• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Update - 27


Aaj muje certificate mila tha pyaar ko bhulane ka.... apnepan ko bhulane ka..... khud ke astitva ko mitane ka.... khichad me pura maila hone ka.... puri jindagi andhere me rahene ka certificate mila tha aaj muje...


Aaj muje certificate mila tha kisi ke pyaar ko mitane ka... kisi ke pariwar ko tahesnahes karane ka.... kisi ki khushiya chin ne ka.... kisi ko dard dene ka.... kisi me dahesat failane ka certificate mila tha aaj muje....


Aaj muje certificate mila tha Shaitaan banane ka.....



Ab aage.......


Present Date - 11/12/2015


Dyari ka pura page Pavan ke sukhe aanshuo se bhara pada tha... Jese vo khub roya tha uss din.... kya gujarti hai aek nanhi jaan pe jab use itna sab kuch sahena padata hai....


Hawa ka aek aur laher aane hi wali thi ki.. Paridhi ka hath nind me hi Dyari pe pada aur usne Dyari ko apne sine se laga di... abhi bhi uski aankho me se aanshu ki bunde gir rahi thi....


Color - My Column



Waqt.... Waqt ne Pavan ki jindgi me ye kesa andhera kiya tha... kya uss me kabhi ujala aayega bhi?..... Waqt ke aage sab majboor hai....



Subah Paridhi ki nind khuli aur time dekha abhi 7 baje the... usne Dyari ko bade hi pyaar se takiye ke niche rakha aur fir fresh hone chali gayi....


Paridhi jesehi bad se khadi huyi use khuch bhari bhari sa laga.... vo bathroom me aine ke samne jese hi khud ko dekha vo do kadam hadbada gayi... Paridhi ki aankhe suj chuki thi.... uska chahera sukhe huve aanshu o se bhara pada tha.. aur sir bhi bhari bhari sa lag raha tha....


Paridhi bina palke japakaye apne chahere ko dekh rahi thi.... uska dil hi sabse bhari tha.. lagata tha abhi bhi use rona baki tha...


Paridhi ko kal raat ka pura manjar samen aa gaya.... Pavan ke Dyari me likha har aek din ka dard samne aa gaya...



Har aek raat kitni dard me gujari thi Pavan ne... Aakhir kya biti thi uss chote se saaf dil per.... Aur aakhir Pavan ko vo bana hi diya gaya jo vo kabhi banana hi nahi chahata tha..


Aaj muje certificate mila tha Shaitaan banane ka.....


Ye kesi duniya banayi hai khuda ne jaha koi rahem dil nahi mila Pavan ko... koi esa na mila jiss se Pavan ke saaf dil ko iss kichad se bahar nikala jaay...



Paridhi ke aankho se aashu aa gaye... lekin iss baar uski puri aankh dard ho uthi.. Paridhi ke muh se aek halki si chikh nikal gayi.. usko aankhe puri suj jo gayi thi.. vo abhi chah kar bhi aek bund aansu nahi gira sakati thi... shayad ye Paridhi ke jivan me paheli baar huva tha ki rone se uski aankhe suj gayi thi....



Paridhi ko ab achhe se malum ho gaya tha ki agar sirf aek aankh ke suj jane se use itna dard huva hai.. to 16 saal ke Pavan pe kitna dard aur dukh bita hoga... vo page kitna bhara huva tha sukhe aanshuo se....


Aadi jise Paridhi ne apna bhai kaha tha... Vo kese jiya hoga apne dost ka khichad me pair dekh kar... aur vo bhi kis ke liye rakha tha.. uske liye... Aadi ko iss gandi duniya se bachaye rakhne ke liye uske bhai ne kichad me pair rakh kar khud ko thes pahuncha raha tha...


Color - My Column


Waqt.... Waqt ne Pavan ke jindgi me kisi ese insan se milwaya tha... jiska koi na tha... Aadi ka apahij hona kisi shrap se kam thodi na tha ki Aadi jese masum bachhe ki jindagi ko aur jyada nark banane ke liye Waqt ne Munna ko Aadi ke pass bhej diya...


