• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance The unwanted shadi

sam207

New Member
85
621
84
8ab5828da2bac53855f654dde05e897f

Yeh kahani meri hai pehle apna introduction de deta hun Mera naam hai aryan basically mein ek simple aur average ladka hun .meri life dull hai aur isme kuch achha nhi hai aur mein 22 saal ka hun but abhi college mein padta hun bas college jaata kabhi kabhi hi hun .khair Aaj mein ghar par hi hun waise mein akela rehta hun gharwale actually mera ghar mein koi bhi nhi meri maa mere bachpan mein hi mar gyi thi aur baba sheher ke bahar kaam karte hain .mein akela hi rehta hun aur waise bhi koi Ameer parivar se nhi actually mein Ameer khandan se hi hun .mere dada bahut bade zamindar hai aur hamari ek badi Happy family hai gaon mein but papa ki un logo se banti nhi aur woh mujhe bhi unse dur rehne ko hi bolte hain toh ab papa ke chakkar mein hun lower middle class bankae reh gye hain .



Waise Aaj mein ghar par hun aur washing machine mein kapde doh raha hun tabhi mere Ghar ki bell bajti hai aur mujhe pta hai sale mere kaminey dost hi aaye honge

Ab mein dheere dheere main gate ki taraf badta hun but sale kutte bell hi bajaye jaa rahe the

Aryan- aa raha hun BC bas karo salo

Ab jab mein main gate kholta hun tu toh mein apne samne apne dosto ki jagah dekhta hun hi mere sapno ki rani mera ek tarfa pyar but meri pahunch se bahar ek ladki ko jo hai mere college ki most famous girl


8739107f7be0a064d7bb543cc400bef6
( Swati )

Mein usko dekhta hun toh dekhta hi reh jaata hun aur andar se mein pura nervous tha ki yeh yahan kya kar rahi hai

Aryan- @$$&

Swati - hi tumne kuch kaha kya

Aryan - um i ...i. .mean hi ..Swati right tum yahaan tum ...kaise

Swati - tum aise kisi idiot ki tarah toh pehle mujhe dekhna band karo .tumhara hi naam aryan hai ( gusse mein )


Aryan - han but ...

Swati- hato side se mujhe andar aane do

Swati ab khud side se hokar Aryan ke ghar ke andar aaa jati hai aur main gate band kar deti hai

Aryan ab sharmate hue smile karta hai

Swati- oyi idiot tum...han tum pehle yeh smile karna band karo

Aryan ki smile ab chali jaati hai but uski khushi ka koi thikana nhi tha but woh normal hone ki acting karta hai but woh andar se kafi nervous tha

Aryan- ohh hi swati han but tumko Mera naam kaise pta chala

Swati - ek min tumhe Mera naam kaise pta chala

Swati is waqt gusse mein lag rahi thi aur woh Aryan ki taraf ghur ke dekhti hai

Aryan - ohh woh tum hamare college ki ho maine ...matlab mere dost apki hi baat karte hain woh kya hai aap itni sundar ...i mein aap kafi popular hai na

Swati - tum mere college mein padte ho really maine tumhe wahan kahi dekha toh nhi

Aryan- ohh han mein kabhi kabhi hi aata hun college but aap ...yahan kaise i mean aur apko toh mera bhi naam pta hai

Swati - yeh hi toh meri badnaseebi hai ki mujhe tumhara naam pta hai dekho suno yeh sab chorro mujhe tumhari help chahiye aur badle mein jo tumhe chahiye mein tumhe de dungi

Aryan-.matlab Kuch bhi ( yeh aayi kaise yahan but yaar yeh kitni Sundar hai gusse mein bhi bahut cute lagti hai but yeh thodi sad bhi lag rahi hai aakhir baat kya hai aur isko mere Ghar ka pta kisne diya )

Swati- han kuch bhi

Aryan ki tabhi Nazar Swati ke ample bossom par padti hai aur uska adam apple bahar aa jata hai .woh Swati ko hawas ki nazar se dekhta hai aur phir anpu nazar dusri taraf kar leta hai aur Swati bhi samajh jaati hai aur embarassed feel karti hai aur gussa bhi


Swati- Oye ladke jo tu soch raha hai na woh toh bilkul mat soch nhi toh mein tera woh haal karungi ki jo tune Socha nhi hoga tch yeh saale sare ladke ek jaise hi hote hai

