• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

The XForum Scoop - #9

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
AK 24 mil gawa re toka dibba :dancing2:
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
scoopsept.png
Kal ka dikha raha hai ye dale aaj ho :hinthint2:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and Enigma

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
  • Like
Reactions: Aakash. and Enigma

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
  • Like
Reactions: Aakash.

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
:congrats: to all winners and TS of famous threads jinka naam aaya hai scoop mein baaki jinka nahi aaya unka gale baar aa jayega
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,991
304
:goodnight:
 
  • Like
Reactions: Aakash.

AK 24

Supreme
21,885
35,732
259
mai dekh raha tha kuch logon ko lagta hai ke scoop AP ko favour karta hai well waise to mai jabab dena jaroori nahi samjhta lakin fir bhi ham logon ne hamesha kewal talent ko favour kiya hai. so aap logon ke saamne pesh hai ek aur master piece

"Rang barse Bheege "...ki dhun par sara mohalla naach raha tha par dil ko intezar to kisi aise ka tha jo mere hi dil ko apne pyar kke rango se rang gayi thi,ek bar phir se nazar uski balcony par thehar gayi thi...


Chaar saal baad dosto ke bulane par Is baar holi mein aaya tha .....humaara rishta khatm huye salon beet gaye they .....par abhi bhi use dekhne ki caahat khatm nahi huyi thi ....kuch aisi hi kashish thi usme ...Jo itni door rehkar bhi use doobara dekhne ki caahat ho rahi thi....
Maine DJ vale ko ishara karte huye use wahin rokane ka ishaara kiya ...theek uske ghar ke samne....
Ye to use pata chal hi gaya hoga ki main yanha aaya hun ....shayad yahi wajah hai ki vo abhi tak bahaar nikal kar samne nahi aayi thi ...maine gaane ko badalne ka ishara kiya...
"Jhalak dikhla ja ..Jhalak Dikhlaja ...deedar ko tarsein ankhiyan .." Kaano mein awaaj panhuchtey he ladko ko jaise current lag gaya ....ek dusre se chipak chipak aise naach rahe they..jaise woh unki apni premika ho ..aur kya pata bhaang ke nashe me unhe samne apni mohabbat hi nazar aa rhi ho .....par meri nazarein to kanhi aur thi ...uske deedar ko ankhiyan taras hi rahi thi ......ki kisi ne gana change kar diya hai ....aur mere munh se achanak hi nikal pada...
"Kaun hai Betichod.."
Lekin tabhi DJ vale ne Lahra baja diya ......Nashediyon ka national anthem ....Lahra bajtey hi ...aadhe launde jameen par they...aur aadhe rumaal nikal kar uski been banaye huye they...is samay vo najaara dekhkar main khud ko us bheed ka hissa banane se na rok saka....Itne dino tak sehar ki hawa lag chuki thi par khud me koi badlaav nhi aane diya tha...
Phir vo naagin dance shuru hua...rumal ko munh me dabakar koi sapera bna ..aur baaki jameen par lotkar nagin...Kuch der yun hi Masti karne ke baad...
Pata nahi kyu bas use dekhne ki chaahat ho rahi thi .....aur jaise jaise time nikal raha tha ...meri bechaini bhi badh rahi thi ....lagta hai jaise usne kasam khayi ho ki aaj vo bahar hi nahi nikalegi .....
Holi ke din hi maine pahli bar usase baat ki thi mujhe aaj bhi woh holi kaa din saaf-2 yaad tha .....us din maine bhole baba ki booti chadayi huyi thi....Nashe me ankhein laal padi huyi thi..Kuch is tarah keh sakte hai ki mera first impression ek nashedi ki tarh hua tha .....
Jab mai usse pahli bar takraya tha ....vo apne saheliyon ke sath thi aur mai apni fauj k sath...anjane me saamna ho gya ...aur phir aise sunhare mauke kabhi kabhi hi milte hai ....to jiski jiski setting thi vo uske sath ho liya aur jinki nhi thi vo banaane me lag gye .....
Aur jab meri pahli nazar us par padi
"Nashe ko aur nasha ho gya tujhe dekhkar ...Mera ye dil tujhpar fida ho gya ...teri ye adaa dekhkar ..." Itna bolkar mai uske aur karib panhucha ...
"Hathon se julfein yun suljhaya na karo ....yun nazaro ko nazaro se milaya na karo ...Teri nazerein katil na sahi par yun sharmakar hampe qahar dhaya na karo ..."
Itna Maine uske kano me bola aur dono hathon se uske galon par Gulal lga diya ....usne ek bar bhi nazerin uthakar nhi dekha..uske figure ko dekhkar kisi ki bhi tamanayein jaag jaye ...Aur nazrein jhukakar..honthon ko dabaakar jis tarh haule se muskura rhi thi na ...bas haar gaye ham to apna dil usse ...wanhi kho gaye...