Lekin Pavan... registan me khila huva phool tha... aur usne Aadi ki nark se bhari jindagi me apni pyaar ki khusbhu se nahela diya...... Aadi aur Pavan ke samne Waqt bhi haar gaya.. haar gaya dono ka bhai se bhi badhakar pyaar dekh kar..



Paridhi jese tese fresh ho gayi... aur aanko ke aas pass bahut sara makeup kar diya.. jiss se uski aankho ka suja huva bhag chip jay...


Lekin Paridhi ese niche nahi jaa sakti.. uski maa use dekh kar hi pahechan legi... Paridhi ne jald se ghar se bahar jane ka faisla liya...


Vo kamre se bahar aayi.. dekha Sumitaji kitchen me thi... hall mai koi na tha.. Shyad Rahulji apne kamre me hoge...


Paridhi hall me aayi aur apni mamma ko aawaj lagai...


Paridhi - "Mamma mai jaa rahi hu... der ho rahi hai muje.. aaj aek important meeting hai.."


Sumitaji kitchen se bahar aayi - "Nasta to kar le beta... bhuke pet meeting thodi na hogi..."


Paridhi - "Wo me office me kar lungi... aap betu ko school drop kar dijiye ga na..."



Sumitaji thodi asamaj me - "Thik hai beta... raat ko jald se aa jana..."


Paridhi - "Haa mamma..."



Paridhi jese hi ghar se bahar jane mudi.. gate pe Avinash khada tha... Paridhi chaunk gayi... Avinash ke chahere pe sawalo jese bhav the..


Paridhi jald se bahar nikali aur Avinash ka hath pakad use bhi bahar le aayi..


Paridhi ne Avinash ka hath pakda... Avinash ke badan me jese current daud gaya... kya mulayam hath the... gulab se bhi mulayam... Avinash ko ye ahesaas esa laga ki kisi parasmani ne use chhu liya aur vo sone ka ban gaya....


Avinash kisi bachhe ki tarah Paridhi ke pichhe hosh khoye huve khincha jaa raha tha... Paridhi use car ke pass leke aayi... Paridhi ne Avinash ki aur dekha jo ki kisi aur hi soch me khoya huva tha... Vo dar gayi ki Avinash ko pata to nahi chal gaya ki vo royi thi...


Paridhi normal hote huve - "Oo. hello... Mr Avinash Roy kaha kho gaye ho.."



Lekin Avinash ki najre Paridhi se hat hi nahi rahi thi... Paridhi Avinash ka khud ko dekhne se sharma gayi...


Paridhi use hilate huve - "Oy hero.. kya kabhi ladki nahi dekhi..."


Avinash hosh me aata huva - "Ha.. kya?.. ladki... ha.. ladki.. kaha dekhi thi?.... yaar... ha.. ladki.. mai hu na ladki... are yaar.. mai ladka hu... ladki kaha dekhi thi?.. haa.... tum hi to ho ladki...."



Paridhi jor jor se thahake lagane lagi... Paridhi ka dil halaka ho gaya... Haa Paridhi ko bhi ye mahsoos huva ki.. Avinash ke sath se uska dil halka ho gaya...


Paridhi pet pakd ke has ne lagi... has ne se use aanshu bhi aa gaye...


Paridhi - "You... kya hoga tumhara?..."


Vo abhi bhi has rahi thi... Avinash ko bhi ye ahesaas ho gaya ki usne abhi abhi kya bafa tha...



Avinash sharmate huve - "Bas... ab bas bhi karo... ho jata hai kabhi kabhi.... aur ye itna bhi jasne wali baat nahi thi.... aur tum itna kyu has rahi ho?.."


Avinash ka ye puchane se Paridhi aur joro se hasne lagi...



Paridhi - "You are really idiot... but i like it.."


Avinash bhi hasne laga..


Avinash - "Sorry bas... Vo.. mai... mai.."



Paridhi - "Kya vo.. mai.. kya?"


Avinash - "Yaar... ab mai kya kahu... Apne samne esi khubsoorati dekh raha tha ki mere hosh hi udd gaye the.."



Avinash ne aek hi saans me ye bol diya.. Paridhi ka hasna band ho gaya... Aur vo aek tak Avinash ko dekhne lagi.. Vo uski aankho ko padhne lagi...


Avinash - "Sorry... agar tumhe thes pahochi ho... mera kuch galat irada nahi tha..."



