• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,582
259
Update 64

Dosto ab details mein to nahin likhunga Anand ke iss visit ke bare mein, bus woh apne maa ke saath aya aur ek anguthi lekar aya jo ussne Pooja ko diya aur ek kisam ki rok diya ussko taakey kissi aur ki baat na aaye Pooja ke liye. Pooja ko tayaar kiya gaya tha jiss din ko woh aney ko tha aur woh bahot nervous thi magar Vijay ussko support kar raha tha aur sab thik se guzra, Anand sirf ek ghantey ruka phir wapas chala gaya. Han uss ne ijazat mangi Pooja ko kabhi bhi apne saath aakar kahin bhi lejane ko to Vijay ne kaha han woh kabhi bhi usske saath kahhin bhi ja sakta hai.

Ab 3 din ke baad, ek sham ko Anand ki gadi ruka Rhanveer lane mein aur woh andar aya to Pooja ko saath chalne ko kaha. Pooja ne poocha kidhar to uss ne kaha yunhi zara ghumne jayeinguey kahin bhi. To Pooja tayaar huwi magar Vijay ko sms kiya ke Anand ussko lene ko aya hai aur woh usske saat jaa rahi hai to Vijay ne jaane ko kaha.

Shaam ko jab Vijay kaam se wapas aya to Pooja nahin lawti thi. Vijay ki maa fikar kar rahi thi, suraj dhalne ko tha aur Pooja ka pata nahin tha. Vijay ne apne maa ko dilasha dilaya ke sab thik hoga Anand achah ladka hai woh fikar na karein. Vijay ka baap bhi apni patni se keh raha tha ke ab woh Pooja ko bhool jayein kyun ke ab woh parayi ho chuki hai already…. Weh log baat kar hi rahe the ke lane mein Anand ki gaadi ruki aur aur Pooja hanstey huwe daudtey terrace par ponchi aur lounge mein hotey huwe apni haath mein kuch parcels liye sidhe apne kamre mein chali gayi…. Woh bahot khush lag rahi thi…. Vijay terrace par Anand ka wait karte huwe ussko andar receive kiya…aur usske maa baap ne Anand ko dinner kar ke wapas jane ko kaha to vijay ne bhi Anand ko dinner tak rukne ko kaha aur woh maan bhi gaya. Anand lounge mein baitha Pooja ke pita se baatein karne ko aur Vijay Pooja se milne usske kamre mein gaya.

Andar jaate hi Vijay ne dekha ke Pooja apne almaari mein kuch saja rahi thi aur apne aap hanss rahi thi… Vijay ne kaha, «Anand kia mil gaya tum to mujhko bhool hi gayi ek dum, lounge mein se guzar ke yahan aayi par mujhse ek baat tak nahin ki tumne, Anand ka jadoo zabardast chal raha hai dekh raha hoon… » Pooja hanste huwe boli, “Yeh baat nahin hai bhai, ussne bahot sare cheezein kharida mere liye had se ziada, kapde, ghadi, make ups, etc etc…. itna sara cheez ke kia kia batati tum sab ko aur woh piche aa bhi raha tha, to sab rakhne ko agayi andar….” Aur phir dhire se Pooja ne kaha, “ussne mera size poocha aur underwears bhi kharidne ko kaha to main ne woh bhi kharide wohi chupa rahi thi….” Yeh kehkar laali par gayi uss ke gaalon par aur Vijay muskuraate huwe bola, “Arey wah, bahot tez nikla woh to! Pehli hi mulaakaat main yeh sab kharid dala?” tab Pooja ne kaha, “Han bhai dekho na mujhko sharam arahi thi ussko inn sab ke bare mein baat karne ko magar ussne kaha, ‘dekho main tumhara hone wala pati hoon aur mujhse sharmana bekaar hai inn sab cheezon ke bare mein jaanna mera haq hai’ to main kia karti bhai main ne bhi fatafat sab bata diye woh mere hone wala pati jo thehra ab!!” yeh kehkar Pooja hansne lagi aur Vijay ke gale lag gayi apne sar ko usske kaandon par rahtey huwe…..

Vijay khush huwa yeh dekh kar ke Pooja ab Anand ko apna pati swikaar kar chuki hai aur khush bhi hai. To usske gaalon ko chumtey huwe ussko kaha, “Dekha na, aur tu ro rahi thi ke tumko shaadi nahin karni yeh, woh !!! kahan gayi sab tere bahane ab?” Pooja sharmaati huwi boli, “shukriya bhai mere lye eise achchey var lane ke liye..woh bahot achchah hai aur sach mein main khush rahungi usske saath mujhko to yakeen nahin ho raha ke ussne mujhko passand kiya…. Jantey ho woh mujhe university legaya apne doston se milane ko aur sab se kaha ke tumhari behen hoon…muhjhey to sharam arahi thi, uss ke dost log ussko cher rahe the tumhara naam lekar…. Kehtey the ke woh tumhara dost issi liye bana kyun ke ussko pata tha ke main tumhari behen hoon!!” aur donon bhai behen hansne lage iss baat par. Tab Pooja ki maa ne lounge mein se awaaz di donon ko wahan aney ko. To donon lounge mein gaye jahan Anand wait kar raha tha.

