• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Update - 21


Maine kitabo me padha tha ki Kamal hamensha kichad me hi khilte hai... aur muje bada aacharya hota tha ki esa kyu hota hai?... lekin aaj jese muje jawab mil gaya... Paridhi esa fool thi jo iss duniya ke kichad me bhi apne saaf dil se sab pe apni khushbu faila rahi thi....


"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."


Ab aage....


Present Date - 09/12/2015



"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."


Ha yahi line baar baar padh rahi thi Paridhi.... uska dil ab thame nahi ja raha tha... Paridhi ki aankho me aek alag si chamak aa gayi thi... ye chamak kya thi Paridhi ko ab bhi pata nahi chal raha tha... lekin uski aakhe baar baar.... baar baar usi pe najre doda rahi thi jo Pavan ne aakir me likha tha..


"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."


Paridhi ka rom rom yahi pukar raha tha jannat se aayi Pari... uska rom rom nach raha tha.. uska dil joom raha tha... aur Paridhi ki najre abhi bhi uss Dyari se hat nahi rahi thi...


Paridhi ne aek baar phir padha... lekin iss baar use esa lag raha tha jese iss Dyari me se khud Pavan bol raha tha... Paridhi ne charo aur dekha.. kamre me se har jagah se Pavan ki hi aawaj gunj rahi thi... Paridhi ko ye ahesas bahut hi achha lag raha tha... Uska dil iss ahesas me dub chuka tha...


Lekin Paridhi ka dimag..... kuch to esa tha... jo Paridhi ko abhi bhi roke rakha tha... kuch to tha... jo usse samaj ne nahi de raha tha ki use ye sab kya ho raha hai?....


Paridhi ne phir se Dyari ko padhna shuru kiya...



Date - 15/07/2003


Maa.... pata hai maa... aaj subah jab me utha to muje kiska chahera dikha... aap ko to pata hi hoga... muje uss jannat ki Pari ka chahera dikha...


Kya aap ko pata hai Maa?... Aaj esa kyu huva?... muje kuch samaj nahi aaya... lekin jab uska chahera yaad aaya mere chahere pe aek muskan khil uthi thi....


Me jaldi se utha aur phir Aadi ko bhi uthaya... aur ham chal pade apna rojana kaam karne... mene sare ladko ko alag alag jagah bhej diya... Aur mai vaha aaya jaha mai kal tha.. Aadi ko bhi sath laya tha... lekin ham thodi door the uss jagah se.... mai baar baar uss jagah pe dekh raha tha ki Paridhi aaj phir aayegi... aur muje vo dikh jayegi....


Dhire dhire aadha ghanata bita... phir aek ghanta phir to pura din nikal gaya... lekin muje Paridhi nahi dikhi... jab raat ho gayi tab muje Aadi ne wapas chalne ko kaha.... lekin muje lagta tha ki Paridhi abhi waha aayegi... lekin phir nirash hoke ham dono wapas chale aaye...


Maa... kya vo aayegi?... Kya Paridhi wapas aayegi?... kya vo wapas jannat chali gayi hogi?.... agar esa huva to mai use wapas kese dekh sakunga?.... Pata hai Maa.. mera dil kah raha hai ki vo aek din jaroor aayegi...


Hamari chutki bhi uss Jannat ki Pari jesi hi hai na Maa.... Chutaki tuje bhi Paridhi jesa hi banana hai... banogi na?...



Present Date - 09/12/2015


Paridhi ke chahere pe aek bahut hi pyaari muskan aa gayi... Pata nahi lekin use ye achha laga Pavan ka uske liye intezar karna..


Paridhi ne aage bhi Dyari padhi jisme Pavan ka pura din tak uska intezar karna likha tha.. Aur har din ke khatm hone ke baad Paridhi ke chahere pe khili muskan aur bhi pyaari hoti jaa rahi thi...



Date - 20/07/2003


Aaj 5 din aur bit gaye the muje Paridhi ka pura din intezar kiye... Lekin ab mai aur waha nahi rook sakta... kyu ki hame bhikh mang ne ke liye har din jagah badalni hoti hai.. aur mai pichhle 5 dino se aek hi jagah tha... isliye muje majbooran jagah badlni hogi...


