agar tuje maaf karungi toh kal tu fir yahi karega, fir sorry bolega fir galti karega. Isse achcha hai” voh bolte hue ruk jaati hai

Mayank “I promise jaan, aisa aaj ke baad fir kabhi nahi hoga” ko pari ka iss tarah se baat karna bahut hurt kar raha tha

Pari “nahi manthan, ab koi farak padta, aaj ke baad naa toh tuje sorry kehne ki jarurat padegi aur naa hi tuje kabhi ese juthe promie karne padenge”

Mayank apni najre niche karta hai “please aisa naa bol” uske dil ki dhadkan dheere dheere badhne lagi thi

Pari ne mehsoos kiya ki mayank ro raha hai, toh usne pyaar se apne haath ko mayank ke chehre par rakha aur use apni aur karte hue “I think hume dur hi rehna chahiye, yahi chahta haina tu ki mai tujse dur rahu..toh abse yahi hoga” aur voh uthkar vaha se jaane lagti hai

Mayank ko yeh baat kisi teer ki tarah chubti hai..pari ke dur jaane ke ehsaas se hi uski roonh kaamp uth ti hai, voh turant hi pari ke haath ko pakadkar use rokta hai “please pari..please itna badi saja muje mat de”

Lekin pari bina mude hi uska haath ko patak deti hai “I am sorry manthan..but I think tuje meri life me rehna ka koi haq nahi hai” yeh bolte waqt Pari ki aankho se aansu nikal aate hai..sirf vahi jaanti thi ki yeh baat usne kese boli hai

Mayank “pari..aisa mat bol..mai nahi reh sakta tere bina”

Pari “maine toh bas vahi dohraya hai jo tune kiya tha”
fir voh apna chehra saaf karte hue mayank ko apni yaad dilwaati hai “yaad hai tune kaha tha ki tu muje chodkar kabhi nahi jayegi..juth kaha tha tune”

Pari chahe mayank ke samne khud ko kitna hi storng dikhane ki koshish kare..lekin mayank pari ke dard ko ache se mehsoos karta hai “thik hai pari, agar tu yahi chahti hai toh yahi baat tu meri aankho me dekhkar bol ki mai tere bina reh sakta hu”

Pari jaanti thi ke ek baar agar usne Mayank ki aankho me dekh liya toh voh khud ko rok nahi paayegi “muje aisa karne ki koi jarurat nahi hai, mai teri girlfriend nahi hu..aur naa hi teri pari jo yeh sab kare” kehte hue voh vaha se jaane lagti hai

Mayank fauran khade hokar Pari ke samne aajata hai, aur uske chehre par apne haath rakhte hue “galat bol rahi hai tu, galat galat galat” voh uski aankho me dekhte hue bolta hai

Pari “please leave me” ne apni aankhe niche karte hue kaha

Mayank “nahi pari…ab nahi..kabhi nahi”

Pari naa mein apna sar hilate hue “yaad hai tune hi mujse kaha tha ki meri har ek aadat teri pari se milti hai…har ek, hum dono me jara sab hi farak nahi hai..toh fir mai yeh kese maan lu ki..” voh aage nahi bol paati hai

Mayank “haa mai manta hu ki maine tujse yeh kaha tha..lekin I swear mai ek pal ke liye bhi yeh nahi samja ki tu koi aur hai..mere dil me tere liye hamesa se vahi jagah rahi hai jo maine apni pari ko di thi”

Pari ne mayank ke haath ko bade hi pyaar se pakda aur apni najre jukate hue “toh fir tune aisa kyu kiya..?? ek baar bhi tune yeh nahi socha ki tere jaane ke baad mera kya hoga…mai kese jiungi tere bina” usne bade hi pyaar se sawaal kiya “maana ki meri shakal teri Pari se milti hai..lekin jo pyaar maine tujse kiya hai voh jutha nahi hai manthan” uski pakad mayank ke haatho par halki ho rahi thi “maine bhi tujse utna hi pyaar kiya hai jitna pyaaar teri pari tujse karti thi…lekin jo tune mere saath kiya uske baad toh mere pyaar ka koi vajood hi nahi reh jaata” voh badi se muskil se bol paa rahi thi

Mayank bhi ab pari ki yeh baate bardasht nahi kar paa raha tha, voh apne dusre haath ko pari ke chin par rakhta hai aur uske chehre ko apni aur karke “nahi pari…please aisa ek pal ke liye bhi mat soch ki tera ya tere pyaar ka koi vajood nahi, tujse dur jaakar maine bahut badi galti kar di hai..aur yanha se jaane ke baad muje ehsaas ho gaya ki maine kya khoya hai..isiliye mai vapas aaya hu..meri pari ke liye..tuje apne saath le jaane ke liye”

Pari ne apni naam aankho se dekhte hue pucha “saacchhh..??”

Mayank haa mein apna sar hillate hue “haa pari, mai bhatak gaya tha..aur hamesa ke jese aaj bhi tune muje sahi raah par aane me madad ki hai, mai hamesa tere saath aisa karta hu, kabhi teri baat nahi sunta aur tuje hurt kar deta hu, mai sach me bahut bura hu jisne tere pyaar ki kabhi kadar nahi ki”

Pari halke gusse se kehti hai “tuje yeh bolne ki koi jarurat nahi thi..tu khud ko blame karna kab band karega hmm…?? Kya mai itni buri hu manthu jo tuje hamesa iss tarah khud ko blame karna padta hai”

Mayank naa mein apna sar hilate hue “nahi pari..bilkul bhi nahi..please ab aur nahi" voh aage kuch nahi bol paata aur Pari ke seene se jaa lagta hai

Vahi pari bhi ab khud ko rok nahi paati aur voh bhi Mayank ko apne seene me lappet deti hai..usne mayank ko itna kaskar apne gale lagaya tha manno yeh jaata rahi ho ki ab voh use apne se kabhi alag nahi hone degi
Mayank bhi pari ko kaske apne seene se lapete jaa raha tha, voh apne hotho ko pyaar se Pari ki hoth par rakhta hai aur uspar apna pyaar barsane laga…aisa lag raha tha maano dono hi ek dusre par apna apna pyaar barsa rahe hai..dono mese koi bhi piche hatne ke naam nahi le raha tha
Kabhi mayank pyaar se apne hoth pari ke gaal par rakhta toh kabhi Pari manthan ke chin par..aisa lag raha tha maano dono ekdusre me kho gaye hai..mayank ke liye pari se dur jaana sirf 2 asaan nahi tha..toh Pari ne 8 mahine kese beetaye honge uss baat ke khayaal se hi Mayank kaanp uthta aur Pari ko aur bhi kaskar apni baanho me samet leta

Mayank ke iss tarah se apnane ke baad Pari khud ko rok nahi paayi aur uski aankho se aansu chalak aate hai..mayank ke itna dekhte hu voh turant apne hotho ko unn aansuo par rakh deta hai aur fir pyaar se uski aankho ko chumte hue bola “nahi jaan, ab aur nahi, bahut ro liye..ab muje teri aankho me ek bhi aansu nahi chahiye”

Pari pyaar se uski aankho me dekhti hai “I LOVE YOU MANTHAN”

Mayank ne apne hoth ko uske mathe par rakha aur pyaar se uske pyaar ko siwkarte hue bola “I LOVE YOU TOO PARIDHI” aur voh dono hi ekdusre ki aankho me kho jaate hai

Kuch der baad unn dono ke kaano me taaliyo ki awaaz sunayi deti hai, iss awaaz se dono hi hosh me aate hai aur awaaz ki disha me dekhne lage janha par Manthan..Siddhi aur Kruti inn dono ke pyaar ko dekh rahe the
Pari inn logo ko aisa dekhkar sharma jaati hai..uske gaal halke se sharam ki lali ke karan gulabi ho rahe the..aur voh najre churaye Manthan ke dil me apna chehra chupa deti hai

Siddhi “yeh dekho madam ko, dekh toh sahi kese sharma rahi hai”

Manthan “haa yeh toh kaha..varna pata nahi kitni sadu bankar ghum rahi thi”


Siddhi chalte hue unn dono ke pass aayi aur halki si muskaan ke saath boli “thanks, hamari pari ko vapas lauta ne ke liye”

Mayank pari ki aur dekhte hue “I am sorry..but yeh tumhari nahi..yeh meri Pari hai”

Yeh sunkar pari bahut khush ho jaati hai..aur voh apni aankhe ke ishare se hi apne pyaar ka ijhaar karti hai..jiska jawab mayank bhi apne aankho se de deta hai

Kruti “sach me, kaamal ho tum dono..I mean dono hi alag duniya se hai..fir bhi itna pyaar..amazing”

Mayank “toh kya hua ki mai aur pari ek duniya se nahi hai..lekin hai toh toh Earth se hi..aur agar tum kisi se saccha pyaar karte ho toh duniya ki koi bhi taqaat tumhe milne se nahi rok sakti..fir uske liye tumhe dusri duniya me hi kyu naa jaana pade..maine pari se pyaar kiya hai aur pari ne mujse..isliye toh muje meri Pari vapas mil gayi..aur maim jaanta hu ki yahi meri pari hai”

“mayank”
yeh awaaz unn sabko sunayi deti hai

“ajit” mayank ajit ko dekhkar khush ho jaata hai

“tu vapas kese aaya..??”
ajit ne mayank ko dekhkar sawal kiya

Uske baad Mayank use sari kahani bata deta hai “I think yeh device kuch aur hai..i don’t know yeh kese kaam karta hai..but I think I need a help” voh apni watch dete hue kehta hai

Ajit uss watch ko lekar dekhne laga..aur mayank ne ek aur sawal kiya “yeh sab kya ho raha hai yanha par”

Ajit “bhai, planet tut raha hai..ek ajeeb si energy planet ke core se constantly release ho rahi hai..jiske vajah Earth unstable ho gayi aur puri tarah se khud ko tabaah karne lagi”

Mayank “aisa kese possible ho sakta hai..I mean itna sab sirf 15 din me ho gaya aur voh bhi achanak..kese”


Ajit hatash bhari awaaz se bola “shayad iska ans tu jaanta hai” mayank ki aur dekhte hue bola

Mayank uski aur sawaliya bhari najro se dekhte hue bola “no way..it’s impossible”

Ajit “toh tuje yeh ajeeb nahi lag raha ek time-wraith tera picha karta hai..aliens dinosaurs ek hi jagah ek waqt par aa rahe hai..aur yanha..hamare planet ke saath yeh ho raha hai”


Mayank samaj jaata hai ki Ajit kya kehna chahta hai “mai..muje yakeen..I mean” voh tay nahi kar paa raha tha ki use kya bolna hai

Ajit “here, it’s done”
usne watch manthan ko di aur kehta hai “ek type ka power dampener bhi hai aur frequency manulpulator bhi hai”

Mayank “mai kuch samja nahi”

Ajit “jo tachyons tere body ke andar hai..voh tachyons ko stable karne ke liye yeh device madad karti hai..aur jo energy usme se release hoti use daba deti hai..because tachyons has negative mass”

Mayank “yeah..i know that, but agar yeh watch tachyons ko stable kar deti hai..voh energy ka kya hota hai..??”

Ajit “well mai tere jitna genious toh nahi hu..aur hamare pass itna waqt nahi hai ki mai sabkuch study kar saku..but I think uss energy ko shayad tu use kar sakta hai”

Mayank “like how..??”

Ajit “maybe shayad vese hi jese tune Dexter ko rokne ke liye plan banaya tha”


Mayank kuch samajte hue “toh kya mai stable worm hole bhi creater kar sakta hu..??”

Ajit “haa..agar tu apne extraplorator ko agar iss device se sync kar de toh shayad haa..kisiko bhi apne saath le jaa sakta hai”

Mayank “well that’s great, aur yeh mai kese karunga..??”


Ajit kuch sochte hue “shayad Physical contact se kaam ho jayega”

Tabhi asmaan me joro se bijli kadkne lagi aur niche zameen tak girne lagi, use dekhte hue mayank bola “we don’t have much time..we need to move”

Uske baad mayank uss watch ko pehenta hai aur uske saath voh apna extrapolarator fit karta hai use press karta hai toh uss thodi dur par ek stable halke nile aur hare rang ka ring samne aata hai, uske baad voh pari ka haath pakadta hai aur uske piche Siddhi, Manthan aur Kruti aajate hai

Mayank “ajit…tu bhi mere saath aa raha hai”

Ajit naa mein apna sar hilate hue “nahi mayank..kisi ko iss earth par rehna hoga..agar yeh problem ruk jaati hai toh koi toh yanha par hona chahiye”

Mayank uski aur dekhkar haa mein apna sar hilata hai, aur Ajit “I just hope u can help us all” uske baad voh sab log daudte hue uss worm hole me chale gaye aur fir

Kuch der baad
“aahhhhhhhh”
halke dard ke saath pari kahrati hai

Mayank uske pass aata hai “pari..tu thik toh haina” voh pari ko apne seene se lagate hue bola

Pari “haa manthan, mai thik hu, par baaki sab kaha hai..??” aur voh apne charo aur dekhte hue boli “aur yeh konsi jagah hai”

Tabhi vaha par thodi dur ek bahut bada dhaamaka hota hai

To be continued…
Prem rash se sarober sunehri update dost
Na bandhan na rishte na lok na parlok
Prem shabdo se nahi
Ruh se mahsush karo
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 27 (Another Earth..??)

