• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    298

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,835
144
UPDATE 20 ~
(GIFT OR CURSE)

Darkvale Forest
92 Hours 17 Minutes Remaining

“Aarav!”

Aarav abhi apne saamne khari Haseena ko daikh he raha tha jab Achanak uss Haseena ne bina Aarav ki taraf daikhe uss ka naam pukara, Aarav apne khayalo ki duniya se baahir aya aur tez raftaar se uss taraf barha.

Aarav jaise he uss Haseena ke kareeb pohancha to uss ke haath me pakra Bow and Arrow daikhte he wo usse pehchaan gaya, Aarav sab se pehle Yoo-Jung ko Dhoondne me kamyaab ho gya tha.

Aarav ko daikhte he un creatures ne apna dhayan uss ki taraf bhi ker lia, Ek creature ne Aarav per jhapatna chaha per Aarav ne uss ke panje ko pakarte huwe usse saath wale ped per patak dia.

Creature ki dardnak cheekh pure Area me phel gayi, Aarav wanhi na ruka aur agle Creature ke muh per ek Zordar Punch maar deta hai aur uss ka skull tor deta hai.

Dono Creature he Dard se bilbilane lage, Aarav sirf khud ko bachane ke liye ye ker raha tha lekin phir bhi wo us dard ko nazarandaz nahi ker sakta tha, Wo kam se kam takleef ke saath unhe khatam karna chahta tha, Lekin bina kisi Weapon ke ye mushkil tha.

****

Sayani Mansion ~
Tsubame's Room

*Click*

Tsubame kamre ka darwaza band karti huwi andar aa gayi, Aarav Zameen per biche Carpet ke upar baitha huwa tha, Tsubame uss ke paas chali gayi.

Aarav ne apne kapre utaar diye aur wapis baith gaya, Tsubame uss ke peeche baitj gayi aur Aarav ki kamar per haath rakh Inner ki ko stable karne me Aarav ki madad karne lagi, Kuch pal dono khamooshi se baithe rahe.

Tsubame: Kia huwa? Aj tumhari Inner ki bikhri huwi hai! Kia kuch pareshani hai kia?

Aarav (Sigh): Huh! Kuch khaas nahi, Bus ye soch raha tha ke kitna acha hota agar main wo technique seekh pata, Lekin main sach me abhi uss ke layak nahi ban saka.

Tsubame ne apne haath Aarav ki kamar per pherte huwe sehlana shuru ker dia.

Tsubame: Tum Abhi tak ye he soch rahe ho? Main ne tumhe kaha hai na waqt ane per tum sab seekh lo gye.

Aarav: Leki-

Tsubame: Ssshhh! Kia tum ne chalne se pehle bhaagna seekha tha kia?

Tsubame ke sawal per Aarav ko chupi lag gayi, Uss ke paas koi bhi jawab nahi tha.

Tsubame: Jaise tum chalne se pehle bhaagna nahi seekh sakte, Waise he har cheez ka ek process hota hai! Tumhe pehle apni shaktiyo ko samajhna ho ga un ke saath ek hona ho ga phir he tum aage barh sakte ho, Agar tum chalang laga ker aage barhne ki koshis karo gye to airf muh ke bal giro gye he kuch seekh nahi sako gye.

Aarav: Hmm! Ap sahi keh rahi ho, *Smile* main he kuch zada sochne laga tha.

Aarav ne muskurate huwe kaha, Lekin abhi bhi wo satisfied nahi tha ye Tsubame mehsoos ker sakti thi, Aarav ne pehle he apni kamzoriyo ki wajha se kisi ko kho dia tha pichli baar, Iss baar wo kisi ko na khone ke liye itni mehnat ker raha tha.

Tsubame: Flash Steps! Ye ek secret aur Forbidden Technique me se ek hai, Forbidden iss liye kiu ke iss ko Istimaal karte huwe bohat se logo ne bhaari keemat chukai hai, Inner ki agar ek gift hai to saath me ek curse bhi hai, Aisa curse jis ko agar sahi se Istimaal na kia to koi apni zindgi bhi kho sakta hai.

Aarav (Curious): Aisa kiu?

Tsubame: Inner ki body me blood ke saath behti hai! Agar balance theek na huwa to User ka shareer phat sakta hai, Flash Steps me inner ki pure shareer me light ki speed se travel karti hai, Agar tum zabardasti Use karo gye to anjaam tumhari moat ho gi, Tumhe pehle Inner ki ko ek jagha focus karna seekhna ho ga.

****

Aarav ne kuch kadam peeche liye aur ek gehra saans bharte huwe apni ankhe band ker apne andar jhankne laga.

Aarav(Chant): Full Concentration!

Aarav ne apne ek haath ki kalayi ko dusre haath se pakar lia, Inner ki ko body me travel karne ke liye bohat zada dhayan ki zaroorat hoti hai, Aarav ek baar dobara apne andar Inner ki ke saamne khara huwa tha.

Apne haatho se Inner Ki ka ek hissa uss se alag karte huwe Aarav usse Balance karne laga, Inner Ki ke shant hote he Aarav usse Direct karne laga apne haath ki taraf jis ki kalayi uss ne pakri huwi thi.

Inner ki ko khoon ke beech me balance karte huwe ek raasta dete huwe Aarav apne haath me le jane laga, Blood aur Inner Ki ko balance karna mushkil to tha he lekin Aarav jaise Amateur ki ek galti se wo jaan ka khatra ban sakti thi.

Aarav: Ki Blade!

Aarav ke haath ke Gird Ki ka ek Aura ban gaya aur ek Blade ka roop lene laga, Ek Creature ne Aarav per jhapatna chaha Aarav ne ankhe utha ker uss ki taraf daikha aur agle he lamhe.

*Swishhhh*

[Congratulations! You have Successfully defeated the Dzanum monster]
098c8c566eefc97ef000731f73fd6478.jpg

Aarav ne peeche daikha to Dzanum ka sar uss ke dhar se alag tha, Ye badla nahi ja sakta tha ke wo mar gaya hai lekin uss ke akhri pal takleef bhare nahi the iss ki khushi thi Aarav ko,

Ki Blade! Ye ek technique thi jo Tsubame ne khud banayi thi, Ki Blade ke liye sirf ek jagha Concentrate karne ki zaroorat hoti thi jo Aarav ker sakta tha jis wajha se wo Ki Blade banane me safal ho gaya.

Aarav wahan ruka nahi aur kadam barhate huwe ek ke baad ek Dzanum ko khatam karta chala gaya, Ki Blade se Aarav ki movement me bohat Effect huwa tha lekin Dzanum jaise Monster ke liye utni Movement kafi thi.

*Swishhhh*

Ek Arrow Aarav ke paas se hote huwe ek Dzanum ko cheerte huwe nikal gaya aur dusre Dzanum ki Gardan per ja laga aur dono wanhi khatam ho gye, Aarav ne Yoo-Jung ki taraf daikha jo halke kadam peeche kheenchte huwe Arrow Shoot ker rahi thi, Har shoot ke saath 2 ya 3 Dzanum girte ja rahe the, Yoo-Jung ki nazre sab taraf ka dhayan rakh rahi thi, Lekin uss waqt uss ke chehre ki khubsoorti Mann moh dene wali thi.

Aarav ne Stance li aur bhaagte huwe apna raasta banate huwe Yoo-Jung ki taraf jaane laga, Abhi Dzanum ko khatam karne se zaroori ek dusre ki safety ko sure karna tha, Slide karte huwe Yoo-Jung ke peeche khare 4 Dzanum ko ek baar me kaat dia Aarav ne aur Yoo-Jung ke saamne khara ho gya.

Aarav: Tum bohat Khubsoorat ho!

Yoo-Jung: What?

