Hahaha yaha pannu ne kriti ko jor ka jhatka jor se diya ab aeyga maza dekhna panu juhi ki shadi kaose todta hai sach me dekhne wala hoga sceneKo To Rok Lo {Update - 0258}____________________________Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya. Ye dkh kar anu mausi ne hanste huye kaha.Anu mausi boli “ab tu bahar jakar baith, mera pakode talna ho chuka hai. Mai abhi pakode lekar aati hu.”Anu mausi ki baat sunkar, mai bahar kamre me kamal ke pas aa gaya. Mujhe aaya dekh kar kamal ne mujhse puchha.Kamal bola “tum papa se naraj to nahi ho.”Kamal ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.Mai bola “nahi, mai mausa ji se jara bhi naraj nahi hu. Magar meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, wo bekar me mujhe ye sab iljam kyo diye ja rahe hai.”Meri baat sunkar, kamal ne kaha.Kamal bola “wo tumhe bekar me koi iljam nahi de rahe hai. Tumhe yaad hoga ki, parson mausa ji yahi par ruke the. Tum logon ke jaane ke bad, mai yahi par apni padai karne me laga tha.”“Kuch der bad papa aur mausa ji apne kamre me jaane ke liye yaha aa gaye. Papa unhe jata kar apne kamre me jaane hi wale the ki, mausa ji ne papa se kaha ki, unhe papa se kuch jaruri baat karna hai.”“Ye sunkar papa ruk gaye. Fir mausa ji ne hi papa se tumhari ye sab shikayaten ki hai. Mausa ji ne papa se tumhari Mumbai aane jaane ko lekar bahut saari shikayten ki hai.”“Unko hi tumhare baar baar Mumbai jaane se aur apni padai par dhyan na dese se problem thi. Jis vajah se aaj papa ke samne tum aaye to, papa ne ye sab baten tumhare samne rakh di.”Kamal ki ye baten sunkar, mai gaur se use dekhne laga. Is se pahle ki, kamal mujhse kuch aur kah pata, anu mausi pakode lekar aa gayi. Anu mausi ne abhi mere samne pakode rakhe hi the ki, tabhi keerti, neha aur bua ji bhi aa gayi.Bua ji aakar humare pas baith gayi. Wahi keerti ne mere samne pakode rakhe to, fauran mere pas baithte huye, ek pakoda hath me utha kar kaha.Keerti boli “aaha, garma garam pakode, ab to inhe khane ka bahut maja aayega.”Ye kah kar keerti jaise hi pakoda khane ko huyi, anu mausi ne uske hath se pakoda chhinte huye kaha.Anu mausi boli “ye sab maine tere khane ke liye nahi banaye hai. Ye punnu ke khan eke liye hai.”Ye kahte huye anu mausi keerti ke hath se chhina hua pakoda wapas plate me rakh diya. Ye dekh kar neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne kunmunate huye kaha.Keerti boli “are mummy, mujhe bhi khane do. Na jaane kitne din bad mujhe pakode khane ko mil rahe hai.”Keerti ki baat sunkar, maine bhi uska sath dete huye kaha.Mai bola “mausi, keerti ko bhi pakode khane dijiye na. Usne sach me apni tabiyat ki vajah se bahut din ye sab chijen nahi khayi hai.”Meri baat sunkar, mausi muskura kar rah gayi. Ye dekh kar keerti ne fauran do pakode uthaye aur ek pakoda neha ki taraf badate huye kaha.Keerti boli “lo, tum bhi humare sath baith kar garma garam pakode khao, fir hum wapas chalte hai.”Keerti ki baat sunkar, neha ne keerti se pakoda le liya aur uske pas aakar baith gayi. Fir hum sab mil kar pakode khane lage. Kuch hi der me hum sab ka pakode khana ho gaya.Iske bad maine, keerti aur neha ne ko jataya ki, ab hum log ghar wapas ja rahe hai. Humari baat sunne ke bad, mausi ne kaha ki, wo bhi kuch der me bua ji, kamal aur mausa ji ke sath ghar pahuch rahi.Mausi ki ye baat sunne ke bad, humne unse ijajat li aur fir hum teeno keerti ke bag ke sath ghar ke bahar aa gaye. Keerti ne scooty uthauyi aur neha ko baithaya. Neha ne keerti ka bag pakda aur fir keerti ne scooty aage bada di.Maine bhi apni bike uthayi aur fir keerti logon ke sath ghar ke liye nikal pada. Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty se neha ko utara aur scooty khadi karne lagi.Uske scooty khadi karne ke bad, maine bhi apni bike khadi ki aur fir hum teeno ghar ke andar aa gaye. Hume ghar ke andar aate dekh ami nimi mujhe dhyan se dekhne lagi.Unhe is tarah se apni taraf dekhta pakar mai unki baat ka matlab samajh gaya aur maine unhe dekh kar muskura diya. Wo bhi mere muskurane ka matlab samajh gayi ki, mausi ke pas mera kaam ban gaya hai.Jise dekh kar wo bhi khush ho gayi. Hum sab chhoti maa aur ami nimi ke pas aakar baith gaye. Abhi hume ghar se niaklne me bahut samay baki tha aur abhi mujhe saxena uncle ke pas milne jana tha.Isliye ab mai is baare me sochne laga. Kuch der sabke sath baithe rahne ke bad, maine chhoti maa se kaha.Mai bola “chhoti maa, vaani didi humare yaha nikalne ke pahle mujhse saxena uncle se mil kar jaane ko kaha hai. Kya mai unse milne unke ghar chala jau.”Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “vaani ne tujhse kaha tha to, tujhe unse pahle hi mil lena chahiye tha. Ab humare yaha se nikalne ka samay ho raha hai. Isliye tu jaldi se jakar unse mil aa. Malum nahi, vaani ne kis jaruri vajah se tujhe unse milne ke liye kaha tha.”Chhoti maa ki baat sunkar, maine unse kaha.Mai bola “ji chhoti maa, mai abhi saxena uncle se mil kar aata hu.”Ye kah kar mai uth kar khada ho gaya. Mujhe saxena uncle ke ghar akela jaate dekh kar, keerti ne chhoti maa se kaha.Keerti boli “mausi, ye saxena uncle ke ghar me kisi ko janta nahi hai. Aisa karti hu ki, mai bhi iske sath chali jaati hu. Ise unse milne me problem nahi hogi.”Keerti ki ye baat chhoti maa ko bhi sahi lagi. Isliye un ne keerti se kaha.Chhoti maa boli “tu thik kah rahi hai. Tu iske sath chali ja au rise unse mila dena.”Chhoti maa ki baat sunkar keerti ne kaha.Keerti boli “ji mausi.”Ye kah kar keerti mere sath saxena uncle ke ghar jaane ke liye taiyar khadi ho gayi. Ye dekh kar ami nimi thoda pareshan ho gayi. Unhe pareshan dekh kar maine ami nimi se kaha.Mai bola “ami nimi, tumhara bhi to saxena uncle ke ghar aana jaana chalta rahta hai. Tum bhi mere sath chalo.”Meri baat sunkar, ami nimi ne mere sath jaane ke liye khade hote huye kaha.Ami boli “ji bhaiya.”Nimi boli “hum log waha sabko jante hai. Hum aapke sath chalet hai. Taki aapko saxena uncle se milne me koi pareshani na ho.”Ye kahte huye ami nimi bhi mere sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Fir mai ami nimi aur keerti ke sath saxena uncle ke ghar ke liye nikal gaya. Hum log saxena uncle ke ghar pahuche to, gate par ek security guard khada tha.Keerti aur ami nimi ko dekh kar, usne fauran gate khol diya aur hum log andar aa gaye. Keerti ne gate ke andar kadam rakhte huye kaha.Keerti boli “itne samay to saxena uncle ghar par rahte nahi hai. Tum unse miloge kaise.”Mai bola “ye to, unke ghar ke andar pahuch kar hi pata chal sakega ki, unse kaise mila ja sakta hai.”Meri baat sunkar, keerti mujhe unke ghar ke andar le jane lagi. Kuch hi der me hum saxena uncle ke ghar ke drawing room me the. Us room me is samay mujhe dipti aur tripti najar aa rahi thi.Dipti to, mujhe ghar me dekh chuki thi. Isliye mujhe pehchanti thi. Lekin tripti ke samne mai aaj pahli baar aa raha tha. Lekin mai jarur tripti ko do baar dekh chuka tha. Ek baar maine use hospital me dekha tha.Us samay wo wheelchair me hospital me kisi ko milne ja rahi thi. Us samay wo bahut hi masoom aur pyari dikh rahi thi. Use wheelchair me dekh kar mujhe uske sath hamdardi hone lagi thi.Fir bad dusri baar maine use uske ghar ki chhat par dekha. Tab mujhe keerti se pata chala ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Keerti se hi mujhe pata chala ki, wo hospital me chanda mausi ko dekhne gayi thi.Is tarah tripti ko to mai achi tarah se pehchanta tha ki, wo saxena uncle ki badi beti hai. Lekin tripti se mera samna kabhi nahi hua tha aur na hi usne kabhi mujhe dekha tha.Is samay bhi tripti wheelchair me hi baithi koi book padne me lagi huyi thi. Uske pas hi dipti baithi painting banane me lagi huyi thi. Humne drawing room me kadam rakha to, hume apne ghar aaya dekh kar, dipti ne khush hote huye kaha.Dipti boli “keerti didi, aap yaha. Ami nimi tum itne samay yaha kaise. Aao na baitho.”Ye kah kar wo hum sab se baithne ki kahne lagi. Dipti ki baat sunkar, hum sab uske sath hi wahi baith gaye. Wahi tripti bhi mujhe gaur se dekhne lagi. Wo shayad mujhe pehchanne ki koshish kar rahi thi ki, mai kaun hu. Idhar humare baithte hi, dipti ne keerti se puchha.Dipti boli “kya hua didi. Kya aap log kisi jaruri kaam se humare ghar aayi hai.”Dipti ki baat sunkar, keerti ne uski baat ka jabab dete huye kaha.Keerti boli “haan dipti, is samay hum tumhare ghar bahut hi jaruri kaam se aaye hai. Vaani didi ne hum logon ke juhi didi ki shadi me jaane se pahle punit ko saxena uncle se jaruri milne ko kaha hai.”Keerti ki baat sunkar, dipti ne kuch sochte huye