• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Swathi

Banned
335
3,999
123
Update 65 Abhi And Navina

Uss raat ko Abhi wahan se nikla ghar jaane ko. Shweta ne dinner karke wapas jaane ke liye kaha magar Abhi ne bataya ke Ruhi ke yahan dinner refuse kiya, Navina ko lene jaana tha nahin gaya ab at least usske saath dinner to karna hai ussko. Phir Shweta ne pucha ke kaise achanak Ruhi ke yahan jaane ko decide kiya, aur Abhi ne bata diya ke Mahesh mila tha to ussne bataya ke Ruhi ne saalon pehle se ussko bulaya tha milne ke liye.


AT HOME.

Jab Abhi ghar pahuncha to Navina ne dinner already tayaar kar diya tha aur Abhi ke kapde jo nahane ke baad pehentta hai sab ready rakh diye the aur usska wait kar rahi thi.

Garage mein car rakhne ke baad Abhi ghar mein aya to Navina ne muskuraate hue ussko receive kiya ussko underarms hold karke lounge mein walk karte hue, aur kaha,

“My sweet husband ko kaun si emergency agaye the ke apni wife ko aaj lene nahin aa sake hmmm?”

Abhi ne Navina ko zor se baahon mein bharke apne saamne kiya, zor se hug karte hue usske donon gaalon par kiss kiya aur usske chehre mein dekhte hue kaha,

“dinner karte waqt sab batata hoon okay?!”

Navina: “Okay, agree, main ne aap ke kapde rakh diye hein hanger par, aap ka wait karungi tab tak dinner serve karti hoon thik hai…”

Abhi bathroom ke taraf badhne lage the ke Navina ne awaaz ko thodi oonchi karte hue kaha,

“Shweta ke paas nahin gaye the aap? Kaafi dinon se aap ne kuch nahin bataya usske baare mein? Kahin ussi ke yahan koyi emergency to nahin the nah?!”

Abhi ko shock laga Navina ke baton ko sunkar aur badbadaya,

“Sala kissi ko ek lecturer se shaadi nahin karni chahiye, suna aap logon ne? Detective se bhi ziada bada dimaagh hote hein lecturers ke paas, lagta hai koyi camera chipka hua hai mere pichu mein jo sab recorded hai aur wo dekh leti hai main kab kahan jaata hoon !!”

Nahane ke baad Abhi aur Navina dinner kar rahe the. Abhi tukur tukur dekhe jaa raha tha Navina ko jaise kuch guilty feel karte hue, to Navina ne kaha,

“Guilty feel karne ki koyi zaroorat nahin hai husband ji bata do Shweta ke yahan kia hua, mujhe pata hai aap ussi ke paas the. Pichle 7 saalon se aap ko jitna khush dekh rahi hoon kabhi nahin dekha pehle, Shweta se milne ke baad aap ka noorani chehra bahot hi ziada chamakne lage hein, to bataiye kia hogaya tha aaj Shweta ke yahan? Kuch bura to nahin hua nah kyunke jab aap aaye to chehre mein thoda fikar dikha mujhe, so now tell me what happened!”

Abhi ne ek roti todte hue usske chehre mein dekha aur curry uthate hue roti se aur niwala munh tak laate hue Abhi ne kaha,

“kuch bhi to nahin everything is fine, magar tumko kaise pata ke main Shweta hi ke yahan tha? Spy kar rahi ho kia mujhe tum?!”

Shweta ne bhi ek niwala lete hue kaha,

“Ahaha aap ko spy karne ki zaroorat hi nahin aap sab khud bak dete ho, aaj nahin to kal sab bata doge aur aap ka chehra khud ek camera bhi hai aur screen bhi, sab keh jaate hein mujhe.”

Abhi: “kamaal hai yaar tumko CBI mein hona chahiye tha, agar mere chehre se main itna kuch bata deta hoon to agar main ne khoon kiya hota ya daaka dala hota to kabhi bhi bach nahin paata main to!”