Dosto do mahine baad Pooja ki shaadi huwi. Bahot hulchul tha Rhanveer lane mein, koyi 1500 mehman ko invite kiya gaya tha aur Aisha bhi mawjood thi. Ab ek shadi ghar mein kitna hulchul hota hai, uss mein bhai ke naate Vijay ko bahot sara kaam tha to Aisha se milne ka aur baatein karne ka fursat hi naseeb nahin huwi, bus jiss din Pooja ki vidaayi huwi Vijay bahot ro raha tha…Pooja bhi ek choti bachchi ki tarah ro rahi thi aur Vijay ki baahon mein se nikal hi nahin rahi thi…kehne lagi ke, “main nahin jawungi, Anand ko kehdo yahin reh jaye!!” sab mehmaan yeh sunkar hansne lage…… Aisha bhi ro rahi thi jiss waqt Pooja Vijay se lipti huwi thi zoron se rotey huwe….. wohi ek waqt tha jab Vijay aur Aisha kareeb huwe the iss shaadi ke dawraan….

Pooja ke jaane ke baad Vijay apne kamre mein jaakar bistar par ro raha tha. Aisha ussko support karne ke liye wahan gayi aur Vijay ko apne baahon mein lekar usska sar sehla rahi thi ek chote bachchey ki tarah….. koyi aadhe ghantey tak donon saath the Vijay ke kamre mein…..Aisha ka baap pi kar ludhak gaya tha uss waqt jiss wajah se donon ko ek saath rehne ka mawka mila….. Aisha ne ek saari pehni thi…bahot hi sundar dikh rahi thi, ek dum apsara….. Vijay ne usski taarif ki, aur uss adhe ghantey ki rone ke baad Vijay ne Aisha ki nangi kamar par apna munh rakh kar honton ko pherna shuru kiya, aur Aisha ne apne aap ko usske hawale bilkool hi kar di…..

Vijay dhire dhire usski saari ko kholta gaya aur blouse ki buttons ko apne danton se khol hi raha tha jab Vijay ki maa ne achaanak darwaza khola aur Vijay ko kuch kaam ke liye baahar bulaya……. To iss tarah se donon ko mawka nahin mila saath rehne ko ya pyar karne ko…. Han Vijay ne Aisha ki kuch tasveerein li thi uss saari mein…. Ek dum filmi heroine lag rahi thi Aisha uss sari mein… halka sa hara rang ka sari tha aur uss mein thoda sa neela rang bhi shaamil tha, usski blouse kum hara tha aur kuch jarriyan lagi huwi thi blouse par…. Aisha ke baal khule huwe the, khair usski khubsurti ne kayi jawaanon ko diwana kiya uss shaadi mein magar Aisha to Vijay ki amaanat thi yaaro to dusre logon ke liye bahot afsos ki baat thi…..

Han to dosto, Pooja chali gayi paraye ghar apne jiwan saathi ke saath. Vijay ka ek anmol saathi juda ho gaya, ghar bilkool suna suna hogaya…Vijay ki maa akeli par gayi kitchen ka kaam karne ko, Anu to choti thi bechari aur dulari bhi thi….. han aur Vimal bhi to ab akela tha, Anna se divorce hogaya tha. To ab Vijay ke ghar ki ek sadasya kum hogayi. 6 the ab 5 reh gaye….. abhi kuch dinon mein 4 reh jayeinguey…

To be continued………………
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159

pooja to settle ho gyi anand ke sath
aur idhar do premiyon ka milan adhura rah gya
ab dekhte hain aage Kya hoga
 
  • Like
Reactions: Casinar
2,976
2,863
159
bhai yeh sawaal exbii par bhi utha tha, magar mere kaum mein cousins ki shaadiyan hote hein. hamare yahan yeh taboo nahin aur issi wajah se iss romance ko main ne likha.... main Indian nahin hoon, to likhte waqt mujhko pata nahin tha ke India mein cousins mein shaadi nahin hote.... jahan tak mera khayal hai jab bachche ek ma ke pet se nahin paida hue ho to woh relationship paak hota hai kyun ke do bachche jab do taraf ki door ki auraton ke peth se paida ho to koyi khon ki rishta nahin hota... haan donon ke bap bhai the magar jab donon ke patniyan alag hein to bahot door ho jata hai khoon ke rishte............ aur bhai main ne to ek pure pyar ki daastaan likha.... dil ki jazbaaton ko bayaan kiya, dil ke tukron ke bare mein likha, khud roya likhte waqt aur reader ko rulaya, to mere liye to yeh meri exbii ki pehli romantic story ek bahot hi badi success thi....... agar aap padh rahe ho, to dil se padhye, bhool jaiye ke yeh cousins hein sirf dimaagh mein yeh rakh kar padhye ke yeh neighbours hein..... aur lekhak ki bhaavnaawon ko aur writing skill ko dekhye tab mujhse kehye keisa likha hai!!

shabaashe chacha,

dusre hi tangent par le gaye aap ise. kam se kam achche se padh to lete. Baat sirf or sirf writing 'GENRE' ki thi aur aapne ise writing 'SKILLS' par le liya :banghead:
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top