- 268
- 762
- 93
Thanks Black water bhai...Awesome update bhai kahani me twist nice
Thanks Black water bhai...Awesome update bhai kahani me twist nice
"Aakhir Paridhi ka dil uske dimag pe havi ho chuka tha."Update - 28
Paridhi ke chahere pe ab tak gussa nahi hata tha... vo baar baar yahi dohara rahi thi ki.....
Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi...
Kya kar sakata hai vo mere liye?... kuch nahi...
Ab aage.....
Next three months....
3 mahine aur bit gaye... Uss din ke baad se Paridhi ko Pavan ke liye nafart si ho gayi... Aakhir Paridhi ka dil uske dimag pe havi ho chuka tha..... Had to tab hi ho gayi ki usne Pavan ki Dyari ko nafart ke chalate apne kamre ki khidki ke bahar fenk di thi...
Paridhi aur Avinash inn 3 mahino me kafi Waqt sath gujarne lage the... sath khana... sath office jana.... dono ki dosti Waqt ke sath aur gaheri hoti ja rahi thi... Avinash ko Paridhi ke sath rahena ab kafi achha lag raha tha... vo jab bhi Paridhi ko dekhata vo bas Paridhi ke roop me kho hi jata.... aur jab Paridhi Avinash ko use dekhate pakad leti Avinash jemp jata aur phir kya Paridhi jawab me sharma jati.....
3 mahine bit chuke the aur har bitate din ke sath Avinash aur bhi pass aa raha tha.... aur ab Avinash Paridhi ka aadi ho chuka tha..... Avinash... Waqt ke har palo me Paridhi ki yado me..... uski bato me hi khoya raheta... Aur Paridhi use ese dekh sharma jati....
Avinash ko lagane laga tha ki use Paridhi se pyaar ho gaya hai.... jab se usne Paridhi ko dekha hai tab se use Paridhi ke liye apne dil me kuch fellings huyi hi thi aur ab Paridhi ka hasna, uska shararati andaj, sab kuch aur bhi achha lag raha tha...
Lekin jo sabse jyada use Paridhi ki aur khinch raha tha vo thi Paridhi ki khubsoorati.... Avinash ko Paridhi ki khubsoorati kafi khinch rahi thi.... Paridhi ke badan ka har aek katav aur curve itna aakarashak tha ki Avinash ki aankhe chamak jaati.... Dhire dhire ye chamak badh rahi thi...
Avinash ab aur nahi rah sakta tha... usne ab Paridhi ko apne pyaar ka izhar karna hi tha... vo intezar karne laga sahi Waqt ka....
Paridhi ka aek khass din pass aa raha tha... usne vahi din chuna.. aur jagah bhi vahi chuni jaha pe Paridhi aur Uski dosti ki shururat huyi thi... Aur apni taiyaariya karne laga tha...
Waqt... Waqt ka kya yahi fesala tha... pata nahi lekin abhi bhi Waqt ke panno me esa bahut kuch chipa tha... jo Waqt jod raha tha.. jisse Waqt jod raha tha... samne lane ke liye..
Present Date - 14/02/2016
Naina... Paridhi ki sabse achhi dost.. dost se bhi badhkar aek bahen.... jo bachhpan se sath kheli thi.. sath royi thi.. sath padhi thi.. sath hasi thi... jiska Pariwar Paridhi ke ke bagal ke ghar me hi raheta tha...
Aaj ke din Naina apne garden apna sabse pasnadida kaam kar rahi thi... gardening... use phoolo ko dekhna... unki khushbu lena... unhe chuna... unki care karna.. bhaut achha lagata tha... Vo aaj apne aur Paridhi ke ghar ke bich ki jadiyo me lage phoolo ko pani pila rahi thi... aur sath khushi ke git gaa rahi thi...
Naina ne aek najar Paridhi ke kamre ki aur dali jo uss ke samne hi 1st floor pe tha.. Dono sheliyo ne kamara bhi esa liya tha.. jiss se dono aek doosre ko kamre mai se dekh sake... joki fasta thoda bada tha... aakhir ghar bhi to bade hi the....
Naina ko Paridhi ke kamre ki khidki dekh chahera khil gaya... vo pichhle 3 mahino se dekh rahi thi ki Avinash aur Paridhi ke bich najdikiya badh rahi thi... aur use ye dekh kar bahut khushi mil rahi thi...