Kuch der pehle

“not bad mere bhai”
kehte hue Samar apne bhai par ghusse barsane laga..lekin samne Trod badi asani se Samar ke har ek vaar ko dodge karte jaa raha tha

Voh dono itni teji se lad rahe the ki niche khadi Shivani aur Aakruti dono hi unhe dekh nahi paa rahi thi..kuch dikh raha tha toh sirf unn dono ke punch ke milne par ho raha ek impact aur uske saath hi asmaan me ajeeb ajeeb kisam ki awaaz ho rahi thi

Trod “you are good, really good” voh samar ke vaar ko haste hue dodge karta hai “but not good enough” kehte hue usne Samar ke chehre par ek punch maara aur fir turant hi hawa me hi round ghumte hue samar ke pait me laat maar di


Yeh sab itni teji se hua ki Samar khud ko sambhal nahi paaya aur utni hi teji se zameern par jaa patka..lekin samar bhi itna jyada furtila tha ki zameen se takrane se thik pehle usne hawa me hi Gulati mari aur voh apne ghutno ke bal baith gaya

Samar ke itni teji se zameen par takrane ki vajah se vaha maujud dhul charo aur fail jaati hai..lekin turant hi Trod upar se lagatar energy blast karne lagta hai..voh kuch der bina ruke lagatar energy bomb se Samar par vaar kar raha tha
Kuch der energy bomb fainkne ke baad Trod ruk jaata hai aur uss dhue me ghor se dekhte hue gehri gehri saans lene laga..jab kuch der baad voh dhua hata toh use Samar ki halki halki parchayi dikhayi deti hai jime Samar ne apne haatho ko chehre ke aage cross kiye rakha tha..aur Trod yeh dekhkar heran reh jaata hai ki Samar ko ek kharoch tak nahi aayi

Trod “amazing” voh samar ki aur dekhkar muskurane laga

Vahi Samar bhi dheere dheere apne haath niche karta hai aur muskurate hue apne bhai ki aur asmaan me dekhne laga

Tabhi achanak se Shivani unn dono par baras padti hai “stoppp, ab ek second ke liye bhi aap nahi ladoge” usne jutha gussa dikhate hue kaha

Ab Shivani ka hukum ho aur dono bhai naa maane aisa ho nahi sakta tha, Trod dheere dheere karte hue niche aata hai aur Samar ki aur haath badhate hue “good, kaafi improvement hai”

Trod ka haath pakadte hue Samar khada hua “aap hi ki badaulat hai..I got a best teacher”

Trod “nahi mere bhai, maana ki maine tuje apni powers ko control karna sikhaya hai..lekin mehnat toh teri hi hai”


Tab tak Shivani aur Aakruti vaha aajate hai “aap dono iss tarah ladna kab band karenge..??” shivani unn dono par chillate hue kehti hai

Samar “gudiya..hum ladd nahi rahe..” voh bolte hue ruk jaata hai

Shivani “hum training kar rahe hai..janti hu janti hu…huh” samar ki baat ko kaatkar use puri karte hue kehti hai

Trod “meri behna, itna gussa naa kiya kar, hume kuch nahi hoga”

Shivani “bade aaye hume kuch nahi hoga kehne vale…huh, aapko pata hai aap dono ke alawa mera koi nahi hai..agar aap mese kisi ek ko kuch ho gaya toh”
voh halki si ruansi hokar kehti hai

Samar chalte hue shivani ke pass aaya aur uske gaal khichte hue bola “nautanki..kuch nahi hoga hume”

Shivani bhi samar ke sar par halke se marte hue “jaanti hu bhai, par muje dar lagta hai jab aap dono ese ladte ho, kya aap dono mere khatir normal insaano jesi training nahi kar sakte..??”

“Shivani..inke aage yeh kehna bekar hai, yeh hamari baat tab sunenge jab yeh insaan hote”
aakruti bhi juth gussa dikhate hue kehti hai

Somewhere Else..Kuch duri par

“voh..voh kya tha manthan”
pari ne manthan (mayank) ki aur dekhte hue pucha

Manthan bhi utna hi chaunka hua tha jitna pari, voh bina uski aur dekhe hue “muje nahi pata..mai khud yeh pehli baar dekh raha hu” voh ektak upar asmaan ki aur dekh raha tha jaha kuch der pehle Trod Samar par apne energy blast se vaar kar raha tha

Pari “kya matlab hai tera..?? hum tere earth par nahi hai..??” usne manthan ke haath pakadte hue kaha

Manthan apni najre Pari ki aur karta hai “maine tachyons dekhe..particle accelerator dekha, parallel Earth bhi dekhi..yanha tak ki maine Time-Wraith bhi dekha..usse lada bhi, par aajse pehle maine yeh kabhi nahi dekha jaha koi insaan hawa me udd raha ho”

Pari “iska kya matlab ho sakta hai..??”
fir voh apne charo aur dekhte hue “manthan..baaki sab kaha hai..??”

Manthan bhi kuch samaj nahi raha tha ki yeh kya ho raha hai..voh fauran apni watch par kuch buttons press karta hai (jo akshita ki watch thi jisme Gideon ka software tha) “Gideon, yeh ho kya raha hai..?? hum kaha hai”

Gideon “Data Processing…”
fir voh hologram Pari ki aur dekhte hue “nice to meet you mam”

Pari ek paal ke liye sochne lagti hai fir use yaad aaya ki Gideon use greet kyu raha hai “hello Gideon” apni cute si smile dete hue bolti hai

Gideon “sir, you are on Earth-48, In the year 2615”

Yeh sunkar Pari aur Manthan dono ek saath “what..??”

Manthan “Gideon..are you sure ki yeh ek aur Earth hai”


Gideon “Affirmative sir, maine apne algorithms aur Earth ki frequency se pata kiya hai ki hum iss waqt Earth-48 par hai”

Pari “par hum toh Earth-2 jaane vale the toh fir hum yanha par kese aagaye..?? aur baaki sab kaha hai..??”


Pari ki awaaz sunkar Gideon “mam, iss baat ka muje idea nahi hai..par shayad aisa lag raha hai ki aapki device theek se kaam nahi kar rahi” Manthan ki aur dekhte hue kehta hai

Manthan “kaam nahi kar rahi..?? kya matlab hai tumhara…??”

Gideon “sir..jo device aapne worm hole create karne ke liye use ki thi..voh worm hole me jaate hi malfunction ho gayi thi”

Manthan “toh kya yeh isi vajah se hua hai..??”

Gideon “I am not sure, mai uss device se properly link nahi hu..isiliye mai kuch bata nahi sakti”

Manthan “lekin gideon, mere pass itna time nahi hai ki mai iss device ko puri tarah study kar pau”

Gideon “sir, uski koi jarurat nahi hai..yeh watch ki technology itni capable hai ki mai apki watch aur extrapolator ko study kar sakta hu”

Manthan “okay Gideon..do it, and please find out ki hum yanha se bahar kese nikle..and baaki sab iss waqt kaha hai”

Gideon “okay sir”


Pari kuch sochte hue “Gideon..yeh konsa city hai..?? aur yanha voh insaan hawa me kese udd raha tha..??”

Gideon “Hum iss waqt East City me hai, and according to this Earth, voh ek alien hai”
uske baad Gideon manthan ke extrapolartor ki circuits ko diangnos karne laga

Yeh sunkar manthan kuch soch raha tha, pari usko dekhte hue “kya baat hai manthan..?? kya soch raha hai”

Manthan “pari..agar yeh sach hai ki jise humne dekha voh ek alien hai..toh I think voh Zorian ho sakta..maana ki maine kabhi use apni aankho se nahi dekha..lekin voh alien hai.aur hawa me udd raha hai”
voh bolte hue ruk jaata hai

Pari uski aur sawaliya bhari najro se dekhte hue bolti hai “haa toh..?? tu kahi usse ladne ke baare me toh nahi soch raha..??” voh halke gusse se kehti hai

Manthan “nahi pari..mai usse ladne ki nahi soch raha, but agar voh Zorian hai toh shayad voh iss Earth ko bhi tabah kar dega..mai soch raa hu ki hume vaha jaakar dekhna chahiye ki aakhir me voh kar kya rahe hai”

Pari “manthan..i know yeh tere liye kitna mayne rakhta hai, but tu jaanta hai ki voh kya kar sakte hai”

Manthan “haa par..Gideon ne yeh bhi kaha ki voh sirf ek alien hai”

Pari “ho sakta hai Gideon galat bhi ho”

Manthan “ho sakta hai..isiliye mai vanha jaane ke liye soch raha hu..unke baare me kuch toh pata chalega”

Pari “tune dekha na ki voh kya kar sakta hai”
thodi pareshan hote hue boli

Manthan “mai uske samne nahi jayenge..promise” usne pari ke chehre ko apne haatho me lete hue kaha

Pari uski aankho me dekhkar “manthu, mai janti hu tu rukega nahi..but mai tere saath chalungi” uspar haq jatate hue kehti hai

Manthan ne pyaar se pari ki aankho me dekha aur uske haath ko pakadkar “thik hai, hum saath jayenge” aur fir voh dono uss aur chale jaate hai jaha unhone uss dhamake ko dekha tha

Kuch der chalne ke baad voh dono ek jungle ke pass pahuch jaate hai, aur uss jungle ko dekhkar voh ek baar ekdusre ki aur dekhte hai
“voh dhamaka yahin par hua tha, fir yeh ghar bacha hua kese hai” pari ne samne ek ghar ki aur ishara karte hue kaha

Manthan “hume chalkar dekhna chahiye” fir voh dono dheere dheere karte hue uss ghar ke pass pahuch jaate hai

Uss ghar ke pass pahuchte hi unhe jatka sa lagta hai..kyunki jo unhone dekha tha vaisa kuch tha hi nahi..balki ghar ke bahar unhe kuch log masti karte hue dikhte hai, aur unhe dekhkar Pari aur manthan ek dusre ke chehre dekhne lage

Vahi samne Shivani, Samar aur Aakruti masti kar rahe the ki achanak se Shivani ki najar Pari aur Manthan par padti hai “bhai..yeh log kaun hai..??”

Samar “kaun ho tum log”
ne Manthan ki aur dekhte hue kaha

Samar ki awaaz sunte hi manthan bolta hai “tum sab thik ho..?? aur voh zorian..voh kaha gaya..??”

Samar kuch samaj nahi raha tha ki manthan ne kya bola “haa bhai, hum sab thik hai, lekin yeh Zorian..yeh kya cheez hai” usne sawaliya bhari najro se dekhte hue pucha

Tabhi achanak se Trod vaha par aaya “kya kaha…Zorians” usne thoda darte hue pucha

Samar aur Shivani Trod ki aur dekh rahe the aur uske chehre par darr ki lakire saaf dikh rahi thi, Shivani “bhai..aap thik toh haina..??”

Trod ne ek najar Shivani par daali lekin uski baat ka koi jawab nahi diya aur voh “Zorians…yeh kisne kaha” samar ki aur dekhkar usse sawal karta hai

Samar bhi kuch samaj nahi raha tha ki Trod aisa bartaav kyu kar raha hai, voh vese hi asamaj vale bhaav se “inhone” usne manthan ki aur ishara kiya

Manthan ne dekha ki ek mid-age matlab karib 45 saal ki umaar vala shaks unke samne tha..lekin sirf vahi ek tha jo Zorians ke naam se dar raha hai, Trod “kaun ho tum dono..?? aur Zorians..unka jikra kyu kiya..??”

