• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
Update -2

Vikram :- mein wahi tha unke paas unka haath pakde huye unke ek acche bete ki tarah par unhone mujhe pehchana hi nahi.

Vikram :- unhone mujhe dekha hi nahi kyunki woh tumhe dhundh rhe the..

Vikram :- tumhe nahi lgta iss duniya mein lakhon jagah hai jaha hum rehna chahenge ?

Arjun:- aage badho phir maaro mujhe agar tumhe yeh accha mahsoos karata hai toh Maro mujhe mein y-yahi deserve karta hu aage badho.

Vikram :- Haan mein bhi yahi chahta hu (Vikram aage badhta hai phirse marne ke liye )

Tabhi unhe ek ladke ki awaaz thokti hai jo Vikram ka beta karan tha

Karan ( Dukhi swar me ) :- papa aur chacha Arjun aap fight kyu kar rhe ho mein andar se sun rha hu akhir chal kya rha hai ?

Arjun:- hum sirf baat kar rhe hai Karan

Vikram:- Haan karan tumhare chacha aur mein bas thodi bado wali baat kar rhe hai

Vikram :- andar jao beta hum aa rhe hai thodi der mein.

Karan Arjun ko dekhta hai uske gaal par ghaav tha

Arjun :- andar jao sab theek hai

Vikram :- andar jao ( Ungli undar dikhate huye)

Vikram andar chala jata hai Vikram sigh karke Arjun ko uthane ke liye Haath deta hai jise Arjun pakad ke uth jata hai

Vikram Wapis aangan mein Beth jata hai sharab glass utha kar bolta hai :- mujhe kisi ko phone karna hoga body uthane ke liye.

Vikram ek glass Arjun ko deta hai barf ki wajah se glass thanda tha Jo apne Gaal ke ghaav par lga leta kehta :- accha swagat tha

Vikram:- maaf karna chhote bhai mein tumhe pyaar karta hu tum jante ho hai na ?

Vikram:- Jo bhi yaha chal rha hai uski wajah se hua.

Arjun :- mein janta hu.

Vikram Glass pite huye :- tumhe lgta hai mein tumse jalta hu?

Arjun( thode gusse mein ):- nahi mein kuch bhi Aisa nahi sochta

Vikram :- Par mein sochta tha bohut saalon Tak.

Arjun usse dekhta hai

Vikram :- dekho Arjun tumne mujhse adhik kho Diya hai.

Vikram :- lekin shayad isse kuch accha nikal skta hai kyunki Hume tumhari yaha jaroorat hai samay aa gya hai bade hone ka

Vikram :- ab tum nahi bhag skte bilkul bhi nahi.....

Arjun kuch nahi bolta Vikram glass table par rakhta hai khade hokar kehta hai :- ab samay aa gya hai tum jimmedari lo.

Andar se Sandhya aati hai aur kehti hai :- Arjun

Sandhya (dukhi swar mein ) :- I'm sorry Arjun ye bohut hi dukhi samay hai ab sabke liye dad ka jana ( Gale lgte huye Arjun ko thoda Support dete huye )

Arjun:- shukriya Sandhya

Sandhya:- andar chalo tumhari maa ko tumhari jaroorat hai..

Sandhya Arjun ka Gaal dekh kar bolti huyi :- ye kaise hua

Sandhya Vikram ko dekhti hai jo sharab pee rha tha ( Sar hilate huye ) :- andar chalo.

Arjun ek baar Vikram ko dekhta hai andar chala jata hai..

Andar Sandhya Kaam kar rhi thi Arjun Ka manjhla Bhai Arun phone par baat kar rha tha shayad hospital walo se kitchen mein.

Arjun apni maa rekha ki taraf jata hai jo Karan ke saath baithi thi woh udas thi.

Arjun Jhuk kar Apna haath apni maa ke haath par rakh kar bolta hai :- maa

Isse pehle woh aur bolta uski maa Rekha usse thappad maar deti hai gusse mein :- kaha the tum?

Sandhya ko dekh kar dukh hota hai

Sandhya :- mene try Kiya maa mene koshish ki thi.

Vikram andar aata hai woh bhi dukhi tha aur pareshan

Arjun ki maa Arjun ko gale lga kar rote huye :- woh chale gye Arjun beta humesha ke liye humse durr.

Arjun:- woh ek acchi jagah hai maa.

Arjun ki Maa :- jyada der ke liye nahi tumhara Bhai Arun sab dekh rha hai.

Vikram ki beti priya Apne haath mein khaali gilas lekar Rajveer ke kamre se aa rhi thi kitchen mein chali gyi

Arjun :- toh ab antim sanskar kya plan hai ?

Sandhya :- Vikram ne tumhare pita ke jaane ke pehle kuch intezaam aur samjhote kar liye the...

Arun ( nirasa ke saath ):- Mein nahi kar paa rha phone call nahi lg rhi woh bol rhe Koi service nahi shayad network ka issue ho.. aur arun phone wapis rakh deta hai..

Priya apne haath mein paani ka gilas kitchen se lekar Jaa rhi thi Arun dekh leta hai..

Arun :- tumhe pyas lgi hai beta juice peena hai ?

Priya :- dada ji ka glass Khali tha unhe pyaas lg skti hai.

Sab log dukhi ho jate hai

Rekha Dukhi swar mein :- beti tumhe ab kabhi unka glass bharne ki jaroorat nahi hai,tumhare dada ji so rhe hai.

Priya :- nahi dadi dada jage huye hai...

Arjun aur sab chonk jate hai.

Priya glass lekar rajveer ke kamre mein jati hai Arjun chip kar dekh rha tha aur Priya light on kar deti hai jisme kisi ki parchhayi (Shadow) dikh rhi thi Jo khada hua tha

Arun arjun Vikram Sandhya aur rekha sab ek saath kamre mein jate hai arun aage tha woh sab dare huye the andar se gurrane ki awaaz aa rhi thi Arun priya ko pakad kar sabki taraf kar deta hai

Arun dheere dheere rajveer ki taraf jata hai jo khidki ki taraf mu kare huye tha woh gurra rha tha

Arun :- dad ye kaise possible hai ?

