- 268
- 762
- 93
Story Connection - 3
Update - 27
Kya kiya hai usne mere liye?....
Kya kar sakata hai vo mere liye?.....
Ye sawal bhale hi Paridhi ke dil se nahi lekin dimag se nikale the lekin kahete hai na banduk se nikali goli aur muh se nikali boli kabhi wapas nahi aati....
Aur isliye uss Khuda ko bhi ye sawal chubh gaye... isiliye Waqt ka bhi dil chir gaya....
Shayad Paridhi ke dimag ne abhi vo Pyaar ki takat hi kaha dekhi thi...
Shayad Paridhi ka dimag abhi bhi Pariwar ki takat ko nahi jaan paya tha...
Shayad Paridhi ke dimag ne abhi bhi dil se jude risto ke dhago ki takat ko nahi pahechana tha....
Aur isliye ab Waqt ne bhi faisala kar hi liya Paridhi ke dimag ke inn Sawalo ke jawab dene ka... Waqt ne bhi ab sahi Waqt ko chun hi liya.... Waqt ne bhi 07/03/2008 date ko chun hi liya....
Waqt ne inn sawalo ke alawa aek aur bhi chij thi jise sun li thi....
Paridhi - "Dost bhi dekho aek langda vo bhi uske jesa hi..."
Ye Bhai shabd hi kitna bada tha shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha..
Ye Bhai shabd uss khoon ke riste se bhi pare tha shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha...
Ye Bhai shabd bahen ko uss kavach me bandh deta hai jiski raksha karne ke liye vo Bhai hi sabse aage khada hota hai shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha...
Waqt iss ka bhi jawab dena chahata tha... Waqt ye batana chahata tha ki kuch choti mulakate shayad hamare liye aek aam mulakat ho lekin doosro ke liye ye aek choti mulakat kisi amrut se kam nahi hoti... Paridhi ka Aadi ko bhai kahena Aadi ke jivan me phir se jine ki roshani laya tha... Phir se jine ki ummid laya tha... aur ye bina kisi khoon ke riste se kaha gaya Bhai labj kya kar sakata hai vo Waqt bhi batana chahata tha...
Isiliye Waqt ne bhi sahi Waqt ko chun hi liya... Waqt ne bhi 07/03/2008 date ko chun hi liya.
Apne vichar comment karke jarur batayega...
~ Gabbar is Back
Update - 27
Paridhi - "Kyu muje Pavan ko baar baar dikha rahe ho bhagwan?.... kyu?... aakhir usne esa kiya hi kya tha?..."
Paridhi - "Uski jagah koi aur hota vo bhi yahi karta na... koi bhi bura ban sakata tha... mai bhi apne betu ke liye sab kuch chod sakti hu... bura ban sakati hu.... phir kyu?.... phir kyu?... Pavan ko mere dil me kyo chahye rakhe ho?... kya kiya hai usne mere liye?... uske pass nahi kuch tha jo muje de sake.... aur koi ahesan bhi to nahi chukana tha... phir?... phir kyu?.... aek choti si mulakat to thi bas.... aek choti mulakat Paridhi Chauhan ko nahi rula sakati...."
Paridhi ka dimag ab jese Paridhi per pura kabja jama chuka tha... aur ye dimag Paridhi ko aur bhi gussa dilawa raha tha... Paridhi jo kabhi roti nahi vo kisi ese ke liye itna royi thi ki jiss se usne sirf aek choti mulakat hi ki thi aur vo bhi kitne saal pahele.....
Paridhi ko gussa puri tarah se bekabu ho gaya - "Bas ab aur nahi roungi... ab aur nahi.... ese insan ke liye mai kyu dard sahu.. mai kyu abhi ke vartaman ko bhul jau... mai kyu aanshu bahau... jiske pass na koi naam hai.. na koi pata... na koi pahechan... na paisa... na pariwar... "
Paridhi ka dimag ab bekabu ho gaya tha - "Kya kar sakata hai vo mere liye?... jiske pass rahe ne ke liye chat nahi hai?... khane ke liye do paise nahi hai?... dost bhi dekho aek langda vo bhi uske jesa hi.... Naina kya kah rahi thi muje uss Pavan se pyaar ho gaya hai.... kya muje kisi raste pe dhul kha rahe ladke se pyaar ho sakata hai?..... Paridhi Chauhan hu mai line lagati hai mere pichhe ladko ki.... aur ab ese logo ke liye kya aansu bahana jo kichad me kitni baart rang chuka hoga.. pata nahi kitno ke ghar barbad kar diye hoge... aur ese logo pe me rou?... ho hi nahi sakata..
Paridhi - "Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi.... kya kar sakata hai mere liye?... kuch nahi..."
Waqt... Waqt ka dil chir gaya Paridhi ka har aek shabd sun kar..... har aek labj ne Waqt ke dil ko chalni kar diya tha..... "Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi... kya kar sakata hai mere liye?.... kuch nahi....."
Shayad uss khuda ne bhi sunn liya... Jiss Pavan ne use Jannat ki Pari kaha tha... Paridhi ka har aek shabd chubh gaya uss khuda ko... vo yahi soch raha tha ki agar Pavan ne ye sun liya hoga to?... vo to mar hi jata...
Waqt bhi pata nahi kese kese mod la raha tha lekin kuch to tha jo sab ki jindagiya badalne wala tha...
Paridhi ke chahere pe ab tak gussa nahi hata tha... vo baar baar yahi dohara rahi thi ki.....
Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi...
Kya kar sakata hai vo mere liye?... kuch nahi...

Last edited: