• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22
268
762
93
Update - 14


Chutki dekh na koi sun hi nahi raha... dekh na maa aur papa bhi koi jawab nahi de rahe... tu darna mat chutki tera bhaiya shaitan nahi banega... tera bhaiya hero banega.. ha... bata raha hu.... aur na jab me tum sab ko dundh lunga na mai hero banke hi aaunga...


Tu nahi daregi na Chutki mujse... bata na... nahi daregi na... Mai vesa bhai banuga jesa kitabo me mene padha tha... Koi baat nahi aap sab muje chahe bhul gaye ya phir mujse abhi roothe hai... mai na aap sab ko mana lunga... aur phir kabhi door na jaunga aap sabse...


Mai nahi bhulunga Maa ki aap sab muje kitna pyaar karte hai....



Ab aage....


Present Date - 25/11/2015


Dyari ko padhate padhate Paridhi ke dil pe kya bit rahi hogi vo sirf uski bhigi huyi aankho se nikal rahe aanshu bhi nahi bata sakte the.....


Dyari pe bhi sukhe huve aanshuo ke kafi nishan the... jiss se ye maloom chalta hai ki... Vo 11 saal ka bachha Pavan kitna roya hoga.... use lagta tha ki vo shaitan ban gaya hoga... aur use ye batane wala bhi koi nahi tha ki khuda ne bhi hathiyar uthaye the... bhagwan ne bhi asur aur danav ko marne ke liye hathiyar uthaye the... aur Hariya uss asur ya danav se kam naa tha jo unn masoom ki jingdio ka shoshan kar raha tha...


Pavan ko koi batane wala nahi tha ki... usne ne koi shaitan wala kaam nahi kiya tha balki apni chutki ke liye hero wala hi kaam kiya tha... use koi batane wala nahi tha uske pass...


Paridhi ye sab soch soch ke uske bhigi aankho se ab mote mote aanshuo ki bunde girani shuru ho chuki thi.... uss ne dekha ki Dyari ka ye kuch panne puri tarah se kiske rone ki wajah se bhige the jiske sukhane ke karan vaha pe nishan pad gaye the.... iska matalab use saaf samaj aa raha tha ki ki Pavan uss din puri raat roya tha... ye khyal aate hi Paridhi ka dil dard se chalak utha tha...


Paridhi aaj sach me uperwale se puchana chah rahi thi kya iss chote bachhe ke aanshu dekh kya uperwale ka dil nahi pigala hoga.... kya vo yuhi chupchap khada iss duniya ko ese hi dekh raha hoga....


Aakhir kyu hota hai esa?... kya galti thi uss nanhi 11 saal ki jaan ki... sirf yahi ki vo iss duniya me paida huva... kya khuda ka dil itna chota hai ki vo iss nanhi si jaan ki pukar bhi na sun sake.... iss nanhi si jaan ko uske pariwar se milwa de...


Jaha iss duniya me kisi ko bhi iss Mumbai ki sadko pe bhikh mang rahe bachho se koi matalb na tha... shyad usne kabhi uss bachhe ke najariye se iss duniya ko dekha hi naa tha... shayad iss duniya yahi samaj rahi thi ki yu badbu se bhare huve gande kapde pahene huve aur unke pichhe pichhe kuch khana dedo kuch paise dedo kaheke ghumane vale inn bachho ko kuch paise kuch sikke thama dene se vo unke pichhe pichhe ghumne se chutakara pa lenge...


Shyad abhi tak Paridhi ne bhi unn bachho ko unke najariye se iss duniya ko dekha nahi tha... kese matalabi duniya ke pichhe vo sab apne hath failaye huve sir jukaye huve daudte rahete the...


Lekin aaj Paridhi ne unn bachho ka najariya dekha tha... aaj usne vo sikh li thi ki jaha se manavta ki shuruaat hoti hai... aaj usne ye sikha tha kabhi khudko dusro ki jagah pe rakhake bhi soch lena chahiye ki jo muje aasan lagata hai kya vo unke liye aasan ho sakata hai....


Paridhi Dyari ko phir se apne hatho me thamte huve......



Date - 13/07/2003


Iss 9 salo me Kitab aur Aadi ke alawa mera koi dost bhi to nahi raha.... jise me kuch kaha saku....


Bus ye Dyari hi jariya hai aap sab se baat karne ka... apne dil ki baat karne ka......


Aadi se bhi mai sab kuch baat kar sakata hu... aakhir vo aek hi to hai jo mera sahara hai.... mere dard ko khud pita hai... muje hausala deta hai....


Maa agar aap mil jaogi na to ham na Aadi ko bhi apne sath hi rakhenge.... aakhir vo mera sabse achha dost aur bhai hai... Aur mera bhai aapka beta huva na Maa....


Aur aaj sab in sab ke baad bhi mai bas itna hi likhunga ki


Mai sach me bukha hu pyaar ka…. kushiyo ka…. apnepan ka….. aur muj 11 saal ke bachhe ko iske alwa kuch nahi chahiye…. kuch nahi chahiye...."



