• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Update - 34


Aur jo shabd Aadi ke hotho se nikale usne phir se mere pair jakad liye... jo mere pair Aadi ko hospital le jaane ke liye uthe the vo vahi hawa me thambh gaye... vo shabd sun meri saans hi ruk gayi... vo shabd sun meri dhadakan hi ruk gayi... vo shabd sun meri aatma bhi chikh gayi....


Aadi ne jo shabd bole vo mere liye jine ki ummid the... vo mere jine ki aash the.. vo mere jine ka makasad bane the... vo mere jine ka jariya bane the... vo mere liye roshani bane the...


Aadi - "Paridhi"



"Paridhi"


Ab aage.....


"Paridhi"


Ye naam sun mere hosh hi udd gaye... Aadi abhi kyu Paridhi ka naam le raha tha?... vo bhi iss halat mai.... muje bahut bura ahesaas hone laga...


Aadi ki aankhe thodi si hi khuli thi... usne phir se apne hoth kuch kahene ke liye khole... lekin shabd puri tarah se nahi nikal paa rahe the.... uska bolna use aur bhi dard de raha tha.. phir bhi vo mujse kuch kahena chahata tha vo apni puri takat laga raha tha...


Aur use apni puri takat sirf bolane ki liye itsemaal karata dekh mera dar ke mare bura haal ho raha tha iss tarah se to vo apni rahi sahi takat bhi kho dega... vese bhi mai bhi to Waqt ke har pal ke sath apne bhai ko iss halat me dekh apni takat kho raha tha.


Aadi - "Pa.. Pava... Pavan... Pari.... Paridhi.... meri bahen...."


Aadi phir se Paridhi ka hi naam le raha tha.... mera dil phir se bure ahesaas ke andhere se ghir gaya.... lekin phir muje aasha ki aek kiran najar aayi... Aadi apni bahen ke liye jinda rahega.... Phir se iss Paridhi ne aasha ki kiran jaga di... muje ese laga jese Aadi Paridhi ko yaad kar ke apne dard ko kam karana chahata tha...


Main lagatar roye hi jaa raha tha.... Lekin Aadi ke muh se nikala Paridhi ka naam phir se aankho me kuch aash leke aaya...


Aadi - "Bhai dekh tuje Paridhi ke liye abhi jina hai... tune wada kiya tha Paridhi se jo abhi tuje nibhana baki hai... apni aankhe khuli rakhana mere bhai Paridhi ke liye, mere liye.... dekh abhi hame jaldi se hospital pahunchana hai.."



Main ese khada nahi rah sakata tha mere bhai ki jaan nikali jaa rahi thi aur main har aek kimti pal yaha khade khade nahi gava sankata... Aadi ko hospital leke jana hi tha.... Aur use huansala bhi dena tha..... Maine apne hawa me thambhe pair ko phir se aage badhaya... muje kisi bhi tarah jald se jald hospital pahunchna hi tha...


Main Aadi ko haunsala dene ki koshish kar ne laga - "Aur phir tuje Paridhi se bhi milna hai na.. ham phir se use school milne jayenge mere bhai.... lekin uske liye tuje jinda rahena hoga mere bhai.... aur tere phir se thik hone ke liye abhi mera tumhe hospital le jana sabse jaruri hai.... "


Aadi tej saanso se kuch bolane ki koshish kar raha tha lekin main abhi usse bilkul bolane nahi de raha tha.. main nahi chahata tha ki vo apni rahi sahi takat bolne me barbaad kar de...


Main - "Bas tu ese hi Paridhi ke bare me hi soch... soch jab tujse vo milegi kitna khush hogi na vo... aur tere ilaaj ke liye paiso ka bhi intejaam ho gaya hai mere bhai... tu jald hi apne pairo pe khada ho jayega... dekh mai sab kuch thik kar dunga... tu aankhe khole rakhana mere bhai....Aadi....Aadi..... Paridhi aur Main tuje duadte huve dekhana chahate hai..."


