Update 60 Ruhi Had Lots To Say
Abhi ka haath kaamp gaya uss perfume ko haath mein lekar…pichle 25 saalon mein ussko yeh perfume mila hi nahin kahin bhi. Ruhi se alag hone ke baad Abhi ko 3 saal baad mila tha wo perfume matlab 1989 tak… uss ke baad importer ne Abhi se kaha tha ya to Bourjois ne uss perfume ko banana bandh kar diya ya naye perfumes banane lage iss liye “Soir De Paris” nahin milta ab…. France ki perfume hai aur isska matlab hai “Night Of Paris” Abhi ka passanjida perfume tha, aur aaj uss perfume ko 25 saal baad sungh kar sochiye Abhi ne kia feel kiya hoga, ussko kaisa laga hoga?.....
Abhi ke jism ke rowan rowan uth gaye wo sungh kar, wo zamana yaad agaya, weh din yaad agaye, har lamhe ki ek khushbhoo hoti hai, har pal ka ek khushbhoo hota hai, har waqt ki ek pehchaan hoti hai ussi tarah Abhi ke guzare hue weh din iss khushbhoo se iss tarah se jude hue the, uss khusbhoo se Ruhi judi hui thi, Ruhi ki yaadein jude hue the. Saeed, Mehboob, Mahesh, Shweta, sab jude hue the iss khushbhoo se… unn dinon jab Abhi gande kapdon mein kaam karta tha, aur shaam ko wash karne ke baad jab apna uss kamiz ko pehenta tha jiss se ab wo wapas bus se ghar jaega, to uss kamiz mein yeh khushbhoo laga hua hota tha, Abhi ke jeb ki rumal mein yeh Khushboo hua karta tha, aur Abhi ko weh din wapas yaad agaye, ussko laga ke abhi wapas bus se ghar jaega, shaam ho rahe the to kaam khatam karne ka waqt tha aur ussko ab ghar wapas jaana tha….. Abhi uss perfume ho haath mein liye almaari ke paas baith kar fur fut kar rone laga….
Ruhi ne bachon se apni wheelchair laane ko kaha, uss par kaise bhi karke baithi aur Abhi ke paas gayi, ussko apne seene se lagaate hue ussko chumban diye, aur aaj 25 saal baad Abhi ko Ruhi ke seene se dobara lagne ko aur usski jism ki khushbhoo ko feel karne ka naseeb prapt hua….. wo soch kar wo aur bhi kaske rone laga Ruhi ki chaati par usski dress ko bhigote hue….
Ruhi ko bhi ek chain ki saans lene ka mauka mila apne Abhi ko barson baad apne seene se kaske uss tarah se lagaane se…. wo bhi taras gayi thi apne Abhi ko uss tarah se mehsoos karne ke liye…. Aur Ruhi gungunaane lagi Abhi ke sar par haath ferrte hue, “pyar karte hein hum tumhein itna…. Pyar karte hein hum tumhein itna, do aankhen to kia do jahan mein samaaye nah jitnaaaaaaa pyar karte hein hum tumhein itnaaaaaa” aur iss gaane ko Ruhi ko gungunaate sunkar Abhi aur bhi rone laga….
Ruhi ne usske sar ko chumte hue kaha,
“Mera Abhi to ab bhi wohi bacha hai, ab bhi weise hi rota hai, kitna emotional tha aur aaj bhi hai mera Abhi hmmm? Kitna rote ho aap? Aur kitna roya hoga jab mere ghar se aakhri baar nikaale gaye the aap? Mera kaleja fatt jata tha buss wohi soch soch kar, kissi ko nahin pata tha mere siwa ke aap kitne emotional ho, dil ke kitne nazuk ho aap wo sirf mujhe pata tha, iss liye sab soch soch kar main bahot roti thi Abhi…. Main ne uss din aap ke chale jaane ke baad ghar mein toofaan khada kar diya tha, itni chilaayi thi, kitne chizon ko toda foda tha, nah meri dayan maa, nah baap nah manoj nah Mahesh sambhal paa rahe the mujhe, uss ghar ke takriban saara samaan tod fod diya tha main ne, ek bhoot jaisi sanwaar ho gaya tha mujh par….