kaha.Dipti boli “lekin didi, papa to office gaye hai aur ab wo sham ko hi wapas aayege.”Dipti ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “wo baat to mujhe bhi malum hai. Lekin ab iske liye kiya kya ja sakta hai.”Keerti ki baat sunkar, tripti ne pahli baar apni khamoshi todte huye apna muh khola. Wo dekhne me jitni masoom aur pyari dikhti thi. Uski aawaz bhi utni hi mithi thi. Uske apne muh se kuch bolte hi, mere kaano me shahad sa ghulne laga tha. Usne keerti ki baat sunne ke bad, apni pyari si aawaz me keerti se kaha.Tripti boli “keerti, vaani didi ne inhe yadi papa se jaruri milne ko kaha hai to, tum inhe papa ke office kyo nahi bhej deti ho. Waha par ye papa se bahut aaram se mil sakege aur tumhe bhi inke sath pareshan nahi hona padega.”Tripti ki baat sunkar, dipti chauk kar tripti ko dekhne lagi. Fir usne tripti ka hath hilate huye kaha.Dipti boli “didi, ye aap kya kahe ja rahi hai. Kya aap inhe janti nahi hai. Ye ami, nimi, keerti didi aur vaani didi ke bhai punit hai. Maine aur ami, nimi ne aapko punnu bhaiya ke baare me kitna kuch to, bataya hai.”Dipti ki baat sunkar, tripti mujhe gaur se dekhne lagi. Fir usne sharminda hote huye keerti se kaha.Tripti boli “sorry keerti, maine punit ko pehchana nahi tha. Lekin tumhe to batana chahiye tha ki, tum kise papa se milane ke liye layi ho.”Tripti ki baat sunkar, keerti ne tunakte huye kaha.Keerti boli “ye lo, mai kab se to tum logon ko bata rahi hu ki, vaani didi ne punit ko saxena uncle se milne ko kaha hai. Kya tum punit ka naam tak nahi janti ho. Maine iska naam tumhe bataya to tha.”Keerti ki baat sunkar, tripti ne jhijhakte huye kaha.Tripti boli “nahi, aisi baat nahi hai. Tumne aur vaani didi ne mujhe punit naam bataya tha. Lekin mere dhyan se punit naam nikal gaya. Ami, nimi aur dipti inhe punnu bhaiya kahti rahti hai, isliye mere dimag me bas yahi naam rah gaya tha.”Tripti ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “chalo koi baat nahi. Lekin ab to tumhe sab malum pad gaya. Ab to tum batao ki, is baare me kya karna chahiye.”Keerti ki baat sunkar, tripti ne kaha.Tripti boli “tum chinta mat karo, mai abhi papa ko call laga kar is baare me baat karti hu.”Ye kahte huye, tripti ne dipti se apna mobile utha kar dene ko kaha to, dipti ne tripti ka mobile utha kar use de diya. Tripti ka mobile uske hath me aate hi, usne saxena uncle ko call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, tripti ne kaha.Tripti boli “hello papa, maine ek bahut hi jaruri kaam se aapko call lagaya hai.”Dusri taraf se job hi kaha gaya. Uske bad tripti, saxena uncle ko hum sabke aane ki baat batane lagi. Usne unhe humare aane ki saari baat batayi aur fir unki baat sunne lagi. Fir kisi baat ke liye usne acha thik hai kah kar call kaat diya. Saxena uncle ka call rakhne ke bad tripti ne khush hote huye keerti se kaha.Tripti boli “papa thodi der me ghar aa rahe hai. Fir aakar wo punit se baat karte hai.”Ye kah kar wo muskurate huye keerti se baat karne lagi. Tripti ko mai pahli baar muskurate huye dekh raha tha. Is muskurahat se uska masoom sa chehra bahut hi pyara lag raha tha.Abhi tak tripti ko wheelchair me dekh kar aur uske kharab pair dekh kar mujhe uske sath hamdardi hoti thi. Lekin mere man me abhi tak ye khayal nahi aaya tha ki, tripti ke ye pair kharab kaise ho gaye.Lekin aaj uske masoom se chehre ko muskurate huye dekh kar mere man me is baat ko janne ki utsukta aa gayi ki, aakhir tripti ke pair kharab kaise huye hai. Mai inhi sab baton ko soch raha tha ki, tabhi tripti ne dipti ko tokte huye dhire se uske kaan me kuch kaha.Jiske bad dipti hum sab ke pas se uth kar andar chali gayi. Uske jaane ke bad tripti wapas keerti aur ami nimi se baten karne lagi. Kuch der bad dipti andar se haste huye aayi aur aakar wapas humare pas baith gayi.Abhi un logon ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi saxena uncle aa gaye, wo aakar humare pas baithe to, keerti ne mera parichay unse karwaya. Mera parichay pakar saxena uncle ne khush hote huye kaha.Saxena uncle bole “sorry, iske pahle mai tumse kabhi mil nahi paya. Lekin vaani apne bhai punit roy ki bahut tarif karti hai. Wo tumhari tarif karti huyi thakti nahi hai. Uska ye abhimaan kabhi tutne mat dena.”Saxena uncle ke muh se ye sab baten