Aarav (Blush): Kamal, Mera matlab kamal ki ho! Tum bohat kamal ki ho jis tarha tum lar rahi thi wo larne ka style kamal ka tha.

Yoo-Jung: Thanks! Lekin tumhe nahi lagta ye sab khatam hone ke baad kehna chahiye tumhe ye sab.

Aarav: Right! Situation kia hai?

Yoo-Jung: Ye Dzanum naam ke monster hai! Mere yahan ate he mujh per Attack ker dia tha inho ne, Main ne bhaagne ki koshis ki lekin ye soongh ker hamare peeche aa jate hai har baar, Yahan se nikalne ke liye hume in ka pura Nest he khatam karna ho ga.

Aarav: Theek hai! Ye sab khatam hone ke baad bakiyo ke baare me baat kare gye, Abhi jo zaroori hai uss per dhayan dete hai.

Aarav ne apni Ki Blade se Dzanum ko beech se kaatna shuru ker dia aur har lamhe ke saath un ko number me kam karta raha, Wanhi Yoo-Jung Deadly precision ke saath Arrow shoot karti rahi har Arrow ke saath Multiple Dzanum girte chale gye.

Dzanum aur gusse me un per jhund bana ker Attack karne lage, Lekin dono ne peeche hatne se inkar ker dia aur ek ek ker ke Dzanum ko maar girane lage, Aarav ki blade hawao ko cheerte huwe Dzanum ko tukro me baant rahi thi wanhi Yoo-Jung apne Arrow mare huwe Dzanum se nikalte huwe shoot ker rahi thi.

Dono ek dusre ke Blind Spots ko Cover karte huwe kisi toofan ki tarha Dzanum ka khatma karne per lage huwe the, Beech me kuch Dzanum ne bhaagna chaha per Yoo-Jung ne apni Eagle Eye ko Use karte huwe unhe bhaagne se pehle he khatam ker dia.

Akhir Battle jo ghanto chala wo apne Ant ko aa gaya, Aarav Akhri Dzanum ko uthate huwe usse bhi kaat deta hai, Ghanto larne ke baad dono ka stamina jawab dene ko aa gaya tha aur dono wanhi Zameen per gir gye, Tez chalti saanse iss cheez ka saboot the ke dono ne apna best dia tha.

Dono ne ek dusre ki taraf daikh aur un ke chehre per muskurahat aa gayi, Khushi ek dusre ko aur bhi taqat ko daikhne ki, Jo waqt unhe mila tha wo un dono ne barbaad nahi kia tha usse apni taqat barhane ke liye Istimaal kia tha.

Aarav: Ab kia karna hai? Bakiyo ko Dhoondne chalna hai kia?

Yoo-Jung: Nahi! Abhi hum kisi aur bare battle ko jeetne ke liye sahi nahi hai, Hume agar bakiyo ko bachana hai to pehle khud ko bachana ho ga.

Aarav (Nods): Right! Mujhe ek safe zone mila hai, Lekin Agar Daisuke aur Isabelle wahan tumhare paas gye to tumhe wahan na daikh ker aage barh sakte hai wo.

Yoo-Jung: Ye bhi ek possibility hai! Iss liye main ne yahan ate huwe raaste me kuch sign bana diye hai, Daisuke Professional hai wo unhe samajh jaye ga aur hamare peeche aa jaye ga.

Hamesha ki tarha Yoo-Jung sab Possibilities per dhayan de rahi thi, Ye kehna galat nahi ho ga ke Yoo-Jung un sab me se zada Samjhdar aur powerful thi, Agar kisi ke chances sab kuch survive karne ke zada the to wo Yoo-Jung ke the.

Stamina restore karne ke baad dono nikalne ke liye tayar ho gye, Dzanum ki body se Mana Stone nikal ker Aarav ke bag me rakhne ke baad dono Sign chorte huwe Safe Zone ki taraf chal diye.

****
Presbyterian Hospital
New York ~ 3:31 PM

Hospital ke kamre me Urvi apne bed per laiti apne saamne White Wall lo daikh rahi thi, Bahir logo ke chalne ki halki awaze andar aa rahi thi, Medicine ki halki khusboo pure hospital me bikhri huwi thi.

Lekin Urvi ko kisi cheez se farak nahi per raha tha, Wo sirf chup laiti Deevar ko daikh rahi thi-

*Click*

Kamre ka darwaza khula aur Archana kamre ke andar aa gayi, Chehre per ek muskurahat sajaye haatho me kuch khaane ki cheeze pakre wo Urvi ke paas aa gayi.

Archana: Good Afternoon! Kaisa hai mera bacha? Zada bore to nahi huwi mere bina?

Archana ki awaz sun ker bhi Urvi ne kuch khaas reaction nahi dia, Archana kamre me kuch cheeze set ker ke Urvi ke paas baith uss ke liye Fruits kaatne lagi.

Archana: Main to raat ko he ane wali thi! Lekin bacho ki kia he kahe *Chuckle* Raat ko zid karne lage ke main un ke paas ruku, Ab main kia he ker sakti thi rukna per gaya, Lekin main ne sab se keh dia hai ke mujhe meri beti ke saath time spent karna hai, Vanshika ki bhi call ayi thi wo bh-

Urvi: Chale gye hai na wo?

Urvi ne beech me he Archana ki baat kaat ker bolte huwe kaha, Archana ke haath beech me he ruk gye, Nazre utha ker Archana ne Urvi ki taraf daikha to uss ki ankhe bheegi huwi thi.

Archana aage barhte huwe Bed per baith gayi aur Urvi ko apne seene se laga lia, Urvi bhi apne ansoo rok na saki aur rone lagi, Archana jo mazbooti ke saath yahan ayi thi wo bhi kamzoor per gayi.

Akhir dono ne apne pyaaro ko aisi jagha bheja tha jahan se un ke waapis ane ki umeed bohat kam thi, Wo un per bharosa to karna chahti thi lekin dil me ek jagha wo tees ruk nahi rahi thi.

Urvi(Sobbing): Main ne akhir kiu unhe yahan ane se roka? Pagal thi main, Kam se kam wo to yahan aa sakte the na! Akhir kiu wo aise chale gye? Kia itni meri baate unhe buri lag gayi thi kia?

Urvi ko apne kahe shabdo per pachtawa ho raha tha, Usse laga tha ke agar Aarav uss ke paas aye ga to wo usse jaane nahi de paye gi, Lekin wo dard ke kanhi uss din kahe shabd un ke akhri shabd na ban jaye.

Archana: Aisa kuch bhi nahi hai meri bachi! Wo to sirf tujhe pareshaan nahi karna chahta tha, Jaane se pehle bhi agar usse sab se zada kisi ki chinta thi to wo teri thi.

Archana ne Urvi ke ansoo saaf kiye aur Tissue usse pakra dia, Apna chehra saaf ker ke Urvi nazre jhuka ker baith gayi, Archana uss ke haatho ko thaam uss ke paas baith gayi.

Archana: Bharosa rakh! Aarav tujh se Vada ker ke gaya hai na? Tum ne he kaha tha na ke tumhara bhai apne Vade kabhi nahi torta? Bus ab ki baar bhi uss ke vaade per bharosa rakh, Mujhe yaqeen hai iss baar bhi wo apna Vada nibhaye ga, Tujhe apna Vada nibhana ho ga jaldi se healthy ho ja waapis, Phir hum sab mil ker reh sake gye dobara.

Archana ke saath hone ki wajha se Urvi ko koi mil gaya tha, Jis per wo sahara le sakti thi, Akhir Archana ne bhi to apna beta jaate daikha tha, Agar ek Maa khud ko sambhal sakti hai Apne bete ke liye to ek behan kiu nahi sambhal paye gi khud ko?

Urvi(Politely): Thanks Aunty! Ap ne hamari bohat madad ki hai, Agar ap na hoti to Bhayia aur bhi pareshaan ho jaate aur khud ko tayar na ker paate dusri duniya ke liye.