Navina ne zor se hansste hue kaha,

“hahahahaha aap daaka dalenge hi kyun ek Ruhi jaisi ladki ko nahin bhaga sake to aap kyun daaka daalne lage husband ji?”

Abhi rock silent ho gaya yeh sunkar aur Navina ko laga ke ussne ghalat baat keh diya, to jeeb ko daanton mein dabaate hue Navina ne donon kaan pakre aur Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“ooopppssss sorry I did not mean it in that way kuch aur kehna chahti thi, please forgive me Abhi!”

Abhi ne tab roti wapas khaate hue kaha,

“kuch bhi ghalat nahin kaha tumne wife ji. Sach hai mera chehra sab dikhaa deta hai magar sabko nahin unnko jo mere kareeb bhai….”

Navina: “Aap dil ke bahot saaf ho Abhi issi liye mujhe aap ke chehre se bahot kuch pata chal jaata hai, agar aap hypocrite hote tab nahin pata chalta mujhe….. aap ne last 7 years mein Shweta se milne ke baad jitney baar ghar late aaye aur jitni baar bich raat mein ghar se nikle garage jaane ke bahane mujhe sab pata hota ke aap Shweta ke paas hi jaate the. Hai nah Abhi….. aap ka affair chal raha hai nah usske saath? Hmm??!”

Abhi ko itna bada jhatka laga ke usska niwala atakk gaya aur khanssne laga Navina ki baat sun kar!! Jaldi se paani ka glass diya ussko Navina ne aur uth kar usska peeth sehlaya. Abhi sar utha kar Navina ke chehre mein dekhta raha….. Navina wapas apni seat par baithi aur Abhi ko khaane ka ishara kiya hansste hue.

Abhi chhup raha kuch der aur Navina ne kaha,

“Aap jitna unlucky the apne twenties mein utna hi lucky hote gaye jaise jaise aap ka umar badhta gaya lakdiyon ke maamle mein aap ne yeh note kiya hai kabhi kia?”

Abhi ne Navina ke chehre mein dekhte hue bhola bante hue kaha,

“Ofo ab tum yeh kia baat lekar baith gayi yaar dinner to complete karo nah!!”

Navina: “Okay dinner ke baad baat karti hoon phir thik hai nah?!”

Abhi ne ek chothe bache ki tarah pakre jaane ke baad nazrein churaate hue haan mein sar hillaya!”

*************************************************************

Raat karib barah baj rahe the. Abhi aur Navina donon sofe par baithe the lounge mein, Navina ka sar Abhi ke chest par tha, wo apni nighty mein thi, aur Abhi ke gardan ko chumte hue Navina ne kaha,

“Aap ko kyun lucky kaha main ne samjhe aap?”

Abhi innocent bante hue, Navina ke baalon mein ungliyan ferrte hue kaha,

“pata nahin tum kuch bhi kehti rehti ho!”

Navina: “Abhi I am not a stupid my dear husband, haan baat yeh hai ke main aap ko full liberty de deti hoon, kyunke mujhe pata hai ke main aap ke liye wo nahin hoon jo aap ko chahiye tha… magar aap se wo emotional attachment ho gayi hai aap ke saath rehte rehte ke aap se door nahin ho sakti, aur mujhe achhi tarah se pata hai ke aap ko bhi mujhse utna hi emotional attachment hai ke aap bhi mujhko kabhi chorr nahin sakte aur door bhi nahin ho sakte, aap mera itna care karte ho yehi enough hai prove karne ke liye…..”

Abhi ne sirf itna kaha,

“SO? Kia matlab?!”