sunkar mai khud samajh nahi pa raha tha ki, mai unse kya kahu. Mai nahi janta tha ki, vaani didi ne saxena uncle se mere baare kya kaha hai.Magar itna to samajh gaya tha ki, vaani didi ne saxena uncle se meri dil khol kar tarif ki hai. Mai vaani didi ki in tarifo ke layak tha bhi ya nahi tha, ye mai nahi janta tha.Lekin itna jarur janta tha ki, mai vaani didi ko bahut jyada pyar karta tha. Isliye kabhi unke dil ko thes pahuchana pasand nahi karta tha aur na hi aisa kisi ko unke sath karne deta tha.Mai abhi apni inhi sab uljhanon me uljha hua tha ki, tabhi saxena uncle ne mujhe tokte huye kaha.Saxena uncle bole “haan to batao, vaani ne tumhe mujhse kyo milne ko kaha hai.”Saxena uncle ki baat sunkar, mai apni unse milne ki vajah batane laga. Meri ye baten sunkar, ami nimi ko is se koi jhatka nahi laga. Lekin keerti jarur mujhe ghoor kar dekhne lagi.Mai apni probem saxena uncle ko bata raha tha aur wo bade gaur se meri baten sun rahe the. Maine apni saari baat saxena uncle ke samne rakhne ke bad unhe juhi didi ke sasural walon ki aur unke mama ki jaankari dete huye kaha.Mai bola “uncle ye juhi didi ki sasural walon aur unke mama ki saari jaankari hai.”Meri di huyi wo jaankari dekh kar saxena uncle ne kaha.Saxena uncle bole “ye tumne bahut sahi kaam kiya. Ab tumhara saara kaam aasani se ho jayega. Tum chinta mat karo. Hum juhi ke sasural walon ko aisa dabochege ki, ye shadi khud-ba-khud toot jayegi.”“Juhi ke mama ki bhi hum achi khabar lege. Unhe juhi ke sath kiye gaye bure saluk ka pura maja chakhayege aur juhi ki car bhi unse wapas lekar aayege. Tum kisi baat ki chinta mat karna.”“Sab kaam apne samay par ho jayega. Mai abhi apne officer is kaam ke liye laga deta hu. Tumhare Durgapur pahuchte hi, tumhe achi khabar milna suru ho jayegi. Tum befikar hokar Durgapur jao.”Ye kahte huye saxena uncle ne mujhe kuch jaruri baten samjhayi. Fir apne kuch officer ke baare me mujhe batane lage. Abhi humari ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi kisi mahila ne andar se dipti ko aawaj lagayi aur dipti humare pas se uth kar andar chali gayi.Kuch der bad dipti ek aunty ke sath chay nashta lekar humare pas wapas aayi. Aunty ne humare samne chay nashta rakhte huye mujhse kaha.Aunty boli “to tum ho punnu. Mai tripti aur dipti ki mummy hu. Tumse milne me hume bahut samay lag gaya. Tum Mumbai me aise busy the ki, hum tumse mil hi nahi sake. Lekin vaani aur ye sab tumhari bahut tarif karti rahti thi.”Ye kahte huye aunty ne humse chay nashta karne ko kaha. Saxena uncle ne bhi humse chay nashta karne ko kaha aur khud kuch jaruri call karne me lag gaye. Jiske bad hum sab chay nashta karne lage.Humare sath tripti aur dipti bhi chay nashta kar rahi thi. Aunty bas meri tarif karne me lagi huyi thi. Na jaane vaani didi ne saxena uncle aur aunty ko kya path padaya tha ki, wo meri tarif karte nahi thak rahe the.Kuch hi der me humara chay nashta karna ho gaya. Fir hum saxena uncle aur aunty se ijajat lekar ghar aane ke liye uth kar khade ho gaye. Saxena uncle, aunty, tripti aur dipti hume ghar ke bahar tak chhodne aaye.Saxena uncle ke ghar se hum apne ghar ke liye nikle to, keerti gusse me bina humse kuch kahe, mere aur ami nimi se aage aage chalne lagi.______________________________
Nice updateKo To Rok Lo {Update - 0255}____________________________Mehul ki ye halat dekh kar, shilpa, keerti aur neha hasne lagi. Wahi ami nimi maje se gulab jamun khane me lagi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne mehul se kaha.Chhoti maa boli “tu chinta mat kar, mai tere liye dher saare gulab jamun bana dugi.”Chhoti maa ki ye baat sunkar, mehul bhi khush ho gaya. Abhi hum sab ki ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi chhoti maa ka mobile bajne laga. Ye dekh kar keerti fauran chhoti maa ka mobile lene chali gayi. Keerti ne chhoti maa ko unka mobile thamate huye kaha.Keerti boli “mausi, vaani didi ka call aa raha hai.”Keerti ki ye baat sunte hi chhoti maa ne keerti ke hath se mobile liya aur fauran hi vaani didi ka call uthate huye kaha.Chhoti maa boli “hello, vaani tu kaisi hai. Mumbai me ye sab kya chal raha hai. Hume teri chinta ho rahi hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unhe samjhate huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, mai bilkul thik hu. Aap meri jara bhi chinta mat kijiye. Mai jaldi hi apna kaam pura karke wapas aa jaugi.