Main jese daud hi raha tha Aadi ko apni god me utha kar lekin jese hi main gate ke pass pahuncha hi tha ki Aadi ne jese pura jor lagaya muje rokane ke liye.... usne muje phir se gale se pakad liya aur mere sir ko uske muh ke pass khinch liya... uske ese jor karne se uski saanse bahut hi tej ho gayi.. Aadi ki jor lagane se mere pair bhi ruk gaye...


Main pahele se hi Aadi ko iss halat me dekh pura dara huva tha aur vo muje ab aur dara raha tha... vo apni bachi kuchi puri takat laga raha tha jo uski jaan hi nikal deta... vo ese takat laga raha tha ki jese uske liye apni jaan se jyada muje kuch batana uske liye jyada jaruri tha....


Aadi tej saanso se chilla ke bolane ki nakam koshish karne laga - "Pav.....Pavan... meri... meri bahen.... bacha le meri bahen ko... Paridhi ko bacha le.... vo Vij... Vijay aur Mun..."


Bas itna hi kah paya mera bhai... aur phir Aadi ke honth bandh ho gaye..... Aadi ki aankhe bandh ho gayi uske hath mere gale se chut gaye aur ludhakate huve uske pet pe gir gaye.... uska sir ludhak ke mere sine se tik gaya.. uska sharir pura thanda pad gaya... uski saanse jo main apne chahere pe mahesoos kar sakata tha vo kahi gayab hi ho gayi... Uska pura sharir nistej bejaan ho gaya...


Aur usi pal mera pura dil ese andhere se bhar gaya jaha roshani ka koi namonishaan nahi tha... mera dimag andhere ki esi gaheraio me kahi kho gaya jaha kabhi use dhundha bhi nahi jaa sakata... ese ghor andhere ne muje gher liya jiss se main kisi tarah ki bhavana ko chote pal ke liye bhi mahesoos nahi kar paa raha tha...


Jo kuch der pahele muje dar ka, dard ka ahesaas mahesoos ho raha tha iss pal esa laga jese mera sara dard aur dar ko ye andhera nigal gaya.... ye andhera meri rooh ko nigal gaya... ye andhera meri aatama ko nigal gaya..... ye andhera muje mere astitv ke sath hi nigal gaya...


Mera astitv ese andhere me kahi kho gaya jaha aas pass, charo aur, door door tak mere alawa koi nahi tha... na koi chij thi, na koi ped tha, na koi janavar tha, na koi insan tha, yaha tak ki mera khud ka koi ahesaas hi nahi tha jo muje mahesoos ho sakata tha...


Meri aankhe jo pahele rone se ruk nahi rahi thi usme iss pal koi aanshu aek dam se ruk gaye the aur dur dur tak nahi dikh rahe the... jo aankhe sabkuch baya kar sakati thi vo aaj jese bhavshunya ho gayi... meri aankho se sab kuch chin gaya vo har ahesaas chin gaya jise meri aankho ne kabhi jiya tha jise meri aankho ne kabhi dekha tha... inn ankho me naa pyaar najar aa raha tha naa gum, naa dar najar aa raha tha naa dard, naa gussa najar aa raha tha naa nafarat, naa ghrina najar aa rahi thi naa lalach sab kuch jese inn aankho se chin gaya tha....



Mere pure sharir ki chetana ko hi ye andhera nigal gaya... ye pal esa tha jaha main khud khud nahi tha... jese main khud ko mahesoos hi nahi kar paa raha tha... mera sharir kisi prakar ke shparsh ko mahesoos nahi kar paa raha tha... mera sharir choti si harkat bhi nahi kar paa raha tha.... jese mera sharir ab mere kabu me nahi tha...