Aur jab aaj raat mai yaha wapas aaya.. muje Munna ne bulaya tha... Pahele to muje dar laga ki shayad Munna ko pata chal gaya hoga ki mai pichhle 5 dino se aek hi jagah tha... aur tabhi muje Paridhi ka chahera yaad aaya aur pata nahi lekin pura dar gayab ho gaya...


Jab mai Munna ke pass pahuncha vo kursi pe betha huva daru pi raha tha.. hame iss badboo ki aadat si ho gayi thi... mai jaake Munna ke samne ghutno pe beth gaya..


Mai - "Malik aap ne muje bulaya?..."


Munna hasta huva - "Haa... sun ladke.... mene aaj tuje aek kaam se bulaya hai.."


Mai - "Kahiye malik... mai kya karu?..."


Munna ne vaha bethe aek aadmi ki aur ishara karte huve - "Vo jo vaha batha hai... vo Appu hai... apni gang ka sabse ladaku banda samja na..."


Maine uss aur dekha vaha pass aek doosri kursi pe aek aadmi betha tha... kad jyada nahi tha lekin fit bahut tha... chahere pe aek bada sa ghav tha jo uske chahere ko daravana bana raha tha...


Munna - "Ye tuje kal se ladna aur thode aur kaam karna bhi sikhayega.."


Maine chaunk ke Munna ki aur dekha... muje ese dekh Munna joro se hasne laga...


Munna - "Tum sabhi bachho me sabse alag ho... aur muje tum dusro se jyada sfurtile bhi lage ho.... aur muje tum jese ladke chahiye apni team mai... bahut kaam pada hai... jo tumhe karne hai... isliye ab tum iss Appu se sab sikhoge..."


Mai aur kuch Munna ke samne bol nahi sakata tha - "Jesa aap thik samaje Malik."


Munna - "Bahut achhe aur ab se tum unn sab ke sath nahi rahoge.. tum uss doosre wale kamre me rahoge... tumko apni team me shamil kiya hai iska matlab samje na.. tum ab Munna ki gang ka hissa ho.. aur tum abse vo bhikh managne wala kaam nahi karonge samaje..."


Mai - "Thik hai malik... Malik kya mai Aadi ko bhi sath le lu?.."


Munna ka chahere bigad gaya - "Tuje kya kisi kide ne kata hai... kutte... jo abhi uss langde ke pichhe pada hai.."


Muje Aadi ko langda kahena chubh gaya.. lekin inn 9 salo me pata nahi lekin iss se bhi bahut buri baate suni thi...


Mai - "Malik... vo mera dost hai... aur muje ladna sikhne me aansani hogi agar vo sath rahega to..."


Ab Paheli baar mene Appu ki aawaj suni bahut bhari aawaj thi uski...


Appu - "Bhai uss langde ko bhi rah ne do iss ladke ke sath.. muje bhi lagata hai kuch na kuch kaam aayega hi.. shyad maar khane ke liye bhi.."


Aur vo jor jor se hasne laga.... Aur munna bhi hasne laga..


Munna - "Thik hai chal ab jaa yaha se... aur uss langde ko bhi sath rakh lena..."


Mai vaha se chala aaya... mai khush tha iss liye nahi ki muje ab ladna sikhna hai.. Mai khush tha kyuki ab Aadi ko bahar bhikh mangne nahi jana hoga...


Mai Aadi ko leke doosre kamre me aa gaya... Aadi muje sawaliyan najro se dekh raha tha...


Mai haste huve - "Kal se tumhe bahar raste pe bethne ki koi jaroorat nahi padegi.... tere dost ne tera jugad laga diya..."


Aadi khush to huva lekin agale hi pal - "Tu ye bata kya kimat lagayi tune apni...."


Mai thoda dhime swar me bola - "Muje unke liye kaam karna hoga.... uss Munna ne muje uski gang me shamil kiya hai.. vo sab kuch karna hoga jo vo karte hai... isliye vo muje kal se sab kuch sikhayenge.."


Aadi mere kandho ko hilate huve - "Yaar kyu kiya tune esa?... kyu pair daal raha hai iss kichad me?..... Yaar tum hi to bolte ho ki tumhe apni chutki ke liye hero banana hai koi shaitan nahi.."


