mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,910
- 218
Update 38Viren baas Kabir ko hi dekh raha tha. Raj aage badh ke Viren ko gale laga liya, Kabir bhi aage aaya per Viren ke bagal se nikal gaya. To Viren udas ho gaya. Raj ne Viren ke kandhe pe hath rakha jo ki baas Kabir ko jate huye dekh raha tha.Raj : tu janta hai na usse..bhaw kha raha hai baas...Viren bhi han mai sar hilata hai aur aur teeno Viren, Raj aur Ruhi ander aate hai. Anu aur Zara jese hi Kabir ko dekhti hai to bhag ke uske paas aati hai. Zara to Kabir ke gale lag jati hai.Zara : miss u bhaijaan...really miss you....Kabir bhi Zara ko kaas ke gale lagate huye,Kabir : miss u alot choti..bahut miss kiya tujhe maine..abu ka gussa mujhpe bhi nikala tunne to....Zara : sorry bhai....Kabir : chal chod tu ye saab....Jesse hi Kabir Zara se alag hota hai Anu ne usse jakad liya aur chilane lagi....Anu : welcome partner......6 mahine..6 mahine baad mil rahe hai...miss you alot partner.Kabir bhi Anu ko gale lagake bahut khush tha. Per Viren jaab ander aata hai to dono ko dekh ke usse gussa bahut aata hai. Gusse mai Viren ne apni dono hatho ki muthi band kar li. Raj ne Viren ka chehra dekh liya tha per aab wo Anu aur Kabir ko bhi dekh raha tha jo ek sath chilla kar ek dusre ke gale lage huye thy. Anu Kabir se aalag huyi aur Ruhi ko dekh ke bhag ke aake Ruhi ke gale lag gayi.Anu : di..welcome back....Ruhi : acha aagayi meri yaad..mujhe to laga Kabir ko dekh ke tum mujhe, tumhare bhai ko bhul hi gayi....Anu : sorry di.. partner se itne din baad mili na to...wese aap partner ke sath hi aaye ho lagta hai to kessa laga mera partner....Ruhi : bilkul tere jesse natkhat aur sararati....Anu (haste huye) : han wo to hai....Viren ye saab sunke bahar chala gaya aur garden mai jake khada ho gaya, ander kisine bhi Viren ke taraf dhyaan hi nahi diya tha. Rohan aur Kabir ek dusre se mil rahe thy aur Zara bhi sath mai hi thy. Raj bhi inko Mallik sahab se huyi baate bata di, Ruhi bhi Raj ke sath hi thy, Raj ke baat sunke Rohan aur Zara bhi khush thy.Anu Kabir se dhyaan hata to aas paas dekhne lagi to usse Viren kahi nazar nahi aaya.Anu badbadate huye Viren ko dhund ne lagti hai,Anu : aab ye kanha gaye. Aaj saab sath hai aur ye pata nahi kanha chale gaye.Anu jesse hi bahar aayi to Viren dikh gaya, to wo doud me uske paas aagayi. Viren ke paas aake,Anu : to aap yanha ho....Viren kuch nahi bolta baas samne ki aur dekhta rehta...jaab koi jawab na payi to Anu bhi chup chap khadi hoke baas Viren ko hi dekhti rahi.Thodi der baad jaab koyi awaj na huyi to Viren ko laga ki Anu wapas chali gayi to Viren jesse hi mudne laga to Anu uske sath hi khadi thy aur baas usse hi dekhe ja rahi thy.Viren : bacha ander chalte hai....Jesse hi Viren ander jane lagta hai to Anu uska hath pakad ke rok leta hai, to Viren bhi palat ke Anu ko dekhne lagta hai. Anu bhi der na karte huye Viren ko apni aur khinch leti hai aur uske pair mai khadi ho jati hai aur sidhe apne honth ko uske honth mai rakh deti hai, Anu ki ye harkat se Viren to bilkul jaam sa gaya tha.Anu kuch der tak Viren ko kiss karti rahi fir Viren se alag hoke khadi ho gayi, Viren to baas Anu ko herani se dekh raha tha...Anu : aab apko pata lag gaya na ki mai bachi nahi hun...ye kehke ander bhag jati hai....Per Viren to uss yehsas se bahar hi nahi aaraha tha. Viren ko to abhi bhi Anu ki sanse mehsus ho rahi thy, tabhi wanha Raj bhi aagaya aur Viren ke kandhe pe hath rakh diya to Viren Anu ke khyal se bahar aaya.Raj : tujhe hi pehel karni hogi..baat tujhe hi pehle karni hogi usse....Viren jiska dimag mai abhi bhi Anu hi ghum rahi thy.... Wo Raj ki baate samajh nahi paya ki wo kis baare mai baat kar raha hai...Viren : kis..kiske sath....Raj : Kabir se..aur kis se....Viren : han..han..chal karta hun baat usse....Viren aur Raj dono ander aate hai to Kabir Viren ko andekha