Arun apna haath Rajveer ke kandhe par rakhta hai rajveer Jo zombie infected ho gya tha woh apna mu arun ki taraf karta hai aur us par hamla kar deta hai.

Aaj ke liye itna hi agla update possible hoga toh Aaj hi post kar dunga
 
  • Like
Reactions: CrypticAura

skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
Update -4

[ 1 saal aage ]

Bohut se zombies ek Campfire ke paas Jaa rhe the.

Arjun telescope se dekh rha tha.

Sandhya :- jab woh campfire pahuche toh bta Dena Hume nikalna hoga.

Arjun:- Mene itne kabhi nahi dekhe ye kaise ho rha hoga?

Sandhya :- ye accha nahi hai hum kya karenge Arjun 2 saal se bhag rhe?.

Arjun phirse dekhta hai usse zombies ka jhund campfire ke paas pahuchta hua dikhta hai Arjun ko apni bottle aur torch zombies ke pairo ke neeche Todte huye dikhti hai.

Arjun:- Mene apni bottle aur torch Wahi gira di Sandhya Zombies waha pahuchne Wale hai.

Sandhya:- lagbhag kuch ghante hi hai chalo Hume aage badhna hoga bacche abhi so rhe hai.

Arjun ( saans lete huye) :- Haan

Sandhya aur arjun van mein baithne lgte hai aur gaadi start karke waha se aage badh jate hai.

Peeche ki seat par Priya aur karan so rhe the.

Sandhya :- dekhne se Aisa lgta hai jaise woh thodi jhund raftaar se badh rhe hai mujhe lga tha woh South West ki taraf badh rhe but ab mein sure nahi hu Arjun.

Sandhya :- jab bhi lgta hai thoda ruk kar hum so jate hai apna camp lgate hai unke guzarne ka intezar kare mujhe ye soch khai jati hai kya hoga agar hum phas gye toh.

Arjun :- woh aate hi jate hai.

Sandhya :- Woh dheere hote hai par ye bhi bohut bura hai.

Arjun :- mujhe lgta hai Hume kahi rukna chahiye, hum bohut der se chale jaa rhe hai.

Sandhya :- mujhe nahi samjh aa rha ye khatarnak bhi ho skta hai.

Arjun :- nahi hoga agar Hume koi surakshit jagah mil jaye.

Sandhya apne haath mein journal diary rkhti hai jisme woh apne vichaar likhti hai usne uss diary mein kuch likha aur rakh Diya.

Sandhya:- hum koi rasta dhundh lege.

Arjun :- hum humesha dhundhte hai..

Scene change hota hai ek bohut hi badi jagah jisme bohut se log the normal aur guards gun pakde Zombies ko hata rhe the uss jagah ke saath ek bohut hi bada gate badi diwarein thi uss par kuch log bandook lekar Khade the..

Kuch log uske aas paas khodne ki tayyari kar rhe the.

Ek admi uniform mein aata hai jaha ek aurat aur kuch log the.

Woh Admi:- Sab acche se ho rha hai mam gadde wall ke border par bn rhe hai jisse zombies ka jhund nuksaan naa pahucha paye.

Aurat ( cigarette ka kaash lete huye ) :- Aur jo kaam bola tha uska kya hua?

Woh Admi:- Raghu aur uske kuch admi gye hai supplies bhi lekar aayenge Aisa bola hai

Aur woh admi chala jata.

Ye kon the ye aage pta chalega.

Sandhya :- suno mein chupke se ciggerate peene wali hu ( dashboard se packet nikalti )

Arjun :- yakin nahi hota tumhare paas packet hai.

Sandhya :- grocery store mein mil gya tha isse pehle bhi log badh rhe the isse pehle ki unhe ye ahsaas hua ke unhe khaane ki jaroorat hai.

Sandhya ciggerate lete huye.

Arjun :- theek hai par jaldi karna mein nahi chahta tum baccho ko jaga do.

Sandhya :- hey chinta mat karo Priya ke kaano mein earphones hai aur karan so rha hai dekho koi nahi dekh rha.

Sandhya lighter se ciggerate jalati hai!

Sandhya ek kaas leti hai aur Arjun ki aur ciggerate karti hai.

Sandhya (ciggerate dete huye) :- chahiye?

Arjun ( ciggerate lete huye) :- Haan kyun nahi.

Arjun khaste huye.

Arjun :- hum bohut accha udarahan de rhe hai baccho ko.

Sandhya ( Khaste huye ) ab itna bhi karne ki jarurat nahi.

Sandhya:- jab mujhe pta chala tha Vikram ke bacche hai toh mene usse bol Diya tha mein jaisi hoon wese hi rahungi unke samne badalne nahi wali jab usne mujhe propose kiya shaadi ke liye tab mene usse yaad bhi dilaya Mein koi wese sauteli maa jaisi nahi hu mein alag hu.

Arjun ek eyebrow karke gaadi chalate huye sun rha tha
 
  • Like
Reactions: CrypticAura

skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
**Update -11**

---

Mein aur Shanaya ek chhote se gaon mein pahuche jiska gate thoda khula tha. Humare piche Vidya naam ki ladki, jo ghode par thi, bhi gaon mein daakhil hoti hai. Ajinkya aur uske beech thodi behas hoti hai.

**Ab aage...**

Vidya ghodsawari karte hue aage badh jati hai, aur Ajinkya humari taraf mudta hai.

**Ajinkya**: "Tum toh Shanaya ho naa? Is baar phir kuch samay tak rukne wali ho?"

**Shanaya**: "Nahi, jaise hi ye walkers aage nikal jayenge, main isse (meri taraf ishara karte hue) junkyard le jaane wali hoon, highway se durr."

**Mein**: "Meri family waha musibat mein phasi hai, thode bure logo se chhupi hui hogi..."

**Ajinkya**: "Abhi ye sab ka time toh nahi par mujhe afsos hai sun kar."

Darwaze ke bahar bohot se walkers dhakka dekar andar aane ki koshish kar rahe the, jisse darwaza hil raha tha.

