• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,421 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.5%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,715

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,169
109,352
259

HUNTERonFIRE

You have to be ODD to be number one
153
254
63
Alright, baat karte hai Rohan Bakshi ke graveyard scene ki. Kabristan ke bahar media ka hungama, police ka control, aur Rohan ka ek gehre gaddhe ke paas khamosh khade hona intense vibe thi.
Jo tasveerein usne dekhi - jalne ke nishaan, acid ke daag, haddiyaan, khoon se sani deewarein padh ke hi ek sihran si daud jati hai. Disembowler ki amanavik experiments and
Veer x Disembowler ki fight ki intensity ka Nishani thi ye sab.

Rohan ka apni beti ke kidnap aur uske rescue ke bare mein batana, aur uss mysterious naujawan matlab veer jo usse pata nahi abhi ke liye.

Trisha ne Rohan ko abhi ke liye veer ke baare mein nahi bataya, jo ki justified bhi hai kyunki ek to veer ne uski pyari beti ko bachaya, dusri woh khud veer ko leke curious hai, woh phele se hi Veer ke peeche padi thi gutthi suljha ne, Teesri sayad usne socha veer accha aadmi hai bura ek toh usne dono bacchiyon ko bacha ke accha kam kiya par but sawaalon to uthna hi hai kaise kiya huya, aur uski underground construction usko accha aadmi bhi nahi banata, to Trisha kisi ko batane se phele khud se veer pe investigation karegi.

Fir jab scene shift hota hai Nidhi ke ghar, toh mood ekdum change ho jata hai - intense se heartwarming.
Subah ke nashte ka scene, jahan parathe ki khushbu aur Juhi ki masoomiyat poore ghar mein goonj rahi hai, ekdum dil ko sukoon deta hai.

Juhi ka Veer ko Papa bolna aur uska uske saath playful bonding, yeh sab bohat pyaara tha. Nanhi juhi dil kush kar deti hai.

Veer ki genuine smile jo ab rare hi hoga, jo sirf Juhi, Nidhi aur kuchh aapnoke saamne aati hai, usne character ko ek alag hi depth di.

Nidhi aur Veer ke beech ka chemistry, woh thodi si awkwardness, chhoti-chhoti baatein jaise curtains change karna ya lamp lagana, yeh sab itna romantic feel hota hai ki lagta hai hum unke ghar mein hi baithe hai.

Veer uske paas aata hai, woh moment jab uska haath uske haath par rakhta hai, aur woh thodi si sharmahat - yeh sab ek lovey mood set karta hai.

Shreya uska Veer ke saath flirty vibe, but usmei jealousy Ki Boo thi jo sahi bhi tha.
aur uska date wala proposal, yeh sab ek triangle ka hint deta hai in teeno ke beech jo aage chal ke drama ko badhayega.

Triangle kiya? na Jane kitne hi angle honge aage chal ke, kitne drama honge. I trust your writing, Asha kar sakte hain drama ki intensity utni hi hogi like you write action scenes.

Shreya ka confident/flirty/jealous mix
attitude to wahi Nidhi ka thoda possessive hona, ab to Nidhi bhi thodi si possessive hoti dikhi 'NAHIII... veer nahi ja sakta date pe'
ek spicy layer add karta hai.

Hospital mein to accept kar liya ki she loves him but maan mein confession Karna aur samne confession karna alag baat hai.
Meanwhile, she is slowly emerging from her vessel.

Ab Juhi ki baat na karein toh review adhoora hai! Uska 'Mumma loves Papa' bolna kitni pyaari thi aur drawing mein Shreya ko ped banana, LMAO.
They said children are too honest, I guess this is it 😂

Juhi ki innocence aur uska Veer ke liye possessiveness, cute moment tha, juhi deserves to be in this moment, papa ka pyaar kiya hota hai veer ko pata hai kyunki usne kabhi papa ka pyaar mehsoos nahi kiya.

Par iske saath hi Shreya ka thoda hurt hona aur Nidhi ka apni feelings ke saath struggle karna, yeh emotional depth story ko aur rich banata hai.

Yeh scene ek perfect mix tha light-hearted moments aur underlying tension ka, jo characters ke relationships ko aur complex banata hai.

Asli dhamaka toh last mein aata hai - Aadesh Jaisinghani ka scene! Hotel Casa Belle ka penthouse, woh luxury vibe, aur Aadesh ka apni jeet ka celebration, sab kuchh ekdum high stakes feel deta hai.

Jab Balhaar apne aadmiyon ke saath achanak se uske suite mein ghus jata hai, toh scene ekdum se thriller mode mein chala jata hai.

Balhaar ka cold, calculated attitude aur Aadesh ka darr, yeh contrast ekdum jabardast. Jab Aadesh ko uske hi hotel mein chandelier se ulta latka diya jata hai aur Veer uske saamne aata hai, woh moment toh...🔥

Veer ka hockey stick se Aadesh ko punish karna, is he a punisher or what? man.. 🔥

Veer ka woh silent rage, aur Pari ka uske excitement ko notice karna - yeh sab dikhata hai ki Veer ka character ab kitna dark aur complex ho chuka hai. Man he is enjoying his outburst of hurting aadesh, DAMN 🔥

Ek taraf woh Juhi ka pyaara 'Papa' hai, aur dusri taraf ek ruthless avenger.

Pari ka tension veer ke iss excitement pe, ek moral conflict add karta hai 🔥
By saying moral conflict, you catchin naa what I'm sayin? Werewolf

Yeh scene itna intense tha ki you could feel the rush.

Trisha ka investigation angle bhi story ko aur gripping banata hai. Uska Hotel Prestige ke attack ke peeche Dhananjay ka naam nikalna, hume to pata hai lekin Trisha ko nahi. Woh ab Veer ke past ke saath Dhananjay connection dhoondhegi. Trisha ka Veer ke saath future confrontation kaisa hoga? Yeh questions dil mein ghar kar jate hai.

Overall, Har ek element - suspense, emotions, action, aur character development itna seamlessly blend kiya gaya hai ki you’re hooked.

Ek taraf Rohan/Trisha ka investigation, dusri taraf Nidhi-Veer-Shreya ka emotional drama, aur fir Veer ka dark, vengeful side 🔥

Veer Dhananjay ke paas ja raha hai, Trisha bhi usi raste pe. Veer apni mission pe lag chuka hai aur Trisha bhi.

BTW ava abhi kaha hai? Wahi hotel pe?

Aree Bhumika ko to bhul hi gaya tha, woh bhi to thi iss update pe, bohat din baad aye woh saamne, accha laga.
Mr moon knight x ... Loved your breakdown — so thoughtful and spot-on!
Your detailed take shows how much heart you put into reading!.

You know couple of years ago i read a webnovel (My Vampire System) by JKSManga.
The protagonist(
QUINN) had an adopted daughter named MINNY.

The more i read this story as it goes onn and the events which surrounds JUHI, i wonder she is very more like her..
There she was the most adorable and cutest. 🫰🏻

As her character development goes on i am adding her to my favourite characters list from this story.

My list goes like-
1. Kaera
2. Tej
3. JUHI
4. Suhana
5. Suman
We don't see Kaera much in recent updates. But when she was there in story my interest rose to peak.. she is something like a melody 🎶 of fire 🔥 and ice 🧊.

Werewolf waiting for the next update. 🫰🏻
 
satish786

New Member
19
76
13
Update - 201 ~ From the shadows (1)

Ab tak...

Purvi ko yu akela chhor woh kisi kaaran se hi gaya tha. Kaaran tha-

*Ding*

[Mission : The Devil is in the details.
Description : Find the culprit who messed with Hotel Prestige, Yarnia, and host's family. Find the plotter.
Rewards : 10,000 points.
Time limit : 1 month.

Mission failure penalty : Unknown for now.]

Yahi wajah thi, Veer ko ab desperate hone ki. Magar, abhi woh soch hi raha tha jab achanak uske mann me-

*Ding*

[Mission : Deal breaker (1)
Description : Find the truth about Pushkar, Gaurav and Nik.
Rewards :
1) 10,000 points.
2) Favourability increase of Divya and Suhana.

Time limit : 10 days.
Mission failure penalty : Losing Suhana and Divya.]

Pehle mission par toh Veer already lag chuka tha. Lekin, dusra mission padhte hi uski aankhein aashcharya me maare fel gayi.

'What!?'

Ab aage...

A few days ago,
Disembowler’s Lair,
Morning - 7:36 AM ~

Kabristan ke ilaake ke baahar peele rang ke barricade tapes lage hue the. Police officers ka jhund andar ikhatta ho rakha tha. Darjano hathiyarband adhikari kabristan ki purani dehti deewaron ke paas khade ho kar media aur darshako ko door rakhne ki koshish kar rahe the. Cameras ke shutters baar-baar click ho rahe the, aur reporters chillaate hue khabar jaanane ki maang kar rahe the.

Par, fir bhi... Iss shor ke beech, Maharashtra ke DGP, Rohan Bakshi kabristan ke andar khamosh khade hue the.

Uske haath aapas me bandhe the. Aur, aankhein neeche ek gehre gaddhe ki orr tiki thi. Yahi wo entry thi jo Disembowler ki lair ke andar jaane ka raasta thi.

Wo abhi tak neeche nahi gaya tha, lekin tasveeron me usne bahut kuchh dekha tha.

Jalne ke nishaan, acid ke daag. Jung lage bistaron par bandhi zanzeerein. Baal ke guchhe. Haddiyaan. Surgical instruments. Janvaro ke shav. Insaanon ke avshesh. Aise aise chemicals jinhe abhi tak theek tarah se pehchaana bhi nahi gaya tha. Kharocho ke nishaan, khoon se sani deewaarein aur, na jaane kya kya.

"Sir?"

Rohan ne dheere se apna sarr ghumaaya. Ek hawaldar kabristan ke gate ke paas se savdhani se andar aaya, maano beech me bolne se darr raha ho.

"Hmm?"

Rohan ne sawaaliyaan nazrein liye uss se poochha.

Hawaldar : Media waale ab out of control ho rahe hai, Sir. Barrier todne ki dhamki de rahe hai. Live dikha rahe hai sab aur jawab ki maang kar rahe hai. Bina wajah kyu police ne aisi jagah par jaanch jaari kar rakhi hai? Aur, agar wajah hai... toh saamne kyu nahi laate? Mujhe nahi lagta ab hum unhe lambe samay tak rok paayenge, Sir.

Rohan ne turant jawab nahi diya. Uski nazar barrier ke theek peechhe badhti bheed par gayi. Darjano microphone taane journalists khade hue the. News vans betarteeb dhang se khadi thi. Aur, cameramen giddh ki tarah focus lagaaye baithe the.

