Update 39
Raj jaab Ruhi ke piche piche uske kamre ke ander ghusa to dekha ki Ruhi kuch soch rahi hoti hai. Raj jake Ruhi ke paas hi Beth jata hai, aur uska hath apne hath mai le leta hai,
Raj : kya soch rahi ho Ruhi....kya hua....
Ruhi : yanhi soch rahi hun ki saab kitna sahi ho raha hai saab kitne khush hai. Baas yese hi saab sath rahe aur khush rahe. Baas soch rahi thy ki kahi kuch galat....
Raj Ruhi ke honth le hath rakh deta hai,
Raj : kuch galat nahi hoga Ruhi..yesa kuch maat socho baas jo ye paal hai inke khush raho....aur saab kuch sahi hoga Ruhi mai hun na kuch galat hone nahi dunga.
Ruhi han mai sar mila deti hai aur Raj ke kandhe pe sar rakh ke beth jati hai...
Raj : tumhara bhai aane wala tha? Aaya nahi?
Ruhi : nahi aaya....
Raj : kyun....
Ruhi : papa chahte hai ki wo wanhi rahe mere sath aakar rahega to wo bhi unki baat nahi sunega....
Raj (herani se) : kya..kya bol rahi ho Ruhi....
Ruhi : sahi to bol rahi hun papa ko lagta hai ki mai unki baat nahi manti aur dur rehna chahti hun....
Raj : Ruhi..tum khud hi unse dur rahi ho to sayad isiliye unhe yesa lagta hai.
Ruhi : per wo mere bhai ko kyun rok rahe hai, uska bahut mann tha yanha aane ka, uski baato se lagta hai, per aab wo bhi udas sa hi rehta hai. Video call bhi nahi karta, mai karti hun to baas maa papa se baat karwa kar thodi hi baat karta hai.
Raj : don't worry mai saab thik kar dunga baas tum unhe Rohan ke rishtey ke baare mai batao..aur unhe yanha aane ko bolo....
Ruhi (herani se) : kyun?
Raj : Rohan ko bhi to beta hi mante hai na to baas bolo....
Ruhi : per....
Raj : per har kuch nahi..kitna sochti ho yaar..iss chote se dimag mai pata nahi kya kya sochte rehti ho....
Raj ki baato se Ruhi gusse se jane lagti hai to Raj Ruhi ko khinch ke apne goud mai betha leta hai aur usse apni baho mai bhar leta hai.
Raj : aaj jane ki jidd na karo....jaldi se apne papa ko bula lo aab aur wait nahi hota...tumhare papa se aab tumhe bhi mang na hai. Aur uske gaal pe kiss kar deta hai.
Udhar Viren Anu ke paas jake khada ho gaya per kuch bola nahi. Anu ko laga koyi uske paas hai jesse hi usne Viren ko dekha to Viren usse hi dekh raha tha. Anu apni jiv bahar nikal li aur apne sar per hath de mara.
Anu : aap yanha..kya baat hai....
Viren : Anu tumne bahar kya kiya..dekho Anu ye saab thik nahi hai, dekho....
Anu Viren ki bato ko bich mai hi katte huye,
Anu : dekh hi to rahi hun....
Viren (gusse se) : Anu please..yaar ye saab sahi nahi hai. Dekho tum Raj ki behen ho Anu aur wo mujh per bahut bharosha karta hai..ye..ye sahi nahi hai.
Anu Ko bhi gussa aajata hai Viren ki baato se,
Anu (gusse se) : pehle to bacha bacha bol kar dimag ka dahi kar diya tha apne..aur aab ye saab sahi nahi..sahi nahi...(thoda jor se) kya sahi hai nahi hai Viren ji pyaar karne lagi hun apse aur kuch....
Aur rahi baat bhai ki to wo khush hi hoga..aur kya ye viswas..Rohan Bhai bhi to Kabir ji ki behen ko pyaar karte hai na..shadi bhi ho rahi hai to..apko kya problem hai batao....
Anu baas gusse mai bol rahi thy aur bolte bolte aage badh rahi thy aur Viren piche ja raha tha. Viren ek dam diwar se lag gaya piche jate jate. Anu Viren ki chest pe ungli rakh kar aab bol rahi thy, Viren ki to mano sans hi rukh gayi.
Jaab Anu bol bol ke thak gayi to chup ho gayi aur Viren ke chest pe hi sar rakh kar hafne lagi. Viren to jesse naam hi gaya tha hil bhi nahi raha tha. Kuch der tak Anu Viren ke chest mai lagi rahi fir alag hoke Viren kj taraf dekhte huye,
Anu : aap please aab to kuch bolo..pyaar karti hun....
Viren kuch himmat kar ke bolta hai : Anu tumhari umar mai ye saab attraction hai pyaar nahi..aur aagar ye pyaar hai na to mujhse dur raho aur baas abhi Rohan ki shadi taak baas dost ki tarah hi raho..baki saab Rohan ki shadi ke baad baat karenge.
viren ye saab bolke jane hi lagta hai ki Anu ne Viren ka hath pakad ke rok liya.