Aryan- nhi nhi maine kuch bhi galat nhi socha woh....toh ..i mean

Swati - dekho jyada Shareef mat bano tum jante ho mein kiski beti hun agar mujhe hath bhi lagaya na toh bahut pachtayoge

Aryan abhi aur jyada nervous feel karne lagta hai

Aryan- nhi Swati ji are aap gussa kyo karti hain mein bas Yun hi ji ...woh achha sorry ji aap bolo apko kya help chahiye mujhse

Aryan man mein - bhai tu kya soch raha tha yaar usko ab laga hoga ki mein koi tharki hun woh toh mein hun but haye yeh hai bhi kitni hot but abhi ek chance Mila hai kya pta hamari dosti hi ho jaye .mujhe bas iske sath achha behave karna hai but isme kitni akad hai


Swati-mujhse ....i mean
Swati bhi ab nervous ho jaati hai aur uske gusse ke piche ek dari hui ladki nazar aati hai jo bahut mushkil ho but woh phir se gusse se Aryan ki taraf dekhti hai


Swati - mujhse ...mujhe tumse shadi karni hai kya mujhse shadi karoge
 
Last edited:

sam207

New Member
85
621
84
Update 1
Swati-mujhse ....i mean
Swati bhi ab nervous ho jaati hai aur uske gusse ke piche ek dari hui ladki nazar aati hai jo bahut mushkil ho but woh phir se gusse se Aryan ki taraf dekhti hai


Swati - mujhse ...mujhe tumse shadi karni hai kya mujhse shadi karoge

Aryan jab yeh sunta hai toh shocked ho jaata hai pehle toh usko Swati ki baat samjh mein nhi aati aur woh shock mein chala jaata hai

Aryan- i ...mein ..kya ..2 min kya aap mere sath koi prank kar rahi ho


05bb3c7318cb74b5d23d578f9944fe0e
Swati ab aur gusse mein aa jati hai but woh koi zyada react nhi karti but annoyed ho jaati hai

Swati - nhi mr Aryan yeh koi mazak nhi hai aur han pehle yeh tum mujhe apna idiot sa look dena band karo dekho mein serious kya mujhse shadi karoge

Aryan ki heart beat kahi dusre level hi par chale jaati hai aur uska muh khula ka khula reh jaata hai

Aryan man mein- mein koi sapna toh nhi dekh raha hun nhi nhi yeh koi sapna nhi hai bhai sach mein i mean wow but shadi woh bhi meri dream girl se yaar 2 min yeh chal kya Raha .yeh sach nhi ho sakta hai kahan mein aur kahan yeh i mean hamara toh level ka koi match nhi hai

Swati- tch tch ohh hello kya ho gya tum thik ho hello Aryan

Swati ki awaz sunkar Aryan hosh mein aata hai

Aryan - ohh han nhi matlab yeh aap kya bol rahi hai dekhiye agar apko mein pasand hun toh pehle ek dusre ko date karte hain na shadi baad mein dekh lenge

Swati ab Aryan ki baat sunkar hairan ho jaati hai aur annoyed hokar bolti hai

Swati- wait a minute seriously tumhe lagta hai ki tumhari aukat hai mujhe date karne ki apni shakal dekhi hai

Swati ab dhimi awaz mein Aryan ko bloody loser bolti hai jisko Aryan sun leta hai aur ab usko bhi thoda bura lagta hai

Aryan- hello kya bola apne dekhiye aap mere Ghar par aakar mujhse shadi karne ko bol rahi ho halanki mein apko janta bhi nhi hun dekhiye mere se respect se baat kijiye

Swati - respect tumne aise kya kiya hai jo mein tumhari respect karu idiot

Aryan- idiot really ? Dekho Swati achha hoga ki tum yahan se chali jayo niklo mere Ghar se chalo

Swati -Sorry kya kaha tumne
Swati man mein-are Swati kya kar rahi hai tch meri hi galti hai mujhe isko achhe se samjhana chahiye tha yeh toh gussa kar gya ohh shit ab mein kya karungi yeh papa ne bhi mujhe kaha fasa diya but kuch toh karna hi padega

Aryan- maine kaha niklo yahan se
Aryan man mein -abe saale kya kar Raha hai itni pyari ladki se koi aise baat karta hai uski ankhon ko toh dekh haye yeh kitni pyari hai