Baahar ek toofan tha aur uss ghar ke andar main toofaan bani hui thi, ghar ke saamne wale saare seeshe tod daale the main ne yeh kehkar ke mere Abhi ko iss baarish mein tum logon ne bhigne ko bheja to lo main iss ghar ko bhigo deti hoon, tamaan seeshon ko ek lohe se tod dala tha main ne, haath mein lag bhi gayi thi tute hue seeshe se…. ghar terraase se andar lounge tak aise bheege ke aangan lagne laga tha…. itna barish ho raha tha ke sofon ko lounge se utha kar ghar ke andar karna pada un sab ko… main ek paagal jaise behave karne lagi thi, hanss rahi thi jab sab samaan utha utha kar andar le jaa rahe the aur main bahar khadi baarish mein bhig rahi thi yeh soch kar ke mera Abhi bheeg raha hoga unn kutton ki vajah se…. kuch der baad main bhi kaampne lagi thi, papa ghanton baad mujhe andar le gaye tab mujhe ehsaas hua ke aap bhi kaamp rahe honge, aur uss haalat mein inn logon ne aap ko wapas lautaya tha… yeh chillaate hue main keh rahi thi sab se, ke dekho main kitna kaamp rahi hoon Abhi bhi to issi haal mein hoga, kyun ussko wapas bheja tum logon ne….”
Abhi thoda shaant hua tha, Ruhi ke seene se hi laga hua tha, Ruhi ne bolna bandh kiya aur Abhi Ruhi ke dil ke dhadkanon ko sun raha tha….ussne ek kiss kiya Ruhi ke seene par, Ruhi ne ussne gardan ko chuma, aur Abhi ne sar uthaakar Ruhi ke chehre mein dekha, to Ruhi ne Abhi ke munh par ek chumban diya aur dhire se kaha,
“kiss karna to bhool hi gayi hoon main, 25 saalon tak kissi ko kiss nahin kiya nah? mujhe seekhadoge dobara kiss karna hmmm?!”
Abhi ne zor se chipka liya Ruhi ko ab apne seene par aur mudhkar bachon ko dekha, bache samajh gaye aur sab baahar nikal gaye…. Tab Abhi ne halke se Ruhi ke honton se apne honton ko lagaya, aur apne jeeb ko ferra Ruhi ke kaampte honton par, Ruhi ne aakhen bandh kar li, aur Abhi ne Ruhi ke chehre ko apne haathon mein thaam kar ek lamba wala passionate kiss kiya…. Ruhi ne jaise khudko Abhi ko surrender kar diya tha uss waqt, apne jism ko bilkool dhila chorr diya tha…. Abhi ko usski jeeb ka swadh dobara haasil hua aaj aur Shweta yaad aayi iss baar…. Aur kiss rokte hue Abhi ne socha Shweta ka zikr karen.. magar Ruhi ne kuch aur hi bolna shuru kar diya…. Uss ne kaha,
“Main ne 5 saal tak Manoj se baat nahin kiye uss 5th January 1987 ke baad, aur maa se to iss tarah baat karti jaise main usski maa thi wo meri naukrani…. Koyi kaam nahin karti, sirf ghar mein baithti aur kitabein padhti, Farzina aur dusre cousin se bahot saare kitabein magwati unnke school ke library se aur padhti…. Abhi aap ke jaane ke baad yeh aangan suna papd gaya tha, jitna meri Abhi ka naam goonja karta tha iss aangan mein utna hi sannaata chaa gaya tha, uss 24th December ko jab main chali gayi thi aur wapas aayi to aagan mein itna sannata tha ke mujhe darr lagne laga tha yahan rehne ko…. Mere kaanon mein baar baar aap ki seetiyon ki awaaz sunaayi dete, aap ussi gaane ki dhund ko seeti bajaate hue sunaayi dete mujhe… jiss din main wapas aayi thi 31st se pehle ya 31st ko hi abhi yaad nahin, to main prathna karti ke bus se utrun to aangan mein kissi kaaran dekhun ke Abhi tak kaam chal raha hai bus mein aur aap yahin ho, aisa anumaan ho raha tha ke aap zaroor kissi kaaran issi aangan mein miloge mujhe, main ne aankh bandh karke main road se aangan mein daakhil hui, aur aankhen kholi to sab khali khaali dekha, bus bhi nahin tha, koi shor sharaba nahin tha, sanaata tha, sab alag sa lag raha tha, mera dil baith gaya aur dil ne kaha chala gaya tera Abhi, ab kabhi nahin wapas aane ke liye chala gaya wo…..