**Ajinkya** (darwaze ko dekh kar): "Yeh jhund bohot jaldi aa gaya, mujhe aasha hai jitni jaldi aaya hai utni jaldi jaaye bhi."

**Ajinkya**: "Toh apne sar neeche rakhna aur koi musibat se dur rehna, theek hai?"

Shanaya aur main ek dusre ko dekhte hai. Main abhi bhi apne parivaar ke liye chintit tha, mere paas koi rasta nahi tha.

**Ajinkya**: "Diwaar ke dusri taraf bohot kuch ho raha hai, samajh rahe ho naa?"

**Mein**: "Hum shaant rahenge, hume bas ek jagah chahiye jab tak walkers chale jaaye, bas itna hi."

**Ajinkya** (sigh): "Theek hai, tumhe mil jayegi, main apni baat par kayam rahunga."

**Ajinkya**: "Aur main tumhe apne vichar badalne ki salaah nahi dunga agar tum apne daant bachana chahte ho, itna hi."

Ajinkya mud kar: "Ab andar chalo, mujhe aur bhi kaam hai."

Andar ek dusra bada darwaza tha jo thoda khula tha.

**Shanaya**: "Khair, WoodTown Community mein swagat hai."

Ye bolkar Shanaya aage badh jati hai, aur main uske peeche chalne lagta hoon.

Andar bade-bade road lights the aur bohot se mele jaisi chhoti dukane aur ghar the. Log aas-paas chal rahe the, ghode aur bohot se jaanwar bhi the.

**Shanaya**: "Yeh actually mein bohot badhiya jagah hai."

**Shanaya**: "Yeh jagah purani hawaii patti par bani hai. Logo ki baat karoon toh bilkul nahi banti."

Main logo ko dekh raha tha. Ek aadmi cigarette peete hue khaans raha tha, woh ek ghar se lag kar khada tha.

**Shanaya**: "Aamtor par main jitni jaldi ho sake utni jaldi andar aur bahar aa jati hoon."

**Mein**: "Hey, tumhari problem kya hai? Matlab kya koi purani baat jisse banti nahi ho yahaan ya kuch aur jo mujhe pata hona chahiye?"

**Shanaya**: "Zaroori nahi, bas mujhe pata hai ke log kaise kya karne mein capable hai..."

Main picche dekhta hoon. Woh lohe ka bada darwaza dheere-dheere band hone lagta hai. Main apni family ke liye pareshan tha, mujhe unhe dhoondhne jaana tha aur main yahaan haath par haath dhare kuch nahi kar sakta tha.

Shanaya ruk jaati hai aur mud kar mujhe dekhti hai. Main dukhi aur gussa tha apne aap se...

**Shanaya**: "Hey Arjun, kya hua?"

**Mein** (pareshan hote hue): "Mera parivaar abhi bhi wahaan hai unke beech..."

**Shanaya**: "Agar tum logo ne itne samay tak survive kiya hai, toh mujhe yaqeen hai woh log jaante honge unhe kya karna hai."

**Mein**: "Ummeed karta hoon yahi ho..."

**Shanaya**: "Chalo, iss taraf."

Aur main Shanaya ke saath chalne lagta hoon. Woh ek building ki taraf le ja rahi thi.

**Shanaya**: "Mujhe in goliyaan ke baare mein ek aadmi se milna hai."

Uss ghar mein ek club jaisa tha, jaha ek music chal raha tha aur bohot se log the andar.

**Mein**: "Oh my, maine aisi jagah nahi dekhi jab se... khair tumhe pata hai, purane dino ki tarah..."

Wahaan kuch log cards khel rahe the, ek ganja aadmi sharaab pee raha tha.

**Shanaya** usse dekh kar kehti hai: "Suno, mujhe ek kaam hai, yahin rehna..."

**Mein**: "Ruko, main kya karoon yahaan?"

**Shanaya**: "Mujhe nahi pata, kuch dost kyun nahi banate?"

Jaise hi Shanaya jaati hai, main aas-paas dekhta hoon. Bohot se plane ke tukdo se banaya gaya tha. Ek aadmi table par nashe mein so raha tha, aur ek table par chess rakhi thi.

Main chess mein interest nahi tha, Karan ko pasand tha.

Mujhe saamne club counter par do log dikhte hain jo kuch khel rahe the, unmein ek wahi ladki thi jo ghode par thi. Main unke paas jaata hoon.

**Mein**: "Excuse me..."

**Vidya**: "Ohh hi, tum phirse..."

Saamne wala aadmi, jiska naam Vishal tha, mujhe ghurta hai aur bolta hai...

**Vishal**: "Ek minute, mujhe aisa kyun lagta hai main tumhe jaanta hoon? Kya hum mile kahin?"

**Mein**: "Mujhe nahi pata, shayad..."

Vishal thoda sochta hai...

**Vishal**: "Kapoor? Arjun Kapoor..."

Main surprise hota hoon...

**Vishal**: "Iski keemat ye hai ki mujhe yaad aaya tum fixing mein phase gaye the, tum par lifetime ban laga tha. Ye toh bohot heart breaking hua hoga..."

Vidya mujhe dekh rahi thi...

**Vishal**: "Afsos, tumhara career accha, lamba aur accha hota. Shayad tum greatest all-rounder mein gine jaate. Tumhari century South Africa ke against bohot hi yaadgaar thi."

**Vishal**: "Jaise main dekhta hoon toh isme koi burai nahi betting lagana apne upar."

**Mein**: "Haan, woh ek example set karna chahte the, afsos woh bali ka bakra main bana..."

**Vishal**: "Maine toh sab newspaper mein padha."

**Vishal** baat badalte hue...

**Vishal**: "Anyway, main Vishal hoon, ye Vidya."

**Vidya**: "Ye jagah ye chalata hai, main iske paise udaati hoon."

**Vishal** (haste hue): "Ya shayad main tumhe khud jeetne de raha hoon."

**Vidya**: "Actually, agar tum fixing juaa type wale ho toh poker ho jaye..."

Vishal apne cards dekh kar: "Main raise..."