Apni mutthi me gulal ko aise masal rhi thi jaise naraj premika gulab ke phool ko ...
Mai to bas lagatar ghure hi ja rha tha ...jab usne nazarein nhi uthayi to Main bhi vnha se Jane lga kyonki time bahut ho rha tha ...maine do kadam aage bdaya hi tha ...ki picche se kisi ki awaz aayi ..
"Suniye ..."
Aisi kashish kisi ki awaz me maine mehsush nhi ki thi ...
"Happy Holi ..."usne palkein uthaakar jis andaz se kha na ..mai us par Jaan bhi de sakta tha ...
"Aap shayari accha keh lete hai ..."usne mujhse baat karni chahi ...
"Bas tumhe dekhkar shayar ban gaye...." Maine bhi jawab dete huye kha ...
Itna sunkar vo haule se muskurayi aur aage badte huye mere galon par dono hathon se gulal mal diya ...
"Happy Holi .."


Aur jab mera nasha utra ...to sale dost bhi bhaav kha rahe the btane me ki vo ladki kaun thi ....bole Bhai tune imagination ki thi....BC imagination ko maano main Sherlock Holmes tha lawda mera..
Mera dil keh rha tha ki ye Kalpna nhi thi...kuch to asar tha uske hone ke ehsas ka...Maine apne dimag par kuch jyada hi jor diya...par exactly kuch yaad nhi aa rha tha ...
"Ab kabhi itne nashe ek sath nhi karunga...Bhai tum logo ke pair padta hu ..bta de Bhai .."
"Chal tu itna pucch rha hai to bata dun ..Chauhan sahab ki ladki thi.." Usne normal tone me kha ..par mera reaction kuch is tarh hai ...
"Hat be betichod ..mauj kahe le rha hai ..."
Maanana ho to maan varna side se nikal ja ..." Usne tapak se jawab de diya ...
"Thik hai...aaj main uske ghar jaunga vo bhi Raat me :evillaugh:"
"Tu Jaake kuyein me gir mai kya karu...asal me Chauhan sahab ka ghar humaare mohalle me hi tha ...aur sanskaro ke naam par unka pariwar number one...aur unki nazaron me gali ke awara kutte the ...jo dinbhar idhar udhar muh marte phirte hai...vaise galat vo bhi nhi the ...:cmouth:
Apne fix kiye huye time par maine unke ghar ke andar chhalang lga di....mujhe itna to pta hi tha ki kaun knha kya kar rha hi ...isliye shahar ke laundiyabajo se jyada quality aur tarike ganv valo ke pass hote hai ....unke pas bhale hi Macd ke burger na ho par aaloo ke paraathein hai ....bhale hi ghoomne ko park na ho par sarso ke khet hai .....Agar aapne kabhi ganv me Kisi ladki ke sath Romance nhi kiya na to kya khaak kiya tumne...
Mai theek 11 baje uske kamre me ghus gya darwaza band kiya aur uske bistar par uske chehre ki taraf karwart lekar late gya.....