Present Date - 25/11/2015


Paridhi ka lagaw Dyari ke prati badh raha tha... Aaj kafi Waqt ke baad uski aankho se dard ke aanshu bahe the.... Aaj kafi Waqt ke baad vo kisi aur ke liye dard se royi thi...


Aakhir esa kya tha ki Paridhi baar baar uss rone ki wajah se bhige panne ko baar baar apne hatho se sahela rahi thi?.... Aakhir kya tha jo Paridhi ke dil ko khinch raha tha?...


Kya Waqt iska jawab de payega?.... Kya Waqt inn sawalo ke jawab ko hum sabse muhaiya karayega?...


Waqt ne bhi sab kuch apne ander ese bandh rakha tha ki vo khud bhi sahi Waqt ka intezar kar raha tha....


Waqt..... Waqt sabhi siro ko ese jode ja raha thi ki sabki jindgiya badlne wali thi.....



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
Dosto iss chote update ke liye maafi chahunga....

Lekin mai iss update ko yahi tak likhana chahata tha kyu?

Kyu ki aapke man aur dil ko thrill aur romanchit rakhane ke liye

Dosto aur kya lagata hai aapko... jo sawal iss update ke last me kiye gaye hai uske answer kis tarah se Waqt ke pass se milane chahiye... comment karke jarur bataiyega....


~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:
268
762
93
I think u got me wrong....

Actually..i asked it...bcoz of its title only...

Actually i read a story wid d same name ""WAQT"" on xossip...written by sunny...

I remember d whole story....

Dats why i as
ked u....if, this was d same story...so i dont need to read it bcoz i know things abt it...

If, this is a new 1...then only, i m going to spend time on it....ok

I think u get the actual reason behind my qus...



Y d way...
...keep rocking....
Muje nahi pata tha ki Xossip pe bhi iss same title ki koi story thi... But I assure you the content under this Title is totally new....

Aap shuru ke kuch updates padh sakate hai agar achhe lage phir aage badhiyega.... Agar aapko kahani achhi lagi ya buri lagi so comment karke aek baar jarur bata dijiyega...:victory:

Thanks for joining this thread Ankitshrivastava bhai....
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Update - 14


Chutki dekh na koi sun hi nahi raha... dekh na maa aur papa bhi koi jawab nahi de rahe... tu darna mat chutki tera bhaiya shaitan nahi banega... tera bhaiya hero banega.. ha... bata raha hu.... aur na jab me tum sab ko dundh lunga na mai hero banke hi aaunga...


Tu nahi daregi na Chutki mujse... bata na... nahi daregi na... Mai vesa bhai banuga jesa kitabo me mene padha tha... Koi baat nahi aap sab muje chahe bhul gaye ya phir mujse abhi roothe hai... mai na aap sab ko mana lunga... aur phir kabhi door na jaunga aap sabse...


Mai nahi bhulunga Maa ki aap sab muje kitna pyaar karte hai....


Ab aage....


Present Date - 25/11/2015




Dyari ko padhate padhate Paridhi ke dil pe kya bit rahi hogi vo sirf uski bhigi huyi aankho se nikal rahe aanshu bhi nahi bata sakte the.....


Dyari pe bhi sukhe huve aanshuo ke kafi nishan the... jiss se ye maloom chalta hai ki... Vo 11 saal ka bachha Pavan kitna roya hoga.... use lagta tha ki vo shaitan ban gaya hoga... aur use ye batane wala bhi koi nahi tha ki khuda ne bhi hathiyar uthaye the... bhagwan ne bhi asur aur danav ko marne ke liye hathiyar uthaye the... aur Hariya uss asur ya danav se kam naa tha jo unn masoom ki jingdio ka shoshan kar raha tha...


Pavan ko koi batane wala nahi tha ki... usne ne koi shaitan wala kaam nahi kiya tha balki apni chutki ke liye hero wala hi kaam kiya tha... use koi batane wala nahi tha uske pass...


Paridhi ye sab soch soch ke uske bhigi aankho se ab mote mote aanshuo ki bunde girani shuru ho chuki thi.... uss ne dekha ki Dyari ka ye kuch panne puri tarah se kiske rone ki wajah se bhige the jiske sukhane ke karan vaha pe nishan pad gaye the.... iska matalab use saaf samaj aa raha tha ki ki Pavan uss din puri raat roya tha... ye khyal aate hi Paridhi ka dil dard se chalak utha tha...


Paridhi aaj sach me uperwale se puchana chah rahi thi kya iss chote bachhe ke aanshu dekh kya uperwale ka dil nahi pigala hoga.... kya vo yuhi chupchap khada iss duniya ko ese hi dekh raha hoga....


Aakhir kyu hota hai esa?... kya galti thi uss nanhi 11 saal ki jaan ki... sirf yahi ki vo iss duniya me paida huva... kya khuda ka dil itna chota hai ki vo iss nanhi si jaan ki pukar bhi na sun sake.... iss nanhi si jaan ko uske pariwar se milwa de...