Logon me darr toh tha, magar akrosh bhi utna hi tha. Rohan ne akhirkar kaha.

Rohan : Unse kaho ki mein aa raha hu.

Hawaldar ne sarr hilaaya aur fauran hi tezi se waapas bhaaga.

Rohan dheere-dheere barrier ke baahar jaane ke liye orr badha. Aur, use baahar aata dekh reporters bhediyo ki tarah aage badhne lage, camera shutters click hone lage, recordings chalu ho gayi, aur microphones ek dusre ke upar dhakel diye gaye.

Rohan baahar aate hue unn sab ke saamne aa kar khada hua. Ek pal beeta. Aur, fir sawaalon ke vaar shuru ho gaye.

"Sir, kya aap batayenge ki kya kuchh chal raha hai? Kyu police ne iss kabristan ko band kar rakha hai kal raat se?"

"Kya serial killer pakda gaya hai? Ya aur bhi bodies mili hai andar?"

"Serial killer se janta safe hai ya nahi, Sir?"

"Kya wo akela hi hai ya aur bhi log hai?"

"Kya police koi badi khabar janta se chhupa rahi hai?"

Rohan ne apna haath uthaaya. Aur, afra-tafri ka mahaul chuppi me badal gaya. Ek kshan baad woh bola. Uski awaaz bhaari aur gambheer thi aur aankhein camera par tiki hui thi.

Rohan : Humne serial killer ka thikaana khoj nikaala hai.

Ye sunte hi bheed me tanaav badh gaya. Log kaanp uthe. Sach saamne aane waala tha.

Rohan : Abhi completely nahi keh sakte ki ye usi ka thikaana tha ya nahi. Lekin, 99% hum sure hai isme ki yahi par wo pichhle kuchh dinon se chhipa hua tha.

Journalist 1 : Yaha par se aapka kya matlab hai?

Rohan (glances) : Yahi! Kabristan ke neeche. Underground.

Journalists : !!!

Rohan : Aur, isliye police use dhundhne me nakaam ho rahi thi. Experts abhi neeche analysis kar rahe hai. Aur, maine neeche ki kuchh photos bhi dekhi hai.

Journalist 1 : Kya mila sir aapko? Kuchh batayenge?

Rohan : Dekhiye! Abhi iss baat pe mein charcha nahi karna chahunga. Neeche jo kuchh bhi hai, bahut bura hai.

Journalist 1 : Toh kya aap janta ko andhere me rakhenge?

Rohan (sighs) : Dead bodies!!!

Journalist 1 : *shivers*

Rohan : Mil gaya aapko aapka jawaab? Ji haan! Neeche se hume bodies mili hai. Ek nahi. Kayi. Sirf insaano ki hi nahi. Janvaro ki bhi. Aur, bhi bahut kuchh. Neeche underground poori ek lair hai. Aur, itni badi hai ki ye apne aap me ek bahut badi discovery hai.

Journalist 2 : Aur, uss serial killer ka kya? Kya police ne use pakad liya hai?

Rohan : Ji nahi! Wo yaha nahi paaya gaya.

Journalist 2 : Toh police ne ye location ka pata kaise lagaaya?

Rohan (sighs) : Meri apni beti... Chhoti si hai. Serial killer dwara kidnap ho gayi thi. Shaam ko. Uske saath ek aur bacchi thi. Do nanhi bacchiyon ko kidnap kar ke bhaaga tha woh.

Journalists : !!!?

Rohan : Par, ye khush-kismati ki baat hai ki dono bacchiyaan sahi salamat laut aayi. Meri wife, Mrs. Trisha, jo ki DSP hai, iss case me kaafi involve hai. Aur, kisi shubhchintak ne unn dono bacchiyon ko sahi salamat rescue kiya tha. Mrs. Trisha ne iski pushti ki hai.

Journalist 2 : Kaun tha woh? Kya hum jaan sakte hai?

Rohan : Iss baare me koi jankari haath nahi lagi hai. Bas, ek naujavan tha jo dono bacchiyon ko serial killer ke muh se chhura kar laaya tha. Humara dhyaan tabhi bacchiyon ko surakshit rakhne me laga hua tha. Aur, saath hi uss serial killer ko pakadne ke liye.

Kehte hue uski bauhe kass gayi. Kyunki, use bhi yahi jankari praapt hui thi.

'Trisha... Kab tak tum mujhse uss naujavan ko chhupaogi? Kya majboori hai tumhari jo tumne mujhe bhi-!!'

Par, wo chaah ke bhi apni patni se sach ko zabardasti nahi jaan sakta tha. Uski beti sahi salamat uske paas pahuchi thi. Aur, ye sab uss naujavan ki wajah se hua tha. Trisha ka kehna tha ki usne uss naujavan ka chehra nahi dekha aur na hi woh use jaanti thi. Magar... Rohan jaanta tha ki uski patni uss se jhooth bol rahi thi. Yaha tak ki uske saath waale officers bhi kuchh nahi ugal rahe the.

Aur, wo h jaanta tha ki iss sab ke peechhe, uski patni ka haath tha.

Journalist 3 : Toh, Sir kya bacchiyon ko bachaane waale ko kisi bhi tarah ki saraahna nahi di jaayegi? Uske liye kuchh nahi karegi police?

Rohan : Hum toh chaahte hi hai ki veh naujavan, agar ye news dekh raha hai, toh kripya saamne aaye, police ke sabhi log saraahna karte hue uska sammaan karna chaahenge.

Aise hi aneko sawaalon ke jawaab dete hue jab Rohan interview se fursat hua toh news channels me sansani si mach gayi.

Desh bhar me TV par breaking news ki headlines chalne lagi.

"Breaking News : Mumbai me sthit ek kabristan ke neeche mili khaufnak maand."

"Police ne pushti ki : Underground maand serial killer ki hi thi."

"Kal shaam do bacchiyon ko aghwa kar ke le gaya tha serial killer."

"Agyaat naujavan dwara dono bacchiyon ko bachaaya gaya."

Aisi tamaam headlines ghar-ghar TVs me daud chali. Aur, isme koi shaq nahi tha ki Veer ke gharwalo ne bhi ye khabre dekh hi li thi.

***

Present,
Nidhi's house, Mumbai,
Morning - 9:20 AM ~

Subah subah Nidhi ke ghar se taaze parathon ki khushbu aa rahi thi. Nanhi Juhi jiski aankhon me abhi bhi kahi na kahi neend bhari hui thi, uski urja me koi kami nazar nahi aa rahi thi. Tabhi, darwaze par ek dastak hui-

*Knock* *Knock*

Juhi ne darwaza khola, aur jaise hi saamne khade shaks ko dekha, uski aankhein chamak uthi.

Juhi (shrieks) : Papa!!!

Woh khushi se chillayi, uski nanhi baahein Veer ki orr badh gayi. Veer muskuraaya — woh teekhi aur sthir muskaan nahi jo aaj kal uske hontho par rehti thi, balki ek sacchi aur keval chand logon ke saamne hi pesh aane waali woh muskaan.

Usne Juhi ko araam se goad me uthaaya, wo khil-khila rahi thi, uske chhote-chhote haath Veer ko uski gardan ke peechhe se jakad liye.

Hall me theek peechhe, Shreya sofe par baithi thi, Dhruv uske bagal se baitha hua tha, aur wo apne haatho se chhote-chhote kaur kar ke Dhruv ko paraanthe khilaane me lagi hui thi.

Kintu, Juhi ka yu Veer ko 'Papa' bulaane se, uski aankhein chand pal ke liye sikudi. Nidhi ne use saara vakhyaan bataya hua tha. Magar, apne kaano se ise saamne sunana ek alag anubhav tha.

Shor sunte hi Nidhi apne haathon ko apron me pochhte hue rasoi se baahar nikli, aur baahar aate hi uske qadam tham gaye. Usne Veer ko dekha. Kaise uski shirt ki aasteen upar thi, hawa se baal bikhre hue the aur Juhi ko apni goad me wo aise uthaaya hua tha jaise maano wo sach me uski bacchi ho.

*Badump*

Uska dil dhadak utha.

Nidhi : Veer...! T-Tum... Aa gaye!?

Veer (smiles) : Hmm! Good morning!

Usne Juhi ko dheere se neeche utaarte hue kaha.

Nidhi (smiles) : G-Good morning! Kaisi thi raat? Maasi ke yaha? Thoda better feel hua ghar se nikal ke?

Veer : Hmm? Oh! Haan! Zaroor!

Nidhi : Oh! Badhiya! T-Tum ekdum time par aaye ho. Naashta taiyaar hi hai. Fatafat baith jao. Fresh hona hai toh washroom me jaa-

Veer : Nahi! Mein maasi ke yaha se brush kar ke, in fact naashta kar ke hi aaya hu.

Nidhi : Kya? P-Par-! Tum waha se hi kyu-

Veer (smiles) : Aap le aaiye jo bhi banaya hai. Mujhe abhi bhi bhookh hai.

Nidhi (smiles) : H-Haan! Haan! Zaroor! Bas ek minute!

Nidhi chehekte hue tez qadmo ke saath andar gayi. Idhar Veer ne Juhi ko ek chocolate ka box pakdaya toh woh bhi khush ho gayi.

Juhi : Yay~ Mere liye, papa?

Veer (nods) : Bilkul! Sab tumhara hai!

Woh kone me bhaagi, chocolate box ko kisi khazaane ki tarah maante hue use ahista-ahista kholne lagi.

Aur, ant me jab Veer sofe par baithne laga toh usne Shreya aur Dhruv ko dekha.

Veer : Hey!

Shreya : Hi!

Usne Dhruv ke gaal ko sehlaate hue use khilaaya. Nanha sa Dhruv taktaki lagaaye use aise ghoor raha tha jaise maano yaad karne ki koshish kar raha ho ki ye dekha-dekha shaks akhir kaun hai.

Shreya ne TV se Veer ki orr dekha, fir screen ki orr ishaara kiya. Ek news anchor bahut hi aakramak lehze me khabrein suna raha tha, uske peechhe crime scene ki dhundhli tasveerein flash ho rahi thi.

Shreya (quietly) : Yahi hai... Wo jagah... Hai na?

Veer ne uski nigaaho ka peechha karte hue screen par dekha aur haami bhari.

Veer : Hmm!

Shreya (frowns) : Tum udhar the!? Uss... Shamsaan ke neeche? Juhi ko bachaane ke liye?

Veer ne apni aankhein screen par hi tikaayi rakhi.

Veer : Hmm!

Sunte hi Shreya ke andar ek sihran daud gayi.

Shreya : Toh... Tumhara saamna uss serial killer se nahi hua?

Veer (jhooth bolte hue) : Jab mein waha pahucha tab wo waha nahi tha.