karta hai to Viren kitchen mai jata hai aur frizer se ek Bowl le kar aata hai, aur Kabir ke aage kar deta hai aur samne khada ho jata hai.Kabir dekhta hai to samne kheer thy wo bhi thandi jesse usse pasand tha.Kabir gusse se khada hoke Viren ko dekhta hai,Kabir : kamine..tujhe pata hai ki kese kise manna hai..per ye galat hai..mai kheer to kha lunga kyun ki itne dino baad tere hath ka kheer khane ko mil rahi hai per naraz rahunga mai.....Kabir kheer khane lagta hai fir khate khate hi ro padta hai aur Viren ke gale lag jata hai. Viren ki bhi ankhe naam ho jati hai. Rohan aur Raj ki bhi...fir aage badh ke Raj aur Rohan un dono ko bhi gale lag jate hai, Ruhi aur Zara in charo dosto ko gale lage huye dekhti rehte hai aur khush bhi thy, per Anu ka kuch ata pata nahi tha.Anu to apne kamre mai dubak ke bethi huyi thy aur jo kar ke aayi thy uske baare mai soch rahi thy.Anu (apne mai) : ye kya kar diya maine..per wo bhi to har samay bacha bachi karte rehte hai mai koi bachi nahi rahi..aab pata lag gaya hoga aur wese bhi kiss hi to kari hai aur puri life unke sath rehna hai unko hi kiss karni hai....baas ye saab sochte huye sarma rahi thy....Charo dost ek dusre ka sath pake bahut khush thy aur baato mai lage huye thy. Ruhi aur Zara bahut der se inko dekh rahe thy, jaab inn dono se aur bardast nahi hua to Ruhi ne jor se bolti hai,Ruhi : sabhi baas ladkiyo ko hi dosh dete hai ki jaab milti hai to baate hi khatam nahi hoti hai aur saab kuch bhul jati hai, per idhar dekho charo mil kya gaye hame hi bhul gaye, ham dono bhi yanha hai aur hamari tisri pata nahi kanha bhag gayi per ham to hai na....Raj uthke jata hai aur Zara aur Ruhi ka hath pakad se sabhi ke bicho bich lake betha deta hai aur Anu ko bhi awaj deta hai, Anu bhi Raj ki awaj pake niche aajati hai per Viren ke taraf dekhti bhi nahi hai, Raj Anu ko bhi Zara aur Ruhi ke paas betha deta hai.Raj : mere liye tum teeno hi bahut mayene rakhte ho. Mere yaar meri jindegi hai to mere jinne ki wajah Anu hai maa papa ke jane ke baad iske liye hi ji raha tha. Aur meri dhadkan tum ho Ruhi jaab se tumhe dekha tha baas dil tumhare liye hi dhadakta hai.Aur Zara tum meri sabse achi dost rahi 3 saalo mai har samay mera sath diya aur mere dost ki jindegi ban gayi aur meri bhabhi aur aab to aur mayene rakhti ho kyunki bhabhi maa jesi hoti hai to aaj se wanhi jagah hogi tumhari baas maa ki jagah behen ko dunga kyun ki teri beijati bhi karni hai aage bhi..hehehe....Aab pata chala ki kya ho tum saab....Rohan : ye saab chod ye bata ki tum dono ne ek dusre ko bol diya...Anu : han bhai..Ruhi di apke dil ki dhadkan kesse....Zara : Rajveer..Ruhi ke liye apka dil dhadakta hai kya baat hai...Kabir : ye saab mere karan hi hua hai warna ye dono to pata nahi kaab bolte...Fir Kabir sabko hotel wala kissa bata deta hai to Ruhi uth ke bhag jati hai....Raj : kya kar rahe ho yaar...Raj bhi Ruhi ke piche chala jata hai aur Rohan bhi Zara le paas aake uska hath pakad ke garden ki aur jata hai to Kabir bol padta hai....Kabir : tum dono kanha chale....Rohan : teri behen ko meri jindegi mai uski ehmiyat batane....Kabir hasne lagta hai, Anu to baas Viren ko andekha kar rahi thy to Kabir ke paas jake khadi ho gayi..per Anu ki taqdeer kahiye ya Viren ki taqdeer ussi time Kabir ko koyi call aajati hai to wo uthke upar kamre mai chala jata hai. Anu dekhti hai ki Viren usse hi dekh raha hai to jaldi se niche ke sabse karib wale kamre mai bhag jati hai aur wanha per khidki ki aur chehra karke khadi ho jati hai.Viren bhi Anu ke piche jata hai aur kamre mai jake darwaja dhire se band kar deta hai.viren janna chahta tha ki Anu ne yesa kyun kiya..kya chal raha hai Anu ke dimag mai..wo Kabir aur Anu ko leke bhi thoda confused tha. Per yese Anu ke achanak kiss se dimag hi band ho gaya tha uska. Wo apna sara sawal ka jawab Anu se chahta tha.
Lovely update