Manthan “dekhiye mere pass itna waqt nahi hai ki mai aapke sawal ka jawab de paau, lekin yakin maniye yeh Earth bahut badi musibat me hai..maine kuch der pehle yanha..iss jungle ke upar asmaan me ek insaan ko udte dekha tha..vahi Zorian hai..voh iss earth ko bhi tabah kar denge”


Manthan ki baat sunkar Shivani Aakruti aur Samar hasne lagte hai, aur unhe hasta dekh Manthan aur Pari samaj nahi paate ki yeh aise kyu has rahe hai
Manthan “mai yanha seriously earth ke tabah hone ki baat kar raha hu..aur tum sab has rahe ho”

Samar “aur nahi toh kya..voh koi Zorians nahi tha”

Shivani “aapne jisne dekha voh mere bhai the..ha voh alien jarur hai..lekin Zorians nahi, mere dono bhai Nexon planet se aaye hai”
usne Samar aur Trod ki aur ishara kiya “and relax, voh mere bhai hi the jinhone 6 mahine pehle hamari earth ko Argus se bachaya tha”

Yeh sunnkar Pari aur Manthan ko bahut bada jatka lagta hai, Manthan aur Pari kuch bhi samaj nahi paa rahe the ki unke saath aakhir me ho kya raha hai
Manthan ajeeb si shakal banate hue puchta hai “argus..?? ab yeh argus kaun hai..??”

Aakruti jo chup thi voh kuch sochkar “voh iss earth ko bhi tabah kar denge” voh manthan ki baat par bhar dete hue “isse tumhara kya matlab tha..??” usne manthan ki aur dekhte hue sawal kiya

Aakruti ki baat sunkar Samar aur shivani uski aur dekhne lage..unke chehre par jo muskurahat thi voh Aakruti ke pareshan chehre ko dekhkar gayab ho jaati hai, vahi Aakruti “bhai, aap itna dar kyu rahe hai..??” usne Trod ki aur dekhte hue kaha

Trod “Zorians..yeh impossible hai, yeh nahi ho sakta..Zorians sach nahi ho sakte” usne darte hue kaha aur manthan ki aur dekhte hue “tumhe aisa kyu lag raha hai ki Zorians hamari earth ko tabah kar denge”

Samar “bhai..aakhir baat kya hai..?? aap itna toh Argus ke liye bhi nahi dare the”

Manthan “koi muje bataega ki yaha par ho kya raha hai..?? I mean aliens, Nexons aur yeh Argus..yeh sab chal kya raha hai iss earth par”


Iske baad Samar apne planet ki puri kahani suna deta hai, kese voh iss planet par aaya..kese Argus ne dharti par hamla kiya aur kese WAR OF THE WORLDS ki ghatna ghati

Samar ki kahani khatam hone ke baad Aakruti “iss earth par..?? kya tum dusre dimensions se ho..??” ne sawaliya bhari najro se manthan ki aur dekhte hue sawal kiya

Samar ki kahani sunne ke baad manthan ko laga shayad unhe uski kahani samaj aasakti hai..isliye voh apni kahani unhe bata deta hai, jise sunne ke baad vaha kuch der ke liye sannata chaa jaata hai

Samar “ek aur earth..ek aur alien, kabhi socha nahi tha ki life muje yeh sab bhi dikhayegi”

Manthan “aap shayad Zorians ke baare me jaante hai..aap jaante hai ki voh kya kar sakte hai..please muje bataiye ki hum use kese roke”

Trod “agar jo tumne bataya voh sach hai..toh unhe roka nahi jaa sakta..they are invincible”


Samar haste hue “bhai, aap bhul gaye ki hum aliens hai..aur iss pure universe me sabse taqatwar”

Trod “janron, lada unse jaata hai jiska astitva ho, maana ki hum iss universe ki ek powerful race se belong karte hai..but they are not aliens…they are something else”

Samar “mai kuch samja nahi bhai”
voh trod ko dekhkar khud pareshan ho jaata hai..kyunki 6 mahino me yeh pehli baar tha jab Trod ne usko uske asli naam se bulaya ho

To be continued…
Amazing update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 28 War of the Worlds

Trod “janron, lada unse jaata hai jiska astitva ho, maana ki hum iss universe ki ek powerful race se belong karte hai..but they are not aliens…they are something else”

Samar “mai kuch samja nahi bhai” voh trod ko dekhkar khud pareshan ho jaata hai..kyunki 6 mahino me yeh pehli baar tha jab Trod ne usko uske asli naam se bulaya ho

Ab aage

Trod “mai kabhi Zorians se nahi lada, lekin bachpan me maine Zorians ki bahut si kahaniya suni thi, muje hamesa se yeh kaha gaya tha ki hamare brahmand me Zorians name ke ek aise jeev hai jo pehle planets par apna kabja karte hai aur uske baad voh pure universe ko hi astitva se mita dete hai..mai samajta tha ki yeh sirf ek myth (kalpnik) hai..jiska vastav se koi lena dena nahi”

Samar “lekin voh toh sirf kahani hai bhai, jo aapne ek baar muje sunayi thi..yeh vahi haina jisse Argus bhi darta tha”

Manthan “iska kya matlab hai..??”
voh dheere se apna sawal puchta hai

Trod “agar jo tumne kaha voh sahi hai..toh hum kuch nahi kar sakte, yeh sirf earth ka hi nahi..hamare pure universe ka ant hai”

Manthan “par aap toh khud alien hai..toh aap unse lad sakte hai..yaa aisa koi toh rasta hoga jisse hum Zorians ko rok sakte hai..please bataiye muje”

Trod “yahi toh baat hai..hum aliens hai..aur voh kuch aur”
iske baad Trod manthan ko kuch aisa batata hai jise sunkar sirf manthan hi nahi..vaha maujud har ek insaan ke hosh udd jaate hai

Jese jese trod bata raha tha..vese vese unn sabhi ke dil me ek dard panap ne lagta hai..aisa lag raha tha maano sharir ke saath saath unn sabhi ki ruh tak uss kahani ke sunne ke saath kaamp rahi hai

Aakruti voh baate sunne ke baad “bhai, agar yeh sab sach hai..aur jo manthan ne abhi abhi bataya..toh kya yeh possible nahi hai ki jo jeev se aap kuch samay pehle lade the voh bhi yahi hai”

Manthan “kiski baat ho rahi hai..??”

Samar “kuch din pehle, yanha jungle me ek ajeeb sa jeev aaya tha..lekin jab bhaiya uske pass gaye aur usko chua toh achanak se unki umar badh gayi..yeh toh acha hai ki hum Nexons ki umar insaan ki umar se kahi ghuna jyada rehti hai..isiliye bhaiya bach gaye”


Manthan aur Pari dono hi samaj jaate hai ki samar kis jeev ki baat kar raha hai “time-wriath”

Pari “manthan..toh iska matlab yeh hua ki Dexter kabhi mara hi nahi..voh har ek earth par jaa raha hai..par sawal hai kyu..??”

Trod “nahi..mere hisab se baat kuch aur hai, tu samaj raha haina ki yeh kese ho sakta hai”
usne manthan ki aur dekhte hue kaha

Manthan “haa mai samaj raha hu ki yeh kya ho raha hai..and I think hamare pass shayad ek chance hai jisse hum apne universe ko bacha sakte hai” ne trod ke samne dekhte hue kaha

Trod “good, so tumhe pata hai ki tumhe kya karna hai”

Manthan ki aankho me ek chamak dikh rahi thi “haaa, muje apne earth par vapas lautna hoga”

Pari “tu muje batayega ki tu kya karne ki soch raha hai”

Manthan “abhi nahi pari, mai apne earth par jaakar sab bata dunga”


Pari ke mann me kahi saare sawaal panap rahe the lekin voh janti hai ki iss waqt manthan use kuch nahi bataega, isliye voh aage kuch nahi bolti

Tabhi achanak se Gideon ka hologram project hota hai “sir, I think voh time-wraith vapas aa raha hai, north direction me yanha se karib 1 km dur”

Gideon ki awaaz sunkar sabhi log chaunk jaate hai, Aakruti “ab hum kya kare..??”

Manthan jor se chillata hai “samar, tuje inn sab ko yanha se dur le jaana hoga”

Pari “nahi manthan..iss baar nahi”
voh manthan ka haath pakadkar darte hue puchti hai

Manthan uski aankho me dekhte hue kehta hai “please pari..just trust me, mai usse pehle lad chukka hu, and I can do it again”

Pari “please…be safe”
voh manthan ko ek choti si lekin pyaar se kiss karti hai

Manthan “let’s go” trod ki aur dekhte hue apna sar haa mein hilata hai

Trod manthan ko pakadta hai aur voh dono hawa me udte hue jungle ke uss aur chale jaate hai jaha par Gideon ne bataya tha

Uss jagah pahuchkar Inn dono ko jyada intezaar nahi karna pada, Trod ko uske samne se aata hua time-wraith dikh jaata hai aur turant hi voh apni puri energy lagakar uske samne blast karta hai
Trod ke haatho se ek urja nikalti hai jo sidhe jaakar uss Time-wraith ko lagti hai jisse uski raftaar dheere dheere kam hone lagi

Itihas me yeh kaha gaya hai ki jab bhi insaan ki ladayi kudrat se hogi usme vijay hamesa kudrat ki hi hogi, toh kya hua Trod alien hai..lekin akhir me voh bhi toh ek jeev hi hai, kabtak voh kudrat ki iss anokhi taaqat kea age tik paata, maana ka Trod taqaatwar hai..lekin uski shaktiya bhi time-wraith ke aage kamjor pad jaati hai jiski vajah se time-wraith ki raftar firse badhne lagti hai

Tabhi achanak se Trod ke piche se ek aur safed aur halke nile rang ki vese hi urja aati hai aur Samar trod ke pass aakar khada ho jaata hai
Unn dono ki taqaat shayad uss time-wraith par kaam kar rahi thi..voh ekdum se slow ho jaata hai lekin kuch hi seconds me uss time-wraith ki taaqat ke aage Samar bhi kamjor padne laga

Lekin samar bhi kaha haar manne vala tha, voh turant hi transform hojata hai aur ek pal me hi Samar puri tarah se badal gaya..uske baal pile rang me tabdil ho jaate hai aur aankhe halki hare rang ki, uske saath hi voh khud ek halke safed rang ki roshni me kaid ho jaata hai..lekin voh roshni use nuksan nahi pahucha rahi thi balki voh urja uske taaqat ki vajah se vaha maujud thi
Transform hote hi Samar apni puri taqaat ke saath uspar vaar karta hai, voh lagatar apni energy ko badhate jaa raha tha aur vahi samne uska asar Time-wraith ki gati par ho raha tha..voh ruka toh nahi lekin uski raftar kaafi had tak kam ho gayi thi

Manthan ke liye yeh sab dekhna kisi sapne se kam nahi tha..kyunki jo manjar voh apne samne dekh raha hai uspar yakeen karna asambhav tha..lekin voh ab samaj chukka tha ki yeh duniya asal me kya hai..usme kya ho sakta hai, jab insaan kabhi soch nahi sakta..jaha insaan ki soch khatam ho jaati hai vahi se toh iss brahmand ki soch ka janam hota hai
Manthan dekhta hai ki Samar ki yeh nayi vaali taqaat bhi time-wraith ko rokne me asamarth ho rahi hai…uski najar uss time-wraith par padti hai jiske aaspass ab halki halki bijliya kadak ne lagi thi

Tabhi manthan ko Ajit ki baat yaad aati hai, voh apni watch me kuch adjustment karta hai aur samar ki aur chillakar kehta hai “samar, listen to me, jab mai kahu tum aur trod dono fauran yanha se nikal jaana”

Samar “thik hai, lekin tu jo bhi karne vala hai jaldi karna, mai isse aur sambhal nahi paaunga”
uski awaaz se saaf pata chal raha tha ki usne bahut hi muskil se uss time-wriath ko roke hue tha

Manthan daudte hue Samar ke piche aagaya aur apne haath ko aage ki aur kar deta hai, aur samar se “nowww”

Manthan ke itna kehte hi Samar aur trod dono hi apna vaar khatam kar dete hai aur turant manthan ke samne se hat jaate hai aur voh time-wraith aakar sidhe Manthan se takra gaya
Inn dono ke takrane se uss jungle me bahut hi bada dhamaka hota hai jisse charo aur ek alag si urja bekhair jaati hai jo samar aur trod ko bhi apni aankhe band karne par vivash kar deti hai

Jab kuch der baad voh roshni kam hui toh unhe manthan vahi par apne ghutno ke bal baitha dekhte hai..aur uss time-wriath ka naamonishan nahi tha Yeh dekhkar trod kehta hai “kya voh..??”