Navina: “Abhi raat ko barah baje ghar se nikalna jab Shweta se mile, usske baad aksar raat ko weise jaana aur subha 4 baje wapas aana, aap ke badan mein Shweta ki khubhoo ka aana, kia aap samajhte ho mujhe nahin pata ke raat raat ko aap usski bed par so kar wapas aate the? Main ek aurat hoon, aap ki bed par soti hoon, aap ki jism ki khusbhoo pehchaanti hoon ab uss khushbhoo mein ek female ki khushbhoo mix hogi to kia mujhko khabar nahin hogi Abhi? 7 saal pehle se jaanti hoon Abhi… magar kia stud ho aap, usske bawajud mujhse bhi sexual relationship barabar jaari rakha aap ne… do do ko sexualy please kar dete ho, hmmmm strong man Abhi data deti hoon yessssss!”

Abhi ka chehra bilkool laal ho gaya tha aur pasine tapakne lage the usske maathe se jissko Navina ne hi poncha, phir kaha;

“Aap ko lucky iss liye kaha ke aap ko jo maa se nahin mili wo usski beti se mil gaya aap ko, how lucky man!”

Abhi se ab bardaasht nahi hua, wo khada ho gaya aur saare lights ko on kiya lounge mein aur serious hokar Navina ko gambhirta se dekhte hue pucha;

“Tell me now, sach batao, aur kia kia jaanti ho aur kaise? Kissko pay kar rahi ho mujh par spy karne ke liye? Kaun hai jo saari khabrein deta hai tumko? Photos bhi liye honge show them to me fast, fast, mujhko ghussa mat dilao Navina main kuch bura bhi kar sakta hoon!!”

Navina bhi khadi ho gayi aur kaha,

“Are why should I pay someone to follow you? Baat saaf hai nah? aap ne apne diary mein sab likha hua hai? Aap bhool jaate ho ke ab aap akele nahin rehte, aap ki diaries main bhi padhti hoon, ab Naina nahin padhti to main padh leti hoon nah? iss mein kia hai ek wife apni husband ki diary to padh sakti hai nah Abhi? Jiss raat wapas aakar aap ne likha tha ke aap ko Shweta ki badan se wohi Khushboo aya itne saalon ke baad jo aap ko Ruhi ki jism se aate the to main samajh gayi ke wo pakka Ruhi ki beti hai…. Aap nahin samajh rahe the magar mujhe pakka yakeen tha… I bet ek din aap ko sach ka pata zaroor chalega ke Shweta Ruhi ki beti hai, magar main samajh nahin paa rahi hoon ke 7 saalon tak aap ko kyun Shweta ne nahin bataya ke wo Ruhi ki beti hai?!! Aap ke umr mein ek young, beautiful and hot aurat ke saath bed par waqt bitana kitna acha lagta hoga aap ko main samajh sakti hoon, aap lucky nahin to aur kia ho Abhi? Great lucky man!

Main aap ko ussi din batana chahti thi jiss din aap ne likha tha ke aap ko Shweta ki jism ke curves bhi bilkool Ruhi ki jism jaisa feel hota hai usski pasine ki khubhoo Ruhi jaisi mehekti hai, main tabhi aap se kehne wali thi ke wo zaroor Ruhi ki beti hai aap ko uss se puchna chahiye magar main ne kuch nahin kaha kyunke main aap ko dukh nahin dena chahta tha, main aap ko khush dekhna chahti hoon Abhi…. Main aap se ladaayi nahin kar rahi, main aap ko freedom deti hoom kisi se bhi sexual relationship mein rehne ke liye main ne pehle bhi kaha tha nah? But my place remains my place in this house buss mujhe aur kuch nahin chahiye aap ke dil mein aur iss ghar mein meri jagah… mujhe aap se door nahin hona aap chahe to aur 10 logon se hi kyun nah sex karo… It does not bother me at all! UNDERSTOOD HUBBY JI??!!!”


Sab sunne ke baad Abhi jaise thak gaya aur sofe par leyt gaya aur kaha,

“please mera sar daba do nah!”