Jaha iss duniya me kisi ko bhi iss Mumbai ki sadko pe bhikh mang rahe bachho se koi matalb na tha... shyad usne kabhi uss bachhe ke najariye se iss duniya ko dekha hi naa tha... shayad iss duniya yahi samaj rahi thi ki yu badbu se bhare huve gande kapde pahene huve aur unke pichhe pichhe kuch khana dedo kuch paise dedo kaheke ghumane vale inn bachho ko kuch paise kuch sikke thama dene se vo unke pichhe pichhe ghumne se chutakara pa lenge...


Shyad abhi tak Paridhi ne bhi unn bachho ko unke najariye se iss duniya ko dekha nahi tha... kese matalabi duniya ke pichhe vo sab apne hath failaye huve sir jukaye huve daudte rahete the...


Lekin aaj Paridhi ne unn bachho ka najariya dekha tha... aaj usne vo sikh li thi ki jaha se manavta ki shuruaat hoti hai... aaj usne ye sikha tha kabhi khudko dusro ki jagah pe rakhake bhi soch lena chahiye ki jo muje aasan lagata hai kya vo unke liye aasan ho sakata hai....


Paridhi Dyari ko phir se apne hatho me thamte huve......


Date - 13/07/2003


Iss 9 salo me Kitab aur Aadi ke alawa mera koi dost bhi to nahi raha.... jise me kuch kaha saku....


Bus ye Dyari hi jariya hai aap sab se baat karne ka... apne dil ki baat karne ka......


Aadi se bhi mai sab kuch baat kar sakata hu... aakhir vo aek hi to hai jo mera sahara hai.... mere dard ko khud pita hai... muje hausala deta hai....


Maa agar aap mil jaogi na to ham na Aadi ko bhi apne sath hi rakhenge.... aakhir vo mera sabse achha dost aur bhai hai... Aur mera bhai aapka beta huva na Maa....


Aur aaj sab in sab ke baad bhi mai bas itna hi likhunga ki


Mai sach me bukha hu pyaar ka…. kushiyo ka…. apnepan ka….. aur muj 11 saal ke bachhe ko iske alwa kuch nahi chahiye…. kuch nahi chahiye...."


Present Date - 25/11/2015


Paridhi ka lagaw Dyari ke prati badh raha tha... Aaj kafi Waqt ke baad uski aankho se dard ke aanshu bahe the.... Aaj kafi Waqt ke baad vo kisi aur ke liye dard se royi thi...


Aakhir esa kya tha ki Paridhi baar baar uss rone ki wajah se bhige panne ko baar baar apne hatho se sahela rahi thi?.... Aakhir kya tha jo Paridhi ke dil ko khinch raha tha?...


Kya Waqt iska jawab de payega?.... Kya Waqt inn sawalo ke jawab ko hum sabse muhaiya karayega?...



Waqt ne bhi sab kuch apne ander ese bandh rakha tha ki vo khud bhi sahi Waqt ka intezar kar raha tha....



Waqt..... Waqt sabhi siro ko ese jode ja raha thi ki sabki jindgiya badlne wali thi.....



~ Gabbar is Back:cowboy2:
Emotional update tha bhai,,,, aur rahi swaalo ke jwab ki baat, to aap writer ho apne to pehle hi soch rakha hoga, ki kya hoga :hinthint:,,,,, vese abhi predict karna thoda mushkil h,,, thoda kahani ko age badne dijiye, isi tarah se......

Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,698
35,182
219
Bhai apki ye diary ka plot bhi unique hai.... Aur narration ka style bhi....

Me to fan ho gaya.... Apki writing skills ka

Ab ye to mujhe confirm lag raha hai ki wo bike sawar pawan hi tha... Aur wo paridhi ka bada bhai hi hai.....
Ab dekhna ye hai ki... Ye sachchai kaise uske mata pita aur bhai bahan ke samne ati hai... Aur wo kaise react karte hain....
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Super update bhai
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸
268
762
93
Emotional update tha bhai,,,, aur rahi swaalo ke jwab ki baat, to aap writer ho apne to pehle hi soch rakha hoga, ki kya hoga :hinthint:,,,,, vese abhi predict karna thoda mushkil h,,, thoda kahani ko age badne dijiye, isi tarah se......

Waiting for next update
Thanks Akki ❸❸❸ bhai....

Ummid hai ab aana wala update aapko aur bhi clear image se rubaru karvayega
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸
268
762
93
Bhai apki ye diary ka plot bhi unique hai.... Aur narration ka style bhi....

Me to fan ho gaya.... Apki writing skills ka

Ab ye to mujhe confirm lag raha hai ki wo bike sawar pawan hi tha... Aur wo paridhi ka bada bhai hi hai.....
Ab dekhna ye hai ki... Ye sachchai kaise uske mata pita aur bhai bahan ke samne ati hai... Aur wo kaise react karte hain....
Thanks kamdev99008 aapki ummid pe sahi thagarane ke liye...

Aur aapka prediction kafi sarahaniya hai... Dekhate hai ki Waqt kese sabhi siro ko jodata hai
 
Top