- 268
- 762
- 93
Correct bhaiThanks kamdev99008 bhai....
You are right about no religious content...
But what I think, the post leads to religious content when we write specific name of god.
Also I didn't mean to hurt any religious community as I didn't use any improper words for god or any religious things. And If I did without my knowledge I apologise for that.
But your point out on word Khuda seems lead to specific religious... So I thought I need to use proper word instead of used Khuda... It will take time to change but I will edit every update where it seems content leads to religious one...
And also tries not to use any of them without proper reason. and if I will use then I will also put some counter part that balance everything.
Is that right?
But what I think, the post leads to religious content when we write specific name of god.
my comment was not to warn you but to suggest ......... tthis mistake can lead you to moderator warning...........But your point out on word Khuda seems lead to specific religious... So I thought I need to use proper word instead of used Khuda... It will take time to change but I will edit every update where it seems content leads to religious one...
I got it.. I will avoid that names of god you mentioned.my comment was not to warn you but to suggest ......... tthis mistake can lead you to moderator warning...........
never mention cast, religion group name.... like pandit, thakur musalman ........... god names... bhagwan, allah, khuda, jesus christ...............etc
because these names are restricted under IT Act.............. if anyone objects.... a legal action can be possible
aur ek khas baat ................ meine abhi dhyan diya to hansi aa gayi................. bahut odd hai.... lekin apki kahani achchhi thi isliye jyada dhyan nahin diya tha............................
"aapki story mein khuda bolne wala koi bhi character muslim nahin hai.......................... aur reality mein koi bhi hindu.... khuda nahin bolta.......... jaisa ki apki kahani mein bar-bar a raha tha"
ye common sense ki bat hai...................... gaur karna
kahani bahut romanchak daur se gujar rahi hai............................
agle update ka besabri se intzar hai..................
Waiting
Kal subah tak update mil jayegaWaiting
Story Connection - 2
Ye vo Waqt tha jab Pavan ko paheli baar khud ke Shaitaan hone par sawal utha tha... Ye vo Waqt tha jab Pavan apne papa se kah raha tha ki vo Shaitaan nahi banana chahata.... Vo apni Chutki ko bata raha tha ki vo Shaitaan nahi banega lekin uska Hero banega...
Ye vo pal tha jiska jawab dene uske pass koi nahi tha.... Aur aakhir mai Pavan uss daldal me fas chuka tha... vo khichad me maila ho hi gaya... vo Shaitaan ban hi gaya..
Aek sawal jo aapke man me jarur uthana chahiye ki agar Pavan ko chutaki ka hero banana tha phir vo Shaitaan kese ban gaya?
Lekin Pavan Shaitaan kis ke liye bana?... use kis ke liye sab kuch banana manjur tha?... Pavan ko kis ke liye shaitaan banana manjur tha?... kon tha jiske liye Pavan duniya ki sari daulat bhi chodane ke liye taiyaar tha?...
Aek hi to sahara tha Pavan ka jiss se vo sabse jyada pyaar karata tha... khud se bhi jyada...
Kon tha jo Pavan ki jindagi me har uss chij jyada mayane rakhata tha?... kon tha jiske liye Pavan har dard ko sah sakata tha.... har gum ko bhula sakata tha... har aanshu ko pi sakata tha...
"Aadi"
Aadi hi to tha jiske liye Pavan ko kuch bhi manjoor tha... Aadi ke liye kisi ka khoon karana bhi manjoor tha aur Aadi ke liye hi khud ke dil ke tukde karana bhi manjoor tha....
Aek taraf Pavan Aadi ke liye kuch bhi kar sakata tha aur doosri taraf Aadi ko bhi Pavan ka ghoot ghoot kar jina saha nahi jaa raha tha....
Ab sawal ye hai ki ye date 07/03/2008 kya esa kuch lane wali thi jo sab ki jindagiya badalne wali thi... jisme Pavan shamil tha.. Jisme Paridhi judi huyi thi... Jisme ab Aadi bhi jud chuka tha...
Ab Pavan ke liye Aadi hi sab kuch tha so Aadi ka bhi iss date 07/03/2008 se judna tay hi tha... Aadi hi wajah tha Pavan ka Shaitaan ban ne ka... to kya Aadi hi vo wajah banega jiss se Chutki ka Hero Shaitaan se wapis hero ban payega?
Ab sawal ye hai ki ye date 07/03/2008 kya esa kuch lane wali thi jo sab ki jindagiya badalne wali thi... jisme Pavan shamil tha.. Jisme Paridhi judi huyi thi... Jisme ab Aadi bhi jud chuka tha...
Ab Pavan ke liye Aadi hi sab kuch tha so Aadi ka bhi iss date 07/03/2008 se judna tay hi tha... Aadi hi wajah tha Pavan ka Shaitaan ban ne ka... to kya Aadi hi vo wajah banega jiss se Chutki ka Hero Shaitaan se wapis hero ban payega?
Story Connection - 3
Kya kiya hai usne mere liye?....
Kya kar sakata hai vo mere liye?.....
Ye sawal bhale hi Paridhi ke dil se nahi lekin dimag se nikale the lekin kahete hai na banduk se nikali goli aur muh se nikali boli kabhi wapas nahi aati....
Aur isliye uss Khuda ko bhi ye sawal chubh gaye... isiliye Waqt ka bhi dil chir gaya....
Shayad Paridhi ke dimag ne abhi vo Pyaar ki takat hi kaha dekhi thi...
Shayad Paridhi ka dimag abhi bhi Pariwar ki takat ko nahi jaan paya tha...
Shayad Paridhi ke dimag ne abhi bhi dil se jude risto ke dhago ki takat ko nahi pahechana tha....
Aur isliye ab Waqt ne bhi faisala kar hi liya Paridhi ke dimag ke inn Sawalo ke jawab dene ka... Waqt ne bhi ab sahi Waqt ko chun hi liya.... Waqt ne bhi 07/03/2008 date ko chun hi liya....
Waqt ne inn sawalo ke alawa aek aur bhi chij thi jise sun li thi....
Paridhi - "Dost bhi dekho aek langda vo bhi uske jesa hi..."
Ye Bhai shabd hi kitna bada tha shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha..
Ye Bhai shabd uss khoon ke riste se bhi pare tha shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha...
Ye Bhai shabd bahen ko uss kavach me bandh deta hai jiski raksha karne ke liye vo Bhai hi sabse aage khada hota hai shayad ye Paridhi ke dimag ko pata nahi tha...
Waqt iss ka bhi jawab dena chahata tha... Waqt ye batana chahata tha ki kuch choti mulakate shayad hamare liye aek aam mulakat ho lekin doosro ke liye ye aek choti mulakat kisi amrut se kam nahi hoti... Paridhi ka Aadi ko bhai kahena Aadi ke jivan me phir se jine ki roshani laya tha... Phir se jine ki ummid laya tha... aur ye bina kisi khoon ke riste se kaha gaya Bhai labj kya kar sakata hai vo Waqt bhi batana chahata tha...
Isiliye Waqt ne bhi sahi Waqt ko chun hi liya... Waqt ne bhi 07/03/2008 date ko chun hi liya.