• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zindigi Ki Amanat

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,447
189
Update 1


Delhi jaise ek bade sahar me kanhi ek chote se ghar me sannata chaya Hua tha.. Khidki ke pas betha hua ek ladka is wakt khidki ke bahar jhank raha tha..bahar ke barish ki mausam ke sath jaise uske ankhon ne tal mila liya ho.. Pata nahin kis khayal me gum tha lagatar uske bhige ankhoon se ansoo bah kar gal ko chhute hue honth me sama jate the jaise ye ansoonyen usko dilsa de rahi ho ki "Tu chinta mat kar main hamesha tere sath tha, sath hun , sath rahunga"...

Abhi woh bas apni jindigi ki khoee hue hasin pollon ko apni dard bhari yadon ki kitab ke pannon me dhund raha tha ki achnak uski tandra kisike dwara uske kandhe ko hilane se tutta hai.


woh apni yaadon ki dard bhari galion se sidha vastav duniya me hazor ho jata hai..apnon ki dher me jo do bund aansoon the unhe ponch leta hai... Piche mudke dekhta hai to apna bhai yar dost apna sab kuch Akash ektak ushe nihar raha tha...Achanak uske lab pe ek phiki muskan tair jaati hai...
"Yar itne subah...main koi sapna to nahin dekh raha hun..Teri tabyat to thik hai naa warna 10 baje uthne wala ladka itni subah uth kar yanha mujhe ullu ki tarah nihar raha hai...:?:


Akash-yar ishme pareshan hone ki kya bat hai ajj result ane bala hai hamara so jaldi uth gaya. (Munh thoda tedha karke awaj thodi byang ke saath) itni subah yanha kya kar raha hai...:mad:. wese ye sawal mujhe tujhse puchhne chahiye the...
Sahill....
Tu thik to hai na....


Sahil-mujhe kya hoga mai to thik hun.


Akash-chal bat mat ghuma maine dekhliya tha tujhe rote hue.... batana kya hua kahin tu phir wohi bat sochne to nahin laga.......tujhe kitni bar kaha hai ki purani bate bhul kar jindigi me age badh ne ke liye aur tu he ki meri bat sunta hi nahin.....chal jadi fresh hoja aj hame result dekhne college jana hai.


Sahil-ok jata hun yar tu brekfast bana jaldii.....


Akash-tu to aisha keheraha jaise hamesha tu hi breakfast banata hai...

Sahil kuch nahin keheta muskura kar bathroom chala jata hai.

Are main to in dono ke bare main bata na hi bhul gaya.

Sahil-(kahani ki hero)dekhne me handsome hai kisi ko bhi apni taraf atrrct kar sakta hai,age __ hai aur iska apne kahene bala sirf iska dast kam bhai jyada Akash hi hai.(dono 2 2nd year me padh rahe hain Delhi ke xxx college main padhte hain).


Akash-ye bhi handsome hai aur sahil ka ham umar hai.ye bhi sahil ko apna bhai manta hai.

Akash breakfast ready kar chuka hota hai ki sahil fresh hokar ajata hai dono breakfast karke college ke liye nikal jate hain....college pas main hai to dono paidal hi jate hain.....dono college pahunch kar dekhte hain?
tmIOJMgXwaEBHoSUzgoD.png
.
 
Last edited:
Top