Vidya patte mujhe dikhate hue: "Kya kehte ho, kya mujhe call karna chahiye ya fold?"

Sure! Here's the scene rewritten in Hinglish with more intensity and detail:

---

Vishal apni kursi par aaram se piche hote hue halki si muskaan ke saath apne patte dekh raha tha. "Relax, yaar," usne dheemi, chedhti hui awaaz mein kaha. "Main jab bhi bluff karta hoon, log hamesha ulte phans jaate hain. Soch samajh ke khelna."

Main uski taraf dekhta hoon, uske self-confidence ke peeche chhipe emotions ko samajhne ki koshish karte hue. "Yeh bluff kar raha hai," maine apni awaaz mein thoda sa yakeen aur ehteyat laate hue kaha. "Uske chehre pe likha hua hai, woh yeh sab bas dikhava kar raha hai."

Vishal dheere se hans padta hai, uski hansi mein mazaak aur masti saaf dikh rahi thi. "Oh? Tujhe lagta hai tune mujhe pakad liya?" Uski aankhon mein ek sharaarat bhari chamak thi, jaise woh mujhe challenge kar raha ho. "Shayad... ya shayad yehi sach hai."

Vidya ek pal ke liye jhesakti hai, uski nazrein mere aur Vishal ke beech ghoomti hain. Tension kamre mein mahsoos ki ja sakti thi, jaise waqt ruk gaya ho, jab woh apna faisla karne ke liye soch rahi thi. Aakhir mein, uske chehre par ek mili-juli smile aati hai—thoda sa gussa aur thodi si curiosity. "Well, Arjun," usne kaha, "main tumhari baat maan rahi hoon. Call."

Vishal ki muskaan aur badi ho gayi, jaise usne game ka maza lene ki thaan li ho. Woh aage jhuk kar Vidya ki aankhon mein ghoorte hue bola, "Theek hai phir," uske shabd thrill se bhare hue the. "Dekh lete hain tumhara instinct kitna tez hai. Patte palat do."

Vidya ke haath thode se kanpte hain jab woh apne patte table par flip karti hai. Kamra jaise saans rok kar baitha ho, tension itni zyada thi ke lag raha tha jaise abhi kuch bada hone wala hai.
 
****Update -12 *****

**Vidya** apne patte flip karti hai, table par uske patte the: Jack of Diamonds (Gulaam Heera), 8 of Clubs (Aath Paan), 6 of Clubs (6 Paan), aur 8 of Clubs (8 Paan).

**Vishal:** "Wow, haath toh accha dikh raha hai, lekin utna khaas bhi nahi..."

Woh apne patte table par phekta hai: 6 of Hearts (6 Dil), 4 of Clubs (4 Paan), Jack of Clubs (Gulaam Paan), aur 4 of Spades (4 Chidi).

Kyunki Vishal ke paas Vidya se zyada matching cards the (do 6s aur do 4s jo Vidya ke 8 se zyada the), iss liye woh jeet gaya.

**Vidya** (gusse mein dheere se): "Damn it..."

**Mein:** "Sorry..."

**Vishal:** "Well, khelne ke liye shukriya. Main tumhare liye ek drink lata hoon, jo tumne madad ki uske liye..."

Vishal ek bottle uthata hai aur ice dal ke ek drink banane lagta hai. Vishal glass meri taraf badhata hai.

**Mein** (glass pakadte hue, uski smell karte hue): "Ahh, isse bahut gandi gandh aa rahi hai, kisi paint ke liquid ki tarah..."

Vidya aur Vishal haste hai.

**Vidya:** "Ye ek kamzor drink hai..."

Tabhi hume Shanaya ki zor se chillane ki awaaz aati hai jo kisi se uchi awaz mein baat kar rahi thi.

**Shanaya:** "Mujhse mudo mat, main tumse baat kar rahi hoon!"

**Mein:** "Shit, main baad mein baat karta hoon..."

Main Vishal aur Vidya ko kehkar Shanaya ki taraf jaata hoon.

Woh aadmi (Shanaya se): "Jab maine tumse kaha tha deal is deal aur woh ho chuki hai, toh phir baat karne ka kya matlab?"

Main waha chalkar Shanaya ke paas jaata hoon aur puchta hoon:

**Mein:** "Hey, kya hua? Yaha aakhir chal kya raha hai?"

**Shanaya:** "Ye jo aadmi yaha baitha hai, isne mujhe thag liya. Maine isse trade mein ek bada box diya tha jismein bahut saari batteries thi, aur isne mujhe bullets di jo fire nahi hoti."

Main us aadmi ko dekhta hoon jo cap pehne baitha tha, drink kar raha tha.

**Shanaya:** "Iski wajah se hum dono marte marte bache. Ye hume marwa deta."

Woh aadmi meri taraf dekhte hue: "Ohh, ab tum kaun ho? Iske bodyguard ya kuch aur? Main itni asaani se nahi darne wala."

**Mein:** "Isko bodyguard ki zaroorat nahi, ye apni raksha khud kar sakti hai, believe karo."

**Aadmi:** "Oh khair, tum prove bhi nahi kar sakti woh bullets maine trade ki thi."

Shanaya woh revolver uske sir par laga deti hai.

**Mein** (rokne ki koshish karte hue): "Shanaya, come on..."

**Shanaya:** "Ye jaanta hai bullets kaam nahi karti, dekho isse. Ye ghabra bhi nahi raha."

Shanaya trigger dabati hai, lekin gun se sirf thodi si chingari nikalti hai.

**Shanaya** (meri taraf dekhte hue): "Main iski bullets ki wajah se mar sakti thi."

Woh aadmi (sar hilate hue, sans chhodte hue, aur chaku nikalte hue): "Mujhe yakeen nahi hota."

Shanaya chillati hai, aur main mud kar dekhta hoon. Woh chaku se hamla karta hai, lekin main usse rok leta hoon. Uske chaku se mere sir par cut lag jata hai, aur main usse zor se kick maar ke uske pair par maar deta hoon, jisse woh jhuk jata hai. Phir main 2-3 baar ghutna maar ke usse couch par dhakka de deta hoon.

