Update::1
**********
*******************************************
Isles of Scilly....island of united kingdom
*******************************************
Isles of Scilly island par aaj ek baar firse bhagdad machi hui thi....
james(monkey) aaj fir bekaabu ho gaya tha.. pehle ki nisbat james ki condition is baar bohat hi zayada hi bhayankar thi... aaj james khoonkhar ho chuka tha... ab takk james 40 ke kareeb logon ko maar diya tha. aur ye james ke hathon hone wala pehla aisa waqia tha.. jabb james ne khud par kaabu khote hue insaani khoon bahana shuru kiya tha...
warna isse pehle kai baar james bekaabu hua tha, parr kabhi kisi ke liye aise khoonkhar nahi hua tha, james ko is month ki sabse heavy dose di gai thi. aur use behosh karke zanjeeron se bhi baandha gaya tha. lekin dose milte hi james hosh me aa gaya. aur zanjeeren tod kar pahadon me bani underground lab ke sabhi darwaaze todta hua lab se bahar nikal bhaaga..
james aaj bilkul hi pagal ho chuka tha, aur uski raah me aane wala har ekinsaan marta ja raha tha..
james ko rokne ke liye guards ne goliyon ka nishana banana chaha to un sabb ko aisa karne se rok diya gaya.
james apni raah me aane wale sabhi logon ka khoon bahata hua sahil ki taraf bhaagne laga. aisa aaj se pehle kabhi bhi nahi hua tha. james par kuch hi percent ka experiment adhura rehta tha,
jis waja se james kabhi kabhi bekaabu ho jata tha. lekin itna pehle kabhi nahi hua, jitna aaj james ne kar dikhaya tha.. poori lab me maut ki si khamoshi chhai hui thi, aur har koi ek doosre ko dekhne me laga hua tha, koi bhi kisi se kisi kisam ki koi baat nahi kar raha tha... bass sabb ki hi ankhon me james ke aise bekaabu hone ko le kar hi vichar dikh rahe the....
itne me hi ek admi apne sath kuch guards ke saath lab me maujood scientists ke saamne aa khada hua...
aane wala ek rich person tha aur usne ye lab apne khud ke paison se banwaai thi.
aur guzre kai saalon se is lab me bandron par experiment karke unhe human banaye jaane par research ki ja rahi thi..
500 bandron me se sirf james hi ek aisa monkey tha jis par experiment successfull raha tha.. lekin aaj jo kuch bhi ho raha tha, kisi ko bhi is baat ka gumaan tak nai tha. james itna ghatak bhi ho sakta hai, kisi ne socha tak nahi tha.
rich person name is nicolas..
nicolas aate hi sabb ko ghoor kar dekhne laga.
nicolas:- abb sabb hi ek doosre ka mohn dekhte rahuge ya koi solution bhi hai tum logon ke paas. jitne log maare ja chuke hain, uska zimma-daar kaun hai, uspar baad me main baat karunga main. abhi james ko kaise kaabu karna hai, uspar discuss karlen.
nicolas bohat hi ghusse me bola. warna aaj se pehle nicolas apne scientist ke saath hamesha hi achhe bartaao me hi baat kiya karta tha, lekin aaj baat insaani khoon ke behne ki thi, isliye nicolas ghusse me aa gaya tha..
security incharge:- sir, james sahil ki taraf badh raha hai, aur usay rokne ke liye hum kuch nahi kar paa rahe..
nicolas:- (cheekhta hua) to usay sahil ki taraf jaane se roko, agar wo hamare hath se nikal gaya to, jaante ho wo kya kar sakta hai, he is not only an monkey, he is an brilliant brain, wo aadha insan aur aadha monkey hai, abhi jaisi uski condition hai, wo tabahi macha dega har taraf, aur main is sabb ke jawab prime minister ko nahi de sakta, aaya kuch samajh me ya fir se dohraaon, mujhe har haal me james isi island par chahiye, wo kisi bhi haal me bhaagna nahi chahiye, poore sahil ko khali karwa do aur boats ko samandar me le jaane ko bol do ... koi bhi boat sahil samandar par na dikhe ... understand.....
security incharge:- yes sir........
itna bol kar nocolas apne guards ko le kar chala gaya. lekin jaane se pehle ek baar firse scientist ko saari detail dene ko bola .....
aur security incharge james ko rokne ke liye intezam karne me lag gaya......
