• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

supersonic12345

Love is hard to find, hard to keep, hard to 4Got
930
1,258
138
Sorry, kal raat ko achanak laptop band ho gaya tha. Is vajah se koi bhi update nahi aa paya. Aaj laptop sahi hokar aaya hai, aaj baki ke sabhi update der raat tak aa jayege. :blush1:
its k dada ... bas aaj update de dena ... main jaagta raha to raat ko read karunga nahi to morning.... kyuki morning jaldi jana hai kal mujhe
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,627
159
Ko To Rok Lo {Update - 0258}
____________________________
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya. Ye dkh kar anu mausi ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “ab tu bahar jakar baith, mera pakode talna ho chuka hai. Mai abhi pakode lekar aati hu.”
Anu mausi ki baat sunkar, mai bahar kamre me kamal ke pas aa gaya. Mujhe aaya dekh kar kamal ne mujhse puchha.
Kamal bola “tum papa se naraj to nahi ho.”
Kamal ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “nahi, mai mausa ji se jara bhi naraj nahi hu. Magar meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, wo bekar me mujhe ye sab iljam kyo diye ja rahe hai.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “wo tumhe bekar me koi iljam nahi de rahe hai. Tumhe yaad hoga ki, parson mausa ji yahi par ruke the. Tum logon ke jaane ke bad, mai yahi par apni padai karne me laga tha.”
“Kuch der bad papa aur mausa ji apne kamre me jaane ke liye yaha aa gaye. Papa unhe jata kar apne kamre me jaane hi wale the ki, mausa ji ne papa se kaha ki, unhe papa se kuch jaruri baat karna hai.”
“Ye sunkar papa ruk gaye. Fir mausa ji ne hi papa se tumhari ye sab shikayaten ki hai. Mausa ji ne papa se tumhari Mumbai aane jaane ko lekar bahut saari shikayten ki hai.”
“Unko hi tumhare baar baar Mumbai jaane se aur apni padai par dhyan na dese se problem thi. Jis vajah se aaj papa ke samne tum aaye to, papa ne ye sab baten tumhare samne rakh di.”
Kamal ki ye baten sunkar, mai gaur se use dekhne laga. Is se pahle ki, kamal mujhse kuch aur kah pata, anu mausi pakode lekar aa gayi. Anu mausi ne abhi mere samne pakode rakhe hi the ki, tabhi keerti, neha aur bua ji bhi aa gayi.
Bua ji aakar humare pas baith gayi. Wahi keerti ne mere samne pakode rakhe to, fauran mere pas baithte huye, ek pakoda hath me utha kar kaha.
Keerti boli “aaha, garma garam pakode, ab to inhe khane ka bahut maja aayega.”
Ye kah kar keerti jaise hi pakoda khane ko huyi, anu mausi ne uske hath se pakoda chhinte huye kaha.
Anu mausi boli “ye sab maine tere khane ke liye nahi banaye hai. Ye punnu ke khan eke liye hai.”
Ye kahte huye anu mausi keerti ke hath se chhina hua pakoda wapas plate me rakh diya. Ye dekh kar neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne kunmunate huye kaha.
Keerti boli “are mummy, mujhe bhi khane do. Na jaane kitne din bad mujhe pakode khane ko mil rahe hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine bhi uska sath dete huye kaha.
Mai bola “mausi, keerti ko bhi pakode khane dijiye na. Usne sach me apni tabiyat ki vajah se bahut din ye sab chijen nahi khayi hai.”
Meri baat sunkar, mausi muskura kar rah gayi. Ye dekh kar keerti ne fauran do pakode uthaye aur ek pakoda neha ki taraf badate huye kaha.
Keerti boli “lo, tum bhi humare sath baith kar garma garam pakode khao, fir hum wapas chalte hai.”
Keerti ki baat sunkar, neha ne keerti se pakoda le liya aur uske pas aakar baith gayi. Fir hum sab mil kar pakode khane lage. Kuch hi der me hum sab ka pakode khana ho gaya.
Iske bad maine, keerti aur neha ne ko jataya ki, ab hum log ghar wapas ja rahe hai. Humari baat sunne ke bad, mausi ne kaha ki, wo bhi kuch der me bua ji, kamal aur mausa ji ke sath ghar pahuch rahi.
Mausi ki ye baat sunne ke bad, humne unse ijajat li aur fir hum teeno keerti ke bag ke sath ghar ke bahar aa gaye. Keerti ne scooty uthauyi aur neha ko baithaya. Neha ne keerti ka bag pakda aur fir keerti ne scooty aage bada di.
Maine bhi apni bike uthayi aur fir keerti logon ke sath ghar ke liye nikal pada. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty se neha ko utara aur scooty khadi karne lagi.
Uske scooty khadi karne ke bad, maine bhi apni bike khadi ki aur fir hum teeno ghar ke andar aa gaye. Hume ghar ke andar aate dekh ami nimi mujhe dhyan se dekhne lagi.
Unhe is tarah se apni taraf dekhta pakar mai unki baat ka matlab samajh gaya aur maine unhe dekh kar muskura diya. Wo bhi mere muskurane ka matlab samajh gayi ki, mausi ke pas mera kaam ban gaya hai.
Jise dekh kar wo bhi khush ho gayi. Hum sab chhoti maa aur ami nimi ke pas aakar baith gaye. Abhi hume ghar se niaklne me bahut samay baki tha aur abhi mujhe saxena uncle ke pas milne jana tha.
Isliye ab mai is baare me sochne laga. Kuch der sabke sath baithe rahne ke bad, maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, vaani didi humare yaha nikalne ke pahle mujhse saxena uncle se mil kar jaane ko kaha hai. Kya mai unse milne unke ghar chala jau.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “vaani ne tujhse kaha tha to, tujhe unse pahle hi mil lena chahiye tha. Ab humare yaha se nikalne ka samay ho raha hai. Isliye tu jaldi se jakar unse mil aa. Malum nahi, vaani ne kis jaruri vajah se tujhe unse milne ke liye kaha tha.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji chhoti maa, mai abhi saxena uncle se mil kar aata hu.”
Ye kah kar mai uth kar khada ho gaya. Mujhe saxena uncle ke ghar akela jaate dekh kar, keerti ne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, ye saxena uncle ke ghar me kisi ko janta nahi hai. Aisa karti hu ki, mai bhi iske sath chali jaati hu. Ise unse milne me problem nahi hogi.”
Keerti ki ye baat chhoti maa ko bhi sahi lagi. Isliye un ne keerti se kaha.
Chhoti maa boli “tu thik kah rahi hai. Tu iske sath chali ja au rise unse mila dena.”
Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi.”
Ye kah kar keerti mere sath saxena uncle ke ghar jaane ke liye taiyar khadi ho gayi. Ye dekh kar ami nimi thoda pareshan ho gayi. Unhe pareshan dekh kar maine ami nimi se kaha.
Mai bola “ami nimi, tumhara bhi to saxena uncle ke ghar aana jaana chalta rahta hai. Tum bhi mere sath chalo.”
Meri baat sunkar, ami nimi ne mere sath jaane ke liye khade hote huye kaha.
Ami boli “ji bhaiya.”
Nimi boli “hum log waha sabko jante hai. Hum aapke sath chalet hai. Taki aapko saxena uncle se milne me koi pareshani na ho.”
Ye kahte huye ami nimi bhi mere sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Fir mai ami nimi aur keerti ke sath saxena uncle ke ghar ke liye nikal gaya. Hum log saxena uncle ke ghar pahuche to, gate par ek security guard khada tha.
Keerti aur ami nimi ko dekh kar, usne fauran gate khol diya aur hum log andar aa gaye. Keerti ne gate ke andar kadam rakhte huye kaha.
Keerti boli “itne samay to saxena uncle ghar par rahte nahi hai. Tum unse miloge kaise.”
Mai bola “ye to, unke ghar ke andar pahuch kar hi pata chal sakega ki, unse kaise mila ja sakta hai.”
Meri baat sunkar, keerti mujhe unke ghar ke andar le jane lagi. Kuch hi der me hum saxena uncle ke ghar ke drawing room me the. Us room me is samay mujhe dipti aur tripti najar aa rahi thi.
Dipti to, mujhe ghar me dekh chuki thi. Isliye mujhe pehchanti thi. Lekin tripti ke samne mai aaj pahli baar aa raha tha. Lekin mai jarur tripti ko do baar dekh chuka tha. Ek baar maine use hospital me dekha tha.
Us samay wo wheelchair me hospital me kisi ko milne ja rahi thi. Us samay wo bahut hi masoom aur pyari dikh rahi thi. Use wheelchair me dekh kar mujhe uske sath hamdardi hone lagi thi.
Fir bad dusri baar maine use uske ghar ki chhat par dekha. Tab mujhe keerti se pata chala ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Keerti se hi mujhe pata chala ki, wo hospital me chanda mausi ko dekhne gayi thi.
Is tarah tripti ko to mai achi tarah se pehchanta tha ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Lekin tripti se mera samna kabhi nahi hua tha aur na hi usne kabhi mujhe dekha tha.
Is samay bhi tripti wheelchair me hi baithi koi book padne me lagi huyi thi. Uske pas hi dipti baithi painting banane me lagi huyi thi. Humne drawing room me kadam rakha to, hume apne ghar aaya dekh kar, dipti ne khush hote huye kaha.
Dipti boli “keerti didi, aap yaha. Ami nimi tum itne samay yaha kaise. Aao na baitho.”
Ye kah kar wo hum sab se baithne ki kahne lagi. Dipti ki baat sunkar, hum sab uske sath hi wahi baith gaye. Wahi tripti bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Wo shayad mujhe pehchanne ki koshish kar rahi thi ki, mai kaun hu. Idhar humare baithte hi, dipti ne keerti se puchha.
Dipti boli “kya hua didi. Kya aap log kisi jaruri kaam se humare ghar aayi hai.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne uski baat ka jabab dete huye kaha.
Keerti boli “haan dipti, is samay hum tumhare ghar bahut hi jaruri kaam se aaye hai. Vaani didi ne hum logon ke juhi didi ki shadi me jaane se pahle punit ko saxena uncle se jaruri milne ko kaha hai.”
Keerti ki baat sunkar, dipti ne kuch sochte huye kaha.
Dipti boli “lekin didi, papa to office gaye hai aur ab wo sham ko hi wapas aayege.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo baat to mujhe bhi malum hai. Lekin ab iske liye kiya kya ja sakta hai.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne pahli baar apni khamoshi todte huye apna muh khola. Wo dekhne me jitni masoom aur pyari dikhti thi. Uski aawaz bhi utni hi mithi thi. Uske apne muh se kuch bolte hi, mere kaano me shahad sa ghulne laga tha. Usne keerti ki baat sunne ke bad, apni pyari si aawaz me keerti se kaha.
Tripti boli “keerti, vaani didi ne inhe yadi papa se jaruri milne ko kaha hai to, tum inhe papa ke office kyo nahi bhej deti ho. Waha par ye papa se bahut aaram se mil sakege aur tumhe bhi inke sath pareshan nahi hona padega.”
Tripti ki baat sunkar, dipti chauk kar tripti ko dekhne lagi. Fir usne tripti ka hath hilate huye kaha.
Dipti boli “didi, ye aap kya kahe ja rahi hai. Kya aap inhe janti nahi hai. Ye ami, nimi, keerti didi aur vaani didi ke bhai punit hai. Maine aur ami, nimi ne aapko punnu bhaiya ke baare me kitna kuch to, bataya hai.”
Dipti ki baat sunkar, tripti mujhe gaur se dekhne lagi. Fir usne sharminda hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “sorry keerti, maine punit ko pehchana nahi tha. Lekin tumhe to batana chahiye tha ki, tum kise papa se milane ke liye layi ho.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne tunakte huye kaha.
Keerti boli “ye lo, mai kab se to tum logon ko bata rahi hu ki, vaani didi ne punit ko saxena uncle se milne ko kaha hai. Kya tum punit ka naam tak nahi janti ho. Maine iska naam tumhe bataya to tha.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne jhijhakte huye kaha.
Tripti boli “nahi, aisi baat nahi hai. Tumne aur vaani didi ne mujhe punit naam bataya tha. Lekin mere dhyan se punit naam nikal gaya. Ami, nimi aur dipti inhe punnu bhaiya kahti rahti hai, isliye mere dimag me bas yahi naam rah gaya tha.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab to tumhe sab malum pad gaya. Ab to tum batao ki, is baare me kya karna chahiye.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne kaha.
Tripti boli “tum chinta mat karo, mai abhi papa ko call laga kar is baare me baat karti hu.”
Ye kahte huye, tripti ne dipti se apna mobile utha kar dene ko kaha to, dipti ne tripti ka mobile utha kar use de diya. Tripti ka mobile uske hath me aate hi, usne saxena uncle ko call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, tripti ne kaha.
Tripti boli “hello papa, maine ek bahut hi jaruri kaam se aapko call lagaya hai.”
Dusri taraf se job hi kaha gaya. Uske bad tripti, saxena uncle ko hum sabke aane ki baat batane lagi. Usne unhe humare aane ki saari baat batayi aur fir unki baat sunne lagi. Fir kisi baat ke liye usne acha thik hai kah kar call kaat diya. Saxena uncle ka call rakhne ke bad tripti ne khush hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “papa thodi der me ghar aa rahe hai. Fir aakar wo punit se baat karte hai.”
Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.
Abhi tak tripti ko wheelchair me dekh kar aur uske kharab pair dekh kar mujhe uske sath hamdardi hoti thi. Lekin mere man me abhi tak ye khayal nahi aaya tha ki, tripti ke ye pair kharab kaise ho gaye.
Lekin aaj uske masoom se chehre ko muskurate huye dekh kar mere man me is baat ko janne ki utsukta aa gayi ki, aakhir tripti ke pair kharab kaise huye hai. Mai inhi sab baton ko soch raha tha ki, tabhi tripti ne dipti ko tokte huye dhire se uske kaan me kuch kaha.
Jiske bad dipti hum sab ke pas se uth kar andar chali gayi. Uske jaane ke bad tripti wapas keerti aur ami nimi se baten karne lagi. Kuch der bad dipti andar se haste huye aayi aur aakar wapas humare pas baith gayi.
Abhi un logon ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi saxena uncle aa gaye, wo aakar humare pas baithe to, keerti ne mera parichay unse karwaya. Mera parichay pakar saxena uncle ne khush hote huye kaha.
Saxena uncle bole “sorry, iske pahle mai tumse kabhi mil nahi paya. Lekin vaani apne bhai punit roy ki bahut tarif karti hai. Wo tumhari tarif karti huyi thakti nahi hai. Uska ye abhimaan kabhi tutne mat dena.”
Saxena uncle ke muh se ye sab baten sunkar mai khud samajh nahi pa raha tha ki, mai unse kya kahu. Mai nahi janta tha ki, vaani didi ne saxena uncle se mere baare kya kaha hai.
Magar itna to samajh gaya tha ki, vaani didi ne saxena uncle se meri dil khol kar tarif ki hai. Mai vaani didi ki in tarifo ke layak tha bhi ya nahi tha, ye mai nahi janta tha.
Lekin itna jarur janta tha ki, mai vaani didi ko bahut jyada pyar karta tha. Isliye kabhi unke dil ko thes pahuchana pasand nahi karta tha aur na hi aisa kisi ko unke sath karne deta tha.
Mai abhi apni inhi sab uljhanon me uljha hua tha ki, tabhi saxena uncle ne mujhe tokte huye kaha.
Saxena uncle bole “haan to batao, vaani ne tumhe mujhse kyo milne ko kaha hai.”
Saxena uncle ki baat sunkar, mai apni unse milne ki vajah batane laga. Meri ye baten sunkar, ami nimi ko is se koi jhatka nahi laga. Lekin keerti jarur mujhe ghoor kar dekhne lagi.
Mai apni probem saxena uncle ko bata raha tha aur wo bade gaur se meri baten sun rahe the. Maine apni saari baat saxena uncle ke samne rakhne ke bad unhe juhi didi ke sasural walon ki aur unke mama ki jaankari dete huye kaha.
Mai bola “uncle ye juhi didi ki sasural walon aur unke mama ki saari jaankari hai.”
Meri di huyi wo jaankari dekh kar saxena uncle ne kaha.
Saxena uncle bole “ye tumne bahut sahi kaam kiya. Ab tumhara saara kaam aasani se ho jayega. Tum chinta mat karo. Hum juhi ke sasural walon ko aisa dabochege ki, ye shadi khud-ba-khud toot jayegi.”
“Juhi ke mama ki bhi hum achi khabar lege. Unhe juhi ke sath kiye gaye bure saluk ka pura maja chakhayege aur juhi ki car bhi unse wapas lekar aayege. Tum kisi baat ki chinta mat karna.”
“Sab kaam apne samay par ho jayega. Mai abhi apne officer is kaam ke liye laga deta hu. Tumhare Durgapur pahuchte hi, tumhe achi khabar milna suru ho jayegi. Tum befikar hokar Durgapur jao.”
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.
______________________________
 
