- 16,518
- 48,666
- 259
A
(1)
Chama bahot dukhi thi. Usne apne jode ko kho diya. Vo apne aap shant nahi kar pa rahi thi. Use Liyaka ki taraf se kuchh pal rukne ka hukam mil chuka tha. Vo bas dushman ko hi dekhe ja rahi thi. Uske hatho me apne jode ki khopdi thi.

Chama ne bahot ladhaiya ladhi. Par esa nukshan uska kabhi nahi huaa tha. Uski kai chudele mar chuki thi. Aur vo bas 200 hi rahe gai thi. Vo ye to samazti hi thi ki jung yudh me sipahi marte hi rahete hai. Koi yodha jinda bachta hai to koi mar jata hai. Magar sabae bada nukshan uska joda mar gaya vahi tha. Chama ki pishaji najar kabhi to veer ko dekhti to kabhi Reeta ko.
Vahi us par Durbin se dekh rahi Reeta samaz gai ki chama badla lena chahti hai. Aur uski najar veer hai. Ek maa hone ke nate apni aulad ke lie darna uska lajmi tha. Vahi Kamini ka khema jyada pareshan is lie ho raha tha. Kyo ki dushman ese wakt par shant kyo hai. Vahi veer ne bhi apni Sniper gun ke scope ke jariye kisi ko aate dekha.

Koi aksh aur fir uske pichhe dhire dhire bahot badi sena. Jo chama aur koprica se jyada thi.
Veer ; maa vo kon hai. Andhera hai to dikhai nahi de raha.
Reeta ne bhi dekha. Par chahera pahechan me nahi aa raha tha.
Reeta ; pata nahi chal raha. Par bahot sare hai.
Tabhi karishma jo apne pishaji ankho se dur tak saf dekh sakti thi. Usne dekh liya ki vo kon hai.
Karishma ; vo kayra hai. Jisne tumhe agvah kiya tha.
Veer ko sab yaad aa gaya. Par vo use dekh nahi3 sakta tha. Par janta tha ki kayra ki kattar dushmani Tanya ke sath hai.
Veer ; lo Tanya ka shikar aa gaya.
Vahi jis tarah se Veer , Reeta aur karishma Tanya dekh rahe the. Vese Kamini aur aaoga bhi dekh rahe the. Kamini ne dekhte hi turant pahechan liya. Vo Mikhail tha.

Kamini ; Aaoga tumhara beta khilaf kheme me hai.
Aaoga ; kahe ka beta. Ye mere bache ka hatyara hai.
Kamini bhi jan chuki thi ki Darry ke bhai Barry ka katil khud unka bada bhai Mikhail hai. Jab ki Mikhail khud aaoga ka beta tha..use sirf aaoga aur kamini hi nahi Darry bhi dekh raha tha. Darry bhula nahi tha ki kese Mikhail ne uspar dhokhe se hamla kiya. Aur kese use fasaya. Sabko apna apna dushman dikhai dene laga. Karishma aur Mayra dono ki najre bhi ek dusre ko dekh rahi thi.

Dono ki dushmani to kafi purani thi. Halaki Mayra karishma ko nahi shusumi ko dhudh rahi thi. Jo ki vaha thi hi nahi. In sab par command karne ka jimma Mayra khud par leti hai.
Mayra ; chama..... Hamla shuru karo.
Par tabhi uske hukum ko nakarne vali aavaj aa gai. Vo aur koi nahi liyaka khud thi.
Liyaka ; ruk jao.....
Mayra ne ghum kar dekha to vaha uski maa Liyaka ladhai ki puri taiyari ke sath pahoch gai.

Liyaka ke sath uski sabse khas jabaz bahadur chudele thi. Jo bahot hi jyada berahem thi. Kayra mayra aur ab badi foj ke sath liyaka khud aa gai. Jis se Kamini ki najar jarur mili. Dono hi ek dusre ko dekh rahe the. Dono barso bad bhi aamne samne aae ek hi pita ki dono santan jinki maa alag alag par maa bhi apas me bahene thi. Lekin sirf rani ban ne ke lie Liyaka usko dushman bane hue thi.
Vahi Kamini bhi apne pati matlab ki jode dhima ke katil ko dekh rahi thi. Kamini ki tarah Reeta bhi to dhima ki biwi thi. Aur liyaka Reeta ke pati ka bhi to katil tha. Lekin liyaka mayra aur kayra ko milakar kul pishajo ki sankhya 1500 se bhi jyada thi. Vahi naki chudele chama, koprica aur zeba ki chudelo ko gine tab 2500 jitni chudele Kamini ki taraf se ladhne vali thi..to Kamini ki taraf se kul 100 bhi nahi thi. Liyaka ne hamle ka hulam de diya.
Liyaka ; chama aur koprica pahele tum hamla karo.
Kamini ka hukam milte hi dono chudel raniya aage aa gai. Jaha chama berahemi se hamla karne vali thi to koprica pahele dushman ko aag ki lapto me jalane ko taiyar ho gai.

