• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Paridhi ki bhi burai akhir samne aa hi gayi.... Use ladko se jo chidh hai wo nafrat aur ab sanak ban gayi hai.... Bina soche samjhe har ladke ko lekar ye rawaiya....
Dekhte hain aage.... Avinash ka bhi is Kahani mein koi important role hai..aisa lagta hai
Pata nahi Waqt ke kisi chor pe kya chupa tha jo Paridhi ko iss mod pe le aayi thi....

Dekne ke liye Waqt ke sath bane rahiyega:reading1:
 
268
762
93
Bdiya update tha bhai ji,,,,, aakhir kya vajah thi jis se uska najariya ladko ke prati esa ho gaya tha? Iske jwab ka intezaar rahega dost ,,,, waiting for next update
Waqt ke sath Waqt ke kisi hisse se judi kahaniya aati rahengi samne....

Dekhne ke liye Waqt ke sath bane rahiyega:reading1:
 
Last edited:
268
762
93
Update - 10

Aur phir dono wapas aakar party attend karne lage... Raat ko party khatam hone ke baad sab log apne apne ghar chale gaye... aur Paridhi apne kamare me jakar fresh hokar so gayi... aaj ki bhag daud se vo thak gayi thi... vo bed pe leti hi thi ki use nind aa gayi..

Pata nahi Paridhi ladko se itni nafarat kyu karti thi? aakhir kya vajah thi jis se uska najariya ladko ke prati esa ho gaya tha?

Ab aage....

Agali subah Paridhi ko Dev ne uthaya... Vo Paridhi ke uper hi chad gaya tha...

Paridhi - "Sone dena betu..."

Dev - "Utho na di... maa ne bulaya hai naste ke liye... aur aaj aapko muje school chodne ke liye bhi to aana hai.... muje kya bhala milega aap ko uthne se... muje to vese bhi aap naa utho iss se hi fayada hoga aaj school na jane ka bahana mil jayega.."

Paridhi bed pe beth gayi - "Tu ab bahut shaitaniya karne laga hai."

Dev - "Vo kya hai na Di... chudial ko pyaar samjane se samaj nahi aata to kabhi kabhi shaitan banana padata hai..." aur phir apna hath jodte huve upper ki aur dekhate huve - "Hai bhagwan pata nahi kesa jamana aa gaya hai?... Muje iss chuidail se ladne ke liye shaitaan ban ne ki shakti dena bhagawan"

Paridhi aek dam se khadi hoti huvi - "Betu... muje chudail kaha rook... abhi tuje batati hu ki me kesi chudail hu.. rook wahi..."

Lekin Paridhi Dev ko pakarti uss se pahele hi Dev room se bahar nikal gaya hota hain. - "Chaliye na Di... maa ne muje kisi Chudail ko jagane ke liye aur phir niche bulane ke liye bheja tha.. jo mene kar diya..."

Paridhi - "Rook tu wahi..."

Dev teji se niche bhaag jata hai.. Paridhi ko Dev ki ese hi baato pe to pyaar aata hai... vo sada sabko hasa hi deta hai... kisi ko bhi udasi me betha huva dekh hi nahi sakata. Paridhi uthke fresh hone chali jati hai.... fresh hone ke baad wo Sab ke sath nashte ke liye pahunchati hai... Sub wahi uska Intezar kar rahe hote hain.... Paridhi aakar Dev ke pass beth jati hai.. aur Dev ko apne hatho se nasta karane lagati hai..

Paridhi ko apne bhai ko apne hatho se khilana bahut achha lagata hai.. Aur Dev bhi jab tak apni Di ke hatho se khana na khaye uske bina uske din ka Shri Ganesh hota hi nahi...

Bahut sara pyaar tha dono bhai - bahen me... Dev ghar me sabka ladal tha... uska janm Paridhi ke janm se 11 saal baad huva tha... Yani Paridhi abhi 23 saal ki hai aur Dev XX saal ka.... Sumitaji apne dono bachho ko dil ke pass hi rakhati thi.. jab tak unka subah chahera naa dekh le tab tak chain na padta unko... unki har roj aankhe bhar jati Paridhi aur Dev ke bich ka pyaar dekh kar..

Sumitaji - "Pari beta... tum kal Avinash se achhe se mili thi na?"