Last edited:

nightpanthar1

New Member
53
117
33
Ko To Rok Lo {Update - 206}
____________________________

Mai bola “mausi, aap meri maa ki kis khushnashibi ki baat kar rahi ho. Meri maa to duniya ki sabse badnashib maa thi. Jinke bete ne unhe unke marne ke bad hi, bhula diya. Yahan tak ki mujhe to, unka chehra tak yaad nahi hai.”

“Tabhi to priya ko dekhne ke bad, mai us se kahta tha ki, aisa lagta hai ki, jaise mera tumse pichhle janam ka koi rishta hai. Lekin mai us se ye kabhi na kah saka ki, tumhari surat meri maa se milti hai.”

“Lekin mai priya se ye baat kahta bhi to kaise kahta. Mujhe to apni maa ka chehra tak yaad nahi tha. Ab aap hi batao, jis maa ke bete ko uska chehra tak yaad nahi hai. Wo maa ek khushnashib maa kahlayegi ya fir badnashib maa kahlayegi.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne mere aansu pochhte huye kaha.

Anu mausi boli “jis maa ka tera jaisa beta ho. Wo kabhi badnashib ho hi nahi sakti. Fir teri maa purnima to kisi poonam ke chand ki tarah thi. Jitna ujla uska tan tha, us se bhi jyada ujla uska man tha. Wo, mai aur richa teeno bahut pakki saheliyan thi.”

“Wo apni beti ki judai sah nahi payi aur isi gam me usne ghut ghut kar apni jaan de di. Lekin marne ke bad bhi, wo apne bete ko roj apni aankhon se dekhti hai aur aaj barson bad, apni khoyi huyi beti ko bhi apni aankhon se dekhegi.”

Anu mausi ki baten sunkar, mere sath sath mehul ki aankhen bhi puri tarah se bheekh chuki thi. Lekin anu mausi ki aakhiri baat sunkar, hume kuch samajh me nahi aaya aur hum dono hairani se unki taraf dekhne lage. Anu mausi ne hume is taraf hairan dekha to, un ne humari hairani ko door karte huye kaha.

Anu mausi boli “isme itna hairan hone wali koi baat nahi hai. Ek accident me sunita ki aankhon ki roshni chali gayi thi. Purnima ne use apni aankhe dekar, uski adheri jindgi ko fir se roshan banaya tha.”

“Aaj sunita bhale hi purnima ki di huyi aankhon se ye duniya dekh rahi hai. Lekin is sachai ko wo khud bhi nahi janti hai ki, uski andheri jindgi ko roshan banane wali aankhne purnima ki hai.”

“Tumhari maa ek bahut hi mahan aurat thi aur uske dil me har ek ke liye beshumar pyar tha. Kya tumhe kabhi sunita ki aankhon me apni maa najar nahi aati. Jo tumhe apni maa ek badnashib maa lagti hai.”

Anu mausi ki is baat ko sunkar, maine apna chehra saaf karte huye kaha.

Mai bola “mausi, chhoti maa sirf aankhon se hi nahi, balki sar se lekar paanv tak meri maa hai. Unke pyar ne kabhi mujhe maa ki kami mehsus nahi hone di aur isi vajah se mujhe meri janam dene wali maa ka chehra tak yaad nahi raha.”

“Mujhe janam dene wali maa kitni mahan thi, ye to mai nahi janta. Lekin mai ye achi tarah se janta hu ki, meri chhoti maa duniya ki sabse achi maa hai aur ye meri khushnashibi hai ki, mai unka beta hu.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne muskurate huye, ek baar fir mujhe apne gale se laga liya. Tabhi unka mobile bajne laga. Un ne mobile dekha to, chhoti maa ka call aa raha tha. Unke call uthate hi chhoti maa ne, unse kaha.

Chhoti maa boli “didi, hum log mumbai pahuch gaye hai aur ab priya ko dekhne hospital ja rahe hai. Waha chanda mausi ka kya haal hai aur punnu kaisa hai.”

Anu mausi boli “chanda ko hosh aa gaya hai aur abhi wo so rahi hai. Punnu aur mehul dono mere pas hi hai. Tu khud hi punnu se baat kar le.”

Ye kahte huye, anu mausi ne mujhe mobile thama diya. Chhoti maa ne mujhse sabka haal chaal puchha aur fir mujhe sabka dhyan rakhne ke liye samjhane lagi. Mujhse baat karne ke bad, wo fir se anu mausi se baat karne lagi.

Chhoti maa ke bad, anu mausi ki vaani didi se baat hone lagi. Un ne vaani didi se mujhe mumbai bhejne ke baare me puchha. Magar vaani didi ne abhi mujhe mumbai bhejne ke liye mana kar diya.

Vaani didi se baat hone ke bad, anu mausi mujhse aur mehul se aaram karne ko kah kar, wapas chanda mausi ke pas chali gayi. Unke jaane ke bad, meri mehul se baten hone lagi.

Mehul ne bataya ki, jab mai khana khane ghar gaya tha, tab shereen baji aur sheza aayi thi. Wo log tab bhi aayi thi, jab hum pritam ke ghar khana khane gaye the. Mehul ki baat sunkar, mai shereen baji ke baare me sochne laga.

Jab mai shereen baji ke ghar gaya tha, tab wo ghar par nahi thi aur jab wo mujhse milne hospital aayi to, tab mai yaha nahi tha. Mai jab se wapas aaya tha, tab se meri unse mulakat nahi ho payi thi.

Yadi unke pas mobile hota to, meri unse baat ho sakti thi. Lekin na to unke pas mobile tha aur na hi unke ghar me phone tha, jis vajah se meri abhi tak unse koi baat bhi nahi ho payi thi.

Mai abhi isi baare me soch raha tha ki, tabhi mujhe mehul ke kharraton ki aawaj sunayi dene lagi. Wo mujhse baat karte karte hi so gaya tha. Maine time dekha to raat ke 12:15 baj chuke the.

Ab mujhe bhi nind satane lagi thi. Lekin mai keerti se baat kiye bina nahi sona chahta tha. Magar uska call aane ka naam nahi hi le raha tha aur aakhir me uske call ka intejar karte karte meri nind lag gayi.

Subah 6 baje meri nind kisi ke mere sar par hath ferne se khuli. Maine aankh khol kar dekha to, meri bagal me shereen baji, ek kaale rang ka dushala odhe baithi muskura rahi thi.

Shereen baji umar me mujhse 8 saal badi thi aur jyada padi likhi nahi thi. Un ne apni school tak ki padai puri ki thi aur ab duniyadari ke college me apni padai puri kar rahi thi. Jisne unhe hum sab se kahin jyada samajhdar bana diya tha.

Shereen baji bahut jyada sundar thi aur unke kaale lambe ghane baal unki sundarta me char chand laga dete the. Keerti ke baal bhi bahut lambe the.

Lekin baji ke mukable me uske baal kuch bhi nahi the.

Keerti ke baal uski kamar ke niche tak aate the. Jabki baji ke baal unke ghutno tak aate the. Yahi vajah thi ki, mai jab kabhi bhi baji ke lambe baalon ki tarif karta to, keerti jal bhun jati thi.

Baji mujhe bahut pyar karti thi. Unhe keerti ka mujhse ladna jhagadna aur mujhe pareshan karna jara bhi pasand nahi aata tha. Wahin keerti ko mera baji ke pas itni der-der tak baithe rahna pasand nahi aata tha.

Yahi sab vajah thi ki, keerti aur baji ke bich me kabhi nahi patti thi aur dono ek dusre ko jara bhi pasand nahi karti thi. Unke hamesha ke is jhagre me mai pis jata tha. Isliye mai unke samne ek dusre ka naam lene se hi bacha karta tha.

Shereen baji ke ghar me, unke alawa aslam, sheza aur unki ammi thi. Unke abba ka kuch saal pahle intekal ho gaya tha. Unke abba ek sarkari naukri me the aur unki jagah ab shereen baji ko naukri mil gayi thi.

Tab se lekar aaj tak shereen baji hi apne parivar ki saari jimmedari nibhati aa rahi thi. Mai shereen baji ke pas baitha, un se ghanto baten kiya karta tha aur aisi hi kuch aadat shereen baji ko bhi lag gayi thi.

Wo har chhutti ke din mere aane ka intejar karti rahti thi aur jab kabhi mai unke ghar nahi ja pata tha to, wo pareshan ho jaya karti thi. Pichhle ek mahine se, mai keerti aur uncle ke chakkar me unke pas nahi ja paya tha.

Jis vajah se wo mujhe dudte huye pahle ghar tak aur ab hospital tak aa gayi thi. Maine unhe itni subah subah apne samne dekha to, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine muskurate huye unse kaha.

Mai bola “baji, aap itni subah subah yaha kya kar rahi hai.”

Meri baat sunkar, baji ne muskurate huye kaha.

Baji boli “tumko dekhe huye bahut din ho gaye the. Isliye socha ki, tumko sote me hi pakad liya jaye. Warna fir se tumse mil pana mushkil ho jayega.”

Baji ki is baat par maine sharminda hote huye kaha.

Mai bola “sorry baji, mai aapse milne gaya tha. Lekin aap ghar par nahi thi. Mai kal sham ko aapse milne aata. Magar uske pahle hi ye sab ho gaya.”

Meri is baat par baji ne pyar se mere gaal par chapat lagate huye kaha.

Baji boli “pagal, mai sab janti hu. Mujhe tujhse koi shikayat nahi hai. Mai khush hu ki, tu bilkul sahi salamat hai. Warna tujh par huye hamle ki baat sunkar to, meri jaan hi nikal gayi thi. Ab tu ye sab bekar ki baten chhod aur uth kar nashta kar le. Mai tere liye apne hathon se nashta bana kar layi hu.”

Baji ne abhi itna hi bola tha ki, mehul fauran uth kar humare pas aa gaya aur usne baji ke hath se tiffine lete huye kaha.

Mehul bola “baji aapne ye bahut acha kaam kiya. Mujhe subah uthte hi bhookh lagne lagti hai.”

Ye kahte huye mehul tiffine khol kar mere samne rakh diya aur mujhe nashta karne ko bol kar, khud bhi nashta karne laga. Maine nashta karte huye baji se kaha.

Mai bola “baji, aaj aap akeli hi kyo aayi ho. Kya wo hari mirch abhi tak sokar nahi uthi hai. Acha hua ki, aap use apne sath lekar nahi aayi. Warna wo subah subah hi mere dimag ka dahi kar deti.”

Meri ye baat sunte hi, mehul ko ek jordar thaska lag gaya. Use thaska lagte dekh, maine us par gussa karte huye kaha.

Mai bola “abe aaram se nashta kar, nashta kahin bhaga nahi ja raha hai.”

Magar wo meri baat sunkar bhi, fatifati aankhon se mujhe hi dekhe ja raha tha. Uske is tarah se dekhne se mai itna to samajh chuka tha ki, mujhse hi kahin koi galti ho gayi ho.

Lekin mere kuch samajh me nahi aaya to, mai mehul ki is harkat ko janne ke liye, sawaliyan najron se baji ki taraf dekhne laga. Baji ne mujhe apni taraf dekhte paya to, un ne mujhe apne pichhe dekhne ka ishara kiya.

Baji ka ishara samajh me aate hi, maine fauran apne pichhe palat kar dekha aur pichhe dekhte hi, meri bhi bolti band ho gayi. Mere pichhe hare rang ke salwar suit me sheza khadi thi.

Sheza umar me mujhse ek saal chhoti thi aur 9th class me padti thi. Uske upar baji ki hi parchayi padi thi. Wo baji ki tarah hi bahut sundar thi. Uske baal baji ke barabar to nahi the. Lekin baki ladkiyon se kahin jyada bade the.

Magar uski khasiyat uske chehre ki muskan thi. Uske chehre par har samay ek muskan thirakti rahti thi. Jo use aur bhi jyada sundar banati thi. Wo bahut hansmukh aur chanchal thi.