Aur jab aap ki new year wali wishing card mila khat ke saath to dil jhum utha ke aap aoge…. Dil ko sukoon haasil hui…. Aur tab ek tamasha hua tha Abhi…. Family members mein ek bada tamasha hua tha…. aap gaye the nah meri chachi ke ghar mujhko dhundte hue…. Shayad 28th December thaa nah? Main wahi thi uss roz. Behad khush hui thi aap ko dekh kar, itna acha laga tha dekh kar ke aap mujhko dhunte hue wahan tak chale aaye the…. Abhi tabhi mujhe pura yakeen ho gaya tha ke aap mujhse kitna pyar karte ho aur serious ho…. ussi roz main ne decide kiya tha ke ab chaahe kuch bhi ho main kissi ki nahin banungi aap ke siwa, aur koyi maene nahin rakhta tha mere liye aap ke siwa uss din main ne decide kiya tha jab aap ko rote hue mere liye meri chachi se baat karte suna tha, chachi aur maa ki bilkool nahin banti dushman hein donon ek dusre ke iss liye mujhe chachi ki baat manni padi aur main kamre ke andar chali gayi thi usski lehaaz karte hue….
Magar wohi mauka tha aap ko sunne ki aur ap ki sachi muhabat ko pehchaanne ki. Meri chachi aap ke liye ek ajnabee thi aur aap ne ek ajnabee se roya tha mere liye, aap ne apna pyar saabit kiya tha mere liye uss roz Abhi… main ne tabhi decide kiya tha ke ab ghar wapas jaakar aap ke baare mein maa se kahungi ke main aur kissi ko bhi nahin accept karungi sirf Abhi ko accept karungi varna kissi ko bhi nahin….
Magar tamasha yeh hua tha ke chachi mere pahunchne se pehle meri maa aur baap ke kaan bharne chali aayi thi ke aap kiss tarah ke insaan ho ke usske ghar tak aa gaye the mujhko dhudne ke liye… aap ko gunda mawali kaha tha ussne aur maa aur papa usske baat ko lekar itna ghussa the, saath me Manoj bhi tha… sab aap ke khilaaf the uss baat ke liye ke aap usske ghar gaye hue the mere liye…. Sab ulta hua tha, balke chachi ne sab ulta karke bataya tha yahan aakar………”
Abhi ne Ruhi ko rokte hue kaha,
“Aur tum picnic gayi thi tab mujh tak sandesha pahuchna chahti thi George ke zarye hai nah?!”
Ruhi chahunka aur Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,
“oh my God aap ko wo pata tha? aap ko sandesha mila tha? to kyun aaye the aap 5th ko?!”
Abhi: “Nahin mila tha sandesha Ruhi, agar mila hota to nahin ata main 5th ko…. Mujhko to karib ek mahine baad uss baat ka pata chala ke tum picnic gayi thi to George se mere bare mein puch rahi thi aur mujhe 5th ko nahin aane ko kaha tha…. khabar bahot late mila tha mujhe…. Usske baad main sochne laga tha aisa kia hua hoga ke tum nahin chahti thi ke mai 5th ko aaun….”