Aakir milti kyu nahi.. Paridhi uski bahen jo thi... Naina ne Paridhi ko bachapan se dekha hai.... vo sab janati hai Paridhi ke bare me... vo sab janati hai Paridhi ke atit ke bare me... vo janti thi ki Paridhi ki Paridhi ki soch ladko ke prati esi nahi thi kuch Waqt ke bure halato ne Paridhi ko bhi khinch liya tha....
Aur aaj Avinash ke aane se Naina ko aek aash badhi thi ki uski bahen ki jindgi me ab sab kuch achha hone wala tha aur Paridhi ko din ke ujjale khushiyo ke sath jine ka mauka mil raha tha...
Naina phoolo ko pani daal rahi thi... ki uski najar waha jadiyo me phansi kisi chij pe gaya.. ye chij ese phansi thi ki aasani se kisi ki najar me na aaye... Naina ko bada aacharya huva... jaha ye chij padi thi uske agal bagal me kuch na tha... na hi aas pass jo koi use yaha phenke... tha to sirf khudh ka aur Paridhi ka kamara jo iss jagah ke pass tha...
Naina ne badi kutuhalta se uss chij ko hatho me li... Vo aek Dyari thi.. jiss se Naina ko aur jyada aacharya huva.. ki koi Dyari kyu fekenga... aur vo bhi yaha... usne dekh.. aaspass sirf uske aur Paridhi ke kamre ke siva kuch na tha.. aur Naina ne to koi Dyari nahi fenki thi... Dyari pe itni dhul mitti jama ho chuki thi ki dekhne se hi pata lagta tha ki Dyari yaha kai hafto se ya kai mahino se yahi padi thi...
Naina muskurai - "Ye Pari bhi na... pata nahi kya kar ti raheti hai?.. lekin uss ne isse yaha kyu fenka?..."
Naina ne Dyari ko khola jiske pahle page pe bade hi achhe se aek shabd likha tha...
"Waqt....."
Naina soch me pad gayi... aakhir koi apni Dyari ka esa naam kyu rakhega... Waqt..... uske chahere pe hasi aa gayi.. Usne pahela page padhana shuru kiya..
Aur har aek line padhne ke baad Naina ki aankhe badi aur badi hone lagi... uski najar aek line pe aake atak gayi... aur usme me bhi aek shabd pe...
Aadi - “Tum bhi so jaav Pavan thand kapfi badh gayi hai…”
"Pavan"
Ha ye shabd Naina ne kahi to suna tha... lekin kaha.... kaha suna tha ye naam... Naina ne apne dimag pe jor dala...
Naina - "Pavan... Yaar... ye to wahi hai jiske bare mai Paridhi uss din office me bata rahi thi... yani ye Pavan ki hi Dyari hai jiss ke bare me Paridhi bata rahi thi.... lekin ye Dyari yaha... Paridhi ne feka hoga?... Yaar vo kyu fekegi.. use to iss se Pyaar wali feeling thi... phir ye yaha kese aayi?...."
Naina soch ne lagi - "Chal Paridhi ko batati hu... shayad galati se ye Dyari yaha aa gayi hogi..."
Naina ne apna mobile nikala aur uski najar Dyari ki halat pe padi - "Yaar... iss Dyari ko dekh esa lagata hai.. jese kai mahino se yaha padi thi.. agar Paridhi se galti huyi hoti to use wapas le leti.... lekin usne esa nahi kiya.. kyu?... yani Paridhi ne iss Dyari ko jaan bhujakar feka tha?... lekin kyu?... kyu feka iss Dyari ko?... aakhir ab kya ho gaya?.."
Naina soch ne lagi aur usne ye tay kiya ki vo pahel janegi ki wajah kya thi Paridhi ki Dyari fenk ne ki aur uske baad hi vo Paridhi se iske bare me baat karegi...
Naina Dyari ko leke apne kamre me aa gayi... aur apne bed pe tik ke beth Dyari ko ghurne lagi... uske dimag me kai sawal aa rahe the...
Naina - "Aakhir kyu feka ise Paridhi ne?..."
Naina ne Dyari ko padh ne ke liye khola... Naina ne apne liye khana bhi apne room me hi rakhne ko kaha tha.. usne tay kiya ki vo Dyari ko pura padhegi...
