• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Dard bhara pyara update,,,, koi shabd nahi h mitar update ke liye, umda update :adore: :adore:
 
268
762
93
Awesome update
Quite silence bhot kuch kahti h
Jaisa Pawan ne kaha h uska Dil maila hota ja RHA h
Keep posting
Thanks....

Sahi kaha aapne.... Quite silence bhot kuch kahti hai...

Aur iss Quite silence ko vahi padh sakata hai jo aapse dil se juda ho... Pariwar, Dost....
 
268
762
93
Update - 23


Maa.... ye mere sath kya ho raha hai.... Jiss pyaar, apnepan ka me bhukha hu... vo mai iss kichad pe chal ke doosro ka pyaar, pariwar chin lunga..... Mera iss khichad me badhaya huva har aek kadam kisi haste khelate Pariwar ki khushiya chin lega...


Iss kichad me badahaya har kadam muje jiteji maarega... muje jiteji har Waqt marane ka ahesaas hota rahega... Aur isski shuruaat aaj ho chuki thi Maa.... Mere jiteji marne ki shuruat aaj ho chuki thi...


Aap sun rahi hai na Maa.... Mere jiteji marne ki shuruaat ho chuki hai...


Ab aage....


Present Date - 09/12/2015


Paridhi ke aankho se bah rahe aansu bandh hone ka naam hi nahi le rahe the..... Shyad ye Pavan ke quite silence ka jawab tha.... Pavan ke bina kahe bina dikhaye sirf Dyari ko padhane matr se Paridhi ko Pavan ke dil ki halat saaf saaf mahesoos ho rahi thi....


Lekin kya vo sach me sab kuch mahesoos kar paa rahi thi jo Pavan iss Dyari ko likhate Waqt mahesoos kar raha tha?



Color - My Column


Kya kisi ki feelings... kisi ka quite silence.... kisi ke dil se nikali aawaj uske bina bataye mahesoos ho sakati hai?


Haa.... Mahesoos ho sakati hai... jarur ho sakati hai... kisi ki feelings uske bina bataye, bina jataye, bina dikhaye bhi mahesoos ki jaa sakati hai agar vo insan hamare dil se juda ho.... hamare jiye huve har Waqt ke ahesaas ke sath juda ho... hamari rooh se juda ho... hamare pyaar se juda ho...


Kya aap ne bhi kabhi kisi ke dil ki aawaj uske bina bataye mahesoos ki hai?.... Sochane wali baat hai....


Kya Paridhi Pavan se dil se judi thi?... Kya Paridhi Pavan ke jiye huve Waqt ke har ahesaas me uske sath thi?.... Kya Paridhi Pavan ki rooh se bhi wakif thi...


Abhi to bahut kuch daba huva hai iss Waqt ke kagaj ke panno ke dher me.... Sare sawalo ke jawab Waqt ke inhi kagaj ke panno ke dher me se milane wale the...



Paridhi bhi jab Pavan ke ahesaas me itna dub gayi ki jab use mahesoos huva ki uske pair aur hath jese sunn pad gaye the... vo bhi Pavan ki tarah apne hath aur pairo ko mahesoos nahi kar paa rahi thi... Paridhi aekdam se dar gayi.... Vo hadabadi me bed se uthane ki koshish karne lagi... lekin uske hath jo sunn pad gaye the vo ab buri tarah se kampan karne lage the.... uske pair Paridhi ka sath nahi de paa rahe the....


Paridhi ne jese hi apne pairo ko jamin pe rakha aur pario ke sahare khade hone ki koshish ki hi thi ki uske pairo me tej kampan chuti.... jese vo abhi Paridhi ka bhaar hi nahi utha paa rahe the... jiss se Paridhi khud ka balance na kar paayi aur vahi jamin pe gir gayi... girate girate uska hath bed ke side ke drawer pe rakhe lamp pe jaa takaraye aur vo bhi Paridhi ke saath hi jamin pe let gaya....