Archana (Smile): Pagal he hai tu! Main ne tum dono ko apna bacha samjha hai, Maa ko thanks kehta hai kia koi? Bus ye waqt guzar jaye phir main sirf tum dono ko hanste huwe daikhna chahti hu.

Archana ne Urvi ke gaalo per haath rakhte huwe kaha, Urvi ki ankhe dobara bhar gayi, Akhir kitne waqt baad wo ek Maa ki mamta ko mehsoos ker rahi thi, Archana ke haath per haath rakh Urvi uss pal ko kaid karne ki koshis karne lagi.

Uss ki aisi Masomiyat bhari harkat daikh Archana ki muskan bhi gehri ho gayi.

Archana: Tu dar mat! Sab kuch sahi ho jaye ga.

****

Darkvale Forest
87 Hours 47 Minutes Remaining

*Woosh*

Aarav aur Yoo-Jung tez Kadmo ke saath aage barh rahe the, Aarav ne Healing Potion se khud ko aur Yoo-Jung ko heal ker dia tha lekin abhi bhi larai ki wajha se dono kamzoor the.

Yoo-Jung: Hume Isabelle ke paas jana ho ga! Lekin abhi hamare liye khatra zada hai, Andhera bhi aur gehra hone laga hai, Hum Roshni waapis ane per un ko Dhoondne ke liye nikle gye.

Aarav dono ko jald Dhoondna chahta tha, Lekin Yoo-Jung ki baat bhi sahi thi abhi agar wo jaate to un ke haath kuch bhi nahi lagna tha, Aarav haami bhar ker Safe Zone ki taraf bhaagta raha.

*Boing* *Boing*

Aarav ko uchalne ki awaze ayi to uss ne saamne ki taraf dhayan se daikha to ek Pathar ke upar Slime uchal rahi thi, Jaise wo Aarav ke waapis ane per apni khushi ka izhaar ker rahi ho.

Aarav bhi uss ki harkat daikh muskurane laga, Jaise he Aarav uss ke kareeb pohancha wo kudte huwe Aarav ke kandhe per aa gayi, Ab ki baar bhi Aarav ko kuch bhi damage nahi mil raha tha.

Aarav ko jaise he Yoo-Jung ke baare me yaad aya to wo jaldi se uss ki taraf ghooma, Yoo-Jung pehli baar Slime ko daikh rahi thi wo Attack na ker de Aarav ko ye dar tha, Lekin Yoo-Jung khamooshi se khari dono ko daikh rahi thi.

Aarav: Tumhe ajeeb nahi lag raha?

Yoo-Jung: Ajeeb kiu lage ga? Aisa nahi hai ke tum pehli baar kisi monster ke saath friendly behave ker rahe ho! Aur main koi Psycho killer nahi hu jo har monster ko maarne ki soche gi, Mujhe agar khatra mehsoos huwa to he main larti hu warna mujhe koi farak nahi parta.

Aarav ko sakoon mila ye sun ker ke Yoo-Jung Slime ko kuch nahi kahe gi, Aarav ne Slime ki taraf daikha jo uss ko baate karte dhayan se daikh rahi thi.

( ◜‿◝ )

Aarav ne Pathar per daikha to wahan pighalne ke nishaan the, Aarav ne uss per zada dhayan na dete huwe Yoo-Jung ke saath aage barh gaya, Dono waapis uss pathreeli jagha per pohanch gye, Jahan Vansh ek bare pathar ke upar apna Spare pakre baitha huwa tha.

Aarav: Wahan kia ker rahe ho?

Aarav ko daikhte he Vansh ke chehre per gussa aa gaya, Wo neeche utra aur gusse se chalte huwe Aarav ke paas aa gaya.

Vansh (Yell): Kahan chale gye the tum? Tum paas me he jaane wale the to itne ghabte kiu lag gye tumhe? Pata hai mujhe ek pal sakoon ka nahi mila pura waqt mujhe dhayan rakhna para kanhi koi monster na aa jaye! Tumhe yahan meri Raksha ke liye bheja gaya hai ya mujhe marne ke liye chorne ke liye bheja hai?

Vansh Aarav ko gusse me bolta ja raha tha, Aarav ko gussa to aa raha tha lekin wo usse kuch keh nahi sakta tha, Usse yahan Vansh ki raksha ke liye he bheja gaya tha lekin wo bakiyo ko marne ke liye nahi choor sakta tha.

Aarav: Sorry! Lekin main jaane se pehle confirm ker ke gaya tha ke yahan koi monster nahi aye ga, Lekin mujhe tumhe yun akela nahi choorna chahiye tha.

“Chilana band karo gye kia? Wo abhi thaka huwa aya hai!”

Yoo-Jung ne Vansh ko chilata daikh beech me bola, Vansh gusse me ye bhi nahi daikh saka tha ke Aarav ke saath koi aur bhi hai, Vansh ne kuch kehna chaha per uss ki awaz beech me he ruk gayi.

Yoo-Jung ko abhi tak uss ne bina Mask ke nahi daikha tha, Pichli baar to wo waise bhi dar raha tha lekin ab jab wo Yoo-Jung ka chehra daikh raha tha to uss ke muh se shabd nahi nikal rahe the, Yoo-Jung sirf khubsoorat nahi uss ke chehre me ek charm tha jo kisi ko bhi apna deewana bana de.

Ye kehna galat nahi ho ga ke Khubsoorti me Vanshika bhi Yoo-Jung se haar sakti thi, Lekin Yoo-Jung ki chehre ki khubsoorti ke saath uss ka badan uss ko aur bhi attractive bana raha tha, Yoo-Jung ek Athlete thi uss ne apni body ka khayal rakha tha.

Vansh(Gently): Ap kon?

Yoo-Jung: Seriously! Tumhe kia lagta hai yahan kon ho sakta hai?

Vansh (Shocked): Yoo-Jung? Lekin kaise?

Vansh ko khud samajh nahi aa rahi thi wo kia bolta ja raha hai, Wanhi uss ki ye harkate Yoo-Jung ko gussa dila rahi thi, Aarav ne situation ko bigarta daikh beeche me ana he sahi samjha.

Aarav: Yoo-Jung! Tumhe nahi lagta ke hawaye thandi hone lagi hai?

Yoo-Jung: Haan! Main bhi ye he daikh rahi thi, Hamare kapro per khoon bhi laga huwa hai, Khoon ki boo hamari sochne samajhne ke Ability per effect ker sakti hai, Hume jald se jald khud ko saaf karna ho ga aur kapre badalne ho gye.

Vansh: Mujhe paas me ek Jharna mila hai! Main ne check bhi kia hai Paani bilkul safe hai, Hum usse Use ker sakte hai.

Vansh ne beech me aa ker pehle huwi behas ko sudharna chaha, Yoo-Jung ne Aarav ki taraf daikha to uss ne usse haan me sar hila ker Vansh ki baat per Vishwas karne ka kaha.

Yoo-Jung: Good! Pehle main khud ko saaf ker leti hu, tum dono guard per sakte hl tab, Uss ke baad main Guard karu gi aur tum khud ko saaf ker lena.

Aarav: Ye sahi rahe ga!

Yoo-Jung: Vansh mujhe Jharne tak la raasta dikha do! Aarav tum yahan reh ker daikho kanhi koi monster na aa jaye.

Vansh jaldi se aage chalne laga uss ke peeche Yoo-Jung chalne lagi, Vansh ki personality ne Achanak 360 Turn lia tha, Lekin wo behas nahi ker raha tha ye he bohat achi baat thi un ke liye.

Un ke jate he Aarav wanhi neeche baith gaya aur un thandi hawao ka maza lene laga, wo khule me baitha tha to Achanak attack hona mushkil tha aur Aarav thak bhi bohat chuka tha.