Swati -2 min ruko please dekho mujhe tumhari help chahiye Aryan ok I m sorry mujhe tumse aise baat nhi karni chahiye thi dekho please please meri baat sun lo

Swati ab Aryan ko pleading eyes ke sath dekhti hai aur Aryan wahin pigal jaata hai

Aryan- it's ok but pehle yeh btao ki tumhe mujhsw shadi kyo karni chahti.yeh kitna wierd hai right

Swati -dekho galti meri hi hai Maine tumhe thik se nhi samjhaya kya hum andar jaakar baat kar sakte hai please

Aryan- ok

Aryan ab Swati ko apne room mein le jaata hai aur woh dono ek dusre ke opposite baith jaate hain aur Swati bahut vulnerable feel kar rahi thi tabhi Aisa lag raha tha ki woh rone hi wali hai but woh phirse normal ho jaati hai

Swati -ok please meri baat suno actually...baat yeh hai ki mere papa chahte ki mein ab shadi kar lu ... aur meri bhi ek majburi hai ki na chahte hue bhi mujhe shadi karni hi padegi . Darasal papa ne kaha ki unhone ek ladka dekha hai mere liye but maine jab uski photos dekhi toh woh thik dikh raha tha but jab maine pta kraya ki woh ..woh 40 saal ka Buddha hai toh main papa se behas ki mein us admi se shadi nhi karungi toh phir unhone tumhara photo dikhaya aur kahan yan phir mein tumse shadi karun yan phir us budhhe se

Aryan ab thoda confused ho jata hai

Aryan- ek min tumhare papa ne mera photo dikhaya

Swati -Han

Aryan- but kaise mein toh unhe janta bhi nhi hun aur tum itni Ameer ho aur hum toh lower middle class log hain

Swati- woh sab mujhe nhi pta unhone ne kaha tum hamari community se ho aur tumhare papa mere papa ke dost hai .

Aryan- ohh ok but mere papa ne tumhare ke baare mein kabhi baat nhi ki ,(Aryan ab sharma raha tha jisse aditi aur bhi chidchidi ho gyi thi )



Aryan man mein -Abe mujhe yakeen nhi ho Raha sach mein meri shadi isse hone wali hai haye yeh kitni pyari aur kya yeh meri biwi sale mere toh sabhi dosto ki shakal dekhne wali hogi

Swati man mein- yeh idiot kitna annoying hai tch seriously mujhse iske sath deal karni pad Rahi hai meri qismat hi khrab hai aur kya yeh sach mein sharma raha eww kitna ghatiya hai yeh but chalo us 40saal or budhhe se toh thik hi hai

Swati -yeh sab chorro mein kehne wali ......

Aryan- but apko bhi lagta ki aap ..ko shadi ki baat karne apne papa ke sath aana chahiye tha aap toh akele hi aa gyi lagta hai apko kuch jyada hi jaldi nhi hai shadi ki

Swati aryan ki baat sunkar irritate hoti jaa Rahi thi

Swati- tch ohh tum kitne annoying ho nhi mein yahan shadi ki baat nhi karne nhi aayi mere papa tumhare ghar aane wale hai hamari shadi ki baat karne is mahine toh mein tumse deal karne aayi hun .

Aryan -dekhiye mujhe kuch samajh nhi AA Raha abhi mein sirf 22 saal ka hun aur Mera shadi karne ka koi irada nhi hai but apse shadi karne ko mile toh kon mana karega

Swati- woo woo mister zara break lagao mera tumse koi irada nhi hai shadi karne ka mein yahan deal karne aayi hun
Dekho i don't know ki tum kya soch rahe ho probably tum mujhe galat Nazar dekh rahe honge. ho toh tum ek no ke tharki hi

Aryan- nhi ji .....

Swati- shut up mujhe tumse kuch clarification nhi chahiye tum sare ladke hote hi ek jaise ladki dekhte nhi ho laar tapkani chalu tch yeh sab chorro mein tumhare sath ek deal karne aati hun

Aryan man mein- yeh kitna bolti hai yaar aur kitni gusse wali but kitni smart hai bhai but iske nakhre kon jhelega

Aryan- ohh ok kaisi deal

Swati- Dekho mein toh shadi bilkul bhi nhi karna chahti but meri majburi hai .papa mujhe unki property ki inheritance nhi denge jab tak mein shadi na kar lun aur 25 ki na ho jau

