- 368
- 2,071
- 123
Update 33
Raj aaj sab kuch clear kar dena chahta tha, kyun ki wo nahi chahta tha ki pichli baar ki tarah iss baar bhi galat-fhemi ki wajah se dono alag ho jaye.
Raj : Ruhi mai nahi janta ki abhi tumhare mann kya hai mere liye, per mai tumhe pichle 7 saalo se pyaar kar raha hun...bina kisi umid ke, bina kisi intezar ke, baas tumse pyaar kiya hai Ruhi....
Jaab pehli baar tumhe apne office mai dekha to taab hi pehchan gaya tha mai ki tum meri Ruhi ho.
kyun ki maine tumhe dekha hua tha school mai hi, mai janta tha ki tum kesi dikhti ho per maine koyi dokha nahi diya hai tumhe....
Tumhe maine pehli baar ek puppy ko bachate huye dekha tha tum puri bhig gayi thy aur tumhari ankhe jo mere dil le gayi thy ussi time. Fir kitne din tum mujhe dikhi nahi fir ek din library mai tumhe dekha, jaab tak mai tum tak ja pata tum chali gayi thy per ek kitab gir gayi mere aage, maine dekha to mujhe samajh aaya ki tum ye padh ti ho baas fir hamari baate suru ho gayi.
uss din annual function mai tumhe mil kar saab kuch batana chahta tha per usse pehle hi tumne mujhe galat samajh liya. Mujhe laga ki aagar mai yanha raha to tumhe dukh hoga isiliye Bangalore aagaya per pyaar baas tumse hi kiya baas yanhi sochta raha ki tumhari nafrat mere liye kaam hogi ya badhegi.
jaab mai iss position mai pahuncha to tumhe dhundna mere baye hath ka kaam tha, per maine yesa kiya hi nahi, kyun ki mai nahi chahta tha ki tumhare samne aake tumhe dukh dun.
per jaab tumhe dekha to tum badal gayi thy jo Ruhi hamesha hasti rehti thy jiske ankho mai hamesha ek sararat rehti thy wo kanhi kho gayi thy, isiliye tumhe hamesha tang karta rehta tha, gussa karta tha jisse tum bolne lagi thy jiss din tumne nashe mai kaha ki tum Raj se pyaar karti ho to mera mann kitna khush tha ye mai bata nahi sakta.
roya tha uss din mai bahut per khushi se per ye jaan na chahta tha ki akeli kyun ho tum isiliye bataya nahi ki mai hi Raj hun..chahta tha ki mere karib aane se pehle apni family ke karib aao isiliye tumse dur raha, per..tumne...tumne....mujhe dhund liya....
mai..mujhe samajh nahi aaya ki kya karu..fir tumne kaha dost..to mai samajh nahi paya ki yesa kyun bola tumne kyun ki aur dur rehna mere baas mai nahi tha...itne saalo ke ander hi ander roya tha, bahut roya tha mai..aab aur nahi rona chahta hun..aagar tum han kehti ho to yanhi ro dunga tumhare samne..per na hai to fir se wanhi mukhota daal lunga apne face pe baas tum apne dil per koi bojh maat rakhna..jo dil chahta hai bol do....
Ruhi piche mud ke sidhe Raj ko ek thapad mar deti hai aur rote huye Raj ke gale lag jati hai. Raj ko kuch samajh nahi aaya ki ye kya hua.
Ruhi kuch der tak roti rahi fir Raj se alag hoke ek aur thapad mar di,
Ruhi (gusse se) : tum ek number ke gadhe ho, pagal ho...jyada hi dusro ke bare mai sochte ho....
Ruhi ne ek aur thapad laga diya, Raj ka to dil hi tut gaya. Usse kuch samajh nahi aaraha tha aur upar se usse 3 thapad bhi paad gaye thy, aur gaal pura laal ho gaya tha.
Ruhi baas usse gusse se dekh rahi thy. Raj ka pata hi nahi chala kaab uski ankho se anshu nikal ke uske gaal pe aagaya tha.
Ajib sa dard ho raha tha Raj ko, uska haat uske dil per chala gaya jo dard kar raha tha aur ek hath apne sar per rakh kar piche ki aur jane laga to piche carpet se atak kar gir gaya aur itni jor se gira ki ek hath jo dil pe tha uske upar pura body weight aagaya.
Ruhi jaldi se Raj ke paas gayi aur usse uthake bed pe betha diya, Raj ke hath mai dard tha per dil tutne ke dard ke samne usse mehsus nahi hua...
wo kuch nahi bola, Ruhi baas usse dekhti rahi, fir;
Ruhi : pagal ho tum ek number ke pagal....mere bholu ram...I love you mere bholu ram....per mai abhi gussa hun tumse....
itna bolke Ruhi ne Raj ko gale laga liya, Raj Ruhi ki baate sunke uski jesse sans hi lout aayi ho.
thodi der gale lagne ke baad Ruhi Raj se alag hoti hai aur Raj ka chehra apne hatho mai le ke raj ke mathe pe kiss karti hai, fir Raj ki ankho pe, Raj to baas ankhe band kiye huye iss paal ko ji raha tha, Raj ne Ruhi ko kamar se pakad ke apni aur khinch liya, aur apni ankhe khol ke Ruhi ko dekhne laga.
