Update 6
Josh's Camp.
Josh ne dekha ke uske team members achhe se 5 groups mei divided ho gaye hai. 1st group mei 12 members the, 2nd group mei 36 members the, 3rd mei 20 members the, 4th mei 16 members the toh 5th mei 15 members the.
Sabhi ko dekhte hue Josh ne kaha.
Josh-Group 1 constantly base ke perimeters ko scout karenge. Har ek checkpoint par 3 men team station hongi. Agar enemy approch karta hai toh team mei se ek member rush back karega alert karne ke liye. Dusra member shadows mei reh kar enemy ko trail karega aur unke movement par nazar rakhega. Wahi tisra member checkpoint par hi guard rahega in case koi dusra emeny aata hai toh unhe notice karne ke liye. Ek baat achhe se mind mei fit karna ke agar necessary na ho toh koi bhi attack nahi karega. Sirf observe karna hai. Do you understand ?
"Yes Captain."
Sabhi ne swiftly reply kiya.
Jab yeh sabhi traps ko set aur bana rahe the tab in sabhi ne hidden bases bhi bana liye the aur unhe mud, leaves, grass aur sticks se cover kar liya tha. Isse vo apne enemies par spy kar sakte the.
Josh ne Group 2 se kaha.
Josh-Group 2 enemy camps ko infiltrate karega. Kyo ki tumhare group mei 36 members hai toh is mei se 18 members Gary ke camp ko infiltrate karenge aur bache hue Mark ke camp ko infiltrate karenge. Uske baad 18 members apne aap ko 6 groups mei divide karenge aur camp ko har direction se infiltrate karenge. Agar tumhari position compromise hoti hai toh escape kar ke carefully base par return karna hai.
"Yes Captain."
Josh-Group 3 har traps par positions par stations honge. Har trap ko 3 men team guard karegi. Ek baar enemy team trap mei fas jati hai toh jaldi se unke bands ko secure karna hai aur baad mei unhe as a prisoner capture karna hai ya phir unhe free kar dena. Jab prisoners aur bands ko secure karne ke baad unhe dene ke liye koi ek Mohan ki taraf aayega. Ek baar unhe delivere karne ke baad tumhe phir se apne postion par jana hai. Tab tak bache hue do membes trap ko reset karenge.
"Yes Captain."
Josh-Group 4 flag ko guard karega jise of course usmei se ek mein apne saath rakhunga. Tum sabhi apne aap ko 4 teams mei divide karo aur hill ke aaspas fail jao aur flag ko protect karoge. Yaad rakhna aisi position ko choose karna jaha se enemy tumhe notice na kar sake.
"Yes Captain."
Josh-Group 5 finally tum sabhi apne aap ko 5 sub group mei divide karoge aur tum sabhi base ko guard aur Mohan ko gaurd karoge. Yaad rakhna Mohan ke paas hi sabhi ke secure kiye hue bands honge. Agar enemy hamare in secure kiye hue bands ko chura leta hai toh ham jo hard battle ke baad inhe collect karenge vo sabhi waste ho jayega aur ham is battle ko loose kar denge. Although mein apne Knight Captain ke skills par confident hu lekin hame unexpected things ke liye bhi plan karna hoga. Is liye ek flag mere paas rahega aur tum sub group mei se ek mujhe protect karega.
"Yes Captain."
Outskirts of Gary's hill.
Brushes aur trees mei soldiers ka ek group kaafi carefully aur quietly wait kar raha tha apne enemy ka. Unhone apne enemy ko ambush kar ke capture karne ka plan kiya tha.
Unhone apne haat, face aur necks ko mud se paint kar liya tha aur hairs mei tree branches, leaves aur grass laga liye the. Yeh sab clear show kar raha tha ke yeh sabhi soldiers apne skin ke kisi bhi shiny part ko show nahi karna chahte the. Is sab se kisi ke liye bhi unhe yaha par spot karna extremely hard hone wala tha. After all yeh army ka one of the best camouflage hai.
Berry unmein se ek soldier tha. Vo abhi ek tree ke piche khada tha aur apne prey ke aane ka wait kar raha tha. Abhi uske samne se 4 men team unke territory mei aa rahe the.
Jaise hi unke enemies unke range mei aaye waise hi Berry aur uski team ne move out kiya.
Berry jaldi se us enemy team se ek ke piche aaya aur usne apne fingers ki sharply us person ke ear, jaw aur neck ke bich mei aane wale spot par press kiya. Is region ki Parotid Lymph Node kehte hai. Issi ke saath usne us person ke ear ko pakad kar niche ki taraf push kiya.