Shreya : Oh! Toh kaha tha woh?

Usne zor dete hue poochha.

Veer : Mujhe kya pata.

Shreya thodi jhuki, bauhe sikodte hue.

Shreya : Aur, wo ghaav? Tumhare haatho par, chehre par-!? Wo kaise aaye?

Veer ki aankhein abhi bhi screen par hi thi.

Veer : Kuchh jaanvar. Awaara kutte... Aur, wo jagah. Mein fisal gaya tha. Gir gaya tha waha. Bas itna hi.

*Silence*

Shreya chup rahi. Woh jaanti thi ki Veer uss se jhooth bol raha tha. Kyunki, Juhi ne pehle hi bahut kuchh Nidhi aur use bata diya tha. Kaise uske so called 'papa' uss serial killer se bhide the, kaise apne upar taange-taange wo unhe bacha ke laaye. Woh kaafi kuchh jaanti thi. Jab usne dekha ki Veer uss vishay se bhaag raha hai, toh usne aur dakhal dene ki koshish nahi ki. Bas itna hi poochhi-

Shreya : Itna pyaar karte ho Juhi se???

Veer : Haan!

*Badump*

Iss baar Shreya ka dil zor se dhadka. Usne ek gehri saans li.

Udhar Juhi ne apni chocolate chabaana shuru kar diya tha. Uski hasi, uski masoomiyat, ye sab kamre me kisi madhur sangeet ki tarah goonj rahi thi.

Shreya : Mujhe ab bhi samajh nahi aata.

Veer : Hmm?

Shreya (budbudaate hue) : Tum humesha cheezon ko halke me kyu lete ho!? Sach chhupaate kyu ho? Bataate kyu nahi logon ko?

Veer ne uski orr dekha.

Veer : Kyunki...

Shreya : ???

Veer : Kuchh sach... theek nahi hote. Unka chhipa rehna hi behtar hota hai.

Shreya bhooli nahi thi. Use sab kuchh yaad tha ki Veer ne uske liye kya kuchh kiya tha. Kaise wo uske liye khada hua tha. Kaise Rajat se usne Nidhi aur Juhi ko bachaaya tha. Kaise usne uski pehli job lagwaayi thi. Aur, kaise uska sapna bhi poora kar diya.

Tab woh use appreciate karne lagi thi. Par, dheere-dheere yahi appreciation, attraction me badal gaya. Aur, ab wo attraction kuchh gehra... kuchh uljha hua... Na jaane kin anubhutiyon par sawaar thi ab woh. Jo bhi tha, bahut prabal tha.

Lekin, aspatal me uss raat ke baad se, jab usne Nidhi ko use kass ke pakde hue dekha tha, uske andar kuchh badal chuka tha.

Shreya : R-Right-!!

Veer : !!?

Shreya : Uss raat hospital me... Pata nahi kaise, aisa laga jaise... meri gardan par kuchh aake laga tha aur fir maine shayad apne hosh kho diye the.

Uski baat sunn Veer ko turant hi ek shaks ka dhyaan aaya.

'Erica-!'

Woh jaanta tha ki Erica hi use Nidhi ke hospital se utha ke laayi thi. Uske baad Renshu use dusre hospital le gaya tha jaha Ragini bharti thi.

Veer : Tum thaki hui hogi. Unconscious ho gayi hogi.

Shreya : Arey nahi! Mein theek thi yaar sach me!!! Kuchh to hua tha... Yaad nahi aa raha kya...

Veer : Don't sweat on it.

Shreya : Yeah!

Juhi carpet par hi laiti hui thi, uske chaaro orr khilauno ki chaadar bichhi hui thi. Do gudiya aapas me nakli ladaayi kar rahi thi, toh wahi ek chocolate se sana hua haath plastic ki talvaar pakde hue tha.

Aur, tabhi-

Nidhi garma-garam paranthe, katori me red sauce, achaar aur chai ke do cup lekar rasoi se baahar nikli. Tray rakhte waqt uski ungliyaan kaanp rahi thi. Na hi garmi se, na hi thand se, balki kisi aur cheez se.

Uski nazrein apne aap Veer par pad gayi. Woh sofe par baitha tha, apni kohni ghutno par tikaaye hue, kinhi khayaalo me khoya hua tha.

Nidhi : Y-Ye..

Usne uske saamne ek plate lagaate hue kaha.

Veer : Ji! Thank you!

Nidhi : Ye chai...

Usne dheere se use cup pakdaate hue kaha. Par, cup lene se pehle jaise hi woh kuchh kehne waala tha. Nidhi ne uske pehle hi keh diya.

Nidhi : Teen chammach. Do cup ke liye. Humesha ki tarah.

Veer muskuraaya.

Veer : Aapko yaad tha!?

Nidhi : Kuchh important cheezein ab mein nahi bhoolti.

Usne jawab diya. Par, turant hi use pachhtava bhi hua ki bhala ye kya keh diya usne? Ye sunn'ne me kaisa laga hoga?

Nidhi (blushes) : M-Mera matlab... mujhe yaad tha.

Woh uske saamne baithi, sahaj hone ka naatak kar rahi thi, lekin aankhein baar-baar Veer par hi tiki rahi aur jaise hi unki nazrein aapas me mili, toh usne jaldi se apni nazrein fer li. Itne me Shreya uthi-

Nidhi : V-Veer...!

Veer : *glances*

Usne dheere se pukaara, jab Shreya haath dhone ke liye andar chali gayi.

Nidhi : Juhi tumhe bahut yaad kar rahi thi. Kal raat se hi-

Veer (smiles) : School nahi gayi aaj?

Nidhi : Nahi! Zidd kar rahi thi. Toh, maine bhi nahi bheja. Aaj tum pehle din aane waale the. Isliye, aaj rok liya maine. *smiles* Par, ye chhutti sirf aaj ke liye.

Veer : Mein subah se shaam yahi rahunga. Kahi nahi jaane waala.

Nidhi : Umm! *smiles* Thank you!

Juhi waapas bhaagte hue aayi. Uske gaal chocolate se bhare hue the. Aur, usne pyaar se pukaara-

Juhi : Papa!!

Veer : Hmm?

Ek pal ke liye apni beti ke muh se Veer ke liye 'papa' sunn, Nidhi ke gaal sharm se laal ho gaye.

Juhi : Mein aapki kanghi kar du??

Veer : Huh??

Juhi : Mumma Juhi ke baal banaati hai toh... toh, Juhi Papa ke banayegi.

Veer : Hahahaha! Mere baal itne lambe nahi hai, Juhi.

Juhi : Mouuu~ Mujhe banaane hai~

Veer : Achha theek hai. Par, abhi nahi. Abhi mein breakfast kar raha hu. Baad me. Theek hai?

Juhi (chimes) : Okay~

Wo khushi se haste hue uske peechhe sofe par chadh gayi. Nidhi bhi hasi.

Veer : Perfect! Aaj bhi inn parantho ka swaad bilkul pehle jaisa hi hai! Aur, ye chai bhi-!

Nidhi ne uske bhaav padhne chaahe, uske hontho par halki muskaan thi. Kuchh saal pehle yahi Veer dara hua rehta tha, study table par jhuka hua, exams ki taiyaari karta hua, aur aaj yahi Veer ek alag Veer bann chuka tha.

Usne dekha ki Veer kamre ko badi hi bareeki se dekh raha tha. Toh, usne khud se hi samjhaana chaaha-

Nidhi : M-Maine curtains badal diye hai.

Veer (smiles) : Haan, wo dekhe maine.

Nidhi : A-Aur, wo corner me lamp bhi rakh diya hai. T-Tum kehte the na ki udhar ek chhota lamp hona chahiye. Toh, maine...

Veer (smiles) : Ab zyada achha lag raha hai.

Nidhi : H-Haan!! Tum wahi baithate the aksar.

Usne khidki ke paas door ek kone ki orr ishaara karte hue kaha. Veer ne uski nigaahon ka peechha kiya aur sarr hilaaya.

Veer : Hmm!

Ye woh jagah thi jaha woh sabse pehle Nidhi ke ghar me aake baitha tha. Jab use laga tha ki duniya me use koi bhi rehne nahi dega. Uska koi thikaana nahi hoga. Tab, yahi jagah uski apni thi. Uski pasandeeda.

Veer ke bhaav padh, Nidhi ki aankhein namm ho gayi.

Veer : Aapne kuchh nahi poochha tha...

Nidhi : !!?

Veer : Koi sawaal nahi. Bas mujhe hospital se leke aayi thi aap. Mujhe apne ghar laayi jaise mein humesha se yahi rehta tha. Aur-

Nidhi : Mujhe kuchh bhi poochhne ki zaroorat nahi thi.

Veer : ???

Nidhi : Mein jaanti thi mein kya kar rahi thi. Aur, kiske liye kar rahi thi.

Veer : Kyu kar rahi thi? Kya iska bhi jawaab hai?

Nidhi : Nahi! Mein nahi jaanti kyu. Bas, itna jaanti hu ki maine jo kiya, sahi kiya.

Veer : Agar, wahi sthiti aaj firse aapke saamne aaye toh kya aap-

Nidhi : Hazaar baar karungi.

Veer : Huh!!?

Nidhi : Har baar!

*Badump*

Iss baar Veer ka dil ek dhadkan phaand gaya. Aur, Juhi jo laiti hui apne khilauno se khelne me lagi hui thi, woh aise hi chehekte hue bol padi-

Juhi : Hehe! Mumma ko papa se pyaal hai~

Nidhi (yells) : J-JUHIIIIII-!!!! *blushes*

Juhi : Mumma loves papa~ Mumma loves papa~ Hehehe~

Nidhi (blushes) : Juhiiiii-!! Chup!!!

Veer ne turant koi jawaab nahi diya. Uske honthon par bas ek halki muskaan saji hui thi. Akhirkar, usne baat ko palatate hue kaha-

Veer : Waise- ye deewar ke paint par abhi bhi wahi daag hai.

Nidhi : Huh? H-Haan! Woh... Woh waha par sab baith ke sarr tikaate hai toh waha daag bann gaya hai. Abhi tak maine uska kuchh nahi kiya.

Veer : Aur, landlord ne nahi dekha abhi tak ye?

Nidhi : Dekh gaye hai! *sighs* Thoda sa hi hai. M-Mein fix karwa dungi baad me.

Veer : Jab karwaana ho toh mujhe bula lijiyega.

Nidhi (quietly) : Mmm!

Na hi Veer ne usko apne paise ka rutba dikhaya. Na hi usko middle class life ka ehsaas dilaaya. Usne bas itna kaha... ki jab sudharwana ho, toh woh use bulaaye. Bas. Aur, Nidhi ko yahi baat sabse achhi lagi.