Lekin yahi to vo pal tha... yahi to vo toofan se pahele ki khamoshi thi jisne charo aur sirf sannate ko ese jagah de di thi jaha sirf meri hi saanso ki dhimi aawaj sunai de rahi thi...


Aur phir agle pal mere pair ludhak gaye apni jagah se aur uske saath hi main jamin pe gir pada... lekin girte Waqt mene apne bhai ko apne hatho se chutne na diya... mera bhai Aadi abhi bhi mere hatho me so raha tha...


Aur phir doosre pal esa tufan utha jisne mere andar esa sailaab laa diya jiss ne sari khamoshi, sare andhere ko baha diya... aur ye sailaab meri aankho se ese barasa ki shayad wahi pani ka samandar ban jata...


Iss tufan se uthe sailaab ne mere muh se esi chikh nikali jise sun shayad uss uper bethe khuda ki bhi rooh kaamp gayi hogi... ye chikh sannate ko chirate huve, sari khamoshi ko chirate huve door door tak esi phaili ki kuch palo ke baad bhi iss chikh ki aawaj mere kano me gunjati rahi...



"Aadi"


Aur iss chik ke sath shuru huva esa dard jo mere sharir, meri aatma ko ese jala raha tha ki muje nark me hone ka ahesaas hone laga... ye dard nark ki yatanao se bhi badtar hone ka ahesaas hone laga...


Iss tufan ne mere nistej saharir me jese chetana phir se bhar di... Main Aadi ke bejaan pade sharir se ese lipta jese vo muje kahi bhag raha tha aur main use jane nahi dena chahata tha... jese koi mere Aadi ko mujse chin na chahata tha aur main Aadi ko khud se chin ne nahi dena chahata tha....


Mera bhai... Mera dost... Mera sahara..... Mera Pariwar.... Mera sabkuch... muje iss duniya me akela chod chala gaya... Mera bhai muje chod chala gaya kahi door.... itni door ki kabhi laut ke bhi wapas nahi aa sakata tha... itni door ki ab main kabhi uski aawaj bhi nahi sun paunga.. itni door ese lok me kahi chala gaya jaha jinda logo ka jana kabhi mumkin hi nahi tha...


Main Aadi ko uske chahere se pakadate huve - "Aadi... Aadi... aankhe kholna mere bhai... dekhna tera bhai abhi yahi hai... tere sath... yahi betha hai tere pass.... Aadi... Aadi... aankhe kholana Aadi... dekhna tera bhai kitna ro raha hai... dekhna muje kitna dard ho raha hai... ab ese tu akela nahi jaa sakata.... kya kaha tha tune... kya kaha tha hamne aek doosre ko ki sath jiyenge aur sath marenge... aur tu muje yaha chod akela kahi nahi jaa sakata..."


Muje bhai kahene wala... Muje dost kahene wala.. Muje pariwar kahene wala... sath jiyenge aur sath marenge ka wada karne wala mera sath chod chala gaya...


Main pagal huva jaa raha tha - "Aadi... Aadi... sun raha hai na... Tu kahi nahi jayega mere bhai.. tere liye sabse lad jaunga... pata hai na tuje... tuje kahi jane nahi dunga.... nahi kabhi nahi.... tuje phir se uss khuda se chinkar wapis le aaunga.. dekh lena... abhi tera bhai jinda hai... tuje phir se dundh nikalunga..."


Mera dimag mere kabu se bahar ho raha tha lekin phir jese mere dil me Aadi ki aawaj uthi..


Aadi - "Main kahi nahi gaya Pavan... dekh na tere sath hi hu... aur tere dil me hi hu.. bhala muje tujse kon alag kar sakata hai... aur main bhi tuje kahi chodke jane wala nahi hu... yahi tere dil me apna ghar bana ke bas jaunga.. aur tera sath Waqt ke ant tak deta rahunga mere bhai..."


Mere dil me jese tarag uthi... esi tarag jo muje Aadi ka ahesaas dila rahi thi lekin sach to yahi tha ki Aadi bas ab mere dil me hi bas ke rah gaya tha mere sath nahi....


Aur phir jese Aadi mere dil se wo aawaj uthane laga jo usne muje ant main kahi thi


Aadi - "Pav.....Pavan... meri... meri bahen.... bacha le meri bahen ko... Paridhi ko bacha le.... vo Vij... Vijay aur Mun..."


Aadi - "Pavan meri kurabani jaya nahi jani chahiye... muje bhai kahene wali meri bhahen ko kuch nahi hona chahiye... bacha le meri bahen ko..."



"Paridhi"


Aur iss aawaj ke sath dil me, dimag me krodh ka esa jwalamukhi fata jo sab kuch bhashm kar dega... aaj jo bhi samane aayega vo jal jayega... aankho se anagare barasane lage... hath, pair ese shakti me aaye jese vo lodha ban chuke the... dimag kabu se bahar hone laga.... dil me esi aag jali jo sab kuch jala degi...


Aur iss agani se muh se aek naam ki esi chikh nikali jisne mere andar ke shaitaan ko apne pure astitv ke sath jaga diya...



"Vijay"


Ye vo din tha jo Waqt meri jindagi me leke aaya jisne meri puri jindagi hi badal di...


Yahi vo Waqt ka din tha jiski wajah se mene aaj apni Dyari ka naam rakha tha..


Iss Waqt ko kabhi na bhulne ke liye mene apni Dyari ka naam bhi Waqt hi chuna....



"Waqt"


~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
Dosto once more aapke liye aek bad news ya phir good news...

news ye hai ki jiss update ko 3 hisso me divide karne wala tha use ab aur bhi divide kar raha hu...
jo 3 hisso se badhakar 4 upadates tak pahunch chuka hai...:reading1:

bad news.... Sorry for waiting.... ab aapko aur 3 updates ke liye wait karna padega...

Inn updates ko aur bhi achhe se, aur bhi emotions ke sath, aur bhi suspence ke sath, aur thril ke sath banane ki koshish kar raha hu iss se inn updates ki lambai aur chuadai badh hi rahi hai... ab bhala isme mai kya karu?

Lekin good news ye hai ki aap ko 4-4 updates bahetarin updates milege jo puri tarah se emotions, suspence, thrill se bhare hoge...

Aur aapko aur wait naa karavate huve doosara update jo raat tak dene wala tha use aaj sham se pahele de dunga...:victory:
Dosto mene tisre update ko 2 hisso me divide kiya hai...

Pahele muje laga tha ki main tisre update me hi dono hisso ko likh du

Lekin phir muje laga ki muje uss ahesaas ko aur bhi achhe se likhana chahiye jab koi apna ham se door esi jagah chala jaye jaha se koi wapas nahi aa sakata tab hame kesa mahesoos hota hai

Isiliye tisre update ko 2 hisso me divide kar diya... yani ab sab milake 4 nahi 5 update hone wale hai...

lekin iss baar main ye nahi likhunga ki 5 hi update rahenge aur jyada badhenge nahi... kyu ki updates badh bhi sakate hai nahi bhi....

lekin sare updates aapko bahetarin milege jo main bilkul kah sakata hu...



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
268
762
93
Wow wow Kya super chemistry banai h
Ab dekhna h jab pavan Puri tarah se paridhi ke samne hoga kaisa react karega abhi to wo gusse ke aag main h dekhte h Vijay ka Kya haal hota h aur Pawan is kichad see bhahar nikal pata h ki nahi
Can't wait to see
Keep posting
Thanks Arjun Singh 72 bhai....

Abhi chemistry puri bani hi kaha hai... abhi bus shuruaat huyi hai...

Bus mai itna hi kahunga ki puri kahani ke kai hisse aapsme jude hai aur kai judne wale hai aur kai naye banane wale hai...
 
Last edited:
Top