Pal bhar me naraj hona aur pal bhar me hi maan jana uski aadat thi. Meri us se jyada baat chit to nahi hoti thi. Lekin thodi bahut hansi majak chalta rahta tha aur wo kabhi mere kisi majak ka bura nahi manti thi.

Lekin is samay maine uska jo majak udhaya tha. Use sunkar, wo gusse me tamtamayi huyi mujhe dekh rahi thi. Meri us se najar milte hi, usne gusse me bhadakte huye shereen baji se kaha.

Sheza boli “appi aapne sun liya na. Bhaijan meri peeth pichhe kaise meri burayi kar rahe hai. Ab mai inse kabhi baat nahi karugi.”

Ye kahte hi, uski gusse me tamtamayi aankhon me aansu jhilmilane lage. Mai hamesha hi sheza ka isi tarah se majak udhaya karta tha aur wo bhi mere is majak ka kabhi bura nahi maana karti thi.

Magar aaj mai uska ye majak uski peeth pichhe udha raha tha. Jis vajah se mera ye majak uske dil ko chubh gaya tha. Lekin uski aankhon me aansu dekhte hi, maine fauran baat ko sambhalne ki kosis karte huye kaha.

Mai bola “are mai sirf majak kar raha tha aur tu mere is majak ko sach samajh kar, aansu bahane lagi. Maine to tujhe mere pichhe khade, pahle hi dekh liya tha.”

Meri baat sunkar, sheza ne sisakte huye kaha.

Sheza boli “bhaijan, ab jhuth bolne ki kosis mat kijiye. Mai janti hu ki, aapne mujhe nahi dekha tha.”

Sheza kah to sach rahi thi. Lekin ab usko manane ke liye mere pas apni galti par parda dalne ke siwa koi rasta nahi tha. Maine use apni safayi dene ke liye ek aur jhuth bolte huye kaha.

Mai bola “mai sach bol raha hu. Maine tujhe hara salwar suit pahan kar mere pichhe khade dekh liya tha. Tabhi to maine tujhe hari mirch kaha tha.”

Meri baat sunkar, sheza ka sisakna band ho gaya aur wo kuch soch me pad gayi. Use soch me pada dekh kar, baji ne bhi mera sath dete huye kaha.

Baji boli “sheza yadi tujhe iske majak ka itna hi jyada bura lagta hai to, aaj ke bad ye tujhse bilkul bhi majak nahi karega. Ye pahle se hi bahut pareshan hai. Ab tu subah subah aansu baha kar iski pareshani ko aur mat bada.”

Baji ki fatkar sunte hi, sheza ne fauran apna mood badalte huye kaha.

Sheza boli “appi aap bhi mujhe hi gussa kar rahi hai. Bhaijan ko to aapne kuch bhi nahi kaha, jab dekho, tab mera majak udhate rahte hai.”

Baji boli “ise ghar aane de, mai ise bhi bahut gussa karugi. Lekin abhi tu apni sikayat ka pitara band kar aur in dono ko chay de de.”

Baji ki is baat ko sunne ke bad, sheza apna gussa bhool kar, mujhe aur mehul ko chay nikal kar dene lagi. Hum logon ke chay peene ke bad, baji aur sheza chanda mausi se milne andar chali gayi.

Unke andar jaane ke thodi hi der bad anu mausi bahar aa gayi. Un ne bahar aate hi, mujhse aur mehul se kaha.

Anu mausi boli “shereen abhi richa ke aane tak yahi ruki hai. Isliye mai ab ghar ja rahi hu. Tum dono me se jo bhi mere sath ghar chalna chahta ho, wo ghar chal sakta hai.”

Abhi mehul ke ghar me shilpa ruki huyi thi. Isliye maine mehul ko hi anu mausi ke sath ghar bhej diya. Unke jaane ke bad, mai apna mobile nikal kar dekhne laga. Usme raat ko 1:30 baje ke aas pas keerti ke 3 call aaye the.

Lekin abhi subah ke 7 baj jane ke bad bhi, uska koi call nahi aaya tha. Isliye maine khud hi usko call laga lena thik samjha aur use call laga diya. Magar usne mera call jate hi, call kaat diya.

Uske call kaatne se mai itna to, samajh gaya tha ki, wo sokar uth chuki hai aur is samay kisi ke sath hai. Lekin meri samajh me abhi tak ye baat nahi aa rahi thi ki, aakhir is bandi ko mumbai jaane ki itni jyada utawli kyo padi thi.

Kahan to mere kahe kahe bhi, wo mumbai aane ko taiyar nahi thi aur ab kahan mujhe yaha akela chhod kar, apni itni tabiyat kharab hone ke bad bhi, jid karke mumbai me jakar baithi thi.

Mujhe uske mumbai jaane se koi pareshani nahi thi. Lekin abhi uski tabiyat sahi na hone ki vajah se uski fikar sata rahi thi. Mai abhi keerti ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi uska call aane laga.

Uska call aate dekh kar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine fauran hi uska call utha kar, muh fulane ka natak karte huye us se kaha.

Mai bola “tujhe mujhse baat karne ki badi jaldi fursat mil gayi. Ab itni jaldi bhi call karne ki kya jarurat thi. Sidhe yaha wapas aane ke bad hi baat karna tha na.”

Meri baat sunte hi, keerti khilkhila kar hasne lagi. Use hanste dekh kar, maine us par jhutha gussa dikhane ka natak chalu rakhte huye kaha.

Mai bola “kisi ka majak udane ki bhi had hoti hai. Mai tere upar gussa kar raha hu aur tujhe meri baat par hansi aa rahi hai.”

Meri is baat ke jabab me keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “ae tumhara ye jhutha gussa dikhane ka natak bahut ho gaya. Apna ye natak band karo aur sidhe tarike se baat karo. Yadi tum sach me hi gussa hote to, apna muh fula kar baithe hote. Aise ek hi baar me mera call na utha liya hota.”

Keerti ki ye baat sunkar, meri bhi hansi chhut gayi. Maine gussa karne ka natak band karte huye us se kaha.

Mai bola “acha baba, ab tu ye bata ki, teri tabiyat kaisi hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne thoda gambhir hote huye kaha.

Keerti boli “meri tabiyat bilkul thik hai. Magar priya ko abhi tak hosh nahi aaya hai. Mai aur vaani didi to raat ko 1 baje barkha didi ke sath, ajay bhaiya ke bungalow me aa gaye the. Lekin mausi riya ke ghar walon ke sath saari raat hospital me hi thi.”

“Abhi jab tumne mujhe call kiya tha, tab hi wo ajay bhaiya ke sath hospital se wapas lauti thi. Wo priya ki tabiyat ko lekar bahut jyada pareshan thi aur vaani didi se tumhe yaha bulane ki baat kar rahi thi.”

“Vaani didi ne unse dopahar tak intejar karne ko kaha hai. Shayad aaj raat tak ya fir kal kisi samay tumhe bhi ami nimi ke sath yaha ke liye nikalna pad sakta hai. Tum apni aur ami nimi ki yaha ke liye nikalne ki taiyari karke rakhna.”

Priya ki haalat ke baare me sunte hi, meri aankhon me nami chha gayi. Shayad keerti ko bhi meri is haalat ka aehsas tha, isliye usne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “tum fikar mat karo, priya ko kuch nahi hoga. Priya ka ilaj nidhi didi kar rahi hai. Nisha bhabhi bata rahi thi ki, nidhi didi ek bahut achi Neurosurgeon hai aur wo priya ki tabiyat par pal pal najar rakhe huye hai.”

“Mai janti thi ki, tum abhi yaha nahi aa paoge. Lekin tumhe waha priya ki tabiyat ki chinta satati rahegi. Isliye mai jid karke yaha aa gayi thi. Taki mai tumhe yaha ka saara haal batati rahu.”

“Maine tumhari mumbai wali sim chalu kar li hai. Tum bhi apne mobile me meri sim daal kar chalu kar lena. Wo sim se baat karna abhi bhi free hi hai. Us se tum yaha ki saari baat chit apne kaano se sun sakoge.”

Keerti ne thodi bahut baten karne ke bad, mujhse uski di huyi sim mobile me daal kar, ek missed call dene ki baat jata kar call rakh diya. Uske call rakhne ke bad, maine uski di huyi sim mobile me daali aur use ek missed call de diya.

Keerti ko missed call dene ke bad, mai uske baare me sochne laga. Wo jid karke mumbai sirf meri vajah se hi gayi thi. Is se hi pata chalta tha ki, wo meri soch se kahin jyada gahrayi tak mujhse judi huyi thi.

Mai abhi keerti ke baare me soch raha tha ki, tabhi sheza aa gayi. Usne mujhe gum-sum sa baithe dekha to, hansi majak karke mera dil bahlane lagi. Uske is hansi majak se mera saara tanav door ho gaya.

Aise hi sheza se baat karte karte 9 baj gaye. Abhi meri sheza se baat chal hi rahi thi ki, tabhi kisi ladki ki aawaj ne mujhe chauka diya. Maine pichhe palat kar dekha to, mere samne red color ka patiyala salwar suit me ankita khadi thi.

Ankita ko is tarah se achanak apne samne dekh kar, mere to pasine chhut gaye. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ye achanak yaha kaise aa gayi aur ab mai iske baare me sheza ko kya samjhauga.

Wahi dusri taraf sheza kabhi ankita ki taraf to, kabhi meri taraf gaur se dekhe ja rahi thi. Mujhe is baat ka dar bhi sata raha tha ki, kahin ankita sheza ke samne kuch ulta sidha na bol jaye. Isliye ankita ke kuch bolne ke pahle hi, maine us se kaha.

Mai bola “aap yaha kaise.? Kya aapka bhi koi yaha bharti hai.”

Meri baat sunkar, ankita ne muskurate huye kaha.

Ankita boli “are nahi, mera yaha koi bharti nahi hai. Wo to kal maine TV par news dekhi thi aur abhi meri friend se meri baat huyi to, us se pata chala ki, abhi aap yahi ho. Isliye mai aap se milne yaha chali aayi.”

Ankita ki ye baat sunkar, mai samajh gaya ki, abhi uski keerti se baat huyi hai aur keerti ne use yaha aane diya hai to, iska matlab hai ki, usne sab kuch samjha kar hi ankita ko bheja hoga.

Is baat ke samajh me aate hi, mere man me ankita ke aane se jo bhi dar tha, wo nikal gaya tha aur mere chehre par muskurahat aa gayi thi. Maine muskurate huye ankita se kaha.

Mai bola “un news walon ne to, raai ka pahad bana diya. Pata nahi unko aisa karne me kya mil gaya.”

Lekin ankita ne jaise meri is baat ko suna hi nahi tha. Usne sheza ki taraf ishara karte huye kaha.

Ankita boli “aapne inse to mera parichay karwaya hi nahi hai.”

Anikta ki baat sunkar, maine uska sheza se parichay karwate huye kaha.

Mai bola “ye mere dost ki bahan sheza hai aur sheza ye meri friend ankita hai.”

Mere un dono ka parichay karwa dene ke bad, dono aapas me baten karne lagi. Abhi un dono ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi wheelchair par ek ladki ko hospital ke andar aate dekh kar, hum teeno ki hi najren us par jakar tik gayi.

Wo ladki is samay ek black skirt top pahni thi aur sheza ki umar ki lag rahi thi. Uske baal jyada lambe to nahi the. Lekin uske khule huye baal, uske chehre ko khoobsurat jarur bana rahe the.

Wo na to sheza ki tarah sundar thi aur na hi sheza ki tarah uske chehre par koi muskan thirak rahi thi. Fir bhi uske chehre par ek masumiyat jhalak rahi thi. Jo humara dhyan uski taraf khich rahi thi.

Us masoom se chehre wali ladki ko wheelchair par dekh kar, na jane kyo mujhe uske sath hamdardi si ho rahi thi. Aisa hi kuch shayad sheza aur ankita ke sath bhi ho raha tha. Wo dono bhi bade gaur se usi ladki ko dekh rahi thi.

Ek aadmi us ladki ki wheelchair ko dhakelte huye, use I.C.U. room ke andar le gaya. Us ladki ke humari najron se ojhal hote hi, sheza ne uske sath hamdardi jatate huye, mujhse kaha.

Sheza boli “bhaijaan, us ladki ka chehra kitna pyara lag raha tha. Lekin lagta hai ki, us bechari ke pair kharab hai.”

Maine bhi sheza ki is baat ki sahmati di. Iske bad, ankita hum dono se ijajat lekar, wapas jaane lagi. Sheza muskurati huyi, ankita ko jaate huye dekhne lagi. Mai janta tha ki, ab ye uske jaate hi, mere upar sawalon ki bauchhar kar degi.

Lekin ankita ke hospital se bahar nikalte hi, hume richa aunty aur ami nimi hospital ke andar aate dikhayi de gayi. Richa aunty ko aate dekh kar, maine bhi rahat ki saans li ki, ab mera sheza ke sawalon se pichha chhut jayega.

Richa aunty ne humare pas aakar sheza se ek do baten ki aur fir mujhse chanda mausi ki tabiyat ke baare me puchhne lagi. Maine unhe chanda mausi ki tabiyat ka bataya aur fir vaani didi ki anu mausi se huyi baat ka hawala dete huye kaha.

Mai bola “aunty, raat ko anu mausi ki vaani didi se baat huyi thi. Vaani didi ne kaha hai ki, wo jaldi hi mujhe bhi mumbai bula legi. Mujhe kisi bhi samay ami nimi ke sath mumbai ke liye nikalna pad sakta hai.”

Meri baat sunne ke bad, richa aunty mujhe mumbai jaane ki taiyari karne ke liye samjhane lagi. Lekin tabhi humari mumbai jaane ki baat sunkar, ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, abhi meri school me exam chal rahe hai aur mai apne exam chhod kar mumbai nahi ja sakti hu. Yadi mai mumbai nahi gayi to, nimi bhi mere bina mumbai nahi jayegi.”

“Abhi yaha mummy aur keerti didi bhi nahi hai. Aapko pata hai ki, nimi raat ko akele me kitni jyada dar jaati hai. Aise me aap hum dono ko akele chhod kar mumbai kaise ja sakte hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mere sath sath richa aunty bhi sann rah gayi. Kyoki kal priya ke baare me jo bhi baten huyi thi, wo ami nimi ke samne hi huyi thi. Wo dono apne kaano se sun chuki thi ki, priya meri judwa bahan hai.