Tabhi, Shreya ki awaaz ne unka dhyaan bhang kar diya.

Shreya : Oh wowww~ Mujhe toh pata hi nahi tha ki aap dono ekdum shadishuda jode ki tarah baatein karte ho!!?

Nidhi chaunk gayi, uska shareer jhatka kha kar reh gaya. Veer ne bhi bauhe upar kar uski orr dekha.

Veer : Excuse me!?

Shreya pyaar se muskurayi, lekin uski aankhein sikud gayi.

Shreya : Bas itna hi kaha ki maine dii ko kabhi itna baat karte nahi dekha na. Tum toh unka ekdum chatty version saamne le aaye. Nice job Veer. *winks*

Nidhi : Sh-Shreya?

Shreya : No!!! It's actually cute.

Usne parantha ka ek tukda muh me daalte hue kaha.

Shreya : Mujhe sochne pe majboor karta hai ye ki maine dii ke aur kaun se versions abhi tak nahi dekhe hai?

Veer ne uski baaton me ek wazan mehsoos kiya. Woh tanaav kam karte hue halka sa hasa.

[Oh! Someone's jelly...!]

Veer : Well! Haha! Tumhe apni dii se kitchen me aur bhi tasty tasty dishes banwani chaahiye. Trust me! Unke aur bhi versions dekhne ko milenge. *sips* Ye chai kamaal ki hai.

Shreya : Oh please! Aaj itni achhi chai isliye bani hai kyunki tum yaha ho.

Veer : Huh!?

Shreya : Yes! Warna daily aisi nahi banti.

Nidhi : SHREYA!!

Usne ab daanta, lekin gaalon par gulaabi rang chadha hua tha. Tabhi, itne me Juhi achanak khadi hui, uske haathon me ek drawing book thi.

Juhi (runs) : Papaaaa! Papa!!! Dekho! Maine humara ghar banaya...!

[Aww!]

Veer ne drawing book haath me li aur use dekha. Usme Juhi ka ek nanha sa stick figure version, ek bade stick figure ke bagal se khada hua tha, jis par 'papa' likha tha. Aur, uske bagal se ek gulabi color ki 'mumma' khadi hui thi. Spasht roop se — Nidhi. Aur, ek stroller me chhota sa baccha jo ki Dhruv tha.

[It's so cute. Right, master?]

'Hmm!'

Shreya : Huh? Ek minute! Mein kaha hu???

Drawing me Shreya kahi bhi nazar nahi aa rahi thi. Apni maasi ki baat sunn Juhi ne drawing ko firse dekha.

Juhi : Umm... A-Aap... Maasi... Umm... Haan!

Uski ungli fir achanak se ek aur figure ki orr badhi. Aur, wo bade hi garv se boli.

Juhi : Aap ped ho!!!

Shreya (yells) : Kyaaaaaaa????

Veer (laughs) : AHAHAHAHAHA!!!!

Veer ki hasi itni zorr se chhooti ki woh khud ko hasne se rok nahi paaya.

Shreya : Juhi ki bacchi-

Veer : Hahahahahaha!!!

Juhi : Ehehehehe~

Veer ki hasi dekh Juhi bhi uske sang shaamil ho gayi, ye sochte hue ki shayad usne koi bahut badhiya kaam kiya tha jo uske 'papa' has rahe the.

Nidhi jhuk kar dekhne lagi, uske honth hasi ko dabaane ki poori koshish kar rahe the. Yahi. Yahi toh wo pal the jinhe wo miss kiya karti thi. Veer ke yaha hone se... kitni raunak badh jaati thi ghar me.

Par, tabhi Veer ke bol uske kaan me pade. Awaaz bahut hi dheemi thi.

Veer (drawing ko dekhte hue) : Woh wahi dekh rahi hai, jo woh dekhna chaahti hai.

*Badump* *Badump*

Nidhi ke dil ki dhadkane tez ho gayi. Palkein jhapki aur honth thar-thara uthe. Aur, woh achanak se uss se door hoke wapas se apni jagah par baith gayi.

Lekin, unke beech ki ye kashmkash akhir iss baar Shreya ki aankhon se chook ke na jaa saki. Woh ab ise aur andekha nahi kar saki. Usne napkin se apne haath pochhe aur ek muskaan bikherte hue boli.

Shreya : You know what... Ab hum sab ko ek break ki zaroorat hai.

Nidhi : Break?

Shreya : Yeah! Yeah! Break!

Veer : Kaisa break?

Shreya : Break! Har cheez se. Ye lagatar stress, jo kuchh bhi hua, Juhi ka kidnap hona, hospital me dii ka hona, fir shamshan me tumhara jaana, serial killer se Juhi ko chhura ke laana, and then tumhari hotel pe wo unknown attack, Ragini aunty ki injury, Yarnia ka shut down, all that shit and-

Usne khud ko thoda roka, use ehsaas hua ki uski awaaz kuchh zyada hi oonchi ho rahi thi.

Shreya : I mean... Ye... Ye sab bahut zyada tha, right?

Veer ki palkein jhuk gayi. Nidhi ne bhi ek aah bhari, uske kandhe adrishya bojh se bhaari ho gaye.

Nidhi : Tumne sahi kaha.

Shreya khadi hui, table ke chaaro orr ghoomi aur Veer ke bagal se sofe ke armrest par baith gayi, kuchh zyada hi nazdeek.

Shreya : Plus... Mein Singapore se waapas aayi hu. Can you imagine? Singapore se! Mera shoot cancel ho gaya. Sab kuchh beech me chhorna pada. And, I don't even know why. Toh, ab mein practically unemployed hu aur frustrated bhi.

Veer : Toh?

Shreya : Toh, mere paas ek badhiya idea hai.

Veer : Jaise ki-?

Shreya : Jaise ki... Tum mujhe-

Veer : !!?

Shreya (smiles) : Ek date par leke chalo!

Nidhi : !!!!!

Veer : Huh?

Nidhi ko apne kaano par vishvas nahi ho raha tha. Juhi farsh par se uthi aur boli.

Juhi : Date pe? Mumma date pe kaise jaa sakte hai?? Usko to likhte hai na?

Bechari nanhi Juhi couple waali date ko tareekh waali date samajh rahi thi. Aur, isme uski koi galti bhi nahi thi. Shreya uski galat-fehmi par muskurayi.

Shreya : Woh waali date nahi, my little munchkin.

Juhi : Toh aur kaun si date??

Shreya ne naatkeeya dhang se apni zulfo ko peechhe karte hue jawab diya.

Shreya (smiles) : Iss date me sirf do bade log jaate hai, sweetie. Lunch pe, ya dinner pe, saath-saath. Sirf ek ladka. Aur, ek ladki.

Juhi : T-Toh, mein bhi chalungi.

Shreya (grins) : Hmph! Shayad tumne suna nahi beta! Maine kya kaha? Isme sirf do bade log jaate hai. Aur, tum kya ho?? Chhoti bacchi. Samajh gayi?

Juhi : M-Mujhe bhi jaana hai-!!!! Mein bhi papa ke saath jaungi!

Shreya : Hahaha! Ab toh tum aur nahi jaa sakti.

Juhi (ruwasi awaaz me) : K-Kyu?

Shreya : Kyunki, date par sirf couples ya friends jaate hai, my dear. *grins* Aur, tum toh Veer ko apna papa maanti ho. Hai na? Toh, tum toh jaa hi nahi sakti.

Juhi ki aankhon me aasu panpe. Shreya thoda ghabrayi aur uska darr haqeeqat me badal gaya.

"Haaaarrrrggghhhhhhh-!!!"

Juhi rote hue jaa ke Nidhi se lipat gayi.

Nidhi : Shreya!!! Kyu Juhi ko abhi se ye sab bataya? Ab wo-

Shreya : What? Aisa toh hai nahi ki mein uss se shaadi kar rahi hu. Ek date ke liye hi toh kaha hai. Ek dinner. Woh mera friend hai itna achha. Kya burayi hai isme?

Juhi : haaaaaarrrrgggghhh!!

Nidhi : P-Par, fir bhi- Y-Ye nahi-

Usne bolna chaaha, magar ruk gayi.

Shreya : Nahi kya? Kya friends ke saath hangout karne me koi problem hai? Aur, upar se ye Veer hai. Agar, mein ghar me mummy papa ko bhi bata ke jau na toh bhi woh mujhe nahi tokenge. Aur, aap shayad ye baat achhe se jaanti hongi.

Nidhi ki palkein neeche jhuk gayi. Woh apni beti ko chup karaane me lagi hui thi jab Juhi achanak se uske paas se nikli aur jaake Veer ke haath ko jakad li.

Shreya : !!?

Juhi : Niiiiii!!! Mein papa ko kahi nahi le jaane dungi.

Shreya : Aww! Par, cheezein tumhari icchha se nahi chalti, sweetie! Zara socho! Actually... Agar, sach me tumhari maasi ki shaadi tumhare so called 'papa' se ho gayi? Toh kya hoga? Tumhare papa humesha tumhare paas reh sakte hai. Aur, fir mein kya lagungi tumhari? Hmm? Mumma? Hahaha!

Juhi (shrieks) : Niiiiiii!!!

Shreya : ???

Juhi (Veer ki orr mudte hue) : P-Papa! Aap ni jaoge na?

Shreya : Arey waah! Kyu nahi jaayega woh? Hum bilkul jaayenge!

Juhi (shouts) : Niiiiii!!!

Veer : Ummm...

Juhi : Papa!!! Ni jaoge na??

Veer (smiles) : Mein-

Iske pehle ki woh jawaab de paata, Nidhi hi beech me kood gayi.

Nidhi : Woh nahi jaa sakta!!

Usne apni mansha kuchh zyada hi zorr se zaahir ki.

Veer : !!?

Shreya : Huh?

Nidhi : V-Veer ka... Usne abhi-abhi apne dada ji ko khoya hai.

Ek solid counterattack. Veer ne iss par chupchaap sarr hilaaya. Toh wahi, Shreya ki muskaan thodi ladkhada gayi.

Shreya : Haan toh mein kaun sa aaj hi uss se chalne ke liye keh rahi hu? Par, agle hafte ka kya? Agle mahine? Woh humesha toh iss phase me nahi reh sakta na? Humein use aur lively feel karwana chaahiye. Isliye, toh maine kaha tha. Hum baad me bhi jaa sakte, hai na Veer?

Kehte hue woh Veer ke qareeb jhuk gayi. Bahut nazdeek. Aur, Juhi chillaa uthi.

Juhi (yells) : Niiiiiii!

