- 583
- 1,580
- 124
Ab se Volume II start hogi. Volume 1, pichhle chapte ke sath khatm ho gayi thi.
main aaj ek chapter aaj post kar raha hu.
Chapter 01: Killer
main aaj ek chapter aaj post kar raha hu.
Chapter 01: Killer
Last edited:
Volume 01: Arambh... |
Volume 02: lukka chhippi |
Chapter 02: | |
Chapter 03: | Chapter 04: |
Chapter 05: | Chapter 06: |
Chapter 07: | Chapter 08: |
Chapter 09: | Chapter 10: |
Chapter 11: | Chapter 12: |
Chapter 13: | Chapter 14: |
ThanksNice start...hope yeh story aap complete karogi...
Nice startChapter 01: Rebirth
Mera naam Rahul hai. Main ek software engineer hu. Roj ki kaam ke alawa mujhe kahaniya padhna bahut pasand hai.
Main “xforum” par daily ““Sahar ki anchhui ladkiyan”” padhta hu. Kyon ki iss kahani me jo villain hai uska naam bhi Rahul hai. Halaki Rahul Villain hai. Lekin wah ek ladki Shreya se itna pyar karta tha ki uske chalte uska pariwar tabah ho jata hai. Wahi Shreya, kahani ke hero Suraj se shadi kar leti hai. Baad me dono milkar Rahul ke pariwar ko barbad kar dete hai.
Aaj rojo ki tarah main auto se ghar jaa raha tha. Jaise hi auto ek chauraha cross karne wala tha ki bagal se gujarti truck ekaek auto par palat gayi. Mujhe pata bhi nahi chala aur meri ankho ke aage andhera chha gaya.
**********
“Rahul baba, wo rahul baba, uth jaiye dopahar ho gayi hai.” naukrani ki awaj sunkar meri ankh khuli. Maine dekha ki main ek anjan kamre me soya hua hu. Mujhe yaad nahi aaya ki yaha kya hua hai. Mujhe to mar jana chahiye tha. Mera accident hua tha. Phir bhi main zinda kaise hu?
Main abhi ye sab soch raha tha ki mujhe apne dimag me ek ladki ki awaj sunai di.
[Host! Aap ka kahaniyon is duniya me swagat hai. Aap abhi ““Sahar ki anchhui ladkiyan”” kahani ki plot me Rahul namak villain ka sharir liye ho. Agar aap zinda rehna chahte ho to aap ko is duniya ka sabse bada villain banna padega.]
“Matlab”
[matlab ki aap ab Rahul ki jindagi jiyenge, aur aap agar kahani ki plot change karte hai aur koi heroin ko apne pyar ke jaal me fasa lete hai to aapko points milenge..]
“Matlab mujhe Suraj jo abhi ek hero hai, uska samna karna padega. Agar main zinda rahna chahta hu to Suraj ka khatma karna padega.”
[yes host! Aapne sahi samjha. Lekin abhi aap maar nahi sakte. Uske paas abhi is duniya ka raksha kawach hai. Apke aur uske status me bahut jyada ka fark hai. Abhi aapko dhire dhire karke points kamana padega aur skill ikathe karne padenge. Chinta mat karo host! Isme aapki main madad karungi.]
“Ohh! Thanks. Mujhe yeh sab batane keliye.”
[achha host main aapka status batana bhul gayi. Kya aap status dekhna chahte ho?]
“Haa”
“Unhhhh… itna ganda status. Bas skill hi adhik hai, baki sab bakwas. Waise Suraj ka status kya hai. Aur please mujhe Rahul bulao.”
[ok Rahul! Suraj ka average status 40 hai.]
“Uhhhh… abhi bahut dur hai. Waise bhi kahani kaha tak pahuchi hai.”
[Suraj ko iss city me aaye hue panch din hue hai. Abhi wah aap ki mangetar Shreya se nahi mila hai. To aap ko kuch karna padega.]
“Achha Shreya abhi kaha hai?”
[Shreya, abhi queen Club me wine pi rahi hai.]
“Kya… pehle kyun nahi bataya. Aaj hi to Suraj Club me jane wala tha. Yani ki Shreya se Suraj ki pehli mulakat aaj hi hone wali hai. Mujhe kuch karna padega.”