Aryan- toh isme mein kya kar sakta hun


Swati- please meri help Karo Aryan .mein chahti hun ki hum shadi toh kare but jab mein 25 ki ho jau toh mein tumhe divorce de du aur badle jo tumhe chahiye tumhe mil jayega paise , property kuch bhi mangoge de dungi please mein tumhare sath basically ek contract sign karna chahti hun ki jab mein 25 ki ho jau tab tumko divorce de du aur tum tumhare raste aur mein apne raste

Aryan Swati ki baat sunkar thoda gusse mein aa jata hai

Aryan- sorry toh tum chahti ho ki mein tumse shadi karu aye phir tum 2 saal baad mujhe talaq de dogi aise hi dekho mein tumhare yeh chakkar mein nhi padne wala tum khubsurat ho but meri bhi koi self respect hai .... dekho niklo mere Ghar se mein tumko bta Raha hun
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
45,759
122,837
304
Nice Start
 
  • Like
Reactions: Smith_15

sam207

New Member
85
621
84
Update 1
(Part 2 )
Swati- please meri help Karo Aryan .mein chahti hun ki hum shadi toh kare but jab mein 25 ki ho jau toh mein tumhe divorce de du aur badle jo tumhe chahiye tumhe mil jayega paise , property kuch bhi mangoge de dungi please mein tumhare sath basically ek contract sign karna chahti hun ki jab mein 25 ki ho jau tab tumko divorce de du aur tum tumhare raste aur mein apne raste

Aryan Swati ki baat sunkar thoda gusse mein aa jata hai
Aryan- sorry toh tum chahti ho ki mein tumse shadi karu aye phir tum 2 saal baad mujhe talaq de dogi aise hi dekho mein tumhare yeh chakkar mein nhi padne wala tum khubsurat ho but meri bhi koi self respect hai .... dekho niklo mere Ghar se mein tumko bta Raha hun

Swati- sorry ..ek min dekho tamiz mein raho apni badtamiz kahin ke

Aryan- dekho badtamiz mein nhi tum ho jo mere Ghar par aakar kuch bhi anab shanab bole jaa Rahi ho aur bahut ho gya tum ameerzadi ka niklo idhar se maine kaha abhi isi waqt

Swati- tum duffer ho tum mera offer reject kar rahe ho dekho abhi tumhare paas kuch bhi nhi hai sirf 2 saal tak mere sath yeh natak kar lo tumko mein property Paisa sab kuch dungi idiot



Aryan- agar tumne mujh ab idiot kaha toh ek chanta lagaunga samjhi chal nikal idhar se mujhe tere se kuch nhi chahiye Mera ek ek sapna meri shadi kisi aise insan se ho jo meri care kare aur tum aa gyi ho mere us sapne ko barbad karne.

Swati bhi Aryan ki harsh tone ko sunkar gusse mein aa jati hai


1255803906595f37f6100b0ddfc37b3c
Swati- Oye 2 kodi ke peasant boy tu khud ko samjhta kya hai waise bhi tu ek no ka pagal hai Mera offer reject kar raha .u know what tu mere offer ko deserve nhi karta samjha

Aryan- aey pehle toh piche hat kar baat kar papa ki pari jyada ban mat samjhi nikal idhar se tu mere Ghar par hai aur han mein Teri koi help nahi kar sakta jaa kar tu us buddhe ke sath shadi kar ke apna ghar basa

Swati- kya bola tune kutte kahin ke .....u know what meri hi galti hai ki mein tere paas aayi

Aryan- han toh chali jao naa yahan se woh tumko bahar ka darwaja Nazar nhi AA Raha hai

Swati ab thoda tension mein aa jati hai aur usko kuch bhi samjh mein nhi AA Raha tha kyunki ab woh bahut buri tarah fas gyi thi aur uska face rough exterior bhi khatam ho jaata hai

Swati man mein - ohh shit yahan toh sab ulta ho gya hai ab mein kya karun ohhh mein us bhudde se shadi nhi karungi kabhi bhi ab mein kya Karu meri hi galti agar shayad mein iske sath pyar se baat karti toh shayad yeh maan bhi jaata tch ab kya Karu

Swati ab ek lambi saans leti hai aur Aryan ki taraf pleading eyes ke sath dekhti hai


bc4680fbc56bd51525c56c5111628385
create albums for images online

Swati- hey Aryan aise mat kaho please I m sorry ok but please mein us bhudde se koi baat nhi karna chahti...i mean please ek baar help kar do please... please Aryan mere pass koi dusra rasta nhi hai

Swati man mein- ohh mein iske itni kamzor kyun lag rahi ho mujhe aise kisi ke hath failana bahut bura lagta hai but mein kya kar sakti hun koi option hi nhi hai

Aryan- hey dekho pehle meri taraf yeh aise dekho band karo please...ohhh please ok suno dekho .....