Dyari ko padhne ki shururat ke 10 min baad hi uske aankhe bhig gayi...
Aadha ghanta... aek ghanta... kai ghante.. bit te chale gaye... pura din bit gaya...phir puri raat.... Waqt ke bit te har pal ke sath uski aakhe bigi ho rahi thi... aanshu ki bunde gir ne lagi thi aur ab rona hi shuru ho chuka tha...
aek hi din ke itne ghante Naina ne Dyari ko padha agali subah bhi usne padhana jari rakha... uski aankho se nind hi gayab ho gayi thi... aur nind ki jagah aanshuo ne li thi...
Present Date - 15/02/2016
Aaj subah bhi Naina ne padhna jari rakha tha.. Naina ne uski maa ko bata diya tha ki.. use aaj bahut kaam tha.. isliye uska khana sab room me hi rakh de.. aur use koi pareshan na kare...
Subah... dopher... aur phir raat ho gayi... Naina ki aankhe ab puri tarah se lal ho chuki thi.. vo bus than ke hji bethi thi ki kuch bhi ho ye Dyari khatam hone ke baad hi vo uthegi.... Lekin jab vo Dyari ke kisi hisse ko padhane lagi aur uske baad Naina ne vahi padhana chod diya... kah sakate hai ki Dyari apne aap hi uske hatho se chut gayi.... Naina ka dil ab aur aage nahi padh sakata tha.... vo ab Dyari ke padhne se hone wala dard ab aur nahi jel payega... ab vo aur nahi padh sakti thi....
2 din... huve Naina ko lekin ye 2 din me Naina ne jo padha uss se uska rona aur jor jor se badh gaya... kyu?... kya tha esa Dyari me?....
Naina ki aankho me se aaj bhi nind gayab thi... Naina ka dimag ka sochana hi kafi Waqt tak band ho chuka tha...
Aakhir Naina ko hosh aaya.. Jab raat ko Paridhi ka phone aaya.. Naina ne hadbadi me time dekha raat ke 12 baj gaye the... usne khud ko normal karte huva... apni saanso ko kabu kiya... aur Phone ko pick kiya..
Naina - "Haa bol... Paridhi itni raat ko kyu phone kiya..."
Paridhi ka gussa satve aasman pe tha - "Mai ne kyu phone kiya?... kyu?... tuje kuch pata nahi?..."
Naina samaj gayi ki Paridhi gussme thi - "Muje kya pata nahi?..."
Paridhi - "Yaar ab dekh muje bahut gussa aa raha hai.... mai tuje tere ghar aa ke marungi.... tuje kuch yaad nahi aaj kya hai?..."
Naina chaunk gayi kya tha aaj?.. aaj konsi date thi usne time dekha 12 baj ke 10 minute huyi thi... aur phir usne date dekhi.....
Present Date - 16/02/2016
Naina jese uchal padi... Yaar vo kese bhul gayi... kese?... lekin ab use Paridhi ko shambhalana tha.. usne jald se phone pe apni aawaj jo badla.
Naina - "Vo kya hai na Pari... aaj meri kisi dost ka Birthday hai.. aur mai uske liye pichhle aek ghante se use kya gift du soch rahi hu... isliye tu aaj rah ne de.. mai bahot biji hu... kab se soch rahi hu ki kya surprise du... dekh 12 bajke 10 minute bhi ho gaye.... tu bata tuje kuch suj raha hai muje kya surprise dena chahiye... chal rahene de tujse nahi ho payega... chal ab rahene de.... dekh itna sochane ki wajah se main already 10 min late ho chuki hu aur ab muje meri dost ko abhi phone bhi karna hai... bye... good night sweetheart..."
Naina ne phone kaat diya... Vo hasne lagi... Aur udher Paridhi ke chahere pe gusse se lal ho gaya tha.. dimag me jwalamukhi fatne laga....
Phir Naina ne apni dost ko phone kiya...
Naina - "Hello... mai Naina bol rahi hu.. aapki dost... are pahechana nahi... are wahi jo aapse bachapan se sath hai... haa wahi wahi Naina... chalo achha huva pahechan liya.. Mene tuje ye batane ke liye Phone kiya hai ki.
"Happy Birthday"
Aur Naina ne samne se kuch sune bina phone kat diya... usne sari baat aek hi saans me kah dali thi... aur agle hi pal Naina ka phone baj utha.. Phone dekh uske chahere pe aek smile aa gayi vo Paridhi ka phone tha..