(◍•ᴗ•◍)

Aarav: Tumhare baare me to bhool he gaya tha! Idhar aoo chotu ustaad.

Aarav ne slime ko neeche rakha aur dhayan se usse daikhne laga, Koi bhi nahi keh sakta ye chotu kuch ghante pehle ek khonkar monster jaisa dikh raha tha, Lekin ab wo kisi puppy ki tarha Aarav ko daikh raha tha.

Aarav: Ye to pata lag gya ke tum kisi ko nuksaan nahi pohanchana chahte! Lekin akhir tum jaisa Cutie aise khatarnak jungle me ker kia raha hai, Aur akhir kiu koi tumhari territory me nahi aa raha.

(◕ᴥ◕)

Aarav soch raha tha lekin usse koi jawab nahi milne wala tha ye usse khud bhi samajh aa gayi thi, Aarav ko iss baat ka to Bharosa ho gya tha ke usse Slime se koi khatra nahi hai.

Aarav: Main soch raha tha ke tum kia aise kisi Ball ki shape me he reh sakte ho kia? Tum apni shape badal sakte ho kia?

ʕ´•ᴥ•`ʔ

Aarav: Huh, Mera haath daikho! tum haath bana sakte ho kia apne?

ʕಠ_ಠʔ

Slime kaanpne lagi jaise wo zor laga rahi ho, Lekin wo kuch bhi nahi ker paa rahi thi, Aarav ne bohat kuch try kia lekin Slime sirf hil paa rahi thi shape nahi badal paa rahi thi.

Aarav (Sigh): Huh! Rehne do, hum baad me koshis kare gye.

*Growwrrr*

Aarav ke pet me se bhook se awaz ayi to Aarav ka dhayan khud per gaya, Wo yahan ane ke baad kuch bhi nahi kha saka tha, Raat ko bhi wo kuch nahi kha paya tha Aarav ne apne Infinite bag me se kuch Fruits nikale jo wo saath le ker aya tha aur unhe khane laga.

-ᄒᴥᄒ-

Slime Aarav ke haath me pakre Apple ko ghoor ker daikhne lagi.

Aarav: Khaana hai kia? Lekin tum ye kha pao gi kia?

Aarav ne Apple Slime ke aage kia to Slime kabhi Aarav ko daikhti to kabhi Aarav ko daikhti, Aarav usse khamooshi se daikhta raha, Slime ne Aarav ko kuch na bolta daikha Apple ko apne andar le lia lekin wo palak jhapakte he acid ki wajha se pura khatam ho gya, Daikh ker lag nahu raha tha ke ye Slime ko kuch khaas maza de paya ho.

Aarav: Aise to tum kuch bhi nahi khati ho gi! Waise main bohat samay se soch raha hu ke tumhari wajha se ye pathar kiu nahi pighalte?

Aarav ne ek pathar ko uthate huwe daikha, Lekin dikhne me wo koi Sadharan pathar lag raha tha, Aarav ne Slime ki taraf Pathar kia Slime ne Aarav ki taraf daikha aur uss ki harkat ka matlab samajhte huwe pathar ko apne andar ker dia.

Aarav: Mujhe laga he tha! Agar koi aur pathar hota to abhi pighal jata, Lekin ye wala bilkul sahi hai abhi bhi, Wait!

Aarav ne dhayan se daikha to usse dikha ke Pathar pighal raha hai, Lekin uss ki raftaar bohat zada kam thi.

Aarav: Ye pathar kuch khaas lagta hai! Vansh ke wapis ane per usse check karne ko kehna pare ga, Waise agar ye pathar itna samay le rahe hai to Mana Stone kitna samay le gye.

Aarav ne apne bag me se Mana Stone nikala jo aj he uss ne Dzanum ko maar ker liye the, Aarav ne Slime ki taraf Mana Stone ker dia aur iss baar bhi Slime ne Aarav ki baat maan ker usse khaane ki koshis karne lagi.

Mana Stone Slime ke andar jaate he chamakne laga, Slime bhi green color me glow karne lagi Aarav ko samajh nahi aa rahi thi ke ye kia ho raha hai, Agle he pal Mana Stone dust me badalne laga lekin wo baki cheezo ki tarha pighal nahi raha tha, Wo dust ban raha tha.

Dheeme Dheeme Slime ki Glow kam hone lagi, Lekin Slime ka Aura badalne laga tha, Aura Gentle lekin deadly tha aisa Aura Aarav ne pehli baar mehsoos kia tha, Lekin Slime ke expression se wo alag nahi lag rahi thi sirf khush dikh rahi thi.

(^∇^)ノ

[Congratulations, you have formed a bond with the Acid Slime! The Acid Slime has recognized you as its master and pledged its loyalty to you]

7479a67df28217afd8c0f7f2b3044d45.jpg

Aarav apne saamne aye notification ko daikh ker thora bokhla gaya, Uss ne khara hona chaha per uss ki body sudden Movement ko follow na ker saki aur wo unbalance ho ker peeche ko girne laga.

[Would you like to access the Acid Slime's memory?]

[Yes ~ No]

Aarav(Chuckle): Sab kuch karne ke baad ye baat puchne wali reh jati hai kia?

****
Darkvale Forest
87 Hours 9 Minutes Remaining

“Yahan se seedhe jao gi to Jharna saamne aa jaye ga!”

Vansh ne Yoo-Jung ko raasta dikha dia, Yoo-Jung Vansh ko waapis jaane ka keh ker Jharne ki taraf chali gayi, Lekin Vansh wanhi khara raha.

Uss ke chehre per muskurahat aa gayi, Kuch lamhe wanhi khare ho ker intezar karne ke baad Vansh ne apne kadam jharne ki taraf barha diye, Har kadam ke saath uss ki dil ku dharkane barhti ja rahi thi.

Jharne se girte paani ki awaz Vansh ko sunayi dene lagi, Wo ek safe distance banate huwe ek pathar ka cover lete huwe uss ke peeche chup gaya, Vansh thore High ground per tha to Usse paani me khari Yoo-Jung saaf nazar aa rahi thi.

Yoo-Jung apni belt khol chuki thi aur apna top utaar rahi thi, Yoo-Jung ko daikh Vansh ke muh me paani ane laga dil me Uss ke paas jaane ki lalach, Lekin wo wanhi khara usse daikhta raha.

Yoo-Jung ne top utaara to andar sirf uss ka Armor reh gaya, Yoo-Jung ne neeche jhukte huwe apne leg Armor ko utaarna shuru kia, Yoo-Jung ke peeche se Hips baahir ko nikle to Vansh ki nazre wanhi ruk gayi.

*Swishhhh*

Vansh abhi Yoo-Jung ke badan per nazre garaye huwe tha ke Achanak ek dagger uss ki ankho ke paas pathar per aa ghusa, Vansh khud ko sambhalte huwe jaise he khara huwa uss ke bilkul saamne Yoo-Jung khari thi.

*Woosh*

Ek Punch seedhe Vansh ke pet per lagte he Vansh ki ankhe khul gayi, Yoo-Jung ki speed itnu tez thi ke Vanah react bhi nahi ker saka, Yoo-Jung ne Vansh ke dobara sambhalne se pehle apna ghutna Vansh ke chehre per de maara aur Vansh ki naak toot gayi.

Gale se pakar Yoo-Jung ne Vansh ko hawa me utha lia, Ek larki me itni takat daikh Vansh ki phat chuki thi, Vansh dard se bilbila raha tha.

Vansh: M-Meri baat to Suno!

Yoo-Jung ne Vansh ko chorr dia aur Pathar se dagger nikal uss ke gale per rakh dia, Vansh ki saanse rukne lag chuki thi.

Yoo-Jung: Jo bhi bolna soch samajh ker bolna!