Haayy..vo chand sa roshan chehre ...gulab jaise honth ...har sans ke sath upar niche hote huye uske :cmouth: baap re ..!!!
Jab samne koi pasand ki ladki aa jaye to khud par control karna kitna mushkil ho jata hai mujhe abhi pta chal rha tha .....hath khud b khud uske galon par aaye or uske baalon ko picche karne laga..
Aur agle hi pal uski do badi badi ankhein mujhe ghur rhi thi....
Mujhe dekhkar na use ascharya huwa ..na chillayi ...bas chupchap uthkar baith gyi ....
"Ynha kya kar rhe ho..."usne mujhe dekhkar itna hi puccha
"Bas pata karne aaya tha jisne mere dil ke taar ko yun jhanjhna diya ...vo tum thi ya koi aur ....
"Pta kar liya na ...ab jao ...." Usne bistar se uthate huye kha
"Tumhe khushi nahi mili mai ynha aaya ...." Mai bistar par letatey huye bola ....
"Ye bat btane ke liye Loudspeakr lagwa dun " vo dant piste huye boli ...
"Pagl hai kya ...sab jag jayege..."
Mere jawab sunkar uska matha thanak gaya .....mujhe itna to pata chal gaya tha ki line clear hai ....:D ....
Mai bhi khda hua ...hmare beech ki doori koi do kadam ki hogi ....vo mujhe ghoor kar dekh rhi thi ...aur mai bas muskurate huye...
"Itna gaur se dekhogi to pyar ho jayega ...." Maine usko apni tarf khinchte huye kha ....
Hayyy!!!!! Kya touch tha ...pehla touch ...knha knha current laga byan nhi kar sakta .....