Navina ne zorr se hansste hue usske sar dabana shuru kiya…

To be continued…………
Bahut hi badhya.
Bahut acha laga aaj Navina ki ek update dekh kar i think ye pehla update hai jiss me Navina ka naam hai. Too good.
Ek alag hasti hai Navina. Ek alag kissam ka insaan. Bahut bade dil wali. Apne pati k liye jine marne wali, usske khushi k liye apne khushiyon ko kurban karne wali.
Haan pehle hi keh chuki thi wo ke Abhi Ruhi ke saath reh sakta hai agar wo wapas mili to issi liye Abhink diary mein sab padhke ussko pata chal gaya tha ke Shweta mein Abhi ko Ruhi mil gaya tha iss liye ussne kuch nahin kaha tha Abhi aaj tak. Abhi baat iss liye shuru hui kyunke Abhi Navina ko lene nahin gaya tha koyi emergency bata kar iss liye baat nikli to Navina ne baat ko cherr diya varna shayad wo kabhi kuch kehti hi nahin Abhi ko iss baare mein. 7 saal sab jaante hue chup rahi.
Hats off to this especial lady.
 

Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Iss se pehle k 2 updates ko kia main ne bekaar mein likha tha Kamdev bhai? Kyun 2 updates ko skip karke review de rahe ho aap?
Aur shaatir wale koyi baat nahin thak jaata hoon type karte.... karib 3k words type kiya... ungli dard karne lage g mein dard ho gaya baithe hue :lol:
Issi liye ek turn mila to rok diya:D

Aur haan Silsila ke kayi dialogues khud Abhi aur Ruhi k bich hue hein iss kahani mein.... jo lines aap ne kahe immortal hein bhai aur fit hota hai iss situation me :D
KYO ITNI UNGLI KARTE HO BHAI....KI
UNGLIYO ME DARD HONE LAG JAAYE....:lol1:
 

Amity

Banned
532
4,093
123
Update 65 Abhi And Navina

Uss raat ko Abhi wahan se nikla ghar jaane ko. Shweta ne dinner karke wapas jaane ke liye kaha magar Abhi ne bataya ke Ruhi ke yahan dinner refuse kiya, Navina ko lene jaana tha nahin gaya ab at least usske saath dinner to karna hai ussko. Phir Shweta ne pucha ke kaise achanak Ruhi ke yahan jaane ko decide kiya, aur Abhi ne bata diya ke Mahesh mila tha to ussne bataya ke Ruhi ne saalon pehle se ussko bulaya tha milne ke liye.


AT HOME.

Jab Abhi ghar pahuncha to Navina ne dinner already tayaar kar diya tha aur Abhi ke kapde jo nahane ke baad pehentta hai sab ready rakh diye the aur usska wait kar rahi thi.

Garage mein car rakhne ke baad Abhi ghar mein aya to Navina ne muskuraate hue ussko receive kiya ussko underarms hold karke lounge mein walk karte hue, aur kaha,

“My sweet husband ko kaun si emergency agaye the ke apni wife ko aaj lene nahin aa sake hmmm?”

Abhi ne Navina ko zor se baahon mein bharke apne saamne kiya, zor se hug karte hue usske donon gaalon par kiss kiya aur usske chehre mein dekhte hue kaha,

“dinner karte waqt sab batata hoon okay?!”

Navina: “Okay, agree, main ne aap ke kapde rakh diye hein hanger par, aap ka wait karungi tab tak dinner serve karti hoon thik hai…”

Abhi bathroom ke taraf badhne lage the ke Navina ne awaaz ko thodi oonchi karte hue kaha,

“Shweta ke paas nahin gaye the aap? Kaafi dinon se aap ne kuch nahin bataya usske baare mein? Kahin ussi ke yahan koyi emergency to nahin the nah?!”

Abhi ko shock laga Navina ke baton ko sunkar aur badbadaya,

“Sala kissi ko ek lecturer se shaadi nahin karni chahiye, suna aap logon ne? Detective se bhi ziada bada dimaagh hote hein lecturers ke paas, lagta hai koyi camera chipka hua hai mere pichu mein jo sab recorded hai aur wo dekh leti hai main kab kahan jaata hoon !!”