Bas ek hi hulam Liyaka ne chillaya.
Liyaka ; hamla.....
Aur Liyaka ke hulam se turant hi chama ki chudele bhag kar hawa me udan bharne lage. Vo nadi par kar ke dushman ko sidha harana chahte the. To koprica ne dur se hi aag ke golo ne fekna shuru kar diya.
(1.1)
Jaha jung ke lie har koi apne apne dushmano ko dekh raha tha. Vaha Debrina ko taiyar kiya ja raha tha ki vo ek ajib se dekhne vale jiv ko mar de. Kamini samne apne dushmano ko dekh chuki thi. Vo Liyaka se najre bhi mila chuki thi. Fir bhi vo bahot bada risk lekar jamin ki dararo me gai.
Debrina pahele se taiyar thi. Khubsurat masoom aur hatho me hathiyar lie vo bethi Kamini ke hukam ka hi intjar kar rahi thi.
Debrina ; me taiyar hu.

Us khubsurat chudel ko dekh kar koi bhi rahem kha le. Par chudel kabhi rahem nahi khate.
Kamini ; par tumne ye hathiyar kyo liya hai. Me tumhare sath suraksha bhej rahi hu.
Debrina ; ha magar me ise chhupa sakti hu.
Kamini janti thi ki kahi Debrina ko ladhne ka man karega to vo jung me kud jaegi. Jo ki bevkufi hogi. Isi lie use hathiyar lejane dena thik nahi hai.
Kamini ; nahi.... Tumhe hathiyar nahi lekar jana hai. Tum sirf un jiv ko jalagi. Aur vapas aaogi. Samzi. Ye hathiyar yahi chhod do.
Debrina ne achhe bache ki tarah apna hathiyar vahi chhod diya aur khadi ho gai. Par usne ye nahi bataya ki uske pas pahele se ek hathiyar hai. Jise usne chhupa rakha hai. Kamini use us jamini darar se bahar lai. Uske sath Raoga jane vali thi. Aaoga ne Debrina ko gale lagaya.
Akhir Aaoga apne pati kampar ke sath uska joda bana ne ko vo razi jo ho chuki thi. Kyo ki Debrina ko bahari duniya ka pata nahi tha. Aaoga use apne tarike se dhal sakti thi. Tabhi ekdam se aag ke gole girna shuru hue.
Kamini ; dushman hamla kar raha hai. Tum jaldi niklo.
Chudelo ne apne sharir ki aad bana li. Jis se kuchh dikhai na de. Magar Raoga ne lamba rasta chuna. Abhi tak dushman ko darar ke dusre chhor ka pata nahi chala. Vo rasta thoda lamba tha. Par sabse surakshit tha. Raoga Debrina ko usi lambe raste se lekar gai. Pahela vo log vaha gae.
VJaha Nipeti mari hui padi thi. Sirf Nipeti ka sar hi bacha tha. Baki sara sharir uska pibra jiv kha chuke the. Ek mara huaa pibra bhi vaha pada huaa tha.
Debrina ; tum yahi ruko. Me dhudh kar use yahi laungi.
Raoga ; nahi agad dhudhna hi hai to me bhi sath chalungi.
Debrina ; bharosa rakho.... agar koi khatra huaa to me turant bhag kar yaha aa jaungi.
Raoga man gai. Vo use jane deti hai. Debrina bina aavaj kie aage badhne lagi. Use ye pata tha ki brassa ke kan bahot kache hote hai. Aur sunghne ki saktiya bhi bahot kam hoti hai. Aage jate Debrina ko brassa jesi tez gandh aane lagi. Debrina samaz gai ki vo aas pas hi hai. Thoda aage jate use vo pibra jiv bhi dikh gae aur zeba bhi vaha dikh gai.

Zeba bhi mare hue pishajo ka khoon pine ki kosis kar rahi thi. Aur vo pibra jiv pishajo ke sharir ko kha rahe the. Aur pibra jiv ka size bhi badh chuka tha. Vo pahele se kad me bahot jyada badh gae the. Bas ab bhi vo brassa se thode chhote hi the. Par dekhne me vo bahot jyada hi the. Debrina zeba ko khud aavaj deti hai.
Debrina ; zeba..... Tum ab rani nahi rahi na.

Ye aavaj to zeba ke lie jani pahechani thi. Usne Debrina ki taraf ahista se dekha.
Zeba ; nahi..... Ab me rani nahi rahi. Tum ho meri rani meri bachi. Aao mere pas aao...
Zeba Debrina ko jarurat se jyada kamjor samaz rahi thi. Par Debrina to ghum kar chal padi. Zeba khadi hui aur dae bae dekhti hai. Kisi bhi pibra ne apna sar upar nahi kiya. Unhe Debrina ke sath hui batchit ka kuchh pata nahi chala. Vo ye to samaz gai ki Debrina vaha se chal di.
Matlab vo use jal me fasa rahi hai. Magar usne socha ki pibra ke hote use kon mar sakta hai. Zeba bhi us taraf chal di. Jis taraf Debrina gai thi. Zeba chali to vo sare pibra bhi uske pichhe pichhe chal die. Debrina use vahi leja rahi thi. Jaha zeba ne Nipeti ko apne jivo ke jariye marvaya tha.

