• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy BLACK PLAIN

Kis fonts mein apko story chaheye


  • Total voters
    12
  • Poll closed .

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,023
2,829
144
Dosto ek new story shuru karne ja raha hoon. Umeed hai aap poora sath denge.

Yeh story ek young lardke ki hogi jisme hum jane ge ki kaise woh apni struggle aur mehnat se apni life ko sudhar pata hai ja nahi.

Characters:-

Arjun( Hero)
Avesh Singh( Arjun's Father)
Avantika(Arjun's Mother)

Ramesh(Arjun's butler)

 
Last edited:

Bloody Reaper

"A grave cannot hold me"
495
1,146
123
अर्जुन एक साधारण युवा हैं जिसके पास औसत प्रतिभा (average talent )है और उसका भविष्य किया होसकता है यह आगे कहानी में पता चले गा । फिर भी, जब वह अपनी साधना यात्रा (Cultivation )शुरू करने ही वाला था, वह गंभीर रूप से घायल हो जाता है , लगभग मृत अवस्था में पहुँच जाता है ! लेकिन भाग्य में बदलाव के कारण, अर्जुन को एक अरब में से एक का अवसर मिलता है, जब उसे आध्यात्मिक दुनिया के एक प्राचीन विशेषज्ञ से आत्मा के एक टुकड़ा मिलता है। इस अवसर के साथ, अर्जुन को अनुसरण करने के लिए एक नया मार्ग मिलता है , जो खतरों और रोमांच से भरा होगा, जबकि वह एक वादे और अपनी इच्छाओं को पूरा करने के लिए ताकत जुटाएगा!
Nice start👍
 

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,023
2,829
144
Chapter 1:- The Inheritance


Boom!!


Kuch hi second mein bahut sare visfot huye. Aur ass pass se gujarne wale log in dhamako ko sun kar apne aap ko bachane ke liye jaldi se wahan se baagh gye.


Jis ilake mein hamla huya tha yeah Brown Kingdom ki rajdhani thi. Aur rajdhani hai toh wahan par chahel pahel toh hogi hi upar se jahan par Spiritual Academy v thi. Bahut sare vepariyon ka ana jana v jahan par lagah rehta tha. Lekin phir v jahan par hamla hona bahut vardi baat thi.


Jaise hi sari beerdh wahan se hati. Toh 5 fighter jo ke Spiritual King 👑 ke stage par the woh hi reh gaye. Unme se charon ne panchme par usko marne ke sankalp se var kiya.


Jis par charon hamla kar rahe the woh Brown Kingdom ka ek bahut hi important general tha Avesh Singh. Avesh ki umer 130 sal thi aur suka level 51 tha. Woh already Spiritual King ki stage par pahunch chuka tha. Aur future mein bahut c possibilities thi ke woh apni agli stage par pahunch sakta hai.


Lekin itna acha fighter hone ke karn v ek fighter ke liye same level ke char logo se lardhna bahut hi mushkil tha. Aur ho v yahi raha tha charon fighter Avesh par bahut bhari pardh rahe the.


Fighter 1:- Tumhe kiya laga Avesh tum jaisa kabil hai kisi mid level spiritual region ko sambahlne ke. Pata nahi kiya soch kar Brown Kingdom ke raja ne tumhe yeh rajya de diya jabke kingdom mein aur v bahut sari powerfull family abhi baki hai.


Kuch sal pehle hi rajdhani jis noble family ke under thi woh is Kingdom ko shordh kar kahi chali gayi. Aur peeche shordh gyi Brown Kingdom ki rajdhani jise hasil karne ke liye bahut c rich family kuch v karne ko tiyar thi.


Finally, Avesh Singh ke talent, uski fighting ability aur Brown Kingdom ke parati uski services se khush hor kar raja ne rajdhani ki jimedari Avesh ko sonp di.


Fighter 2:- Shukar karo hum tumhe marne ke baad tumhare bete ko haath nahi lagaye ge aur use tmhari virast ke roop mein Black Plain ka ek ilaka v denge.


Toh Black Plain ek aisa ilaka tha you Brown Kingdom ka sabse banzar, sukha aur is ilake ki Spiritual density v lagbagh na ke barabar hi thi.


Fighters ki baaton ko sunne ke baad Avesh ne apni body mein mojud(मौजूद) apnu Spiritual Energy ko ek gole mein ekatha karna shuru kar diya. Ek Spiritual King ke level par hone ke karan Avesh 1,600 salon tak aram se jee sakta tha lekin jab use laga ke veh in charo fighters se jeet nahi sakta aur woh marne ke kareeb hai toh usne apni body mein jitni v Spiritual energy thi uska ikatah karke ek black gole mein dalna shuru kar diya.


Fighter 3:- Damn, yeh apne aap ko sacrifice karne wala hai jaldi se tum sab peeche hatoo.