Nidhi ko laga ki uski saansein atak rahi thi. Gala sookh raha tha. Woh kya kar rahi thi? Woh beech me kyu aayi? Kya abhi-abhi usne ek bahaana dete hue apni hi chhoti behan ke plan ko fail karna chaaha?

Shreya ne use dekha. Uski awaaz me madhurta thi, lekin aankhein teekhi.

Shreya : Kya aap nahi chaahogi ki kisi shady tinder match ki bajaaye mein Veer jaise shareef ladke ke saath baahar jau??

Veer : Hey! Just to let you know, mein itna shareef nahi hu.

Shreya (winks) : Tumne abhi mujhe nahi jaana, dear.

Juhi ne Nidhi ki kurti ko hairaan ho kar kheencha.

Juhi : Mumma... P-Papa maasi ke saath jaayenge? Aap mana karo na papa ko.

Nidhi : Mein... Mujhe nahi pata...

Usne Veer ki aankhon se bachte hue dheere se kaha. Kamre me ek pal ke liye ajeeb tarah ka sannaata chhaa gaya.

Veer (smiles) : Papa wahi jaayenge jaha Juhi bolegi. Theek hai?

Aur, ye sunte hi Juhi ki aankhon me chamak aa gayi.

Juhi : Sacchi??

Veer (smiles) : Mucchi!

Shreya : Of course! Mujhe samajh jaana chaahiye tha ki yahi hoga. Enjoy!

Kehte hue woh be-mann se waha se chidhte hue nikal gayi. Aur, Juhi phudakte hue Veer ka haath kheench kar use Nidhi ke bagal se baithaane le gayi. Usne baari-baari dono ke haath liye aur boli.

Juhi : Toh... Toh... Mumma, papa aur mein... Hum teeno date pe chalenge!

Nidhi ka dil dhadak raha tha. Usne virodh kyu kiya? Woh beech me kyu aayi? Kya uss hospital waali raat sach me usne apna dil Veer ko saunp diya tha?

Toh, fir uski chhoti behan ka kya? Use toh khush hona chahiye tha ki uski chhoti behan ko Veer jaise ladke me interest tha aur use toh iss orr badhna chaahiye tha ki kaise woh Veer aur Shreya ko ek kar sake.

Lekin...

Jab Shreya ne use chhua, uske qareeb jhuki, use apne andar ek dard kyu mehsoos hua?

Usne andar jaati Shreya ko dekha. Aur, tabhi uski aankhein Veer se mili.

*Badump*

Nidhi : M-Mein...

Juhi : Mumma chalogi na?

Veer (smiles) : Zaroor! Hum sab chalenge. Okay?

Juhi (beams) : Yayyy~

Veer ka haath achanak Nidhi ke haath ke upar aaya, toh bechari Nidhi jhatka kha kar reh gayi. Nazrein mili. Aur, saansein tez ho gayi. Lekin, iss baar-

Nidhi ne apna haath nahi hataaya. Veer ki giraft me hi rehne diya. Veer ne dusra haath uske chehre ki orr badhaaya. Uski chin ko thaamte hue, chehre ko apni orr karne ki koshish ki-

Magar, Nidhi ne kaanpte hue apna chehra dheere se dusri orr ferna chaaha. Aur, tabhi Veer ne apna angutha Nidhi ke gulaabi hontho par firaaya.

Ek sihran Nidhi ke poore jism me daud gayi. Woh haanf rahi thi. Veer ne unn sharbati hontho ko chhiya. Nidhi ki palkein ahista-ahista uthi. Woh Veer ko dekhi. Juhi wapas se apne khilauno me lag chuki thi. Aur, uske peechhe sofe par Veer aur Nidhi agal-bagal behad qareeb baithe the.

Veer aage ki orr jhuka... Uski garm saansein jaise hi Nidhi ki gardan par padi, woh thitak kar reh gayi aur ghabraate hue uss se door ho gayi.

Kintu, Veer ne bura nahi maana. Balki, uske hontho par muskaan hi bikhri thi.

Magar, koi tha...

Bagal ki deewar ke peechhe...

Jo phati aankhon se iss drishya ko dekh raha tha.

'I-It can't be...!!!!?'

***

Hotel Prestige, Mumbai
Late at night ~

Prestige ki lobby me steel pipes, auzaaron ki khat-khat ki awaaz goonj rahi thi.

Kabhi modern elegance aur business class luxury ka prateek raha ye hotel ab reconstructive surgery se guzar raha tha.

Lobby ki west wing me scaffolding bichha hua tha. Workers der raat tak kaam karne ke liye lage hue the. Ek samooh nayi khidki ke frame ki welding kar raha tha, toh wahi kuchh farsh par visfot se hui kaalikh lage marble ko alag kar naya marble bichha rahe the.

"Kharcha toh hua hai, ma'am. Estimate ke according chale toh aap ye maan ke chaliye ki... 20-25 lakh araam se. Zyada bhi ho sakta hai."

Bhumika chup chaap apni secretary ki baat sunn rahi thi. Business outfit pehne, uska navy blue blazer uske kandho par peechhe se latka hua tha.

Woh jaanti thi. Use anumaan tha ki kitna kharcha ho chuka hoga. Aur, ye kharcha poora nahi tha. Yarnia ke products jo barbaad hue, kapde, models ki advance fees jo unhe deni padi, musical orchestra ki fees, decorations ke charges, invitations ke charges, wagarah wagarah aur fir ye humla jisne laakho ka maal tabaah kar diya.

Woh jaanti thi. Kitna bhaari nuksaan unhe hua tha. Upar se maare gaye security guards ko kahi na kahi financial support dene ki zimmedari. Ye sab kuchh bahut zyada tha.

Tabhi, uske peechhe se ek awaaz goonji. Dheemi. Aur, niyantrit.

"Evening...! Miss Bhumika."

Woh mudi, bauhe sikodte hue. Transparent glasses ki main entrance se ek mahila andar aa rahi thi. Wo bhi police uniform me. Aur, uske seene me laga batch dekhte hi Bhumika ki aankhein chaudi ho gayi.

Bhumika : DSP!?? Yaha? Mein... Mujhe ummeed nahi thi ki-

Trisha seedhe andar chali aayi.

Trisha : Jaanti hu. Aapke staff ne bhi ummeed nahi ki thi. Isliye, sab baahar chaunk gaye. Lekin, jab ek badi hotel me bombing ho, shootout ho, toh normal officers use bas kuchh hadd tak hi sambhaal sakte hai.

Bhumika ne apni bechaini ko chhupaane ki koshish karte hue saans chhori.

Bhumika : Wahi! Maine jab FIR file ki thi toh aap nahi thi. Mujhe laga tha ki officers hi sab investigate karenge-

Trisha ki nazar ab khaali ho chuke lounge area par padi. Bahut se furniture safed chaadron se dhake hue the, taaki kaam ke chalte unn par kisi bhi prakaar ki dhool, paint ya gandagi na lag jaaye.

Trisha : Well, originally... Yes. Yahi procedure hota hai. Mujhe involve hone ki zaroorat nahi padti agar ye case itna bada nahi hota toh...

Kehte hue usne apni uniform ki jeb se ek muda hua kaagaz nikaala. Ek tasveer. Usne wo tasveer reception ke counter par rakhi.

Bhumika jhuki. Usne dekha. Ek chehra. Logon ke samooh me. Safed kurta aur neeli jeans daale hue.

Trisha : Yahi hai uss raat Hotel Prestige me hue uss humle ke peechhe ka aadmi.

Maano jaise Bhumika ke perro taley zameen khisak gayi.

Trisha : Dhananjay!!!

Bhumika : Kyaaaaa???

Woh ladkhadaate hue chillaayi.

Bhumika : Kaun?? Kaun hai ye? Maine iske baare me kabhi nahi suna. Aur, na hi mein jaanti hu. Hai kaun ye???

Bhumika ka reaction dekh, ek pal ke liye Trisha ki bauhe sikudi. Ye dilchasp tha. Ab do baatein ho sakti thi. Ya toh Bhumika naatak kar rahi thi, aur woh jaanti thi ki yeh aadmi kaun tha. Ya fir use waqai iske baare me kuchh nahi pata tha.

Aur, agar aisa tha... Toh, Trisha ke liye cheezein aur bhi pecheeda hone waali thi. Aur, dekh ke toh yahi lag raha tha ki Bhumika waqai iss shaks se anjaan thi.

Trisha : Mujhe aapse aisi ummeed nahi thi. Aapki hotel par humla hua, shaks aapke saamne tasveer me maujood hai aur aap ise nahi jaanti? Toh, bhala anjaan vyakti kyu aap par humla karega?

Bhumika : I... I swear officer!!! Mein nahi jaanti ye kaun hai. Aisa bhi toh ho sakta hai ki... Ye main aadmi na ho? Koi aur bhi ho iske peechhe?

Trisha (nods) : Bilkul!

Bhumika : Aapne... Aapne iske baare me pata kaise lagaaya?

Trisha : Phone calls!

Bhumika : ???

Trisha : Uss night hue iss area ke around almost sabhi phone calls ki history trace karni padi. Jab dhyaan se gaur kiya toh paaya ki... Prestige ke around baar-baar 4 se 5 jagah aapas me hi calls kiye jaa rahe the.

Bhumika : !!?

Trisha : Probably, ye attackers ke group me se leader aur baaki sab ke beech ho rahi baaton ka saboot tha. Uske baad, ek recent call ki madad se humne ek aadmi ko yahi paas ke area me se dabocha hai.

Bhumika : Impressive! But... Koi mere bhai ki hotel... Hum par... kyu humla karna chaahega?

Trisha jhijhki. Fir dheere se usne bola.

Trisha : Bomber ke baare me toh aap informed hongi hi. Rajat!?

Bhumika (nods) : J-Ji!

Trisha : Hmm! Filhaal ke liye, woh hirasat me hai. Confession? Uska kehna hai ki usne Veer se badla lene ke liye ye sab kiya.

Bhumika ke honth ek rekha me dabb gaye.

Bhumika (frowns) : Veer se dushmani!? Uske liye itna kuchh...

Trisha : Kya aap iss dushmani ke baare me kuchh jaanti hai? Mera vistaar se jaanana zaroori hai.

Bhumika : Jaha tak mujhe pata hai. Wo Rajat... *frowns* Achha aadmi nahi. No! Never! Nidhi ma'am hai humaare yaha. Veer ke college ki teacher reh chuki hai. Unka-

Trisha : Jaanti hu. Nidhi ji ka ex husband hai. Dono ka talaak ho chuka hai.

Bhumika (surprised) : O-Oh!

Trisha : Mujhe dushmani ke baare me bataaiye.

Bhumika (nods) : S-Sure! Veer ne hi... Ma'am ko iss toxic relationship me baahar nikaalne me help ki thi actually. Uski wajah se hi ye sab possible hua tha.