Paridhi ke chahere pe aek aur hi chamak aa gayi - "Tum dost ho ya dushman jo baar baar sorry bol rahe ho... friendship me no Sorry no thanks... kitni baar samaju tumhe.."


Avinash ne haste huve - "Ji bilkul thik.. Maharaniji..."


Paridhi hasne lagi lekin phir aankho me alag hi chamak aa gayi - "Kya sach me tum kho gaye the ya kisi aur soch me the.."


Avinash ab kya bole - "Ab mai kya bolu... maine bataya to sahi.."



Paridhi ki saanse thodi tej hoti huyi - "Kya bataya tumne?..."


Avinash - "Yaar... ab... thik hai... Maine ye bataya ki.... Tum vo khubsoorati ho jiske liye puri kitab kam pad jaye.... aur mai pakka kah sakta hu... ki tum sa iss duniya mai koi na hoga.."


Paridhi ke chahere aek pyaari muskan fail gayi.. Use abhi kuch alag sa hi ahesaas jo raha tha... pata nahi kyu lekin vo apne aap hi Avinash ki aur khinchi chali gayi... Uske kadam apne aap hi badhane lage... Vo Avinash ke bahut pass aa gayi thi... Uski saanse tej hoti jaa rahi thi... Avinash ki bhi saanse tej ho rahi thi... Dono itne karib aa gaye ki dono ko aek doosre ki garam saanse mahesoos ho rahi thi.. Jab ye fasla aur pass aa gaya...



Avinash dhime swaro mai - "Paridhi... Jannat se aayi Pari.."


Paridhi ne suna aur use hosh aaya aur esa hosh aaya ki vo hadbadate huve 3-4 kadam piche jane ke baad girte girte sambhali...



Paridhi ke Dil me jese ye shabd phir se gunjne lage..


"Paridhi... Jannat se aayi Pari..."



Paridhi puri shocked thi... kuch palo ke liye uske dimag ne apna kaam karna hi band ho gaya.. Pura badan sunn pad gaya..


Avinash - "Kya huva Paridhi?.."


Avinash ne Paridhi ko hath lagane ki kosish ki.. lekin Paridhi jese uss se door ho gayi..


Paridhi - "Tu...Tumne.. ye kaha suna...."



Avinash - "Kya?.. kya kaha suna?..."


Paridhi - "Yahi jo abhi tumne bola... Paridhi... Jannat se aayi Pari..."



Avinash bhi pura shocked tha abhi abhi jo huva tha...


Avinash - "Vo mai bas tumhari tarif kar raha tha... maine yai kahi nahi suna.."


Paridhi ne Avinash ko kha jane si najaro se ghura aur Avinash ke chahere aur aankho ko padhne lagi...


Paridhi phir teji se mudi aur Car me beth gayi... Avinash abhi bhi vahi khada tha aur samaj ne ki kosish kar raha tha ki kya huva?..


Lekin phir usne dekha Paridhi car me beth gayi thi.... Vo bhi Driving seat pe beth gaya.. aur Paridhi ko dekhne laga.. Paridhi aek tak aage dekh rahi thi...



Avinash - "Vo.."


Paridhi ne uski baat kaat te huve - "Chalo..."



ha sirf itna hi bola.. aur uski najare abhi bhi aage hi thi.. Usne Avinash ki aur dekha bhi na tha.. Avinash ne bhi ab aur koi baat na karte Car start ki aur office ki aur badha di...


Office pahunch ne tak Paridhi ese hi bethi rahi... Dil aur dimag me jang chidi huyi thi... Jese hi Office aaya Paridhi utari aur jald se ander pahunchati huyi apne Cabin ki aur badh gayi... Cabin me pahunch ka Cabin ko lock kiya.. aur wahi soft pe dham se beth gayi...



Aur ab uski aankho ka pe laga bandh toot gaya.. toot gaya jo usne pure raste bandh ke rakha tha... Pavan ka dhundhala chahera samane aane laga tha...


Uske dil me yahi shabd baar baar gunj rahe the...


"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."


Paridhi ka dimag abhi bhi ye samaj ne kosish kar raha tha ki Avinash ko kese pata...



Avinash ko kese pata?..