Aur usi wakt ek bahut hi varda dhamaka huya. Aur 20 meters ke radius mein jo v cheezen thi sab destroy ho gyi charon mein se tin fighter toh is dhamake se poori tarah hil gaye aur ek toh bahut dur jakar adhmari halat mein deewar se jakar takra gya. Aur v kitne ho object the jo hawa mei udah kar aas pass gir rahe the.


Aur isibeech ek 9 saal ka lardka jiske bhure baal the aur usne green uniform pehni huyi thi aur apne kandho par backpack liye kharda tha. Aur apne aas pass ho rahi cheezon ko dekh kar bahut hi shocked tha. Abhi woh apne shock 🤯 se ubhar v nahi paeya tha ke ek 1 meters lambha pathar akar usse takra gya us lardke ke pass toh apne aap ko bachane tak ka v time nahi tha.


Ahhh!


Yeh lardka aur koi nahi general Avesh Singh ka beta Arjun tha jisne abhi apne aap ko sacrifice kar diya.


Arjun apne pita ji se milne a raha tha. Kyunki ajj uski academy ka akhari din tha aur kuchi hi dino mei woh 10 saal ka v hone wala tha aur woh apni cultivation shuru kar sakta tha.


Jaise hi pathar le lagne se Arjun behosh hokar gir gya toh wahan par bahut sare guards a gaye aur hamle mein chotil logon ki madad karne lag gaye


Guard 1:- Aree dekho yeh toh Arjun hai general ka beta.


Guard 2:- Haan yeah toh Arjun hai hame ise jald se jald Butler Ramesh ke pass le jana hoga aabh wohi iski madad kar sakte hai.


Arjun ko jab guards utha kar Ramesh ke pass lejha rahe the toh uske dimag mein ek awaz goonji. Lardke tumhari halat bahut kaharab hai tum bahut jald marne wale ho. Lekin tumhe ek chance v mila hai jiska sapna lakhon log dekhte hai.


Arjun is awaz ko sun kar ghabra gya aur darti huyu awaz mein bola. Kon ho tum…? Kahan ho tum..?


Aree dare mat vaise v tum abh marne wale ho mein aur koi nahi Aadhavan hoon aur mein tumhare dimag mein hoon.


Arjun ne jab yeah nam suna toh use yakeen nhi huya. Tu usne disbelief mein kahan Aadh…… Aadhavan hamare world ka first God..?


Hmm…… asha toh lagta hai log itne salon baad v mere vare mein bhulen nahi. Lardke mein koi God nahi hoon mein toh bass ek insaan hoon jo sabse pehle level 100 tak pahunch gya tha.


Kiya kahan tumne tum mere dimag mein ho kaise…?


Haan, mein tumhare dimag mein hoon aur mein isi liye tumse baat kar pa raha hoon kyunki tumhe mein aoni inheritance (virasat) dene walan hoon. Aur yeh meri atama ka ek tukrda hai joh tumhare dimag mein tumse baat kar pa raha hai.


Aur apne aap ko jayda mat samajne lag jana yeh sirf isi liye ho pa raha hai ke tum ek toh marne ke kareeb ho aur upar se tumhari Physique badal gayi hai. Aur ek aur reason mein aur sabar nahi kar sakta ke koi aur suitable heir ke mere pass ane tak mein wait kar sakon isi liye mein khud hi tumhare pass a gya.


Arjun:- Meri Physique dadal gyi hai..?


Aadhavan:- Haan bache, tumhari Physique badal agyi hai aur jaa tum keh sakte ho ke mutate ho gyi hai. Aur tumhe mein bata doon Physique kitne parkar ki hoti hai:- Common, Warrior, King, Saint, and Devine. Tumhare pass King grade ki Physique thi lekin abh woh badal kar mutant Common grade ki ho gyi hai jo agge chal kar Devine grade tak ja sakti hai. Iska karan tumhare sath huye incident se hi related hai jiske chalte tumahri body mein kuch rare changes ho gaye.


Agar hum ih ilake ki baat kare toh mere samay mein yeah ilaka sabse jayda high Spiritual density wala ilaka tha aur jahi ek reason tha ke meine apna Spatial Kingdom jaha baneya tha. Lekin meine yeh nahi socha tha ke kuch hi million years ke baad is ilake ki Spiritual Density itni kam ho jaye gi. Mere samay mein yeh ilaka Spiritual Sages ke level tak logo ko pahuncha sakta tha lein abh toh is ilake ki halat dekh kar toh jahan koi Spiritual Emperor tak v koi nahi ban sakta hai.


Aur jahi ek karan hai ke is ilake mein abhi tak koi Devine grafe ki Physique ka koi human janam nahi liya. Aur na hi muje mera koi heir mila jise mein apni teaching apni techniques aur viraat sonp saku.