Trisha ke mann me tabhi uss raat waali Veer ki chhavi dimaag me umad aayi. Jab woh Juhi aur Pihu dono ko ghaayal awastha me apne upar laade hue tha. Iska matlab... Veer Nidhi ki parvah karta tha!?

Trisha : Hmm! Interesting!

Bhumika : Bas. Mujhe itna hi pata hai. Details nahi pata. But yahi hua tha. Aur, shayad wo Rajat isliye Veer se nafrat karta hai. Lekin, uske liye woh aisa kuchh kar dega? I could never imagine. He's a complete psycho.

Trisha (nods) : Hmm! So... Nidhi and Veer... huh...! Okay.

Bhumika : A-Aap!? Aap Veer ko jaanti ho?

Trisha (smirks) : Kaun nahi jaanta? Ab kaafi charcha me jo hai.

Bhumika : Ah! I see. Like that...

Trisha jaate-jaate muskurayi. Uska kaam poora ho chuka tha. Woh yaha information dene kam, lene zyada aayi thi.

Use pata lag chuka tha ki Bhumika iss maamle se anjaan thi. Use pata lag chuka tha ki bomber Rajat, Veer ka dushman tha. Use sandeh ho chuka tha ki Dhananjay naam ka yeh vyakti bhi kahi na kahi shayad Veer ka dushman hi nikalne waala tha. Use pata lag chuka tha ki Nidhi aur Veer ke beech koi gehra rishta tha. Uska shaq gehra ho chuka tha ki Veer underground world me active tha.

Ab kadi se kadi milni shuru ho chuki thi. Aatish. Slogan. Veer ka mirror gallery me hona. Uska underworld me involve hona. Aatish aur Slogan ki rehesyamayi maut. Aur, ab Veer par humla. Ek targeted attack. Har ek cheez ek hi shaks ki orr point out kar rahi thi — Veer.

Kya ye theory sach nahi ho sakti thi ki Veer par ye pareshani uske ateet me li gayi logon se buraayi ki wajah se aa rahi thi?

Trisha ab aatmvishvas se bhari hui thi. Woh gutthi ko suljhaane ke liye uske qareeb badhti jaa rahi thi.

Nikalne se pehle wo ek pal ruki aur bina mudey hi poochhi.

Trisha : Waise... Kaha hai Mister Veer?

Bhumika (glances) : Woh... Woh toh Nidhi ma'am ke saath hi reh raha hai. Aur, uski maasi ke ghar me. Din me ma'am ke yaha toh raat me maasi ke ghar. Kya aapko koi kaam hai uss se!? I mean... Agar, possible ho toh uske side se mein question and answers ke liye ready hu. Abhi wo cope up kar raha hai. Toh agar-

Trisha : Nahi! Abhi koi zaroorat nahi. Don't worry.

Ab use sab samajh aa raha tha. Woh student jiska zikr Nidhi ne gift shop par uss raat kiya tha. Wo dono... qareeb the. Magar, agar Nidhi jaisi aurat uss par itna bharosa karti hai toh-

Usne dheere se saans chhori. Aur, waha se jaate-jaate...

Trisha : Take care, Miss Bhumika. Dhananjay ki chinta hum par chhor dijiye.

Bhumika : Huh? Uski location pata lag gayi??

Trisha ki muskaan laut aayi. Entrance ke baahar nikalte uske muh se bas yahi nikla.

"Classified."

Kehte hue woh waha se ravaana ho gayi. Aur, Bhumika ko uljha hua chhor gayi. Bhumika ne apna phone nikaala, gallery khol usme ek tasveer dekhi. Tasveer uski aur Veer ki thi. Kuchh mahine pehle ki. Veer ke chehre ko zoom kar usne use dekha.

Woh ab jaan chuki thi ki ye sab kuchh ghatnaaaye... Veer se sambandhit thi.

'Tum kuchh chhipa rahe ho... Hai na? Veer!?'

Screen ko ahista se sehlaate hue usne nishchay kiya ki Veer se woh vyaktigat me baat karegi. Aur, fir mudte hue woh hotel se nikalne ki taiyaari karne lagi.

---

Toh wahi idhar derr raat me, Veer jo apni maasi se lipat kar laita hua tha, uski palkein achanak hi khul gayi.

Usne dekha ki Purvi gehri neend me so rahi thi. Usne ghadi dekhi. Subah ke 1:45 baj rahe the.

Uska raat me yaha rukna isliye zaroori tha kyunki Arun, apne bete Ayush ke liye naye hostel me use shift karwaane ke liye Delhi gaya hua tha. Aur, Purvi ka akela rukna theek nahi tha.

Magar, majbooran-

Uske haath aur bhi kaamo me bandhe hue the. Kuchh aise kaam... Jo derr raat ke andhere me hi kiye jaa sakte the.

*Click*

Dheere se darwaaze ko lock kar, ek akhiri nazar apni maasi par daal, woh waha se gaayab ho gaya.

***

Penthouse Suite,
Hotel Casa Belle,

Mumbai, Night - 1:50 AM ~

Aadesh Jaisinghani apni araam kursi par peeth tikaaye hue tha. Nanga seena, ek silk robe aalsi dhang se uss par lipta hua tha.

Usne ek bahut hi mehngi whiskey ka ek ghooth liya, har harqat par uski sone ki chain chamak rahi thi.

"Kya raat hai ye-!! Calm. Silent. Peaceful. Such a lovely night. Waah!"

Khule sheesein ke darwaazon ke peechhe se Mumbai ka nazara jhalak raha tha.

Veer Singh. Ab tasveer se baahar tha. Prestige lahu-luhaan ho chuka tha. Market ghabraya hua tha. Investors hich-kicha rahe the. Aur, woh? Woh ab fal-fool raha tha.

Uska ek competitor, ab race se baahar ho chuka tha. Sheh aur maat.

Usne apne glass me whiskey ghumaayi.

Aadesh : Finally... *smiles* The king falls... And, Casa Belle rises. Hahaha!

Usne apni aankhein band ki, swaad ko barkaraar rehne diya, ki tabhi-

*CLACK*

Uski aankhein ek jhatke me khul gayi. Suite ka darwaza khul chuka tha. Usne fauran apna sarr ghumaate hue darwaaze ki orr dekha.

Waha... Darwaaze par...

'Huh?'

Koi khada tha. Peeth ke peechhe haath kare hue, jaise koi vakeel faisle ka intezar karta hai. Ek aadmi. Badi qad kaathi ka.

Proper suit pehne, peechhe ki orr kanghi kiye hue baal, teekhi daadhi, gussail aankhein. Aur, aspasht chehra.

Aadesh ki saansein atak gayi. Nashe ka ek-ek ansh uske shareer se gaayab ho gaya.

Aadesh : H-Huh? K-Kaun? T-Tum andar kaise aaye?

Jaise hi woh aadmi thode ujaale me aaya, toh Aadesh ke perr kaanp uthe. Woh ise jaanta tha.

Balhaar.

Woh Aadesh ki orr aage badha. Uske peechhe do aur hatte-katte aadmi andar aaye — taqatvar aur sudol. Aur, fir darwaza dheere se andar se band ho gaya.

Aadesh khada hua. Woh jaanta tha ki Balhaar kaun tha. Magar, iss tarah se uske private suite me ghusna. Ye kahi se bhi theek nahi maalum pad raha tha. Upar se aaj ki pyaari raat uski iss dakhal se barbaad ho chuki thi. Woh gusse me tha. Beshaq.

Aadesh (frowns) : Y-Ye ek 7 star luxury hai. Mere paas har floor ki private security hai. Aur, ye tareeqa sahi nahi-

Balhaar : Tumne iss baar bahut badi galti kar di.

Uski awaaz me shaanti thi. Aadesh ki dhadkane pal bhar ke liye tez ho gayi.

Aadesh : G-Galti? Kya galti? M-Maine kya kiya?

Balhaar: Oh? Naatak huh!?

Usne ek chutki bajaayi. Aur, turant hi do logon ko baahar se ghaseetate hue kamre ke andar laaya gaya.

Unka muh band tha, shareer par chot lagi hui thi, darr ke maare dono kaanp rahe the. Aur, unhe dekhte hi-

Aadesh ka chehra peela pad gaya. Woh unhe pehchaanta tha. Ye wahi toh the. Hotel Prestige me humle ke dauran maare gaye security guards ke rishtedar.

Wahi log jinhe usne media ke saamne Veer aur uske hotel ko badnaam karne ke liye ghoos dekar khareeda tha. Use laga ki sab kuchh nipat chuka tha. Koi pata bhi nahi laga sakta tha. Lekin-

'Tch!'

Usne apne sookhe hontho ko kisi sarp ki tarah chaata, sthiti ko sambhaalne ke baare me woh sochne laga.

Aadesh : Y-Ye? M-Mein inhe nahi jaanta. K-Kaun hai ye?

Balhaar : Abhi bhi bewakoof banaane ki koshish??

Aadesh : D-Dekho-

Usne zorr se chillaate hue kaha, woh kisi prakaar ka sahara dhundhne ki koshish kar raha tha.

Aadesh : Mein jaanta hu ki tum D-Don ho, magar... T-Tum iss tarah se kisi ki privacy me dakhal nahi de sakte-! P-Police tumhe-

Kehte hue woh ruk gaya.

Balhaar bina palkein jhapkaaye use ghoor raha tha. Uske hontho par ek patli si muskaan ubhri hui thi. Koi darr nahi. Koi ghabrahat nahi.

Aur, fir Aadesh ko ehsaas hua.

Unse galti kar di. Bahut badi galti. Uske maathe se ek paseene ki boond ludhak gayi.

Balhaar dheere-dheere khidki ke paas gaya, haath peeth ke peechhe rakhe, chaand ko dekhta hua.

Balhaar : Kya tumhe andaza bhi hai ki sheher me aur sheher ke baahar mere under me kitne hotels hai, Jaisinghani!?

Aadesh : ??

Balhaar (smirks) : Kya tumhe andaza hai ki iss poori floor ko book karna mere liye kitna asaan tha? Aisi IDs... Jo har verification ko legally pass kar sakti hai. *grins*

Aadesh ki nazrein khule darwaaze ke baahar padi. Hotel ki manzil ke corridor me usne dekha. Darjano parchhaiyaan ghoom rahi thi. Balhaar ke aadmi.

Par, kaise?

Balhaar : Tumhe laga ki mein security ko pass kar ke andar aaya hu? *smiles* Mere aadmi guests bann kar din me ghuse the yaha.

Aadesh : H-Huh!?

Balhaar : Pune, Nashik, Goa, Jaipur. Alag-alag sheher se. Alag-alag IDs. Sab legal. Nothing illegal.