Vansh: Meri baat suno! Main bure intentions se yahan nahi aya, Ye sab uss Aarav ki galti hai, Uss ne he mujhe gussa dilaya th-

*Gulp*

Yoo-Jung ne dagger ko thora Vansh ke gale me dabaya to Vansh ki awaz wanhi ruk gayi, Wo dar se hil bhi nahi paa raha tha.

Vansh: Aisa mat karo! Main tumhe Aarav ki jagha rakh sakta hu, Mere Dad ke paas bohat power hai wo pal bhar me tumhari Zindagi badal sakte hai, tum mere saath ho jao main vada karta hu tumhe zindagi me koi dikat nahi ho gi.

Vansh ne chehre per ek ghinoni muskurahat sajaye kaha, Vansh ne dheeme se apni Ungliya Yoo-Jung ki Waist per pherani shuru ker di, Apni Ungliya upar le jaate huwe Yoo-Jung ke boobs ki taraf le jaane laga, Per wo Ungliya wahan le ja pata uss se pehle Yoo-Jung ne Vansh ko uthate huwe hawa me phenk dia.

*Thud*

Vansh ek ped se ja takraya, Yoo-Jung kehar bhari nazro se usse daikh rahi thi, Vansh ko samajh aa gayi ke wo kitni bari galti ker baitha hai Yoo-Jung ko baki larkiyo ki tarha samajh ker jo uss ke paise ke liye uss ki har baat maan leti thi.

Vansh: Tum galti ker rahi ho! Agar mere Dad ko pata chala to wo tumhare sabhi apno ko moat ke ghaat utaar de gye.

Yoo-Jung ki ankho me gussa aur bhi bhar gaya, Wo Vansh ka ganda dimagh to samaj chuki thi lekin ab usse Vansh ke andar ka kayar bhi nazar ane laga tha.

Yoo-Jung: Aur unhe pata kaise chale ga? Tum batao gye kia? Agar main ne tumhe batane ke layak chora to batao gye na!

Yoo-Jung ne stance li aur ek kehar bhari nazar Vansh per daalte huwe uss ki taraf toofan ki tarha barh gayi.

*Stab*
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Ye ek mega update ki tarha ka tha with 5.7K Words, Target complete huwa to Update wednesday Night ko aa gaya, Agar iss Update per bhi 30 Likes aye Friday night se pehle to next Update Saturday Night ko aye ga, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
 
Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,835
144
Slime ko dost bana liya usko botal me band na kiya achcha laga padhkar.pahle wo lad Rahi thi kyuki uska ladna bhi jaroori tha aur wo power me thi jungle ka kanoon maro ya mar jao ab usko koi insaan mila hai to insaniyat samjha dega.udhar baki ke teeno sathi pareshan hain ladai me unki help karne pahunch raha hai.badhiya update

Superb awesome fantastic mind blowing update bhai

Nice update

Nice update

Nice update

Akalpniya amazing 😍

Superb ab hoga asli action suru mast update Bhai please Bhai request he apse yr updates thora fast rakho jada nahi 10 se 15 updates dedo aap month fir dekho Bhai apko likes ke liye bolna nahi parega kisiko wese bhi story superb he sabko pasand he ek bar ap updates ki raftar fast karo results apko bhi heraan kardenge Bhai keep it up

Bhai log jaldi jaldi sab like kardo yr please jaldi update milega like karo sab please

Super mind blowing bahut badiya Bhai

waise to aapka har update bahut achcha hai dost magar ye wala update dil bha gawa kyuki jab hum samne wale ko takleef samjh lete hain to hum asli insaan ban jate hain

Very nice update

Superb update Bhai ☺️😊

Nice update bhai.aisa kiyu feel ho raha he ki isa marne wali he is quest me.
I hope otni jaldi maroge nahi tum use

To Safar ki shuruaat acid monster se shuru Hui aur....ek acid baby par yudh khatam hua...is acid baby ka kya kahani hai?????
Isabell ki halat yaha bhi kharab hi hai...uska mana recover nahi ho raha.. ....karana nahi pata abhi tak?
Dekhaye hai aage kya kya chupa hai is jungal me???

Agle update ka besabri se intzaar

Fabulous update..

27 likes to hogyi hai bs 3 Bache hai update likhna start krdo kyuki Wednesday ko update chahiye ....Good luck for the next..

Nice update 👌😍

Waiting for next update

waiting waiting waiting

Waiting for update
Update 20 has been posted Guys!!! :yo:
 
Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,835
144
Index has been updated :good:
 
Chattan singh

New Member
21
66
28
Hamesha ki tarah superb update Bhai kamaal dhamaal aage or maza aane wala he koi doubt nahi sabhi reader Bhai log please like kardena yr updates jaldi milenge bas like hi karna he ap sabko nahi to wait bhi humko hi karna parega to please sab log like karo 30 ka 60 like kardo taki double update Dena pade writer ko Bhai kuch pane ke liye thora to dena bhi parega like karo please
 
  • Like
Reactions: king cobra

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
Pp

[Aj ke liye itna he umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Ye ek mega update ki tarha ka tha with 5.7K Words, Target complete huwa to Update wednesday Night ko aa gaya, Agar iss Update per bhi 30 Likes aye Friday night se pehle to next Update Saturday Night ko aye ga, Milte hai agle Update per tab tak ke liye, Sayonara!!!
Very nive update
Sala vans ki aisi taisi achche se pelai honi chahiye udki
 
  • Like
Reactions: king cobra

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189

ye vansh na bahut bigad gawa hai iski khub kutai hogi isko paise ka ghamand ghusa ishiliye ye aisa hai
 
achinsaha

I 🖤 🖤Darkness 🖤🖤
1,226
2,277
143
UPDATE 19 ~
(STRATEGIST)

Training Ground

*Swish*

Ek haath tezi se Aarav ki taraf barha, Aarav apni jagha se ghoomte huwe apna ghutna Istimaal ker ke vaar karna chaha, Lekin Punch tezi se apni jagha se hat gaya aur Aarav ka vaar hava me he ruk gaya.

Aarav Training Ground ke beech me khara tha, Har din ki tarha Aj bhi wo Tsubame ke saath Dual ker raha tha, Har roz Aarav aur bhi ache se Tsubame ke vaar se bachne laga tha.

Un ke beech aise he vaar chalte rahe lekin Aarav kisi mahir ki tarha Sabhi vaaro ko rok raha tha, Dono he apne khaas hamlo ko Use nahi ker rahe the, Aur akhir aj ki training bhi puri huwi aur dono ek jagha ja ker baith gye.

Aarav (Pant): Har roz mujhe lagta hai ke main vaar ker sakta hu! Lekin har baar ap kaise bach jati ho?

Tsubame: Huh! Tumhe pata hai Aarav ke Jung me sab se zada zaroori kia hota hai?

Aarav: Hmm! Power?

Tsubame (Chuckle): Zaroor! Power jung ka ek important hissa hai, Lekin sirf power se jung nahi jeeti ja sakti, Purane waqt me jab Raja aur maharaja ki laraiya hoti thi tab sirf bal se larai nahi jeeti jati thi, Har raja apne paas ek Admi rakhta tha jo Strategist hota tha, Strategist ka kaam saamne wali kamzoorio ko Dhoondne ki koshis karte huwe apni Power ka gayat rakh ker Jung me tarkeeb sochta tha, Agar Strategist saamne wale ki ek kamzoori bhi pakar le to phir chahe 10,000 ke saamne 1 lakh he kiu na aa jaye jeet hamesha uss ki hoti thi jo saamne wale ki kamzoori pakre khara hota tha.

Aarav pehli baar iss tarha soch raha tha, Tsubame ki kahi baat Aarav ke liye ek bari seekh thi, Ab tak Aarav sirf kisi beserker ki tarha lar ke he jeeta tha, Lekin kia har baar aise Jeeta ja sakta tha kia?