Woh aadmi (ghabrate hue): "De-dekho, sab shant ho jaate hai, huh? Tum pagal jaise behave kar rahe ho. Theek hai, main bhi kar raha tha, toh thodi bahut cheezein haath se aage chali gayi bas."

**Shanaya** (gun taan kar): "Mujhe woh do jo mera hai."

Woh aadmi (mujhse): "Oh god, dost, tumhe isse control mein lao, ye kahin kuch kar naa de."

Woh aadmi: "Ye koi tarika nahi deal karne ka."

Main usse ek punch maar deta hoon.

Shanaya meri taraf muskurati hai.

**Shanaya:** "Humne deal ki thi."

Shanaya apni gun ko kheenchti hai aur taan deti hai.

Woh aadmi (apni safai dete hue): "Theek hai, all right. Hum phirse trade karenge. Main tumhe batteries dunga dhund kar."

**Shanaya:** "Mujhe batteries nahi chahiye, mujhe chahiye bullets jo mujhe jinse meri jaan naa le."

Shanaya trigger daba deti hai aur bullet chal jati hai.

Shanaya aur main peeche ho jate hain. Woh gun us aadmi ke sar mein lag jati hai jo chair par tha.

Sab log goli chalne ki awaaz sun kar darr aur shock ho jate hai, woh us jagah ki taraf dekhte hain.

**Shanaya** (darte hue): "Oh no no no..."

**Vishal** (chillate hue): "Apni gun abhi phekho!"

Main darr ke us aadmi ko paas se dekhta hoon.

**Shanaya** (dheere se): "Tum ye bolna ki isne hamla kiya aur ye apni gun ke liye jaa raha tha."

Vishal aur ek aurat bhaag kar paas aate hain.

**Vishal** (zor se): "Maine tumhe warn kiya tha!"

**Shanaya** (safai dete hue): "Woh is par attack kiya isliye maine goli chala..."

Vishal usse tokte hue: "Bas, band karo isse! Tumne waise hi bohot baatein kar li. Feko usse." (apni shot gun hum par taan deta hai).

Shanaya gun zameen par phek deti hai.

Ajinkya bahar se gusse mein aa raha tha: "Bahar ek badi walker herd hai, tum sab yaha gun fire..."

Woh scene dekh kar ruk jata hai.

Ajinkya us aadmi ki laash dekhte hue jiske sir se khoon beh raha tha.

**Ajinkya** (shocked): "Kya hua yaha?"

**Shanaya** (aage aate hue): "Usne Arjun par attack kiya, okay? Ye sirf self-defense tha."

**Ajinkya:** "Enough, bohot hua tumhara."

Ajinkya meri taraf dekhte hue:

**Ajinkya:** "Kya isse shoot karne ki zaroorat thi?"

Shanaya meri taraf mud kar dekhti jaise keh rahi ho ki bolo "haan."

**Mein:** "Meri aankhon mein dekho dost, ye of course sach bol rahi hai. Usne isse pehle thag liya aur baad mein apni gun ke liye jaa raha tha. Woh mujhe shoot kar sakta tha agar ye nahi rokti."

**Shanaya** (thoda muskurate hue): "Dekha, ab khush ho?"

**Ajinkya** (thode gusse mein): "God damn it, main tum dono ko andar band karne wala hoon jab tak main samajh na loo mujhe tumhare saath kya karna hai."

Main aur Shanaya chonk kar:

**Mein:** "Woah, kya?"

**Shanaya** (thodi force smile dikhate hue): "Kya? Kya tum nashe mein ho? Kya tum mazaak kar rahe ho?"

**Ajinkya:** "Jitna ye sach hai, ab chalo."

Hum aage badhte hain, bagal mein bohot se log the. Vishal aur Vidya khade-khade hume jaate hue dekh rahe the.

**Vishal** (dheere se): "Jigar hai tum mein, mere bar mein aate hue aur bar ki dhajjiyan udate hue."

Ajinkya hume le ja kar ek pinjre jaise bade room mein band kar deta hai, lock laga kar. Room shayad janwar ke liye tha.

**Ajinkya:** "Mann karta hai tum dono ke bheje ki light bujha doon, lekin Eli ek gadha aur bewakoof, bohot hi kamina, chori ki list par pehle mein aata tha."

Ajinkya mere sar par chot dekhte hue, jo Eli se ladkar huyi.

Ajinkya:- mein kisiko iss ke ilaz ke liye bhej dunga.

**Main**: “Aur ab tumne mujhe in logon ke samne daal diya jo mujhe nahi jaante.”

**Shanaya**: “Main janti hoon aur thank you keh rahi hoon.”

**Shanaya** bura muh banakar kone mein baith jati hai.

Tabhi ek sweet voice sunai deti hai bahar se.

**Ek Ladki** bag lekar aa rahi hai.

**Ladki**: “Mera naam Natasha hai. Yaha doctor ke roop mein jani jaati hoon.”

**Natasha**: “Par Ajinkya kabhi-kabhi thoda zyada hi kar deta hai.”

Akhir ab Arjun kaise iss musibat se niklega aur kya ye jo nayi ladki entry Li hai Natasha kya uss par trust karegi kya ajinkya Vishal Vidya uski help karenge Jo hua uske baad yaa mamla Arjun aur Shanaya ke liye aur uljhega aur sabse bada sawal family Jo abhi junkyard mein trapped hai kya woh mil payenge dekhte agli update mein
 
Last edited:
  • Like
Reactions: CrypticAura

skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
******Update -13 ******

---

Ajinkya mere sar par lagi chot dekhte hue, jo Eli se ladte waqt uske chaku se lagi thi.

Ajinkya: "Main kisi ko yeh cut dekhne ke liye bhej dunga, ilaaj ke liye."

Ajinkya chala jata hai.

Shanaya: "Ah, thank you meri tarafdari lete huye. Waha jo bhi hua, main sure nahi thi, par tumne kaafi cool tarike se handle kiya."