Manthan uski aur haste hue dekhkar kehta hai “yes, I did it, he’s gone” aur fir voh tino hi vaha kuch der baithkar gehri gehri saans lete hai

Manthan “tuje yaha nahi aana chahiye tha, agar mera yeh plan ho jaata toh kuch bhi ho sakta tha” usne samar ki aur dekhte hue kaha

Samar “mana inn sab ki shuruwat tere Earth se hui hai..lekin ab yeh ladayi sirf tere akele ki nahi reh gayi, aur maine kasam khaayi hai jab tak mai jinda hu mai apne earth ko bachane ke liye hamesa ladta rahunga”

Samar ki baat sunkar Manthan kuch nahi kehta aur voh sab vapas aajate hai, aur unke aate hi Pari daudte hue manthan ke pass aayi aur kaskar uske gale lag jaati hai “manthan, thank god tu thik hai, muje laga ki..voh dhamaka itna jyada tha ki” voh kabhi manthan ke hoth ko chumti toh kabhi uske gaalo par

Pari ka yeh bartaav dekhkar Manthan bas uski aur dekhte hue halke se muskurata hai, jise dekhkar pari uspar gussa karne lagti hai “idiot, yanha meri jaan nikli jaa rahi hai aur tuje hasi aa rahi hai”

Vahi aakruti ka haal bhi kuch kam nahi tha, voh bhi samar ke pass jaati hai aur uske gale lagte hue “tu thik toh haina..??”

Samar haa mein apna sar hilata hai “haa jaan, mai thik hu, manthan ne hum sab ko bachaya hai”

Pari “ab kya kar diya iss gadhe ne..??”
usne samar ki aur dekhte hue pucha

Samar “yeh toh ab manthan hi bata sakta hai ki usne yeh kese kiya”

Manthan “maine bas ek chota sa experiment kiya tha..and I guess it is working”


Sab ek saath “experiment..??”

Samar “matlab tu sure nahi tha..??”


Manthan naa mein apna sar hilate hue “nahi..but pata jarur tha ki yeh kaam jarur karega”

Yeh sunkar Pari ghusse manthan ke kandho par marti hai “stupid, yanha hum sabki jaan nikli jaa rahi thi aur tuje apna falta ka experiment karna tha, agar tuje kuch ho jaata toh..??”

Manthan “relax pari, mai janta tha muje kuch nahi hoga, ab mai sure ho gaya hu ki time-wraiths ko mai asani se rok sakta hu, aur vese bhi maine yeh experiment bina soche samje nahi kiya, iske baare me padha hai”

Pari “kya padha tha tune..??”

Manthan “actually time ka opposite frequency hota hai..yaani kahi na kahi voh time-wraith bhi ek specific frequency par kaam karta hai, toh maine apni watch me kuch adjustment kiye aur jo possible frequency thi use maine iss earth ki natural frequency se match half diya aur jese hi time-wraith mere device ke contact me aaya voh vahi par chu ho gaya”


Pari ya vaha par koi aur kuch nahi samaj raha tha, toh manthan samjate hue kehta hai “agar koi chiz universe me belong karti hai..toh uski ek natural frequency hoti hai”

Samar “time ko agar zero karna hai toh frequency ko infinite karna padta hai, lekin kisi bhi chiz ki frequency infinite nahi hoti”

Manthan “haa bilkul, actually muje sahi frequency ki jarurat hi..ek esi chiz ki jiski frequency kam ho lekin uski intensity jyada ho, just like the tachyons jo mere body ke andar hai, jiske andar koi matter nahi hai but still they exist in our universe”

Aakruti “because of that tachyons hamasa light ki speed se jyada tej hote hai aur basically voh time-wraith bhi”

Manthan “yup, jab frequency kam ho jaati hai toh tachyons mere sharir se ek anokhi urja chodte hai, ab tak jise mai apni maut samaj raha tha voh mere jine ki vajah hai, yeh device se mai tachyons ki energy ko control kar sakta hu, jese chahu vese use mod sakta hu, maine bas sahi waqt ka intezaar kiya aur jese hi voh time-wraith mere hath ko chua, tachyons ki energy usse jaa takrayi aur usne time-wraith ki gati ko rok diya aur voh gayab”

Aakruti “low frequency high intensity”

Manthan “haa bilkul, tachyons ke pass infinite energy hai jo kabhi khatam nahi hoti”


Iske baad voh log kuch der baate karte hai jab tak Gideon unhe inform nahi kar deta ki unke baaki dost kaha hai

Gideon “sir, I think I found them”

Manthan “say it Gideon”

Gideon “sir, jab aapka device malfunction hua..tab aap sab alag alag Earth par chale gaye”

Manthan “are you sure Gideon..??”

Gideon “yes sir, I am damn sure, maine GODFREY ke data ki madad li hai, uske pass kaafi saari theories hai jisme Dimension Travel ke baare me information hai”

Manthan “okay, so where are we going”

Gideon “sir, we are going on Earth-364”

Kuch der ke baad


“agar aap hamare saath chalte toh hume kaafi madad milti”
manthan ne samar aur trod ki aur dekhte hue kaha

“jarur chalte…but agar voh Zorians yanha par aate hai..toh unse ladne ke liye koi toh hona chahiye” samar sawal ka jawaab deta hai

“thik hai” fir voh ek dusre ke gale milte hai aur Trod “all the best”

Uske baad Manthan pne device me kuch data enter karta hai jo Gideon ne use diye the aur firse extrapolarotor use karta hai aur pari ko lekar voh uss worm hole me chala gaya

Location : Earth-364
Time : 6:45 AM


“sir, I think we are in big trouble”
achanak se mere kaano me awaaz gunj uthi jise sunne ke baad mere rongte khade ho jaate hai

To be continued….
Anokha update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 29 (A War is Coming)

Location : Earth-364, DreamLand City..Malhotra Mansion
Time : 7:00 AM


“OMG tu itni jaldi kese uth gaya..??”
mere kaano me ek jaani pehchani awaaz sunai deti hai

“ab toh yakeen kar le ki mai pehle vala Milan nahi raha” maine ritika ki aur dekhte hue kaha

“haa yeh toh hai” voh mere pass aakar baith ti hai “par tu itni subah kar kya raha hai..?? aur bhabhi kaha hai”

“yaha hu”
kehte hue aanchal mere pass aakar coffee ka ek mug muje deti hai

“how romantic, love birds ese hi khulle aam ghar ke main hall me romance kar rahe” voh aanchal ko chidate hue kehti hai

“nahi ritz, milu ko ek call aaya tha, isliye hum dono yanha par aaye hai” aanchal ne ritz ko jawab diya

“kiss baare me” tabhi achanak se uske kaano me TV se ek awaaz sunayi di jise sunkar “kya..?? bhukamp ka itna bada jatka..??”

“haa ritz, muje samaj nahi aa raha ki iss kadar ka bhukamp kese aa sakta hai..I mean ek pura state…”
mai aage nahi bol paata kyunki TV me bahut hi dardnak tasweere chal rahi thi

Unn tasweer ko dekhkar “milu, tuje kya lagta hai..?? kahi yeh koi aatanki hamla toh nahi haina” darte hue aanchal mujse sawal karti hai

Ritz “yeh bahut hi bura hua”

Maine ritz ki aur dekhte hue “ritz..sirf itna hi nahi, yeh bhukamp sirf hamare yanha nahi..pure duniya me alag alag jagah par ek saath aa rahe hai” fir mai aanchal ki aur dekhta hu “nahi aanchal, yeh kuch aur hai” maine channel change karte hue kaha

Aanchal “milu..iska kya maltab ho sakta hai”

Mai “mai nahi jaanta, par kuch bura hone vaala hai..bahut hi bura”


Tabhi achanak se hamara pura ghar hilne laga, sofa par baithe hue bhi hum bhukamp ke jatke ko asani se mehsoos kar sakte the..iss kadar ka jatka mehsus hote hue mai turant hi samaj jaata hu ki aage kya hona vala hai
Mai fauran sabhi logo ke naam pukare aur unhe jaldi se ghar se bahar jaane ke liye kaha..meri awaaz sunkar sab jese the vese hi fatafat daudkar ghar ke bahar aajate hai

Bahar aate hi aarushi mere gale lagti hai aur darte hue “bhai..yeh, yeh sab kya ho raha hai”

Aarushi ka itna kehna tha ki hum sabko ek awaaz sunayi di…aur usi awaaz me meri aankho ke samne mera pura mansion vahi par bikhar kar gir gaya

Yeh dekhkar Aarushi aur aanchal dono hi mere gale lag jaati hai, aur aarushi ruansi awaaz me darte hue puchti hai “bhai, kese..??”

Omega “sir, I think we are in a big trouble, voh energy firse detect hui”
achanak se mere kaano me awaaz gunj uthi

Mai apni watch si hi baat karta hu “kya baat hai Omega, kya hua..??”

Omega “sir, voh energy ek wormhole se aa rahi hai, maine pata lagaya hai ki uss worm hole se 2 insaan bhi yanha aaye hai..actually unn dono mese kisi ek ke pass ek Highly Advance AI maujud hai..uss tarah ka AI maine aajtak kahi nahi dekha..aur shayad aane vale 1000 saalo me bhi uss tarag ka AI shayad hi hume dekhne ko milega”


Omega ki baat sunkar mera sar chakrane lagta hai, darasal mai yeh nahi samaj paa raha tha ki jo kisse maine akshar kahaniyo me..movies me sune hai voh sach kese ho sakta hai “are you sure OMEGA..?? voh worm hole hi haina..??”

OMEGA “yes sir”

Mai “fir voh dono jo bhai hai voh iss waqt kaha hai..??”

OMEGA “sir..jyada dur nahi hai, aapke mansion ke piche vale hisse me”

Mai “what..??”
mai chaunkte hue puchta hu “Omega, try to connect with that AI and pata karo ki voh aakhir kanha se aaye hai”

OMEGA “right sir”


Meri aur OMEGA ki baat sunkar Ritz kehti hai “milan, yeh sab kya ho raha hai”

One Day Ago
(Ek Din Pehle)


Mai aur aanchal aaj fir ek baar vaha khade the janha maine pehli baar Aanchal se apne pyaar ka ijhaar kiya tha
Haa..bilkul sahi samja, mai apni jaan ke saath ghar ki chat par dewaar ki tek lagaye hue baitha tha..aur aanchal mere saath mere pass meri baanho me mere dil par sar rakhkar baithi hui thi

Aanchal bade hi pyaar se “jaan, I am very happy..mai bahut khush hu”

Mai “haa jaan..mai bhi, finally ab hum ek hone jaa rahe hai..jo sapne humne milkar dekhe the unhe pura karne ka waqt aagaya hai”


Aanchal ne meri aankho me dekhte hue kaha “I love you so much..Milan” aur voh dheere se apne hontho ko mere honth par rakhkar apne pyaar ka ijhaar karti hai

Maine pyaar se uski aankho me dekhte hue kaha “I love you too Aanchal”

Hum dono bina kuch kahe ek dusre ki aankho me dekh rahe the, naa main kuch bol raha tha aur naa hi aanchal kuch bol rahi thi..bas ek dusre ki aankho hi aankho me baat kar rahe the
Chand ki roshni me meri jaan ka chehra bahut hi khubsurat lag raha tha..halki halki hawaa beh rahi thi jisse aanchal ke baal aage aajate hai aur uski ek aankh ko dhank dete hai
Maine pyaar se uske baalo ki julfo ko hataya aur firse uski aankho me dekhne laga..tabhi

Tabhi achanak se mere haath me rahi watch vibrate hone lagi..voh iss kadar vibrate ho rahi thi ki uska ehsaas aanchal ko bhi ho jaata hai, voh meri aur dekhte hue kehti hai “milu..yeh watch”

Mai uss watch par lage button ko dabata hu “haa OMEGA, kya baat hai”

OMEGA “sir, maine hamari EARTH par kuch unusual inter-dimensional energy detect ki hai, socha aapko bata du”

Mai “itni si baat ke liye tumne muje kyu disturb kiya”


OMEGA mere gusse ko bhamp leta hai isliye voh apni baat ko samjate hue “sir baat hi aisi hai, yeh koi aam energy nahi hai..yeh space se aa rahi hai..kuch aisa hai jo hamari samaj ke baahar hai, maine aapko ek image bheji hai use dekhkar shayad aap samaj jaoge ki mera iss waqt aapo phone karna kyu jaruri tha”

Tabhi mere phone me ek message aata hai, jise open karne ke baad “yeh kya chiz hai..??”