Ruhi bhi Raj ki bhigi ankho mai hi kho gayi aur wanhi haal Raj ka bhi tha. Pata nahi dono kitne der tak yese hi ek dusro ko apne baho mai bhare rahe.
jesse hi Raj Ruhi ke chehre pe aarahe baal ko hatane ke liye apna hath badhaya to uske hath mai ek dard ki leher doud gayi.
Raj : aaahhhh.....
Ruhi : kya hua?
Raj : sayad jaab gira to body weight hath per aagaya tha to sayad strain ho gaya hai hath....
Ruhi : hath dikhao apka....
Raj : apka..abhi to gusse se tum keh rahi thy aab fir se aap....
Ruhi : wo..wo to mai gusse mai thy....
Raj ne Ruhi ko apne dusre hath se apne karib ek aur baar khincha aur uski ankho mai dekhte huye bola,
Raj : to aab gusse mai ho....
Ruhi : na..nahi...han..han....
Raj aage badh ke Ruhi ke gal pe kiss kar deta hai, to Ruhi ne apni ankhe band kar li.
Raj : aab bhi gusse mai ho....
Ruhi kya bolti uski to bolti hi band ho gayi thy.
Raj : wese gussa kis baat ka hai ye to bata do..teen teen thapad mar liya aur to aur hath bhi tut gaya.
Ruhi Raj ko chod ke reception per phone karne lagi to Raj ne Ruhi ke hath se phone le liya aur rakh diya.
Ruhi : Raj apka hath mai bahut chot lagi hai dekhiye Sujan bhi aagaye hai, apko ilaz ki jarurat hai.
Raj : mai thik hun Ruhi baas thodi se chot hai thik ho jayega per pehle tum mujhe ye batao kyun gusse mai thy.
Ruhi : Raj...pehle aap....
Raj ne Ruhi ke honth le apna hath rakh diya....
Raj : Ruhi mai nahi chahta fir se koyi baat dil mai hi reh jaye..mujhme aab aur himmat nahi hai ki kisi galat-fhemi ko sehne ki..please Ruhi....
Ruhi bhi Raj ka dil haal samajh jati hai,
Ruhi : pehla thapad apko ye sach chipane ke liye ki apne mujhe dekha tha, per taab ham bache thy to ye galti maaf....
Dusra thapad isiliye jaab mujhe pehchan liya tha to dur kyun rahe....
Tisra isiliye ki itne ache kyun ho aap dusro ke baare mai sochte ho..jaab ye pata chala gaya tha ki mai bhi pyaar karti hun apse to kyun pehle family ko milwana tha fir baad mai apne dil ki baat karni thy taab tak agara der ho jati to....isiliye gussa hun baas....
Raj ne apni dil pe hath rakh diya,
Raj : haaye...mujhe nahi pata tha ki tum itni besabar ho mere paas ane ke liye...pehle pata hota to jiss din mili thy usi din gale laga ke saab kuch bata deta meri lady hulk..chalo aab gussa chod do....
Ruhi : pehle hath check....
Raj : ok..ruko mai phone karta hun....
Raj ne kisi ko phone karke room bula leta hai, kuch der baad ek doctor room mai aagaya aur Raj ke hath ko check karke,
Doctor : sir apke hath ki bone mai fracture aagaya hai aur thodi Sujan bhi badh gayi hai to plaster karna padega aap niche wale floor pe ajayiye wanha pe saab kuch arrangement hai.
Raj ne sar ko han mai hila diya aur doctor ke sath chal pada aur Ruhi ko wanhi pe rukhne ko kaha.
bahar aake Raj ne doctor ka gardan pakad liya,
Raj : mere hath mai baas dawab ke karan Sujan aagayi hai tu mere hath plaster laga raha hai, aur konsa doctor without X-ray mai bata deta hai ki bone fracture ho gaya hai....
Doctor : s...si...sir....sir...mujhe...Kabir...sir..ne kaha tha....jaab apka phone aaya to sir...mere sath hi thy to sir ne kaha ki apko jo bhi hua ho madam ke samne kuch jyada...hi bolna....to....
Raj : ye nahi sudhrega....chal tu aab baas dressing kar de....
Doctor : ji sir....
Raj jaab wapas aata hai kamre mai to baas uske hath mai dressing huyi thy jisse dekh ke Ruhi bhi uske paas aajati hai.
Ruhi : apko to....
Raj : thik hun Ruhi mai, koyi plaster nahi lagega...wo mera dost hi hai, aur wese hi bol raha tha Kabir ke kehne pe..taki tum mera ache se jyada dyaan rakho....
Ruhi : Kabir pagal hai..mai to wese bhi apka khyal rakhti....
Raj : sachi....
Ruhi sar ko han mai hila ke Raj ke gale lag jati hai, aur Raj bhi Ruhi ko apne baho mai bharke Rahat ki sanas leta hai.
Raj : tumhe pata hai iss pal ka intezar jaane kabse tha mujhe, jaab mere paas mere sath hogi meri Ruhi ban kar, baas Raj ki Ruhi....
Ruhi : mujhe bhi Raj....
Fir dono alag hoke balcony mai aake beth jate hai, Ruhi Raj ke kandhe pe sar rakh deti hai, aur dono hi apne ankhe band kar lete hai aur baas ek dusre ko mehsus kar rahe thy.
pata nahi kitne dino ya mahino ya saalo se ya khwab dekhe thy jo aaj pura hua hai.
Isse hi to taqdeer kehte hai kaab kya ho jaye kesse ho jaye kisse pata hai.