Yeh sab Arjun varde gor se sun raha tha. Jabki Aadhavan ka bolna chalu tha. Lardke meri virasat tumhe bahut takat degi aur tumhare talent ko Golden Talent se v upar pahuncha degi. Lekin tumhe mujse ek vadah karna hoga.


Is world mein talent ko panch level par bhanta gya hai :- White, Blue, Black, Silver, Golden. Aisa mana jata hai ke jaisa aapke pass talent hoga utne hi aap shaktishali honge aur dusra utni hi jayda matara mein aap Spiritual energy apni surroundings se ikathi kar sako ge.


Harek talent ki apne apne level par ek limit set hai jise aap par nahi kar sakte hai. Fir example agar apke pass Golden talent hai toh apko bottleneck mile gi Spiritual Demigod ki stage par. Aur isme v sirf 50 percent hi probability hai ki aap apne talent se is level par pahunch sakte ho ja nahi.


Arjun:- Promise, kaise promise..?


Aadhavan:- Jab mein jeevit tha toh mujhe ek din ek sapna aeya tha ke hamari duiya par future mein bahut hi varda hamka hoga.


Aisa sirf ginti ke log hi jaaante hai ke is duniya mein sirf hum hi nahi rahte aur v bahut se world hai log hai. Lekin jayda darne ki baat nahi hai kyunki veh v level 100 tak hi pahunch sakte hai. Jab mein jeevit tha toh tab unke pass keval 4 ja 5 hi Gods the lekin abh tak unki counting 15 tak pahunch chuki hogi. Aur shaed nahi v.


Jisdin mujhe yeh dream aeya meine tabhi se hi apni inheritance banana(बनाना) shuru kar diya tha. Kyunki jab mein jeevit tha toh mein is problem ko solve nahi kar paeya tha kyunki hamre World mein utni Spiritual Energy nahi thi. Lekin tume ise misunderstand mat karna. Spiritual Energy toh bahut hai hamari duniya mein lekin problem yeh hai ki hamari human body sirf 30 percent energy hi poore world ki energy se hasil kar sakte hai. Keh sakte ho ki yeh hamari body ki biological limitation hai. Lekin hum bahut sare Spiritual plants aur Spiritual Medicine ka istemal karke level 100 tak pahunch sakte hai.


Tumhe yeah pata nahi hoga toh mein tumhe bata doon ki jab hum level 100 tak pahunch jate hai toh hum apni space ko double kar sakte hai aue Spatial region tak create kar sakte hai jise hum Spatial Kingdom kehte hai. Yeh Kingdom heaven aur earth ki energy ko absorb karke ek cultivation ke liye perfect space bana deta hai.


Is jagah ko banae ke liye mein apne life ke akhri 1,000 sal bita diye jisme meine is space ko five time varda bana diya jo ke kitne million sal tak apne andar Spiritual Energy store karke rakh sake.


Kher, abh mein apni inheritance tumhe de raha hoon. Aur tumhe is space ko use karna hoga apni cultivation ke liye. Aur rahi baat tum ise kaise use kar sakte ho woh mein tumhe meri teaching mein bataon ga jiske vaad tumhe poori knowledge ho jaye gi kaise tum is Spatial Kingdom ka iste mal kar sakte ho.


In the end, bss jahi tha lardke bass mujhe jahi promise chahye tumse ke tum is World ko kisi ka gulam nahi banne doge. Aur jo Inheritance mein tumhe de raha hoon us wajah se tum bahut sal tak behosh reh sakte ho. Lekin isse tume koi nuksaan nahi hoga.


Arjun:- Mein promise karta hoon ke jo apne kaha use poora karne ki puri kohsis karoonga.


Aadhvan:- Goodbye, Goodluck, mein asha karta hoon ke tum is kam mein safal ho.


**************


Isi beech Arjun ko butler Ramesh ke pass le aeya gya. Aur use apne kamre mein bed par litaeya gya. Aur butler Ramesh ne Arjun ki body ko apni Spiritual Medicine aur energy se poora heal v kar diya. Lekin Arjun ko hosh nahi aeya.


Arjun ko behosh huye six years gujar gaye the lekin Arjun ke hosh mein ane ka koi v asar lag nahi raha tha.




Toh doston milte hai agle update mein aur dekhte hai kab Arjun ko hosh ata hai aur kon hai yeh butler Ramesh aur kyun isne Arjun ko itne sal behoshi ki halat mein v jinda rakha aur aur uski dekh bhal ki.



Doston comment karte rahe aur batate rahen apko yeh story kais lag rahi hai apki interaction hi mujhe jaldi se jaldi update dene ke liye protsahit kare gi,"Thank You" .
 
Last edited:

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,816
26,944
204
Ek aur new story ke liye :congrats: bhai. Ummid karta hu aapki story naye naye records banaye xforam par. Update ek bahut hi swal tha. Aise hi mast mast update jldi se dete rahiye hame.
 
Top