Update-41
Daksh apni favorite jagah par batha fishing kar raha tha aur har roj ki tarah aaj bhi uske chehre par koe bhav nahi the
Kabhi Kabhi to usse nind se jagana padta tha kyuki alag hi khayalo ki dunia me kho jata tha vo
Kabhi apne past ke bare me soch kar to kabhi apne aane wale kal ke bare me, usse etna to pata chal gaya tha ki kuch acha to nahi hoga
Abhi Daksh ki life dekho
Vo ek jungle me rah raha hai, uske pas koe facility nahi hai, na koe dost hai aur es time to dusman bhi nahi hai, baat karne ko koe nahi, hasane ko koe nahi, ladne jhagadne ko koe nahi
Matlab puri tarah se akela aur vo banda jee raha hai. Bahut badi baat hai ye
Har koe nahi kar pata aise
Daksh apne aapse
Agar thoda sa main khud se sambhal jata to aaj situation kuch aur hoti
Sayad Didi aur Priya dono mere sath hoti
Agar nahi bhi hoti to bhi vo khush hoti
Main sala sabki life me ek gharan ban ke aaya hu, jaha jaha gaya sala manhusiyat hi falae hai
Logo ki etni khushiya mitae ki ab meri jindagi se khushiya naam ki chhidya ud gaye
Daksh sapno ki dunia se bahar aata hai aur chidya ko chhod ke apni fish leke vaha se chala jata hai
Ghar pahuch ke fish ko kitchen me rakhta hai aur khud ek room me gus jata hai aur light on karta hai
Phaat Phaat Phaat Phaat ki aawaz se vaha lights aur system on hone lagte hai
Aur samne diwar par usse uska ghar, uske family members, priya,poonam, uske dusman sab dikh rahe the
Daksh ne sab kuch check kiya ki kahi kuch gadbad to nahi hai
Fir Priya ko dekhne lag jata hai jo uski Maa ko khana khila rahi thi aur vo bhi apne hatho se
Daksh ke chehre par ek halki si smile aa gaye the, aisi smile jo dekhe bahut waqt beet gaya tha
Daksh fir Priya ko niharane lag gaya tha
Bilkul pehle ki jaisi hi thi vo bas ab sarmane jada lag gaye thi aur chehre par laali aa gaye the sayad Maa ko vapas milne ki khushi me
Daksh bas Priya ko dekhe ja raha tha jaise usse kuch kahna chahta ho
Usse apne Galle se lagana chahta ho
Usse maafi mangna chahta ho
Aur fir khud bhi usse maaf kar dena chahta ho
Bahut kuch batana chahta tha vo aur bahut kuch sunana chahta tha
Jo sari adhuri baatein bachi hai uske aur Priya ke bich me vo sab puri karna chahta hai lekin ye Daksh bahut ache se janta hai ki kabhi possible nahi hoga
Vo kabhi Priya ke samne nahi ja paega, vo kabhi Priya ki aawaz nahi sun paega aur na uski sasoon ko mahsus kar paega
Ye baat jaisi hi Daksh ke dimag me aae vaise hi uske chehre par ek udashi chha gaye aur vo vahi ek chair par bath gaya
Kaisa waqt aa gaya na baby, main tumhre pass bhi nahi ja sakta, tumse baat bhi nahi kar sakta
Vaise to ye mujhe bahut pehle se hi pata tha ki in the end yehi hona hai lekin mujhe ye nahi pata tha ki etna pyaar ho jaega tumse
Mujhe ye bhi nahi pata tha ki main tumhre bina rah hi nahi paunga
Abhi piche mud ke dekhta hu to bahut galtiya dikhae deti hai
Mujhe tumhe us insaan ke jaal se nikalna tha aur vo main tumhe nikalta chahe koe bhi rasta lena padta mujhe lekin main rasta chunna sabse galat
Sayad Didi ko bejhta to jada aasan rahta ya Maa ko lekin ek Lover ke roop me main hi chala gaya
Pata nahi us time dimag me kya chal raha tha, ye bhi nahi socha jab sab khatam hoga to main tumse najar kaise mila paunga
Kaise samna kar paunga tumhra
Kaash main ye soch leta lekin agar ye sochta to kya mujhe tumse etna pyaar hota jitna mujhe abhi hai
Mujhe pata hai tum bhi mujhe beintaah muhobaat karti ho, mujhe pata hai ki tum bhi meri bahoo me samana chahti ho
Lekin baby agar main bahar ki dunia me aaya to tabhai ke alava aur kuch nahi hoga
Tum to sab janti ho na
Main Didi ko kho chuka hu lekin tumhe nahi khona chahta
Tum Maa ke sath khush rahoge aur maa tumhre sath
Mera kya hai main to tum logo ko khush dekh ke hi khush ho lunga
Bahut pyaar karta hu tumse
Ho sake to mujhe maaf kar dena
I'm so sorry
Fir vahi still bath jata hai aur bas screen me kabhi Maa to kabhi Priya ko dekhne lagta hai
Kuch der tak aise hi dekhta rahta hai uske baad Maa usse ghar ke bahar jati dikhae deti hai aur ghar me sirf Priya hi bach gaye thi
Daksh ka bahut man kar raha tha abhi Priya ko phone karne ka, usse baat karne ka
Lekin agar ek baar baat suru ho Gaye to fir khatam nahi hogi aur Priya bhi sure ho jaegi ki Daksh sahi salaamat hai
Abhi to bahut dino se feeling dabba ke rakhi hai lekin ek phone call sare mahnat par moot dega
Esliye Daksh ne man maar ke phone vapas rakh diya aur khud uth ke kitchen me chala gaya
Usne ek glass me whiskey dali aur peete peete apne liye khana banane laga
Vahi dusri taraf
Poonam- Didi Maa kaha gaye?
