mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,910
- 218
Update 40Raj apne kamre mai bana office mai kaam kar raha tha aur Rohan bhi sath mai tha, Kabir ghumte ghumte wanha pahunch jata hai aur in dono ko kaam karte dekh ke sar pit leta hai.Kabir : kya tum dono bhi...kabhi to kaam chod diya karo...Rohan : sale sahab baas ho hi gaya hai hamara kaam..aap batao IPS Kabir Mallik baan kar kesa lag raha hai.Kabir Rohan ke bagal mai beth jata hai aur Rohan se masti karne lagta hai,Kabir : jiju jaan bahut acha laag raha hai...(fir kuch serious hoke) tum to jante hi hi desh ki seva karna hi mera sapna tha, Viren ko kaha tha ki wo mujhe apni team mai le per wo nahi mana..uske senior nahi mane....Fir tujhe pata hai na kese din raat ek karke UPSC clear kiya..banne ko to IAS ban sakta tha per police mai aana tha to yanhi line chun li. Abu to chahte thy ki tumhare sath business join kar lun per yahi karna tha mujhe...Viren bhi kafi der se bahar khade hoke Kabir ki baate sun raha tha, wo ander aake Kabir ke gale lag jata hai aur usse sanasi deta hai.Viren : am proud of you kabir....Charo dost sath mai beth gaye aur purane din yaad karke hasne lagte hai. Tabhi Anu dandanati huyi aajati hai Raj ke kamre mai sabko ek sath dekh ruk jati hai.Raj : kya hua beta..kuch chahiye?Anu (Viren ke taraf dekh ke) : han bhai chahiye to bahut kuch..per aab ke liye ye ki kal rat new year hai aur mera bday bhi hai parso to mujhe koyi surprise party nahi chahiye na hi kuch aur taak jaam..baas kal rat ham disco ya pub chalenge..sab se saab..kisi ki na nahi sunungi mai..ye mera bday gift hoga sabhi ke taraf se so be ready..bye..good night...Fir Anu bina kuch sunne hi wanha se chali jati hai....Viren : Raj dekha tune kitna bigad gayi hai ye tu kuch bolta kyun nahi....Viren ka itna kehna tha ki teeno Viren ko ghurne lagte hai.Raj : aur usse bigada kisne hai....Rohan : hamme to kuch bolne nahi deta tha....Kabir : mai kuch karta tha to mujhe teri dang milti thy aur usse baas pyaar se koyi baat nahi....Viren to aur kuch na sunke wanha se bhag jata hai to teeno ek dusre ko dekh ke hasne lagte hai.Kabir : Raj ham teeno ko dikhta hai ki ye aur Anu kya feel karte hai ek dusre ke liye liye..per ye dur hi bhagta hai...Raj : hmm..per aab nahi .Anu ko nahi dekha wo iss baar isse jane nahi degi....Rohan : han..aur aagar ye nahi mana to jabardasti mana bhi legi.Raj : hmm..I hope ye so ki yasa hi ho..kyun ki agar Viren aur Anu ek sath honge to sabse jyada khushi mujhe hogi kyun ki Viren se jyada Anu ko koyi nahi samajh sakta....Kabir : ye to hai per..mai bhi hun....hehehe...Rohan : tu to best friend hai aur Viren pyaar....Kabir : ya Allha (maaf karna agar galat likha hoga to)...saab ji jodiya hai aur mujh jesa smart, handsome, well settled bande ko tune single hi rakha hai. That's not fair..I want my pair....