Anu : jo marji socho aap mujhe koyi farak nahi padega baas itna janta hun ki reh nahi sakti aapke bina aur aap bhi jante hai baas mante nahi..mai Rohan Bhai ki shadi tak aapki han ka wait karungi aur aagar fir bhi kuch na kaha na apne to bhai se kehke ussi mandap per jabardasti shadi kar lungi aur aapko pata hai ki mai kar bhi sakti hun.
Itna bol ke Anu ne Viren ko fir se khincha apni aur aur jaldi se uske honth le apne hont rakh diye aur ek chota sa kiss kar deti hai. Fir dur hone boli,
Anu : ye mere pyaar ka kiss hai Viren sahab pehla to gussa ka tha. Adat daal lo aab shadi ke baad kaam aayegi...baas Rohan Bhai ki shadi tak hi control karungi aab..aur bhag jati hai Wanha se.
Viren apni balo pe hath firata hai,
Viren : pagal ladki hai kisi dini jaan hi le legi. Mai khud hi aab Rohan ki shadi ke baad Raj se baat karunga....
Anu bahar bhagti huyi aayi to Kabir se takra jati hai,
Kabir : sambhal ke sambhal ke tufan mail..kisse bhag rahi hai....
Anu : baas..yese hi bhagne ka mann kiya to bhagne lagi.
Kabir (herani se) : tujhe pata hai duniya mai tu baas ek hi piece hai..pagal kahi ki....
Anu (thode gusse ke sath) : yaar aap sabhi mujhe pagal kyun samajhe ho....
Kabir : acha..mere ilawa aur kon hai jo ye hakikat janta hai.
Anu : gusse se aur jor se kyaaa.....
Ek aap aur ek apke Viren ji....
Kabir : tu usse kuch panga karke aayi hai na....
Anu : na..nahi to..ma..mai kya karungi...wo to..kisi ki nahi sunte...
Kabir : ye baat to teri galat hai kisi ki sune na sahi per teri jarur sunta hai.
Anu (Viren ki yaado mai hi bol deti hai) : han ye to hai....
Kabir kuch bolne hi wala tha ki Kabir aur Anu ko Zara aur Rohan ki awaj sunayi deti hai. Dono garden area maj ja kar dekhte hai to Zara aur Rohan jhagad rahe thy.
Zara : mai kaha na aap Abu ke samne jake pehle salam karenge aur fir pair chuyenge.
Rohan : aare yaar tum to yese bol rahi ho jesse mai koyi chota bacha hun....aur mujhe pata hai kesse kisse baat karte hai.
Zara : kisi ka pata nahi mere Abu se baat karne ja rahe hai..aur baad mai pata chala abu ne mera gussa aap per nikal diya..isiliye bol rahi hun jate hi dil jitna hai apko abu ka....
Rohan jaab Zara ko dekhta hai to wo bahut tension mai bol rahi thy. Rohan ne Zara ka hath apne hath mai le leta hai,
Rohan : yakin hai na mujh per....
Zara han mai apna sar hila deti hai.
Rohan : to baas chinta kis baat ka..mai hun na saab thik hoga aur Abu pehle hi Raj aur Ruhi ki baat se maan gaye hai aur aab jakar mai unse baas tumhe mangne wala hun..aur mujhe meri Zara gusse mai hi achi lagti hai yese tension mai nahi.....
Zara Rohan ki baat per haas deti hai to Rohan aage badhne Zara ko gale laga leta hai.
Kabir ye saab dekh ke bahut khush hota haia ur emotional ho jata hai aur ander jake beth jata hai, Anu bhi Kabir ke piche jati hai aur uske paas beth jati hai.
Anu : kya baat hai partner aap itne emotional kyun ho gaye?
Kabir : Zara ke liye Rohan se acha koyi ho hi nahi sakta...jese Rohan Zara ko sambhalta hai mai kabhi kabhi nahi sambhal pata wo hamesha abu ki dant se bachne ke liye mujhe dekhti thy per mai bhi Abu ke dar se kuch keh na pata to wo...mujhse bhi dur ho gayi per Rohan ke sath sach mai bahut khush hai..aur usse khush dekh kar mai bhi bahut khush hun.
Anu Kabir ke kandhe per hath rakhti hai aur usse khush rehne ko kehti hai tabhi Raj aur Ruhi aur Viren bhi wanha le aajate hai aur Zara aur Rohan bhi. Saab baate karte hai aur ek dusre ke sath pake behed khush thy.
Viren Raj ke sath hi betha tha aur Anu ko andekha kar raha tha per jesse hi Anu ki aur dekhta hai to wo pehle se hi dekh rahi hoti hai aur bich bich mai ankh bhi maar rahi thy.
Anu ki ye harkat Raj ne dekh liya tha aur Viren to sar pakad ke betha hua tha.
Raat ko dinner ke baad apne apne room mai chale jate hai. Ruhi Zara aur Anu teeni ek hi room mai sone ka decide karti hai.