Lamp ke girne ki aawaj aur Paridhi ke girne ki wajah se uske muh se nikali aawaj kamare ke sannate ko chirate huve kamare ke bahar nikal gayi..jiss se niche se Sumitaji daud ke uper aane lagi... Paridhi ne jese hi kadmo ki aawaj suni usne Dyari apne takiye ke niche chipa li... Lekin Paridhi ka dil abhi bhi chikh raha tha... jis ki chikh se Paridhi ka dimag sunn pad raha tha...


Sumitaji teji se room mai aayi aur andar aate hi unhone Paridhi ko ese jamin pe gire dekh aekdam se dar gayi aur teji se uske paas daud ke aa gayi aur wahi Paridhi ko uthane ke liye sahata dene lagi


Sumitaji dari huyi aawaj ke sath -"Kya huva Pari?... ese gir kese gayi?... kahi lagi to nahi?.... he bagawan kya karu mai ab.... ruk muje dekhane de tuje kahi lagi to nahi?"


Paridhi bhi Sumitaji ko dekh ke normal hone ka dikhawa karane lagi - "Kuch nahi huva hai maa?... Vo jara balance bigad gaya... vo thoda pair fisal gaya... aur muje kahi bhi chot nahi lagi hai..."


Sumitaji chain ki saans lete huve - "Tumhe kitni baar samajaya hai... toda sambhalake sab kaam kiya kar.... abhi tuje kuch lag gaya hota to..."


Paridhi Sumitaji ke sahare khadi huyi aur apni maa ke gale lagate huve - "Maa... meri pyaari maa... muje kuch nahi huva hai... aur mai aage se pakka dhyan rakhungi... pakka wala promise...."


Sumitaji Paridhi se alag hote huve aur Paridhi ko bed pe bithate huve - "Tu kabhi nahi sudharegi... muje pata hai... sab kuch jaanati hu tere baare me..."


Paridhi aekdam se serious hote huve - "Maa... kya aap mere bina bataye... mere bina jataye... aur mere bina dikhaye aap mere dil ko padh sakati hai?...."


Sumitaji Paridhi ke ese sawal se pahele chuank gayi lekin phir Paridhi ke sir pe apna hath phirate huve uske pass beth gayi...


Sumitaji - "Pari sach kahu... mene tuje janm diya hai... tuje bachpan se leke ab tak bada kiya hai... teri har shararat aur tera pyaar dekha hai.... tu mere dil me basati hai Pari..."


Sumitaji ki aawaj aur bhi pyaar bhari ho jaati hai - "Jese me tuje bina dekhe teri aahat ko bhi pahesan sakati hu.... issi tarah abhi tuje dekhte hi muje sab dikh raha hai ki meri bachhi abhi kisi tanav me hai..."


Paridhi jese chunk hi gayi lekin uske sath hi uski aankho se pyaar bhare do bund aanshu bhi chalak gaye apni maa ke pyaar ko dekh...


Sumitaji Paridhi ki aankho se aanshu ki bundo ko apne hatho se pochate huve - "Muje nahi batayegi ki kya huva hai?"


Paridhi apni maa ke hatho ko pyaar se pakdate huve - "Nahi maa itni badi bhi baat nahi hai... vo itne dino ki trip ki thi aur kal phir sara din ghume bhi the to thoda thak si gayi hu..."


Sumitaji - "Muje sab pata hai ki tu kab thaki huyi hoti hai... abhi to kaha ki tuje sirf dekh ke hi bata sakati hu ki tu kab thaki huyi hai, kab khush hai, kab tanav me hai.... Aur tu abhi thaki huyi lag to rahi hai lekin kuch aur bhi hai jo mujse chipa rahi hai...."


Paridhi ki aankho se aur do bund aansu nikale aur uske galo pe bikhar gaye.....