Wo ye bhi achi tarah se janti thi ki, chhoti maa mumbai kyo gayi hai aur hum logon ko mumbai kyo jaana hai. Iske bad bhi ami ka ye baat kahna mere gale se niche nahi utar raha tha.

Nimi to abhi nasamajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid ki bhi ja sakti thi. Lekin ami me in sab baton ki achi khasi samajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid hargij nahi ki ja sakti thi.

Wo ek tarah se mujhe mumbai jaane se rokna chahti thi. Usne kolkata me ek aisa bomb foda tha. Jiski goonj mujhe mumbai tak sunayi de rahi thi aur jiske dhamake ne mere man me ek anjana sa dar paida kar diya tha.

______________________________
Fabulous job 👏
 
  • Like
Reactions: Pritam.bs

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,273
16,627
159
Ko To Rok Lo {Update - 0259}
____________________________
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi. Ami nimi bhi keerti ke gusse ko samajh gayi thi. Isliye ami ne dhire se mujhse kaha.
Ami boli “bhaiya, lagta hai keerti didi, juhi didi ki shadi tudwane wali baat ko dekh kar naraj ho gayi hai. Aap hi unhe kuch samjhaiye.”
Mujhe bhi ami ki ye baat sahi lagi. Lekin ab hum ghar ke bahar tak pahuch chuke the. Isliye is se pahle ki keerti ghar ke andar jati, maine aage bad kar uske pas aakar use rokte huye kaha.
Mai bola “tu jara yahi ruk, mujhe tujhse kuch jaruri baat karna hai.”
Meri baat sunkar, keerti ghar ke bahar hi ruk gayi. Is samay hum log ghar ke porch me khade huye the. Keerti gusse me meri taraf dekh nahi rahi thi. Isliye maine uske samne aate huye kaha.
Mai bola “kya tu mujhse juhi didi ki shadi tudwane wali baat ko lekar naraj hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne gusse me mere upar bhadakte huye kaha.
Keerti boli “tumhe ye sab karne ki kya jarurat thi. Tum jante nahi ho, jab ye baat mausa ji aur mausi ko pata chalegi to, wo tum par kitne jyada naraj hoge.”
Mai bola “dekh, in sab baton ke pahle tujhe juhi didi ke baare me bhi sochna chahiye. Tum sab mil kar unke sath kitna galat kar rahe the. Yadi samay par vaani didi ne mera sath nahi diya hota to, tum sabne milkar juhi didi ki jindgi hi barbad kar di thi.”
Meri baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “jaisa tum soch rahe ho aisa kuch bhi nahi hai. Ye geeta aunty ke ghar ka mamla hai aur wo is mamle me kisi baat sunne ko taiyar nahi thi. Hum sab bhala unke ghar ke mamle me kaise dakhal de sakte the.”
Keerti ki ye baat sunkar maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “dekh, mujhe is sab se koi matlab nahi hai. Magar mai tujhe kisi baat se naraj nahi rakh sakta hu. Meri khatir tu is mamle me juhi didi ke khilaf rahna chhod de aur is sab me mera sath de.”
Meri baat sunkar, keerti ka gussa aansuon me badal gaya aur uski aankhon me aansu jhilmilane lage. Wo aage bad kar mere gale se lag gayi aur uski aankhon se aansu bahne lage. Maine use chup karwate huye kaha.
Mai bola “dekh, tujhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Mai sab sahi kar luga. Tu bas mere sath rah.”
Meri baat sunkar bhi keerti ke aansu rukne ka naam nahi le rahe the. Ye dekh kar ami ne aage bad kar keerti se kaha.
Ami boli “didi, aap bekar me ro rahi hai. Juhi didi ke sath kuch galat nahi hoga. Bhaiya sahi kah rahe hai. Wo sab sahi kah rahe hai.”
Ami ki baat sunkar, keerti ne ek najar ami ko dekha aur fir na jaane kya soch kar mere gale se alag huyi aur ami ke gale se lipat kar rone lagi. Nimi ne ye dekha to, usne fauran keerti ke samne aakar kaha.
Nimi boli “didi, aap bilkul bhi chinta mat karo. Juhi didi ki shadi toot jayegi.”
Nimi ki ye baat sunkar, keerti ne ek najar nimi ko dekha aur fir ami ko chhod kar nimi se lipat gayi. Nimi se lipat kar usne foot foot kar rona suru kar diya. Keerti ka ye rona nimi ki samajh me nahi aaya.
Wo to ami ki tarah keerti ko chup karane uske samne aayi thi. Lekin usne keerti ko aur bhi jyada rula kar rakh diya tha. Ye dekh kar nimi meri aur ami ki taraf dekhne lagi. Keerti ko is tarah se rote dekh kar, maine us se kaha.
Mai bola “dekh, tera rona hum se kisi ko bhi acha nahi lag raha hai. Maine kaha na ki, tujhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Sab thik hoga. Bas tu mera sath deti rah. Fir tu kisi baat ka pachhtawa kyo kar rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne apne aansu ponch kar khade hote huye kaha.
Keerti boli “kya, mere tumhara sath dene se ye baat khatam ho jayegi ki, maine juhi didi ke sath bahut bura saluki kiya hai. Unki najar me to, ye baat waisi ki waisi hi rahegi. Wo to hamesha mujhe galat manti rahegi.”
Keerti ki baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “nahi, aisa kuch nahi hoga. Mai sab sambhal luga aur tere upar koi baat nahi aane duga. Meri yadi tujhse is baare me baat huyi hoti to, tune khud mujhe ye sab baten bata di hoti. Bas isi baat ko sach maan aur mera sath de. Baki ki baten apne dimag se nikal de.”
Meri baat sunkar, keerti mera chehra gaur se dekhne lagi. Shayad wo meri is baat par yakin karna chahti thi. Keerti ko is tarah se dekh kar ami ne fir us se kaha.
Ami boli “didi, aap ye sab baten mat sochiye aur sirf bhaiya ka sath dijiye. Dekhiye fir kaise sab thik nahi ho jata hai.”
Ami ki baat sunkar, keerti ne apna chehra saaf karte huye kaha.
Keerti boli “thik hai, mai tum logon ke sath hu. Ab batao aage mujhe kya karna hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.
Mai bola “hume abhi ye baat kisi ko pata nahi chalne dena hai. Abhi aniruddha, niranjan aur manik bhi humare sath jaane ke liye aane wale hai. Vaani didi ka kahna hai ki, hume waha unki jarurat pad sakti hai.”
“Isliye wo teeno humare sath hi jayege. Unke mobile number mehul ke pas hai. Mujhe mehul se unke mobile number lena hai. Lekin use bhi abhi is sab ke baare me kuch pata nahi chalna chahiye. Taki ye baat aage chal kar uske upar na aaye.”
Meri baat sunkar, keerti ne is baat ki haami bharte huye kaha.
Keerti boli “thik hai, aisa hi hoga. Ab hume ghar ke andar chalna chahiye. Ghar me sab humare wapas aane ka intejar kar rahe hoge.”
Keerti ki is baat ki sahmati hum sabne di aur fir hum sab keerti ke sath ghar ke andar aa gaye. Hum ghar pahuche to, ghar me is samay anu mausi, mausa ji, kamal, bua ji, richa aunty, uncle, aur mehul sabhi log aa chuke the.
Lekin inke alawa hume waha nitika aur mohini aunty bhi najar aa rahi thi. Wo neha ke sath baten kar rahi thi. Hum logon ko wapas aaya dekh kar, chhoti maa ne mujhse kaha.
Chhoti maa boli “kya hua. Tum logon ka saxena ji se milna ho gaya.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi, punnu ka saxena uncle se milna ho gaya hai. Ab aap bataiye hume yaha se kab nikalna hai.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “abhi hume yaha se nikalne me bahut samay hai. Pahle tum log mohini aunty se mil lo, wo kab se tum logon ka saxena ji ke yaha se wapas aane ka rasta dekh rahi thi.”
Chhoti maa ki baat sunkar hum sab mohini aunty se milne lage. Hum sab logon ka haal chaal puchhne ke bad mohini aunty chhoti maa se baat karne lagi aur neha nitika se baat karne me lagi thi. Ye dekh kar maine keerti se puchha.
Mai bola “kya humare sath juhi didi ki shadi me nitika aur mohini aunty bhi ja rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “haan, mausi ne priya ki vajah se mohini aunty aur nitika ko bhi apne sath le jana sahi samjha tha. Isliye mohini aunty aur nitika bhi humare sath juhi didi ki shadi me ja rahi hai.”
Abhi keerti apni baat bol kar chup huyi thi ki, tabhi ami ne keerti ki adhuri baat ko pura karte huye kaha.
Ami boli “wo Mumbai me priya ne mummy se kaha tha ki, nitika didi uski chacheri bahan hai aur wo aapke shahar me hi rahti hai. Kya aap use bhi meri tarah hi apna pyar degi.”
“Tab mummy ne priya se kaha tha ki, wo yaha nitika ka pura khayal rakhegi. Isliye jab sab juhi didi ki shadi me jaane lage to, mummy ne nitika didi aur mohini aunty ko bhi apne sath le jana thik samjha.”
Maine ami ki baat suni to, mujhe kuch acha sa nahi laga. Wo abhi bhi priya ko naam se hi bula rahi thi. Usne nitika to, didi kaha tha. Lekin priya ko didi kahna jaruri nahi samjha tha.
Lekin is samay us se is baare me kuch kahne ka koi matlab nahi tha. Magar priya ka naam samne aane ki vajah se mera man us se baat karne ka karne laga tha. Aaj Mumbai me hadsa ho jaane ke bad bhi maine waha kisi ko call nahi kiya tha.
