- 55
- 51
- 18
Update-5
Recap
Pichley Update main aap ne parha k kesay Fazal ko Mansoor ki Behan ka pata chalta hai jo k koi aur nai Saima hi hai us k baad un dono ko saza di jo k media pe bhi dikhayee gai aur sath hi Bangash Family ka bhi maloom hua jin ka ziker first Update main hua tha.
New Update
(Note: Yahan mein yeh bata doon k Jis Haris ko Fazal ne maar dia hai who rapist hai aur us k barey main aur koi update nai aaye ga aur jis Haris ko Office se uthaya tha who Underworld Don hai who aur hai)
Fazal Undono ko marney k baad seedha Haris k pass gya jo k ek room main chair pe bandha hua tha Fazal us k pass us k samney wali kursi pe beith gya Haris ka pura chehra zakham ki wajah se suja hua tha neel bhi per chuka tha us k chehrey pe.
Fazal: Mein janta hn k mujhey marwaney k peechay tera hath tha lekin tu yeh sab akela nai kr sakta tha kiun k merey tikaney ka pata terey pass nai tha esi liey kisi ne teri madad ki hai aur mein janna chahta hn k who kon hai jis ne meri Mukhbari ki thi tujhey.
Haris: Mein janta hn k tum mujhey Zinda nai shodo gey mein marney wala hn lekin mein tumhey us ka naam nai btaun ga sari zindagi tum pata lagatey raho gey lekin tum us tuk nai pounch pao gey.
Fazal: Aesa tumhey lagta hai k mein kabhi pata nai laga paun ga us shaksh ka lekin tumhey ek offer deta hn mujhey us ka naam bata do mein tumhey abhi esi waqt shod doon ga aaj ka din hai tumharey pass faisla kr lo naam bata k zinda rehna hai ya merna hai.
Yeh keh k Fazal wahan se nikal gya aur ghar pounch gya.
Intro: Gaun Jalalpur
Qaiser: Baba g
Anum: Gudiya
Ch Inayat: Landlord + Businessman
Samia: Wife Ch Inayat
Alisha: Daughter Ch Inayat {MBBS Doctor (London Return)}
Areeba: BSCS (Computer Science)
Fazal jab ghar pouncha tou Anum us k samney aa gai us ne apni qamer pe hath rakhey huey they aur ghoor k Fazal ko deikhney lagi us k es trhah se deikhney se Fazal ko hansi aa gai lekin us ne control kia.
Fazal: Kia hua Choti.
Anum: Kahan they aap kitni baar phone kia aap ko.
Fazal: Sorry meri jaan bht zaroori kaam se gya tha es liey Call nai pick ki.
Anum: Nai mein aap se naraz hn.
Fazal: Aley meri jaan mujh se naraz hai koi baat nai aaj hum ghumney jaen gey.
Anum: Kahan jaen gey hum.
Fazal: Aap jaldi se tyaar ho jao wahan ja k hi aap ko pata chaley ga.
Anum chali gai apney room main tyaar honey Fazal Hall main hi baith gya thodi hi deir main Anum tyaar ho k aa gai Fazal aur Anum gadi main beith k nikal gaey Fazal ki gadi k peechay 10 aur gadiyan theen lekin faasley pe Fazal ne gadi Amusement Park ki traf kr di aur kch hi deir main pounch gaey Anum bht khush thi Fazal ko kisi ka phone aaya us ne deikha tou Faisal ka tha.
Fazal: Haan bol.
Faisal: Bhai TID waley aap k pass aa rahey hn.
Fazal: Theek hai tu aesa kr meri pass aa merey sath Anum hai tub tuk mein isey thoda enjoy krwa deta hn phr tu isey le jaen.
Faisal: Lekin bhai aap bhi wahan se niklo jao.
Fazal: Nai aaj aamney samney baat ho hi jaey.
Fasial: Per bhai.
Fazal: Chotey jo keh raha hn who kr.