Ruhi: “main chahti thi ke Chachi wali baat thanda ho jaaye tab aap aao, wo baat garam thi 5th tak…Manoj, bhi naraaz tha ke aap kyun gaye the usske ghar jab aap ka koyi Rishta nahin tha uss se? ek mummy ki banti nahin thi uss se, Upar se ussne itna tamasha kiya tha ek purani baat ko lekar ke main kaise bataun aap ko meri samajh mein nahin ata abhi….
Meri uss chachi se aur hamara iss ghar se ek bada hi ajib o gharib Rishta hai Abhi main yeh baad mein bataungi aap ko…. Meri life ki sabse badi ghalati wali Rishta hai mera us ghar se Abhi…. Magar abhi mat puchna main dhire dhire aap se sab kuch bataungi…. Abhi kuch aur bolna hai mujhe aap se…
Jab aap ki shaadi ki khabar suni to bahot royi main….”
Abhi: “Pehle mujhe yeh batao ke tumko meri mangni phir shaadi ki khabar mili kaise? Navina to uss side rehti hai, yahan se 10/15 kilometres door hai, aur idhar ke log uss taraf se bilkool katte hue hein, tumhare main road se East jaate hein saare raste, usski road se south ziada tarr jaate hein to tumko kaise khabar milte the? Koyi related family members tha kia tumhara?!”
Ruhi ne muskuraya, apne chasme ko nikala aur phir Abhi ke chehre ko sehlaate hue kaha,
“main Aap ki khabar rakhti thi Abhi, mujhe sirf itna nahin pata ke rehte kidhar ho magar aap ke har harkat ki khabar rakhti thi main!”
Abhi: “magar kaise? Agar itna hi khabar rakhti thi mera to mujhse contact hi kar leti tum? Tumhein nahin lagta ke tumne ghalat kiya? Kumse kum tab to mujhse mil leti jab main Rahima ke ghar diaries chorrne aya tha, wo mera aakhri baar yahan aana tha, main aur bhi ana chahta tha magar jab Mehboob ne mujhe mere diaries wapas kiye to aisa kuch kaha ke yahan aana bandh karna hi pada mujhe!”
Ruhi: “Abhi taqdeer ka khel samjho ya yun kahun ke upar wala chahta tha ke mujhe aap ke baare mein sab pata chalta rahe hamesha… kissi tarah bhi mujhe aap ke baare mein pata chal hi jata tha…. ab batati hon ke kaisse mangni ki khabar mili aur phir kaise shaadi ka pata chala mujhe…. Ek tarah se kusoorwaar main thi nah? main ne aap ko takliff diya tha, main ne aap ko door kiya tha khud se, main ne aap ko thukraya tha, main ne apni maa ki baat suni thi aap ke pyar ko thukraya tha to mujhe sab saza milna tha aur main tab tayyaar ho gayi thi saare saza bhugatne ke liye, main ne thaan liya tha ke main datke saamna karungi apne mukadar ki, main ne bahot strongly decide kar liya tha aur maa aur papa se bahot gambhirta se oonchi awaaz mein rote hue Manoj aur Mahesh ke saamne keh diya tha ke umar bhar shaadi nahin karungi, bina shadi kiye hi marr jaungi, chaahe aap se nah bhi milun to aise hi marr jaungi, main dekhna chahti thi ke kismat mujhse se kab tak ruthi rehti hai, kab tak aap se door rakhti hai mujhe aur main sazaa bhugatna chahti thi, mere aur mere pariwar ke taraf se aap ko jitna dukh mila tha usska sazaa bhugatne ke liye tayyaar ho gayi thi main 1987 mein hi….