Isliye yaha se nikalne se pahle mera Mumbai me sabse baat kar lena bahut jaruri tha. Yahi soch kar maine keerti aur ami nimi se kaha.
Mai bola “aaj Mumbai me itna bada hadsa ho jane ke bad bhi, abhi tak maine waha kisi ko call laga kar baat nahi ki hai. Mujhe abhi tak Mumbai me kisi ko call lagane ka mauka hi nahi mila hai.”
“Abhi yaha sab baten karne me lage huye hai. Acha yahi hoga ki, mai apne kamre me jakar Mumbai me sabse thoda bahut baat kar lu. Fir yaha se humare nikalne par mera un sabse baat karna itni aasani se nahi ho payega.”
Meri ye baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “thik hai, lekin pahle mehul se wo sab mobile number to le lo.”
Mai bola “wo, mai wapas aakar le luga. Abhi mera Mumbai me sabse baat karna bahut jaruri hai.”
Meri baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo thik hai, jaldi wapas aana.”
Mai bola “tum fikar mat karo, mujhe jyada samay nahi lagega.”
Ye kah kar mai upar apne kamre me jaane ko hua ki, tabhi ami ne mujhe tokte huye kaha.
Ami boli “bhaiya kya mai bhi aapke sath chalu. Mujhe bhi Mumbai me shikha didi aur barkha didi se baat karna hai.”
Ami ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “betu, ye bhi koi puchhne ki baat thi. Tujhe shikha didi aur barkha didi se baat karna thi to, mujhe pahle bata deti. Mai teri baat unse pahle hi kara chuka hota. Chal koi baat nahi, hum chal kar pahle shikha didi aur barkha didi se hi baat kar lete hai.”
Meri baat sunkar, nimi ne kaha.
Nimi boli “bhaiya, mujhe bhi Mumbai me shikha didi aur barkha didi se jaruri baat karna hai.”
Mai nimi ki aadat ache se janta tha, isliye uski baat sunkar maine us se puchha.
Mai bola “tujhe Mumbai me shikha didi aur barkha didi se kya jaruri baat karni hai.”
Meri baat sunkar, nimi ne bade hi bholepan se kaha.
Nimi boli “bhaiya, wo mai Mumbai ja rahi hu to, shikha didi aur barkha didi ko batana tha ki, mai is baar bhi Mumbai ghumugi.”
Nimi ki ye baat sunkar, maine nimi ko goor kar dekhte huye kaha.
Mai bola “chhoti, ye kya hai. Pichhli baar humne tujhe puri Mumbai to ghuma di. Tu is baar fir Mumbai ghumne ki baat karne lagi.”
Meri baat sunkar, nimi ne bade bholepan se kaha.
Nimi boli “wo mujhe lagta hai ki, abhi maine puri Mumbai ache se nahi ghumi hai. Isliye is baar puri Mumbai ache se ghoom lugi.”
Nimi ki baat sunkar, ami ne us par gussa jatate huye mujhse kaha.
Ami boli “bhaiya, ye har baar yahi sab karti rahti hai. Hum Mumbai hetal didi ki surgery ke liye ja rahe hai aur ye yahi se barkha didi ko Mumbai ghumane ke liye pareshan karne ki taiyari kar rahi hai. Aap ise mana kyo nahi karte hai.”
Is se pahle ki mai ami ki is baat ka koi jabab de pata. Keerti ne ami ko samjhate huye kaha.
Keerti boli “tum log nimi ke chakkar me kyo pad rahe ho. Wo Mumbai walon ko Mumbai pahuchne ke bad hi pareshan kar sakegi. Lekin yaha par apni baton se usne tum logon ko Mumbai baat karne se rok diya hai.”
“Isliye meri baat mano to, tum log nimi ki baat me ulajhne ki jagah, Mumbai baat kar lo. Yadi yaha nimi ko apni baat samjhate rahe to, wo pure samay apni baat hi tumhe samjhati rahegi.”
“Lekin tumhari baat ka hal yahi niklega ki, nimi to tumhari baat samajh jayegi. Lekin tumhare pas khud apni baat samajhne ke liye kuch nahi bachega. Tum Mumbai baat nahi kar paoge.”
Keerti ki ye baat mujhe sahi lagi aur fir mai bina kisi vivid me pade ami nimi ke sath apne kamre me aa gaya. Apne kamre me aate hi maine barkha didi ko call laga diya. Mera call jate hi barkha didi ne fauran mera call uthate huye kaha.
Barkha didi boli “kya hua, tum to aaj shadi me jaane wale the.”
Mai bola “ji didi, bas wahi jaane ki taiyari chal rahi hai. Lekin aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se aapse baat karna jaruri laga. Aap sab log thik to hai na.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “tum chinta mat karo, yaha sab bilkul thik hai. Mumbai me chal rahi firing ki vajah se aaj saari Mumbai band hai aur sab apne apne gharo me chhutti mana rahe hai.”
“Yaha bhi aaj sab ghar par hi hai. Tum batao, tumhari shadi me jaane ka kya hua. Shadi me jaane ke liye kab nikal rahe ho. Ami nimi kaisi hai. Wo to shadi me jaane ke naam se bahut khush hogi.”
Barkha didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “didi, hum logon ki shadi me jaane ki saari taiyati puri ho chuki hai aur hum log 2-3 ghante me shadi me jaane ke liye nikal jayege. Ami nimi bhi shadi me jaane ki baat ko lekar bahut khush hai.”
“Magar waha jaane se pahle wo aapse aur shikha didi se baat karna chahti hai. Is samay wo dono mere sath hi hai.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne mujh par gussa karte huye kaha.
Barkha didi boli “ye baat tumne mujhe pahle kyo nahi batayi. Pahle ami nimi ko call do, mai pahle unse baat karugi.”
Barkha didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji didi, mai abhi ami nimi ko call deta hu. Ye lijiye aap ami nimi se baat kijiye.”
Ye kahte huye maine ami ki taraf mobile bada diya. Ami nemujhse mobile liya aur fir barkha didi se baat karte huye kaha.
Ami boli “hello didi, aap kaisi hai.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “mai achi hu. Ye batao tum kaisi ho. Nimi kaisi hai.”
Ami boli “didi, mai bhi achi hu aur nimi bhi achi hai. Bas aaj Mumbai ki baat suni to, aapse baat karne ka man kar raha tha.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “tumne call karke bahut acha kiya. Mujhe bhi aaj tum logon ki bahut yaad aa rahi thi.”
Barkha didi ki baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “didi, kya shikha didi bhi aapke pas hai. Mujhe unse bhi baat karna hai.”
Ami ki baat sunkar, barkha didi ne kaha.
Barkha didi boli “nahi, shikha didi mere pas nahi hai. Wo abhi bahar drawing room me sabke sath baithi hai. Mai abhi apne kamre me hu. Lekin tum fikar mat karo, mai abhi unse tumhari baat karwati hu.”
Ye kahte huye barkha didi, ami ki baat shikha didi se karwane ke liye drawing room chali gayi. Waha aakar un ne shikha didi se ami ki baat karwayi. Ami ne shikha didi ka haal chal puchha.
Shikha didi se thodi bahut baat karne ke bad, nisha bhabhi, seeru didi, selu aur aru se bhi ami ki baat huyi. Ami ke bad nimi ki bhi shikha didi, barkha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru se baat huyi.
Ami nimi ke bad meri bhi thodi bahut shikha didi, nisha bhabhi, barkha didi, seeru didi, selu didi aur aru se baten huyi. Barkha didi se baat puri hone ke bad, maine call rakh diya. Barkha didi ka call rakhne ke bad, maine ami nimi se kaha.
Mai bola “tum dono ka Mumbai baat karna ho gaya hai ya abhi tum logon ko priya se bhi baat karke waha ka bhi haal chaal lena hai.”
Meri baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “nahi bhaiya, humara Mumbai baat karna ho gaya hai. Hum log niche ja rahe hai. Aap jaldi niche aana.”
Ye kah kar ami niche jaane ke liye uth kar khadi ho gayi. Use niche jaane ke liye khada hote dekh kar nimi bhi uth kar khadi ho gayi. Fir dono mujhe jata kar niche chali gayi.
Mai ami ki aaj ki harkat ka matlab samajh gaya tha. Use aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se waha shikha didi, barkha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru in sab ki chinta thi. Isliye usne inhe call karke inka haal chaal puchha.
Lekin priya ke liye uske dil me jara bhi jagah nahi thi. Isliye usne priya se baat karke uska haal chaal lene ki koi jarurat nahi samjhi. Yaha tak ki priya ki vajah se usne nikki se bhi baat karna jaruri nahi samjha tha.
Abhi ami nimi ek baar fir Mumbai jaane wali thi aur ami ka samna ek baar fir priya se hone wala tha. Priya ki tabiyat is baar bilkul sahi thi aur wo ami nimi ke sath samay bitane ki koshish kar sakti thi.
Lekin wo ye nahi janti thi ki, ami nimi uski bahan hai. Jisme se ami priya ko jara bhi pasand nahi karti hai. Ami nimi dono shikha didi aur barkha didi ke itne karib hai ki, unhe Mumbai me kisi bhi baat ke liye priya ki jarurat hi nahi padni hai.
Kabhi yadi ye baat priya ke samne khulti hai ki, ami nimi uski bahan hai to, us samay use ami ke bartav se thes pahuchna bhi lagbhag tay chal raha hai. Ami is baat ke liye puri tarah se taiyar chal rahi hai.
______________________________
 