Wahi jis soldier ka ear gripp hua tha yeh sab uske liye sirf ek pal mei hua tha. Dusre pal mei uski puri body numb ho gayi thi aur vo niche apne ghutno par baith gaya tha.
Berry ne swiftly us soldier ke band ko nikala aur usse apne rope se bandh diya. Same time par uske team ne bhi apna kaam achhe se complete kar liya tha. Unhone capture prisoners ko base ke outskirts mei escort kiya. Kyo ko unhe pata tha ke yeh sabhi soldiers 'dead' ho gaye hai toh yeh ab battle mei interfere nahi kar sakte the is liye bahar aahe ke baad unhe Berry ne release kar diya aur jaldi se apne main base ki taraf chale gaye.
Yeh sab kuch Sagar apne geo satellite se note karte hue apne suit ke status window par dekha raha tha. Usne Berry aur uske team ko mentel note kiya. Specially Berry ko. Jab enemy aaye the tab usne hi sabse pehle signle kiya tha aur wahi tha jisne sab se pehle enemy team ke member ko surprise kar diya tha.
Agar Berry kuch seconds bhi late hota move hone mei toh uska yeh plan bilkul fail ho jata. Even Berry ki quickness aur enemies ke saath dealing karne mei jo decisiveness thi vo bhi kaafi remarkable thi. Berry ke team mei jo others the vo bhi achhe the lekin Berry jaise natural tha. Aisa lag raha tha ke Berry in born assassin tha.
Josh's Camp.
Mark ke camp mei se nikal kar Trey apni team ke saath bahar aaya aur Josh ke camp ke perimeters ko observe karne ke liye chala gaya. Unhe pata tha ke unke Captain Mark aur Captain Josh kuch had tak same soch rakhte hai aur Captain Josh ne bhi apne perimeters ke andar apne logo ko station kiya hoga.
Trey ke tean ne us area ko kaafi carefully dekha lekin unhe waha par kuch bhi odd nahi dikh raha tha. Is liye unhe laga ke Captain Josh ke team members huts bana kar observe kar rahe honge jaisa unhone kiya tha. Mark ne apne camp mei tree huts ko banaya tha aur uske upar mud, grass aur leaves laga kar unhe camouflage kar diya tha.
Jaise hi vo sabhi Josh ke territory ke andar aane wale the tabhi Trey ne ek jagah dekha jo usse kuch suspicious lag rahi thi.
Trey ne dekha ke waha par kuch dry grass, leaves aur sticks other area se zyada faile hue hai.
Upar se Trey ne yeh bhi notice kiya tha ke jo green grass dikh rahi thi vo bhi wrong direction mei grow ho rahi thi. Wahi aaspas ki grass different directions mei grow ho rahi thi.
Trey-Guys kya tumhe yeh jagah kuch ajeeb nahi lag rahi hai ?
Trey ki baat par sabhi ne us direction mei dekha jaha par Trey unhe show kar raha tha.
Unhone us jagah par dekh kar kaha.
"Hmmmm, mujhe toh vo jagah kaafi normal lag rahi hai. Tum sabhi kya kehte ho ?"
Yeh baat Trey ke ek teammate ne kahi thi.
Is par Trey ne kaha.
Trey-Lekin mujhe lagta hai yaha par knights chupe hue hai.
Is baat par Trey ke teammates kaafi shock ho gaye the. Sabhi yahi soch rahe the ke waha par kaise koi ho sakta hai. Waisi jagah par sirf koi bachha hi fit ho sakta hai.
Trey bhi puri tarah se sure nahi tha lekin us jagah par bane bubble ko dekh kar usse check karne mei koi loss nahi tha.
Trey-Mujhe lagta hai waha par unhone hole banaya hai aur uske andar jaa kar yeh sabhi chup gaye hai aur ab apne enemies ka wait kar rahe hai. Jab enemies inke hole se pass ho jayenge tab yeh sabhi yaha se nikal kar apne Captain Josh ki taraf chale jayenge jo bhi dekha hai usse report karne ke liye. Is sab ke liye mere paas ek plan hai.
Iske baad Trey ne apni team ko uska plan bataya aur usse soon kar sabhi ne waise hi karne ke baremei socha.
Trey aur uski team ab casually waha se aage badhne lag gayi.