Aadesh ab kaanp raha tha. Use bodh ho chuka tha ki poori floor par, Balhaar ke aadmi room liye baithe the. Aur, isliye uski security unhe rok nahi paayi. Kyunki, ve sab bahut saare the.

Ghabrakar usne apna rukh badalne ki koshish ki.

Aadesh : D-Dekho-! T-Tumhe aisa karne ki zaroorat nahi hai. Mujhe gumrah kiya gaya hai. Y-Ye personal nahi tha. It was all business, you know.

Par-

Uska koi bhi paitra kaam nahi aa raha tha. Aur, akhirkar usne apni aakhiri chaal chali.

'Tch!'

Aadesh (yells) : Tum uske liye kyu kaam kar rahe ho, huh??? That fucking kid, Veer!!! C'mon man! Tum aur mein- hahaha! Hum dono iss sheher par raaj kar sakte hai. Saath me.

Balhaar ki bauhe fadki.

Aadesh : Mere saath kaam karo. Uske under nahi. No restrictions. Tumhe paisa, power, respect, sab milega. Veer hai hi kya mere saamne?? Tumhare jaisa don uss bacche ke under kaise kaam kar sakta hai?

Balhaar : ...

Aadesh : Work with me!!! *grins* Tum... Tum Raja ho. Use 'boss' kehne ki kya naubat aa gayi tumhari?

Use laga jaise usne Balhaar ke chehre par jhijhak dekhi. Uska aatmvishvas badh gaya.

Aadesh : Hum dono, saath milke kya kuchh nahi kar sakte. Mere saath kaam karne ke liye tumhe mujhe koi 'boss' kehne ki zaroorat nahi. Hum equals honge. Equal partners. Mere paas Veer se zyada paisa hai. Zyada rutba hai. Woh kisi bhi maamlo me mere level par hai hi nahi. Aao! Aao hum saath milke kaam kare.

Balhaar : ...

Aadesh : Zara socho! Tum aur mein... Poore Mumbai par humara raaj hoga. Mein tumhari madad white world me karunga, aur tum meri madad black world me karna. Tumhari image ko saaf rakhne ki zimmedari meri hogi. Aur, mere competitors ko unki aukaat dikhaane ki zimmedari tumhari. Hum dono ek behtareen team bann sakte hai. We can do wonders hahahaha!

Balhaar : Tumhari baat me dum toh hai.

Aadesh : Haha! Hai na? Koi murkh hi hoga jo uss Veer ke under kaam karna chaahega. Aur, mein jaanta hu ki tum bhi... ye nahi chaahte. Aao my friend. Let's work together. Together we'll crush this bug, Veer.

Balhaar apne aadmiyon ki orr muda aur ishaara kiya. Aur, unn aadmiyon ne Aadesh ki baahein chhor di.

Aadesh ne apna robe sahi kiya, chhaati aatmvishvas se fool gayi. Woh jeet chuka tha.

Aadesh : Hatao-! Hatao apne haath! Fucking losers. How dare you touch my expensive robe like that-!? Fuck off!

Balhaar aage badha. Usne apna haath aage badhaaya. Aadesh bhi aage aaya, usne muskuraate hue apna haath uss se milaane ke liye uthaaya.

Aur, tabhi-

*WHUMP*

Balhaar ka haath ek mutthi bann ke seedhe uski aant me aa kar pada. Aadesh ke muh se thook nikal aaya. Uski aankhein palatne ko ho gayi.

Woh khaaste hue, ubkaayi lete hue apne ghutno par gir pada. Usne saans lene ki koshish ki. Bolne ki koshish ki. Lekin, haafne ke alawa uss se kuchh na hua.

Balhaar : Tumhe lagta hai ki paise se wafadari khareedi jaa sakti hai, Jaisinghani? Tune soch bhi kaise liya ki tu aur mein equals ho sakte hai?

Aadesh : !!?

Balhaar : Tu mujhe khareedne chala tha? Bhosdike! Tere jaise hazaron log mere se deal karne ke liye marte hai. Mere saath uthne baithe ke liye gidgidaate hai. Aur, tu? Tu mujhe apna partner banaane chala hai?

Balhaar ne apne aadmiyon ko ishaara kiya. Aur, aadmi log Aadesh ko utha ke le jaane lage.

Aadesh (panics) : N-Nahi! R-Ruko! Ruko!

Magar, bahut derr ho chuki thi.

Logon ne use kachre ki tarah utha liya. Jab use uske hi penthouse se ghaseet kar baahar nikaala jaane laga, laat maarte hue, cheenkhte hue, toh shor poori hotel me fel gaya.

Guests — ameer, videshi, desi, corridors, rooms ke darwazon par jame hue khade the. Dehshat me saamne ke nazaare ko dekh rahe the ki kaise ek aadmi ko ghaseet kar kamre se baahar nikaala jaa raha tha.

Aur, woh aadmi koi aur nahi, hotel ka hi owner tha — Aadesh Jaisinghani.

Aadesh ne apna chehra chhipaane ki koshish ki, lekin uske gaal par laal rang ka thappad ka nishaan pehle se hi uski izzat ko mitti me mila chuka tha.

Aadesh : S-Security! Security!!!

Woh chillaata raha, magar jaise hi use ghaseet ke first floor ki balcony me laaya gaya toh uski aankhein phati ki phati reh gayi.

Lobby me reception se leke main entrance par, har jagah, Balhaar ke aadmi apna dera jamaaye hue the. Security ko toh gun point par rakhe hue the.

Aadesh ko vishvas nahi ho raha tha. CCTVs? CCTV me zaroor sab kuchh qaid ho chuka hoga.

Par, woh galat tha. Hotel ke control room me hi CCTVs ko monitor karne waale ladke, bandhe hue, kursi par baithe the. Aur, Balhaar ka hi aadmi waha saare cameras ki recordings ko band kar chuka tha.

Yaha tak ki... Guests koi phone recording na kar paaye, uske liye bhi aadmi har rooms ke baahar pehra de rahe the.

Agle hi pal, Aadesh ke perro me wo aadmi log rassi baandhne lage.

Aadesh : H-Huh?? Ch-Chhorro! Chhoro mujhe! K-Kya kar rahe ho? *screams* Fucking leave me!!! Ye tumhare liye achha nahi hoga-!! Samjhe na??

Magar, unn aadmiyon ne ek baat bhi nahi suni. Balhaar utni derr tak Aadesh ke hi private suite me tha. Aur, usne darwaza andar se band kar, apna kaam shuru kar diya.

Idhar baahar Aadesh ke perro par rassi bandh chuki thi. Tabhi, ek aadmi ne rassi ka dusra chhor balcony ke saamne ceiling par latak rahe ek behad bade se chandelier ki orr feka. Aadesh ye dekh ghabra gaya.

Aadesh : Y-Ye!? Ye kya kar rahe ho tum?? Bachao-!! *yells* BACHAAAAO!!! HELP!!!!

Uss aadmi ne chandelier ko rassi ke ek hook se phasa ke kheencha aur fir rassi ka chhor uss par baandhne laga.

Rassi baandhte hi, do aadmiyon ne Aadesh ko uthaaya.

Aadesh (screams) : Nahiiiiii?? Nahi!! KYA KAR RAHE HO??? CHHORO!!! CHHORO MUJHE!! TUM SAB BACHOGE NAHI!!!

Aur, agle hi kshan-

Aadmiyon ne chandelier aur Aadesh, dono ko chhor diya.

"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaa-!!!!"

Aadesh ki cheenkh Casa Belle ki poori lobby me goonj gayi. Woh chandelier se ulta latakta hua, swing motion ko follow karte hue lobby ke beecho-beech aaya, jaha chandelier ke theek neeche ek fountain bana hua tha.

*Splash*

Fountain ke fuwaare me se uska ulta latka shareer bheegta hua jhool ke aage badha. Aur, jab use laga ki woh peechhe deewar se takra jaayega tabhi-

'!!?'

Uske baalon se kisi ne use jakad liya. Woh ulta latka hua tha. Use nahi pata tha ki uske peechhe kaun tha. Kaun use pakda hua tha. Magar, usne dekhne ki koshish ki-

Aankhon ki putliyon ko ghumaate hue usne dekhna chaaha-

Aur, jo usne dekha, use dekh, uske pant me peshaab ki kuchh boondein chhoot gayi.

7c75d2ed-57da-4958-9c71-6f106d804297

Laal aankhein. Ye bhram nahi tha.

Aur, fir ek awaaz uske kaano me padi-

"Tell me, Aadesh! Did you... pray today?"

Aadesh (shivers) : A-Ahn!? Huh!?

Lobby ke luxury sofe par Veer virajman tha. Bas intezar kar raha tha. Kal raat usne hi Balhaar se kaha tha.

"Aadesh Jaisinghani ka sarr mere paas jhoolta hua aana chaahiye."

Zaahir hai Balhaar Aadesh ko aise hi maar nahi sakta tha. Aur, na hi Veer ye chaahta tha. Toh, yahi upaay tha jiske chalte Aadesh jhoolta hua seedhe Veer ke saamne aa gaya.

Veer utha. Uske haathon me abhi bhi Aadesh ke baal the. Bhale hi usne apne muh par kapda baandh rakha tha, parantu Aadesh jaan chuka tha ki yeh kaun tha.

Apna haath badhaate hue Veer ne wahi khade aadmi ki orr ishaara kiya. Toh uss aadmi ne fauran hi ek hockey stick Veer ko thama di. Aadesh kisi machhli ki tarah rassi se latka hua chhatpata raha tha. Aisa lag raha tha koi maans ka tukda talne bhun'ne ke liye latkaya gaya ho.

Veer ne koi deri nahi ki-

*THWACK*

"Aaaaaarrrghhhhhh!"

*THWACK*

"AAAAAAAAAAAAAAAAAA!"

*THWACK*

"Haaaaaarrrrgggghhh!!"

Veer kuchh nahi bol raha tha. Par, jaise jaise woh hockey ke vaar Aadesh ke shareer par barsa raha tha. Waise waise uske andar kuchh tarange paida ho rahi thi. Jo Pari mehsoos kar paa rahi thi.

{N-No! This is bad!! M-Master! Ye kya ho raha hai? He's... He's enjoying it. He's taking pleasure!}

Pari, apne mann me sochne par majboor ho gayi. Kya ye Veer hi tha. Uske hontho par dheere dheere ab ek muskaan saj rahi thi.

Aadesh ki cheenkhein sunn, uske roye roye excitement me khade ho rahe the.

{No no no!!! Master?!?}

[Maaaster-!!!]

Pari chillaayi. Par, koi asar nahi.