Tsubame: Tumhe sirf apni power per nirbhar nahi rehna chahiye! Balki apni samjhdari aur chaturai ka bhi Istimaal karna chahiye, Hum itne din se dual karte aa rahe hai, Mujhe tumhari power aur kamzoorio ki ache se khabar hai, Bilkul jaise tum har din mere Vaar ko rokne me safal ho paa rahe ho main bhi tumhe samajhne me mahir ho rahi hu.

Aarav: Mujhe kia karna chahiye ab?

Tsubame: Agar tum samay ke saath apne pratidwand ko samajhne ke liye samarthy ho! to usse harane ke liye bhi samarthy ho. Agar tum apne pratidwand ke baare mein sahi jaankari rakho aur uski taqat aur kamzoriyon ko samajh lo, to tum usse hara sakte ho.

Aarav: Aur agar main ye na ker saku phir?

Tsubame: Agar tum usse samajhne ke liye samay nahi nikal sakte! to apne aap ko bachane ke liye pratidwand ko khatam karne ka ek chal bhi kaafi hota hai.

****

Darkvale Forest ~
99 Hours 35 Minutes Remaining

Aarav: Vansh, Tumhare peeche!

Aarav ne Vansh ko agah kia uss ke peeche bare pathar ke baare me, Vansh tezi se us pathar ka cover lete huwe peeche chala jata hai, Acid slime ka phenka Acid Pathar per ja girta hai aur pathar ko pighlana shuru ker deta hai.

Ek aur Vaar Aarav ki taraf bhi huwa jis ko Aarav ne araam se Dodge ker lia, Aarav tez kadmo ke saath Slime ki taraf barha aur ek bara pathar uthate huwe uss ki taraf phenk dia, Pathar Slime se lagte he pighal ker zameen per gir gaya.

Slime ne dobara Aarav per vaar karna chaha, Lekin Aarav ne dobara Dodge karte huwe khud ko peeche uchal dia, Vansh ka haath pakar Aarav tezi se kuch dur Cover me chala gaya.

Vansh: Hum ker kia rahe hai? Hamare paas waqt hai, Hum yahan se nikal sakte hai!

Aarav: Aur nikal ker kahan jaye gye? Hume yahan ke baare me kuch nahi pata, Pichle 20 Minute se main kuch samajhne ki koshis ker raha hu!

Vansh: Kia?

Aarav: Main yaqeen se to nahi keh sakta! Lekin itna samay beet jaane ke baad bhi mujhe yahan koi bhi aur monster nahi mila, Matlab ye Area Slime ki territory hai aur agar hum ache se kaam kare to shayad hum yahan apna safe Zone bana sakte hai, Bhoolo mat hume 100 ghante survive karna hai sirf, Hume bakiyo se milne ke baad sirf yahan rukna ho ga, Agar hum kamyaab huwe to hume iss baar kisi ko bhi nahi khona pare ga.

Aarav abhi tak apni pichli baar ki bhool ko bhool nahi paya tha, Wo jitna bhi khud ko mazboot kiu na ker le, Lekin abhi bhi wo khud ko Andrew ki moat ka doshi maanta tha.

Vansh: Phir ab kia kare?

Aarav ne thori peek lete huwe Slime ki taraf daikha aur Situation ko samajhne ki koshis karne laga.

Aarav: Hume pehle sab points sochne ho gye! Slime ki movement tez nahi hai, Hum Attack dodge ker sakte hai, Lekin agar hum ek Attack se bhi hit huwe to wo hamara ant ho ga, Main ne koshis ki hai lekin jitne bhi vaar karo mujhe nahi lagta ke slime ko damage mil raha hai koi!

Vansh: Agar hum usse damage nahi ker paa rahe to usse khatam kaise kare gye?

Aarav(Analyzing): Ruko! Koi to kamzoori ho gi Slime ki, Koi to raasta dhoondna ho ga?

Vansh: Agar hum apne saath laye Grenade Use kare to?

Aarav: Nahi! Hamari duniya ke weapon in per effective nahi hai, Jaise Daisuke ke grenade Demon wolf pee effect nahi ker rahe the, Aur agar hum ne grenade Use kia to Aag bharakne ka bhi khatra hai.

Vansh: Aise to hume koi raasta nahi mile ga?

Aarav koshis karta raha kuch kamzoori dhoondne ki, Aur jaise uss ka luck uss ka saath de raha tha, Aarav ne Pathar per giri Slime ka acid daikha jo waapis Slime ke paas ja raha tha, Aarav ne baki jahan Acid gira tha wahan daikha lekin wahan kuch bhi nahi tha.

88fc300542fb277ad2064b34a5f49cbf.jpg

Aarav: Wait! Mujhe kuch try karna hai.

Aarav tezi se bhaagte huwe baahir nikla, Aarav ko daikhte he slime ne ek ke baad ek Acid ka gola phainkna shuru ker dia, Aarav ache se sab dodge ker paa raha tha, Aur jaise jo wo daikhna chah raha tha uss ne daikh lia ho.

Aarav apne kadmo ko waapis kheenchte huwe waapis bhaaga, Slime ko pata lage bina he Aarav waapis Vansh ke paas cover me chala gaya.

Vansh (Yell): Ye kia tha? Agar marna hai to mujhe yahan nikal ke marna, Aise mujhe yahan khatre me choor ker mat marna.

Aarav: Ruko! Main marne ke liye nahi gaya tha, Main kuch confirm karne gaya tha.

Vansh: Kia?

Aarav: Slime Regenerate nahi ker sakti! Matlab, Slime ko har shoot kiye Acid ko waapis kheenchna parta hai warna wo kam hoti jaye gi.

Vansh: Phir kia?

Aarav: Agar hum Kisi tarha shoot kiye Acid ko waapis jaane se rok paye, to shayad hum Slime ko hara sakte hai!

Vansh: Lekin, Hum ye kare gye kaise? Tum bhool to nahi rahe ke hum usse chhub bhi nahi sakte!

Vansh ki baat bhi sahi thi, Agar wo Slime ko chhu bhi nahi paa rahe the to roke gye kaise? Aarav aisi opportunity khona nahi chahta tha, Aarav ne apne Infinite bag me kuch dhoondne ki koshis karne laga.

Aj jaise Kismat Aarav ka saath nibha rahi thi, Aarav ke haath ek special Magic Enchanted bottle lag gayi.

[Introducing the magic bottle - a special container made of shimmering white crystal that's perfect for storing anything and everything. This bottle is no ordinary vessel, for it has been enchanted to keep your belongings safe and sound, no matter what you put in it.

The magic bottle is practically indestructible, so you don't have to worry about it breaking, no matter how much you shake it up. And, it doesn't matter if you're storing something hot or cold, liquid or solid, this bottle will keep it at the perfect temperature.

But, be warned - there's a catch. If you scratch the enchanted spell at the bottom of the bottle, the magic will be broken, and it will turn into an ordinary bottle. So, make sure you don't accidentally scratch it!

Overall, the magic bottle is a fun and whimsical way to store your stuff. Whether you're keeping your favorite drink cold or storing a secret potion, this bottle will keep it safe and sound - just make sure to handle it with care!]

Ye ek special Bottle thi jo potion ko store karne ke liye banayi gayi thi, Lekin uss ki khaasiyat thi ke wo toote gi nahi aur Aarav iss waqt kuch aur chahta bhi nahi tha.

Aarav: Yanhi ruko! Main dobara kuch try karne ja raha hu.

Aarav waapis apni jagha se baahir nikla aur iss baar seedhe Slime ke saamne ja ker khara ho gya, Slime ne Aarav ko saamne daikhte he uss per apna Acid ka gola phaink dia.