*********************************************************************************
Location: somewhere in london
*********************************
underworld maafia headqaurter
********************************
ek room me ek badi table ke ird-gird 12 bande baithe huye the, aur unke saamne table par ek transmitter rakha hua tha.....
un 12 me se ek boss tha, jo sabb se badi chair par sabke saamne baitha hua tha,
aur transmitter par jo bhi baat honi thi, ya karni, wo usi boss ne hi karni thi, aaj boss samet sabhi ke chehre chamak rahe the, aur ek josh sa sabb ke hi chehre par dikh raha tha, aaj unke saalon pehle phelaye gaye jaal ka result nikalne wala tha,
kuch der baad transmitter par tone baji aur boss ne ek button daba diya, doosri side se ik awaz sunaai dene lagi...
awaz:- hello hello boss are you lestning me....
boss:- haan jackie main tumhe sun raha hoon, batao kya report hai...
jackie:- sir aapke bhijwaye gaye injection ko maine aaj james ko diye jaane wale injetion se badal diya tha, aur sir result aap ke andaze ke ain mutabiq hi nikla, james aaj bekaabu hi nahi hua, sir usne kai logon ko jaan se bhi maar diya hai, aur sahil ki janib badh raha hai...
boss:- good jackie main tumse bohat khush hoon, tumne aaj bohat hi achha kaam kiya hai, abb tum bhi wahan se nikal aao, abb tumhara kaam khatam ho gaya hai wahan par. to khud ko safe rakhte hue hamare paas pohncho...
jackie:- jee sir..
connection disconnected..
jab tak baat hoti rahi tab tak table ke gird bethe baaki 11 bande bohat hi zayada purjosh ho kar apne boss ki baatein sun rahe the.....
1 person:- contratulation boss..... akhir hamara saalon ka intear khatam hua..
boss:-(serious) congrats baad me karna pehle james ko sahil parse laane ka intezam karo. aur kisi kisam ki koi galti nahi honi chahiye.....
sabhi:- ok boss.. hum koi bhi galti nahi karenge.....
ye bol kar sabhi tezi se bahar ki taraf nikal gaye... aur boss aage kisi ko james se related info dene laga.....
*********************************************************************************
jackie jaise hi underworld ko sabb bata kar free hua. to security incharge ne use dhar liya. jackie ne inacharge ko dekh kar apne coat ki inner pocket se pistol nikala, jackie incharge ko jaan se maar dena chahta tha, lekin incharge bhi jackie se kamm nahi tha, incharge ne jackie ke pistol wale hath par goli chala di, aur jackie apne hath ko pakde cheekhne laga, goli chalne ki awaz se sabb wahan jama ho gaye, aur incharge ko dekhne lage, k incharge ne jackie ko goli kyun maari.. lekin kisi ne poochha nahi..
aur waise bhi incharge kisi ko kyun batata, jo kuch usne suna tha, us hisaab se yahan aur bhi jackie se mila hua ho sakta tha...
incharge:- (dusre guards se) ise nicolas sir ke paas le kar chalo...
*********************************************************************************
usi lab ke bade se room me nicolas ek chair par betha apne saamne jackie ko ghure ja raha tha...
aur jackie ke chehre par paseene ki angint boondein chamakne lagi theen. jackie samajh gya tha, k uska khel khatam ho gaya hai, abb use bachane wala is poore island par koi nahi hai, jackie samjh gaya tha, abb uski maut bohat hi bhayanakar hone wali hai, jackie aane wale samay ko bohat hi achhe se samjh raha tha..
