Update-09 (B) (Megha Update)
kuch der tak wo waise hi usi haal mein farsh par baithi rehti hain aur na jane kya kya sochti rehti hain .....................fir wo ek ek kar apne sare kapdey pehananey lagti hain.......................kuch der baad wo sam se bina kuch kahe seedha apne bedroom mein chali jati hain aur seedha apne bister par pet ke bal soti hui ...............apna sir takiye mein chupakar..............fafak fafak kar roo padti hain................na jane kyon aaj uske ye aansoon thamney ka naam nahin le rahe they.............wo ek baar fir se dil kholkar roona chahti thi.............wahin sam ka mood jaise kharab tha wo fauran bina kuch bataye bahar ki taraf chala jata hain.............
*******************************************************************************
raat ke 8 baje they.............sam bahar se aata hain aur kamrey ko lock karta hua seedha bedroom mein chala jata hain.............jahan aasma aabhi bhi takiye mein apna mooh chupaye roti hui soo chuki thi..............uske aanson se sara pillow bheeg gaya tha...............wahin sam uske baju mein aakar soo jata hain aur usey apni taraf ghumata hua...............aasma ko apni taraf karney lagta hain...........magar aasma na hi apna chehra uske taraf ghumati hain aur na hi kuch kehti hain............
" subeh tum mere liye khana bana dena.......mujhe 8 baje hi nikalna hain.................aab gussa bhi chodho jaan.............jo hua so hua............"aur is baar sam aasma ko apni aagosh mein leta hua bade pyaar se aasma ke sir par apne haathon ko fernay lagta hain.............wahi aasma ki aankhon mein fir se aansoo aa jate hain..................magar wo ek shabdh kuch nahin kehti............na jane kyon aaj uska dil bahut rone ko kar raha tha...............jis sukoon ki usey talash thi wo to usey kahin mili nahin................
" iam sorry darling..............." aur sam bade der tak aasma ke balon par apna haath ferta rehta hain aur kab aasma ki aankh lag jati hain aur kab wo sam ki bahon mein apna sir rakhkar soo jati hain usey kuch pata hi nahin chalta................
subeh aasma ki jab neend khulti hain to is waqt ghadi mein 5 baj rahe they.....................sam aabhi bhi soo raha tha.............wo usey sota hua chodhkar fauran bathroom mein jati hain aur fresh hone ke baad sam ke liye khana aur nashta taiyaar karney lagti hain.........nashta aur khana ready hone ke baad wo sam ko jagati hain to sam humesha ki tarah usey apni bahon mein kheench leta hain wahin aasma ke chehrey par bhi ek pyari si muskaan aa jati hain..........
" aab zyada maska mutt lagaiye..........time dekhiye 7 bajne wale hain...............aur 8 baje aapko nikalna bhi hain............aap jaldi se taiyaar ho jaiye main nashta nikalti hoon........" aur sam aasma ko apni giraft mein leta hua uske galon aur honton ko behatsha choomney aur chatney lagta hain wahin aasma is baar ussey door ho jati hain.........sam muskurta hua apne bed se uthatha hain aur fir ready hokar apna saman pack karke fir aasma se vida leta hain...............wahin is baar aasma khud ko nahin sambhal pati aur sam se lipatkar foot foot kar rooney lagti hain wahin sam ki aankhein bhi thodi num ho jati hain................
wo bade pyaar se aasma ko apne seenay se lagaye hua tha.........uske peeth par haath fer raha tha...........
" mujhe aab chalna chahiye jaan...............maine un do naukaron ko bol diya hain........agar tumhein kabhi kisi cheez ki agar zaroorat pade to wo dono bazar se saman la dengey...........maine mahine bhar ka raashan lakar rakh diya hain...........tumhein kisi cheez ki takleef nahi hogi............chalta hoon aab........" aur sam aasma ko apne seenay se lagatey hue ussey door hone lagta hain wahin aasna ki aankho se aansoon nahin tham rahe they..............sam apne dil par patthar rakhkar fauran uske maathey par kiss karta hua ..............fauran us ghar se door ho jata hain wahin aasma khamoshi si khadi ...................akeli chup chaap si.................darwaze ke chaukahth par...................sam ko apne se door jata hua dekh rahi thi..................
aab uska dil kahin nahin lag raha tha.................ek pal to usey laga ki wo jakar sam ko fauran rok le.................magar nahin..............kuch sochkar wo ruk jati hain aur aapne aane wali zindagi ke bare mein sab kuch sochney lagti hain.....................aab usey jo bhi karna tha khud hi karna tha...............aab wo itne bade ghar mein bilkul akeli thi...............ekdum akeli.........un do naukron ke saath.....................jahan uski ye zindagi aab kis mod par jayegi ye usey khud nahin pata tha....................
To Be Continued.............................................