Aur dekho sazaa yeh mili ke wheelchair par baitha diya mukadar ne mujhe, aap ko bahut rulaya aur dukh diya tha nah main ne issi ki sazaa paaya main ne Abhi…. Aap dil ke bahot saaf the, main nahin thi, main double cards play kar rahi thi, aap se kitna jhoot bola tha, aap se kitna kuch chhupaya tha main ne, phir bhi aap mujhse pyar karte rahe, main ne aap ko bata bhi diya tha main virgin nahin phir bhi aap mujhse pyar karte rahe, aap ko maa aur papa se milkar jhoot kaha ke papa ke saath chali jaungi, aap ko yahan kitna tadpaati rahi, aap chahte the ke aap ke saamne dikhun phir bhi khidki band kar diya karti thi, aap ke saamne nahin aati thi, bahot tadpaati thi aap ko, sirf maa ki baton ko sunti thi, ek baar to aap ko suna bhi rahi thi ke aap kia samajhte ho ke main aap se shaadi karungi….
Aap ko kitna dukh diya tha main ne unn der mahinon mein… sab yaad hai mujhe Abhi ussi ki sazaa paane ke liye main tayyaar ho gayi thi… yeh ek aur vajah thi ke aap ko khat nahin likha aur aap se milne ki koshish nahin kiya tha main ne kyun ke main khud ko sazaa dena chahti thi, aap ke paak aur sache pyar ko jaise thukraya tha, waise hi khud ko sazaa dena shuru kar diya tha main ne aap se door hokar aur tey karke ke kissi ko bhi apni life mein nahin aane dungi, aap ki ban kar rahungi chaahe door hi sahi….
Haan mujhe pata kaise chala, to suniye Aap ki wife ek bahot achi teacher thi, itni achi ke hamare ilake ki kayi students jaate the usski college mein padhne, unn mein se ek thi Reza ki chhoti behen. Uss se mujhe khabar milti thi, kyunke wo aap ko janti thi, aur ussne aap ko ek roz apne teacher ke sath dekha tha jab aap ussko college ke saamne wait kar rahe the aap ki mangni ke baad.
Tab ussne apni teacher se pucha the ke aap kaun ho, aur teacher ne uss se kaha tha ke aap usski mangitar ho… aap ko English likhna padhna passand tha, mujhe bhi, to aap ko ek English teacher mili hmmm? Abhi? English likh kar hi pataya hoga ussko nah aap ne? aap itni achi love letter likhte the, to sochne lagi thi main ke zaroor aap ne ussko likha hoga, kuch to likha hoga aap ne jo usski dil ko bhaa gayi hogi aur aap se pyar ho gayi hogi ussko… main hi paagal thi ke aap ke teen behtareen love letters ko padhne ke baad bhi aap ke pyar ko nahin pehchana tha main ne, ya yun kehye ke pehchana to tha magar do ghode par sanwaar kar rahi thi uss France ke Amit ko behtar samajh rahi thi maa ki baton mein aakar…. Sahi kaha tha aap ne ke mujhe shaan , shaukat, dhan Daulat ki bhook thi, haan shaayad thi unn dinon, aap se tulna karti thi Amit ki, to aap nicha dikhaayi dete the balke maa aap ko nicha dikhaati thi mujhe, main aap ko maa ki nazron se aur mehbob ke nazron se dekhti thi… aap ko apni nazron se tab se dekhna shuru kiya jab aap ko kho diya main ne……”
To be continued…. (3035 words)
Woooooowww
Very good and brilliant update
Very well written and described....
To baat karte hai story ke baare mai.....
ACTUALLY HUMAN BRAIN......YE AK AISI CHIJ HAI JO ISS DUNIYA MAI SABSE JYADA KHATARNAAK OR SABSE JYADA ACHCHI HAI.....SABSE JYADA PECHIDA OR SABSE TEZ....
AAJ BHALE HEE KITNE BHI SUPER COMPUTER YA ARTIFICIAL INTELLIGENCE AA JAAYE LEKIN ISKE 1% KE BARABAR BHI NAHI.....OR YE BAAT SCIENTISTS BHI MAANTE HAI.....
KYOKI YE BAS CHIJO KO APNE ANDAR STORE HEE NAHI KARTA BALKI UNKE SATH UNKI FEELIGS OR EMOTIONS BHI SAVE KARTA HAI....