OMEGA “actually iski koi details hamare pass maujud nahi hai”

Mai “ZARVIS se contact karo, shayad uske pass koi details maujud ho”

OMEGA “actually sir yeh image bhi muje ZARVIS ne hi bheji hai, uske pass bhi koi koi details nahi hai”

Mai “thik hai, ek kaam karo, Rahil aur ZARVIS dono ke contact me rahiyo, aur agar kuch bhi pata chalta hai toh muje fauran batana”
uske baad mai watch ko band kar deta hai

“tune toh kaha tha tune IDS chod diya hai, fir yeh kya tha” aanchal halke se gusse me meri aur dekhte hue kehti hai

“maana ki maine IDS chod diya hai..but hu toh ek agent hi, mai chahkar bhi apni iss life ko khud se alag nahi kar sakta” maine apne phone ko wapas rakhte hue kaha

Aanchal “yeh kya ho sakta hai..??” meri pareshani aanchal ko saaf dikhayi de rahi thi

Mai “nahi pata, maine apne carrier me iss tarah ke kisi bhi jeev ya robot ko nahi dekha”

“jaan, I am so proud of you, tune jo kiya voh har koi nahi kar sakta, I mean ese kitne agent hote hai jo desh ke liye ladte hai, logo ko unke baare kuch khabar nahi rehti..kitne hi log ladte hue qurbaani de dete hai aur unki khabar aam logo tak nahi pahuchti, aur jo jinda bhi bach jaate hai voh chahkar bhi apni family ko nahi dekh paate”
aanchal apni bheegi palko ke saath meri aur dekhte hue kehti hai

“haa yeh toh sahi kaha, mai bahut hi lucky hu jo vaha se vaapas aaya hu jaha se lautkar aana impossible hota hai” itna sunte hi aanchal mere gale lag jaati hai

Kuch der voh vese hi mere gale lagi rahti hai aur mai bhi bina kuch bole pyaar se uske sar par haath firata hu, aur voh vese hi mere gale lage hue kehti hai “jaan, yeh OMEGA kaun hai..?? pehle toh Zarvis tha na..??”

Mai “haa, zarvis ab IDS ki property ban chukka hai, par muje AI ke saath rehne ki adaat ho gayi hai..toh maine apna khud ka ek aur AI banaya”


Yeh sunne ke baad aanchal meri aur apni pyaari pyaari aankho se bina kuch kahe dekhne lagti hai, mai use apni aankho ki palke uthakar puchta hu “kya dekh rahi ho jaan..??”

Aanchal bina apni palke japkaye ektak meri aankho me dekh rahi thi, kuch der aise hi dekhne ke baad voh firse apna sar mere dil par rakh deti hai aur apni aankhe band karte hue “I LOVE YOU SO MUCH”

Khair hum dono ese hi puri raat terrace par baithe rahte hai, karib subah ke 6:30 ho gaye aur hume time ka pata hi nahi chalta, darasal hum dono hi baate karte karte ekdusre ki baanho me hi so gaye the

Tabhi achanak se mera phone baj uthta hai “sir, aapko news dekhni chahiye”

Mai “kya baat hai Rahil..??”

Rahil “sir, aap pehle dekhiye, mai fir batata hu”
uske baad mai phone rakh deta hu

Meri awaaz sunkar Aanchal samaj jaati hai ki kya hua tha, voh apni aankho se hi ishara karti hai aur hum dono uthkar niche aajate hai aur mai TV on karke news channel laga deta hu

TV me alag alag jagah se kahi logo ke marne ki khabar aa rahi thi, yeh sunkar maine ZARVIS se apni watch se phone kiya “yeh sab..kese..??” mai sirf samne chal rahi tasweero ko dekhkar itna hi bol paaya

Aanchal bhi mere pass baithe unn tasweero ko dekh rahi thi, voh “milu..yeh sab kya ho raha hai..??”

Lekin maine uske sawaal ka jawab naa dekar apni watch ki aur ishara kiya..voh samaj jaati hai aur ZARVIS ki baat sunne lagi “sir, jo tasweer maine kal aapko bheji thi..muje khabar mili voh apna aatank hamare pure planet par faila raha hai, kahi logo ka toh yeh bhi kehna hai ki voh jaha se bhi gujarta hai voh jagah puri tarah se tabaah ho jaati hai”

Aanchal “voh kya cheez hai Zarvis..??”

ZARVIS “mam yeh toh bata paana muskil hai, mai aur OMEGA milkar usspar study karne ki puri koshish kar rahe hai”

Mai “thik hai, agar kuch bhi pata chalta hai toh muje fauraun inform kariyo”

ZARVIS “okay sir, aap dono se dubara milkar acha laga sir mam”

Mai aur aanchal dono hi “hume bhi tumse milkar acha laga”
uske baad mai apna phone nikalkar Rahil ko phone karta hu aur usse baat karne laga aur aanchal kitchen me coffee banana chali jaati hai

Present

Aanchal meri aur dekhte hue “goooo” kehti hai aur mai uski aankho me dekhte hue vaha se chala gaya aur Aanchal baaki sab ko batane lag gayi jo jo hua tha

Mai daudte hue jaa raha tha ki muje apna guard milta hai, main use baakiyo ke pass jaane ke liye kehta hu aur uski gun ke lekar mai ghar ke piche aagaya, jaha par pehle se hi do log maujud the aur usme se ek shaqs ke sar par patti lagi hui thi

Unn dono ko dekhkar mai kehta hu “who the hell are you..??” kehte hue maine apni gun unke samne kar di

Muje dekhte hu voh dono ek pal ke liye dar jaate hai..lekin fir khud ko sambhalte hue voh ladka bolta hai “wait..wait..wait, we are not here to harm you”

Mai thoda gusse se dekhte hue bola “toh fir tum dono yanha par aaye kese..??”

Voh ladka “kese batau, tu nahi samaj payenga”

Mai “try me, ya fir mai kuch madad karu..??”
maine uss gun par apna dusra haath rakhte hue “worm-hole..kuch yaad aaya”

Itna sunna tha ki voh ladka thodi raahat bhari saans leta hai “thank god atleast iss earth par koi toh hai jo kuch jaanta hai”

Uss ladke ki baat sunkar muje ajeeb sa lagta hai, maine apni gun par pakkad majbut karte hue usse puchta hu “iss earth se tumhara kya matlab tha..??”

“not again”
voh apna chehra niche karte hue gheri saans chodkar bola

Tab voh ladki jo uske pass me khadi thi voh muje “actually, mai earth-1 se hu aur yeh earth-2 se hai” aur fir voh muje apni kahani batane lagti hai

Unn dono ki kahani sunkar mai apna sar khujane laga, thoda bahut toh padha likha mai bhi hu..lekin inn dono ki baat mere palle naa padh rahi thi “mai ek siddha shada aam sa ladka hu, yeh sab baate mere liye hajam karna thoda muskil hai..but haa maine kuch movies dekhi hai jisme yeh sab concept use hota hai”

Manthan “movies me dekhna aur real me aisa dekhna, yakeen karna thoda muskil hai..but yeh sach hai”

Mai “well, agar yeh baat hai toh voh jeev kya hai jo logo ko maar raha hai”

Pari “voh time-wraith hai..just like dexter”


Tabhi meri watch me firse ZARVIS ka call aata hai aur use pick karte hue “sir, yeh dono sahi keh rahe hai..maine inke AI Gideon se baat ki hai aur har ek information sahi hai”

Yeh sunkar manthan muje ghurne lagta hai, toh maine “thik hai ZARVIS” aur fir usski aur dekhte hue “tumhe kya lagta hai AI sirf tumhare pass ho sakta hai, yeh mera AI tha, by the way I am MILAN MALHOTRA” apna haath aage badhate hue bola

Tabhi manthan ki watch se ek ajeeb si light nikalti hai aur usme ek 3D hologram samne aata hai “I am sorry sir, lekin muje iss Earth ke baare me study karna tha aur luckily muje inka AI mil gaya, toh maine usse baat ki hai, yeh india ki defense service ke head reh chuke hai, aap inn par bharosa kar sakte hai”

“Manthan Shah”
usne meri aur haath badhate hue kaha aur hum dono ne hand shake kiya

Manthan “Gideon, aur kuch jo tumhe pata chala hai”

Gideon “yes sir, time-wraith yanha par bhi aaya aur uske aane ki vajah se planet ka core unstable ho raha hai jisse yanha par bhi EARTH-2 ke jese natural disasters (prakrutik ghatnaye) ho rahe hai”
uske baad voh hologram band ho jaata hai

Mai “tumhari baate sunne ke baad muje nahi lag raha ki tum yanha uss time-wraith ko rokne aaye ho”

Manthan “nope, but I will help, lekin muje tumhare madad ki jarurat hogi”


Mai unki aur sawaliya bhari najro se dekhne laga, toh manthan ne apni baat puri ki “actually hum yanha mere dosto ko dhund rahe hai, aur akele unhe dhundna bahut muskil hoga”

Mai “lekin tumhe kese pata ki voh yahin par hai..??”

Manthan “agar hum yanha aaye hai toh shayad possible ho sakta hai ki voh bhi yahi kahi ho”
hum teeno baate karte hue vapas jaane lagte hai

Raste me mere tute hue ghar ko dekhkar pari kehti hai “mannthan, iska matlab ki..” voh thodi darte hue puchti hai

Manthan “haa pari, gideon ne sahi kaha tha, yeh earth bhi khatam ho rahi hai”

Aise hi baate karte hue hum tino vapas sabke pass pahuch gaye aur baad me mai inn dono ka sabse intro karwata hu aur unki puri kahani firse dohrata hu..jisse sunne ke baad sabhi ke vahi reaction hote hai jo kuch waqt pehle mere the

Mai “toh, kya plan hai tumhara..kese rokoge uss time-wraith ko..?? I mean hum ek saath do problem se nahi lad sakte”

Meri baat sunkar manthan kuch sochne lagta hai “well mai is earthquakes ko toh nahi rok sakta..lekin time-wraith ko rokne me madad kar sakta hu”

Paridhi “lekin voh kab aata hai kab nahi, voh kese pata chalega..??”
usne manthan ki aur dekhte hue pucha

Manthan fir apni watch par lage buttons ko dabata hai aur usme se ek artificial hologram bahar aata hai “Gideon, I want to know..” voh bolte hue ruk gaya

Gideon ne manthan ki baat pehle hi samaj li thi “I am already working on it sir, jese hi time-wriath ke baare ma pata chalta hai mai aapko fauran imform kar dunga”

Mai “great, aise bhi AI hote hai”
maine muh banate hue bola

Aarushi mere pass chalte hue aati hai “bhai, aap hamesa sabki madad karne ke liye aage rehte hai, I am proud of you bhai”

Aarushi ki baat ka mai koi jawab nahi deta, sirf uske samne muskurate hue dekhta hu “bhai, inke dosto ko kese dhundenge..??” aarushi ne Manthan aur pari ki aur dekhte hue pucha

Mai kuch sochte hue “ek idea hai mere pass, I mean hamare earth ki natural frequency alag hai..toh kya yeh possible nahi hai ki tumhari body bhi alag frequency se vibrate karti ho..??”

Manthan “definitely, thanks bhai”
lekin achanak se chup ho gaya

Maine muskurate hue apni watch se mere AI ko call kiya “ZARVIS listen, I want to search each and every location on Earth, agar kahi se bhi 3 logo ki alag energy signature milti hai toh muje inform karo”

ZARVIS “sir, yahi chiz baatane ke liye mai aapko hi phone karne vala tha, muje aise 3 log already mil chuke hai..but yeh kese ho sakta hai..??”