Zeba Debrina ko dekhte hue usi jagah pahoch gai.
Zeba ; yaha aane se kya tum bach jaogi kya.
Debrina ; tumne yahi meri chudel ko mara tha na. Nipeti. Ab me bhi tumhe yahi marungi.
Zeba hasne lagi.
Zeba ; tum muje marogi. Mere ye bache tumhe noch khaenge.
Zeba ne apne jivo ko Debrina ki taraf bheja. Debrina bhi jese unhi ka intjar kar rahi thi. Vo unhe apne pas bulane lagi.
Debrina ; aao sare mere pas aao.

Debrina jan buchkar unhe dur leja rahi thi. Taki Raoga zeba ko mar sake. Huaa bhi vesa vo sare pibra Debrina ke pichhe pichhe jane lage. Debrina thoda tez bhagti hai. Fir ekdam se apni speed kam kar deti hai. Vo janti thi ki brassa ek bar pishaji khoon ki bu sungh le to apne aap ko rok nahi pate. Jung se bahot dur dhire dhire Debrina un pibra ko le gai. Chalte hue uska badan apne aap garam bhi hone laga.

Wakt aa chuka tha. Un pibrao ko khatam karne ka. Debrina ekdam jakar khadi ho gai. Sare pibra uspar tut pade. Yahi to Debrina chahti thi. Kahete hai ki jinn aag se bane hue hote hai. Debrina jinn ki beti thi. Uske andar se esi aag nikli ki usne sare pibra ko ekdam jala diya. Lekin Debrina ko ye nahi pata tha ki aag uske gusse se peda hoti hai. Jab un pibrao ne use kata. Use gussa aane laga. Aur vo khud jalne lagi. Sare pibrao ko jalane ke bad Debrina khud ko thanda karne ke lie pani me utar gai.

Debrina ne bahot badi mushibat ko bahot ashani se khatam kar diya. Aur vo vapas zeba aur Raoga ki taraf jane lagi.
(1.2)
Vahi jab Debrina un pibrao ko lekar ja rahi thi. Zeba badi joro se has rahi thi. Use lag raha tha ki rajkumari ko marne ke bad vo hamesha ke lie apne zund ki rani ban jaegi. Par tabhi use ehsas huaa ki koi abhi bhi vaha hai. Zeba ke pas ab bhi ek pibra tha. Halaki vo bahot chhota tha. Zeba usi ko god me lie jis taraf kisi ka hone ka ehsas huaa. Us taraf dekhne lagi.

Use umid nahi ho raha tha ki use jal me fasaya gaya hai. Achanak se usne Raoga ko dekha to uske hosh udd gae. Use dar bhi lagne laga. Raoga uske samne hathiyar lie khadi ho gai.
Raoga ; kya rani sahiba ko dar to nahi lag raha...

Zeba ; tum janti ho me ek rani hu. Aur tum ek mamuli si sipahi.
Raoga ; hmmm ab kya kar sakte hai. Tumhe ek sipahi ke hatho marna padega.
Zeba ne turant apne hatho me jo pibra ka bacha tha. Use Raoga par feka. Aur vaha se bhagne lagi. Us pishaji bache ne bhi Raoga par attack kar diya. Par Raoga ne kese na kess uspar kabu pa liya. Aur mar dala. Vahi zeba bhag rahi thi. Par vo achanak ruk gai. Kyo ki uske samne koi aa gaya tha. Vo aur koi nahi Debrina thi.
Debrina ; tumhare bache to mar gae. Ab kya karogi.....

Debrina gusse me ab bhi ekdam lal ho rakhi thi. Vo achanak Debrina ko dekh kar dar gai. Vo turant ghutno par beth gai aur apna hathiyar fel diya.
Zeba ; meri rani. Tum hi ho. Meri rani. Mene tumhe pala hai. Tum meri bahen ki beti ho.
Debrina ; par afsoos tumne us riste ko kabhi mana nahi. Chalo ye to thik hai ki tumne muje rani to mana. Aao... Aao is mouke par ham gale mile.
Itne me Raoga bhi bhag kar aa gai. Zeba khadi hui. Vo kabhi aage Debrina ko dekhti hai to kabhi pichhe Raoga ko. Magar dat Raoga ko bhi lagne laga. Kahi zeba koi chhal na kar de. Zeba bhi chalaki karna to chahti thi. Vo dhire dhire aage badhi. Aur jese hi Debrina ke pas aai. Debrina ne use baho me kash liya. Uska sharir tapne laga sur zeba ekdam se jalne lagi. Zeba jal kar mar gai. Raoga ne ye apni ankho se dekha. Vo ye nahara dekh kar heran rahe gai.