prasha_tam
Well-Known Member
- 3,830
- 5,388
- 143
Mast update hai bhaiUpdate 62
Neha apne room mein jakar bed par baith ro rahi thi aur tabhi sana bhi uske piche room mein aati hai aur usko rote hue dekhti hai tabhi uske paas baith jaati hai aur puchne lagti hai ki woh ro kyu rahi .sana ko neha ka aise rona bilkul bhi achha nahi lagta toh isliye woh neha ko gale lagakar consol karne lagti hai .
Sana- kya hua neha tum aise ro kyo rahi ho kisi ne kuch kaha kya tumhe .
(Neha rote ja rahi thi par sana ko koi jawab nhi de Rahi thi )
Sana- koi baat hai dekho aise ro mat please
Sana- chal ab chup kar jaa
Sana ab neha ke ansu pochne lagti hai
Sana- bta neha akhir baat kya hai tu aise ro kyu raha hai
Sana- agar kisi ne kuch bola hai toh jaldi bta tu chinta mat kar dekh teri bhabhi tere sath hai tujhe kisi se darne ki koi zarurat nhi
(Sana tabhi neha ke suit ki fati hui side dekhti hai aur woh samajh jaati hai ki neha ke sath kisi ne zabardasti ki hai )
Sana- neha kis ne kiya yeh sab dekh tu aise ro mat mein mujhe bta kis ne ki yeh ghatiya harqat ki
(Sana ab neha ko kas ke gale lagati hai)
Neha - do admi the
Sana- abhi chal police station jakar report karte hai .
Neha - koi fayda nhi hai bhabhi police station jaane ka
Sana- par kyu kon the woh log tu aise kyo bol rhi hai
Neha - dilawar ke admi the aur agar aaj woh dheeraj time par nhi aata toh mein toh kisi ko muh dikhane ke layak nhi rehti ( neha rote rote yeh baat bolti hai)
(Sana dilwar aur dheeraj dono ka naam sunkar thoda chonk jaati hai aur neha sochti hai ki usne yeh zaldi zaldi mein usne kya bol diya usko dar lagne laga ki agar dilawar ki baat Hui toh sana ko aryan ke past ke baare mein bhi pta chal sakta hai aur agar aisa hua toh phir uske bhai ki achhi khasi chal rahi married life barbad ho jayegi )
Sana- ruk abhi mein tere bhai ko phone karti hun woh dekh lega is dilwar ke admiyon ko
Neha- nhi bhabhi aisa mat kijiyega aap ko bhai ki kasam nhi toh woh phir se mere liye ...
(Sana samajh jaati hai ki neha bolte bolte chup kyo ho gyi hai )
Sana- bol neha phir se kya
Neha - sorry bhabhi mein apko yeh baat nhi bta sakti aap please jayiye yahan se mujhe abhi kisi se koi baat nhi karni .
Sana- tu mujhe yeh baat isliye nhi btana chahti hai na kyunki tujhe lagta hai ki mujhe agar yeh baat pta lag gyi ki aryan kisi dilawar naam ke ganstger ke liye kaam karta tha aur yeh baat tum logo ne mujhse chupyi hai toh mein aryan se rishta tod lungi .
Neha - tum dilawar aur aryan ke past ke baare mein janti ho ( thoda darte hue aur pure shock se aisa bolti hai )
Sana- han sab kuch
Neha - tumhe yeh baat kisne btai bhabhi dekho bhabhi mein hath jhodti hun tumhare aage mera bhai tumhe bahut pyar karta hai please usko chorr kar nhi jaana humne tumko yeh baat isliye nhi btayi....
Sana- mujhe sab pta hai neha koi explanation dene ki jarurat nhi hai aur aryan ne hi mujhe sab sachai btai hai uske past kr baare mein aur chinta mat kar mein tere bhai ko kahi chorr ke nhi jaane wali tu bas yeh bta ki tere sath un logo ne kiya kya baki ka tera bhai khud dekh lega dekh mein hoon tere sath tujhe darne ki koi zarurat nhi hai
Neha - par bhabhi tumhe zara si bhi narazgi nhi hai ki humne...
Sana- dekh yeh baatein baad mein bhi kar lenge tu bta exactly hua kya tha aur yeh tune us dheeraj ka zikar kyo kiya .
(Neha ab sana ko saari baat btati hai ki kaise woh dono admiyon ne uske sath jabardasti karne ki koshish ki par dheeraj ne bich mein aakar kaise neha ko bachahya aur neha ne yeh bhi bataya ki usne dheeraj se itni rudely baat kyo ki )
(Sana neha ki jab yeh baat sunti hai toh usko bahut dukh hota hai ki neha ke sath kaise dilawar ke admiiyo ne galat harqat ki woh soch yeh bhi soch rahi thi ki shayad dheeraj itna bhi bura nhi hai aur woh sach mein aaj bhi aryan ko apna dost Manta hai tabhi usne neha ki help ki thi)
Sana- dekh tu dar mat mujhe ek baar tere bhai se baat karne de
Neha - nhi bhabhi meri wajah se pehle hi aryan bahut taklif jhel chuka hai .mere hi karan usne yeh galat kaam karna shuru kiya tha
Sana- par usko batan toh padega na neha aur agar usko khud pta chal gya toh tujhe pta hai phir woh kya karega
Neha - par bhabhi
Sana- are tu chinta mat kar mein hoon na mein karungi tere bhai ke sath baat iske baare mein
Neha- tum samajh nhi rhi ho aryan bahut gusse wala hai agar usko pta chal gya toh phir jhagda karega .