Maine muskurate hue “ZARVIS, voh tino dusri earth se hai, like from another universe” fir maine rukkar kaha “but right now I want there location”

ZARVIS “sir, aap hi ke college campus me hai”

ZARVIS ki baat sunte hi manthan meri aur dekhta hai “let’s go”

Mai bhi uske saath jaane ke liye taiyaar tha “hum dono hi jayenge, vaha sabka jaana sahi nahi hoga” meri baat sunte hi aanchal aur aarushi mere pass aati hai
Voh janti hai ki mera jaana jaruri hai isliye voh bina bole mujse baari baari hug karti hai aur uske baad mai manthan ke saath apne college chala jaata hu

Sach me DreamLand city ke haalat bahut kharab the..tuti hui imaret iss baat ki gawahi de rahi thi ki hamare planet ka ant kareeb hai

Ek pal ke liye mann me aata hai ki aakhir aisa kyu naa ho..?? hum insaan ne hamesa se kudrat ka majak banaya hai..use nuksaan pahuchne ke alawa aur kiya hi kya tha..?? isiliye toh kaha jaata hai kudrat apne aap ko bachana ache se janti hai…hume kudrat ki jarurat hai..lekin kudrat ko hamari jarurat nahi hai..voh apna bachav khud kar sakti hai

Khair yahi sab sochte hue mai college pahuch jaata hu, aur sidhe vaha chala gaya jaha muje ZARVIS ne bataya tha

College ke garden me hume voh tino mil jaate hai lekin use dekhkar mera sar chakrane laga, kyunki mere samne ek nahi balki 2 manthan khade the..Unn dono ko dekhkar mai apna sar khujane laga aur kabhi pehle vale ko dekhta toh kabhi uss dusre vale ko

Muje aisa dekh manthan (mayank) kehta hai “relax, yeh dusre earth se hai”

Fir muje yaad aaya ki manthan ne muje pehle hi bata diya tha..lekin kehte haina jab tak apni aankho se khud naa dekh le tabtak yakeen karna namumkin hota hai..aur IDS me rehne ke baad toh jese muje aadat ho gayi thi
Khair humne jyada baat nahi ki aur fauran sabhi log mere private sector me vaapas aajate hai, aur fir voh time bhi aagaya jab time-wraith ke baare me pata chala
Ek aur baar mai manthan ke saath gaya aur manthan ne asani se uss time-wraith ko maar giraya..aur ab waqt aagaya tha alwida lena ka

Manthan (mayank) meri aur dekhte hue kehta hai “thanks, tune hamari bahut madad ki”

Mai uski aur haath milate hue “thanks to you too, time-wraith se ladne ke liye, and I hope ki yeh jo ladayi hai..use tum jeet pau, janta hu yeh ladayi jeetna impossible hai..but I just hope ki yeh ladayi hum insaan hi jeete, we are all counting on you”

Manthan “thanks, agar tu saath chalta toh hume madad milti”


Mai uski aur dekhte hue “naahh, mai already apna bahut kuch kho chukka hai..and agar sach me yeh hamara ant hai toh mai apne family ke saath rehna chahunga..and besides agar mai saath chalta bhi hu toh tum sab ke liye kamjori ban jaunga, beacue yeh dimension time travel, time-wriaths..yeh mere bas ke bahar hai”

Meri baat sunte hi aanchal aur aarushi dono hi muje ek-ek side se hug karte hai aur uske baad manthan ek wormhole open karta hai aur voh sab vapas apne earth par chale jaate hai

Location : Earth-2

Sam “manthan, I think muje yeh pata chal gaya ki yeh sab kese ho raha hai..TIME-TRAVEL”

Mayank “haa, yeh mai pehle se hi jaanta hu, aur yeh bhi janta hu ki ZORIANS itne powerful kyo hai”


To be continued…
Jordaar update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 30 (Rishte Dil se Jude hai)

Location : Earth-2
Time : 8:00 PM


Kudrat ka niyam hai jo chiz ka janam hota hai uska ek na ek din ant bhi jarur hota hai, lekin hamari dharti ka ant itna jaldi hoga yeh kisine nahi socha tha, sabhi log iss waqt base ke bahar kaale asmaan ke niche baithe the
Akshita “sam, hum aise hi bina kuch kiye nahi baith sakte”

Sam “kya matlab hai tera..??”
usne sawaliya bhari najro se dekhte hue kaha

Akhita “sam, hum jab yanha aaye tab hum akele the..luckily hume yaha kuch dost mil gaye, uske baad hume manthan mila jisne Multiverse ke hona ka saboot diya..iska matlab yeh toh nahi hai ki hum ese hi haath par haath rakhkar baithe rahe”

Sam “aksh..iss tarah se baithna muje bhi acha nahi lag raha..par hum kar bhi kya sakte hai, muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”


Akshita bade hi pyaar se “common sam, yeh tu keh raha hai..?? I mean tu Sam hai..hamari team ka leader, aur iss waqt hamare waqt me tere jitna intelligent shayad koi ho..sirf tu hi tha jo iss hadse ko samaj paaya tha..sirf tu hi tha jise inn time-portals ke baare me jaana”

Sam “tu kehna chahti hai..??”

Akshita “mai bas yeh kehna chahti hu ki har ek second hamare liye important hai, tu ya mai yaa fir hum mese koi bhi nahi janta manthan kab vapas aayega”

Pathik “lekin hum kar bhi kya sakte hai..?? aap logo ki kahani ne toh pura science ka najariya hi badal kar rakh diya”

Aarav “yeh toh sahi kaha pathik..lekin inn dono ki baat bhi sahi hai, luckily manthan jinda tha aur voh yanha aaya, but agar voh sach me mar gaya hota..i wish ke aisa hua hota, tab kya karte..?? uss waqt toh hamare liye inn dono ka hi sahara hota..inhi ki vajah se atleast hum log apne dushman ke baare me hum kuch toh jaan paaye hai” uski baat me abhi bhi manthan ke liye nafrat saath dikhayi de rahi thi

Pathik “aarav, sukramaan ki manthan jinda tha..agar voh nahi hota toh hum Time-Wraiths ke baare ma kabhi nahi jaan paate”

Akshita “kuch toh aisa hai jo hamare samne hote hue bhi hum use dekh nahi paa rahe” ne hatash hote hue kaha jise sunne ke baad vanha kuch der ke liye shanti chaa jaati hai

Sam kuch sochte hue badbada raha tha “time-portals, time-wraiths, dimension travel, dinosaurs kaa aana aur Zorians, ho kya raha hai yeh sab..??”

Sam ko ese badbadate dekh Akshita uski aur najar karti hai, achanak se Aarav ko kuch yaad aata hai “sam..yeh tuje ajeeb nahi lag raha..??”

Sam uski sawaliya najro se dekhta hai, aarav “manthan ne kaha tha Dexter time-force se bahar isiliye aaya tha kyunki voh unstable ho gaya tha, because jab particle accelerator ke experiment fail hone par manthan galti se dusre dimension me chala gaya tha”

Sam “haa, kaha toh usne yahi tha”

Aarav “toh fir yeh dusre time-wraith kaha se aaya..?? I mean ke uss experiment ko fail hue 16 mahine beet chuke hai..lekin time-wraiths ko humne kabhi nahi dekha, lekin voh achanak se hi kyu samne aaya Ur voh bhi tab jab Zorians ne Earth par humla kiya..??”


Akshita “sam..aarav ki yeh baat bilkul sach hai, time-wraith jaha se gujarata hai vaha ajeeb se nishan ban jaate hai aur ese nishan hume CORONAL city me mile the, voh bhi Zorians ke hamla karne ke baad”

Sam kuch sochte hue “aur manthan ne yeh kaha tha ki iss iss time-wraith me kuch alag tha”

Akshita “agar manthan ki baate sach hai..toh time-wraith time force se tabhi bahar aate hai jab voh unstable ho”

Pathik “toh kya kisine particle accelerator firse chalu kiya hai..??”

Sam kuch sochte hue “nahi pathik, time-wraith ke bahar aane ke aur bhi raste ho sakte hai”

Aarav “time-portals

Sam “exactly aarav”


Akshita “lekin sawaal fir vahi ka vahi aa jaata hai, Time-Portals apne aap kese aa sakte hai..??”

Sam kuch sochte hue “usse bada sawal toh yeh hai ki yeh time-portals sirf teen hi jagah par kyu hai”

Aksh “sam, tu kya bol raha hai..?? muje sach me kuch bhi samaj nahi aa raha”

Sam “aksh, yeh time-portals kuch ajeeb nahi hai..pehla time-gate crateceous period me hai, dusre yaha 2018 Mumbai, aur teesra 3046 year”


Akshita “haa yeh ajeeb hai aur tune anjaane me jitni bhi baar time-travel kiya har baar tu Mumbai hi aaya hai..aur hamari puri army bhi yahi aayi thi, sirf dinosaurs hi ese jeev hai jo dono waqt me aate jaate rahte hai, lekin ek bhi time me voh jyada der nahi rukte”

Yeh sab esi baate thi jinhone sabhi ke dimaag ko hila kar rakh diya hai, Akshita ke mann me kuch aur sawaal panap rahe the “sam, ek aur chiz, yeh sab job hi ho raha hai voh kahi na kahi ek hi chiz se link kar raha hai”

Sam “kese..??”

Akshita “Time-Portals aur Time-wraith time ka hi ek hissa hai, Dinosaurs hamare waqt me sirf time-travel ke jariye hi aa sakte hai..indirectly Time se link karta hai..aur zorians, unke baare me hum sirf itna jaante hai ki voh bahut hi jyada taqatwar aliens hai”

Sam fir kuch sochte hue kehta hai “I think somehow time has broken, aur yehi vajah hai ki kuch jagah par time portals ban gaye hai, lekin yeh mai nahi keh sakta ki yeh kese possible ho sakta hai, but I am damn sure..time ab safe nahi hai”

Pathik “sam..teri yeah baat me koi valid point muje najar nahi aa raha, kyunki time-travel sirf tum dono ne kiya hai”

Akshita “sam tu itna surely kese keh sakta hai ki time ab safe nahi hai..??”

Sam “behosh hone se pehle maine manthan se ek sawaal kiya tha”


Sam “tune apni kahani me yeh bataya, jab tu dexter se juda tha uss waqt tuje apni zindagi ke alag alag pehlu dekhe” iss par manthan haa mein apna sar hilata hai “aur agar tune jisse muje bachaya, agar voh bhi ek time-wraith hai toh iss baar tune kya dekha..?? aur please, sach batana”

Manthan ko issi baat ka darr tha, jo sam ne kaha voh baat uske dimag me bahut pehle hi aa chuki thi “yeh baat mere dimaag me pehle se hi chal rahi hai, sach toh yeh hai ki maine kuch dekha hi nahi”

Sam chaunkte hue puchta hai “kuch bhi nahi…??”

Manthan “not a thing, aur yeh time-wraith, voh kaafi alag tha”

Sam “kese..??”

Manthan “I don’t know, mai jo soch raha hu voh shi hai ya galat, pichli baar jab bhi mai dexter ke kareeb jaata voh muje apne se dur faink deta tha, lekin iss baar aisa kuch bhi nahi hua”

Akshita “isse yeh toh prrof nahi hota ki time ab safe nahi hai”

Sam “tuje ajeeb nahi laga, I mean voh time-wraith hai, jitni bhi baar manthan ne dexter ko chua tha use kuch na kuch dekha tha..lekin iss baar use kuch dikhayi kyu nahi diya…?? yeh ek possibility hai ki agar time-line sahi nahi hai toh manthan kuch nahi dekh sakta”

Akshita “lekin sam, voh dexter unstable tha..shayad isliye Manthan voh sab dekh paaya ho"

Sam “bilkul ho sakta hai, toh fir usne yeh kyu kaha ki aur yeh vala time-wraith alag hai..??”

Pathik “exaclty yeh time-wriaths hote kya hai..??”

Sam “time-wraith ese jeev hai jo time-line ko protect karte hai..aisa maan lo ki voh ek army hai jo time-monsters, time-pirates se timeline ko bachati hai”

Pathik “right, toh yeh kese ho sakta hai ki time-line tut gayi aur unhe pata bhi nahi chala..??”


Sam “yeh toh mai nahi janta”

Akshita jo kuch der chup rehkar kuch soch rahi thi voh achanak se bolti hai “shayad sam sahi keh raha hai, kyunki hamare waqt me itni technology hone ke bawjood bhi hum kabhi multiverse ke baare me nahi jaan paaye” voh itna kehne ke baad chup ho jaati hai

Akshita ki baat sunkar sam chaunkte hue “aur naa hi hamare pass kisi ke bhi Dimension Travel karne ki koi information available hai”

Akshita “aur time-wraiths ke baare me sirf thoerys me likha hai, lekin unke hone ke koi bhi proof pure history me kahi bhi available nahi hai”

Sam “tachyons ka pehla experiment toh hua tha..lekin iss tarah ke incident ke baare me kahi par bhi koi jikar nahi hua” usne apni watch me rahe ek article ko dekhate hue kaha

Tabhi achanak se unse kuch duri par ek worm-hole open hota hai aur charo aur nile asmaani rang ki roshni fail gayi jis vajah se vaha maujud sabhi log apni aankhe band kar dete hai
Jab voh roshni hati toh aarav apni aankhe kholta hai aur uski najar sabse pehle uss shaks par padti hai jise dekhte hi uski aankho me paani aajata hai..Aur sirf aarav hi nahi Pathik ki najar Kruti par jam jaati hai

Pari ne mayank ka haath pakada hua tha aur voh iss earth par hui tabaahi ko dekh rahi thi..apni najre giri hui imarto ki aur dekhte hue mayank se kehti hai “manthan…kya hum iss bar sahi earth par aaye hai..??”