Rohan : aare wah..sale sahab kya tone hai dua mangne ki...wah..wah....Raj : chali so jate hai..kal pata nahi Anu kya bomb fodegi.Agle din Anu ne saab me liye kapde mangwaye thy, aur sara din Ruhi aur Zara ke sath mil ke raat ke liye tayari karti rahi. Raj aur Kabir dono ko bahar kaam tha to wo sham ko hi sidhe club mai hi milenge ye kehke chale gaye.Anu jaab ready hoke niche aayi to Rohan aur Viren dekhte reh gaye. Anu ek black and white colour ki frock pehni thy jo ghutne ke upar thy, baalo ko curl ki huyi thy. Chehre pe koyi makeup nahi tha baas pink colour ki light lipstick aur kan mai black bade bade ears. Viren to Anu mai hi kho gaya tha, Viren ne bhi black jeans and white shirt pehni thy aur upar se wine colour ki coat.Rohan ne jaab Anu ke piche Zara ko dekha to uska hosh hi udd gaya. Zara ne ek black jeans, red top ko pet se thoda upar hi tha, hath mai ek denim jacket thy jo sayad upar pehne ne ko li thy aur pairo mai sports shoes. Zara aur Anu dono aakar Rohan aur Viren ke samne khadi thy. Rohan ne navy blue shirt aur light brown jeans pehni thy. Zara bhi Rohan ko hi dekh rahi thy. Jesse hi Zara Rohan ke samne aakhadi huyi to Rohan to jeese nind se jag jata hai.Rohan : Zara tum bahut hot..I mean.. beautiful lag rahi ho...Zara (sarma kar) : thanksRohan : Ruhi kanha hai?Zara : apki behen bahut drama kar rahi bsi niche aane mai....Rohan : kyun?Anu : wo kya hai na bhabhi ne pehli baar yesi koyi dress pehni hai to....Rohan : yaar..rehne dete usse..jo pehne tha wanhi pehen deti..wo comfortable nahi hogi yese....Anu : oo come on bhai..mana liya hai maine dekhna ajayegi... Aur fir Viren ko dekh ke ankh mar deti hai aur paas jakar khadi ho jati hai. Tabhi saab ki nazar samne Ruhi per jati hai to saab dekhte hi reh jate hai. Lambe khule baal, pairo mai red heels, black off shoulder one piece dress, jo ghutne tak thy. Gale mai ek patli si chain, kano mai long earrings.Ek minute ke liye to Viren ki nazar bhi Ruhi le jaam gayi. Ruhi aake Rohan ke samne khadi ho jati hai.Ruhi : bhai kesi lag raha hun?Rohan me Ruhi ko gale se laga leta hai aur fir pyaar se uske sar ko chumte huye,Rohan : nazar na lage meri behen ko..bahut pyaari lag rahi ho..aaj to jaab Raj tujhe yese dekhega to..gaya wo kaam se ..fir saab hasne lagte hai. Fir ghar se saab nikal jate hai.Anu hi car chala rahi thy Viren uske sath bethi thy aur Ruhi piche. Rohan aur Zara unke piche ek aur car mai thy. Anu ne jesse hi address Raj aur Kabir ko send kiya to dono heran reh gaye. Ye wanhi club tha janha unhe apna mission complete karna tha to dono sath mai hi thy, aur jaldi se ye headquarter hi gaye thy inke mission ki jankari lene ke liye.(Kabir bhi secret agent hi hai per baas Raj hi janta hai, do mahine pehle hi Raj ke under Kabir ne join kiya hai)Kabir : kaam jaldi karna hoga.Raj : wo minister yanhi drug dealing karega to ham pehle wanhi kaam karenge.Kabir : han..ye dekh aagayi machli jaal mai.Raj : to chal pakadte hai...fir Kabir aur Raj ne mask laga kar ek kamre mai jate hai janha per bahut se smugglers, drug dealers, minister thy. Dono ko dekh kar saab ghabra gaye per jaab taak sambhal paate Raj aur Kabir me sabko shoot kar diya. Saab kaam khatam karne ke baad,Raj :Kabir call karke saab saaf karwa de..yesa lagna chahiye ki kuch hua hi nahi...Kabir : yes boss...Kabir ne apni team ko saab kuch samajha diya aur ye bhi bol diya ki minister ki laash ko uski car mai dalke usko road accident show karwa de.Idhar saab log club pahunch chuke thy aur ander bhi agaye thy. Baas Raj aur Kabir ka hi wait kar rahe thy.
Very nice update