Sana- kuch nhi karega tumhara bhai bas jaakar us dilawar se baat karega ki aage se hamare parivar ko uske admi koi taklif na de
Neha - aur tumhe lagta hai woh aryan tumhari baat maan jayega
Sana- woh tu mujh par chorr de tujhe chinta karne ki koi zarurat nhi hai is baat ki ab tu rona band kar .
Sana ab neha ko dilasa deti hai aur bahut pyar se samjhati hai jis se neha ka mood ab thoda thik ho jaata aur woh thoda normal ho jaati hai bas usko is baat ka dar tha ki bas ab aryan koi ulthi sidhi harqat na kare jab usko is baat ka pta chale
Aryan abhi is waqt kaam kar raha tha aur bahut sust nazar aa raha tha kyunki woh saari raat soya nhi tha tabhi vicky aryan ke paas aata hai
Vicky - kya baat hai aaj kuch tabiyat nazuk lag rahi hai tumhari bukhar hai kya
Aryan- nhi bhaiya bas thodi kamzori si lag rahi hai
Vicky - waise ek baat puchu
Aryan- han boliye na bhaiya
Vicky - teri love marriage thi ya fir arrange
Aryan- love marriage hai bhaiya
Vicky- par tujhe us ladki ne pasand kaise kar liya
Aryan- kyu mujhme koi kami hai kya
Vicky- nhi kami toh koi nhi hai par phir bhi bura mat manana teri wife toh alag hi level ki khubsurat hai aur tu kahan average sa dikhne wala upar se tu toh pehle koi kaam dandha bhi nhi karta tha phir itni achhi ladki tujhe se kaise pyar kar baithi .
(Aryan ab gusse se vicky ki taraf dekhta hai )
Aryan - toh kal tum meri biwi ki taraf dekh rahe the.
(Vicky ab aryan ki taraf dekh thoda ghabra jaata hai a)
Vicky - are yaar chill kar mera woh matlab nhi tha
Aryan- toh kya matlab tha tumhara
Vicky- are tu mujhe aise gusse se kyo dekh raha hai bhai dekh bhai Teri biwi meri bhabhi jaisi maine bas usko ek compliment hi diya hai par tu toh aise dekh raha hai jaise maine uske baare mein kuch galat kaha hai .
Aryan - par tumne compliment bhi kyu diya dekh agar tumne meri sana ....
Vicky- ruk bhai tu mujhe galat samajh raha hai tu bhabhi chorr aaj ke baad teri biwi meri behan tu kahe toh is raksha bandhan tere ghar aakar rakhi bhi band dunga .
Aryan- phir thik hai
Vicky - waise ek baat or thi jo puchni thi
Aryan- bolo na bhai kya puchna hai
(Vicky sochta hai ki yeh bhi kya Banda hai abhi thodi der pehle aise react kar Raha tha jaise maar dalega aur ab sidha bhai )
Vicky - tumhari wife ke ghar wale maan gye the kya tumse shadi karane ke liye.
Aryan- han maan gye the par aap sab yeh mujhse jaan kar karoge kya
Vicky - kuch nhi mein toh bas aise puch raha tha waise yeh sana ji hai kis khandan se
(Aryan sochta hai ki yeh kya vicky police ki tarah investigation kar raha hai par woh thoda sochne ke baad sana ki family ke baare mein jhuth bolne ki sochta hai )
Aryan- kuch nhi uske papa kabadi hai bechare humse bhi gareeb hai
Vicky - par sana ki taraf dekh kar toh lagta hai ki woh kise achhi aur rich family se belong karti hai
Aryan- kya bola sirf sana
Vicky - mere matlab sana behan ji
Aryan - ab thik hai kuch nhi uske maa baap ne usko bade laad pyar se paala hai isliye kisi chiz ki kami nhi rehne jis wajah se apko laga ki woh kisi achhe parivar se hai
Vicky - par yeh bike dikhne mein toh bahut mehngi lagti hai aur tu toh keh raha tha ki yeh dahej mein mili hai
Aryan- yeh toh uske kisi cousin ne di thi jinka family background thoda achha hai
(Vicky man mein sochta hai ki yeh aryan kitna ghatiya hai ki itni achhi ladki usko pasand karti hai par phir bhi isne uski family walo se dahej liya )
Aryan- achha bhai suno mere break ka time ho gya mein abhi Ghar Jaa Raha hun khana khane .
Vicky- thik hai par time par aa jana .
Aryan- aap chinta mat kijiye mein 10 min pehle hi aa jaunga.
Aryan ab ghar par pahunchta hai aur sana ghar ka darwaza kholti hai .
Sana- aa gye aap
(Aryan sana ko apni bahon mein leta hai )
Sana- chorro ji aap toh aate hi shuru ho gye
Aryan - ab mein kya karu tum ho itni kamal ki raha nhi jaata .
Koi nhi bhai ... Aap phela apni family ka responsibilities par dhyaan do ... Abhi apki jarurat apka father aur family ko sabsa jyada hai isliya aap woh sabsa phela karo ... Baki jab agar kabhi time Mila toh update de Dena yaha par ...Bhai ek bahut badi problem mein fas gya hun mere father ka accident ho gya hai ab mujhe sari ghar ki responsibility samabhalni hai aur dukan bhi isliye mein ab story ko kabhi bhi aage nhi bada paunga kyunki ab bahut busy ho gya ho jaunga waise bhi story likhne mein bahut time lag jaata hai mera bhi dil tha story ko continue karne ka par ab shayad hi ho payega sab ko dil se sorry