Aryan man mein - ohh yaar bas bhai pigal mat jaana iski taraf dekh kar manta hun yeh bahut pyari hai but .. focus mat kho

Aryan- achh idhar baitho ok hum baat karte hain ok


Swati ab chup chap sofe par baith jaati hai aur woh bahut hi vulnerable nazar aa rahi thi aur aise lag raha tha ki woh bas abhi rone hi wali hai


3244bcccff275fb9d15a927594ec9f30

Aryan- dekho mein samjhta hun ki tum bahut tension mein ho but sorry Swati ..i can't help u dekho shadi mere liye bahut badi baat hai mein yeh nhi kar sakta please I m sorry I hope u understand


Swati- nhi please dekho please ek baar baat toh samjho mujhe us bhudde se shadi nhi karni mein kabhi bhi nhi karungi aur tum ek baar toh mujhe samjho please Aryan please Aryan

Swati ab dukhi ho gyi thi aur rone lag padi thi


a99b8d9d7ca781865b0ed7ceb37ef0bd
upload and resize images online

Aryan- hey hey please rona band karo please.....yaar mein tumhari help nhi kar sakta ..mein bhi majburi mein hun Swati

Swati ab ansu pahunchti hai

Swati- u know ..what fuck u ...mein hi bewkuf thi jo itni subah tum jaise chutiye ke paas apna time waste karne aayi hai ....but yaar rakhna Mera offer tum reject kar ke bahut zyada pachtane wale ho ....mein jaa rahi idiot bye and go to hell

Swati ab hadbadi mein uthati hai aur wahan se jaane lagti hai aur woh bahut dukhi aur gusse mein lag rahi thi aur is baar Aryan bhi chup hi rehta hai usko bhi Swati ki taraf dekh kar thodi sympathy feel hoti hai par woh chup rehta hai

Swati ab zor se Aryan ke main gate ko slam kar chali jaati hai aur woh bahut dukhi lag rahi thi


Aryan man mein - kya main iska offer tukhra ke sahi kiya yaar bechari kaafi dukhi lag rahi thi but mujhe guilt kyun feel ho Raha hai ab iske sapnon ke liye mein apni zindagi kyun barabad karu



Aryan ab dekhta hai ki subah ke 10.baj gye hai aur woh already apne kaam se aadha ghanta late ho gya hai aur abhi toh usko breakfast karna hai toh woh khud ke liye breakfast banane lagta hai
 

sam207

New Member
85
621
84
Update 2
Aryan ab breakfast kar ke jaldi se apne kaam par jaane ke liye ready ho jaata hai darasal woh part time kisi restaurant mein waiter ka kaam karta tha

Aryan ab apni scooty se kaam par pahunv jaata hai aur waiter ki dress pehan kar kaam karne lagta hai aur uske sath uske mohalle ka dost bhi kaam karta tha jiska naam Rohan tha

Rohan- bhai tu aaj phir se late aaya malik bahut bol raha tha aaj toh kafi gusse mein tha

Aryan- yaar dekh lenge us ganje ko bhi kya btau yaar Ghar par itna kaam hota hai ki late ho hi jaata hai no matter what



510c048fee36c0c86aa483a6d8b12d99

Aryan ab sab customer ko serve karne lagta hai aur woh apna kaam thik se hi karta hai .Aryan ko waise toh yeh kaam pasand nhi tha but usko pay achhi mil rahi thi upar se yeh restaurant bhi kafi famous tha toh usko tip bhi achhi khasi mil hi jaati thi but Aaj uska dhyan baar baar Swati ki taraf Jaa Raha tha usko bura lag raha tha ki woh uski kisi bhi tarike se koi help nhi kar paya aur uske samne uska rota hua face baar baar aa Raha tha tabhi uska boss yash wahan aa jata hai jo gusse mein lag raha tha