nicolas:- jackie tumne aisa kyun kiya, tumhe batane ki zaroorat nhi hai, hamare is project par poori dunya ki nazar thi, agar tum bhi bik gaye, to ye koi badi baat nahi hai, agar tumhe paisa hi chahiye tha, to tum mujhe bol dete, jitna kehte utna main tumko de deta, desh ka paisa hamare liye hi to hai, lekin tumhe apne hi desh se gaddari nahi karni chahiye thi, tumne thode se paison ke liye apne hi desh ko aik khatre me daal diya hai, aur apne hi desh ke saalon chal rahe project ko tehs nehs kar diya, sharam to tumhe aaye gi nahi, isliye tujhe sharminda karne se mujhe kuch bhi hasil ni hoga, tumne apne hi watan se gaddari karke apne liye maut to likh hi di hai, lekin agar tum chaho to marne se pehle thodi si desh ki seva kar sakte ho, haan agar tumhara dil maane to, warna main tumse kya keh sakta hoon.
jackie ke mohn me hi ek daant ke neeche Cyanide poison chupa hua tha, wo cyanide posison apni torture wali maut se bachne ke liye usne pehle se hi rakha hua tha, jis tarha ka kaam jackie kar raha tha, usme har pal maut thi, abb se kuch der pehle jackie ne soch liya tha, k jaise hi uspar torture shru hoga, wo suicide karlega, lekin khud ko torture cell me nahi jaane dega......
lekin nicolas ki baaton ne jackie ko jhanjhod kar rakh diya tha, sach hi to tha,
k usne paison ke liye apne hi desh se gaddari kar di thi, wo ek kaabil scientist tha, lekin laalach me aa kr usne bohat badi galti kardi thi, abb usne suicide karne ki bajaaye apne kaale ho chuke dil ko marrne se pehle kuch saaf karne ka socha.
jackie ke chehre ke badalte hue expression ko dekh kar nicolas samajh gya, k uske badle hue attitude ki waja se jackie uske saamne khulne wala hai, nicolas jitna khatarnaak tha, utna hi apne brain ka use karne me bhi mahir tha, nicolas ne lafzon ka chunaao hi aise kiya tha, k jackie ko apni galti ka ehsaas bohat hi achhe se ho gaya tha,
jackie:- sorry sir, mujhse bohat badi galti hui hai, lekin abb jitna ho saka, main apni galti ko sudharne ki koshish karunga....
nicolas:- hmmmmmm theek hai, to fir james ke liye jo injction tumne exchange kiya hai, uske bad effects aur other effects bataao, kuch bhi aisa nahi rehna chahiye, jo baad me hamare liye aur hamare desh ke liye ghatak ho, tum samjh rahe ho naa, main kya keh raha hoon, james ke khatar-naak roop ko leke socho, k wo kitne hi logon ko maar chuka hai, aur bhi najane kitne logon ko maar dega, un masoom logon ke baare me socho, isse zayada main aur kya kahu jackie tumse....
itna bol kar nicolas ne jackie ka kandha thap-thapa diya...
jackie ne fir nicolas ko sabb bata diya, nicolas ne wo sabb apne saamne rakhe hue ek recorder me safe kar liya...
nicolas:-(smile) good jackie, galti ho hi jaati hai insaan se, lekin agar sahi waqt par use sudhar liya jaaye to achha hota hai, khud ke liye bhi aur apne desh ke liye bhi, kuch aur bhi hai kehne ko to wo bhi bata do, warna hamare desh ke masoom log maare jayenge ...........
jackie:- nahi sir, iske siwa aur kuch bhi nahi hai batane ko..
nicolas:- sach me hi tumne sabb bata diya hai naa, firse soch lo ek baar...
jackie:- nahi sir, i am sure, main sab hi bata chuka hoon....
nicolas ne apne ek admi ko ishara kiya, us admi ne wahi khade khade apni gun se ek fire kiya, aur jackie hilne ki taqat kho baitha, jackie ko lagne wali goli se jackie 1 second me hi coma jaisi condition me chala gaya tha, jackie abb apni marzi se marr bhi nahi sakta tha ..............
nicolas:- ise le jaao aur dekho iske paas kuch aisa waisa to nahi hai....
nicolas ke guard nicolas ki baat samjh gaye, aur jackie ko le kar chale gaye..
nicolas uth kar ek room me gaya aur poore island par lage hue cameras ko check karne laga.. wo kisi bhi haal me james ko is island se jaane nahi dena chahta tha.
