Dosto ummid hai ye story aapke dil ko chu rahi hogi....
Aaj iss story ko 30 updates pure huve hai... aur inn sare updates me mene kai jagah kuch hints di thi..... kuch baate kahi thi..... kuch suspence create ki thi....
Aur ab unn sab ko aane wale updates ke sath relate bhi karunga... jo ki muje lagata hai ki unn bato ko aek doosre se relate dekh aapko bhi aur bhi achha lagega...
Story me sath bane rahene ke liye bahut bahut dhanywad...
~ Gabbar is Back
aapki kahani ne aisa baandh liya hai mujhe ki .............kahne ko shabd nahi milte..........................
khaskar apka narration..........................
mein emotions ko samne nahin la paata .... shayad meri jindgi ne mujhe emotionless kar diya
WAQT................... mujhe apki kahani padhkar laga ki ek aise mahaul mein pawan itna emotional kaise bana rah
jabki mein isse kafi .................balki am insanon se behtar mahaul mein raha apne bachpan mein
fir bhi emotions khatm ho gaye mere
haan! ek samanta rahi mere aur pawan ke bachpan ki ................
ghar-pariwar aur mata-pita ka sath.......................hum dono ko hi nahin mila
pawan ek bandhan mein tha...............isliye wo unko pane ke ahsas ko jinda banaye raha
mein kisi bandhan mein nahi tha...............balki ek tarah se awanchhit tha............mujhe tyag diya gaya
mera bhavishya banane ke nam par......................................mere mata-pita ko ya pariwar ko chahe jo mahsoos hua
lekin mujhe aisa lagne laga ki mein ...............kabad ki tarah tha ghar mein.... bina wajah, bina jarurat ka
isliye mujhe hata diya gaya.............................aur isiliye............. mere andar se bhavnayein hi khatm ho gayin.....
pyar, sneh, mamta hi nahin.........................dar, nafrat aur ghrina bhi..................bhavshunya ho gaya mein
jabse hosh samhala
isiliye meri kahani mein emotions apki tarah ubharkar nahin ate......................kyonki meine unhein kabhi jiya hi nahin
bahut kuchh kah diya...................ab aage dekhte hain is katha mein kya hota hai..................
pawan-adi, pari-naina ke sath