- 268
- 762
- 93
Thanks Black waterCongratulations for new story
Thanks Black waterCongratulations for new story
Waaah bahut hi khubsurti se waqt ke bare me varnan kiya hai aapne,,,,,Update - 1
Color - My column
Waqt…..
Waqt her insan ke jindgi ka vo hissa hai, jiss se aap kabhi chah kar bhi apna muh nahi fair sakte.... Waqt hi hai jiss se kabhi bhaga nahi ja sakta..... Yahi vo ahesas hai jise aek baar jike kabhi wapas paya ya bulaya nahi jaa sakta. Ye ahesas sirf aapki yado me aapke dil me hi rah jata hai aur sayad aapk ke sath hi kahi dafn ho jaye.... Uss gujre huve Waqt ko aap kitna bhi kyu na chah lo na to aap kabhi kharid sakte ho na hi kabhi chura sakte ho….
Waqt vo labj hai jo insan ko apni puri jindagi ke her uss lamhe me her uss pal se her uss mod se muhaya kara sakta hai jise aap dilo jaan se jina chahte ho…. jiss se aap bhagana chahte ho…. jiss ki yado ko aapne apne sapno me mahel ki tarah sajaya huva hai... Waqt har ghani raat ke baad ujjwal din lata hai…. aur har ujjwal din ke baad wahi kali raat…. Waqt hamari jindagi me kuch aashae le
Lekin ye vahi labj hai jise kuch logo ne iss tarah se dekha ki doosre unko dekhte rah gaye…. ha…. Ye vahi log hai jinko ham kitabo me… chhabio me… akhbar me bade maan sanman se dekhte aaye hai…. ye vahi log hai jinhone her Waqt ke badlte pahelu ko ese jiya ki aaj vo mahan ban gaye…. Waqt ke bure palo me ye log gire… nakam huye…. lekin wapas khade huye… uss aane vale kal ko jine ke liye uss aane vale ujjwal bhavisya ke liye ye log phirse khade huye…. Waqt ki kali raat ke samne kabhi gutne nahi teke…. kabhi nahi…. inki soch me bhi… inke khwabo me bhi kabhi haare nahi….. ese sir uthake jiye ki logo ne unke samne sir juka diye….
Thanks The_InnoCent iss kahani se jude rahene ke liye.Waaah bahut hi khubsurti se waqt ke bare me varnan kiya hai aapne,,,,,
Waqt, wo musafir hai jo bas chalta hi jata hai, kisi ke liye bhi nahi rukta balki ham sabhi praaniyo ko iske kadam se kadam mila kar chalna hi anivaarya hota hai. Phir bhale hi hamare saamne kaisi bhi paristhitiya kyo na aa jaye. Un sabhi paristhitiyo ko paar karna hamare liye anivaarya hai warna ye wakt hame apne peeche ek aise place me chhod kar aage chala jayega jaha par ham khud hi khud ko khoj nahi payenge.
Waqt, Us bala ka naam hai jiski awaaz hame zyadatar sunaayi nahi deti. Agar hamne iski awaaz ko ansuna kar diya to fir dusri kisi bhi awaaz ko sun pane ke liye ham saksham nahi rah payenge. Jisne iski awaaz sun li wo iske sath hi aage badh gaye aur jo ghaafil rahe wo bewajah bhatakte rah gaye.
Waqt, Hamare saamne bahut si cheeze bikherta hua jata hai. Agar hamne hosho hawaash me aur samajhdaari se un cheezo ko jaanch parakh liya to behtar hai warna agar ghanchakkat ban gaye to koi aashcharya ki baat nahi. Kyo ki zyadatar aisa hi hota hai,,,,,
Abhi bahut kuch hai dost, magar kahuga nahi kyo ki sab yahi samajhne lagenge ki is story ke writer aap nahi balki main hu.
Maaf karna GaBBaR is BacK bhai aapke thread par itna kuch bol diya. Khair, aapne story ki shuruaat waqt ke bare me batate huye ki hai to aisa lagta hai jaise bahut kuch isme dekhne ko milega. Dusri baat ye story mere test ki (No Adultery) huyi to mera sath last tak bana rahega,,,,,