**********************************************************************************
Isles of Scilly
*************
17 kilometer par phela hua ye island... jahan saalon se chal rahi ek research...
Monkey VS Human
********************
nicolas ne khud ke kharche par ek lab banwaai, uske mann me ek vichaar aaya, k monkey par eperiment karke use human bana diya jaaye.. kya aisa karna possible hoga.....
nicolas ek storng will power ka insaan tha, uske mann me baat aai, aur fir usne jitna ho saka is par kaam karna shuru kar diya, human research par jitne bhi scientist uske connection me the, noicolas ne sabhi se raabta karke apne vichaar unke saamne rakhe, kuch scientist ne nicolas ko appreciate kiya, to kuch ne kaha, k ye posible nahi hai, nicolas ko jisne bhi haan kahi, nicolas ne unse raabte badha diya aur unhi se keh kar khud ke liye ek lab banwaai, poora island nicolas ka apna tha, aur nicolas ko is island ke siva koi jaga sahi nahi dikhi.......
nicols ne lab banwaai aur fir nicolas ne apna kaam shru kar diya, nicolas ko apni jaga par sabat qadam dekh kar british hakumat ne bhi nicolas ko appreciate kiya aur nicolas ne khud ke damm pr aur british hakumat ke appoint kiye gaye scientist ki badolat apni research ko aage badhana shuru kar diya....
is research ke liye poore island par bandaron ki ek fauj khadi ho gai, hazaron ki tadad me wahan par bandar laaye gaye, lekin fir test ke baad 500 ke kareeb bandron ko rakh kar baaki ke bandaron ko island se bhej diya gaya..
nicolas ki lab me research shuru hui aur pehle ke 4 saal kuch bhi change nahi hua, kai scientist bad-dil hue aur nicolas ko chhod kar chale gaye, lekin nicolas ne apni research ko adhura nahi chhoda, kuch scientist nicolas ki himmat dekh kar uska saath dene lage, aur fir 2 hi saal me un 500 bandron me se 150 bandon me changes aane lage, nicolas ko khabar di gai aur nicolas khushi khushi bhaagta hua aaya, aur apni ersearch se related aane wale changes ko dekhne laga...
150 bandron ki ankhen change ho gai thi, jiska matlab tha k unke brain se jo ched chhad ki ja rahi thi, uska kuch result nikalna shuru ho gaya hai..
nicolas ne jabb dekha k uski research ne aage badhna shuru kar diya hai, to nicolas ne apni lab par time dena shuru kar diya, wo khud to kuch kar nahi sakta tha, lekin fir bhi sabb ke hi saath zayada se zayada time spend karne laga, nicolas ke shok ko dekhte hue, scientist ne bhi apne andar mann se nicolas ke liye kaam karna shuru kar diya.......
bandaron ki ankhon ke change hone ke baad, jabb scientists ne aage ka change laane ke liye, bandoron ko di jane wali dose me badlaao karne lage..... abb aage bhi to badhna tha ...
new di jaane wali dose ne bandron ko aur bhi change karna shuru kar diya tha..
bandaron ki backbone me sudhar aane laga, aur wo seedhe khade hone lage, abhi unpar human brain wale experiment kamm hi shuru kiya gaye the, scientist pehle monkey's ko human ke jaise dikhne wala banana chahtre the, fir aage ka experiment karne ka plan tha .........
monkey's sirf backbone me hi ferfect nahi huye unke jism me bhi changes aane lage, unke qad badhne lage aur jism bhi insano jaisi shape me badalne laga..
nicols samet sabhi scientists khush dikhne lage.... lekin unki khushi jald hi maatam me badalne lag gai....
kuch hi dino baad monkey's ek ek karke marrne lage, monkey's apne andar hone wale badlaao ko sehn nahi kar paaye, monkey's ke andar ke change ho chuaka system monkey's ke liye heart attck ka sabab banne laga........
poori lab me hi maatam chhaa gaya tha... kahan wo itne khush the, unhe lagne lga tha, ab jald hi wo next experement ke liye tayyari shru kar denge... lekin
monkey's ki ek ek karke hone wali hatyaaon ne sabko hi coma jaisi condition me laa khada kar diya tha............