"Bhai ...vo nhi aayegi ...uski shadi fix ho chuki hai ..." Mera dost mere kano me bolta hua DJ ko aage bdne ka ishara kiya ....
Yahi to baat thi jo dil ko chubh rhi thi ....kyo uske liye itne salon bad mera dil bechain sa ho rha tha ....sirf uske kisi aur ke ho Jane ke khyal se ...Aaj bhi pacchtwa ho rha tha ...kyo maine uspar hath uthaya tha ...usne to mujhse bas sudharne ko kha...kisi kabil banne ko ....usne mere liye ...meri khushi ke liye apne emotion ki koi kadra nhi ki ...usne bde pyar se apne armano ko mere pairo ke niche rakh diya .....aur mai thehra nakara insan jise na time ki value pta thi na kisi insan ki kadra ....vo to tab hosh aaya ...jab apna chutiya kta ...jab apne armano kaa gala ghuttey huye dekha tab ehsas hua Jake aakhir uske pyar ki value kya thi ....usse dur rahkar Jaan paya ki uske paas hone ka kya matlab .......aur jab is bat ka ehsas hua tab tak bahut Der ho chuki thi ....
Vo bahar nhi aayi lekin mai to andar jaa sakta hun....kabhi kabhi ganv ki reetiyan ham jaise ashiqo ke liye kaam ki hoti hai ...jaise har tyohar ki sham ko sabke ghar jakar unse milna ...pair chhuna vagairah.....jisme bina kisi hichak ke apne prem pyariyon se milkar next day Milne ka program fix karte the ....
Maine sabhi ladko ko uske ghar chalne ka ishara kiya ....aur itni bheed ko sambhalte sambhalte vo itna busy ho gye ....koi pucchne vala nahi aur mai bina deri kiye uske kamre par panhuch gya ......asal me ye jo mere andar romeo ka bhoot ghusa tha vo abhi do ghante pahle hi ghusa tha jab mujhe kisi ne bataya ki uski shadi fix ho gayi hai ....
"Parde ke picche chhupkar khud ko sambhal logi ....par apne dil ko kaise samjhaogi ...." Maine darwaze par hi khade hote bola....
"Kya fark pdta hai ..."
"Fark nhi pdta to ynha nhi hota.."
"Fark pdta to abhi ynha nhi hote ....."usne paltkar jawab dete huye kha ....
Uski ankhone me aansu the jo shayad mujhe dekhkar hi aa gye the ...
"Khidaki se bahar jhank rhi thi ...bahar hi aa jati ...." Maine andar ghuste huye kha ...
"Tumhara samna karne ki himmat nhi hai mujhme ...khud ko badi mushkil se sambhala hai ...phir se bhikhrna nhi chahti ...." Uski is baat ka koi jawab nhi tha ....
"Kuch bhi nhi baaki hai hmare darmiyan ...."
"Hamare beech kuch tha hi kab " itna sunkar mere dil cheekhne ko hua tha ....
"Ab kya karne aaye ho ...ynha ..."sawal uska tha is baar ...aur mere pas koi jawab nhi tha ...
"Aapki life me sab yun hi hota hai na ....fast forward ...." Phir se usne taana sa marte huye kha ...
"Shadi fix ho gayi tumhari ...aisa sunne ko mila ...." Maine ek gahari sans lete huye kha ...
" Han ....mana karne ki koi khas wajah bhi to nhi thi ...."
Itna sunkar Maine sirf han me hi sar hilaya
"Wajah hoti to ...." Maine kaha ...
"Maine aapka kabhi intejar nhi kiya ...."
"Itni nafrat thi mujhse "
"Itna yakeen tha aap par ..."
Har bat ka jawab tha uske pass aur mai sirf chehre ko chhipa rha tha ....
"Abhi bhi pyar karti ho mujhse ...."
"Koi mayne nhi rakhta ..."
"Ek mauka phir se nhi mil sakta " meri ankhon me bebasi thi aur shayad yahi to pyar tha jo aaj pahli baar meri ankhon me najar aa rha tha ..
"Umeendin jab tootati hai na ...bahut dard deti hai ...."uska itna kahna mere liye bahut kuch byan kar rha tha ....
"Aapke sath zindagi bhar rahne ki khwahish hi to thi meri ...aapse pyar karti thi...kya yahi meri galti thi aur is galati ki kaisi saja mili ....apni sari limit cross kar di ..aur aapne kya kiya ek khilauna samjha aur jab man bhar gya to phenk diya ....kya manga tha aapse maine ki khud ko is Kabil bna lo ki hmare bich me koi khda hi na ho ......aur aapne kya diya badle me ....thappad ....kabhi mere papa ne mujh par hath nhi uthaya ....uske baad bhi mujhe aapse itni umeed to thi ki aap wapas aayenge aur sorry bolenge aur mai aapko maaf kar dungi ...par mai galat thi...."
Itna lamba speech dene ke bad uski ankhon me aansu to aane hi the .....uski baton se hi pta chal rha tha ki aakhir maine use kitna bda torcher diya tha ......
"Har ek insan se galti hoti hai ....aur har galti ki ek saja hoti hai ....mujhe uski saja de do ....us waqt mujhe nhi pta tha ...kya sahi aur kya galat ....kuch alag hi dhun sawar thi ...ladki ladki jitni bhi mili kam thi ....us samay mujhe aisa lga ..tumne mere ego ko hurt kiya ....shayad yahi to bachpna tha ...nhi samjh thi itni duniyadari ki ....nhi pta tha ki jab aap par koi khud se jyada bharosha krta hai to tootne par kaisa mehsush hota hai ....Maine tumhara dil toda ...jo kahogi vo mai karunga ....tumhe kabhi nhi rulaunga ...par is shadi ke liye mana kar do yaar ....ek mauka de do ....jo galati hui hai use sudhar Sakhta hu main .... Tumhari kami ko tumse door rehkar mehsush kiya hai .....ab ki bar main tumhe khona nhi chahta ....."
Aur is baar meri ankhon me nami thi par uske galo par aansuon ki ek lambi line ....
Hmare beech kuch der yun hi khamoshi chhayi rhi .....ankhon me nami ki wajah se halka dhundhlapan sa chhaane laga ...ki tabhi mujhe aisa laga ki koi bahut teji se aake mujhse chipak gya .....
Kaise bhool Sakta hun vo ehsas jab pahli bar vo mere karib aayi thi ....jo pani abhi tak palko me kaid tha vo baras pda .....usne mere sharir ko apni bahon me jakad liya ....jaise mai knhi phir se door na ho jaun ...mere hath bhi khud b khud uski kamar par chale gye .....
"Sudhorege nhi ...kabhi na ...." Usne puccha ...
"Kaun kambkhat sudharne ke liye bigdta hai ..." Maine hanste huye jawab diya .....
"Shadi kaise cancel karu ab.." Usne nya tension dete huye kha ...
Ynha Mere liye shadi todna bdi baat nhi thi ...sawal tha apne ghar kaise kahunga ....:hmm: ....uska bad me sochenge ...aur yahi sochkar mai room se bahar aa gya aur ghar se bahar jane lga ...sare log bahar ja chuke the isliye Chauhan sahab vnhi aangan me baithkar kachauri kha rhe the ...mujhe dekhte hi unki tyoriyan chad gyi ...
"Upar kya karne gye the ...." Unhone kachori plate me rakhte huye kha ....
"Kuch nhi ...bas aapki beti se pucchne gya tha ki ..mujhse abhi bhi pyar karti hai....ya nhi....