Aarav ne Easily usse dodge ker lia, Lekin Aarav yanhi nahi ruka aur Bottle nikal tezi se Uss gole ki taraf barha, Aarav ne apni Agility me Point invest kiye the jo yahan kaam aa rahe the.

Bina Acid ko haath lagaye palak jhapakte he wo Acid bottle ke andar Kaid ho chuka tha, Bottle kanhi se bhi toot nahi rahi thi aur Expirement safal ho gya, Agle he pal Aarav ke saamne System Window khul gayi.

[Congratulations! You have just achieved a remarkable feat by creating the first-ever Acid Slime bomb! Your ingenuity and skill have impressed us all. With this powerful tool in your arsenal, you are now equipped to take on any challenge that comes your way. Keep up the great work and continue to amaze us with your creations!"]

1267d1b34581621335c570ad8099998a.jpg

Aarav ki ankho me Notification daikhte he chamak aa gayi, Aarav ne jo socha tha uss se zada acha nikla ye experiment, Aarav me bag me se aur bhi bottle's nikali aur tez kadmo ke saath Slime ki taraf barhne laga.

****

Darkvale Forest
99 Hours 27 Minutes Remaining

*Ugh*

Bhaagte huwe Daisuke ki saanse bhaari honi shuru ho chuki thi, Daisuke apni kamar per Isabelle ko uthaye tezi se jungle me bhaag raha tha, Uss ke peeche Tree Branches tez raftaar se aa rahi thi.

Isabelle: Daisuke!

Daisuke(Panting): Kehna ki sochna bhi mat!

Isabelle (Sobbing): Aisa mat karo! Agar tum mujhe aise he le ker bhaagte rahe to hum dono yanhi mar jaye gye, tumhare paas waqt hai mujhe yahan utaar ker nikal jao yahan se, warn-

Daisuke: Bakwas band karo! Tumhe kia lagta hai tumhe yahan marta choor ker main yahan se zinda na nikal ker bhi zinda reh saku ga kia?

Tree branches kuch he distance per reh gye the, Daisuke pichle adhe ghante se bhaag raha tha uss ki saanse phulne lagi thi aur raftaar kam hone lagi thi.

Isabelle: Bewakoofi ker rahe ho tum!

Daisuke: Those who abandon their friends are worse than scum! I'd rather be an idiot than turn my back on my friends and become a cowardly scum.

Daisuke bina Isabelle ki koi bhi baat sune bhaagta raha, Yahan ane ke baad dono khud ko akela daikh ker pareshaan ho gye the, Isabelle ki halat pehle se behtar huwi thi lekin wo abhi bhi bhaag ya chal nahi sakti thi.

Lekin itna kafi nahi tha ke ajeeb tree branches ne un per attack ker dia, Daisuke ne pehle to saamna kia lekin Branches barhne lagi aur Daisuke ke liye mushkil hone lagi, Akhir Daisuke ko kisi tarha Isabelle ko utha ker wahan se bhaagna per gaya.

Daisuke buri tarha zakhmi bhi tha, Lekin wo abhi Isabelle se khud ko heal nahi karwa sakta tha, Ab situation aur bhi kharab ho chuki thi, Daisuke bina kisi direction ke bhaagta ja raha tha lekin Branches uss ka peecha nahi choor rahi thi.

[HEALING ALERT]

[The Player Is Being Healed By A Healer]

Daisuke ke saamne Notification aya, Daisuke ne neeche daikha to uss ki chaati per Isabelle ka haath tha aur uss ke zakham bhar rahe the.

Daisuke: Ye kia ker rahi ho tum? Tumhe pata hai ke abhi tum Mana Use nahi ker sakti ho!

Isabelle: Chup! Tum ne he kaha hai ke jo apne dosto ko akela choor de wo kisi scum se bhi bura hai, Phir main kaise tumhe akele ye bojh uthane de sakti ho.

[Ability (Boost) Activated]

Daisuke ka stamina restore ho ker Baki Stats ke saath barh gye, Daisuke ne mazbooti se Isabelle ko pakra aur apni gati barhane laga, jagha jagha chalang lagana ab uss ke liye utna mushkil nahi tha, Kuch samay me he unho ne khud ko branches se dur ker lia aur kisi safe jagha ko Dhoondne lage bhaagte huwe.

Ek unche pathar ko daikhte he Daisuke tezi se uss ki taraf barha aur ek se dusre pathar per kudte huwe upar chala gaya, wanha wo 3 taraf se cover the aur bachi huwi side per nazar rakhte huwe Daisuke ne Isabelle ko neeche baitha dia.

Isabelle ka pura badan paseene se bheeg chuka tha, Uss ki saanse bhaari ho rahi thi aur chaati me dard shuru ho chuka tha, Apni halat ko ignore ker ke uss ne heal aur Boost Use ki thi jis ki keemat wo ab chuka rahi thi.

Daisuke: Hum yahan kuch der ruk sakte hai! Abhi tum boost ko deactivate ker sakti ho.

Isabelle ne hami bharte huwe Boost ko khatam ker dia, Uss ki halat me kuch sudhar ane laga lekin wo abhi bhi takleef me thi, Daisuke peek karte huwe baahir daikhne laga ke ab wahan kuch hai to nahi, Lekin wahan abhi kuch nahi tha aur wo dono safe the.

Daisuke: Hume 1 ghanta hu chuka hai yahan aye huwe! Lekin abhi tak baki teeno me se hume koi bhi nahi mila.

Isabelle: Kanhi hum alag alag Duniya me to nahi bheje gye kia?

Daisuke: Nahi! Yahan koi dusri duniya nahi dikhayi gayi abhi tak, Pichle sab Player's se ker hum tak sab iss jagha he aye hai, Darkvale Forest Map me thi lekin abhi tak koi player bhi yahan nahi aya.

Isabelle: Akhir hai kia ye darkvale Forest?

Daisuke: Yahan mili information ke hisaab se Darkvale Forest sab se deadly forest hai! Yahan hume sirf Monster se nahi Nature se bhi larna parta hai khud ko bachane ke liye, Darkvale me sab se zada khoonkar monster paye jaate hai jo sirf maarna aur marna jaante hai, Aisi jagha jahana ane ke baad zinda wapis jaana Na-Mumkin hai, Wahan 100 ghante zinda rehna kisi miracle se kam nahi ho ga.

Daisuke yahan ane ke baad ab Vishwas ker sakta tha ke kiu itna khatarnak kaha jata hai Darkvale Forest ko, Agar Isabelle na hoti to shayad Daisuke branches se kabhi bhi bach na pata.

Daisuke: Hume jitna Araam ka time mile Araam karna chahiye! 10 minute Bhi bohat anmol uphaar ho gye iss forest me hamare liye, Yahan se nikalne ke baad hum bakiyo ko Dhoondne ke liye nikle gye.

Daisuke bhi wanhi baith gaya lekin wo abhi bhi kisi waqt bhi nikalne ke liye tayar tha, Isabelle bhi khud ko dobara jaane ke liye tayar karne lagi aur Mana ko stable karne ki koshis karne lagi.

****

Darkvale Forest
96 Hours 44 Minutes Remaining

“Gotcha”

Aarav ne ek aur Slime Acid ko bottle me capture ker lia, Aarav ko bohat zada waqt lag raha tha lekin akhir wo kamyaab ho raha tha, Aarav ne 35 se 40 Acid Slime Bomb bana liye the aur abhi bhi uss ke paas 20 se zada Bottle thi, Slime kisi Football ke size ki reh gayi thi sirf.

Vansh: Jaldi se usse bhi pakar lo!

Vansh ek ped ka cover liye khara bola, Aarav uss ki harkat se khush to nahi tha lekin usse koi dikat bhi nahi thi, Aarav ne zada dhayan na dete huwe dobara Slime ki taraf barhna shuru kia.