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda ghabrate huye kaha.Chhoti maa boli “ye tera kaun sa kaam chal raha hai. Mujhe bhi to bata. Yaha Mumbai ke haalat sun sun ke humara dil dara ja raha hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap jara bhi mat dariye. Mumbai ke saare haalat mere kabu me hai. Aap kisi bhi apwah par mat jaiye. Mai Mumbai inhi aatankwadiyon aur Mumbai mafiya ka safaya karne aayi hu. Aap yakin rakhiye mai apna kaam jaldi hi pura karke aaugi.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “vaani, mujhe sach sach bata ye chal kya raha hai. Tu Mumbai kya karne gayi hai. Kya ami sach kah rahi thi.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne hanste huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap sach me bahut bholi ho. Meri jasus bahan ne meri saari pol aapke samne to, khol ke rakh di thi ki, ab mai ek raw officer hu. Fir aapko chinta karne ki kya jarurat hai. Mai jaldi hi apna kaam nipta kar aati hu. Tab tak aap aaram se juhi ki shadi me jaiye aur yaha par kisi baat ki chinta mat kijiye.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda pareshan hote huye kaha.Chhoti maa boli “lekin yaha par Mumbai ki koi news tak nahi aa rahi hai. Isliye hum sab yaha pareshan chal rahe hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unhe samjhate huye kaha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, aap chinta mat karo, maine kaha na ki Mumbai me sab mere kabu me hai. Maine hi yaha aate hi, saare news channel par ye lagam laga di thi ki, koi bhi news channel Mumbai ka live coverage nahi karega.”)(“Kyoki jo news aap kog dekh rahe hoge, wahi news aatankwadi aur Mumbai mafiya ke log bhi dekh rahe hoge. Is se unhe humare saari karyawahi ki jaankari hoti rahti. Isliye aaj saare news channel band kar diye gaye hai.”)(“in news channel me itni samajh hi nahi hai ki, kya khabar dikhani chahiye aur kya khabar nahi dikhani chahiye. Isliye is baar maine inhe bhi sabak sikha ke rakh diya hai. Ye sab apni news dikhane ke liye bhatak rahe hai.”)(“mai isiliye kah rahi hu ki, aap kisi bhi apwah par viswas mat kijiye, yaha Mumbai me sab mere kabu me hai. Mai koi raw ki sadharan undercover agent nahi hu, balki desh ki sabse badi raw officer hu aur raw ke saare undercover agent mere hath ke niche kaam kar rahe hai.”)(“isliye aap puri tarah se nishchint rahiye aur news channel ki kisi bhi bakwas par yakin mat kijiye. Unke pas dikhane ke liye koi bhi news nahi hai. Abhi desh par khatra mandra raha hai. Isliye Unke saare adhirkar abhi samapt chal rahe hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne thoda ghabrate huye kaha.Chhoti maa boli “vaani, tu ye sab bekar ke kaam kyo apne jimme le leti hai. Tu nahi janti ki, teri in sab harkaton ki vajah se hume teri kitni chinta hoti hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani boli “……………..” (“mausi, apne parivar ke liye ye sab karna hi padta hai. Aap janti hai ki, mere bhai, bahan mujh par kitna naaz karte hai. Us par jab meri naukri gayi to, unhe is baat ka kitna dukh tha. Un ne is baat ko lekar mujhe kitni baten sunayi.”)(“mujhe unke liye ye naukri karna hi thi. Ab naukri ki hai to, fir wo kaam kyo nahi karti, jis se mere bhai bahan mujh par naaz kar sake. Aap chinta mat kijiye, mujhe kuch nahi hoga. Mai jaldi hi apna kaam khatam karke wapas aa jaugi. Ab aap ye bataiye ki, juhi ki shadi me shamil hone ke liye aap log kab nikal rahi hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne vaani didi ki baat ka jabab dete huye kaha.Chhoti maa boli “hum sab ka sham ko yaha se nikalna tay hai. Anu didi aur chanda mausi bas waha nahi ja rahi hai. Isliye anu didi yaha ghar par chanda mausi ke sath hi rahegi.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye puchha.Vaani didi boli “……………..” (“mausi, chanda mausi ka to, mujhe pata hai ki, wo apni tabiyat ki vajah se waha nahi ja sakegi. Lekin anu mami aap logon ke sath kyo nahi ja rahi hai.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “anu didi ko juhi ke sasural wale pasand nahi aaye hai, isliye wo shadi me nahi ja rahi hai. Un ne iske liye geeta se pahle hi mana kar diya tha.