Yash - oye gonchu idhar aa

Yash yeh baat thodi harsh tone mein bolta hai aur Aryan jis table par serve kar raha tha wahan par kuch customer has dete hain aur Aryan ko kafi bura lagta hai Sath mein yeh pehli baar tha ki Yash ne Aryan ko aise sab ke samne bulaya ho but aryan bhi majburi mein apni feelings ko side mein rakhta hai aur yash ke paas jata hai

Yash - aaj tu phir late aaya dekh tere ko mein late aane ke paise nhi deta hun agar kaam karna hai toh Time par aaya kar samjha

Aryan- ji sir but aap yeh baat akele mein bhi keh sakte the aise sabke samne.....
( Bahut dhimi awaz mein bolta hai )

Yash- kyun bura laga na mujhe bhi bahut bura lagta hai jab tu aadha kaam kar ke pure paise leta hai ..aur yeh sadi hui Shakal mat bana aur jaa customers se deal kar...aa jate hain sale nalle kahin ke

Aryan ko gussa bahut aata hai aur woh man mein Yash ko galiya bhi bahut deta hai but uske man mein aata hai ki woh yeh kaam chorr de but majburi ke chalte usko yeh kaam karna hai padta hai aur woh phir se customers se deal karne lgta hai

Sham ko rohan aur Aryan ki shift khatam ho jaati hai aur woh dono Aryan ki scooty par Ghar ki taraf Jaa rahe the aur Aryan ka mood abhi bhi khrab tha


Rohan- kya ho gya bhai ab toh apna mood thik kar subah se pareshan woh bhi itni chotti si baat par

Aryan- baat chotti nhi hai yaar yeh apni ijjat ki baat hai manta hun ki galti ho gyi but akelw mein bulakar bhi dant sakta tha ..sun bhai yeh saal ganja hai hi chutiya sala

Rohan- are bas kar ab agar bhai thoda Paisa hota hamare pass toh koi aukat hoti hamari apne haal par ji rahe Hain hum log koi aukat hi nhi hai .

Aryan- bas yeh hi toh panga hai ki paise hote nhi hai aur jaisi meri halat mujhe nhi lagta koi achhi naukri mujhe Milne wali hai kash apna baap bhi ko Ameer hota toh hum bhi aish karte baki bacho ki tarah

Rohan- hmm baap na bhi ho agar ek girlfriend bhi ho paise karchane wali toh maza hi aa jaye

Aryan- Chal be chutiye ladki woh bhi Paisa khrachabe wali bhai kon si duniya mein rehta hai tu

Rohan- isi duniya mein rehta hun aur tujhe ladkiyo ke baare mein kya pta tujhe toh yeh bhi nhi pta ladkiyon se baat kaise karte hain

Aryan- jyada bol mat yeh Jo ladkiya hai na yeh sirf kharcha karana janti hai aur kuch nhi

Rohan- chup kar bhai tujhe call center par jo kaam karta tha apna jeetu tujhe pta hai sale ne Ameer girlfriend patayi aur woh bc usko goa lekar chali gyi sawra kharcha ladki ne kiya bhai

Aryan- kya baat kar raha hai sahi mein. Sahi hai

Rohan- sahi toh par apni qismat kaha janeman ki humko koi ladki mil Jaye Hume toh sala mohalle mein waise bhi koi achha nhi samjhta hai

Aryan- han baat toh .....

Aryan ko rohan ki baat sunkar Swati ke offer ka yaad aata hai aur usko lagta hai ki shayad agar woh Swati ka offer expect kar le toh uski qismat chamak jaye aur uske offer liye contract se achha khasa Paisa kama sakta par woh phir oa khyal ko chorr deta hai but shayad yeh khyal uske dimag se nhi jaane wala tha


Aryan aur rohan ab aise hi dusri idhar udhar ki baat karne lagte hain aur Aryan rohan ko drop kar ke apne ghar mein aata hai aur roj ki tarah apna dinner bna kar khata aur tv dekh kar ahe mohalle le ladko ke sath raat ko thoda awaragardi karke apne ghar par sone aa jata hai

Yeh hi uski roj ki routine thi aur apni life mein satisfied tha but uske dimag mein abhi bhi Swati hi chal rahi thi.


Aise hi Aryan ko apni routine follow karte ek hafte se jyada ho gya tha aur aaj usne kaam se chutti li thi kyunki usko college jakar apni practical file submit karani thi aur kuch dosto ke sath ghumne bhi jaana tha
 
Top