"Maine socha tu bahar rehkar thoda sudhar gya hoga ..par tu to awara kutte ki punch ki tarh abhi bhi teda hi ... thakur sahab se kahna pdega ...."chikhte huye bole ....
"Kahe chilla rhe ho sasur Ji aadmi hun scooter nahi Jo sehar jaake sudhar jaaunga...aur thoda tameej se baat kariye apne damad se ...."


"Kya behudgi hai ....ye ...."vo khade hote huye bole ...


"Shadi cancel karwa do ...aapki ladki meri biwi ...." Itna kahkar mai vnhi Sophe par dher ho gya ...bhang ka nasha tha aise thode hi utrata hai ....bas halki si uneendi chhayi thi ....Aankh to nhi khul rhi thi bc lekin kano me sunayi jarur de rha tha ....


"Aa gya na phir se use barbad karne...kaise usne sambhala tha khudko....is nalayak ko kuch pta bhi hai ....aa gya shadi tudwane ke liye ....Rishton ko nibhana janta hai nahi..Nasha utarte hi sab bhool jayega ....kaise de dun mai apni ladki ka hath ...us hath me jiska bharosha nhi kab sath chhod de ....."....lekin tabhi ek surili awaz mere kano me panhuchi ....


"Papa Please ...."
Iske baad mujhe kuch bhi yaad nhi tha ...jab meri ankh khuli to theek samne use khada paya .....
"Tum ynha kya kar rhi ho ..." Maine angdai lete huye kha ...
"Mera ghar aur mera kamra hai ye ...."
"To phir mai ynha kya kar rha hu ...."
"Kyo itni pee lete ho jab sambhal nhi sakte ..."


"Mai tumse Milne kyo aaya tha :hmm: " maine apne sar ko pakdte huye kha ...


"Accha Ji ...ab ye bhi yaad nhi hai ....btw meri shadi aapne cancel kra di....."usne muskurate huye kaha..


"Suno...maine kand to jarur kiya hai ..Lekin kuch khas yaad nhi hai ....isliye maine jo bhi kiya hai na seriously mat Lena ...."


"Beta ...ab tu usko mazak me mat Lena ....hmare ghar ki bahu hai vo ..samjha ....nalayak zindagi me pahli baar koi dhang ka kam kiya hai ...bhale hi nashe me kiya ho ....jabse tumhara iske sath suna tha tabse hi mera man tha ...par tujh jaisa aawaara ladka ...iski kadra hi nahi ki to kis muh se bolti ...ki ise hi apne ghar ki bahu bnana hai ....."
Meri mummy ki awaz mere kano me loudspeaker ki tarh gunz rhi thi ....


