Akki ❸❸❸
ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
- 26,801
- 31,019
- 304
Waqt ne jawab de diya... kya kiya tha Pavan ne uske liye... Kya kiya tha Aadi ne uske liye.. bdiya update tha bhai,,,ab paridhi ko bhi apni bhul ka ahsas ho gya,,,Update - 37
Pata nahi ki Pavan ke pass ab kitni saanse bachi thi?... Pata nahi dil ki kitni dhadakane bachi thi jo abhi dhadakana baki thi?
Tabhi car kisi gate ko todte huve aek building ke pass aake ruk gayi.... aur iss building pe aek naam likha huva tha...
"Shivaji Lok Hospital"
Lekin Car ke rukte hi Pavan ka sir ludhakate huve Paridhi ke kandho pe gir gaya aur Pavan ke hoth se aek aakhari line nikali...
"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."
Paridhi bhi jo bukhar se jal rahi thi uska sir bhi Pavan ke sir pe gir gaya aur Paridhi ke hotho se aek aakhari shabd nikala..
"Pavan"
Aur Paridhi bhi behoshi ki nind me chali gai....
Ab aage.....
Present... Date - 16/02/2016
"Pavan"
Paridhi ke hatho se Dyari chuti aur jamin pe gir padi aur doosre pal Paridhi bhi apne ghutno ke bal gir padi...
Aankho se aek aanshu ki bund bhi nahi bah rahi thi... bas ye aankhe samane diwar pe tiki Waqt ki ghadi ko bhoot bane dekh rahi thi.... uss ghadi se aa rahi tik tik ki aawaj Paridhi ke kano se hote huve pure jahen me gunj rahi thi....
"Pavan"
"Aadi"
Paridhi ke hoth dhime swaro se bas yahi naam le rahe the.... yahi naam baar baar Paridhi ki rooh ko chu rahe the... yahi naam baar baar Paridhi ke dil me gunj rahe the....
Waqt.... Waqt ne aaj Paridhi ko vo dikhaya jiss ka Paridhi ne jawab manga tha...
"Kya kiya hai usne mere liye?... kuch nahi...."
"Kya kar sakata hai mere liye?... kuch nahi..."
Waqt ne jawab de diya... kya kiya tha Pavan ne uske liye... Kya kiya tha Aadi ne uske liye..
Paridhi ke hoth hile - "Pavan"
Aur Paridhi ki aankho ne roka huva aanshuo ka bandh tut gaya.... tut gaya barso purani, salo purani yaado ka bandh tut pada... Aur iss bandh se 7 salo se dabe huve riste iss tarah se bah ke samane aaye ki Paridhi ko janjod ke rakh diya...
Naina kafi der se Paridhi ke room se bahar se hi Paridhi ko dekh rahi thi... Usne bhi Dyari ko padhi thi... use bhi pata tha ki Paridhi ke sath kya huva tha...
Naina bachpan se Paridhi ke sath thi, Paridhi ki bahen jesi thi isliye use pata hi tha ki Paridhi iss tarah ke bure Waqt se gujar chuki hai...
Lekin Naina ko ye katai nahi pata tha ki Waqt uss gujare bure kal se itne sare riste jude the jo use Pavan ki Dyari padh ne ke baad pata chala tha....
Naina ko Pata tha ki Paridhi ko uss din ki yaado se phir se rubru karwane se Paridhi ko dard hi milega lekin phir bhi Naina ne Dyari ko Paridhi ke bed pe choda tha jiss se Paridhi ko vo Dyari phir se mil jaye...
Kyu?.... Kyu vo chahati thi ki Paridhi unn risto ke pyaar ki gaheraio ko jaane jinhe Naina ne khud Pavan ki Dyari ko padh ke mahesoos kiya tha..... Kyu ki Paridhi ko pura haq tha apne bite kal ki puri sachhai ko jan ne ka.... Kyu ki vo chahati thi Paridhi apne dil se ladko ke prati nafarat ke ped ko puri tarah se kat de...
Aur ab Naina Paridhi ko rote dekh khud ko bhi rone se naa rok payi... Naina kamare me aake sidhe Paridhi ko apne gale laga liya...
Paridhi rote huve ladkhadate huve shabdo ke sath - "Mere sapne.... Mere sapne sach the Naina.... Naina... Pavan... Aadi... muje.... muje kuch nahi pata... muje kuch nahi pata tha.... Naina...."