Nahane ke baad Abhi aur Navina dinner kar rahe the. Abhi tukur tukur dekhe jaa raha tha Navina ko jaise kuch guilty feel karte hue, to Navina ne kaha,

“Guilty feel karne ki koyi zaroorat nahin hai husband ji bata do Shweta ke yahan kia hua, mujhe pata hai aap ussi ke paas the. Pichle 7 saalon se aap ko jitna khush dekh rahi hoon kabhi nahin dekha pehle, Shweta se milne ke baad aap ka noorani chehra bahot hi ziada chamakne lage hein, to bataiye kia hogaya tha aaj Shweta ke yahan? Kuch bura to nahin hua nah kyunke jab aap aaye to chehre mein thoda fikar dikha mujhe, so now tell me what happened!”

Abhi ne ek roti todte hue usske chehre mein dekha aur curry uthate hue roti se aur niwala munh tak laate hue Abhi ne kaha,

“kuch bhi to nahin everything is fine, magar tumko kaise pata ke main Shweta hi ke yahan tha? Spy kar rahi ho kia mujhe tum?!”

Shweta ne bhi ek niwala lete hue kaha,

“Ahaha aap ko spy karne ki zaroorat hi nahin aap sab khud bak dete ho, aaj nahin to kal sab bata doge aur aap ka chehra khud ek camera bhi hai aur screen bhi, sab keh jaate hein mujhe.”

Abhi: “kamaal hai yaar tumko CBI mein hona chahiye tha, agar mere chehre se main itna kuch bata deta hoon to agar main ne khoon kiya hota ya daaka dala hota to kabhi bhi bach nahin paata main to!”

Navina ne zor se hansste hue kaha,

“hahahahaha aap daaka dalenge hi kyun ek Ruhi jaisi ladki ko nahin bhaga sake to aap kyun daaka daalne lage husband ji?”

Abhi rock silent ho gaya yeh sunkar aur Navina ko laga ke ussne ghalat baat keh diya, to jeeb ko daanton mein dabaate hue Navina ne donon kaan pakre aur Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

“ooopppssss sorry I did not mean it in that way kuch aur kehna chahti thi, please forgive me Abhi!”

Abhi ne tab roti wapas khaate hue kaha,

“kuch bhi ghalat nahin kaha tumne wife ji. Sach hai mera chehra sab dikhaa deta hai magar sabko nahin unnko jo mere kareeb bhai….”

Navina: “Aap dil ke bahot saaf ho Abhi issi liye mujhe aap ke chehre se bahot kuch pata chal jaata hai, agar aap hypocrite hote tab nahin pata chalta mujhe….. aap ne last 7 years mein Shweta se milne ke baad jitney baar ghar late aaye aur jitni baar bich raat mein ghar se nikle garage jaane ke bahane mujhe sab pata hota ke aap Shweta ke paas hi jaate the. Hai nah Abhi….. aap ka affair chal raha hai nah usske saath? Hmm??!”

Abhi ko itna bada jhatka laga ke usska niwala atakk gaya aur khanssne laga Navina ki baat sun kar!! Jaldi se paani ka glass diya ussko Navina ne aur uth kar usska peeth sehlaya. Abhi sar utha kar Navina ke chehre mein dekhta raha….. Navina wapas apni seat par baithi aur Abhi ko khaane ka ishara kiya hansste hue.

Abhi chhup raha kuch der aur Navina ne kaha,

“Aap jitna unlucky the apne twenties mein utna hi lucky hote gaye jaise jaise aap ka umar badhta gaya lakdiyon ke maamle mein aap ne yeh note kiya hai kabhi kia?”

Abhi ne Navina ke chehre mein dekhte hue bhola bante hue kaha,

“Ofo ab tum yeh kia baat lekar baith gayi yaar dinner to complete karo nah!!”

Navina: “Okay dinner ke baad baat karti hoon phir thik hai nah?!”