Mayank haa mein apna sar hilate hue “haa pari, welcome to Earth-2” usne samne sam ki aur dekhte hue kaha

Manthan ko dekhkar Sam uske pass jaane se khud ko rok nahi paata, voh bina kisi aur ko dekhe “manthan, I think shayad somehow time-line has broken” lekin voh aage kuch nahi bol paaya kyunki ab uski najar ek nahi balki dono manthan par padti hai

Manthan(Mayanak) ne apne piche khade logo ki aur ishara karte hue kaha “well yeh earth-2 se kuch dost hai”

Lekin sam abhi tak baari baari se dono hi manthan ko ghure jaa raha tha, voh apni aankhe band karte hue kehta hai “agar mai yeh apni aankho se nahi dekhta toh shayad mere mann me hamesa dil me shaq jarur rehta” usne mayank ki aur dekhte hue kaha

Aarav chalte hue pari ke samne jaane laga, lekin shayad pari ne abhi tak aarav ko nahi dekha tha..kyunki voh kabhi mayank aur sam ko dekhti toh kabhi uss tuti hi imarat ko dekhti
Pari ko abhi bhi vishwaas nahi ho raha tha ki voh sahi earth par aaye hai..lekin jese hi uske kaano me ek jaani pehchani awaaz sunayi di toh voh khud ko apni aankhe band karne se rok nahi paati
Pari ko apne kaano par vishwaas nahi ho raha tha, aarav ki awaaz sunkar voh yeh tay nahi kar paa rahi thi ki yeh uska veham hai yaa fir usne sahi me aarav ki awaaz ko suna
Aarav chalte hue pari ke samne aagaya tha, voh bhi ektak bina apni palke japkaye apni jaan se bhi pyaari behen ko fir ek baar apne samne dekh raha tha..voh bolne ke liye bahut pryash karta hai lekin uske muh se sirf ek hi awaaz nikalti hai “didi”

Firse Aarav ki awaaz sunkar pari khud ko rok nahi paati hai aur voh apni aankhe kholkar thik apne samne khade Aarav ko dekhne lagi, pari sabse jyada pyaar apne chote bhai se karti thi, aarav ko dekhte hi uski aankho se paani nikal aata hai “aarav” voh bas itna hi bol paayi ki aarav apna naam sunkar joro se pari ke gale lag jaata hai

Aarav ne jo dard itne mahino se apne dil me dabaya rakha tha voh sab ek saath baahar aajata hai, usne apni behen ko itne kaske gale lagaya tha jese voh iss paal ko apne andar samet lena chahta ho, voh abhi tak yakeen nahi kar paa raha tha ki uski jaan se bhi pyaari behen uske pass hai, voh pari ke gale lagte hi rone lag jaata hai

Aarav ke roni ki subkiya pari ko mehsoos ho rahi thi, aarav ke aansu uske chehre se hote hue Pari ke gardon ko bhego rahe the..voh aarav ko iss tarah rote hue nahi dekh paati aur pyaar se uske sar par haath firate hue kehti hai “betu, please chup hoja”

Aarav “di, aap kaha chali gayi thi”
vese hi ruansi awaaz me bolta hai

Pari “mai toh kabhi kahi gayi hi nahi..mai toh hamesa tere pass thi”

Vahi dusri taraf Kruti aur Pathik ki najre ekdusre milti hai lekin dono mese koi kuch nahi bol paata voh bas ek dusre ki aankho me dekhte hue pass aate hai aur bina kuch bole hi ekdusre ke karib khade rahte hai
Manthan aur Siddhi ki najar ektak Pari aur Aarav par tiki hui thi, lekin Siddhi ki najar ek pal kisi aur taraf dekhti hai lekin bina kuch bole usne vapas apni najar Pari ki aur kar di

Manthan vapas aagaya yeh dekhkar Siddhi-2 ke chehre par uski khushi saaf dikh rahi thi..lekin uske saath me khadi Pari ko dekhkar uski voh muskaan chali jaati hau aur voh apna chehra jukate hue vaha se chali gayi

Pathik “ii….mai….voh” kuch bol nahi paata aur uski aankho se bhi aansu nikal aate hai

Mayank “maine kaha tha tuje, mai tuje pathik ke pass le jaunga” ne kruti ke pass jaate hue kaha

sach me pyaar bhi kitna khubsurat haina, do insaan jo kabhi ek dusre se mile nahi the..lekin voh dono hi apne pyaar ko pehchan jaate hai..fir ek baar yeh shaabit ho jaata hai ki pyaar kabhi marta nahi hai..Pathik aur Kruti ache se jante the ki voh dono hi alag duniya se hai..lekin unke dil toh aaj bhi ek jese hi dhadak te hai..unn dono ko hi ekdusre ki aankho me apne liye beshumar pyaar dikhayi deta hai

Mayank ki baat sunkar Kruti bina kuch bole hi Pathik ke gale lag jaati hai aur pathik bhi kruti ko apni baanho me bhar leta hai

Mayank chalte hue sam ke pass aata hai “haa sam, tune sahi kaha, time-line tut chuki hai..lekin kuch aur bhi hai jiske baare me mai janta hu”

Sam “kya..??”

Mayank “kya hum kuch der baad baat kar sakte hai..??” usne pari aur aarav ki aur dekhte hue pucha

Sam bhi unhe dekhte hue kehta hai “thik hai bhai, shayad inn sab ke liye yeh bahut jaruri hai”

Mayank “thanks bhai”
aur fir voh aarav ke pass jaata hai aur “I am sorry aarav, lekin aaj bhi muje pari ke khone ka dard hai”

Mayank ki awaaz sunkar aarav fauran apni aankhe khol deta hai aur pari se alag hokar use dekhne laga “I am sooo..sssooorrrryyyyy, mm..muuujee laga ki aap..I mean aap bilkul meri sis Paridhi ke jesi dikhti hai, aap meri sis haina..?” aarav ne haklate hue pari se pucha

Pari ekpal ke liye chaunk gayi ki aarav ne aisa kyu kiya, lekin use jald hi samaj aagaya ki akhir me kya hua “aarav, agar koi shak hai toh yeh baat apne dil se puch le”

Aarav “sach di..??”


Pari uske pass aati hai aur pyaar se uske chehre par haath rakhte hue “sach, mai teri behen hu aur tum mera pyaara sa chota bhai” apna sar haa mein hilate hue kehti hai

Pari ne pyaar se apne bhai ke gaal par kiss kiya aur uski aur dekhte hue “koi shaq..??”

Pari ke aisa karne par aarav thoda chidkar “kya didi aap bhi, mera pura gaal gila kar diya” kehte hue voh apne hatho se gaal pochne laga

Yeh harqat karte hi aarav khod ko rok nahi paaya aur fir ek baar pari ke gale lag jaata hai “di, aap meri hi di ho, muje koi shaq nahi hai…aap hi meri di ho” kehte hue voh rat lagane laga

Pari ne pyaar se apne bhai ke sar par hath firaya aur aankho hi aankho me mayank ko thanks kehti hai..aur uske baad mayank ek pal ke liye bhi vanha nahi rukta aur voh vanha se chale jaata hai

Kuch der baad aarav pari se alag hota hai aur uski aur dekhte hue “didi, aap abhi tak chocolates khati hai..?? di ab toh badi ho jaiye..dekhiye aapke daant kitne sad gaye hai” kehte hue voh hasne lagta hai

Pari bhi yeh sunkar jutha gussa dekhati hai “huh..tuje toh mai chodungi nahi, chachundar kahi ka” kehte hue voh aarav ko ghusse marne lagti hai

Har baar toh yeh kehne ke baad Aarav bhag jaata tha lekin voh iss baar aisa kuch nahi karta balki apni aankho me aansu liye hue muskurata hai aur voh pari ki maar khaaye jaata hai “I miss you di, I miss you so much”

Pari bhi vese hi haste hue aarav ke gale lag gayi “I miss you too bhai”

Siddhi aur manthan bhi inn dono ki nok jhok dekh rahe the, manthan kehta hai “finally sabke chehre par smile vapas aagayi”

Siddhi “haa sabke chehre par toh aagayi, lekin..”
voh kuch bol nahi paati

Manthan “lekin kya..??”

Siddhi “kuch nahi manthan”

Pari fir aarav ko apne dosto se milati hai aur uske baad aarav pathik ki aur dekhte hue “ab toh chuse jesi shakal mat banana”

Pathik “ha voh toh dikh raha tha itne din kaun chusa bankar ghum raha tha”
fir usne pari ki aur dekhte hue kaha “welcome back Pari ya Paridhi”

Pari “pari hi thik rahega”

Aarav “di, chaliye, mumma papa aapko dekhkar bahut khush ho jayenge”


To be continued…
Shaandaar update dost
Pyar ko pyar hi rahne do koi naam na do
Humne dekhi hai in aankho ki mahkti khushbu
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 31 (Waqt ka Anokha Khel)

Pari fir aarav ko apne dosto se milati hai aur uske baad aarav pathik ki aur dekhte hue “ab toh chuse jesi shakal mat banana”

Pathik “ha voh toh dikh raha tha itne din kaun chusa bankar ghum raha tha” fir usne pari ki aur dekhte hue kaha “welcome back Pari ya Paridhi”

Pari “pari hi thik rahega”

Aarav “di, chaliye, mumma papa aapko dekhkar bahut khush ho jayenge”


Ab aage..

Aarav ki baat sunkar Pari ki aankhe nam ho jaati hai, usne sapne me bhi nahi socha tha ki voh apne family ko fir kabhi dekh payegi, voh apni aankhe band kar deti hai aur uss pal ko yaad karti hai jab usne aakhri baar apne parents ko dekha tha..halaki voh unka chehra nahi dekh paayi thi lekin fir bhi unki laash ke voh cihtra fir ek baar uski aankho ke samne aa jaate hai
Aarav apni behen ki aankho me aansu nahi dekh paata aur voh apne haatho se pari ke aansuo ko hatate hue puchta hai “di..kya hua..?? aap ro kyu rahi hai”

Pari “maine kabhi nahi socha tha ki mai aap sab ko firse dekh paaungi”


Aarav kuch nahi bolta aur uska haath pakadte hue use basement ke andar le aata hai jaha unke parents baithe hue the
Aarav “papa, mummaa..dekhiye mai apne saath kise lekar aaya hu”

Aarav ki awaaz sunkar voh dono hi uski aur dekhte hai..lekin jo voh dekh rahe the unhe apni hi aankho par viswaas nahi ho raha tha, voh teeno jese pathar ki murat ke jese ek dusre ko dekhe jaa rahe the
Apni maa ka chehra dekhkar Pari bhi jyada der khud ko rok nahi paati aur voh daudte hue “mummy” jaakar sidhe apni maa ke gale lag jaati hai aur jor jor se rone lagi
Fir pari apni maa se alag hoti aur apne papa ke gale milti hai aur voh apni beti ke sar par pyaar se haath firate hue use chumte hai..aur vahi uski maa bhi apni beti ke sar par haath firate hue unn dono ke gale lag jaati hai

Yeh dekhkar aarav ki aankho se aansu nikal aate hai aur voh kehta hai “mai bhi yahi par hu, aap sab toh muje bhul hi gaye..koi muje bhi toh hug kariye”

Aarav ki awaaz sunkar pari use chidate hue “bilkul bhi nahi, yeh mere mummy papa hai” kehti hai

Aarav “didi, aapna sach me chuhiya ho”

Pari “kya kaha, mai chuhiya toh tu cockroach”

Aarav “hehehehe, didi mai cockroach hu na toh aap ko mujse darna chahiye”


Pari “mai nahi darti tujse…huh”

Yeh dekhkar unke parents ke chehre par bahut samay ke baad smile aayi thi, unki mummy unhe rokte hue “are bas bas bas..kitna ladte ho tum dono..ab toh sudhar jao”

Papa “yaad hai tumhe yeh log ese hi pure din ladte rehte the”

Mom “haa, lekin ek second ke liye bhi yeh dono ek dusre ke bina nahi reh paate”


Pari “haa mumma..ise hi toh pyaar kahte hai, aur hum kyu rahe..aarav mera cute sa chota sa bhai hai”

Aarav apni behen ko hug karte hue kehta hai “aur aap meri bestest best di ho”

Pari “aaj mai bahut khush hu, jab maine aap sabko…mai aapke chehre tak nahi dekh paayi thi”
kehte hue pari ki aankho se aansu nikal aaya

Aarav unn aansuo ko saaf karte hue kehta hai “nahi di, jitna rona tha ro liya..ab hum mese koi nahi royega” aur voh thoda halke gusse se kehta hai “royega toh sirf voh manthan, please di aap promise kijiye ki ab aap usse dur rahegi”

Pari pyaar se aarav ko samjhate hue kehti hai “pagal, agar voh nahi hota toh kya aaj mai yanha aa paati..?? kya mai dubara apne bhai se mil paati..??”