Paridhi ka mood off ho gaya Avinash ka naam sunte hi.. Sath me uske dimag ki ghanti bhi baji...

Paridhi man me - "subah subah maa kyu uss nalayak ka naam le rahi hai... kal bhi uss chipaku ne bataya tha ki maa papa ne use mere paas bheja tha... yani ki kul milake dal me kuch kaala hai ya phir yaha puri daal hi kali hai... dekhana padega aakhir mamma papa ke dimag me pak kya raha hai...."

Paridhi chupi najaro se apni maa ke chahere ki aur dekhate huve taki vo unke chahere ke haavbhaav padh sake - "Haa... Maa... Lekin itni subah subah aap use kyu yaad kar rahi hai.. Party me vo akela thodi na aaya tha?..."

Sumitaji ko ese sawal ki aasha nahi thi lekin jab Paridhi ne puch hi liya hai to vo aekdam sawadhan ho gayi.... Lekin Paridhi se kya kahe ye unhe suja nahi... Isliye aek najar unhone pass bethe Rahulji pe bhi daal di... Paridhi ke tej najaro ne pakad liya isse ab use confirm ho gaya ki daal sach me kali hai... lekin Paridhi ko abhi aur bhi confirm karna tha.

Rahulji bhi ekdam se Paridhi ke sawal se chaukana ho gaye unhone baat ko apne hatho me lete huve - "Vo to bus ese hi puch rahi thi tumhari maa... aakhir vo hamara mahemaan jo tha aur uske dada Keshavji tumhe to pata hai ki mere papa ke kitne acche best friend the... so uska khyaal rakhana hamara farj tha so puch liya..."

Paridhi ab apne kaman me se tir chodate huve - "Thik hai papa... Vo hamare bich acche se baat huyi... sach kahu to mai kush bhi thi ki uska pariwar hamare itne close circle me hai..."

Rahulji ye sunke utsaah me aake se aekdam puch liye - "Kesa laga tumhe Avinash?"

Lo ab pakde gaye... Paridhi ko shaq confirm ho chuka tha ki aakhir kya pak raha tha aur uspe stemp bhi lag gaya tha...

Paridhi man me - "Vaah mamma papa aapko lagata hai ki aap mere pith piche hi khichadi paka loge aur muje pata na chalega... Mere naam bhi Paridhi hai..."

Paridhi - "Kesa laga ka kya matalab papa thik hi to tha... kuch khaas nahi aur kuch smart bhi nah...."

Sumitaji ab bich me bol padi - "Bahut smart lagata tha na mai yahi to kah rahi thi tumhare papa se." aur ab Rahulji ki aur mudate huve - "Lo kaha tha mene aapse ladaka accha hai... jaan pahechaan wala hai... smart hai... acche ghar se hai... Mai kya kah rahi hu aapse ki hum Pranavji se aage baat badhaye."

Sumitaji to aekdam se Paridhi ki aur dekhe bina bole hi jaa rahi thi.. Ab Paridhi ka gussa satve aasman pe pahunch chuka tha... Vese bhi subah subah Avinash ki baat shuru karke uska mood kharab ho hi chuka tha...

Paridhi ka mood aur kharab ho gaya - "Dekhiye Papa muje koi interest nahi hai usme... aur rahi baat shadi ki to mene aapse pahele bhi kaha tha aur ab bhi kah rahi hu ki muje ladako me koi interest nahi hai so please muje inn sab se dur hi rakho... aur vese bhi muje aap sab ko chod kar kahi jane wali nahi..."

Rahulji - "Beta... esa nahi hota na... ham samaj me rahete hai... aur har ladki ko aek na aek din to jana hi padta hai na... Aur ladka bhi achha hai... Canada me MBA kiya hai.. aur ab vo India me hi rahene wala hai"

Paridhi - "Papa.. me kuch nahi janati.. muje abhi sirf business me hi concentrate karna chahti hu... So plz ab koi bhi iss baat ko aage nahi badhayega... plz."

Paridhi waha se uthkar jane lagti hai.. Rahulji ko bhi thoda gussa aa gaya - "Vo Avinash hamari Company me hi job karega.."

Paridhi pichhe mudi - "Papa.. vo kahi bhi jaay muje koi fark nahi padta mera decision aakhari hai.. bata rahi hu.. Aur agar hamari company me kaam karega so uske liye hi bura hoga.... Kyu ki ab uska pala Miss CEO Paridhi Chauhan se pada hai..."