unki saalon ki mehnat unke haath se nikalti jaa rahi thi, lekin koi bhi iska solution dhoond nahi paa raha tha............
abb takk 150 monkey's me se 130 marr chuke the, aur saare sirf heart attack se hi nahi mare the, kai monkey apni backbone me hone wali changes ko sehn nahi kr paaye aur unki spinal cord ki disk's ek ek karke alag hone lag gai thi, aur kai monkey's apne badh rahe jism ko sehn na karte huye marrne lge, unke jism me dararen padne lag gai theen....
koi ek issue nahi tha, teen char kisam ke issues create ho chuke the, aur kisi issue ka bhi solution kisi scientist ke paas nahi tha, sabb hi nicolas se nazren churane lage the.........
lekin yahan nicols ne kisi ko kuch nahi kaha. aur unka hosla badhna ke liye nicolas ne sabko hi appreciate kiya, k abb takk un sabb ne jo bhi kiya hai, wo bhi kuch kamm nahi hai, tum sabb bass apne kaam par dhyaan do, aur jo loss ho chuka hai, usay bhul kar zinda bach jaane wale monkey's par sahi se experiment karo, aur unke andar badh chuke faults ko recover kro....
nicolas ke achhe bartaao ne sabhi scientist ke andar ek josh sa bhar diya, aur fir sabb hi apne kaam me lagg gaye, sabhi scientist nicolas se sincere the, aur khud ki lagan ko aur bhi badhte hue wo baaki ke bach gaye monkey's par apna poora experience nichhawar karne lage.....
nicolas ki sincerity aur scientists ki mehnat ne rukh hi badal diya, aur baaki ke monkey's marrne se bach gaye......
us din sabb ne hi jashan manaya aur nicolas ne sabb ko hi congtrats bola...
nicolas sabb ke saath hi mukhlis tha, usay kisi se koi laalach nahi tha, wo to bass khud ke mann ki poori hote dekhna chahta tha..............
aane wale 4 month un monkey's ke liye achhe the. koi bhi monkey nahi mara... to
nicolas ke kehne pe aage ka experiment shuru kar diya gya......
lekin wo safal nahi ho paaye.. is baar monkey mare nahi. balke wo coma me jaane lge... unke badan to experiment jhel gaye. lekin unka brain ye sabb sehn nahi kar paaya aur ek ek karke monkey coma me jaane lge.....
lekin ek monkey coma me nahi gaya... sab yahi samjh rahe the. k ye bhi abb nahi to kuch dino baad sahi, coma me to chala hi jaayega....
lekin wat guzarne laga, aur monkey coma me nahi gaya, uske bar-ask menkey me hairat angez badlaao dekhne ko mila .....
menkey ki ankhen to shuru se hi badal chuki theen aur spinal cord bhi sahi ho gai
thi.. monkey ki spinal cord ki disk's bhi apni jaga par perfect theen. lekin pehle koi bhi monkey insaano ke jaise chalna nahi seekh paaya tha, aur na hi kisi ko sikhaya gaya tha, abb ki baar monkey ke brain ke saath jo chhed chhad ki gai thi, us waja se monkey ke brain me changes aaye aur wo insaano ko dekh ke in ke jaisi nakal karne laga...
menkey's me to shuru se hi adat hoti hai, wo aksar hi insaano ke jaise harkaten karne lag jaate hain, lekin is baar kuch brain expreiment ki waja se monkey ne badi had tak insaani chaal ki copy kar li thi........
nicolas ko bulaya gya, aur wo bhi ye sabb dekh kr bohat heraan hua, lekin khush bohat hua, uski mehant jo rang laane lagi thi......
bach jaane wale monkey ka naam james rakh diya gaya.. bhale hi wo abhi human nahi bana tha, lekin uski habbits insaano jaisi honi shuru ho gai theen. har guzarte samay k saath james me aur bhi badlaao aane lge.......
is beech research ko shuru kiye gaye, lag-bhag 11 saal beet chuke the.
aur fir james par kiye jaane wale experiments ki khabren poori dunya me phelne lageen.