Pata nahi kitna Waqt bit gaya Paridhi ko sofe pe ese hi rote huve.... aankhe ro rahi thi aur andar dil aur dimag ki jang chal rahi thi...


Baar baar Pavan ka dhundhala chahera samane aa raha tha aur jab vo chahera kisi shaitaan ki chavi le leta tab Paridhi ko dara bhi deta...


Dil tha jo use baar baar Pavan ke liye rula raha tha... Pavan ke liye hamdradi jaga raha tha... lekin dimag vo kaha kisi ki sun ne deta hai... dimag baar baar Paridhi ko ye jata raha tha ki vo kisi ese ke liye kyu ro rahi thi jo ki abtak kitno ke ghar ujad chuka hoga... kitno ke pyaar aur pariwaar ko chin liya hoga.... vo kyu kisi ese ke liye ro rahi thi ki jiska abhi iss duniya me koi vajud ho na ho kise pata?.. vo kyu iss tarah se roke abhi apne aaspass ke logo ko bhula rahi thi....



Paridhi ese ro rahi thi ki jese rone pe uska koi kabu hi nahi raha tha... khud pe uska koi kabu hi nahi raha tha...


Paridhi ka baar baar rone se dimag chakara raha tha.... Paridhi ke dil pe dimag havi ho rahe tha... Parihi ko kisi bachhi ki tarah rote dikha kar Paridhi ko gussa dila raha tha.... vo esi ladki thi jo doosro ko rula sakati hai lekin khud kabhi nahi ro sakati... sab uski missal dete hai college ki sabse dabang ladaki ki aur vo abhi ese ro rahi thi ki jese rone pe uska koi kabu hi nahi raha tha... khud pe uska koi kabu hi nahi raha tha...



Paridhi - "Kyu kar rahe ho mere sath esa bhagwan?... kyu baar baar muje rula rahe ho?... kya galti ho gayi hai mujse?... jo muje tum ye sab dikha rahe ho?...."


Waqt... Waqt ne sun liya... "Kya galti ho gayi hai mujse?".... galti ye galti ya esi hoti hai jo kai risto ko bikher ke rakh deti hai...


Paridhi - "Kyu muje Pavan ko baar baar dikha rahe ho bhagwan?.... kyu?... aakhir usne esa kiya hi kya tha?..."



Paridhi - "Uski jagah koi aur hota vo bhi yahi karta na... koi bhi bura ban sakata tha... mai bhi apne betu ke liye sab kuch chod sakti hu... bura ban sakati hu.... phir kyu?.... phir kyu?... Pavan ko mere dil me kyo chahye rakhe ho?... kya kiya hai usne mere liye?... uske pass nahi kuch tha jo muje de sake.... aur koi ahesan bhi to nahi chukana tha... phir?... phir kyu?.... aek choti si mulakat to thi bas.... aek choti mulakat Paridhi Chauhan ko nahi rula sakati...."


Paridhi ka dimag ab jese Paridhi per pura kabja jama chuka tha... aur ye dimag Paridhi ko aur bhi gussa dilawa raha tha... Paridhi jo kabhi roti nahi vo kisi ese ke liye itna royi thi ki jiss se usne sirf aek choti mulakat hi ki thi aur vo bhi kitne saal pahele.....


Paridhi ko gussa puri tarah se bekabu ho gaya - "Bas ab aur nahi roungi... ab aur nahi.... ese insan ke liye mai kyu dard sahu.. mai kyu abhi ke vartaman ko bhul jau... mai kyu aanshu bahau... jiske pass na koi naam hai.. na koi pata... na koi pahechan... na paisa... na pariwar... "


Paridhi ka dimag ab bekabu ho gaya tha - "Kya kar sakata hai vo mere liye?... jiske pass rahe ne ke liye chat nahi hai?... khane ke liye do paise nahi hai?... dost bhi dekho aek langda vo bhi uske jesa hi.... Naina kya kah rahi thi muje uss Pavan se pyaar ho gaya hai.... kya muje kisi raste pe dhul kha rahe ladke se pyaar ho sakata hai?..... Paridhi Chauhan hu mai line lagati hai mere pichhe ladko ki.... aur ab ese logo ke liye kya aansu bahana jo kichad me kitni baart rang chuka hoga.. pata nahi kitno ke ghar barbad kar diye hoge... aur ese logo pe me rou?... ho hi nahi sakata.."