LIFE KE KISI BHI PHASE MAI YA KITNE BHI SAALON BAAD AAP AGAR KOI CHIJ YA INCIDENT YAAD KARTE HAI TO YE AAPKO KUCH SAMAY KE LIYE NA SIRF WO YAAD DILATA HAI.....BALKI US INCIDENT YA THING KO LEKAR USS SAMAY AAPKI FEELING.....EMOTION KAISE THE WO HEE SAME FEELING AAPKO ITNE SAALON BAAD BHI FEEL KARWATA HAI...
Ak tarah se kuch der ke liye aapko uss samay me le jata hai....
Abhi ke saath bilkul waisa hee hai....usne bhi 25 saal baad wo perfume ko dekha or use smell kar.....qo jarur uss zamaane mai chala gaya....OR ak bar phir unn yaadon ko jee kar aaya hai....OR isi liye wo itna emotional ho gaya.....
Ruhi ko itne samay baad kiss karna or usko hug karna.....feel karna....waise to ye apne aap mai ak alag hee level ki feeling thi.....
Lekin iss samay ye abhi ke liye normal thi....bhale hee Ruhi ke liye ye ak extreme moment ho lekin abhi ke liye nahi.....
Kyoki Abhi to regularly Shweta ke roop mai Ruhi ko feel karta hai....
Ha lekin jaisa maine kaha....Ruhi ke liye ye ak extreme moment hai....kyoki wo pure 25 saal ke baad Abhi ko chhu paayi hai feel kar paayi hai....
Usko hug or kiss kar paayi hai....very emotional moment.....
Chachi ke baare mai
KAMDEV bhai ne sahi kaha....OR usi baat ko lekar chachi unn sab par haavi rahti hai...
OR uski maa ki shaayad isliye nahi banti chachi se kyoki wo shaayad baat baat par Ruhi ki maa ko sunaayi hogi....about Ruhi’s so called mistake....
OR jab hame koi hamaare ya hamaare kisi family member ki galati ke kaaran bar bar sunata hai to hame bura to lagta hee hai saath hee sunaane waale le liye gussa or nafrat hamaare mann mai aa jaati hai.....
OR may be isliye dono me anban hai...mm
Lekin isme bhi mera ak sawaal hai....jab Ruhi ki mera aa or chachi mai banti nahi....saath hee Ruhi ki jab wo badi waali mistake bhi chachi ke ghar se judi hui hai....
To phir uski maa ne use chachi ke ghar hee kyo bheja....jise ki wo pasand nahi karti....
Nani ke ghar bhi to bhej sakti thi....janha tak mujhe dhyaan he baaki ke ghar ka bhi jikar aaya tha or unn logon ke saath koi dikkat bhi nahi thi....
Phir Ruhi ko aisi situation me bhi usi jagah kyo bheja janha pahle bhi gadbad ho chuki hai.....
Ha to ab baat karte hai Ruhi ke baare mai....
To ha Ruhi paagal ho gayi thi....uske liye duniya ujaad ho gayi thi or gusse or pagal pan mai wo chijo ko tod rahi thi or baarish me bheeg bhi rahi thi....OK
But ak baat hai....or wo hai...TIME PERIOD.....
Sahi time period par aapke muh se nikli ak baat ya phir ak thappad....mai nahi kah raha ki bhayanak ladaayi jhagda.....
Lekin kuch tez lawaj ya uthaya hua haath Ruhi ke future ko badal sakta tha....
Lekin usne sahi samay par aisa kuch nahi kiya....
Dusri chij use Abhi ke pyar par vishwas hee tab hua jab kuch bacha hee nahi tha....iska matlab ye hai ki JAB ABHI WANHA USKE LIYE PAAGAL HOTA THA......JAB DONO AK DUSRE KO KISS KARTE THE....HUG KARTE THE... AK 2 BAAR TO PHYSICAL WAALI SITUATION BHI AA GAYI.....OR UN SABHI MAI RUHI SAAMNE SE READY HUI THI....