jis waja har bada country james ko apne kabze me lene ke liye sar-garam ho gaya. lekin bade bade country direct nahi indirect apne admiyon ko face change karwa kar island par bhejne lage..
nicolas jitna achha insaan tha, utna hi kahtar-naak bhi tha, koi bhi nicolas ka saamna nai kar paaya aur an-gint different countries ke agent island par aa kar marne lage....
nicolas ki madad ke liye, british hakumat ne apna ek bada army ship island ke gird khada kr diya, iske baaad sab hi country ne apni koshishen kisi hadd takk tark kar deen. lekin kabhi kabhi wo firse koshish karne lagte... james sabke liye atractive tha.... wo ek super human banta ja raha tah. aur har vountry chahta tha k james ko apne under le kar wo james ke jaisi hi ek force khadi kar den....
is beech maafia ne kisi tarha se jackie se contact karke james ko apni custody me lene ke liye jackie ko hire kar liya, aur jackie fir maafia ke liye kaam karne laga ...........
james me aane wale badlaao me jo sabse khaas baat thi, wo ye thi, k james ek samajhdar monkey bann gaya tha, abhi wo human nahi tha, chalna to usne insaano jaisa seekh hi liya, lekin abhi bhi james me haivani Features maujood theen, wo kisi bhi waqt ek khatar naak roop dharan kar sakta tha, isliye usay insaan nahi maana gaya, aur special custody me hi rakha gaya, james kabhi kabhi ghussa karta tha, lekin kisi ke liye naqsaan deh nahi hua tha, kabhi kabhi bhaag bhi jaata, lekin fir khud hi khud ko guards ke hawale kar deta tha, james ek hisaab se poore island ko hi dekh chuka tha. agar wo bhaagna chahta to bhaag bhi sakta tha..
lekin james ko apni lab me reh rahe sabhi scientist se koi pareshani nahi thi.
lekin fir badalte experiment ne james ko change karna shuru kiya to james ko regular hi nazar-band kar diya gaya. james pehle bhaag kar jaata tha, to kisi ko nuqsan nahi pohnchata tha, lekin abb uske tevar badalte jaa rahe the, abb new inject ki jaane wali dose ki waja se james me taqat ke saath saath ghusaa aur haivnaiyat bhi badhne lagi........ james me insaani badlaao bhi badi tezi se aane lage the, lekin haivani feature bhi badh gai theen .....
aise hi nazar- band kiye hue hi james par experiment hota raha aur waqt beetne laga, james ka brain powerfull hone laga, jis waja se james me aur bhi kai abililties ubhar kar bahar aane lageen, aur fir
ek din james ek scientist ke brain me ghus gaya...
james:- hello smith, kaise ho.
smith idhar udhar dekhne laga, uske paas hi kuch aur bhi scientist khade the, wo sabhi smith ko dekhne lage, lekin smith darr gaya, wo to samjha tha, k uske frinds me se kisi ne uska naam lilya hai, lekin yahan to sabb hi usse poochh rahe the, k kya hua hai,
smith:- abhi kisi ne mujhse kuch kaha kya???
sabb:- nahi to kyun????
james sabb ko hi dekh kar muskurane laga, abhi takk sabb hi smith me busy the, aur
james ki taraf se poori tarha se ghafil the.....
james ne fir ek ek karke sabhi scientists ke brain me ghus kar hello haye ki, smith ki hi tarha se sabb uchhalne lage..........
pehle to wo hairat se uchhal rahe the, lekin fir sabb ko jaise hi raelize hua k ye unme se kisi ki awaz nahi hai, to sabb ne hi james ko dekha to james ki ankhen aur hont muskura rahe the..
james:-(ek scientist ke brain me) tum sabb aise chonk kyun rahe ho, main hi hoon james, tum sabb ke brain me main hi ghusa hua tha, tum sabb stupid logon ke jaise kyun ek doosre ko dekh rahe the.....
sabb hi james ko dekh rahe the, aur jis ke brain me james ne ghus kar baat ki thi, wo sabb ko hi batane laga k james ne abhi usse kya kaha hai..
james ne ek jhakta diya aur uske hathon ki zanjeeren toot gaeen..