Paridhi - "Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi.... kya kar sakata hai mere liye?... kuch nahi..."


Waqt... Waqt ka dil chir gaya Paridhi ka har aek shabd sun kar..... har aek labj ne Waqt ke dil ko chalni kar diya tha..... "Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi... kya kar sakata hai mere liye?.... kuch nahi....."


Shayad uss khuda ne bhi sunn liya... Jiss Pavan ne use Jannat ki Pari kaha tha... Paridhi ka har aek shabd chubh gaya uss khuda ko... vo yahi soch raha tha ki agar Pavan ne ye sun liya hoga to?... vo to mar hi jata...


Waqt bhi pata nahi kese kese mod la raha tha lekin kuch to tha jo sab ki jindagiya badalne wala tha...


Paridhi ke chahere pe ab tak gussa nahi hata tha... vo baar baar yahi dohara rahi thi ki.....


Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi...


Kya kar sakata hai vo mere liye?... kuch nahi...


~ Gabbar is Back:cowboy2:
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,689
35,142
219
abhi confusion mein hi chal raha hai sabkuchh..................hamara bhi dimag paridhi jaisa hi ho chuka hai

koi to twist lao plz

Shayad uss khuda ne bhi sunn liya... Jiss Pavan ne use Jannat ki Pari kaha tha... Paridhi ka har aek shabd chubh gaya uss khuda ko... vo yahi soch raha tha ki agar Pavan ne ye sun liya hoga to?... vo to mar hi jata...


Waqt bhi pata nahi kese kese mod la raha tha lekin kuch to tha jo sab ki jindagiya badalne wala tha...
intzar hai......................jindgiyan badalnewale mod ka
 
268
762
93
abhi confusion mein hi chal raha hai sabkuchh..................hamara bhi dimag paridhi jaisa hi ho chuka hai

koi to twist lao plz


intzar hai......................jindgiyan badalnewale mod ka
kamdev99008 bhai.... lagata hai aapka thrill ab charam sima pe pahunch chuka hai.....:)
Twist to hoga aur vo bhi lajawab hoga... abtak ke kuch updates ko aapas me jod bhi dega... aur iss twist ke liye ab aur intezar nahi karana padega...:victory:
 
268
762
93
Awesome fabulous update
Kya ho gaya ye paridhi apna aapa kho rahi h aur wo jis tarah se ro rahi h use Pawan se pyar hua h lakin ab ye nafrat main badal Raha ab waqt Kya dikhta h ye dekhna h
Keep posting
Thanks Arjun Singh 72 bhai....

Waqt kuch esa layega

jo kisi ko khichad se khinch lega...........
kisi ko apnepan ka ahesaas dila dega........
riste kis dhage se jude hai vo bhi dikha dega...

"Uss garib ko
apne pariwar ke liye
ladate dekha hai mene,
jivan me paheli baar
dar ko bhi darte
dekha hai mene..............."
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Omg,,,,, what a update....... Amazing,,,,,,, paridhi ke dil par dimaag haavi ho gya,,,, ab use apna bhai lagne vala aadi langda nazar Ata h,,,,,,,,,, gajab likh rahe ho bhai

Waiting for next update
 
268
762
93
Omg,,,,, what a update....... Amazing,,,,,,, paridhi ke dil par dimaag haavi ho gya,,,, ab use apna bhai lagne vala aadi langda nazar Ata h,,,,,,,,,, gajab likh rahe ho bhai

Waiting for next update
Thanks Akki ❸❸❸ bhai...

Waqt kuch esa layega

jo kisi ko khichad se khinch lega...........
kisi ko apnepan ka ahesaas dila dega........
riste kis dhage se jude hai vo bhi dikha dega..

Aane wale updates ke sath emotions ko jodne ke liye.... Paridhi ke dil pe dimag ka havi hona jaruri tha.... jiss se Paridhi ye tay kar payegi ki dil bada ya dimag.... pyaar bada ya nafarat..... kuch Waqt me bane riste bade ki uss Waqt me kiye ahesaan...
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Awesome update bhai kahani me twist nice
 
Top