ragish7357
MaSooM ReAdeR
- 2,877
- 11,116
- 158
Update 43Saab bahar aane ke baad, Raj Ruhi se,Raj : Ruhi Anu ko kya hua....raj ka ander ka gussa dekh ke to Ruhi ki wese hi siti puri ghum thy upar se Anu ki halat..tabhi Kabir bol padta hai,Kabir : wo usne galti se vodka pi li thy to behosh ho gayi.Raj : kya...aab kesi hai....Viren : thik hai Raj wo....Raj Viren ki baat sunke wo bhi thoda halka ho jata hai aur ghar chale jate hai sabhi aur raste mai hi Anu hosh mai achuki thy. Jaab ghar ke ander ghusse to Raj ne apni ghadi dekhi fir jaldi se kamre mai chala gaya. Kisi ko kuch samajh nahi aaya.saab udas hoke kamre mai jarahe thy ki Raj aake sidha Anu ke gale lag jata Anu ko wish karte huye,Raj : happy birthday beta ...Saab ki dimag ki bati ek sath jali saab ne time dekha to 12 baj rahe thy, saab ek sath happy birthday Anu chilane lagte hai, aur saab Raj aur Anu ko gale laga leta hai.Raj ne sab ko sone ke liye bhej diya aur Anu ko black coffee de ke kamre mai bhej diya, Anu jesse kamre ka darwaja band kar ke palti to Viren samne hath bandhe khada tha.Anu ko pata chal gaya ki aab uski class lagne wali hai to kisi choti bachi ki tarah dant khane ke liye sar niche karke Viren ke samne khadi ho gayi.Viren ki bhi dant suru ho gayi ho sarab ke liye thy, per Anu ke masoom chehra dekh ke Viren shant ho jata hai aur janamdin ki badhayi de kar usse gale laga leta hai.idhar Ruhi aaj Raj ka ye roop dekh kar dang thy, Ruhi ne Raj ko kabhi itne gusse mai nahi dekha tha. Rohan Zara se kuch baat karne aaya to Ruhi ko yese sochta dekh ke ruk gaya.Rohan : Ruhi tere har sawal ke jawab Raj ke paas hi milega.Ruhi (herani se) : k..kon se sawal bhai....Rohan : wanhi jo tere mann mai hai ja jakar baat kar le....Ruhi Rohan ko dekhne lagi,Rohan : uska gusse ka karan aab wanhi tujhe batayega..ja puch le jake....Ruhi : per apko kesse pata chala.....Rohan : behen hai tu meri bhale hi khun ka rishta na ho hamara per dil ka to hai na....Ruhi bhi aage badh ke Rohan ko gale laga leti hai.Ruhi : Raj sahi kehte hai aap sabse best ho sabse....Rohan Ruhi ke baato se hasne lagta hai, Ruhi jaldi se Raj ke kamre ki aur chali jati hai.Zara jo wanhi khadi hoke saab dekh aur sun rahi thy Ruhi ke jane baad Rohan ke gale lag jati hai.Rohan : aare..begam kuch to saram kijiye aagar apke bhaijaan aur mere sale sahab ne dekh liya to....Zara : Kabir bhaijaan kab ke so gaye apko pata hai na unko apni nind kitni pyari hai.Rohan : janta hu pura kumbhakaran hai mera sala....Zara : aye......Rohan : aab sala hai to kahunga na....fir dono hasne lagte hai.udhar kafi der tak Anu viren ki gale lagi rehti hai jaab Viren kuch bolne ko hua to Viren se dur haat jati hai.Anu dur hoke Viren ko ghurne lagti hai jesse keh rahi ho aab aur nahi please...per jaab Viren ke chehre pe aayi chot per dhyaan diya to Anu dard se tadap uthi.idhar jaab Ruhi Raj ke kamre aayi to Raj kuch kaam kar raha tha to Ruhi Raj ke paas beth usse dekhne lagti hai. Raj ne bhi Ruhi ko dekhke laptop ek side mai rakh diya aur beth ke Ruhi ko dekhne lagta hai. Kuch der baad Raj uthta hai aur jake darwaja band kar deta hai, Ruhi bhi khadi ho jati hai.Ruhi : apne darwaja khun band kiya?Raj : baas yese hi.agta hai tum kuch puchna chahti ho....Ruhi : han....Raj jake bed be beth jata hai aur apna shoe utarne lagta hai.Raj : hmm..to pucho kya puchna hai tumhe.Ruhi hath bandhe khadi ho gayi Raj ke samne kisi teacher ki tarah....Ruhi : wo saab khatha...itna gussa..wo MLA itna dara hua kyun tha aur sabse badi baat aap sabke samne apna pyaar jahir kar rahe thy, aur kisi ko itne gusse se marna....Raj Ruhi ki baat ko bich ka kaat te huye,Raj : wait..wait...mara nahi baas hath hi toda hai....Ruhi : han..han..wanhi..ye saab kya tha..ye pagalpan..Raj : ye Rajveer Singh ka gussa tha Ruhi..aur pagalpan jo bhi samajhi..per koyi yese hi akar mere bhai jesse dost aur hone wali biwi