TAB TAK.....TAB TAK USE ABHI PAR VISHWAS NAHI THA.....USKE PYAR PAR USKE BAATO PAR.....
USKE LIYE SAB BAS TIME PASS THA....KI AGAR HUA TO THIK NAHI TO NA SAHI....KOI DIKKAT NAHI HAI....
JABKI ABHI SHURUWAAT SE SURE THA ABOUT HIS LOVE OR WO TO SHAADI OR BACHCHON KE BAARE MAI BHI SOCH RAHA THA....APNI OR RUHI KI BETI KE BAARE MAI .....
TAB TAK WO SAB MAY BE RUHI KE LIYE AK BAHUT STRONG ATTRACTION THA....ABHI KA.....
KAM SE KAM RUHI TO AISA HEE SAMAJH RAHI THI.....
JAB HAMAARE MIND MAI KISI CHIJ KO LEKAR 2 THOUGHTS HOTE HAI....OR HAM DONO MAI SE KISI PAR PURI TARAH SAHMAT NAHI HOTE YA CLEAR NAHI HOTE.....
OR USS SAMAY AGAR HAMAARE ANDAR DECISION TAKING POWER NAHI HOTI YA ITNI SOCH SAMAJH NAHI HOTI....
TAB HAM SUNTE HAI DUSRO KE VICHAR USS CHIJ KE LIYE ....
OR PHIR UNN DONO SITUATIONS KO SANE WAALE KE POINYLT OF VIEW SE DEKHNE KI KOSHISH KARTE HAI.....
OR AGAR SAAMNE WALA KHUD CHAHTA HAI KI HAM USKI BATAAYI SITUATION KO SAHI MAANE TO WO USKA JIKAR BAR BAR KARTA HAI.....
OR HAMAARE DIMAAG NA CHAHTE HUE BHI USKI BAAT KO SAHI MAAN NE LAGTA HAI.....
Ruhi ke saath bhi aisa hee hua....wo apne future ko lekar Amit or abhi ke liye confirm nahi thi.....
Kyoki dono mai alag alag qualities thi....
Aise mai uski maa ne bar bar uske saamne Abhi ki burayi kar use Abhi ko kam maan ne ke liye vivash kar diya.....
OR Ruhi khud Abhi ko Amit ki tulna mai kam samajhne lagi.....jaisa ki usne kaha ki use Abhi ke pyar ki sachchai ka yakeen chachi waale incident ke baad hua.....
Pahle nahi tha....kyoki uski nazar mai tab Abhi kam tha.....OR Amit jyada better.....
OR janha comparison aa jaaye wanha pyar nahi ho sakta....meri nazar mai......
PACHHTAWA.....GUILT.....jab hame kisi baat ko lekar guilt hota hai to hame wo pal jab ki hamne wo sab kiya jo nahi karna chahiye tha ya phir wo nahi kiya jo karna chahiye tha.....
Wo sab hame bade hee detail mai or pal pal dikhaate hai....uss chij ke....
Normally bhale hee wo baat hame jyada yaad na rahe lekin jab kisi baat ko lekar guilt hota hai tab uss baat ki hame ak ak detail choti se chhoti chij yaad aati hai.....
Ak film ki tarah....
Isliye Ruhi ko sab itne detail mai yaad hai.....kyoki pichle 25 saalon se wo ye hee sab apne andar sochti aayi hai.....
2 lines Ruhi ke liye........
INN GUNAAHO KE DAAG KOI MITA DE......
KE KHUD HEE DARTA RAHA HU MAI......
APNE SAAYE SE.......
Khair Abhi bhi kaafi raaz kholne hai....
Dekhte hai kya Hota hai....
Waise kaafi dino baad review diya hai.....kuch samajh hee nahi aa raha tha kya kahu....isliye jo samajh aaya likh diya....next time better karne ki koshish karunga....
Anyways
Very good update
Thanks.....