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “……………..” (“achchha mausi, ab mujhe call rakhna hoga. Mujhe jaise hi dobara mauka milega, mai aapko fir call lagaugi. Aap meri atarf se nishchint rahiye.”)Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “thik hai vaani, apna khayal rakhna.”Vaani didi boli “……………..” (“ji mausi, ab mai call rakhti hu.”)Ye kahte huye vaani didi ne call rakh diya. Vaani didi ke call rakhne ke bad chhoti maa hum sabko vaani didi se huyi baten batane lagi. Chhoti maa se vaani didi ke desh ki sabse badi raw officer banne ki baat sunkar hum sabko bahut khushi huyi.Ami nimi ye baat sunkar khushi se fuli nahi sama rahi thi. Chhoti maa ne ami nimi ko ye bhi bataya ki, wo dono vaani ko tv me dekhne ke liye tv ke samne na baithi rahe. Vaani ne sabhi news channel ke live coverage par rok laga kar rakhi huyi hai. Isliye abhi tv me Mumbai ki koi bhi news nahi aayegi.Hume chhoti maa ki ye baat sunkar thoda hairani huyi. Kyoki Mumbai ki news to hum bhi dekhna chahte the. Tab chhoti maa ne hume vaani didi ke aisa karne ka matlab samjhaya. Jo hume bhi sahi laga.Hum chhoti maa se vaani didi ke baare me abhi aur baat karna chahte the. Lekin chhoti maa ne hum sabko samjhate huye kaha.Chhoti maa boli “sham ko hume juhi ki shadi ke liye nikalna hai. Isliye ab tum log apne shadi me jaane ki taiyari puri kar lo.”Chhoti maa ki ye baat hume bhi sahi lagi. Chhoti maa ki baat sunne ke bad, maine mehul se kaha.Mai bola “kya, teri juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari ho gayi hai.”Mehul bola “haan, meri shadi me jaane ki saari taiyari hai. Vaani didi ne humare liye jo shopping ki thi. Usme mere bhi kapde the. Maine wahi shadi me pahanne ke liye rakh liye hai.”Mehul ki baat sunkar, mai use dekhta rah gaya. Mehul sahit sabhi ki shadi me jaane saari taiyari ho chuki thi aur abhi maine ek rumal tak ki taiyari nahi ki thi. Mujhe is tarah mehul se shadi ki taiyari ki baat karte dekh kar keerti ne kaha.Keerti boli “tumhare shopping ke kapde ami nimi ne tumhare kamre me rakh diye the. Kya wo tumhe mile nahi.”Keerti ki baat sunkar, maine us se kaha.Mai bola “mere kamre me to, mujhe koi kapde najar nahi aaye.”Meri baat sunkar, keerti ne ami nimi se puchha.Keerti boli “ami nimi, tumne shopping wale punnu ke kapde kya punnu ke kamre me nahi rakhe hai.”Keerti ki baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “nahi didi, bhaiya ke wo kapde humare kamre me rakhe hai.”Ami ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “acha thik hai, tum wo kapde punnu ke kamre me pahucha do.”Keerti ki baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “thik hai didi, hum abhi wo kapde bhaiya ke kamre me pahucha de rahe hai.”Ye kah kar ami nimi upar apne kamre me chali gayi. Ami nimi ke apne kamre me jaane ke bad, shilpa ne keerti se kaha.Shilpa boli “keerti ab mujhe ghar jana chahiye. Ghar me mummy mera rasta dekh rahi hogi.”Shilpa ki baat sunkar mehul ne us se pcuhha.Mehul bola “kya tumne abhi tak apne ghar phone laga kar bataya nahi hai ki, aaj tumhari jaldi chhutti ho gayi hai aur tum yaha par ho.”Mehul ki baat sunkar, shilpa ne kaha.Shilpa boli “maine mummy ko call laga kar bata diya tha ki, aaj humare school ki jaldi chhutti ho gayi hai. Mai yaha par keerti aur ami nimi ke sath unke ghar par hu. Mai 12 baje tak ghar wapas aa jaugi.”Shilpa ki baat sunkar, mehul ne kaha.Mehul bola “haan, 12 to baj gaya hai. Ab tumhe apne ghar nikalna chahiye. Tum aisa karo, keerti ke sath apne ghar chali jao. Keerti tumhe tumhare ghar chhod degi.”Mehul ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “tum chinta mat karo. Mai shilpa ko uske ghar chhod aaugi.”Ye kahte huye keerti ne chhoti maa ko jataya ki, wo shilpa ko iske ghar chhodne ja rahi hai. Fir wo shilpa ke sath ghar ke bahar nikal gayi. Keerti aur shilpa ke jaane ke bad, mehul bhi apne ghar jaane ki baat bol kar apne ghar ke liye nikal gaya.Mehul ke jaane ke bad, mai chhoti maa ko jata kar apne kamre me aa gaya. Mere kamre me ami nimi baithi mere aane ka intejar kar rahi thi. Mujhe kamre me aaya dekh kar ami nimi mujhse shopping wale kapde dekh lene ke liye kahne lagi.Unki baat sunkar, maine shopping wale kapde dekhe. Vaani didi ne mere liye do Jodi kapde