Paridhi man me - "Nakchadi aur batmiz kaha tha na muje ab batati hu ki aakhir me kiss mitti ki bani hu."

Aur Paridhi Dev ki aur mudte huve - "Chal betu... tuje school bhi chodne jana hai."

Dev khada hokar Paridhi ke piche piche jane laga..

Paridhi tej kadamo se bahar chal di... sath me Dev ka hath bhi khinch rahi thi... Dev bichara inn sabke bich Paridhi ke pichhe picche dhasiha jaa raha tha...

Rahulji - "Sumita samjao iss ladki ko... umr nikal jayegi agar esi hi bethi rahi to..."

Sumitaji - "Aap bhi na thoda sabr se kaam lijiye... Ab Avinash Company me hi hai.. to dono ka milna julna badh ji jayega.... aur me bhi Pari se baat karungi."

Rahulji aek gaheri saans lete huve - "Thik hai tum sahi kah rahi ho..."

Aur phir Rahulji chale jate hai lekin Sumitaji pareshan dikne lagati hai... Aaj Waqt ne Sumitaji ki bachhi ko ese mod pe la kar khada kiya tha ki agar use sahi aur achha jivan sathi nahi mila to vo tut kar bikhar jayegi...

Color - My Column

Waqt bit ta hai.. bachhe bade hone lagate hai.. Waqt ke sath sath un bachho me kai badalaw aane lagate hai.. Mansik aur Sharirik aur iss badlaw se koi bhag nahi sakta... aur iss badlaw ke sath hi unhe kai nai jimmedariya uthani parati hai.. aur iss nai jimmedariyo ke sath kai nai jindgiya bhi joodi hoti hai ya apne aap hi jud jaati hai.. bas chahiye sirf sahi chunav... sahi kadam.. Waqt ke har badalte mod pe chahiye sirf khudpe bharosa..... Iss badalte Waqt ke bhawar me agar aapne sath kadam se kadam nahi milaya to aap dub jayege aur aapka hath thamne vala koi na hoga...

Paridhi Dev ko school chodke sidhe apni office pahunchti hai.. Aur jese hi main gate se chalkar apni cabin ki aur badhati hai. use waha doosri cabin me Avinash betha najar aata hai... Paridhi ka mood pura kharab ho jata hai....

Paridhi pair patakati apne Cabin me phunchati hai aur dhadam se cabin ka darawaja band kar apni kursi pe beth jati hai...

Aur lambi lambi sanse lene lagati hai.. Vo apne dimag ko thanda karna chahti hai.. Apni Cabin ke charo aur dekhne lagati hai... aur uski najar kal apne desk pe hi chodi uss Dyari ki aur jata hai.... Jispe Likha hota hai

"Waqt....."

Uske dimag me phir se wahi shabd aane lagate hai jo ki iss Dyari me likhe the jo ki uske dil ke kisi kone se hote huve uski juban pe aane lagate hai....

Paridhi -
"Mai bhukha tha... mai bhukha tha pyaar ka…. apnepan ka…. Mai bhukha tha uss pyaar ka jis pe mera haq tha…. aek maa ke pyaar ka…. pita ki dant ka…. bahen ke sath chulbuli masti ka haq tha muje.."

Paridhi - "Mai sach me bukha hu pyaar ka…. kushiyo ka…. apnepan ka….. aur muje iske alwa aur kuch chahiye bhi nahi tha…."

Aur jese hi Paridhi ke juban se ye shabd ruke ki usi kone me se aawaj uthane lagi

"Mere pass to sab kuch hai... phir maine kyu apne mamma aur papa se ese baat ki... Mere paas puri duniya ki sabse anmol chij mere maa-pita hai phir bhi unse iss tarah se gusse baat ki..."

"Kya mere yu unpe gusse se chilana sahi tha?... Bilkul sahi nahi tha... Mai unse pyaar se bhi to iss baat ko kah sakati thi ki mai abhi shaadi ke liye ready nahi hu.. Muje thoda waqt chahiye... phir mai unse ese baat kese kar sakati hu..."

"Kya mere pass jo sab se anmol hai uski muje koi kdra nahi..."