Us k baad Fazal ne Anum ko khub enjoy krwaya usey Icecream le k di aur hulka pulka khana bhi khilaya us k baad Fasial bhi un k pass pounch gya who sab bahir aa gaey.
Fazal: Choti aap bhai k sath ghar jao mein aata hn mujhey kaam hai.
Anum: Aap phr se kaam pe ja rahey hn yeh kia baat hui bhala es sey acha tou Gaun main hi they wahan ghar main tou rehtey they aap.
Fazal: Choti yahan bht kaam hotey hn na meri baat nai mano gi aap ghar jao mein aap k liey acha sa gift le k aa raha hn theek hai.
Anum: Theek hai bhaiya.
Anum ne Fazal ki gaal pe kiss kia aur Faisal k sath chali gai jo 10 gadiyan sath aaye theen Fazal k who bhi chali gaen Fazal chal k sadak k dermyaan aa gya trafic wahan na k braber thi andeira ho chuka tha abhi Fazal ko khadey thodi hi deir hui thi k us k charon traf gadiyan aa k khadi ho gaen aur us main se civil dress main bandey utrey aur gun se Fazal pe point kia.
Fazal: Easy boys easy khali hath hi hn le chalo yahan le k chalna hai aaj yeh kissa khatam kr hi doon.
Intro:
TID: Terrorism Investigation Department
Saqib: (Fake Name) Head
Baqion ko Agent 1 (A1), Agent 2 (A2)……. likhun ga.
Fazal ko arrest kr k le gaey us k chehrey pe kapra daal dia takeh yahan le ja rahey hn wahan ka Adress na maloom per sakey koi 2 ghantey k baad Fazal ko gadi se nikala gya aur usey pakad k le jaya gya aur ek room main le ja k Chair pe bitha dia us k baad us k hathon ko table pe rakh k kch kia gya aur phr Fazal ko waheen shod k chaley gaey.
Thodi deir k baad Fazal k Muh se kapra hataya jata haai tou Fazal k samney ek Mask pehney Aadmi beitha tha aur us k peechay 2 ladkey khadey they un k bhi Muh mask ki wajah se shupey huey they Fazal ek nazer un pe marta hai aur phr apney hathon pe jo move nai kr rahey they wajah yeh thi k jo table tha who Iron ka tha aur us pe do chotey se box type tha jis main Fazal k dono daley huey they yeh sab deikh k Fazal jor jor se hansney laga.
Fazal: Tum logon ko lagta hai k yeh sab krney se tum mujhey Humiliate kr lo gey.
Head: Deikho Fazal tum aaj merey hath lagey ho mein yeh moqa gawana nai chahta tum jeson ko khatam krney ka task mila hai mujhey.
Fazal Head ki yeh baat sun k phr se zor zor se hansney lagta hai.
Fazal: Kiun bhonk raha hai tu jab se Government ne TID ko bnaya hai tu tub se hi merey khilaaf hai baqion ko shod k sirf mujhey hi nisaana banata aa raha hai terey imandaar Officers ne jin 400 k kareeb killer aur deshatgardon ko pakda tu ne unhey shod dia chund peson ki lalach main aur tu merey hi samney beith k bhonk raha hai k tujhey task mila hai.
Head: Mind your language yeh mat bhoolo k tum es waqt merey qabzey main ho ek sec bhi nai lagey ga aur tum uper.
Fazal: Apni bakwaas apney pass rakh teri wajah se mein ne apney bhai jesey dost ko khoya hai Imandari se who kaam kr raha tha tu ne usey hi marwa dia Ager Terey Kandhey Pe Tera Sir Sahi Salamat Hai Tou Usi ki Wajah Se lekin ab tou who bhi nai raha ab tujhey mujh se kon bchaye ga aur rahi baat mujhey bandhney ki tou teri aukaat nai hai samjha.
Head: Sirf ek goli teri khopri main aur tu uper tera sara ghamand mitti main mil jaey ga.