Main: "Haan, aur ab tum par mera ahsaan hai, kyunki tumne mujhe un logon ke samne yaha daal diya jo mujhe jante bhi nahi."

Shanaya: "Main jaanti hoon, aur main thanks keh rahi hoon."

Shanaya bura muh bana kar mud kar kone mein baith jati hai.

Shanaya: "Aur haan, isse yeh mat samjhna ke hum dost ya kuch aur ban gaye hain."

Tabhi hume ek surili awaaz baahar se sunai deti hai, jo "hello" bolti hai.

Ek ladki, jo ek bag lekar aa rahi thi.

--

---

Shanaya zameen par let kar dusri taraf palat gayi thi.

Natasha (saans chhodte hue): "Mujhe accha nahi lag raha, ki main tumhara ilaaj ek cage mein kar rahi hoon, jaise tum koi jungli janwar ho."

Main: "Kya tum... bas, hume yahan se bahar jaane do."

Natasha: "Seriously?"

Main: "Dekho, tumne hi kaha tha, Ajinkya thoda overreact kar raha hai."

Natasha: "Main yahan sirf tumhare zakhm dekhne aayi hoon. Chalo, ab tumhara ghaav dekhti hoon."

Natasha ishare se mujhe baithne ke liye kehti hai. Main baith jata hoon, aur woh mere sar ki chot dekhne lagti hai.

Natasha (zakhm dekhte hue): "Haan, usne acchi tarah mara hai. Isko daba ke rakho."

Natasha ek rumaal lagati hai, jisse mujhe dard hota hai.

Natasha (rumaal lagate hue): "Kyun, hamesha akhir mein sundar log hi sabse zyada musibat paida karte hain?"

Natasha neeche se tool kit uthate hue: "Aadha sundar looks, aur aadha bura vyavhaar, jaisa kuch."

Main (muskurate hue): "Haan, yeh jaanne ke liye ek sundar musibat paida karne wale se milna padta hai."

Natasha meri taraf dekhte hue: "Ek kya? Kiske baare mein bol rahe ho?"

Main: "Ek sundar, pareshani paida karne wale log."

Natasha (hass kar): "Sahi kaha, iske liye tumhe marks jaroor milenge."

Natasha aur main Shanaya ki taraf dekhte hain, jo humari taraf peeth kiye so rahi thi.

Natasha: "Sab keh rahe hain, isne usse maar diya, cold-blooded murder jaisa."

Natasha: "Agar bura na lage, toh bata sakte ho kya exactly hua tha? Kya sach mein yeh dono behas kar rahe the aur yeh gusse mein aayi, bina kisi baat ke pagal ho gayi?"

Main: "Yeh uski kismat mein tha. Mera bharosa karo, jo bhi bolo tum, karma ya justice, uss ghatiya insaan ke saath yahi hona tha."

Natasha: "Theek hai, jo tum kaho. Sabse acchi baat yeh rahegi, ki tum dono is town se chale jao, apne group ke paas."

Natasha rumaal se zakhm saaf karte hue bolti hai.

Main: "Aaj shaam ko hum par attack hua."

Main: "Hum chaar the."

Natasha (dukhi hote hue): "Oh shit, I’m sorry. Agar main kuch madad kar sakti hoon, toh batao. Tumko dene ke liye utna kuch nahi hai, phir bhi..."

Natasha: "Main parivaar ko khone ke baare mein ek do baatein jaanti hoon."

Main: "Hey, it’s okay. Tumne jo kiya, kam nahi kiya."

Natasha: "Main tumhari baatein sun rahi hoon, par..."

Ajinkya (door se aate hue): "Natasha, tumne kaam kar liya?"

Natasha: "Bas ho hi gaya."

Natasha jaldi se stitches lagane lagti hai.

Natasha apna kaam khatam kar deti hai.

Ajinkya: "Alright, hum yeh karne wale hain, ki main tumhe khud drive karke junkyard le jaunga, phir tumhe gaon se bahar kar dunga. Phir koi nahi keh sakta, ki maine kisi ke saath sahi nahi kiya."

Ajinkya: "Kyun na tum dono yahin so jao, aur socho tumne kya galti ki. Mera samay aur meri shartein, samajh gaye?"

Main: "No, bilkul nahi. Mujhe abhi road par wapas jana hoga, ASAP."

Ajinkya: "Arjun, main koi baat-cheet nahi karne wala."

Natasha: "Ajinkya, mujhe nahi lagta yeh intezar karne ka samay hai. Arjun ke logon ko medical help ki zaroorat padh sakti hai." (Apni taraf ungli karte hue.)

Ajinkya: "Nahi, bilkul nahi. Main tumhe phir se is tarah ke danger mein nahi padhne dunga."

Ajinkya chala jata hai.

Natasha: "Yeh tumhara decision nahi."

Natasha meri taraf mud kar: "Dekho, shayad ek doosra rasta hai. Yahan ek pichla gate hai, jo airfield ke paas hai. Hum use zyada use nahi karte, lekin hum wahan se nikal sakte hain."

Main sochta hoon.

Natasha: "Jhund se bachkar nikal sakte hain, phir jaldi se junkyard pahuch jayenge. Agar tumhari family ko help ki zaroorat hogi, toh main tumhare saath rahungi."

Main: "Lekin yeh bahut risky hai. Kya ho agar walkers hume gher le?"

Natasha (tokte hue): "Don’t worry, main theek rahungi."

Shanaya uth kar humari conversation sunti hai.

Natasha: "Anyway, mujhe abhi kuch patients ko dekhne jaana hai, toh is baare mein socho. Main ek ghante mein aaungi."

Natasha chali jati hai.

Shanaya: "Pata hai, maine kabhi nahi socha tha, iske andar yeh gunn bhi hain."

Main: "Haan, Natasha mein kuch toh baat hai."

Shanaya: "Baat yeh hai, ki shayad yeh ajeeb lage, par main Ajinkya par Natasha se zyada trust karti hoon."