Khoon ke chheete lobby me bikharne lage. Aadesh behosh ho chuka tha. Poore guests aatank ke maare jamm ke reh gaye the. Itne me Balhaar suite se baahar aaya. Aur, usne neeche aakar Veer ko roka.

Balhaar : Marr jaayega.

Veer apne hosh me aaya. Usne dekha. Aadesh ka lahu luhaan latakta hua bejaan sa shareer. Woh zinda tha. Lekin, adhmara sa ho chuka tha.

Aur, bina kuchh bole hi Veer ne hockey stick ko zorr se feka aur waha se mud ke jaane laga.

Koi shabd nahi. Koi harqat nahi.

Kyunki, uski agli destination tay thi.

Aur, woh akela nahi tha.

*Vroooooom*

Trisha ki jeep bhi raaste par bhaagte hue usi destination ki orr badh rahi thi.

Dhananjay!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 9.4k words approximately. Late update ke liye maafi chaahta hu. Hum ise June ka hi update consider karenge. Lekin, Choonki site crash hui thi aur bahut pareshani jhelni padi. Isliye, June ke liye hum do hi updates per month consider karenge. Ek mein de chuka tha. Aur, ye tha dusra. Ab July ke 3 updates baaki hai. Jo I hope mein iss month me de paaunga. Also, let me know ki Nidhi ke ghar ka scene kaisa laga? Kaafi soch ke likha hai use. Ab thoda bahut action chalega ek do updates me. Aane waale events lined up ho rakhe hai. Autoshield company ka aana. Veer ke missions. Sonia, Kaera ki massive deals. Suhana ka b'day. Ruchika and Suchika ki story, etc. Jo hum sab isi arc me dekhne waale hai. And, uske baad Summit arc. Target 250 hi hai. Like karne ka aur reviews rakhne ka.

Dhanyavad. ✨
Fabulous all scenes are to good 👍 superb
 
174
374
64
Mr moon knight x ... Loved your breakdown — so thoughtful and spot-on!
Your detailed take shows how much heart you put into reading!.

You know couple of years ago i read a webnovel (My Vampire System) by JKSManga.
The protagonist(
QUINN) had an adopted daughter named MINNY.
I have also read the 'MVP'
My list goes like-
1. Kaera
2. Tej
3. JUHI
4. Suhana
5. Suman
Mine gose like -
1, pari
2, veer
3, aatish
4, golu
5, nidhi
6, Suman
7, Kavya
8, tej
9, Suhana
10, Kaera
11, arohi
12, Disembowler
13, Sonali
14, ava
15, x
 
HUNTERonFIRE

You have to be ODD to be number one
153
254
63
I have also read the 'MVP'

Mine gose like -
1, pari
2, veer
3, aatish
4, golu
5, nidhi
6, Suman
7, Kavya
8, tej
9, Suhana
10, Kaera
11, arohi
12, Disembowler
13, Sonali
14, ava
15, x
No wonder that Aaatish is in top 3 of this list.
Afterall his story was dope....full of vengeance..planning...plotting..sorrows.
 
Aur uska past bhi ghatak tha, uska Dad ko to sirf mara gaya tha, par maa, uski maa ko ra##$p karke mara gaya tha, man that was brutal, sooo hurting soooo sad.
Ek tarah se woh Veer se jiyada Saha hai, that's why aatish mere top 3 pe Hai.

Disembowler ki past jab samne ayega ho sakta hai top 3 pe Disembowler hoga mera.
 
MyLovePriya

New Member
20
49

Very beautiful update ❤️ Trisha ke dimag me kuchh to chal raha hai usne Rohan ko veer ke bare me nhi bataya our apne sathiyo police valo ko bhi kuch bhi bata ne ko mana kiya hai usne Veer ke hotel par hamla karne vale Rajat our dhanvijjay ka bhi hath hone ka pata bhi laga liya. Nidhi Juhi ka Veer ke prati pyar bhi abh our jada bad rha hai. Aadesh ko bhi acha sabak sikhaya veer ne full planning ke sath
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,169
109,352
259
Bhut hi badhiya update Bhai

To police or media ki madad se sabhi ko kabristan ke niche ki mand ke bare me pata chal gaya Dhekte hai police isme aage kya karti hai
Yes. Pata toh next day hi chal gaya tha. But scene ko abhi dikhaya gaya hai.
Veer or nidhi ke bich ka scene bhut hi badhiya tha
Shreya Veer ko date par lekar Jana chahti thi lekin juhi ki vajah se vo isme kamyab nahi huyi or ulta juhi ke karan Veer ko nidhi ke sath ek baar or date par jane ka moka mil sakta hai
Shreya ko Veer or nidhi ke bich ke pyar ka pata chal gya hai Dhekte hai vo isko lekar aage kya react karti hai
Abhi doubt gehra hua hai. Sure nahi hai Shreya.
Vahi Veer ka ye roop ekdum jabardast laga
Balhar ka puri taiyari ke sath aadesh ko uthakar Veer tak pahuchana or Veer ka use marna padkar maja aa gaya

Ab intezar rahega agle update ka or Veer ke agle shikar dhananjay ka
Dhanyavad. Saath bane rehne ka. ✨
gajab ka update tha ..nidhi ke ghar me jo hua wo padhne me bahut maja aaya ..
shreya ne sabkuch mehsus kar liya hai aisa lagta hai veer aur nidhi ko saath dekhke ...
Doubt badh gaya hai.
par ye aadesh ko jinda kyu chhod diya veer ne wo aage jaake kuch galat na kar de veer ki family ke saath ..
Toh bhai wahi jaan se thodi maar dega usko :laugh:
trisha bhi apne mission par nikal chuki hai ,ab dekhte hai dhananjay kiske haath lagta hai pehle ..
Yes.
Behad shandaar aur dhamakedar update Werewolf bhai....

Ab dheere dheere veer apne sabhi dushmano se gin gin kar badla lega...
Thanks a lot. ✨
Bhut he acha update tha bro Nidhi ke Ghar ka bhut he ache dang se likha tha aap ne bhut bariki se ek ek pal ko bahtar trika se darshya hai aap ase he likhte raho hamra pyar hamesha sath rahe ga site ne kafi tang kra tha hum samaj sakte hai ❤️❤️❤️❤️❤️🙏🏻🙏🏻🙏🏻
I'm glad you liked it. Thanks and keep supporting. ✨
Gajab Matlab Bahute Gajab ✨
Bhai kya hi scene tha - Juhi apne papa ke liye bahot jyada possesive hai or Shreya ko to jaise Veer ko churane ka man hai 😂 or Nidhi hamesha ki tarah uljhi-uljhi si thi .
Bhai Sahab kya hi scene banaya Werewolf Bhai ne mtlb Aadesh Jaisinghani ki to fat ke char ho gayi ab aghe dekhna hai kaise Veer ab aage ka situation sambhalta hai ✨

Thank you Werewolf Bhai Is Chuninda Update Ke liye🫶🏻✨
Thanks a lot bhai. I'm glad you liked it. Saath bane rehne ka. ✨
Bahut hi shandar update tha Nidhi apni bahan se Veer ko dur rkhna chahti hai vo abhi veer ko apna pyar dikha rahi hai dhire dhire
Dhanyavad.
Bahut hi shaandar update diya hai Werewolf bhai....
Nice and lovely update....
Thanks
Nice update bro
Lajawab update
Shreya ab Nidhi se jealous feel kar rhi hai
Vhi Ab Dhananjay ka chapter bhi close hone wala hai
We'll see. Thanks. Keep supporting.
निधि ओर वीर की जोड़ी बेस्ट है।

मुख्य कारण इन दोनों में अन कहा प्यार है।
Sabki apni apni choice :D
ये दोनों जानते है। ओर प्यार भी करते है। ओर एक दूसरे की इज्जत भी करते है। श्रेया भी वीर को चाहने लगी है। लेकिन उसका इन दोनों के बीच कोई रोल नहीं आता है। वो तो कही फिट ही नहीं होती है इन दोनों के बीच, जूही अपने पापा को किसी से शेयर नहीं करना चाहती।
Par jeevan ke hisaab se dekha jaaye to Shreya hi fit baithati hai. :D Woh Veer ki umr ki biraadri ki hai. Kuwaari hai. Aur, achhe khandaan se bhi hai. Sundar hai aur padhi likhi bhi hai. Aam taur par... Parivar apne bete ki shaadi ke liye aisi hi Kanya dhundhega.

Na ki Nidhi jaisi jo talakshuda hai, 2 baccho ki maa hai, Veer ki teacher hai, aur uss se umr me kayi saal badi bhi hai. :D
अब ये निधि वीर कैसे परवान चढ़ते है। वो लेखक बताएगा। लेकिन दोनों के बीच का सिन बेहद मनमोहक है
Jaan ke khushi hui ki ju ko pasand aaya.
त्रिशा वीर के पीछे ही आ रही है। लेकिन क्या कभी उस तक पहुंच पाएगी। या यहां भी दोस्ती कायम होगी।
धनंजय के संग अब क्या होगा वो वक्त पर है
Trisha Veer ke nahi, Dhananjay ke peechhe jaa rahi hai. Aur, Veer bhi wahi jaa raha hai. Thanks btw, and keep supporting. ✨
 
kris123h

Member
424
554
93
Does the father of kaera(kishore) has a hand in all of this as well that is what all has happened to veer and his family and when we will se madhuri again and I think we all are missing kaera please add some more of her in upcoming updates and what about zoey and Emma will they have a significant role or we won't see them at all
 
Malik-18

Active Member
585
733
108
overall update is good

agar hum first mission ki bat karein wo dekhne mein bohat hi simple and straightforward lag rha hai lekin esa hai nhi agar veer needs to find plotter. he has found Aadesh and will definitely get Dhananjay too. lekin main plotter to ig wo mask man hai who was killed by X ya phir X or Rebecca. main plotter mei ye 3 log bhi shamil hote hain to phir veer ko in tak pohncha ho ga. mask man Rebecca k liye kam kr rha tha aur Rebecca X k orders follow kar rhi thi. I have a feeling this mission will be interesting.

second mission —Deal breaker (1) why 1? is mission ko investigate krne k liye veer ko Divya ki country(forget the country) jana par sakta hai aur Jahan tak mujhy yaad parta hai X aur Rebecca wohin se execute karte hain. ye dono missions apas mein link hote nazar arhe hain let's see kya hota hai.

Trisha ka Rohan ko veer ka abhi tak nah btana ye wajah ho sakti hain k wo abhi bhi slogan, Aatish wala case khud se investigate krna chahti ho. us case mein to trisha ka main suspect bhi veer hi hai aur us k bad ye attack is mein bhi veer jura hua hai.
 
  • Like
Reactions: Werewolf
Top