"Dekho jo kiya hai na ...vo nashe me kiya hoga ...mai isse shadi nhi karne vala samjhi aap ..." Maine uska hath apne sar se hataTey huye kha ..


"Beta ...ab yahi ladki humaare ghar ki bahu banegi ...samjhe.." Ye mere papa ne bola tha


"Bapu ekaluta chirag hun thaare ghar ka ....." Maine unse kha ...


"Bujha dunga agar isse shadi nhi ki to ...." Unhone apne raubdar awaz me kha ...


"Aur aapka dahej ...." Maine aakhiri teer chhoda ...


"Bahu hi dahej hoti hi ...aur phir tujh jaise gadhe ko dega kaun dahej......"


Aur Baat khatm ...jyada smartness L laga deta hai L kya pencho lawde he laga deta hai..mai ynha mandap me baitha picchle kucch dino ki huyi ghatnao ke bare me soch rha tha....aur mera dost jisne mujhse shart lgayi thi ....vo abhi bhi mujhe dekhkar hans rha tha .....shart ye thi ki agar Himanshi aaj bhi tujhe pyar karti hai ...to tujhe pura South India mai ghumaunga ...ni to Sikkim ka kharcha tera ....aur maine bhi josh josh me han kah di....aur condition thi ki recording bhi karke layega aur ham sabko sunayega .....aur ye tab hua tha jab Ham DJ lekar uske ghar ke samne se gujar rhe the aur vo balcony me nhi aayi thi ...phir knhi dikh bhi nhi rhi thi .....
Usne South India to dur jale par mirch lgane ke liye do Honeymoon ke ticket aur bhej diye the mujhe Shimla ke ....jiski wajah se vo abhi bhi hans rha tha .......aur Apun sirf dant pees kar ghur rha tha ....


Kabhi Kabhi sochta hun ki itni buri bhi nhi hai...aur aaj jab maine use dulhan ke jode me saje huye dekha tab mahsus hua ....
"Kuch to hai isme jo kisi aur me nhi hai ....iske andar dhoondane ki bajaye...main idhar udhar bhatak rha tha ......Is Halat me bhi mai udash nhi tha ...kyonki shadi kisi se bhi ho rhi ho ....aur uske laddu khane ka apna alag hi ek mja ...kisi na kisi ko humsafar to bnana tha ...to yahi sahi ....:sigh: ....


Maine Muskurate huye uskka Hath thama aur apne sath me jeene aur Marne ki kasam ki bajaaye sirf sath jeene ki kasam khayi ....


Aur ye thi Meri ek chhoti si kahani jo Rang Barse re Bhige chunar vali se chalkar Sajan chale sasural par khatm ho gayi .....


Lekin lekin and lekin Asali kahaani toh yahaan se suru hoti hai shaadi hogayi sab hogaya par pata nahi kyun hum dono k bich mein meri ego aagayi darshall kaafi reasons they unmein se ek ye tha ki usko humessa mere parents kaa support milta tha Jo humessa mere against rehtey they...fir choti-2 baaton par jhagdey hona suru hogaye or baat bigadtey-2 orr jyaada bigad gayi or hua yun ki noubat yahaan talaakh ki aagayi thi...or gajab baat ye thi ki main court k Rest room mein baitha ye sab sochraha tha ..ab jaake main present mein aaya tha abtak Jo bhi tha woh mere past k tukdey they jinhe maine dikhaaya tha BC story naa hui inception hogayi...


Ab main thoda nervous horaha tha or uska ekmaatar reason ye tha ki meri mulaaqaat hone walli thi abhi usase kaafi din baad kyunki woh pichle kuch din se apne Maayke mein he reh rahi thi or mere family wallon ki jidd thi ki main usko manaalun....par lawda kaise manaalun pehle jab shaadi k liye manaaya tha tab nashe mein tha lekin ab nahi ,sochraha tha ek peg lagaa he lun... Fir socha court hain lawde lag jaaenge ..