Main Shanaya ki baat sunta hoon, lekin mujhe meri family ke alawa kisi aur ki koi parwah nahi thi. Mujhe bas unke paas jaana tha.

Main: "Hum aaj raat ko Natasha ke saath nikal rahe hain. Agar hum kuch minute pehle bhi pahuch gaye, toh yeh accha hoga."

Shanaya: "Thik hai, alright, I'm in."

Shanaya (muskurate hue): "You know, jab main tumse pehli baar mili thi, toh mujhe laga tha, tum bhi sab ki tarah ek a*****le hoge."

Main: "Aur agar yaad karo, jab hum pehli baar mile, toh tum mera sar udane wali thi."

Shanaya (hass kar): "Yeah, shayad maine sahi call liya."

Main: "Lagta hai, Natasha ko aane mein thoda time hai. Tab tak thodi der ke liye so lete hain..." (Chhote se palang ki taraf ungli karte hue.)

Shanaya: "Accha plan hai, main thaki hui hoon."

Shanaya baith jati hai.

Main: "Main lamp bujha deta hoon."

Main lamp bujha deta hoon, aur zameen par let jata hoon. Letne se pehle main Shanaya ki taraf dekhta hoon.

Shanaya kuch sochti hai...

[Flashback]

Ek ladki, ek chhote se bacche ko apne peechhe latkaye railway track par chal rahi thi.

Usse ek rabbit bagal mein dikhta hai, woh ladki apni gun uss par point karti hai, lekin baccha usse bol kar bhagwa deta hai.

Ladki: "Ohh Rudra, woh humara khana tha! Tumhe bhook nahi lagi?"

Ladki: "Humare paas khana nahi hai, Rudra, hum bhookhe mar rahe hain. Main bhookhi mar rahi hoon."

Woh rabbit phir se dikhta hai. Ladki uska peecha karte hue, ek do car ke paas rukti hai...

--- Ye ladki kon thi flashback mein akhir woh baccha kon hai aur kya natasha Arjun ki help kar payegi yaa phir mamla aur sangeen hone wala hai ?
 
Last edited:
  • Like
Reactions: CrypticAura

skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
***** Update -14 *****

-----

Shanaya car ka gate kholti hai aur Rudra ko peeche se utarkar seat par baitha deti hai.

Shanaya: "Rudra, yahin raho jab tak main humare liye kuch lekar aati hoon, okay?"

Rudra rone lagta hai.

Shanaya: "Chalo bhi, ab batao, tum samjhe ya nahi?"

Rudra kuch nahi bolta.

Shanaya: "Please, humein iski zaroorat hai, Rudra. Humein khana chahiye, tumhe brave banna hoga, okay?"

Shanaya door band kar deti hai. Rudra rote hue usse jaate hue dekhta hai.

Shanaya apni gun nikalti hai...

Usse phir se rabbit dikhta hai. Woh aim point karti hai, lekin dusra rabbit, jo chhota tha, uske samne aa jata hai.

Achanak walkers ki ghurrane ki awaaz badhne lagti hai.

Shanaya: "Rudra!"

Shanaya jab car ke paas wapas pahunchti hai, toh dekhti hai ek walker car ke sheeshe ko peet raha hai aur bohot se walkers aa rahe hain.

Shanaya chillate hue: "Usse dur raho!" Aur gun taan deti hai.

Woh unn walkers ko shoot karne lagti hai. Jaldi se bhag kar car ka door kholti hai aur Rudra ko uthati hai. Lekin ek walker aa jata hai, door ko dhakka deta hai, jisse Shanaya aur Rudra neeche gir jate hain, aur Shanaya ka haath door mein fas jata hai, jisse usse dard hota hai.

Shanaya dard mein thi, wahi Rudra peeche neeche gira ro raha tha. Walker dheere dheere paas aa raha tha. Shanaya ek haath se pathar uthati hai aur walker ke sar par do baar marti hai.

Shanaya (dard mein rote hue): "Ohh, fuck... god, ahh!"

Dheere se handle pakadti hai aur darwaza kholti hai, jisse woh peeche neeche chila kar gir jati hai.

Jab woh apne haath ko dekhti hai, toh uske haath ki chhoti ungli tooti hui thi aur khoon beh raha tha.

**Scene Change**

[Present]

Shanaya apna haath dekh rahi thi, jiski ek ungli aadhi gayab thi.

Suraj aa chuka tha. Main, Natasha, aur Shanaya ghode par raste par the.

Natasha: "Subah ho gayi, pakka Ajinkya bohot zyada naraz ho raha hoga..."

Main: "Kya lagta hai, woh tumhare saath kya karega?"

Natasha: "Ohh, nothing... bas thoda bohot chillayega. Main aur Ajinkya pehle thoda close the..."

Natasha: "Aisa laga jaise paanch minute mein hi sab khatam ho gaya, lekin woh kabhi move on nahi kar paya."

Main: "Rishte bohot tezi se badalte hain, par woh kabhi complicated nahi ho pate."

Natasha: "Lagta hai tumhare mann mein kuch chal raha hai, ya koi hai..."

Shanaya: "Guys, woh rahi jagah."

Samne junkyard tha.

Main: "Haan, yahi hai..."

Andar se dhuaa dikh raha tha.

Main (chintit): "Ohh shit, nahi nahi, please..."

Hum log ghode se junkyard ke bahar rukte hain aur utarne lagte hain.

Main: "Guns bahar nikal rakhna."

Natasha: "Agar tum zor de rahe ho toh..." (Natasha apni badi gun nikal leti hai.)

Main andar ki taraf dakhil hota hoon, waha bohot se walkers ki bodies thi, neeche cheezein tooti thi.

Shanaya: "Oh my, lagta hai 100 se zyada the yaha..."

Main: "Sandhya mushkil mein acchi hai, woh jaanti hai ki usse kaha kya karna hai, shelter kaise lena hai."

Shanaya: "Woh kya hai?"

Neeche kuch padha tha, main usse jhuk kar lene ke liye badhta hoon, ki tabhi ek walker jo door ke neeche uske thode paas tha, woh ghurrane lagta hai, haath pair maar kar nikalne ki koshish karta hai.