Last edited:

supersonic12345

Love is hard to find, hard to keep, hard to 4Got
930
1,258
138
Ko To Rok Lo {Update - 0258}
____________________________
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya. Ye dkh kar anu mausi ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “ab tu bahar jakar baith, mera pakode talna ho chuka hai. Mai abhi pakode lekar aati hu.”
Anu mausi ki baat sunkar, mai bahar kamre me kamal ke pas aa gaya. Mujhe aaya dekh kar kamal ne mujhse puchha.
Kamal bola “tum papa se naraj to nahi ho.”
Kamal ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “nahi, mai mausa ji se jara bhi naraj nahi hu. Magar meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, wo bekar me mujhe ye sab iljam kyo diye ja rahe hai.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “wo tumhe bekar me koi iljam nahi de rahe hai. Tumhe yaad hoga ki, parson mausa ji yahi par ruke the. Tum logon ke jaane ke bad, mai yahi par apni padai karne me laga tha.”
“Kuch der bad papa aur mausa ji apne kamre me jaane ke liye yaha aa gaye. Papa unhe jata kar apne kamre me jaane hi wale the ki, mausa ji ne papa se kaha ki, unhe papa se kuch jaruri baat karna hai.”
“Ye sunkar papa ruk gaye. Fir mausa ji ne hi papa se tumhari ye sab shikayaten ki hai. Mausa ji ne papa se tumhari Mumbai aane jaane ko lekar bahut saari shikayten ki hai.”
“Unko hi tumhare baar baar Mumbai jaane se aur apni padai par dhyan na dese se problem thi. Jis vajah se aaj papa ke samne tum aaye to, papa ne ye sab baten tumhare samne rakh di.”
Kamal ki ye baten sunkar, mai gaur se use dekhne laga. Is se pahle ki, kamal mujhse kuch aur kah pata, anu mausi pakode lekar aa gayi. Anu mausi ne abhi mere samne pakode rakhe hi the ki, tabhi keerti, neha aur bua ji bhi aa gayi.
Bua ji aakar humare pas baith gayi. Wahi keerti ne mere samne pakode rakhe to, fauran mere pas baithte huye, ek pakoda hath me utha kar kaha.
Keerti boli “aaha, garma garam pakode, ab to inhe khane ka bahut maja aayega.”
Ye kah kar keerti jaise hi pakoda khane ko huyi, anu mausi ne uske hath se pakoda chhinte huye kaha.
Anu mausi boli “ye sab maine tere khane ke liye nahi banaye hai. Ye punnu ke khan eke liye hai.”
Ye kahte huye anu mausi keerti ke hath se chhina hua pakoda wapas plate me rakh diya. Ye dekh kar neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne kunmunate huye kaha.
Keerti boli “are mummy, mujhe bhi khane do. Na jaane kitne din bad mujhe pakode khane ko mil rahe hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine bhi uska sath dete huye kaha.
Mai bola “mausi, keerti ko bhi pakode khane dijiye na. Usne sach me apni tabiyat ki vajah se bahut din ye sab chijen nahi khayi hai.”
Meri baat sunkar, mausi muskura kar rah gayi. Ye dekh kar keerti ne fauran do pakode uthaye aur ek pakoda neha ki taraf badate huye kaha.
Keerti boli “lo, tum bhi humare sath baith kar garma garam pakode khao, fir hum wapas chalte hai.”
Keerti ki baat sunkar, neha ne keerti se pakoda le liya aur uske pas aakar baith gayi. Fir hum sab mil kar pakode khane lage. Kuch hi der me hum sab ka pakode khana ho gaya.
Iske bad maine, keerti aur neha ne ko jataya ki, ab hum log ghar wapas ja rahe hai. Humari baat sunne ke bad, mausi ne kaha ki, wo bhi kuch der me bua ji, kamal aur mausa ji ke sath ghar pahuch rahi.
Mausi ki ye baat sunne ke bad, humne unse ijajat li aur fir hum teeno keerti ke bag ke sath ghar ke bahar aa gaye. Keerti ne scooty uthauyi aur neha ko baithaya. Neha ne keerti ka bag pakda aur fir keerti ne scooty aage bada di.
Maine bhi apni bike uthayi aur fir keerti logon ke sath ghar ke liye nikal pada. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty se neha ko utara aur scooty khadi karne lagi.
Uske scooty khadi karne ke bad, maine bhi apni bike khadi ki aur fir hum teeno ghar ke andar aa gaye. Hume ghar ke andar aate dekh ami nimi mujhe dhyan se dekhne lagi.
Unhe is tarah se apni taraf dekhta pakar mai unki baat ka matlab samajh gaya aur maine unhe dekh kar muskura diya. Wo bhi mere muskurane ka matlab samajh gayi ki, mausi ke pas mera kaam ban gaya hai.
Jise dekh kar wo bhi khush ho gayi. Hum sab chhoti maa aur ami nimi ke pas aakar baith gaye. Abhi hume ghar se niaklne me bahut samay baki tha aur abhi mujhe saxena uncle ke pas milne jana tha.
Isliye ab mai is baare me sochne laga. Kuch der sabke sath baithe rahne ke bad, maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, vaani didi humare yaha nikalne ke pahle mujhse saxena uncle se mil kar jaane ko kaha hai. Kya mai unse milne unke ghar chala jau.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “vaani ne tujhse kaha tha to, tujhe unse pahle hi mil lena chahiye tha. Ab humare yaha se nikalne ka samay ho raha hai. Isliye tu jaldi se jakar unse mil aa. Malum nahi, vaani ne kis jaruri vajah se tujhe unse milne ke liye kaha tha.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji chhoti maa, mai abhi saxena uncle se mil kar aata hu.”
Ye kah kar mai uth kar khada ho gaya. Mujhe saxena uncle ke ghar akela jaate dekh kar, keerti ne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, ye saxena uncle ke ghar me kisi ko janta nahi hai. Aisa karti hu ki, mai bhi iske sath chali jaati hu. Ise unse milne me problem nahi hogi.”
Keerti ki ye baat chhoti maa ko bhi sahi lagi. Isliye un ne keerti se kaha.
Chhoti maa boli “tu thik kah rahi hai. Tu iske sath chali ja au rise unse mila dena.”
Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi.”
Ye kah kar keerti mere sath saxena uncle ke ghar jaane ke liye taiyar khadi ho gayi. Ye dekh kar ami nimi thoda pareshan ho gayi. Unhe pareshan dekh kar maine ami nimi se kaha.
Mai bola “ami nimi, tumhara bhi to saxena uncle ke ghar aana jaana chalta rahta hai. Tum bhi mere sath chalo.”
Meri baat sunkar, ami nimi ne mere sath jaane ke liye khade hote huye kaha.
Ami boli “ji bhaiya.”
Nimi boli “hum log waha sabko jante hai. Hum aapke sath chalet hai. Taki aapko saxena uncle se milne me koi pareshani na ho.”
Ye kahte huye ami nimi bhi mere sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Fir mai ami nimi aur keerti ke sath saxena uncle ke ghar ke liye nikal gaya. Hum log saxena uncle ke ghar pahuche to, gate par ek security guard khada tha.
Keerti aur ami nimi ko dekh kar, usne fauran gate khol diya aur hum log andar aa gaye. Keerti ne gate ke andar kadam rakhte huye kaha.
Keerti boli “itne samay to saxena uncle ghar par rahte nahi hai. Tum unse miloge kaise.”
Mai bola “ye to, unke ghar ke andar pahuch kar hi pata chal sakega ki, unse kaise mila ja sakta hai.”
Meri baat sunkar, keerti mujhe unke ghar ke andar le jane lagi. Kuch hi der me hum saxena uncle ke ghar ke drawing room me the. Us room me is samay mujhe dipti aur tripti najar aa rahi thi.
Dipti to, mujhe ghar me dekh chuki thi. Isliye mujhe pehchanti thi. Lekin tripti ke samne mai aaj pahli baar aa raha tha. Lekin mai jarur tripti ko do baar dekh chuka tha. Ek baar maine use hospital me dekha tha.
Us samay wo wheelchair me hospital me kisi ko milne ja rahi thi. Us samay wo bahut hi masoom aur pyari dikh rahi thi. Use wheelchair me dekh kar mujhe uske sath hamdardi hone lagi thi.
Fir bad dusri baar maine use uske ghar ki chhat par dekha. Tab mujhe keerti se pata chala ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Keerti se hi mujhe pata chala ki, wo hospital me chanda mausi ko dekhne gayi thi.
Is tarah tripti ko to mai achi tarah se pehchanta tha ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Lekin tripti se mera samna kabhi nahi hua tha aur na hi usne kabhi mujhe dekha tha.
Is samay bhi tripti wheelchair me hi baithi koi book padne me lagi huyi thi. Uske pas hi dipti baithi painting banane me lagi huyi thi. Humne drawing room me kadam rakha to, hume apne ghar aaya dekh kar, dipti ne khush hote huye kaha.
Dipti boli “keerti didi, aap yaha. Ami nimi tum itne samay yaha kaise. Aao na baitho.”
Ye kah kar wo hum sab se baithne ki kahne lagi. Dipti ki baat sunkar, hum sab uske sath hi wahi baith gaye. Wahi tripti bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Wo shayad mujhe pehchanne ki koshish kar rahi thi ki, mai kaun hu. Idhar humare baithte hi, dipti ne keerti se puchha.
Dipti boli “kya hua didi. Kya aap log kisi jaruri kaam se humare ghar aayi hai.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne uski baat ka jabab dete huye kaha.
Keerti boli “haan dipti, is samay hum tumhare ghar bahut hi jaruri kaam se aaye hai. Vaani didi ne hum logon ke juhi didi ki shadi me jaane se pahle punit ko saxena uncle se jaruri milne ko kaha hai.”
Keerti ki baat sunkar, dipti ne kuch sochte huye kaha.
Dipti boli “lekin didi, papa to office gaye hai aur ab wo sham ko hi wapas aayege.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo baat to mujhe bhi malum hai. Lekin ab iske liye kiya kya ja sakta hai.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne pahli baar apni khamoshi todte huye apna muh khola. Wo dekhne me jitni masoom aur pyari dikhti thi. Uski aawaz bhi utni hi mithi thi. Uske apne muh se kuch bolte hi, mere kaano me shahad sa ghulne laga tha. Usne keerti ki baat sunne ke bad, apni pyari si aawaz me keerti se kaha.
Tripti boli “keerti, vaani didi ne inhe yadi papa se jaruri milne ko kaha hai to, tum inhe papa ke office kyo nahi bhej deti ho. Waha par ye papa se bahut aaram se mil sakege aur tumhe bhi inke sath pareshan nahi hona padega.”
Tripti ki baat sunkar, dipti chauk kar tripti ko dekhne lagi. Fir usne tripti ka hath hilate huye kaha.
Dipti boli “didi, ye aap kya kahe ja rahi hai. Kya aap inhe janti nahi hai. Ye ami, nimi, keerti didi aur vaani didi ke bhai punit hai. Maine aur ami, nimi ne aapko punnu bhaiya ke baare me kitna kuch to, bataya hai.”
Dipti ki baat sunkar, tripti mujhe gaur se dekhne lagi. Fir usne sharminda hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “sorry keerti, maine punit ko pehchana nahi tha. Lekin tumhe to batana chahiye tha ki, tum kise papa se milane ke liye layi ho.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne tunakte huye kaha.
Keerti boli “ye lo, mai kab se to tum logon ko bata rahi hu ki, vaani didi ne punit ko saxena uncle se milne ko kaha hai. Kya tum punit ka naam tak nahi janti ho. Maine iska naam tumhe bataya to tha.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne jhijhakte huye kaha.
Tripti boli “nahi, aisi baat nahi hai. Tumne aur vaani didi ne mujhe punit naam bataya tha. Lekin mere dhyan se punit naam nikal gaya. Ami, nimi aur dipti inhe punnu bhaiya kahti rahti hai, isliye mere dimag me bas yahi naam rah gaya tha.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab to tumhe sab malum pad gaya. Ab to tum batao ki, is baare me kya karna chahiye.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne kaha.
Tripti boli “tum chinta mat karo, mai abhi papa ko call laga kar is baare me baat karti hu.”
Ye kahte huye, tripti ne dipti se apna mobile utha kar dene ko kaha to, dipti ne tripti ka mobile utha kar use de diya. Tripti ka mobile uske hath me aate hi, usne saxena uncle ko call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, tripti ne kaha.
Tripti boli “hello papa, maine ek bahut hi jaruri kaam se aapko call lagaya hai.”
Dusri taraf se job hi kaha gaya. Uske bad tripti, saxena uncle ko hum sabke aane ki baat batane lagi. Usne unhe humare aane ki saari baat batayi aur fir unki baat sunne lagi. Fir kisi baat ke liye usne acha thik hai kah kar call kaat diya. Saxena uncle ka call rakhne ke bad tripti ne khush hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “papa thodi der me ghar aa rahe hai. Fir aakar wo punit se baat karte hai.”
Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.
Abhi tak tripti ko wheelchair me dekh kar aur uske kharab pair dekh kar mujhe uske sath hamdardi hoti thi. Lekin mere man me abhi tak ye khayal nahi aaya tha ki, tripti ke ye pair kharab kaise ho gaye.
Lekin aaj uske masoom se chehre ko muskurate huye dekh kar mere man me is baat ko janne ki utsukta aa gayi ki, aakhir tripti ke pair kharab kaise huye hai. Mai inhi sab baton ko soch raha tha ki, tabhi tripti ne dipti ko tokte huye dhire se uske kaan me kuch kaha.
Jiske bad dipti hum sab ke pas se uth kar andar chali gayi. Uske jaane ke bad tripti wapas keerti aur ami nimi se baten karne lagi. Kuch der bad dipti andar se haste huye aayi aur aakar wapas humare pas baith gayi.
Abhi un logon ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi saxena uncle aa gaye, wo aakar humare pas baithe to, keerti ne mera parichay unse karwaya. Mera parichay pakar saxena uncle ne khush hote huye kaha.
Saxena uncle bole “sorry, iske pahle mai tumse kabhi mil nahi paya. Lekin vaani apne bhai punit roy ki bahut tarif karti hai. Wo tumhari tarif karti huyi thakti nahi hai. Uska ye abhimaan kabhi tutne mat dena.”
Saxena uncle ke muh se ye sab baten sunkar mai khud samajh nahi pa raha tha ki, mai unse kya kahu. Mai nahi janta tha ki, vaani didi ne saxena uncle se mere baare kya kaha hai.
Magar itna to samajh gaya tha ki, vaani didi ne saxena uncle se meri dil khol kar tarif ki hai. Mai vaani didi ki in tarifo ke layak tha bhi ya nahi tha, ye mai nahi janta tha.
Lekin itna jarur janta tha ki, mai vaani didi ko bahut jyada pyar karta tha. Isliye kabhi unke dil ko thes pahuchana pasand nahi karta tha aur na hi aisa kisi ko unke sath karne deta tha.
Mai abhi apni inhi sab uljhanon me uljha hua tha ki, tabhi saxena uncle ne mujhe tokte huye kaha.
Saxena uncle bole “haan to batao, vaani ne tumhe mujhse kyo milne ko kaha hai.”
Saxena uncle ki baat sunkar, mai apni unse milne ki vajah batane laga. Meri ye baten sunkar, ami nimi ko is se koi jhatka nahi laga. Lekin keerti jarur mujhe ghoor kar dekhne lagi.
Mai apni probem saxena uncle ko bata raha tha aur wo bade gaur se meri baten sun rahe the. Maine apni saari baat saxena uncle ke samne rakhne ke bad unhe juhi didi ke sasural walon ki aur unke mama ki jaankari dete huye kaha.
Mai bola “uncle ye juhi didi ki sasural walon aur unke mama ki saari jaankari hai.”
Meri di huyi wo jaankari dekh kar saxena uncle ne kaha.
Saxena uncle bole “ye tumne bahut sahi kaam kiya. Ab tumhara saara kaam aasani se ho jayega. Tum chinta mat karo. Hum juhi ke sasural walon ko aisa dabochege ki, ye shadi khud-ba-khud toot jayegi.”
“Juhi ke mama ki bhi hum achi khabar lege. Unhe juhi ke sath kiye gaye bure saluk ka pura maja chakhayege aur juhi ki car bhi unse wapas lekar aayege. Tum kisi baat ki chinta mat karna.”
“Sab kaam apne samay par ho jayega. Mai abhi apne officer is kaam ke liye laga deta hu. Tumhare Durgapur pahuchte hi, tumhe achi khabar milna suru ho jayegi. Tum befikar hokar Durgapur jao.”
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.
______________________________
mujhe keerti ka gussa karna galat laga .... iski wajah bhi hogi koi ... chalo dekhte hai ... waise keerti ne bhi punnu se sab chupaya aur juhi ko bhi jhuth bola ..... but kisi ki life kharab karna sahi nahi jaise juhi ki hone ja rahi hai
 