Fazal: Terey Najaiz baap ne merey sir main goli mari thi aur ek saal tuk who goli merey sir main rahi who mera kch nai bigaad paey tu kia hai kch bhi nai aur yahan tuk baat mujhey bandhney ki tou yeh le.
Fazal ne chair se kharey ho k zor lagaya us k Biceps aahista aahista bherney lagey yeh deikh k Head k sath sath un do Agents bhi aankhein phadey kabhi Fazal ko deikh rahey they kabhi us k bhertey Biceps ko kch hi sec main Fazal ne apney hathon ko azaad krwa lia aur waheen chair pe beith gya teeno ne Fazal pe gun taan di.
Head: Yeh tum ne ne kesay kia tum Insaan tou ho nai saktey.
Fazal: Mein kon hoon mein bhi nai jaanta bht koshish ki janney ki lekin jitna khud ko janney lagta hn utna hi khaternaak aur khoufnaak hota jata hn tu nai samjhey ga aur haan yeh natak band kr mein janta hn tu Head nai hai.
Yeh ek neya bomb tha un teeno pe Fazal ko es barey main kesay pata us shaksh ne jo Head ban k aaya tha us ne Mask pehan rakha tha aur us ki awaz bhi same Head ki thi Lekin Fazal ko kesay maloom pada k samney wala Head nai hai.
Head: Mein hi Head hn.
Fazal: Tumhari Shirt pe laga button jo k button nai hai ek aesa camera hai jo k button jesa hai ager meri jagah koi aur hota tou us ko maloom nai perta kiun k yeh mein hn meri nazer kch zyada hi taiz hai shodo es ko kahan tha mein haan who button ager tu sach main head hota tou teri shirt pe yeh camera nai laga hota kiun k tera Head mujhey kaheen aur se deikh raha hai usey maloom hai k jis din who merey samney aa gya who us ka aakhri din ho ga.
Fazal: Sun be chutiye mein janta hn tu mujhey deikh aur sun paa raha hai es ghalat fehmi main mat raheen k tera naam aur teri shakal mein nai janta es liey tu mujh se bacha hua hai mein tera naam aur teri shakal achi trhah se janta hn apni shakal badalni hai badal le phr bhi tu mujh se nai bach paey ga Tujhey jeeney k liey ek hafta deta hn enjoy kr le us k baad tu nai rahey ga.
Yeh keh k Fazal ne un teeno main se kisi ek ki gun cheen li aur un teeno ko maar dia aur shirt main lagey camerey main deikhney laga.
Fazal: Teri wajah se yeh teeno bhi gaey kahan tuk shupey ga re tu bus ek hafta hai terey pass jee le.
Fazal wahan se nikal gya bahir aaya tou Faisal gadiyan ko sath bahir hi khada tha Fazal gadi main beitha aur ghar k liey nikal gya raat ka khana khaya aur sou gya Subhah uth k nashta kia aur nikal gya Haris k pass who abhi bhi usi trhah se bandha hua tha Fazal us k pass ja k beith gya.
Fazal: Tou kia socha bataye ga ya marey ga.
Haris: Kia guarantee hai tu mujhey shod de ga.
Fazal: Mein apni Zuban ka kitna pakka hn yeh puri duniya jaanti hai aur tujhey bhi maloom hai k jo mein ne ek baar keh dia so keh dia.
Haris: Theek hai mein bataney ko tyaar hn lekin kasam kha k tu naam sun k mujhey nai marey ga kiun k mein janta hn jo naam mein loon ga tu yakeen nai karey ga.
Fazal: Mein jaanta hn who koi apna hi hai jis ne gaddari ki hai tu naam bol.
Haris: Talha.
Faisal: Bhaiya yeh jhoot bol raha hai.
Faisal ne yeh gussay main kaha jis se ek pal k liey tou Haris dar gya.
Haris: Nai mein sach bol raha hn mein us k pass gya tha tumharey khufiya point k barey janney k liey pehley tou us ne manah kr dia phr agley din hi us ne bataya k tum kahan milo gey mein sach bol raha hn.