liye the aur dono Jodi kapde bahut sundar the. Ami nimi ko wo kapde dikhane ke bad, mai juhi didi ki shadi me jaane ki apni taiyari puri karne me lag gaya.Ami nimi chup chap mujhe shadi me jaane ki taiyari karte dekh rahi thi. Kuch hi der me meri taiyari puri ho gayi to, maine ami nimi ke pas baithte huye kaha.Mai bola “ye lo, meri bhi juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari puri ho gayi.”Meri baat sunkar, nimi ne khush hote huye kaha.Nimi boli “haan bhaiya, aapne badi jaldi apni saari taiyari puri kar li.”Nimi ki baat sunkar, mai muskurane laga. Tabhi ami ne mujhse kaha.Ami boli “bhaiya, juhi didi aapko shadi me aaya dekh kar bahut khush hogi. Aap jab Mumbai me uncle ke sath gaye the. Tab juhi didi ki shadi ki baat pakki huyi thi. Juhi didi is shadi ke khilaf thi. Unhe ye shadi karna hi nahi thi.”“Jab unki shadi ki baat pakki huyi to, wo aapko call karke saari baat batana chahti thi. Magar aap Mumbai jaane ke pahel apna mobile number badal chuke the. Juhi didi aapko call laga rahi thi, magar aapka call lag nahi raha tha.”“Juhi didi ko aapka naya mobile number malum nahi tha aur wo samajh rahi thi ki, aap mobile band karke rakhe ho. Geeta aunty unhe shadi ke khilaf dekh kar unhe ghar se nikalne nahi de rahi thi.”“Juhi didi ki shadi pakki hote hi, geeta aunty ye baat batane ghar aayi thi. Us samay richa aunty yahi par thi aur geeta aunty ne anu mausi ko bhi yahi par bula kar hum sab logon ke samne hi juhi didi ki shadi pakki hone ki baat batayi thi.”“Geeta aunty ko juhi didi ki shadi itni jaldi pakki karte dekh, mummy, anu mausi aur richa aunty ke sath sath keerti didi ne bhi geeta aunty ki is baat ka virodh kiya tha. Lekin geeta aunty ne sabko bataya ki, juhi didi ke liye ye rishta papa ne duda hai.”Ami ki is baat ne mere dimag me ek bomb sa fod diya. Mere bap ka kiya hua koi bhi kaam mujhe jara bhi pasand nahi aata tha. Aise me is kaand me bhi apne bap ka hath dekhkar mera dimag ghoom gaya. Fir bhi ami ki baat mai khamoshi se sunta rah gaya. Ami ne apni baat aage badate huye kaha.Ami boli “Us samay papa bhi wahi par the aur un ne kaha ki, geeta ka ye faisla jara bhi galat nahi hai. Isliye tum sab geeta ke is faisle me apni taang mat adao. Geeta ne apni beti ke liye jo faisla liya hai, bilkul sahi liya.”“Papa ki baat sunkar, geeta aunty ne papa se kaha ki, juhi is shadi ke khilaf hai aur punit uska khas hai. Juhi punit se milkar is shadi ke liye bagawat karna chahegi. Lekin punit to is samay Mumbai me hai.“Ye baat juhi ki shadi ke liye bahut achi hai. Mai chahugi ki, punit ko juhi ki shadi pakki hone ki abhi baat pata na chale. Geeta aunty ki ye baat sunkar, papa ne geeta aunty se kaha ki, tum chinta mat karo, inme se koi bhi punit ko is baare me nahi batayega.”“Mai mehul ko bhi call karke kah duga ki, juhi ki shadi ke baare me abhi punit ko kuch pata na chalne de. Tum punit ka mobile number juhi ke mobile se hata dogi to, juhi ki punit se baat bhi nahi ho sakegi.”“Papa ki ye baat sunkar, mujhe gussa aa gaya aur maine papa se kaha ki, bhaiya ne to Mumbai jaane ke pahle naya mobile number liya hai. Wo number shayad juhi didi ke pas nahi hoga.”“Meri baat sunkar, geeta aunty ne khush hote huye kaha, ye to aur bhi achi baat huyi hai. Tum log punit ka naya number juhi ko mat dena. Punit se baat nahi hogi to, kuch hi din wo khud sahi ho jayegi.”“Geeta aunty ki ye baat sunkar, anu mausi ko bhi gussa aa gaya. Un ne geeta aunty se saaf kah diya ki, geeta tumne jo ladka juhi ke liye dekha hai, wo aur uska khandan mujhe jara bhi pasand nahi hai.”“Sath hi mai apne bhatije ki itni jyada burayi nahi sah sakti hu. Isliye mai to juhi ki shadi me shamil nahi ho sakugi. Anu mausi ne keerti didi par bhi gussa karte huye kaha ki, tujhe in sabke sath juhi ki shadi me jana hai to, jam agar is baare me punit se kuch bhi kahne ki jarurat nahi hai.”“Anu mausi ki ye baat sunkar, papa aur geeta aunty ne unhe manane ki bahut koshish ki, lekin anu mausi, juhi didi ki shadi me shamil hone ke liye bilkul bhi taiyar nahi huyi.”“Iske bad geeta aunty juhi didi ki shadi ke baare me saari taiyari ke baare me bata kar aur sabko shadi me aane ke liye jata kar chali gayi. Geeta aunty ke jaane ke bad, papa ne mehul bhaiya ko juhi didi ki shadi pakki hone ke baare me bata diya aur ye baat aapko batane se saaf mana kar diya.”