  • Like
Reactions: Pritam.bs and Naik

Akki ❸❸❸

Well-Known Member
26,928
31,157
304
Ko To Rok Lo {Update - 0257}
____________________________
Vaani didi boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe malum hai na ki, tumhara mission juhi ki shadi tudwana aur juhi ki car wapas lana hai. Bas tum apna mission yaad rakho. Mai waha nahi hu, isliye ab ye mission tumhe khud pura karna hai. Mujhe ummid hai ki, tum ye sab bade aaram se pura kar loge.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “didi, aapki ye baat to thik hai. Lekin mai ye karuga kaise.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “tum saxena uncle ko jante ho na.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi, wo humare pados me rahte hai. Lekin mai unse kabhi mila nahi hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “to ab unse jakar milo. Unhe apna parichay do aur apna kaam batao. Wo tumhari is kaam me puri madad karege.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “kya tum juhi ki sasural walo ke baare me kuch jante ho.”
Mai bola “nahi, didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne puchha.
Vaani didi boli “unke baare me koi to janta hoga. Tumhe unki puri jankari hona chahiye. Tabhi to tum is baare me kuch kar sakoge.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, maine ami se is baare me puchha to, usne bataya ki anu mausi unke baare me janti hai. Ami ki baat sunkar, maine vaani didi se kaha.
Mai bola “didi, juhi didi ke sasural walon ke baare me anu mausi janti hai.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “good, pahle tum jakar anu mami se juhi ke sasural walon ke baare me puri jankari le lo. Fir jakar saxena uncle se mil kar unhe apna maksad batao. Tumhara kaam ban jayega.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “mai aniruddha, niranjan aur manik ko tum logon ke sath bhej deti hu. Ye teeno tum logon ke sath shadi me chale jayege. Shayad tumhe waha inki jarurat pad jaye. Isliye bina kisi sankoch ke inse kaam lena.”
“Mehul ke pas aniruddha, niranjan aur manik ke mobile number mil jayege. Wo bhi mehul se le lena. Tumhe inki jarurat pad sakti hai. Tumhe jaha meri jarurat pade mujhe call karna. Mai tumhare sath hu.”
Iske bad vaani didi ne kuch jaruri baten mujhe samjhai aur fir iske bad call rakh diya. Vaani didi ke call rakhne ke bad, maine ami nimi se kaha.
Mai bola “mujhe juhi didi ke sasural walon ki jaankari ke liye abhi anu mausi ke pas jana padega. Tabhi mai saxena uncle ke pas baat karne ja sakuga.”
Meri baat sunkar, ami ne kaha.
Ami boli “ji bhaiya, aap jaldi se anu mausi ke pas jaiye. Taki saxena uncle se bhi aapki baat ho sake.”
Mai bola “thik hai, chalo niche chalte hai. Tum log niche sambhalna. Tab tak mai anu mausi se mil kar aa jauga.”
Meri baat sunkar ami nimi ne kaha thik hai aur fir wo mere sath niche aane ke liye uth kar khadi ho gayi. Hum teeno niche pahuche to, chhoti maa ne mujhse kaha.
Chhoti maa boli “tumhari juhi ki shadi me jaane ki taiyari puri ho gayi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji chhoti maa.”
Abhi mert aur chhoti maa ki ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi keerti aa gayi. Keerti ko dekh kar chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “tune ghar aane me bahut samay laga diya. Itni der shilpa ke ghar me kya karti rahi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo shilpa ki chay piye bina aane nahi de rahi thi. Isliye waha chay peene aur shilpa ki maa se baat karne me thoda samay lag gaya.”
Iske bad keerti ki thodi bahut isi baare me chhoti maa se baat hoti rahi. Fir usne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, mai apna bag lene ghar ja rahi hu.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “thik hai, lekin jaldi wapas aana. Yaha bhi nikalne ki taiyari karna hai. Richa didi bhi aati hi hogi.”
Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “aap fikar na kare. Mai jaldi se wapas aa jaugi.”
Keerti ko ghar jaate dekh kar, neha ne chhoti maa se kaha.
Neha boli “aunty, keerti apna bag lene ghar ja rahi hai. Kya mai bhi iske sath ja sakti hu.”
Neha ki baat sunkar chhoti maa ne hanste huye kaha.
Chhoti maa boli “haan, tum bhi iske sath ja sakti ho. Magar waha jyada samay mat lagana, hume yaha se jaldi nikalna hai.”
Chhoti maa ki baat sunkar, neha ne kaha.
Neha boli “aunty, hume jyada samay nahi lagega. Hum jaldi wapas aa jayege.”
Ye kahte huye neha bhi keerti ke sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Mujhe bhi keerti ke hi ghar jaana tha. Isliye keerti aur neha ko waha jate dekh kar, mujhe bhi unse kahna pad gaya. Maine keerti aur neha ko tokte huye kaha.
Mai bola “mai bhi tum logon ke sath chalta hu. Mausi se bhi mil luga aur tum logon ke sath hi wapas aa jauga.”
Meri baat sunkar, keerti khush ho gayi. Usne khushi khushi kaha.
Keerti boli “haan, ye to bahut achi baat hai. Tum bhi humare sath chalo.”
Lekin mujhe keerti logon ke sath jate dekh kar, chhoti maa ne mujhe tokte huye kaha.
Chhoti maa boli “tu keerti logon ke sath waha jakar kya karega. Anu didi, richa didi khud yahi aane wali hai. Tu yahi par ami nimi ke sath rah.”
Chhoti maa ki baat sunkar, neha hasne lagi. Wahi maine chhoti maa ke pas aakar, unka hath pakad kar unh emanate huye kaha.
Mai bola “mujhe jaane do na chhoti maa. Mai thodi hi der me anu mausi se mil kar aa jauga.”
Meri is baat me keerti ne bhi mera sath dete huye kaha.
Keerti boli “mausi, punnu sahi kah raha hai. Hume wapas aane me jyada samay nahi lagega. Aap ise mere sath jaane dijiye. Hum jaldi hi wapas aa jayege.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne mujhe gaur se dekha aur fir hanste huye kaha.
Chhoti maa boli “aaj kal tu ami nimi se bhi chhota banne laga. Thik hai tu, keerti logon ke sath ja sakta hai, lekin jaldi wapas aana.”
Chhoti maa ki baat sunkar, ami nimi ke sath sath mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine khush hote huye kaha.
Mai bola “thik hai, chhoti maa.”
Ye kahte huye mai keerti aur neha ke sath bahar aa gaya. Keerti ne chhoti maa ki scooty utha li aur maine apni bike utha li. Neha keerti ke sath baith gayi aur fir hum keerti ke ghar ke liye nikal pade.
Kuch hi der me hum keerti ke ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty khadi ki aur fir neha ke sath ghar ke andar jaane ke liye mera intjar karne lagi. Mai bhi apni bike khadi karke keerti aur neha ke sath ghar ke andar aa gaya.
Hum ghar ke andar pahuche to, ghar me is samay bua ji (vaani didi ki maa), dinesh mausa ji, anu mausi aur kamal baitha hua tha. Sab baithe aapas me baten kar rahe the. Hume aate dekh kar, bua ji ne kaha.
Bua ji boli “are tum log yaha kyo aa gaye. Thodi der me hi to, hum log waha pahuchne wale the.”
Bua ji ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “bua ji, mujhe apne shadi me jaane ki taiyari puri karna thi aur apna saman yaha se lena tha. Isliye hum log yaha aaye hai.”
Keerti ki baat sunkar, bua ji muskurate huye kaha.
Bua ji boli “chal thik hai, tu apni taiyari puri kar le. Hum sab ki to saari taiayri puri ho chuki hai.”
Bua ji ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me jane ko huyi ki tabhi anu mausi ne keerti ko tokte huye kaha.
Anu mausi boli “tu punnu ko apne sath lekar aayi hai to, kam se kam pahle uske khan eke liye kuch bana to de, fir apni taiyari puri kar lena.”
Anu mausi ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “mummy aapki baat sahi hai. Lekin mausi ne hume jaldi wapas aane ko kaha hai. Yadi mai punnu ke liye kuch banana me lag gayi to, mujhe wapas jaane me der ho jayegi. Isliye punnu ke liye jo bhi banana hai, aap hi bana lijiye.”
Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne kaha.
Anu mausi boli “chal thik hai. Mai hi iske liye garma garam aalu ke parathe bana deti hu. Tu apni taiyari puri kar le.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti waha se jaane ko huyi thi ki, tabhi maine anu mausi ko tokte huye kaha.
Mai bola “mausi aapko kisi baat ke liye pareshan hone ki jarurat nahi hai. Keerti ne aapko bataya nahi hai ki, abhi abhi hum sab log khana kha kar aa rahe hai. Aaj richa aunty ne mehul ke hath se mere liye tiffin bheja tha.”
“Un ne mehul ke tiffin me aalu ke parathe bhi bheje the. Mai wahi sab khakar aaya hu. Isliye aap is baat ko lekar jara bhi pareshan mat hoiye. Mujhe sach me kuch nahi khana hai.”
Meri baat sunkar, anu mausi ne khade hote huye kaha.
Anu mausi boli “tu chup kar, tujhe hamesha mere hath se bana kuch khane me problem hoti hai. Mai teri ek baat nahi sunne wali hu. Mai abhi tere liye garma garam pahode bana kar lati hu.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “mummy aapko ise jo bhi khilana hai, jaldi se bana kar khila dijiye. Ise humare sath jaldi wapas jana hai.”
Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne muskurate huye kaha.
Anu mausi boli “tu iski fikar mat kar, tu apni taiyari kar, tere taiyari hone ke pahle hi mere pakode ban kar taiyar ho jayege.”
Anu mausi ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me chali gayi. Uske jaane ke bad, anu mausi bhi kitchen me chali gayi. Anu mausi ke jaane ke bad, mausa ji ne mujhe baithne ko kaha to, mai bhi un logon ke sath baith gaya.
Bua ji ne mera haal chal puchha. Mai unhe apna haal chaal bata hi raha tha ki, tabhi mausa ji ne mujhe bich me tokte huye kaha.
Mausa ji bole “tumhari padai likhai ka kya chal raha hai. Suna hai ab tumne padai likhai me bilkul bhi dhyan dena band kar diya hai.”
Mausa ji ki baat sunkar, maine chaukte huye kaha.
Mai bola “meri padai likhai achi chal rahi hai. Mai kuch sabject me pichhad jarur gaya hu. Magar apne dost ke sath pad kar use milane ki koshish bhi kar raha hu.”
Meri baat sunkar, mausa ji ne mujhe dantte huye kaha.
Mausa ji bole “mujhse jhuth bolne ki koshish mat karo. Mujhe tumhare baare me sab pata hai, tumhe Mumbai aane jaane se fursat mile tab to tum apni padai par dhyan doge. Tumhara saara dhyan sirf Mumbai aane jaane par laga hua hai.”
Mausa ji ki ye baat sunkar, mujhe jhatka sa laga. Kyoki mausi jib hale mujhe do char khari khoti baat suna le. Magar mausa ji kabhi mujhe koi galat baat nahi kahte the. Lekin aaj wo sidhe mujh par Mumbai aane jaane ka iljam diye ja rahe the.
Unki ye baat jara bhi galat nahi thi ki, pichhle ek mahine se mujhe apni padai chhod kar baar baar Mumbai aana jana pad raha tha. Abhi ek baar fir mai Mumbai jaane wala tha.
Lekin iska matlab ye nahi tha ki, mai bekar me Mumbai aa ja raha hu. Mumbai me mujhe kaam hi aisa pad ja raha tha ki, mera Mumbai jana jaruri ho gaya tha. Is baat ko mausa jib hi ache se jante the.
Wo is baat ko bhi ache se jante the ki, is baar mai kisliye Mumbai ja raha hu. Unhe ye bhi achi tarah se pata tha ki, is baar vaani didi ne mujhe hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane ki ijajat di hai.
Iske bad bhi mausa ji ka mujhe ye iljam dena mujhe acha nahi laga tha. Isliye unka ye iljam sunkar, maine unhe apni safayi dete huye kaha.
Mai bola “mausa ji, aap mere baare me galat nahi kah rahe hai. Mujhe baar baar Mumbai me kaam pad raha hai. Isliye mujhe sach me apni padai chhod kar baar baar Mumbai jaana pad raha hai.”
“Abhi bhi mai hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane wala hu. Iske liye mujhe khud vaani didi ne ijajat di hai. Wo sab bahut ache log hai, isliye vaani didi chahti hai, hetal didi ki surgery ke samay par mai unke pas rahu.”`
Lekin meri is baat ko sunkar, bhi mausa ji ke upar meri di gayi safayi ka koi asar nahi hua. Un ne mere upar dusra iljam dete huye kaha.
Mausa ji bole “ye sab kuch mai nahi janta hu. Mai to bas itna janta hu ki, tum Mumbai ja jakar apni padai ka nuksan to kar hi rahe ho, sath hi apne sath ami nimi ko bhi Mumbai le jakar unki bhi padai ka nuksan karne me lage ho.”
Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhe jhatka sa laga. Un ne ami nimi ke Mumbai jaane ka iljam bhi mujh par hi de diya. Jise chah kar bhi mai nakar nahi sakta tha. Kyoki ami nimi to meri vajah se hi Mumbai ja rahi thi.
Yadi mai Mumbai nahi ja raha hota to, unhe bhi Mumbai jaane ka koi shauk nahi laga hota. Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhse kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai mausa ji ki in baton ka kya jabab du.
Bua ji, bade gaur se meri aur mausa ji ki baat sun rahi thi. Kamal bhi wahi baitha humari baten sunne me laga hua tha. Usne dekha ki, mausa ji mere upar iljam par iljam diye ja rahe hai to, usne mausa ji ki sabhi baton ka jabab dete huye kaha.
Kamal bola “papa, punnu bhaiya sabhi baten sahi kah rahe hai. Punnu bhaiya ke Mumbai jaane ki baat yahi par humare samne tay huyi thi. Vaani didi ne hi inhe Mumbai jaane ke liye kaha tha.”
“Sath hi ami nimi ko bhi vaani didi ne humare samne hi Mumbai jaane ki ijajat di thi. Sath hi punnu bhaiya ye bhi jhuth nahi kah rahe hai ki, wo abhi tak huyi apni padai ka nuksan apne dost ke sath pad kar pura kar rahe hai.”
Kamal ki baat sunkar, mausa ji use dekhne lage. Lekin uski aakhri ki baat sunkar, mai bhi chuke bina na rah saka. Wahi kamal ne apni baat puri karte huye mausa ji se kaha.
Kamal bola “punnu bhaiya ki apne dost ke sath padai karne wali baat mujhe khud inke dost ne batayi thi.”
Kamal ki ye baat sunkar mausa ji chaukte huye kaha.
Mausa ji bole “punnu ka dost ye sab baten tujhe kyo batane laga.”
Mausa ji ki baat sunkar, kamal ne unhe samjhate huye kaha.
Kamal bola “baat aisi hai ki, ek din mai apne teacher ke kaam se school ke samay par school se bahar ghoom raha tha. Usi samay punnu bhaiya ke dost aslam bhaiya bhi kisi kaam se school ke bahar aaye.”
“Unne mujhe apne doston ke sath school ke bahar ghumte dekha to, mujh par gussa karte huye kaha ki, aaj sham ko jab punnu mere pas padne aayega, tab mai use teri shikayat batauga ki, tu school ke samay par apne doston ke sath school ke bahar ghum raha tha.”
“Unki baat sunkar, maine unhe bata diya ki, mai aur mere dost teacher ke kaam se school ke bahar aaye hai. Tab jakar unhe meri baat par viswas hua. Lekin unki baat se mujhe itna pata chal gaya ki, punnu bhaiya sham ko unke pas padne jate hai.”
Kamal ki ye baten sunkar, bua ji ne bhi mausa ji ko samjhte huye kaha.
Bua ji boli “mujhe lagta hai ki, kamal sahi kah raha hai. Kam se kam is samay tumhe punnu ke Mumbai jaane ka bura nahi manna chahiye. Kyoki ise vaani ne Mumbai jaane ka kaha hai.”
“Tumhe kam se kam ek baar ise dekh lena chahiye ki, ye fir dobara koi bahana karke Mumbai jaane ki koshish to nahi kar raha hai. Tab tum ise khul kar bhala bura kah sakte ho.”
Bua ji ki baat sunkar, mai unhe gaur se dekhne laga. Un ne meri tarafdari me saari baten kah di thi, lekin ek baat bhi mausa ji ke khilaf nahi kahi thi. Unki baat sunkar, mausa ji ne kaha.
Mausa ji bole “chalo thik hai. Mai is baar is baat ka bura nahi manta hu.”
Ye kahte huye mausa ji uth kar khade ho gaye aur fir bua ji ko jata kar apne kamre me chale gaye. Unke jaane ke bad bua ji, bhi keerti ke kamre me jaane ka bol kar, humare pas se uth kar chali gayi. Bua ji ke jaate hi, maine kamal se kaha.
Mai bola “tu thoda yahi baith, mai anu mausi se ek jaruri baat karke aata hu.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “thik hai, mai yahi tumhara intejar karta hu.”
Kamal ki baat sunkar, mai kitchen me anu mausi ke pas aa gaya. Anu mausi garma garam pakode nikalne me lagi huyi thi. Un ne mujhe kitchen ke andar aate dekha to, hanste huye kaha.
Anu mausi boli “are tu yaha kyo aa gaya. Tu aaram se wahi baith na. Mera pakode banana bas ho hi gaya.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “mausi, mai aapke pas ek bahut hi jaruri kaam se aaya hu. Mai janta hu ki, mera wo kaam bas aap hi pura kar sakti hai.”
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya.
______________________________
Bdiya update Pritam Da

Yha ab Mausa ne bhi pel diya punnu ko :sigh:

hum-koi-mandir-ka-ghanta-hai-ki-koi-bhi-aake-baja-jaata-hai-popular-indian-meme-templates
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Pritam.bs and Naik