Jab vo kuch aur aage gaye aur aage ke jhadiyon mei jaa kar chup gaye waise hi uske kuch der baad 2 knights us hole mei se nikal gaye aur ek left ki taraf gaya toh dusra unki hi direction ki taraf aa raha tha.
Trey ne ishare se apne 2 teammates ko dusre wale knight ke piche jaa kar usse capture karne ke liye kaha wahi vo khud unki taraf aane wale knight ko sambhalne wala tha
Jaise hi us knight ne Trey ke hiding spot ko paas kiya waise hi Trey jaldi se us knight ke piche chala gaya aur piche se usne us knight ke muu ko cover kar liya. Wahi issi bich uske teammates bhi bahar aaye aur unhone jaldi se us knight ke pressure points ko press kiya. Saath hi uske band ko bhi nikaal liya.
Trey-Ab tum dead man ho aur deam man stories nahi batate hai. Is liye ab mein tumhare muu ke upar se apna haat nikaalne wala hu aur tum na chilla sakte ho aur na hi kuch keh sakte ho....Understand ?
Trey ki baat par us soldier ne apne sir ko haan mei hilaya. After all ab vo kya kar sakta tha ? Ab vo ek dead man tha.
Trey aur baki sabhi ne ab us hole mei koi aur hai ya nahi yeh dekhne ke baremei socha. Ab vo us knight ko puch toh nahi sakte the after all vo ab 'dead' tha.
Trey ne soch liya tha ke vo surprise attack ke liye jayega aur enemy ko take down kar lega.
Jaise hi Trey ne us hole mei jump lagayi waise hi uske andar jo young soldier tha vo suprise sa ho gaya aur jaldi se khud ko defend karne ke position mei aa gaya. Inki battle kuch 2 minute ke liye chali lekin baad mei Trey ne opportunity ko create kiya aur us soldier ke band ko bhi secure kar liya.
Aise nahi tha ke vo soldier koi weak tha. Agar spectator ke point of view se dekhe toh Trey aur uska opponent same level par the. Trey is liye yeh round jit paya kyo ki usse fight ka experiance apne opponent se zyada tha.
Jab tak usne apne work ko complete kiya tab tak uske dusre teammates jo opposite direction mei chale gaye the unhone bhi unke opponent ka band le kar aa gaye the.
In 3 bands ko milne ke baad un sabhi ne soch liya tha ke jab tak at least 10 bands ko secure nahi kar lete hai tab tak vo aage badhte rahenge.
Jab yeh sabhi waha se chale gaye tab Lucias apni chupi hui jagah se bahar aaya. Usne dead soldiers ko meeting ground ki taraf jaane ke liye kaha.
Lucias-Trey, bete tumhara sab se bada asset tumhara brain hai. Yeh ladka abhi se smart aur observant ho gaya hai jo apne enemies ke potential tak ko access kar sakta hai. Fighting prowess ke saath combine karne ke baad future mei yeh kaafi powerful force ban sakta hai.
Mark's Territory.
Knights ka ek group abhi apne prey ko kaafi silently follow kar raha tha aur wait kar raha tha sahi time ka ke jab vo strike kar ke apne enemies ke flag ko secure kar sake.
Start mei unhe laga ke yeh log bhi apne oppoenet ko dhund rahe hai is liye is group mei abhi ke low rehna hi sahi samjha. Lekin kuch der baad unhe pata chala ke yeh soldiers hunt nahi kar rahe hai balki kuch chupa rahe hai.
Is ka ek hi meaning nikal raha tha ke unke saath unke camp ka flag hai aur vo kisi ek place par rakh kar apne enemies ke haato mei nahi jane dena chahte hai. Enemy group mei 4 knights the wahi yaha par sirf 3 members the. Agar unhe kuch bhi action lena hua toh kaafi quick way mei lena hoga.
Although yeh risky tha lekin yeh sabhi us risk ko lene ke liye ready the.
In soldiers mei se ek Billy tha jo Captain Josh ke under tha. Yeh ek shy person tha lekin smart bhi tha.
Enemy team ne ek achhe hideout ko locate kiya aur abhi ke liye rukne ke baremei soch liya. Lekin jaise hi vo rukne wale the waise hi Billy ki team swiftly move hote hue aayi.
Billy ne nimble movement ke saath 1st knight ke pressure points ko hit kiya aur uske band ko secure kiya. Lekin jab tak usne yeh complete kiya tab tak ek aur enemy team uski taraf badh gayi. Yeh kuch strong thi. Unke bich ek hand to hand fight start ho gayi thi aur Billy yeh notice kar raha tha.