Paridhi Naina ko aur lipat te huve aur rone lagi....
Paridhi - "Naina.. Naina.... Aadi jise mene bhai kaha tha usne mere liye jaan de di... aur main kesa bhala bura soch rahi thi uss ke bare me.... mujse badi galati ho gayi Naina..."
Paridhi subakate huve - "Main.... Main khud ko kabhi maaf nahi kar paungi Naina... Naina Pavan aur Aadi dono ne mere liye apni jaan daav pe laga di thi... aur muje aajtak pata hi nahi tha.... muje kuch pata hi nahi tha...."
Naina bhi ro rahi thi - "Pari isme teri koi galati nahi thi... Waqt aur Halat kabhi ese hote hai ki unke samane sari koshishe kam pad jati hai.... Aadi, Pavan aur tum Waqt aur Halat ke hatho se hi to bandhe the
Naina Paridhi ko khud se alag karti huyi - "Soch Paridhi agar 11 saal ki umr me tum Aadi aur Pavan se mili hi na hoti to kya tum aaj yaha pe mere samane sahi salamat hoti... Soch ki Aadi ko pata hi naa chala hota ki tumhare sath kya hone wala hai to kya tum yaha pe mere samane hoti.... Waqt ke samne sab lachar hai Pari..."
Naina Pari ki aankho ko pochne ki nakam koshishe kar rahi thi - "Lekin aek baat jo mene dekhi ki pyaar ki takat bahut badi thi... Aadi, Pavan aur tumhare bich pyaar ke risto ki jo dor bandhi usi ki badolat tum aaj yaha mere samane sahi salamat ho... jiss halat me Aadi aur Pavan rahe the uske baad bhi vo dono pyaar ko samajate the.. pariwat ko samajate the... aur Pariwar ke liye marne ko bhi taiyaar the... hame kabhi kabhar hi ese ratan milte hai jinka mol sari duniya ki daulat se bhi aanka naa ja sake.... aur tum ese ratan se mil payi thi..."
Paridhi ki aankho se aansu tham na sake - "Lekin muje kuch yaad nahi tha... aur abhi bhi muje kisi ke chahere bhi yaad nahi aa rahe the sirf parchaio ki tarah dhundhali chaviya hi najar aa rahi hai..."
Paridhi - "Aadi bhai...."
Paridhi phir se Naina ko liptakar rone lagi... Naina samaj sakati thi ki abhi Paridhi pe kya gujar rahi thi... lekin vo bhi Paridhi ke sath Waqt ke har pal me khadi rahegi... Naina samaj sakati thi Aadi aur Pavan ne Paridhi ke liye jo bhi kiya uske liye koi shabd nahi the..
Tabhi Paridhi teji se Naina se alag hote huve - "Naina, Pavan.... uss din Pavan ko bhi gahere ghaav lage the... Pavan bhi uss din maut se juj raha tha.... muje janana hai kya vo thik ho gaya tha?.... muje mere behosh hone ke baad ka kuch yaad nahi... muje jaan na hai ki Pavan kaha hai?... kya vo thikh hai?... muje Pavan ko dhundhana hai Naina.. agar uss din use bhi kuch ho gaya hoga to main khud ko kabhi maaf nahi kar paungi Naina"
Naina - "Kuch nahi hoga.. ham dundh lenge... ham dundh lenge Pavan ko.... Pavan ko kuch nahi huva hoga.."
Paridhi - "Kese kuch nahi huva hoga?... uss din vo bhi to tuta tha... uss din uss ka sab kuch uss se chin gaya tha phir vo kese thik hoga?... nahi Naina muje jan na hai ki uss din mere aur Pavan ke Hospital pahunch ne ke baad kya huva?..."
Aur phir jese Paridhi ki aankho se rona aek dam se ruk gaya... vo apni jagah pe teji se khadi huyi... Naina achanak se Paridhi ko ese dekh chaunk gayi...
Paridhi ne diwar pe tiki Waqt ki ghadi me najare dali subah ke 9 baj rahe the... Aur Paridhi phir tej kadamo se kamare se bahar jane lagi....
Naina - "Kaha jaa rahi ho Pari?...."
Paridhi - "Kuch sawal hai.. jinke jawab kisi ko dene hai.."
~ Gabbar is Back