Akki ❸❸❸

Well-Known Member
26,928
31,157
304
Ko To Rok Lo {Update - 0258}
____________________________
Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.
Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”
Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”
Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.
Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”
Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.
Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.
Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”
Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya. Ye dkh kar anu mausi ne hanste huye kaha.
Anu mausi boli “ab tu bahar jakar baith, mera pakode talna ho chuka hai. Mai abhi pakode lekar aati hu.”
Anu mausi ki baat sunkar, mai bahar kamre me kamal ke pas aa gaya. Mujhe aaya dekh kar kamal ne mujhse puchha.
Kamal bola “tum papa se naraj to nahi ho.”
Kamal ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “nahi, mai mausa ji se jara bhi naraj nahi hu. Magar meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, wo bekar me mujhe ye sab iljam kyo diye ja rahe hai.”
Meri baat sunkar, kamal ne kaha.
Kamal bola “wo tumhe bekar me koi iljam nahi de rahe hai. Tumhe yaad hoga ki, parson mausa ji yahi par ruke the. Tum logon ke jaane ke bad, mai yahi par apni padai karne me laga tha.”
“Kuch der bad papa aur mausa ji apne kamre me jaane ke liye yaha aa gaye. Papa unhe jata kar apne kamre me jaane hi wale the ki, mausa ji ne papa se kaha ki, unhe papa se kuch jaruri baat karna hai.”
“Ye sunkar papa ruk gaye. Fir mausa ji ne hi papa se tumhari ye sab shikayaten ki hai. Mausa ji ne papa se tumhari Mumbai aane jaane ko lekar bahut saari shikayten ki hai.”
“Unko hi tumhare baar baar Mumbai jaane se aur apni padai par dhyan na dese se problem thi. Jis vajah se aaj papa ke samne tum aaye to, papa ne ye sab baten tumhare samne rakh di.”
Kamal ki ye baten sunkar, mai gaur se use dekhne laga. Is se pahle ki, kamal mujhse kuch aur kah pata, anu mausi pakode lekar aa gayi. Anu mausi ne abhi mere samne pakode rakhe hi the ki, tabhi keerti, neha aur bua ji bhi aa gayi.
Bua ji aakar humare pas baith gayi. Wahi keerti ne mere samne pakode rakhe to, fauran mere pas baithte huye, ek pakoda hath me utha kar kaha.
Keerti boli “aaha, garma garam pakode, ab to inhe khane ka bahut maja aayega.”
Ye kah kar keerti jaise hi pakoda khane ko huyi, anu mausi ne uske hath se pakoda chhinte huye kaha.
Anu mausi boli “ye sab maine tere khane ke liye nahi banaye hai. Ye punnu ke khan eke liye hai.”
Ye kahte huye anu mausi keerti ke hath se chhina hua pakoda wapas plate me rakh diya. Ye dekh kar neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne kunmunate huye kaha.
Keerti boli “are mummy, mujhe bhi khane do. Na jaane kitne din bad mujhe pakode khane ko mil rahe hai.”
Keerti ki baat sunkar, maine bhi uska sath dete huye kaha.
Mai bola “mausi, keerti ko bhi pakode khane dijiye na. Usne sach me apni tabiyat ki vajah se bahut din ye sab chijen nahi khayi hai.”
Meri baat sunkar, mausi muskura kar rah gayi. Ye dekh kar keerti ne fauran do pakode uthaye aur ek pakoda neha ki taraf badate huye kaha.
Keerti boli “lo, tum bhi humare sath baith kar garma garam pakode khao, fir hum wapas chalte hai.”
Keerti ki baat sunkar, neha ne keerti se pakoda le liya aur uske pas aakar baith gayi. Fir hum sab mil kar pakode khane lage. Kuch hi der me hum sab ka pakode khana ho gaya.
Iske bad maine, keerti aur neha ne ko jataya ki, ab hum log ghar wapas ja rahe hai. Humari baat sunne ke bad, mausi ne kaha ki, wo bhi kuch der me bua ji, kamal aur mausa ji ke sath ghar pahuch rahi.
Mausi ki ye baat sunne ke bad, humne unse ijajat li aur fir hum teeno keerti ke bag ke sath ghar ke bahar aa gaye. Keerti ne scooty uthauyi aur neha ko baithaya. Neha ne keerti ka bag pakda aur fir keerti ne scooty aage bada di.
Maine bhi apni bike uthayi aur fir keerti logon ke sath ghar ke liye nikal pada. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty se neha ko utara aur scooty khadi karne lagi.
Uske scooty khadi karne ke bad, maine bhi apni bike khadi ki aur fir hum teeno ghar ke andar aa gaye. Hume ghar ke andar aate dekh ami nimi mujhe dhyan se dekhne lagi.
Unhe is tarah se apni taraf dekhta pakar mai unki baat ka matlab samajh gaya aur maine unhe dekh kar muskura diya. Wo bhi mere muskurane ka matlab samajh gayi ki, mausi ke pas mera kaam ban gaya hai.
Jise dekh kar wo bhi khush ho gayi. Hum sab chhoti maa aur ami nimi ke pas aakar baith gaye. Abhi hume ghar se niaklne me bahut samay baki tha aur abhi mujhe saxena uncle ke pas milne jana tha.
Isliye ab mai is baare me sochne laga. Kuch der sabke sath baithe rahne ke bad, maine chhoti maa se kaha.
Mai bola “chhoti maa, vaani didi humare yaha nikalne ke pahle mujhse saxena uncle se mil kar jaane ko kaha hai. Kya mai unse milne unke ghar chala jau.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.
Chhoti maa boli “vaani ne tujhse kaha tha to, tujhe unse pahle hi mil lena chahiye tha. Ab humare yaha se nikalne ka samay ho raha hai. Isliye tu jaldi se jakar unse mil aa. Malum nahi, vaani ne kis jaruri vajah se tujhe unse milne ke liye kaha tha.”
Chhoti maa ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji chhoti maa, mai abhi saxena uncle se mil kar aata hu.”
Ye kah kar mai uth kar khada ho gaya. Mujhe saxena uncle ke ghar akela jaate dekh kar, keerti ne chhoti maa se kaha.
Keerti boli “mausi, ye saxena uncle ke ghar me kisi ko janta nahi hai. Aisa karti hu ki, mai bhi iske sath chali jaati hu. Ise unse milne me problem nahi hogi.”
Keerti ki ye baat chhoti maa ko bhi sahi lagi. Isliye un ne keerti se kaha.
Chhoti maa boli “tu thik kah rahi hai. Tu iske sath chali ja au rise unse mila dena.”
Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne kaha.
Keerti boli “ji mausi.”
Ye kah kar keerti mere sath saxena uncle ke ghar jaane ke liye taiyar khadi ho gayi. Ye dekh kar ami nimi thoda pareshan ho gayi. Unhe pareshan dekh kar maine ami nimi se kaha.
Mai bola “ami nimi, tumhara bhi to saxena uncle ke ghar aana jaana chalta rahta hai. Tum bhi mere sath chalo.”
Meri baat sunkar, ami nimi ne mere sath jaane ke liye khade hote huye kaha.
Ami boli “ji bhaiya.”
Nimi boli “hum log waha sabko jante hai. Hum aapke sath chalet hai. Taki aapko saxena uncle se milne me koi pareshani na ho.”
Ye kahte huye ami nimi bhi mere sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Fir mai ami nimi aur keerti ke sath saxena uncle ke ghar ke liye nikal gaya. Hum log saxena uncle ke ghar pahuche to, gate par ek security guard khada tha.
Keerti aur ami nimi ko dekh kar, usne fauran gate khol diya aur hum log andar aa gaye. Keerti ne gate ke andar kadam rakhte huye kaha.
Keerti boli “itne samay to saxena uncle ghar par rahte nahi hai. Tum unse miloge kaise.”
Mai bola “ye to, unke ghar ke andar pahuch kar hi pata chal sakega ki, unse kaise mila ja sakta hai.”
Meri baat sunkar, keerti mujhe unke ghar ke andar le jane lagi. Kuch hi der me hum saxena uncle ke ghar ke drawing room me the. Us room me is samay mujhe dipti aur tripti najar aa rahi thi.
Dipti to, mujhe ghar me dekh chuki thi. Isliye mujhe pehchanti thi. Lekin tripti ke samne mai aaj pahli baar aa raha tha. Lekin mai jarur tripti ko do baar dekh chuka tha. Ek baar maine use hospital me dekha tha.
Us samay wo wheelchair me hospital me kisi ko milne ja rahi thi. Us samay wo bahut hi masoom aur pyari dikh rahi thi. Use wheelchair me dekh kar mujhe uske sath hamdardi hone lagi thi.
Fir bad dusri baar maine use uske ghar ki chhat par dekha. Tab mujhe keerti se pata chala ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Keerti se hi mujhe pata chala ki, wo hospital me chanda mausi ko dekhne gayi thi.
Is tarah tripti ko to mai achi tarah se pehchanta tha ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Lekin tripti se mera samna kabhi nahi hua tha aur na hi usne kabhi mujhe dekha tha.
Is samay bhi tripti wheelchair me hi baithi koi book padne me lagi huyi thi. Uske pas hi dipti baithi painting banane me lagi huyi thi. Humne drawing room me kadam rakha to, hume apne ghar aaya dekh kar, dipti ne khush hote huye kaha.
Dipti boli “keerti didi, aap yaha. Ami nimi tum itne samay yaha kaise. Aao na baitho.”
Ye kah kar wo hum sab se baithne ki kahne lagi. Dipti ki baat sunkar, hum sab uske sath hi wahi baith gaye. Wahi tripti bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Wo shayad mujhe pehchanne ki koshish kar rahi thi ki, mai kaun hu. Idhar humare baithte hi, dipti ne keerti se puchha.
Dipti boli “kya hua didi. Kya aap log kisi jaruri kaam se humare ghar aayi hai.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne uski baat ka jabab dete huye kaha.
Keerti boli “haan dipti, is samay hum tumhare ghar bahut hi jaruri kaam se aaye hai. Vaani didi ne hum logon ke juhi didi ki shadi me jaane se pahle punit ko saxena uncle se jaruri milne ko kaha hai.”
Keerti ki baat sunkar, dipti ne kuch sochte huye kaha.
Dipti boli “lekin didi, papa to office gaye hai aur ab wo sham ko hi wapas aayege.”
Dipti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “wo baat to mujhe bhi malum hai. Lekin ab iske liye kiya kya ja sakta hai.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne pahli baar apni khamoshi todte huye apna muh khola. Wo dekhne me jitni masoom aur pyari dikhti thi. Uski aawaz bhi utni hi mithi thi. Uske apne muh se kuch bolte hi, mere kaano me shahad sa ghulne laga tha. Usne keerti ki baat sunne ke bad, apni pyari si aawaz me keerti se kaha.
Tripti boli “keerti, vaani didi ne inhe yadi papa se jaruri milne ko kaha hai to, tum inhe papa ke office kyo nahi bhej deti ho. Waha par ye papa se bahut aaram se mil sakege aur tumhe bhi inke sath pareshan nahi hona padega.”
Tripti ki baat sunkar, dipti chauk kar tripti ko dekhne lagi. Fir usne tripti ka hath hilate huye kaha.
Dipti boli “didi, ye aap kya kahe ja rahi hai. Kya aap inhe janti nahi hai. Ye ami, nimi, keerti didi aur vaani didi ke bhai punit hai. Maine aur ami, nimi ne aapko punnu bhaiya ke baare me kitna kuch to, bataya hai.”
Dipti ki baat sunkar, tripti mujhe gaur se dekhne lagi. Fir usne sharminda hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “sorry keerti, maine punit ko pehchana nahi tha. Lekin tumhe to batana chahiye tha ki, tum kise papa se milane ke liye layi ho.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne tunakte huye kaha.
Keerti boli “ye lo, mai kab se to tum logon ko bata rahi hu ki, vaani didi ne punit ko saxena uncle se milne ko kaha hai. Kya tum punit ka naam tak nahi janti ho. Maine iska naam tumhe bataya to tha.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne jhijhakte huye kaha.
Tripti boli “nahi, aisi baat nahi hai. Tumne aur vaani didi ne mujhe punit naam bataya tha. Lekin mere dhyan se punit naam nikal gaya. Ami, nimi aur dipti inhe punnu bhaiya kahti rahti hai, isliye mere dimag me bas yahi naam rah gaya tha.”
Tripti ki baat sunkar, keerti ne kaha.
Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab to tumhe sab malum pad gaya. Ab to tum batao ki, is baare me kya karna chahiye.”
Keerti ki baat sunkar, tripti ne kaha.
Tripti boli “tum chinta mat karo, mai abhi papa ko call laga kar is baare me baat karti hu.”
Ye kahte huye, tripti ne dipti se apna mobile utha kar dene ko kaha to, dipti ne tripti ka mobile utha kar use de diya. Tripti ka mobile uske hath me aate hi, usne saxena uncle ko call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, tripti ne kaha.
Tripti boli “hello papa, maine ek bahut hi jaruri kaam se aapko call lagaya hai.”
Dusri taraf se job hi kaha gaya. Uske bad tripti, saxena uncle ko hum sabke aane ki baat batane lagi. Usne unhe humare aane ki saari baat batayi aur fir unki baat sunne lagi. Fir kisi baat ke liye usne acha thik hai kah kar call kaat diya. Saxena uncle ka call rakhne ke bad tripti ne khush hote huye keerti se kaha.
Tripti boli “papa thodi der me ghar aa rahe hai. Fir aakar wo punit se baat karte hai.”
Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.
Abhi tak tripti ko wheelchair me dekh kar aur uske kharab pair dekh kar mujhe uske sath hamdardi hoti thi. Lekin mere man me abhi tak ye khayal nahi aaya tha ki, tripti ke ye pair kharab kaise ho gaye.
Lekin aaj uske masoom se chehre ko muskurate huye dekh kar mere man me is baat ko janne ki utsukta aa gayi ki, aakhir tripti ke pair kharab kaise huye hai. Mai inhi sab baton ko soch raha tha ki, tabhi tripti ne dipti ko tokte huye dhire se uske kaan me kuch kaha.
Jiske bad dipti hum sab ke pas se uth kar andar chali gayi. Uske jaane ke bad tripti wapas keerti aur ami nimi se baten karne lagi. Kuch der bad dipti andar se haste huye aayi aur aakar wapas humare pas baith gayi.
Abhi un logon ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi saxena uncle aa gaye, wo aakar humare pas baithe to, keerti ne mera parichay unse karwaya. Mera parichay pakar saxena uncle ne khush hote huye kaha.
Saxena uncle bole “sorry, iske pahle mai tumse kabhi mil nahi paya. Lekin vaani apne bhai punit roy ki bahut tarif karti hai. Wo tumhari tarif karti huyi thakti nahi hai. Uska ye abhimaan kabhi tutne mat dena.”
Saxena uncle ke muh se ye sab baten sunkar mai khud samajh nahi pa raha tha ki, mai unse kya kahu. Mai nahi janta tha ki, vaani didi ne saxena uncle se mere baare kya kaha hai.
Magar itna to samajh gaya tha ki, vaani didi ne saxena uncle se meri dil khol kar tarif ki hai. Mai vaani didi ki in tarifo ke layak tha bhi ya nahi tha, ye mai nahi janta tha.
Lekin itna jarur janta tha ki, mai vaani didi ko bahut jyada pyar karta tha. Isliye kabhi unke dil ko thes pahuchana pasand nahi karta tha aur na hi aisa kisi ko unke sath karne deta tha.
Mai abhi apni inhi sab uljhanon me uljha hua tha ki, tabhi saxena uncle ne mujhe tokte huye kaha.
Saxena uncle bole “haan to batao, vaani ne tumhe mujhse kyo milne ko kaha hai.”
Saxena uncle ki baat sunkar, mai apni unse milne ki vajah batane laga. Meri ye baten sunkar, ami nimi ko is se koi jhatka nahi laga. Lekin keerti jarur mujhe ghoor kar dekhne lagi.
Mai apni probem saxena uncle ko bata raha tha aur wo bade gaur se meri baten sun rahe the. Maine apni saari baat saxena uncle ke samne rakhne ke bad unhe juhi didi ke sasural walon ki aur unke mama ki jaankari dete huye kaha.
Mai bola “uncle ye juhi didi ki sasural walon aur unke mama ki saari jaankari hai.”
Meri di huyi wo jaankari dekh kar saxena uncle ne kaha.
Saxena uncle bole “ye tumne bahut sahi kaam kiya. Ab tumhara saara kaam aasani se ho jayega. Tum chinta mat karo. Hum juhi ke sasural walon ko aisa dabochege ki, ye shadi khud-ba-khud toot jayegi.”
“Juhi ke mama ki bhi hum achi khabar lege. Unhe juhi ke sath kiye gaye bure saluk ka pura maja chakhayege aur juhi ki car bhi unse wapas lekar aayege. Tum kisi baat ki chinta mat karna.”
“Sab kaam apne samay par ho jayega. Mai abhi apne officer is kaam ke liye laga deta hu. Tumhare Durgapur pahuchte hi, tumhe achi khabar milna suru ho jayegi. Tum befikar hokar Durgapur jao.”
Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.
Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.
Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”
Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.
Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.
Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.
Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.
______________________________
Bdiya update Pritam da :love:

Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.
Hum bhi imagine kar rhe h Tripti ki khoobsurti aur masoomiyat ko :blush1:
Jesa naam vsa character ,TRIPTI:love: Asha karta hu ye character abhi aur chlega story me :love2:
pdne ka vse fayda yhi h ki aap likhe hue se khud imagine krte ho apne apne hisab se ,jo ki video me sambhav nhi , isilye reading is best :yo:

vse jab kbhi Priya Tripti se milegi to wo to yhi sochegi ki ye Punnu ki gf h ,kyuki Punnu ne to Kirti ka naam Tripti btaya h :D

Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.
Mja aya :lotpot:

ab wait nhi hota Juhi Punnu ke milan ka
 
  • Like
Reactions: Pritam.bs and Naik
Top