james ne ek scientist ko pakda aur uske pocket se mob nikal kar uspar type karne laga.............
sabb hi james ko dekhne lage, k sabb ne itna bhi nahi kiya tha james ke saath, lekin james me ye naya aur hairat angez changes sabb ko hi bhala laga, lekin abb james se darr bhi lagg raha tha sabb ko, pata nai abb james ka kya attitude hota hai sabb ke saath...........
james mobile par likh kar sabb ko hi dikhaane laga....
james ne likha tha, k wo usse daren nahi abhi wo kisi ko koi bhi nuqasan nhi pohnchyega, bass uske saath use ghussa dilane wali koi bhi harkat na ki jaaye.
sabb ne hi sukh kaa saans liya.......
*********************************************************************************
ye ek bada change tha james me, aur james abhi khud par kisi hadd takk kaabu paane me kaamiyab hua tha, lekin kuch bhi uski marzi ke mutabiq na hone se wo bigad jaata tha....
james mood me hota to sabb se hi achhe se baat kar leta tha, lekin kabhi kabhi kai kai din uska mood aksar kharab rehne lagta, usay sabb hi scientists par ghusa aane lag jaata tha, uspar kiye jaane wale experiment james ke liye bohat hi painfull hote the, pehle james ko itni sense nahi thi, isliye usay farq nai padta tha, lekin abb wo adha human ban chuak tha, to uska reaction bhi insaano jaisa to fir hona hi tha,
askar james khud ko sabhi scientist ke saamne bali ka bakra samajhta, aur fir wo ghusse me aane lag jaata tha, usay khud par kiye jaane wale experiment ki waja se insaano se nafrat si hone lagi....
ye sabb james par kaabu paane ke liye jo experiment kiya ja raha tha, uska hi result tha..
abb jabb nicolas ki mann mansha poori hone ko thi, to nicolas ne james ko apne under rakhne ke liye usay ek paaltu banana shuru kar diya tha, jo ke james ke liye sakht naa pasandeeda act tha, james ek aazaad human ban ke rehna chta tha, usne kai baar kaha k wo un sabb ke liye hi kaam karega, kisi ka saath nahi chhodega..
uske sath aise ghulamon jaisa bartao matt karo. lekin james par itne salon se chal rahe experiment ki waaj se nicolas me bhi change aane laga. abb wo khud ko ek super human ka maalik samajhne laga tha. jabke james nicolas ka dost ban kar rehna chahta tha........... james ne boaht mana kiya sabb ko k usay ek ghulam na banaya jaaye.......
lekin kisi ne bhi james ki nahi suni.... aur james sabb se hi zehni taur par door hone laga, kahan wo sabb ko hi dost ki manind samajhne laga tah, lekin abb wo ek super human banta ja raha tha, to uski sense sabb se hi kai guna badh ke thi, aur ek insaan ki hi manind wo bhi ek azaad insaan hi rehna chahta tha, lekin nicolas apni itne saalon ki mehnat ko youn hi nahi jaane dena chahta tha....
ye nicolas ki taraf se ek bohat badi galti thi, usay chahiye tha k wo james ko ek dost bana kar rakhe, na ke apna ek ghulam naukar ..... james ko insaan banaya ja raha tha. to wo insaano jaise bartaao ka haqdaar bhi tha......
lekin nicolas aur british hakumat ka dil nahi maana aur unho ne james ko ek paaltu banane ka faisla kar liya...
james ke dil me insaano ke liye nafrat badhne lagi thi, james ko kaabu karne ke liye usay har waqt ek aise area me rakha jaane laga, jahan se james bhaag na sake.
james abb ek only experiment cheez bann ke reh gaya tah, james abb bandar nahi tha, wo adha insaan tha, uski feelings bhi theen aur best brain bhi tha uske paas.
jabb tak james ek paaltu nahi ban jaata, tabb takk ke liye james ki taqat ko kamm kar diya gaya, james sabb ko hi laachari se dekhta, lekin kisi ko koi farq nahi pada....
jackie ne james ko diye jaane wale injection ko change kar diya.. jis waja se james ko ek to apni power wapis mil gai aur doosra james ka ghusaa uske kaabu se bahar ho gaya......
is injection se pehle james 80% person human ban gaya tha, lekin uske andar haivani featurte 25% ho ke reh gaye the.....
injection lagte hi james ki power to usay wapis mili hi, lekin james ki human percentage % ko disturb na karte huye uske haivani features ki percentage badh kr
80% plus ho gai.. jis waja se james khoonkhar ho gaya..
james ke dil me insaano ke liye nafrat to nicolas and party ne badha hi di thi, abb james ko kaabu me karna sabb ke liye hi mushkil tha....