(。ŏ﹏ŏ)

Aarav: Wait! What?

Aarav ko aisa mehsoos huwa jaise Slime kaanp rahi ho dar se, Aarav pehli baar Slime ke upar koi expression feel ker raha tha, Aarav ko khara daikh slime tezi se peeche ki taraf uchal ker bhaagne ki koshis karne lagi.

Aarav bhi tezi se uss ke peeche bhaaga, Chote size ki wajha se Aarav ko uss ke paas jaane me mushkil ho rahi thi, Aarav uss ke peeche bhaagta raha aur akhir wk pathreeli jagha per Slime Aarav ki nazro ke saamne aa gayi.

Slime ek Pathar ke neeche chupne ki koshis karne lagi, Aarav chalte huwe uss ke kareeb jaane laga, Slime Aarav ke har kadam ke saath khud ko chupane ki koshis karne lagi lekin wo khud ko chupa nahi paa rahi thi.

Aarav ne ek bottle nikali aur akhri Piece ko bhi beech me daalna chaha, Lekin uss ka haath beech me he ruk gaya apne saamne wo slime ko dar se kaanpte huwe daikh raha tha, Uss pal slime pehle ki tarja khoonkar Rakshas nahi lag rahi thi kisi bache ki tarha ki lag rahi thi jo khud ko bachane ke liye chup raha ho.

Aarav ke saamne uss ke bachpan ke pal ane lage, Jab uss ke Maa aur Papa ghar me larte the Aarav aur Urvi kisi table ke neeche chup jate the, Aarav chah ker bhi khud ko Uss Slime ko pakarne ke liye mana nahi paa raha tha.

( ╹▽╹ )

Slime Aarav ko ek jagha ruka daikh aise ho gayi jaise Aarav ki harkat se wo khud bhi heraan thi, Aarav ne bottle ko waapis apne bag me rakha aur apna haath Slime ke kareeb karne laga.

[Unique Ability (Will to live) Activated]

(~_~;)

(・_・;)

(. ❛ ᴗ ❛.)

Slime ke har guzarte lamhe ke saath Expression badal rahe the, Aarav ka haath Slime ke upaar tha lekin uss ke haath per koi bhi damage nahi tha, Ulta Aarav ke chehre per ek muskurahat thi.

( ◜‿◝ )♡

Aarav(Gently): Pehli baar koi Sehla raha hai kia?

(^_^メ)

Slime ke expression se pata chal raha tha ke ye pehli baar tha, Aarav ko khud samajh nahi aa rahi thi uss ne ye kiu kiya, Usse bus ye karna sahi laga.

ab jab wo dobara yaad ker raha tha to usse yaad nahi aa raha tha ke Slime ka koi bhi attack dodge karna itna mushkil ho, Jaise Slime sirf unhe khud se dur bhagana chah rahi ho.

“Kia huwa?”

Aarav ko peeche se Vansh ki awaz ayi jo uss ke peeche wahan aa gaya tha, Aarav ne apna haath aage barhaya to Slime hickichate huwe uss ke haath per aa gayi, Aarav uss ko haath me pakar khara ho gya.

Aarav: Hume darne ki zaroorat nahi hai! Ye chotu ustaad hume nuksaan nahi pohanchana chahta, Ye sirf khud ko bacha raha tha.

Aarav ke haath me Slime daikh Vansh ki phat rahi thi lekin wo kuch keh nahi paa raha tha, Aarav ne slime ko wahan neeche rakha to Slime dobara uss ke paas ane ki koshis karne lagi.

(づ。◕‿‿◕。)づ

Aarav (Smile): Lagta hai kam waqt me he isse mujh se lagav ho gya hai! Lekin hamare paas waqt nahi hai, Hume bakiyo ko dhoondna ho ga.

Vansh: Lekin iss khatarnak Jungle me jana sahi rahe ga kia? Mere khayal se hume yanhi ruk ker intizaar karna chahiye, Shayad wo khud he yahan aa jaye.

Aarav (Sigh): Huh! Kehne ko agar hum aise ker bhi le, Ye socho ke next time kia karo gye? Agar insaniyat ke liye unhe bachana chahte to kam se kam ye soch ker bacha lo ke agli baar yahan aye gye to hamari madad ke liye hamare saath Comrades ho gye.

Vansh: Lekin phir bhi! Ab kia hum dobara khatre me jaye gye?

Aarav: Tum daro mat! Main akela jaane wala hu, agar hum dono gye to sirf Risk zada ho ga, Iss liye tum yanhi ruko gye.

Vansh (Frightened): What??? Yahan iss cheez ke saath akela? Kabhi bhi nahi!

Aarav apni jagha se khata huwa aur khud ko jaane ke liye tayar karne laga.

Aarav: Daro mat! Mujhe nahi pata kiu, Per hum iss per yaqeen ker sakte hai! Kiu chotu ker sakte hai na hum?

ᕙ( • ‿ • )ᕗ

Aarav ke chehre per waapis muskurahat aa gayi, Usse khud pata nahi chal raha tha lekin Uss ki ability active hone ke baad Wo slime ke emotion samajh paa raha tha.

Aarav: Darne ki koi baat nahi hai! Waise bhi tum ne itne points Strength me Add kiye hai to ek choti slime to tumhare liye koi khatra nahi ho gi? Waise bhi yahan koi aur Monster nahi aye ga iss chotu ki wajha se!

Aarav bina kuch sune wahan se nikal gaya, Vansh ne usse rokna chaha per Aarav ki raftaar ka wo saamna na ker saka, Aarav ne apna Stamina Increase kia tha to wo ab bina ruke ghanto bhaag sakta tha.

Aarav ko nikle bohat waqt ho chuka tha, Wo Jungle ki gehrai me aa gaya tha lekin abhi tak usse sirf chote Monster's he dikhe the, Aarav bina kisi pareshaani ke unhe khatam ker ke aage barh raha tha.

*Kabooom*

Ek taraf se Aarav kisi cheez ki girne ki unchi awaz ayi to Aarav ruk gaya, Awaz bohat zada unchi thi jis ko ignore nahi kia ja sakta tha, Aarav tez raftaar se uss taraf barha jaise jaise wo aage barh raha tha Usse saamne bohat zada monster Sense hone shuru ho gya.

Aarav wahan pohancha to saamne ka drishya kisi ka bhi dil rok dene ke liye kaafi tha, Saamne 2 Muh wale ajeeb se Kutto ki laashe thi, Chaaro taraf khoon phaila huwa tha.

Khoon ke aage he Bohat se waise he Monsters khare huwe the, Un ke beech khari thi khoon me latpat ek larki jo khoon me nahaye hone ke bawajood kisi Haseena se kam nahi lag rahi thi.
699121f4aa512453501e524e7934ca80.jpg
.
.
.
.
.
.
.
.
.

[Aj ke liye itna he, Update mushkil tha kiu ke kuch choti cheezo per bohat sochna per gaya lekin complete ker lia iss cheez ki khushi hai, Update around 4.2 K tha agar iss Update per 30 likes huwe to next Update Wednesday Nigh ko aye ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Shandaar update 😍😍
 
king cobra

Well-Known Member
5,258
9,924
189
Acid Slime ka lagbhag sara acid bator liya botal me mujhe lagta hai thoda bahut usko vapas karna chahiye taki wo kisi musibat me apne liye kuch kar sake jaisa ki hamne dekha wo wapas khinchti thi kyuki wo bana nahi sakti hai ya fir bahut time lagta hoga aisa kuch.abhi jab wo friendly hai to usko uski power wapas milni chahiye
 
king1969

Well-Known Member
3,672
5,053
143
Bahut hi mazedar update Bhai
 
Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,856
19,835
144
100 Pages Complete hone wale hai guys, Reviews ate rehne chahiye!
 
  • Like
Reactions: Awara and Shanu
Top