Abhi ne ek chothe bache ki tarah pakre jaane ke baad nazrein churaate hue haan mein sar hillaya!”

*************************************************************

Raat karib barah baj rahe the. Abhi aur Navina donon sofe par baithe the lounge mein, Navina ka sar Abhi ke chest par tha, wo apni nighty mein thi, aur Abhi ke gardan ko chumte hue Navina ne kaha,

“Aap ko kyun lucky kaha main ne samjhe aap?”

Abhi innocent bante hue, Navina ke baalon mein ungliyan ferrte hue kaha,

“pata nahin tum kuch bhi kehti rehti ho!”

Navina: “Abhi I am not a stupid my dear husband, haan baat yeh hai ke main aap ko full liberty de deti hoon, kyunke mujhe pata hai ke main aap ke liye wo nahin hoon jo aap ko chahiye tha… magar aap se wo emotional attachment ho gayi hai aap ke saath rehte rehte ke aap se door nahin ho sakti, aur mujhe achhi tarah se pata hai ke aap ko bhi mujhse utna hi emotional attachment hai ke aap bhi mujhko kabhi chorr nahin sakte aur door bhi nahin ho sakte, aap mera itna care karte ho yehi enough hai prove karne ke liye…..”

Abhi ne sirf itna kaha,

“SO? Kia matlab?!”

Navina: “Abhi raat ko barah baje ghar se nikalna jab Shweta se mile, usske baad aksar raat ko weise jaana aur subha 4 baje wapas aana, aap ke badan mein Shweta ki khubhoo ka aana, kia aap samajhte ho mujhe nahin pata ke raat raat ko aap usski bed par so kar wapas aate the? Main ek aurat hoon, aap ki bed par soti hoon, aap ki jism ki khusbhoo pehchaanti hoon ab uss khushbhoo mein ek female ki khushbhoo mix hogi to kia mujhko khabar nahin hogi Abhi? 7 saal pehle se jaanti hoon Abhi… magar kia stud ho aap, usske bawajud mujhse bhi sexual relationship barabar jaari rakha aap ne… do do ko sexualy please kar dete ho, hmmmm strong man Abhi data deti hoon yessssss!”

Abhi ka chehra bilkool laal ho gaya tha aur pasine tapakne lage the usske maathe se jissko Navina ne hi poncha, phir kaha;

“Aap ko lucky iss liye kaha ke aap ko jo maa se nahin mili wo usski beti se mil gaya aap ko, how lucky man!”

Abhi se ab bardaasht nahi hua, wo khada ho gaya aur saare lights ko on kiya lounge mein aur serious hokar Navina ko gambhirta se dekhte hue pucha;

“Tell me now, sach batao, aur kia kia jaanti ho aur kaise? Kissko pay kar rahi ho mujh par spy karne ke liye? Kaun hai jo saari khabrein deta hai tumko? Photos bhi liye honge show them to me fast, fast, mujhko ghussa mat dilao Navina main kuch bura bhi kar sakta hoon!!”

Navina bhi khadi ho gayi aur kaha,

“Are why should I pay someone to follow you? Baat saaf hai nah? aap ne apne diary mein sab likha hua hai? Aap bhool jaate ho ke ab aap akele nahin rehte, aap ki diaries main bhi padhti hoon, ab Naina nahin padhti to main padh leti hoon nah? iss mein kia hai ek wife apni husband ki diary to padh sakti hai nah Abhi? Jiss raat wapas aakar aap ne likha tha ke aap ko Shweta ki badan se wohi Khushboo aya itne saalon ke baad jo aap ko Ruhi ki jism se aate the to main samajh gayi ke wo pakka Ruhi ki beti hai…. Aap nahin samajh rahe the magar mujhe pakka yakeen tha… I bet ek din aap ko sach ka pata zaroor chalega ke Shweta Ruhi ki beti hai, magar main samajh nahin paa rahi hoon ke 7 saalon tak aap ko kyun Shweta ne nahin bataya ke wo Ruhi ki beti hai?!! Aap ke umr mein ek young, beautiful and hot aurat ke saath bed par waqt bitana kitna acha lagta hoga aap ko main samajh sakti hoon, aap lucky nahin to aur kia ho Abhi? Great lucky man!