**********************************************************************************
nicolas room me betha james ko dhoondne me laga hua tha....
nicolas ek baat bhool gaya tha, james ka brain abb monkey brain nahi tha...
wo haiwan to tha hi, lekin sochne me ek brilliat brain bhi bann chuka tha..
aur wo kaise island par se nikal kar ja sakta hai, james ne bohat pehle hi soch liya tha..
isi island par kai aisi jaga theen, jo james pehle se hi dekh chuka tha, james pehle khud hi khud ko guards ke hawale kar diya karta tha, lekin abb james ke liye is island par chup ke rehan mushkil nahi tha, aur na hi james ko khaane peene me kisi kisam k koi pareshani thi...
**********************************************************************************
Maafia.........FBI........interpol........british hakuamt........mausad........
france........germany........RAW........china.......
aise hi aur bhi na-jaane kitne country aur kitne idaare james ke liye sar-garam the.....
abb james island chhod kar bhaagna chahta tha.. usay insaano ki dunya se door jaana tha.. lekin abb wo ek bandar bhi nahi tha......... to junglon me bhi nahi reh sakta tha.. aur insaano ki dunya james ke liye ik aag ka maidaan banne wali thi.........james ki abhi haivaniyat badhi hui thi... aur dekhna ye tha......
k james abbb poori dunya se kaise khud ko bachata hai...................
**********************************************************************************
Story Ab james Ke Point Of View Se
*************************************
main ek bandar hi sahi tha. mujh par human experiment karke boaht hi bada zulm kiya gaya tha. bhale hi main ek super human ban gaya tah. lekin abb main na to sahi se insaano me rehne layak tha aur na hi haiwano me.
insaani dunya mere liye thi aur na hi haivai dunya. mujhe beech me hi latka diya gaya tha............
jaise shuru me yahan mere sath abrtaao kiya gaya tah. agar waise hi sabb rehta to mujhe itni pareshani nahi rehti.
mujhe jitna dard jhelna pada. wo main kaise bataaon aap sabb ko. lekin sabhi scientist ki lagan aur achhe abrtao ki waja se maine apen dard ko bhool kar sabhi ka saath dene ka mann bana liya tha.
lekin mujhe hairat ha insaano par. jo mujhe ek insaan to bana rahe the, lekin apen jaias nai, wo sabb to ek azaad insan the aur mujhe ek ghulam insaan banaya ja rha tha.
koi bhi insaan azaadi se hatt kar kuch cahh sakta hai kya. aur mujhe bhi ek azaad zindagi jeeni thi. lekin baad ke guzre samay ne mujhe bohat achhe se samjha diya k ye dunya mere jaise adhe bandar aur adhe insaan ke liye rehne layak nahi hai.
mere hi jaise na-jaane kitne hi bandar mehz experiment ki nazar kar diye gaye..
kya sirf human rights hi hote han, animal rights ka kya khaali phokat me hi dhandora peeta jata hai......
lekin main kisi ko bhi khd par apna kabza jamane nahi doonga. bhale hi mujhe insaani brain aur insaani life de gai ahi. iska matlab ye to nahi. k mujhe meri marzi se jeene hi na diya jaaye....................
Sorry To Say..... main bhi khud ke liye lad sakta hoon, aur main apne jeene ka haq is dunya se chhen lunga..... bhale hi mujhe kuch bhi karna pade.
lekin apna haq main wasul karke hi rahunga... jo bhi mere raaste me aayega.
maar dunuga ya marr jaaunga. lekin kisi ka zar khareed nahi banuga...
*********************************************************************************