ko hath lagaye to mai ye saab seh sakta...kitne saalo baad tum mili ho tumhe mai baas phulo ki tarah sambhal ke apne paas rakhna chahta hun..mere ilawa koyi tumhe hath lagaye mai ye bardast nahi kar sakta.ye saab bolte time Raj ke chehre pe gussa tha, wo apni tie utar ke cupboard se kapde nikal ke change karne chala jata hai per Ruhi wanhi bethi sochne lagti hai.Ruhi (mann mai) : itna pyaar karte hai Raj mujse..per mujhe unhe samjhana hoga..itna gussa bhi thik nahi hai.tabhi Raj apna kapde badal ke bhi aajata hai aur Ruhi ke paas aake beth jata hai. Jaab Ruhi Raj ko dekta hai to,Ruhi : sar dard ho raha hai?Raj : han..per tumhe kesse pata.Ruhi : ye jo apki ankhe hai na bahut thaki thaki lag rahi hai aur apka chehra bata raha hai ki aaj thak gaye hai aap....Raj (thode sararat karne ka mood mai) : ooh..itne dhyaan se dekhti ho mujhe.Ruhi (chid ke) : to aur kisi ko dekhu.. chaliye..bethiye niche mai sar mai malish kar deti hun....Raj : nahi rehne do..mai thik hun....Ruhi Raj ko ankhe dikate huye : aap bethte ho ya nahi.Raj :. Ok..ok..beth raha hun..gussa kyun ho rahi ho...Raj niche beth jata hai aur Ruhi bed pe beth kar tel malish karne lagti hai, Raj ne apni ankhe band kar li.Ruhi : kal mai apne ghar ja raha hun wapis...Raj jaab ye suna to wo Ruhi ke taraf muud ke usko dekhne lagta hai.Ruhi : Raj aab aap aagaye hai to mai apne ghar jaungi wese bhi bhai ke kehne pe yanha rahi thy. Aab saab loog hai to yese acha nahi lagta.Raj : per Ruhi ye bhi to tumhara hi ghar hai na....Ruhi : hai hai to per shadi ke baad aur taab taak mai apne ghar mai hi rahungi. Aur papa sayad parso tak ajaye..to baat kar lijiye aur fir hamesha ke liye iss ghar mai ajaungi.Raj ne apna sar Ruhi ke goud mai rakh leta hai,Raj : han mai bhi yanhi soch raha hun..aab rehe nahi sakta tumhare bina....Ruhi : ye saab chodo mai jo puchne aayi thy uska jawab to mila nahi mujhe...wo MLA itna dara hua kyun tha...kya usse bhi pata hai ki aap undercover agent ho.....Raj : oo meri pyari dimag ki paidal Ruhi..mai kya sabki batata rahunga ki mai agent hun....Raj ki bato se Ruhi usse ghurne lagti hai.Raj : yanha meri ek aur pehchan bhi hai Rajveer Singh...jo aab Asia ka no.1 businessman hai aur yanha per har banda mere aage jhukta hi hai khass karke wo jo galat karte hai, kyun ki unhe pata hai mai nahi galat karta hun aur na hi seh sakta hun.Ruhi (herani se) : pata hai pata hai..aap bilkul kisi hero ke jesse baat kar rahe hai..wah..kya baat hai mere angry young man..per ek baat meri bhi sun lijiye alna gussa thoda kaam kariye...Raj : jo hukum rahi sahiba.....Ruhi : rani sahiba....Raj : han tumne hi Bangalore mai mere ghar pe kaha tha ki mai raja hun to tum meri rani......Ruhi haste huye : baate banani aagayi hai apko....Raj : aab tum sath ho to kuch to aayegi hi na..wese baate hi nahi aur bhi bahot kuch aagaya hai.Raj niche se uth ke Ruhi ke bagal mai beth jata hai aur usse sararat se dekhne lagta hai.Ruhi Raj ko dekh kar : kya..yese kya dekh rahe ho?Raj : dekh raha hun..tum..tum na....Ruhi : mai kya....Raj : tum..chalo chodo tum bura maan jaogi...Ruhi (gusse mai) : aab bologe....Raj : tum na thodi moti ho gayi ho..thodi si baas....Ruhi Raj ko pehle ghur ti hai fir marne lagti hai. Raj bhi usse bach ke bhagne lagta hai, pure kamre baas dono bacho ki tarah bhage ja rahe thy.kuch time yese bhag doud ke baad Ruhi thak haar ke sofe be beth jati hai aur Raj bhi aake sofe pe let jata hai Ruhi ke goud mai apna sar rakh ke. Fir dono ek dusre ko dekh ke hasne lagte hai....Ruhi ne Raj ko itna hasta dekh kar mann hi mann bahot khush huyi, fir niche jhuk ke Raj ke mathe pe kiss karti hai.Ruhi : yese hi hamesha haste rehna Raj aap bahot ache lagte hai...Raj uth ke beth jata hai Ruhi bagal mai,Raj : tum sath raho to hamesha hi yese rahunga...Ruhi bhi Raj ke kandhe per sar rakh ke : mai hamesha aapke sath rahungi.
nice update bro