And then woh lamhaa aagaya jiska mujhe intejaar tha aakhir woh mere saamne aai orr ek baarko toh main usko dekhke ye bhi bhulgaya ki yahaan kyun aaya tha kyunki woh thi he itani sundar koi bhalla kaise kuch yaad rakh shakta hai....Uske sath uske bapu cauhaan Sahaab bhi they BC ye bhi talaakh lega kya sath mein.... Lekin gajab tab hogaya jab usane kahaa ki "beti tum dono baat karlo main bahaar khadda hun.." Lekin iski cikani -chupaddi baaton mein fasna nahi doobara warna apni jindagi ko firse barbaad karlogi tum...""


Ye bolke woh bahaar challa gaya or Himanshi mere saamne rakhi chair par aake baithgayi...
Kuch derr takk humaare bich bilkul shaanti chaai rahi or aakhir main he uss chuppi ko todata hua bola...


Main-toh tumne apna fainsla leliya hai...


Himanshi-haan or achha hoga tum bhi apna fainsla lelo...


Main-himanshi dekho...


Himanshi-mera decision final hai usse badalne ki koshish naa karo toh he behtar hai...


Waah uske baap ne pura taiyaar karke bheja tha...


Main-lekin kyun??... Aisa kya kiya hai Maine..?


Himanshi-tum wajah puch rahe ho tum, you ruined my whole life meri puri jindagi barbaard kardi tumne or ek baar nahi baar-2 tum aisa kartey ho suru mein bhi aise he chhodke chale gaye they or fir waapis aakar mujhe mana liya main he paagal thi Jo maangayi agar naa maanti toh aaj kissi k sath sukhi jeevan bita rahi hoti...tumhaare liye toh ye sab majaak hai tumhe kya farak padta hai tumhe lagta hai ek baar galati karo or fir maafi maanglo woh bhi nashe mein...


Main-aaj Jo kahunga sach he kahungaa...


Himanshi-koi faayda nahi hai main nahi maanane walli...


Main-matt maanana lekin kam se kam meri baat toh sunlo ki kehana kya caahta hun main agar aaj nahi bol paaya toh puri jindagi ye dukh rahega ki kaash Uss din boldiya hota toh aaj haalaat kuch orr hotey...


Ye sun woh thodi shant hui ...


Main-Dekho himanshi tumne sahi kahaa mere liye ye sab ek majaak he toh hai darshall mere liye in riston naaton ki koi ehmiyat nahi hai shayad yahi wajah hai main baar-2 tumhaara dil dukhaadeta hun.. Lekin in pichle kuch dinon mein jab tum mere pass nahi thi tab Maine realise kiya ki I am nothing without you "You Complete me"... Tumhaare sath hue jhagdey roj-2 ki nokk jhonkk tumhaara ruthana tumhaara muskuraana I miss everything I feel incomplete without you mujhe raat ko nind nahi aati sharaab takk ashar nahi karti abtoh isliye usse bhi chodd chukka hun humaare kamre mein pair takk nahi rakh paata main because wahaan ka akelaapann khaaney ko doudata hai mujhe...lekin please ek aakhiri chance dedo mujhe.


Himanshi-aajtak naa jaane kitane moke diye hain Maine tumhe lekin harr baar mera vishwash todda hai tumne nahi ab orr nahi seh shakti main...


Ye bol woh piche Mudd kar jaane lagi lekin maine uska hath pakad liya...


Main-Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni sunane se pahle,
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hain ye aankhen muskurane se pahle...



Himani- ye juthi shaayari keval Bolane mein he theek Lagti hain baaki inka ashli jindagi se koi taaluukk nahi hota....