Paridhi - "You... duffer... bewkoof.... idiot... you.... tune mere sath majak kiya.... achha nahi kiya tune..." aur phir Paridhi hasne lagi - "Thank you meri lado thank you..."
Naina - "Hmm.. Iss bewoof, idiot aur duffer lado ki aur se Happy Birthday Pari.. Happy Birthday..."
Paridhi - "Thank you so much...... chal ye bata kab aa rahi hai mere ghar..."
Naina Paridhi ke birthday ke din raat ko hi Paridhi ke ghar chali jati thi - "Aa rahi hu.. aa rahi hu... itni bhi kya jaldi hai..."
Paridhi - "Yaar... tuje pata hai na muje achha lagta hai jab tu yaha hoti hai..."
Naina - "Mai ye achhe se janati hu.. tu ye bata ki Avinash ka phone ab tak nahi aaya kya?.."
Paridhi ka chahera utar gaya - "Nahi.. Pata nahi kyu nahi kiya ab tak... lekin kal kahe raha tha ki vo aaj subah 10 baje hi aakar milega..."
Naina - "Thik hai... sun me aa rahi hu.. lekin muje thoda time lagega.. vo kya hai na.. muje kaam bahut tha.. iss liye aaj pura din aek hi jagah beth beth ke badan akad gaya hai... abhi chala bhi nahi jaa raha...."
Paridhi thoda juthha gussa dikhate huve - "Yaar tuje kitni baar kaha hai.. ese kaam mat kiya kar.. dekh abhi kya huya.. rook mai aa rahi hu.."
Naina - "Nahi.. Nahi.. me aa jaungi... tu chinta mat kar.. aur aaj tera Birthday hai.. tu kuch naya karne ka soch me aa rahi hu.."
Paridhi - "Thik hai... tu khayal rakhna... muje pata hai tune khana bhi achhe se nahi khaya hoga.. abhi mere yaha aaja hum kuch kitchen se kha lenge..."
Naina - "Aapka hukam sarakho par Maharaniji..."
Paridhi haste huve - "Chal chal ab jyada maske mat mar... chal rakhti hu..."
Naina ne phone rakha aur uski aankho se phir se aanshu bahene lage...
Kya kare vo?... use kuch samaj nahi aa raha tha.. kafi soch ne ke baad use aek idea aaya... Vo fresh hone chali gayi...
Usne apne aap ko bahut achhe se thik kiya.. kisi ko bhi dekhne se esa nage ki vo do dino tak aek hi kamre me thi...aur soyi bhi nahi thi... usne apni aakho pe achhe ae makeup kiya... lekin pata nahi Pardhi se kese chup payega jo Naina ke sath bachpan se rahi thi...... Naina ne apne bed pe aake aek nind li...
2 ghante baad vo fresh ho kar uthi.. uska chahera ab pahele jese khil gaya tha.. Vo Paridhi ke ghar jane ke liye badhi.. usne time dekha 3 baj rahe the...
Vo Paridhi ke kamre me pahunchte hi Paridhi ke gale lag gayi...
"Happy Birthday Pari... Happy Birthday..."
Paridhi bahut khush ho gayi... aur dono Paridhi ke bed pe beth bate karni shuru kar di... do ladkiya jab milti hai... puchho hi mat kya karti raheti hai....
Lekin aaj Naina bade hi dhiraj se kaam le rahi thi... usne bato bato me hi Paridhi se Pavan ka jikr kiya.. Pavan ka naam sunte hi Paridhi ke chahere pe aaya gusse ka bhav Naina ne padh liya..
Paridhi ne Naina ke samne abhi kuch nahi kahena chahti thi.. isliye uss ne baat badlani chahi...
Lekin Naina kaha man ne wali thi.. Usne jor diya.. tab jake Paridhi ne sab bata diya.. Paridhi ki baat Naina ke dil ko bhi chalni kar di... Paridhi ka chahera bhale hi Pavan ka naam aate hi laal ho jata tha lekin aankhe.. aankhe kese dil ke ahesaas ko chupa sakati hai.... dil ka ahesaas aankho pe jalak uth aur aankho ke kono ko bhigo diya.... Naina sab padh rahi thi Paridhi ke chahere ko aur uski aankho ko bhi...
