VAGUE....................
Son nadi ke kinare khada ek 27 baras ka yuvak apne andar kayi sailab liye Son nadi ki har pal uthati hui jal-dharao ko dekh kar kisi gahan soch me dooba hua tha. uski halat is samay Son nadi me har pal uthne wali aur har pal nast ho jani wali jal dharao ke samaan thi.. uske andar bhi har pal naye vichar panapte aur fir agle hee pal nayi vicharo me usi tarah sama jaate jaise Son nadi ki jal-dharaye ek dusare me sama rahi thi... Usne thaan liya tha ki use wo karna hee hai, fir chahe use koyi kuch bhi kahe... Chahe Father Adler zindagi bhar uski shakl naa dekhe...
.
Usne jeb se cigarette ki packet nikal kar ek cigarette muh me dabaya aur lighter se cigarette sulga kar ek lamba kash kheencha... Dono hath hawa me failakar aur aankhe band karke apna sar upar karke usne fir ek lambi saans li aur waise hee khada raha... Mano wo jo ab karne wala tha uski himmat juta raha tha... Wo bahut der tak aise hee upar sar kiya aur baanhe failaye Son nadi ke kinare khada raha aur fir eka-ek usne apni aankh kholi... Uski aankh me jwalamukhi dhadhak rahi thi.. usne bachi hui Cigarette Son nadi ki jal-dharao ko samarpit kar revolver apne jacket ke andar wale packet se nikal kar apne hath me pakda aur waha se chal diya... Aatmaj Mangal ke ghar ki taraf...........
.
Aatmaj Mangal Sonemuda nagar ka ek bahut pratishthit vyakti tha.. ya yun kahe ki sabse jyada... Mangal tha toh ek retired T.I. par uska dabdaba Sonemuda me aisa tha jaise wo ab bhi T.I. hee ho... Uski do santaan thi ek beta aur ek beti aur dono kamane lag gaye the... Bete ki shadi ho chuki thi aur beti ki shadi ki baat chal rahi thi... Kul milakar , Mangal ka pariwar purn roop se purn tha , jiska kaal bankar bankar wo 27 baras ka yuvak aa raha tha...
.
Raat ke 2 baj rahe the aur thand apne charam seema par thi... Kohra itna jyada pad raha tha ki raat ko street lights jalne ke bawjood bas kuch kadam hee dikhayi pad raha tha, par wo 27 baras ka yuvak bedhadak Aatmaj Mangal ke ghar ki taraf badh raha tha... Wo chalta raha aur chalta raha jab tak ki Mangal ke ghar ke sameep nahi pahuch gaya aur waha pahuch kar usne Mangal ke ghar ke saamne lagi street light ko ek patthar uthakar foda... Patthar ke street light se takrane ke karan aawaz toh hui par use sunne wala koyi nahi tha... Yun kahe ki street light ki cheekh bhi us chupp andhere me dab gayi... Thik usi tarah jaise kuch der baad Mangal aur uske pure pariwar ki cheekh dabne wali thi................................
.
Street light ke toot kar bikhar jaane ke baad Mangal ke ghar ke saamne ghupp andhera ho gaya aur isi andhere ka fayda uthakar wo yuvak wahi Mangal ke ghar se thodi door me behichak khada ho gaya aur apne shikar ka intezaar karne laga....
.
Aaj Mangal ka beta raat ko train se aane wala tha jise lene Mangal apni jeep me station gaya tha, train aadhe ghante late thi upar se kohre ke karan thik se na dikhne ke karan Mangal ko ghar pahuchte-pahuchte 3 baj gaye...
.
"Huhhhhh.... Kitni thand hai papa, Sonemuda me... Lagta hai koyi barf ki silliya chhua raha ho pure sharir me..."jeep se utarkar , Mangal ka beta bola aur apne hath ragadne laga...
"Chutiyaaa... Dastana pahan ka hath ragad raha hai..."andhere me khada wo 27 baras ka yuvak badbadaya...
" Jara jor se darwaja khatkhatana , warna teri maa ko sunayi hee nahi dega..."jab ek-do baar darwaja khatkhatane ke baad bhi darwaja nahi khula toh Mangal bola...
"Mammi..... Mammiiiiiiii" darwaje par apna hath marte hue Mangal ka beta chillaya aur jaise hee andar se aawaz aayi toh kuch doori par khada wo yuvak apne hath me revolver aur chehre par muskan liye aage Mangal ke ghar ki taraf badha...