#01
zindagi badi ajeeb chiz hai. khatam ho jati hai. par iski samjh nahi aati. akhri sans tak insan ichhaon ke peeche bhagta rahta hai. kuch ichhaen puri hoti han toh kuch hasrat aur umid ke tarazo par latakti rahti han. palda hamari side jhukega aur mukhlif side. bas yahi dekhne me umar bita dete han.
mera naam suryadev singh hai. meri umar 25 saal hai. rajasthan ke city jaipur ki ek richest family se mera talluq hai. mere dada mahinder pratab singh, bada naam tha unka pure rajasthan me, pure desh me. unka dehant ho chuka hai. mere papa bhanu pratab singh ek great papa han. bohut se shikwe bhi han mere dil me mere papa ke liye. par ek agyakari bete ke sare gun bhi han mujhme. aaj tak kabhi uff tak nahi ki sivaye ek baar ke. jo unke moh se nikal gaya. sar jhuka kar maan liya. hum khandani raees han. paise ki kami nahi thi hamare pass aur na hi aaj hai. fir bhi mere papa ne army join ki. desh ki seva ke liye. aise me main mere papa ko great na kahun to zayadti hogi. army retired karnal han. aaj bhi unhe desh bhar me, army me bohut samman dia jata hai. papa bohut sakht mizaj han. apne kisi bete beti ya parivar me kisi dusre se pyar ka izhar kabhi nahi karte. unka maanna hai, pyar shabdon ka mohtaj nahi. payr bhavanaon ka sangam hai. we are all love with pur great and beloved papa. pure parivar ko hi nahi puri biradari ko ek kar ke rakha hua hai papa ne.
meri dadi radhika devi. bohut hi pyar karne wali. apne bachu me sabse badhkar mujhse pyar karti thi dadi. "thi" par main baad me charcha karunga. chaliye maa ka parichay karwa dun. meri maa kaushalya devi. ek sachi aur mahaan maa. jinka dharam hi pati ki seva karna aur apne bachhu ko dher sara pyar dena hai. bachu ke best future ke liye din raat ek kar dena meri maa ka sabse bada karam tha. mere 5 bhai bahan aur han. main sabse chhota hon. meri kismat mujhe maa se sabse zayada pyar mila.
jab bhi kabhi main ghar der se lauta karta to maa mere liye jaag rahi hoti. maa mujhe gale se laga kar mera matha chumti aur mujhse bade pyar se der se aane ka karan puchti. mere liye khana garm karke laati. mujhe apne hath se khilati. aksar main chid bhi jaya karta tha.
"maa! kitni baar kaha hai. mere liye itni der tak na jaga karen. mujhe ghutan si hone lagti hai"
har bar maa bade hi meethe svar me bola karti "kyun na jaga karun?"
"maa! aap mujhe dusre se zayada pyar karti han. kalpana didi han, karan bhaiya han, vijay bhaiya han. nisha didi han, manav bhaiya han. ap unhe bhi itna pyar dia karen na."
"bhole beta. maa ke liye sabhi bache ek samman hote han. main bhi sabse ek jitna pyar karti hon. tere bade dono bhai aur bahne apne apne gharon ko ho chuki han. manav army me hai. wo kam hi ghar par hota hai. aise me manav ke baad tu ek mera kunwara beta hai. isliye tere itne nakhre utha rahi hon. kal ko teri bhi shadi ho jayegi. fir tere sare nakhre teri patni uthayegi. aur fir aisa bhi to ho sakta hai. teri shakal mujhe kai kai dino baad dikhne ko mile. isliye bhi tujhse itna pyar karti hon main"
maa kuch der ke liye khamosh ho gai. jaise ansu pi rahi hon. bade dono bhai business ke chalte ek delhi me to dusra mumbai ke settle ho gaye the. manav bhaiya ne army join kar li thi. aise me main akela bacha tha mard jo papa ke bad ghar me hota tha.
maa gala khankar kar boli."jab teri shadi ho jayegi to main free ho jaungi. teri fikr bhi mere sar se utar jaayegi"
maine maa ko gale se laga liya. "maa main hamesha aapke sath rahunga"
"sab kahne ki baaten han beta. waqt badalta hai toh bhavanaen aur zaruraten bhi badal jati han"
aj mujhe maa ki har baat yaad aati thi. aaj mujhe maa se ghar chhode 7 saal ho gaye the. najane meri naina kis haal me hogi. mera dil kat kar rah gaya. ghar me do jan aur bhi to thee. meri badi didi kalpana aur unki ikloti beti naina bhi to meri judai par toot si gai hogi. ek main hi to tha, jo sabse zayada usse pyar karta tha. mujhs 7 saal meri didi ki beti naina meri dost meri beti meri jaan. aahh samay ne mujhe sabse door kar dia tha.
london ke barf se dhake pahadon par main is samay maujud tha. mere andar ek aag thi. jo mujhe har pal jalaye rakhti thi. ye aag mere dil me thi. jo mere dil ke sath sath mere pure sharir ko jalaye rakhti thi. ek pari chahra mere dil me kaid tha. akshara ka chahra. meri jaan meri zindagi. jo meri nahi ho saki thi. waqt ki beraham usay mujhse chheen kar kisi aur ki zindagi me shamil kar dia tha.
main yahan aapko batata chalun main martial art me black belt bhi hon. 4 saal japan me rahkar maine martial art ki khatarnak trainning li thi. mujhe dekh kar koi ye nahi kah sakta tha. main is field ka ek manjha hua khiladi hon.
akshara ki judai ki aag ne mujhe kuch aisa jalaya. main pagal ho utha. dil me badhi aag mere pure sharir me phelne lagi. mere hathu se bahar nikalne ko betab hone lagi. mera man hone laga main kisi ka khun kardun. is aage ne mujhe kuch aisa jalaya. mai dunya ghumne ke liye nikal pada. wahin ek black belter se meri mulaqat hui. usne meri ankhon se mere dil ki aag ko jaan liya tha. usi ne kaha tha mujhse
"apne andar ki aag bujha nahi pa rahe ho to ise shant karne ka tarike main tumhe bata sakta hon"
"kya karna hoga mujhe"
"japan chale jaao. wahan martial art ki trainning lo. khud ko pathar bana lo. fir tumhare andar ki aag tumhare control me aa jayegi"
main uski maaanta hua japan ja pohncha aur wahan hard se hard trainnng karne lage. thande pani me, barf par main ghanto leta rahta. par mere dil ki, sharir ki aag nahi bujhi. galat mashwara diya tha usne mujhe. par kuch sukun ho gaya tha mujhe. main busy rahne laga. hard se hard aur khatarnak se khatarnak trainning lene laga. dekhte hi dekhte saalon guzarte chale gaye aur main aisa ban gaya. jaisa kam hi koi ban pata tha. trainning ke baad main firse dunya ki sair ke liye nikal pada tha.
ab ek tourist team ke sath barf se dhake pahadon me do mahine bitane ke bad pahadon se niche utar raha tha..