Lekin aek baat thi jo Naina ko buri lagi thi ki Aakhir Paridhi esa Pavan ke bare me kese soch sakti hai... Lekin Naina janti thi ye sab Paridhi ke dimag ka dil pe havi ho jane se huva tha... Lekin Paridhi ka dil kabhi esa nahi tha... vo bhale hi dabang ladaki thi lekin dil ki bahut saaf aur komal thi.....
Naina ne soch liya kya karna hai.. Use bas aek chingari jalani thi.. Aur aage ka kam Paridhi ka dil khud b khud kar dega.. Naina ko bus chingari dikhani thi aur Paridhi ke aankho ko bhigo rahe aanshu uss chingari ke sath hi pure chahere ko bhigo dege....
Naina ne Paridhi ko Pavan ki Dyari ko leke bhavuk hote dekha tha... Dyari ko leke Paridhi ke dil ki feelings ko bhi mahesoos kiya tha...
Aur Paridhi ne Dyari isliye hi to pheki thi ki vo kamjor nahi dikhana chahati thi... Ye Waqt ki Dyari Paridhi ke andar hamdradi, apnepan ka esa tufan leke aayi thi jisne Paridhi ke aanshuo ki baandh ko tod diya tha... dil ki har sima ko tod diya tha aur ye dil Waqt ki Dyari me Pavan ke dil ke ahesaas ke sath bahene laga tha...
Aur Naina ne vo chingari daal hi di... Aakhir usne Paridhi ke dil me 3 mahine se dabi huyi dil ki dhadkan ko wapis jinda kar hi diya... Naina ko pakka pata tha ki sirf Dyari ko dekhane se hi Paridhi ke dil me vo tufan fir se uth jayega...
Naina - "Sun me kitchen se kuch khana lane jaa rahi hu..... muje badi bhukh lagi hai... tere liye bhi kuch lekar aati hu..."
Paridhi khade hote huve - "Bhukh to muje bhi lagi hai... mai bhi chalati hu."
Naina kisi sevak ke jese style ke sath - "Aap kahi nahi jaa sakati Maharaniji... iss nachij ko bhi kabhi aapki seva ka mauka de diya kare."
Paridhi haste huve - "Tu na pagal he sach me... jaa ab... Aur haa Maharani khush honi chahiye."
Naina bed se uthu aur darawaje ki aur badhi... Lekin jane se pahele Naina ne Pavan ki Dyari ko chupaki se bed pe rakh di... aur khud kamre ke bahar khade hoke ander dekhne lagi..
Paridhi abhi bhi kisi soch me dubi thi... Phir uski najar jese hi Dyari pe padi vo chuank gayi... lekin uski najare Dyari pe hi tik gayi...
Usne Dyari ko hatho me liya aur dekhne lagi... dil ka ahesaas aankho se bahene laga aur Paridhi ke chahere pe iss ahesaas ne aek muksaan chalaka di.... uska sara gussa, nafart hawa ho gaya... use ye bhi yaad na raha tha ki usne ye Dyari fenki thi...
Paridhi ke chahere pe aayi khushi dekh Naina use Dyari ke sath chod chali gayi..
Paridhi kafi der ese hi Dyari ko dekh rahi thi.. uska dil phir se dhadakana shuru ho chuka tha...
Paridhi ne Dyari ko khola aur phir se Phele page pe lika shabd padha...
"Waqt...."
Paridhi ne ye shabd aaj 3 mahine baad suna... Aur uska dil aur joro se dhadka ne laga.. Usne vo page khola jaha se usne padhana band kiya tha..
Aaj muje certificate mila tha Shaitaan banane ka.....
~ Gabbar is Back
Thanks Akki ❸❸❸ bhai..."Aakhir Paridhi ka dil uske dimag pe havi ho chuka tha."
Update bdiya tha bhai,, ab paridhi dubara pavan ke bare me sochne lagi, ab dubara uske dimag par dil haavi ho gya,,,,,, dekhte h ab kya hota h,,,,, waiting for next update
Thks Black water bhai....Awesome bhai
Thanks Arjun Singh 72 bhai....Awesome update
Kya baat Avinash to apne feeling ko Jan gaya lakin paridhi abhi bhi anjan h ab dubara dyari dekhne see kya reaction hoga
Keep posting