Mere dil mai chutki ka khyal aate hi mera dil pasis utha... meri aankhe bhar aayi.. ha mai banana chahta hu chutaki ka hero...


Mai - "Mai bhi chahata hu ki mai chutaki ka hero banu... lekin kab tak ham yuhi bikh mangte rahege.... aek na aek din wo hame kisi aur ko bech denge.. jese doosro ko bechte hai... aur tab pair pe padi janjiro se ham Kabhi nahi nikal payege..... aur agar yaha rahenge to hame goli maar denge.."


Mai rone laga.. mai kya karu?... muje kuch samaj nahi aa raha tha.... Pata hai Maa.. mai kabhi logo ka bura nahi chahta tha.. Maine padha tha ki burai aur achhai ki ladai me jeet hamnesha achhai ki hoti hai... aur abhi me jiska sath hu vo burai hai... mai harunga hi.... lekin agar burai ka sath nahi diya to vo log Aadi ko maar dalenge... mere bhai ko maar dalenge... sabkuch khatam ho jayega...


Pata nahi kyu? mera dil Munna ki har aek baat ke sath beth raha tha... esa lag raha tha ki mera dil ab samandar ki gaheraio me chip jayega.... iss burai ke khichad me mera dil kahi kho jayega.... aur mera dil kabhi Waqt ke ujjale ko nahi dekh payega...


Mai kya karu Maa... Papa aap kuch batayiye na... Mai nahi banana chahta koi shaitan... mai hamensha se hero hi banana chahata hu.... Mai kya karu?...



Present Date - 09/12/2015


Paridhi ka dil ro utha... aakhir ye kesi duniya hai jaha agar koi achha kaam karna chahata hai... koi achhai karna chahata hai.. uske pair pakad ke kichad me khich dete hai... agar phir bhi nahi mana to raste se hi hata dete hai.... ye kesi duniya banai hai bhagwan tune.... kya tune aek 11 saal ke ladke ka dard nahi sunai deta... kyu kar raha hai?... iss masoom jindgaio ke sath...


Paridhi ke aankho me se bandh toot pada... vo ro rahi thi.... kuch der baad jab vo shant huyi usne Dyari ki aur najar dali...


Color - My Column


Waqt.... Waqt kesa khel khel raha tha in masoom jindgaio ke sath.... kyu aakhir inka achha Waqt nahi aa sakata.... kyu inhe din ka ujala nasib nahi...


Aakhir esa kyu hota hai ki Waqt kisi ke liye din ka ujala lata hai aur kisi ke liye raat ka andhera... Lekin ham ye nahi janate ki Waqt vo chij hai jo sabhi ko jine ka mauka bhi deta hai.. abhi raat ke andhere jese dard aur dukh se bhari jindagi me vo subah ki kirano ke sath aek aash lata hai jine ki.. din ke ujale ko jine ki.... aur din ke ujale me daulat ke mad me chur rahene wale ko shaam ki dubati kirano ke sath aek giravat ki shuruaat lata hai aur phir raat ka andhera aapse sabkuch chin leta hai...


Kya Pavan ki jindagi me iss Waqt chal raha raat ka andhera subah ki kirano ke sath dur ho payega?.... Kya ye Waqt Pavan ko subah ki kirano ke sath jine ki aash la payega?... kya Waqt uske jivan me din ka ujala layega?...



Lekin Waqt aakhir Waqt hi hai... Waqt gujarata hai... aur Jindgai se jude sare hisse ko jina sikha jata hai...



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
Dosto abhi iss naye updated Xforum version 2.0 me font color ke option limited ho chuke hai... (Jo muje bilkul pasand nahi aaya..)


Isliye muje purane sare font colors ko change karana hoga>:(...


Aur naye font colour aur uske sath jude Waqt ke hisse ko me issi Post me bata dunga jisse aap aek baar refer kar lena...



Color - My Column
Color - Present Time
Color - Dyari... (Waqt)....
Color - Pavan's Past
Color - Paridhi's Past


~ Gabbar is Back :cowboy2:
 
Last edited:
Top