Main aap ko ussi din batana chahti thi jiss din aap ne likha tha ke aap ko Shweta ki jism ke curves bhi bilkool Ruhi ki jism jaisa feel hota hai usski pasine ki khubhoo Ruhi jaisi mehekti hai, main tabhi aap se kehne wali thi ke wo zaroor Ruhi ki beti hai aap ko uss se puchna chahiye magar main ne kuch nahin kaha kyunke main aap ko dukh nahin dena chahta tha, main aap ko khush dekhna chahti hoon Abhi…. Main aap se ladaayi nahin kar rahi, main aap ko freedom deti hoom kisi se bhi sexual relationship mein rehne ke liye main ne pehle bhi kaha tha nah? But my place remains my place in this house buss mujhe aur kuch nahin chahiye aap ke dil mein aur iss ghar mein meri jagah… mujhe aap se door nahin hona aap chahe to aur 10 logon se hi kyun nah sex karo… It does not bother me at all! UNDERSTOOD HUBBY JI??!!!”


Sab sunne ke baad Abhi jaise thak gaya aur sofe par leyt gaya aur kaha,

“please mera sar daba do nah!”

Navina ne zorr se hansste hue usske sar dabana shuru kiya…

To be continued…………

Interesting update. Funny as well.
Abhi thought he has been hiding evetything about him and Shweta with Navina but had forgotten that in his daily diary he was writing evetything and Navina had access to the diary.
What a wife to be keeping quiet for past 7 years despite being aware that Abhi was going to sleep with Shweta all those nights he was pretending to be going at the garage!!
She is really a vety devoted wife who cares a lot for the happiness of Abhi. And since she had already told him long time back that he is free to keep Ruhi separately in case she comes back to him, by reading his diary she understood that Shweta was Ruhi's daughter as she already knew all since she had read the old diaries of Abhi as well where Abhi had a doubt those days that Shweta was Ruhi's daughter. It was crystal clear for Navina to be sure that Shweta was Ruhi's daughter as Abhi had mentioned in his diary about the body fragrance of Shweta and her body curves.....
Funny that Abhi believed that Navina had sent detectives to spy on him whereas the spy was his own diary.
The last part was too funny when Abhi said he had an headache and lay on the sofa asking Navina to massage his head.
Loved this update very much. And respect to Navina.
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,720
259
Abhi was very touched as Aruhi called him papa and he still talked about that with Shweta.
Shweta explained to him since Aruhi knows him as the only man in the house she believed him to be her father then showed Abhi a drawing in which Aruhi had written that her father works somewhere very far and comes home rarely.
that was really touching and heartbreaking, maybe after this Abhi will start giving more time to Shweta and Aruhi I feel.
Then Shweta started asking Abhi what Ruhi told her and Abhi told her that She told him that Shweta is her daughter, and a discussion started between them regarding their relationship.
Shweta was right to tell Abhi that their relationship is in no mean to be or feel disturbed about it. she was, in fact, right about it, since he had no blood relationship neither any alliance relationship with Shweta.
Abhi was right to explain Shweta that her mother sacrificed her life for Shweta and she should be grateful to Ruhi for what she has done and undergone because of her...
Abhi is planing something to settle everything in the family and he said he will take both her and Aruhi to Ruhi and declare Aruhi as his daughter.
That will be wonderful so we need to expect good thing in future updates.
lets hope and pray for them
superb update bro, keep it up. very good work.

Heartfelt thanks Rowdy bro for the appreciation
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,720
259
O teri....
Diaries wali baat to bhool hi gaya tha... Wo to achchha hai Navina ne hungama nahin kiya... Warna Abhi ke to "L" lag jaane the... :D
hmmm navina ek nagina hai bhai :D
 
Top