Paridhi ki aankho ke samane Pavan ki Dyari aa gayi... Lekin usne socha ki abhi mamma ko iss bare me baat nahi karni hai... Agar mene Dyari ke bare me baat ki phir muje vo sab batana padega ki muje Dyari kab aur kese mili? Aur mamma bina wajah pareshaan ho jayegi....


Paridhi - "Vo maa kal ki baat hai... kal mene paheli baar kisi ladake ko Friend banaya hai.... mene Avinash ko apna friend banaya hai.... aur iss se pahele mene Avinash ke sath bahut bura bartav kiya tha iss liye main samaj nahi paa rahi hu ki kya karu?... muje guilt bhi feel ho raha hai aur uss se achhe se maafi bhi mangani hai... aur muje iss friendship ko smajane ke liye aur Waqt bhi chahiye."


Sumitaji ka chahera khil utha Paridhi aur Avinash ki dost bana dekhakar - "Pari ye to bahut achhi baat hai ki tum ab aage badh rahi ho... muje iss se bahut khushi huyi Pari.... Aur tune abtak Avinash ke sath jo kiya vo galat tha aur tuje uski maafi bhi jarur managani chahiye."


Sumitaji Paridhi ke sir ko chumate huve - "Pari beta... hamensha apne dil ki sun na.. vo sab kuch sahi hi dikhata hai..... aur sahi raah pe bhi wahi le jata hai..."


Paridhi apni maa ke gale lagate huve - "Thank you so much mom.... You are the best mother in the world.... thank you so much.... thanku you muje samajne ke liye.... thank you har Waqt mere sath rahene ke liye... Thank you muje itana sara pyaar dene ke liye.... Thank you muje.... ohh main bhi kya kar rahi hu... sare shabd bhi kam hai aapke liye.... I LOVE YOU MOM... I LOVE YOU SO MUCH.... I LOVE YOU WITH ALL MY HEART...."



"All that I am or ever hope to be, I owe to my angle MOTHER"


Sumitaji ki aankhe bhig gayi unhone apni pyaari beti ko bahut hi pyaar karati hai.... Aur ab unhone Paridhi ko khud se alag kiya aur apni aankho se nikal rahe aanshuo ko pochate huve....


Sumitaji haste huve - "Tu kya ab muje rulayegi... Pagal... chal ab tu so jaa bahut thak gayi hai."


Paridhi jat se Sumitaji ki god me let gayi.... use iss god me jese duniya mil gayi... iski aankho se do bund aanshu gir gaye... Aur apni palke band kar li.....


Sumitaji apni bachhi ke sir pe hath phira rahi thi.... Sumitaji ki aannkhe abhi bhi bhigi huyi thi....


Aankhe band hote huve use sab ke chahere dikhane lage jo Paridhi ke dil se jude hai.... Paridhi ki Mom Sumitaji, Dad Rahulji aur Bhai Dev, Best Best Best Friend Naina jo uski bahen se kam na thi.... Ye sab uske dil se jude the...


Aur tabhi jese uske dil se hi kisi bachhe ka dhundhala sa chahera dikhane laga... parachai ki tarah dikh rahe iss chahere ke sath aek naam bhi gunj utha.... Pavan.... Pavan... Lekin tabhi jese ye chavi aakar badalane lagi... ye chavi badi hoti jaa rahi thi.... ye chavi daravani hoti jaa rahi thi...


Paridhi ne apni Maa ko kas ke jakad liya...


Lekin vo naam ab bhi gunj raha rha.... Pavan.... Pavan.... Pava.... Pav.... Pa.... P.....


Aur Paridhi nind ki aagosh me chali gayi...


~ Gabbar is Back :cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
Dosto Kahani ke har updates ka review jarur de....

Aur comments karke jarur bataye ki kahani aapko kesi lag rahi hai.. achhi ya buri....

aapke sujav aur aapke vichar bhi jarur se comment me likh dijiyega...

Aur apne votes dena mat bhuliyega.....

Kahani ke sath jude rahene ke liye Dhanyawad.....


~ Gabbar is Back :cowboy2:
 
Last edited:
Top