Uske teammates striking mei kuch slow the is liye unka element of surprise zyada achha nahi gaya.
Abhi Billy apne teammates ki help karne ke liye aage badhne hi wala tha ke tabhi uske samne enemy team ka ek soldier aaya.
Usne aate hi Billy par straight punch strike kiya lekin Billy ek side mei ho gaya aur usne uska haat pakad liya. Billy ne uske haat ko pakadte hi uske joint par press kiya aur usse uske haat ke saath ghuma kar niche ground par patak diya.
Saath hi sahi time par uske band ko bhi secure kar liya.
Billy ne palat kar dekha ke uske teammate par uska opponent kaafi bhari ho gaya hai. Yeh dekh kar Billy jaldi se uski help karne ke liye aage badh gaya.
Abhi vo kuch half distance par aaya hi tha ke tabhi ek aur enemy Billy ke samne aaya.
Usne bhi us par straight punch se strike kiya par is bar bhi Billy side mei ho gaya aur usne apne enemy ke haat ko pakad kar uske momentum kar aage jane diya. Wahi jab uska oppoenet kuch aage aaya waise hi Billy ne uske ghutne ke piche se apne pair se halke se strike kiya aur usse bhi niche bitha tha.
Uske haat se uska opponent release na ho is liye Billy ne uske pakade hue haat ke shoulder par press kiya aur usse wahi par rok diya.
Dekhte hi dekhte Billy ne uske band ko bhi nikaa liya aur jaldi se jaa kar apne teammate ki help karne lag gaya.
Billy aur uske teammate ko kuch 7 minutes lage unke opponent ko beat karne ke liye. Par usse beat kar ke unhone uske band ko bhi secure kar liya.
Billy ne apne opponent ko dekha aur kaha.
Billy-Tum kaafi achhe ho. Tumne kaafi honory ke saath fight ki. Par shayad mein is time par lucky tha issi wajah se mein isse jit paya.
Yeh keh kar Billy smile karne laga.
Is par uske opponent ne bhi smile kiya par kuch kaha nahi. Kaise kehta vo toh ek dead person tha.
Issi ke saath Billy ne apne teammates ko dekha aur phir usne decide kiya ke vo jaldi se apne camp ki taraf jaane lag gaye. Enemy Flag ke saath ghumte rehna kaafi risky tha.
Wahi Sagar abhi yeh sab dekh raha tha aur Billy ke aise transformation ko dekh kar kaafi suprise bhi tha. Billy kaafi shy person tha jo kaafi kam bolta tha. Par aaj uske combat ko dekh kar Sagar ko achha feel ho raha tha. Uski training ne sabhi ko kaafi change kar diya tha.
Wahi Sagar in sabhi ki ek dusre ke liye loyalty dekh kar bhi kaafi khush tha. Although yeh admirable tha par Sagar ko yeh idea bilkul bhi achha nahi lag raha tha ke koi aise risk le. Vo yahi chahta tha ke yeh sabhi apne aur apne teammates ke safety sab se pehle dekh.
Agar kisi bhi soldier ke return ke chance 70% se kam hai toh vo unhe aise jobs par jane nahi de sakta tha. Jaisa ke usne socha tha ke yeh admirable hai par ismei risk bhi zyada hai.
Example jaise agar kal Empire unpar attack karne ke liye thousands of troops ko bhejta hai toh aise mei vo sab se pehle yahi sochega ke vo yaha ke logo ko kaise securly bahar nikaal sakta hai. Death tak fight karne ka koi point hi nahi rahega agar kuch bacha hi nahi toh.
Sagar 'Live Today Fight Tomorrow ' jaisi philosophy par zyada belive karta tha.
Agar aaj koi apne enemy ke saath fight nahi kar sakta hai toh uska meaning yeh nahi hai ke aage chal kar vo unhe crush nahi kar sakta hai. Abhi ke liye Sagar in sabhi ke sense of responsibilty lana chahta tha aur usse time ki bhi zarurat thi.
Agar Sagar is sab mei successful hota hai toh vo jaldi hi in sabhi ke Exo Suit dene wala tha. Par yeh uske suit se kuch different hone wale the. Yeh specially yaha ke logo ke physilogy ko dekh kar create karne wala tha. Iske upar Sagar ne kaam bhi start kar diya tha.