Priya- unhone nahi bataya
Bas etna bola hai ki jaldi aa jaegi
Poonam- kahi mere Jijaji se milne to nahi gaye hai
Priya- tere Jijaji se milne jaegi tab tujhe sath leke jaegi
Tension mat le
Poonam- waw kitna majja aaega na
Priya- acha kya majja aaega
Poonam- Didi vo Jija sali ki baat hai aap nahi samjhoge
Priya- sahi hai beta
Hum nahi samjhenge
Poonam- vaise aap Jijaji ko kya kah ke bulati thi
Priya- matlab
Poonam- matlab aise bulati thi kya- ajji sunte ho?
Ya
Mere hone wale bachho ke Papa sunno to
Ya
Priya haste hue
Bahut masti sujh rahi hai tujhe
Poonam- Bas curiosity didi
Batao na
Priya- naam leke bolti thi
Poonam- ye to galat baat hai aapki
Naam leke kon bolta hai
Priya- kyu nahi bolta
Vo bhi to mujhe naam leke bolte the
Poonam- aage se aap naam leke nahi bologi
Priya- acha to kya bolu batana jara
Poonam- humare hone wale 12-15 bacho ke papa
Priya- 12-15????
Poonam- kam hai?
Priya- pagal ho gaye hai kya
Poonam- khud ki team banaege didi
Fir dekhna baad me Olympic me kitne medal aaenge
Priya- acha bas rahne de
Bahut hogya tera
Poonam- Didi agar unko sab pata hai to vo vapas kyu nahi aa rahe
Priya- mujhe nahi pata
Thoda sad hote hue
Poonam- us raat vo goliya kisne chalae thi
Priya- vo Daksh nahi tha
Daksh ka sayad koe banda hoga
Poonam- kyu Jijaji kyu nahi ho sakte
Priya- kyuki vo sar me nahi dil me goli marte hai
Poonam- kya pata nisaana chuk gaya ho
Priya thoda muskurate hue
Beta ek baar tum mil lena unse
Fir pata chal jaega tumhe
Poonam- main to tayar bathi hu
Aap milva hi nahi rahi
Priya- jaise mere to hath me hai na
Poonam- Didi se pucho na
Unhe pakka pata hoga
Priya- Unhe pata hota to abhi tak Daksh mil chuke hote
Poonam- firse naam
Priya- tumne kaha tha unke samne
Tere samne to bol sakti hu na
Poonam- nahi kisi ke samne bhi nahi
Priya- acha acha sorry
Poonam- Didi bhukh lagi hai
Priya- etni bak bak karegi to bhukh hi lagegi
Acha bata kya kahegi
Poonam- aapka dimag
Thoda sa
Bas thoda sa
Priya- tu fir suru ho gaye
Poonam- acha Pizza mangva lo na
Priya- main dieting par hu
Poonam- ohhh hooo Jijaji ke liye figure maintain kar rahi ho
Priya- betuuuuuuuuuuuuuu
Poonam- esme gussa karne ki kya baat hai
Karni bhi chahiye dieting, ab agar figure bigad gaya to kahi jiju bhag na jaye
Priya haste hue
Tu peetegi aur kuch nahi hai
Poonam- main mere jiju se complaint Kar dungi
Pata hai na dunia darti hai unke naam se
Priya- ha meri maa sab pata hai
Aur Tu mangva le Pizza par please dimag mat kha
Poonam- nahi rahne dete hai
Aapka figure bhigad jaega
Priya- main peetae karungi tab tumhra chehra bhi bigad jaega
Poonam- kar lo
Chhoti hu sah lungi aapka julm bhi
Priya- yaar kitna naatak karti hai tu
Poonam- Didi ek baat batao
Priya- pucho
Poonam- jab maa ye bol rahi hai ki daksh ko pata hai hum kaha hai aur kya kar rahe hai to vo samne kyu nahi aa rahe?
Priya- beta kyuki kabhi kabhi hum gusse me aisi galtiya kar dete hai ki baad me bahut pachtate hai
Aur ek aisa bhi time aa jata hai jaha dusro ke samne jane se hi dar lagne lagta hai
Poonam- lekin unhone to sab kuch aapke liye hi kiya na
Priya- lekin uske liye kitne jane gaye?
Kitni Daksh ne li aur kitni maine?
Ye dekho na betu
Aur abhi tumhe sirf ye pata hai ki mujhe bachane ke liye kitne ghar barbaad hue hai
Lekin tum ye nahi janti ki uske alava bhi bahut hue hai
Maine kiye hai, Daksh ne kiye hai
Hum dono ne risto se hat ke ek sath kiye hai vo sab to tumhe pata hi nahi hai
Poonam- lekin Didi aap bhi to aae ho samne
Aapne move on kiya to vo kyu nahi kar sakte
Priya- beta move on to maine bhi nahi kiya hai
Lekin mere pas jeene ki vajah hai
Tu hai, Maa hai aur vo kitne sare bache hai
Daksh ke pass kya hai?
Didi??
Nahi hai
Maa??
Unhone pehle hi nikal diya
Main??
Riste ki diwar bich me aagaye
Aur vo pakka ye soch raha hoga ki hum ek dusre se door hi ache hai
Poonam- lekin jab unhe sab pata rahta hai to hum unhe to dikha sakte hai na ki sabko unki jarurat hai
Aapko, Maa ko, Didi ko
Sab unse abhi bhi kitna pyaar karte hai
Ye to dikha sakte hai na.....