mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,910
- 218
Update 36Raj aur Ruhi ek dusre mai hi khoye huye thy. Ruhi baas raj ki ankho mai apne liye pyaar hi pyaar dekh rahi thy. Raj ne Ruhi ke sar se apna sar laga diya aur ankhe band karke iss lamhe ko mehsus karne laga.Ruhi dhire dhire Raj ke aur karib aagayi aur ankhe band karke apne honth ko Raj ke honth ke paas le aayi per jese hi Ruhi kiss karne hi wali thy ki Raj thoda sa jhuk gaya jisse honth ji jagah Raj ke naak mai kiss ho gayi.Ruhi ankhe khole herani se Raj ko dekhne lagi.Raj : tumhari hi wish thy ki meri naak pe kiss karke mera sara gussa khatam karne ki to baas wanhi pura kiya hai aur rahi baat iss kiss ki to ye to mai kabhi bhi le sakta hun per shadi ke baad na...ya abhi..wese mujhe to koyi pareshani nahi hai..aur ankh mar deta hai....Ruhi saram ke mare Raj ke gale lag jati hai aur Raj hasta hua usse banho mai bhar leta hai.Ruhi abhi dhyaan deti hai ki lift to chal hi nahi rahi hai to Raj se alag hoke dekhne lagti hai to dekhti hai ki lift ka stop button daba hua tha.Raj : maine hi lift roki thy thoda time tumhare sath spend karne ke liye.Ruhi : acha ji..to ye baat hai per mujhe aab bhuk lagi hai to chale....Raj : jo hukum madam....Fir dono niche aajate hai aur dekhte hai ki Kabir pehle se hi niche betha unka intezar kar raha hai. Kabir ki nazar jaab in dono pe padi to inko ghurne laga.Kabir : itni der tak kanha thy tum dono....Raj : aare yaar lift atak gayi thy to....Kabir : sale atak gayi thy ya atka di thy...chal chod..khana khate hai, dekh tera to pata nahi per mere bhabhi ko jarur bhuk lagi hogi....Ruhi : han Kabir ji.....Raj : to chalo suru karte hai....Fir teeno khana khane lagte hai.chaliye thoda Raj ke mumbai ke ghar mai ghum aate hai....Anu ready hoke dinning table pe bethi thy aur Zara bhi uske sath beth ke kuch kaam kar rahi thy. Rohan aur Viren dono hi kitchen mai thy.Rohan to baas khada hoke Viren ko dekh raha tha aur Viren khana bana raha tha.Rohan (herani se) : ye saab punjabi khana kaab sikh gaya tu....Viren : aab itne mahine Punjab mai raha to sikh hi gaya aur tujhe pata hai na ki mujhe....Rohan bich mai hi Viren ki baate karke,Rohan : tujhe ye saab karna acha lagta hai wo bhi haam saab ke liye.Viren : chal aab ye saab bahar le jane mai meri madat kar....Rohan han mai sar hilake uski madat karta hai, jaab sabhi kahan aagaya dinning table pe Zara bhi apna kaam band karke khane ko dekhne lagti hai aur Anu to baas gin rahi thy kya kya hai....Anu : wooooo...hooooo....itna sara khana maza aagaya. Mai to kitne dino se bhai ke hath ka khana miss kar rahi thy per Viren ji apne to kamal kar diya..sach mai...wait nahi ho raha hai...kya ham suru kar sakte hai.....Viren : han..han..kyun nahi.....Fir sabhi khane lagte hai aur sabhi Viren ki khane ki tarif kar rahe thy.Idhar Bangalore se Ruhi, Raj aur Kabir mumbai ke liye nikal gaye khana khane ke baad.Ruhi aab Raj ke bagal ki seat mai bethi thy aur Kabir piche ke seat mai beth ke apni nind puri kar raha tha.Raj : Ruhi kya tum mujhe bataogi ki tumhe pyaar ka yehsas kaab hua tha?Ruhi : mai...wo....Raj Ruhi ko dekhte huye : please Ruhi mere liye....Ruhi : thik hai.....Jaab 11th mai annual day per tumne mujhse kaha tha ki tum milna chahte ho mujhse aur kuch kehna chahte ho to mai bhi kuch batana chahti thy tumhe...apne dil ki baat yanhi ki mujhe tumse pyaar ho gaya hai....Tumhari baato se, tumhari sayari se, tumse...bahut pyaar karne lagi thy tumhe bina dekhe hi..ye baat maine baas Palak ko batayi thy.Uss din Palak hamari class ke kuch ladko ko mere paas leke aagayi....Palak : yaar Ruhi dekh tu meri best friend and childhood friend bhi hai aur mai nahi chahti ki tu hurt ho....Ruhi : baat kya hai Palak, saaf saaf bol....Palak : yaar Raj ne tujhse dosti baas ek sart jitne ke liye ki thy..wo koyi tera dost nahi hai usse baas sart ke paise chahiye...baas..wo anath hai aur wese bhi yese loog rishtey ko nahi samajhte hai....Ruhi : nahi Palak tujhe koi galat-fhemi huyi hai....Palak : ye dono mere bhi dost hai Ruhi aur jaab maine inhe tere Raj ke bare mai bataya to ye saab mujhe inhi se hi pata chala..ye dekh video....Video mai Raj kisi sart ke liye han bol raha tha. Ye dekh ke Ruhi tut gayi thy. Taab bhi usne kisi ko bhej ke Raj ko bulati hai.Ruhi dusri taraf munh karke khadi thy aur baas Raj se itna hi puchi ki,Ruhi : tumne inn dono se koi bet lagaya tha....Raj : han...per....Palak : baas..koyi per...bar...nahi....Ruhi (rote huye) : I hate you Raj...I really hate you...I don't want to see your face...I trust you but you break my trust...chale jaao yanha se....Raj ko kuch samajh nahi aaraha tha,Raj : Ruhi hua kya hai..mere taraf dekho Ruhi...Ruhi : maine kaha na jao..go away..tumhe samajh nahi aaraha...aagar kabhi mujhe dost bhi samajha hai to jao yanha se aur kabhi mere samne maat aana.fir ek mahina taak maine kisi se baat nahi ki baas Palak se baat hoti thy. Jese hi 12 class suru huyi to ek din maine Palak aur un ladko ki baate sun li thy..kese Raj ko fasaya tha aur ye saab kuch plan Palak ka tha..baas fir kisi per bhi bharosha nahi raha.. Palak se bhi alag ho gayi aur sabse kinara kar liya.Papa to wese bhi kaam ki wajah se hamesha dur rehte hai mujhse to mere dur rehne se unhe koyi farak nahi pada..aur America isiliye nahi gayi kyun ki tumse milne ki umid nahi khona chahti thy.Itna saab sunke Raj Ruhi ko apne karib karta hai aur uske mathe pe kiss karta hai.Raj : aab saab kuch thik hoga Ruhi..saab kuch...Ruhi bhi han mai sar hilati hai. Tabhi Kabir bhi uth jata hai.Kabir : bhabhi....Ruhi : ji....Kabir : aap aage ki hamari kahani nahi sunogi....Ruhi : aap to so hi gaye thy mujhe to sunni thy....Kabir : to suno aab mai batata hun aage kya hua tha....
Very nice update