Fazal: Chotey isey janey de.
Faisal: Per bhaiya pehley confirm kr lo yeh na ho k jhoot bol raha ho.
Fazal: Jhoot bola tou khud k sath sath apna pura khandan bhi merwaye ga filhal shod dey isey.
Faisal ne Haris ko khol dia who wahan se bhaag gya.
Fazal: Ek aadmi es k peechay bheij sirf nazer rakhey kahan jata hai.
Faisal: G bhai.
Ek ghar jis k hall main teen log beithey they opposite direction main jis main se ek Fazal tha ek Faisal aur ek Talha.
Fazal: Humarey Dhandey Main Kisi Ghair Pe Bharosa Kerna Apney Suicide Note Pe Dastakhat Kerna Hai lekin mein ne phr bhi kia tujh pe bharosa kia, janta hai kiun, kiun k Sara ne tujhey apna Bhai mana tha terey ko bol k gai thi who k mera sath kabhi mat shodna mager tu ne kia kya us k bharosey ko tod dia mein sirf ek baar puchun ga Kiun kia tu ne aesa.
Fazal ki baatein suntey waqt Talha ka sir neechay tha who kch na bola.
Fazal: Talha es sey pehley k mera gussa mujh pe havi ho jaey mujhey wajah bata dey nai tou tujhey kesi mout miley gi yeh mein bhi nai janta.
Talha chup hi raha.
Fazal: Theek hai merney ko tyaar ho ja Chotey.
Faisal: Abhi aaya bhai.
Fazal ne ek pal k liey apni aankhein band kein.
" Jaan yeh mera Muh bola bhai hai en ki ek beti bhi hai, bht choti hai who, mujh se wada kro enhey kabhi takleef nai ho gi"
Fazal: Ruk ja Chotey es ne apna wada tod dia tou kia hua lekin mein Sara se kia hua wada nai tod sakta mein ne usey kaha tha isey Takleef nai doon ga es liey.
Fazal ne Talha pe gun taan di Talha ne apni aankhein band kr lein es se pehley k Fazal trigger dabata wahan ek cheikh gunj uthi.
"Naaaaaiiiiiiiii"
Fazal aur Faisal ne us traf deikha tou wahan ek bachi thi who doud k gai aur Talha se lipat gai.
Ladki: Plzzz Chachu baba ko shod do inho ne jaan bujh k nai kia plzzzz.
Talha: Tu jahan kiun aaye haan.
Ladki: Tou kia merney deiti aap ko aap bata kiun nai detey inhey.
Talha: Chup ek dum chup mein ne tujhey kasam di thi na tu kch bhi nai boley gi ja yahan se mujhey yakeen hai merey merney k baad Yeh tujhey apney sath le jaen gey kiun k tera koi kasoor nai hai es main.
Fazal: Hey yeh kia baatein ho rahi hn aur yeh kis barey main bol rahi hai Talha bol jaldi se.
Ladki: Mein btati hn.
Talha: Nai tu kch nai boley gi.
Fazal: Chotey.
Faisal: G bhai.
Faisal ne Talha ko pakda aur side le gya Fazal chal k ladki k pass gya.
Fazal: Ab bolo kia baat hai.
Ladki: Who us din who budha aaya tha Haris baba se aap ka pata janney lekin Baba ne saaf manah kr dia us ne bht koshish ki pesay de k ya aur kch lekin baba nai maney phr us k janey k baad ek aur aadmi aaya us ne apna chehra shupa rakha tha us ne apna mobile baba ko dikhaya us k baad baba roney lagey aur maan gaey.
Fazal: Aesa kia tha us main tum janti ho.
Talha: Beti kch mat bata mujhey mar janey de werna yeh purey ka pura Sehar dafan ho jaey ga.
Fazal: Chup ek dum chup haan tum bolo kia tha us main.
Ladki: who who.
Fazal: Ghabrao nai bolo.
Ladki: Us main Phupho(Sara) ka rape video tha.