Mujhe ek hathiyar padha hua milta hai, main usse uthata hoon aur walker ke sar mein ghusa deta hoon, phir wapas nikal leta hoon.

Us cheez ko uthata hoon...

Main: "Yeh toh... yeh toh Priya ka music tap player hai..."

Main (chilla kar): "Priya! Priya, kya tum yaha ho?"

Tabhi ek tooti gaadi ke peeche se Priya nikalti hai.

Priya: "Arjun!"

Aur woh bhag kar mujhse gale lag jati hai.

Main: "Oh my God, tum safe ho, mujhe yakin nahi hota..."

Priya: "Tumne bola tha chhupne ke liye, maine wahi kiya jo tumne bola..."

Priya: "Apne aap ko band kar lena, aur bahar nahi aana, tab bhi jab sab shaant ho. Yeh mere dimaag mein chal raha tha loop mein. Mujhe toh yeh bhi yaad nahi kabse waha thi."

Priya: "Jab maine tumhari awaaz suni, toh mujhe laga main hallucinate ho rahi hoon."

Main usse dekhte hue: "Unhone tumhe hurt kiya? Kya tum theek ho?"

Priya: "Isse pehle woh mujh tak aate, main chip gayi thi. Main theek hoon, sach mein."

Main: "Sandhya aur tumhara bhai kaha hain, woh?"

Priya: "Hum alag ho gaye the, jab bohot se walkers yaha aane lage..."

Priya: "Sandhya ne zor se bola tha, woh log koshish karenge van tak pahuchne ki."

Main: "Toh phir woh wahi gaye honge..."

Natasha: "Chalo, tumhare bhai ko laate hain, sweetie..."

Main samne thodi dur par dekhta hoon, van ek cheez se takraayi thi, usme se dhua nikal raha tha.

Main: "Oh no..." (main andar jhank kar dekhta hoon) "Nahi, unka koi sign nahi... unhone isse aise dekha hoga, aur woh kahi aur chale gaye honge chipne ke liye..."

Tabhi kisi cheez ki kadkad ki awaaz aati hai...

Main: "Sandhya?"

Hum sab bhag kar dekhte hain...

Sandhya ek truck ke andar thi aur walkers usse ghere huye the...

Woh usse chalu karne ki koshish kar rahi thi...

Priya: "Woh usme trapped hai..."

Main haath dikha kar usse rokta hoon.

Main: "Nahi Priya, peeche raho."

Natasha gun load karne lagti hai...

Main: "Nahi, koi shoot nahi karega."

Shanaya: "Woh sahi keh raha hai, agar hum fire kiya, toh shayad woh humari taraf aayenge, aur gunfire sun ke aur bhi aayenge..."

Hum sab dheere aage badhte hain. Ek walker hume dekh kar humari taraf aata hai.

Main icetool se ek ko marta hoon, phir dusre ko. Theek waise hi, Shanaya aur Natasha apni guns ko ulta karke sar par maar rahi thi. Hum truck ke paas pahuchte hain, main bagal mein dekhta hoon, ek walker Natasha ka haath pakad raha hai aur kheenchne ki koshish kar raha hai. Main uske sar mein marta hoon.

Ek walker truck ka darwaza kholta hai, lekin Sandhya darwaza band kar deti hai, jisse walker ka sar usme lag jata hai aur phat jata hai...

Sandhya: "Arjun, tumne humein dhoond liya..."

Woh truck se bahar aati hai, dagmagati hai. Main usse pakad leta hoon.

Arjun: "Hey, it's okay, main aa gaya, I got you..."

Sandhya meri aankhon mein dekhte hue: "Happy ho mujhe dekh kar?"

Main: "Happy hoon tum sab ko dekh kar... thank God tum sab theek ho..."

Sandhya: "Well, agar kuch der late aate, toh shayad nahi hote... par tumne dhoond liya, bas jab zaroorat thi tab."

Main: "Haan, woh khair, ye sab chhodo..."

Karan bahar aa kar Priya ke gale lag jata hai.

Karan: "Main... main tumhare peeche aane wala tha, sach mein, main chahta par..."

Priya: "Tumhe iske liye apna thuk mere shirt par lagane ki zaroorat nahi gandi karna band Karo ye meri favourite hai."

------
 
Last edited:
  • Like
Reactions: CrypticAura

Shetan

Well-Known Member
14,264
37,845
259
shayad ye story yaha ke liye naa ho koi nahi 2-3 updates post karke aur dekhta hu mene sirf account horror stories ke liye bnaya hai sci-fi Horror action Jo mujhe nahi lgta idhar ki audience ko shayad pasand naa aaye well let's see
Bhai aapne horror story likhne ka socha hai but story carecters ko indian hi rehne do aur ye zombie vagera rahne do
Horror likhne ke lie jigar chahiye. Mera matlab dar se nahi. Yaha horror formet ko redars bahot hi kam milte hai. Magar name kamana he to consept par achhe se kam karte jao.

Ya to kalpna likho. Ya fir reality. Me dono par kam kar rahi hu. Aur sirf horror hi likhti hu.

Aap koi movie dekhoge. Aur padhoge dono me bahot difference hota hai. Ek hi story dono tarike se kuchh aur hi feel karwaegi.

Kai log movies ya web series dekh kar excited ho jate hai. Aur us consept par likhna shuru kar dete hai. Lekin vo dekhi hui chij jitni excited hoti hai. Padhte wakt utni hi boring bhi hoti hai.

To horror likhne ke lie best of luck.
 
skilletsurgeorg

Ethan Hawkins ❤️‍🔥
65
60
19
Bilkul sahi kaha! Horror likhna ek alag hi challenge hai, aur usme maza tab aata hai jab apne unique concepts par kaam karo. Aur haan bilkul, movie aur story padhne mein farq hota hai, har medium ka apna ek andaaz hota hai. Main bhi horror mein kaafi interested hoon, so yeh journey interesting hogi. Thanks for the encouragement, and best of luck to you too!
 
Top