"Kya muje sab kuch itni aasani se mil gaya tha ki mene ye jaan ne ki koshish hi nahi ki jiske paas pariwaar nahi unse puchake dekho aakhir kese Pariwar sabse anmol hota hai aur mata-pita kese uss taaj ki tarah jote hai jisse hum sada ke liye apne sir pe bithana chahenge."

Waqt vo chij hai jo hame apno se milwata bhi hai aur unse door bhi kar deta hai... ye ham per nirbhar karta hai ki ham uss anmol ratn ko kese sanjoke rakhate hai.... hum apno ko apne sath kiss dhage se baandh dete hai.. kya ye dhaga pyaar ka hai?.... kya ye dhaga lalach ka hai?.... kya ye dhaga kudgarji se bhara huva hai?.... soch ne wali baat hai... Varana Waqt ka kya hai... vo to bas chalata hi raheta hai chalata hi raheta hai... Aur pata nahi uss Waqt ke aakhari chor per jab hamare samane maut ka kala paracha dikhai deta hai tub shayad hame koi kandha dene wala hi na raha ho...

~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Dosto agar story acchi lag rahi hai ya buri lag rahi hai so please apne votes jarur de jo ki mene sabse uper question puchha hai...

Kahani ke sath jude rahene ke liye bahut bahut dhanywad..

~ Gabbar is Back:cowboy2:
Vote-----best
 
  • Like
Reactions: GaBBaR is BacK

Paridhi - "
Mai bhukha tha... mai bhukha tha pyaar ka…. apnepan ka…. Mai bhukha tha uss pyaar ka jis pe mera haq tha…. aek maa ke pyaar ka…. pita ki dant ka…. bahen ke sath chulbuli masti ka haq tha muje.."

Paridhi - "Mai sach me bukha hu pyaar ka…. kushiyo ka…. apnepan ka….. aur muje iske alwa aur kuch chahiye bhi nahi tha…."

Aur jese hi Paridhi ke juban se ye shabd ruke ki usi kone me se aawaj uthane lagi

"Mere pass to sab kuch hai... phir maine kyu apne mamma aur papa se ese baat ki... Mere paas puri duniya ki sabse anmol chij mere maa-pita hai phir bhi unse iss tarah se gusse baat ki..."

"Kya mere yu unpe gusse se chilana sahi tha?... Bilkul sahi nahi tha... Mai unse pyaar se bhi to iss baat ko kah sakati thi ki mai abhi shaadi ke liye ready nahi hu.. Muje thoda waqt chahiye... phir mai unse ese baat kese kar sakati hu..."

"Kya mere pass jo sab se anmol hai uski muje koi kdra nahi..."

"Kya muje sab kuch itni aasani se mil gaya tha ki mene ye jaan ne ki koshish hi nahi ki jiske paas pariwaar nahi unse puchake dekho aakhir kese Pariwar sabse anmol hota hai aur mata-pita kese uss taaj ki tarah jote hai jisse hum sada ke liye apne sir pe bithana chahenge."

Waqt vo chij hai jo hame apno se milwata bhi hai aur unse door bhi kar deta hai... ye ham per nirbhar karta hai ki ham uss anmol ratn ko kese sanjoke rakhate hai.... hum apno ko apne sath kiss dhage se baandh dete hai.. kya ye dhaga pyaar ka hai?.... kya ye dhaga lalach ka hai?.... kya ye dhaga kudgarji se bhara huva hai?.... soch ne wali baat hai... Varana Waqt ka kya hai... vo to bas chalata hi raheta hai chalata hi raheta hai... Aur pata nahi uss Waqt ke aakhari chor per jab hamare samane maut ka kala paracha dikhai deta hai tub shayad hame koi kandha dene wala hi na raha ho...

~ Gabbar is Back:cowboy2:
Waqt vo chij hai jo hame apno se milwata bhi hai aur unse door bhi kar deta hai.. Well said
 
  • Like
Reactions: GaBBaR is BacK

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,698
35,181
219
Dosto agar story acchi lag rahi hai ya buri lag rahi hai so please apne votes jarur de jo ki mene sabse uper question puchha hai...

Kahani ke sath jude rahene ke liye bahut bahut dhanywad..

~ Gabbar is Back:cowboy2:
Bhai bahut hi badhiya... Usme bhi apke apne quotes . ..superb

Ab shuru hogi... Paridhi aur avinash ki mulakate... Pyar badhega ya nafrat
 
Top