Main-hum jaison k liye toh iska he matlab hota hai main beshak bahaar se kitana he akdu tha lekin Maine humessa tumhaare liye yahi socha tha ki you deserved better then me mere andar kitani he ego ho lekin main humessa sochta tha ki you deserved someone better koi Aisha Jo tumhaari feelings ko samjhe or unki kadar kare and deep inside myself mujhe ye bhi maalum tha ki main Jo kar raha hun sab galat hai or iski kimmat mujhe tumhe khokar chukaani padegi lekin Tabb mujhe ye andaaja nahi tha ki tum mere liye kya maaiyne rakhti ho tab mere liye ye sab majaak tha lekin ab jab tum mujhse durr ho toh mujhe pata chala ki main toh adhurra he hun tumhaare bina woh kehtey haina ""Tum Kitne Dur Ho Mujhse Main Kitna Paas Hun Tumse,
Tumhein Pana Bhi Namumkin Tumhein Khona Bhi Namumkin.""...


Himanshi ki aankhon mein aanshu aachuke they woh ektak mujhe he ghurre jaarahi thi...or main uske saamne khadda tha or usse manaane ki koshish kar raha tha...


Main-tumhaare pitaaji humessa sahi kehtey they mujhe koi andaaja nahi hai ristey naaton kaa main aaj bhi yahi kahunga you deserved better then me...


Ye bolke Maine apni jeb se ek kaagaj or pen nikaala ye kaagaj tha humaara divorce certificate jispar Himanshi k sign already they or side mein Maine apne bhi kardiye yaani ki this is official now...Maine woh certificate Himanshi ko dediya...


Main-main tumhe yahaan aaj manaaney nahi aaya tha mujhe pata tha ki ab koi faayda nahi hai balki main toh ye bataane aaya tha ki main tumhaare kaabil nahi hun or tumhaare liye yahi achha hoga ki tum mujhe durr raho or ek nayi jindagi suru karo...or I hopeki tumhe mujhse behtar aadmi millega..BEST OF LUCk...


Meri baatein sunkar woh wahin ki wahin jammi rehgai uski aankhon se lagaataar aanshu behrahe they ...ab main Wahaan or nahi rukk shakta tha ab court mein koi kaam reh nahi gaya tha ab jaise he ye certificate submit hoga tabhi hum dono kaa divorce officially hojaaega...


main ghar aake packing karne laga main kal ye desh chhodkar jaane waala tha meri maa or bapu ne mujhe nahi rokka or agle din subah 8 bajkar 28 minute par main apni flight mein baitha tha.. ye flight 2 mins mein take off karne waali thi or as per pilot's orders main apna phone switch off karne he waala tha ki mera mobile bajj padda...Jo Mere advocate sharma kaa tha...Maine woh aakhiri call uthaaya taaki usse bata shakun ki sab hochuka hai...


Sharma-are kahaan gayab ho janaab judge sahaab kaafi khafaa hain aapse or mujhse bhi...


Main-kyun..?


Sharma-are kyun kya kal ki date thi tumhaare or himanshi k case ki tum kal bhi nahi aaye or jab fir Maine ek din kaa delay maangta judge sahaab se tab aunty ne bataaya ki tu Australia jaaraha hai bhai maanta kya hai...


Main-abe insab ki jarurat nahi hai ab Maine certificate par sign karke himanshi ko dediya hai sab khatam hogaya ab...


Sharma-kya baat kar raha hai bhai lekin judge sahaab k pass toh koi certificate submit hua he nahi orr uppar as himanshi k vakeel toh case bhi withdraw karwaake chale gaye...


Main-kya...


Ye main itani jorr se chilaaya ki pure passengers mujhe ghuraney lagey ...


Sharma-haan bhai Certificate submit nahi hua..


Ye sun meri aankhon mein aanshu aagaye they Reason kya thaa :D ye toh maalum he hoga...


The End


Sometimes Two People Have To Fall Apart To Realize How Much they Need to Fall Back TOGETHER.....
AP 316 sir no words :adore:
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top