Aarav “par didi, ushi ki vajah se toh aapke saath yeh hua”

Pari “nahi aarav, honi ko koi nahi taal sakta..jo hua usme manthan ka koi dosh nahi tha, zindagi me kabhi kabar aise hadse ghat te hai jisme naa chahte hue bhi hum uska hissa ban jaate hai”

Aarav shayad pari ki baat samaj gaya isliye voh aage kuch nahi bolta aur fir ek baar apne di se hug karte hue kehta hai “di, aap dusri duniya se aayi hona..?? lekin ek pal ke liye bhi muje iska ehsas nahi hu..mai bas itna janta hu ki aap meri di hai..jo hamesa mere saath rehti hai..aur hamesa muje ese hi samjati hai”

Pari “haa aarav, yeh toh tune sach kaha, aap sab se milkar muje ek pal ke liye bhi yeh nahi laaga ki aap koi aur hai, aaj mai bahut khush hu aarav, maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki mai apni family ko fir kabhi dekh paungi, shayad isiliye kehte hai ki rishte jo hote voh hamesa dil se bante hai, naa sharir se naa khoon..sirf dil se”


Basement ke bahar
Pathik aur kruti ek dusre ki samne dekh rahe the lekin dono mese kisiko bhi samaj nahi aa raha tha ki voh kya bole..Vahi manthan bhi apne dost ko dubara dekhkar khud ko rok nahi paaya “pathik..good to see you”

Pathik ne dekha ki uske samne ek ladka hubahu uske dost manthan(Mayank) ke jesa tha, use dekhkar “muje yakeen nahi ho raha ki jo manthan ne bataya voh sach hai” aur fir voh thoda rukkar kehta hai “lekin sirf aap 4 hi aaye hai..?? manthan ne kaha tha ki aap logo ki earth par ek aur mai bhi hu..voh muje dikhayi nahi de raha”

Pathik ki baat sunkar kruti ki aankho se aansu nikal aate hai, aur vahi manthan bhi halki ruansi awaaz me kehta hai “voh nahi bacha”

Pathik “matlab..??”
voh sawaliya bhari najro se dekhte hue puchta hai

Siddhi “hamari puri earth tabah ho rahi thi..aur sirf hum hi the jinhe manthan bacha sakta tha” voh bhi udaas hote hue kehti hai

Sam “wait wait wait, earth tabah ho rahi se kya matlab hai”

Uske baad siddhi unhe sab kuch bata deti hai, jise sunkar sam kehta hai “yeh kese ho sakta hai..?? hume manthan ke pass jaana hoga” aur voh saare log vaha chale jaate hai jaha mayanak tha

Voh tute hue malbo par tek lagaye baithkar upar asmaan me dekh raha tha, Sam uske pass jaate hue puchta hai “manthan..yeh sab kya ho raha hai..??”

Mayank “matlab..??”

Sam “earth-1 tabah ho rahi hai”

Mayank “sirf earth-1 hi nahi, pura multiverse daanv par laga hai..sirf hum hi hai jo ise rok sakte hai”

Akshita “multiverse..?? kese..??”


mayank “kya hum sabke aajane ke baad baat kare..??” jiske baad koi kuch nahi bolta aur sab vahi baith jaate hai

vahi manthan ne siddhi ko thoda side me aane ke liye kaha “siddhi, tu kya bolne jaa rahi thi”

Siddhi “kis baare me manthan”

Manthan “tu jaanti hai, mai kis baare me puch raha hu”

Siddhi “jab hum yanha aaye tab maine yaha vali siddhi ko dekha tha..I think voh abhi bhi mayank se pyaar karti hai”


Manthan “tu itna sure kese keh sakti hai..??” usne sawaliya bhari najro se dekhte hue kaha

Siddhi “mai sure nahi hu..but muje aisa laga” fir voh bata deti hai jo usne dekha tha

Inn dono ki baat Pathik sun leta hai jo unke piche khada tha “haa, aapne sahi kaha..she loves him”

Siddhi “pathik, voh ladki..voh siddhi hi thi na”


Pathik haa mein sar hilate hue “haa” aur fir voh manthan ko hug karte hue “sorry bhai..tere dost ke baare me sunnkar dukh hua”

Manthan smile karte hue “thanks, kruti ka saath dene ke liye”

Pathik “well, humne decide kiya hai ki hum relation me rahenge, agar aarav ko apni behen mil sakti hai..pari ko apna pura parivar mil sakta hai..toh hume kyu nahi”
usne kruti ka haath pakadte hue kaha

Siddhi “I am happy for you both, kya mai usse baat kar sakti hu..??”

Pathik samaj gaya ki voh kiski baat kar rahi hai “ha sure”

Kruti “lekin voh hai kaha..??”

Pathik “shayad mai janta hu voh kaha hai” ne khade hote hue kaha

Siddhi “kya mai saath chal sakti hu..??”

Pathik haa mein apna sar hilata hai aur fir voh dono siddhi ke pass aajate hai jo kuch duri par akeli baithi hui thi
Pathik “siddhi, tu yaha kya kar rahi hai..??” voh uske pass baith te hue kehta hai

Note : dono persons ko differentiate karne ke liye mai Siddhi (Earth-2) ko Siddhi-2 likhunga

Siddhi-2 “kuch nahi pathik” fir uski najar Siddhi par padti hai

Siddhi “hii”

Siddhi-2 “hii..thanks, teri vajah se manthan aaj firse mera dost hai”


Siddhi “khud se baat karna..ajeeb lag raha hai” voh dono ek dusre ke samne dekhkar muskurate hai “kya mai kuch puch sakti hu..??”

Siddhi-2 haa mein apna sar hilati hai, toh siddhi ne pucha “tu aaj bhi manthan se pyaar karti haina..?? and please juth nahi bolna”

Siddhi-2 apna chehra juka deti hai “tuje kese pata..??”

Siddhi “common siddhi, manthan ne tuje sabkuch bata diya hoga, fir bhi yeh sawal”
voh uske pass baith te hue “itna sab hone ke baad bhi tuje lagta hai ki mai yeh baat nahi dekh paungi..?? mai khud manthan se pyaar karti hu..aur teri aankho me maine uss pyaar ko dekha hai..insaan ki aankhein kabhi juth nahi bolti…yeh saaf bata rahi hai ki tu bhi usse pyaar karti hai, aur tune jo kiya uske baad mai 100% sure hu”

Pathik “aisa toh kya kiya tha..??”

Sidhhi “jab hum sab yanha aaye, tab manthan ko dekhkar Siddhi ke chehre par khushi saaf dikhayi de rahi thi..lekin jab usne Pari ko saath me dekha..voh yeh dekh nahi paayi aur yanha chali aayi”

Siddhi-2 ruansi awaaz me “haa, haa mai usse pyaar karti hu, lekin please yeh baat use mat batana, I know mere se jyada tu manthan ko jaanti hai..but please use iss baare me nahi batana” yeh kehte hue uski aankho se aansu nikal aate hai

Pathik “tu janti thi ki manthan pari ko lene jaane vala hai, kya yahi vajah thi jiski vajah se tune muje kisiko naa batane ka promise liya tha..??”

Siddhi-2 “haa pathik, mai kese unn dono ko alag kar sakti hu, unka pyaar itna majboot hai ki apna pyaar vapas paane ke liye inhone duniya ki saari hadde par kar li”

Siddhi-2 ki baato me dard saaf jhalak raha tha..lekin uski baat sunkar voh kuch bhi nahi bola, kuch der ke baad Pari aur Aarav vanha aate hai
Aarav “do-do siddhi, ab sach me bahut haalat kharab hone vali hai, by the way welcome on our Earth”

Pari ne uss dusri vali Siddhi ko ek baar hug kiya aur “we don’t have much time”

Uske baad yeh sablog vapas ikhata ho jaate hai aur Manthan aur Sam ke bich me fir ek baar behas chalu hoti hai
Akshita “so manthan, ab toh bata tuje kya pata chala hai”

Iske baad mayank apne iss baar ki trip ke baare me bata deta hai, jise sunne ke baad Sam kehta hai “yeh bahut ajeeb haina, I mean har ek earth par time-wraiths aa rahe hai..har earth tabahi ke kagar par khadi hai”

Mayank “haa, ajeeb toh hai, par mere bhai yahi sach hai, muje yeh toh samaj me aa raha hai ki Time-Wraiths bahar kese aate hai, lekin yeh bilkul bhi samaj me nahi aa raha ki voh apne aap bahar kese aa rahe hai..?? unka itna bada effect multiverse ke ant ka karan kese ban sakta hai”

Sam “manthan, I think muje yeh pata chal gaya ki yeh sab kese ho raha hai..TIME-TRAVEL”

Pathik “par koi aisa kyu karega.?? Time-travel se hone vale nuksaan ke baare me toh har koi jaanta hai, toh koi aisa kyu karna chahega”

Akshita “haa sam, aur as per our records kisine bhi time machine kabhi nahi banayi..toh yeh”


“aapke records ke hisab se toh mere saath jo hua voh bhi kabhi nahi hua tha” akshita ki baat ko bich me kaat te hue mayank kehta hai “and yes, sam you are right…yeh jo kuch bhi ho raha hai yeh time-travel karne ki vajah se ho raha hai..I mean ek saath time-wraiths ke baahar aane ka yeh bhi ek reason ho sakta hai”

Sam “haa, aksh, yeh toh mai bhi soch raha hu, agar itni badi event past me hui hai toh uske baare me hamare pass koi data kyu available nahi hai”

Akshita “sirf itna hi nahi..records me bhi yeh data available nahi ki kabhi kisine time-machine banayi hai”


Aarav “agar time-travel karne se hi time-wraith aaye hai, toh yeh tab hi ho sakta hai jab…”

Manthan ki baat ko sam bich me kaat te hue kehta hai “jab Time-Line break ho jaaye..toh time-wraith kahi bhi kisi bhi waqt me aa sakte hai”

Akshita “aur time line break hoti hai, time-travel se
” fir voh sam ki aur dekhte hue kehti hai “iska kya matlab ho sakta hai..??”

Sam “definetily..kisine toh time-travel jarur kiya hai”

Akshita “hum sirf guess karne par yeh nahi keh sakte hai ki yeh sab time-travel karne se ho raha hai”

Mayank “nahi akshita, unn aliens ne jo kahani muje batayi hai..agar voh sach hai toh yeh bhi sach hai ki yeh Time-Travel karne ki vajah se hi ho raha hai”

Akshita “aisa toh unn aliens ne tuje kya bataya tha..?? tu itna sure kese hai ki yeh sab time-travel karne ke vajah se hi ho raha hai”

Mayank “bataunga, lekin uske pehle muje yeh jaana hai ki time-travel ki aisi konsi ghatna hogi jiska asar pure multiverse par ho raha hai”

Akshita “aisa bhi toh ho sakta hai ki yeh manthan ke dimension-travel karne ka asar ho”

Mayank “nahi akshita, dimension travel karne par time-line break nahi hoti, kyunki agar aisa kuch hota toh muje Earth-1 par hi pata chal jaata”


Sam “tu itna yakeen se kese keh sakta hai..??”

Mayank “kyunki ek aisa hadsa mere saath ghata tha, jab Dexter ko maine samandar ke pass chua, uss waqt maine apna bhutkaal, vartman aur bhavishya ko ek saath dekha tha” kehte hue voh ruk gaya “lekin, jab maine iss baar iss time-wriath ko chua, tab aisa kuch bhi nahi hua, infact muje mehsus ho raha tha ki uske saath kuch gadbad hai, uski roshni..voh kaafi ajeeb thi”

Sam gehrayi se mayank ki baato ko samaj ne ki koshish karta hai, “iska kya matlab ho sakta hai”

Mayank “time-wriaths ke baare me jyada toh kuch nahi janta, par itna jarur keh sakta hu ki agar voh time-wraith tha toh I am damn sure ki hamari time-line tut chuki hai”

Siddhi “but how..?? I mean time-line kabhi nahi tut sakti”

Mayank ajeeb tarah se dekh raha tha, aisa lag raha tha maano ki siddhi se voh sawaal kar raha hai, toh akshita usko dekhkar kehti hai “it means ki time-line tut sakti hai….!!!!”

Manthan “that means kisine records se hatkar time-machine banayi hai aur voh already time-travel kar chukka hai”


Sam bhi kuch sochkar bolta hai “agar, koi bahut hi badi event ko change kiya jaay, toh shayad yeh possible ho sakta hai”

Mayank “see, yanha par aisa kuch hai jiske baare me koi nahi jaanta”

Pathik “toh tu yeh kehna chah raha hai ki kisine time machine bana li hai aur voh pehle hi uska use kar chukka hai..??”

Akshita “yes, aisa hi hua hoga, par aisi toh konsi event hogi jisko change karne par itna jyada asar hua hai”


Mayank “iska jawab aapko pata hai”

To be continued…
Fine update dost
 
  • Like
Reactions: Milan2010
Top