“Iske bad papa office chale gaye. Papa ke chale jaane ke bad, richa aunty ne anu mausi se kaha. Anu tune juhi ki shadi me jaane se mana kyo kar diya. Wo bhi teri beti jaisi hai.”“Richa aunty ki baat sunkar, anu mausi ne kaha ki, unhe geeta ki ye baat pasand nahi aayi ki, wo apni beti ki shadi ki baat humse to bata rahi hai, magar har baat punit se chhupa rahi hai.”“Jabki sab jante hai ki bachpan se juhi sabke samne punit se shadi karne ki baat kaha karti thi. Mai manti hu ki, ab bachche bade ho agye hai aur bachpan ki wo baten ab koi mayne nahi rakhti hai.”“Lekin geeta ko ye bhi nahi bhulna chahiye tha ki, abhi punit mehul ke sath Mumbai gaya hai aur apni jababdari nibha raha hai. Ab wo itna chhota nahi hai ki, bhale bure ko na pehchan sake.”“Aise me yadi wo koi baat juhi ki shadi ke baare me kahta to, sirf juhi se dosti ki naate kahta. Aise me geeta ka punit se ye sab baten chhupana mujhe bura laga hai. Lekin tu yakin kar ki, yadi punit ne Mumbai se aakar juhi ki shadi ke baare me koi lafda kiya aur uski shadi tudwa di to, mujhe is baat ka jara bhi bura nahi lagega.”“Mai apne bhatije ke khilaf nahi ja sakti hu. Isliye maine juhi ki shadi me jaane se mana kar diya. Waise bhi juhi ki shadi tak punit aa hi jayega. Tab mujhe dekhna hai ki, wo apni is dost ke liye kya karta hai.”“Anu mausi ki ye baat sunkar, mummy ne kaha ki, didi punnu Mumbai se aakar bhi juhi ki shadi ko lekar kuch nahi kar payega. Uske papa ko ye sab pasand nahi hai aur mai use uske papa ke khilaf dekhna bhi nahi chahugi.”“Isliye aap log bhi punnu se juhi ki shadi ko lekar kuch nahi kahegi. Us se job hi kahna hoga, mai hi kahugi. Ye kahte huye mummy ne mujhe, nimi aur keerti didi ko bhi dantte huye kaha ki, tum teeno bhi punnu se is baare me koi baat nahi karogi.”“Mummy ki baat sunkar, us samay to, hum logon ne unki haan me haan mila di. Lekin fir iske do din bad juhi didi humare ghar aa gayi. Un ne mummy ko apni shadi pakki hone ke baare me saari baat bata di aur ise tudwane ke liye mummy ki madad mangne lagi.”“Lekin mummy ne unse kah diya ki, geeta aunty ne unke baare me jo socha hai, galat nahi socha hai. Ab tumhari umar shadi layak ho gayi hai. Yadi aise me geeta tumhari shadi jaldi kar dena chahti hai to, kuch bura nahi chahti hai.”“Mummy ki ye baat sunkar, juhi didi se fir iske aage kuch kahte nahi bana. Mummy se baat karne ke bad juhi didi ne keerti didi se kaha ki, wo punnu ka number laga rahi hai, magar uska number lag nahi raha hai.”“Maine mehul ko bhi call kiya tha, lekin usne kah diya wo punnu ke sath hai nahi, isliye wo us se meri baat nahi karwa sakta hai. Maine mehul se punnu ka number manga to, usne mujhe fir wahi number thama diya, jo lag nahi raha tha.”“Kya punnu ne wo number band kar diya hai. Juhi didi ki baat sunkar keerti didi ne bhi juhi didi se jhuth kah diya ki, didi hum sab to punnu se isi number par baat karte hai. Fir aapka number kaise nahi lag raha hai.”“Keerti didi ki baat sunkar, juhi didi se unse bhi kuch kahte nahi bana. Iske bad juhi didi ne mujhse aur nimi se kaha ki, tum dono mujhe apna kamra nahi ghumaogi.”“Juhi didi ki baat sunkar, hum juhi didi ko apna kamra ghumane ke liye apne sath apne kamre me le aaye. Humare kamre me aate hi, juhi didi mujhe aur nimi se lipat kar jor jor se rone lagi.”______________________________
Fabulous updateKo To Rok Lo {Update - 209}
____________________________
Vaani didi ke muh se neha ke padmini aunty ki asli beti hone ki baat sunkar mujhe ek jhatka sa laga. Kyoki abhi tak mai padmini aunty ki asli beti kaun hai, is baat se puri tarah se anjan tha.
Lekin neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat pata chalte hi, mujhe ye baat bhi samajh me aa gayi ki, durjan hi wo aadmi tha, jo priya ko bachpan me lekar bhaga tha. Magar usne aisa kyo kiya tha, ye baat abhi bhi mere liye ek raz hi thi.
Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi vaani didi ki baat sunte hi, raj ne tapak se kaha.
Raj bola “didi, isme pareshani wali koi baat nahi hai. Neha aur priya dono hi humari bahan hai. Hum punnu ki jagah neha ko priya ki judwa bahan bata dege aur baki ki kahani wo hi bata sakte hai, jo abhi hai.”
Raj ki ye baat sabhi ko sahi lagi aur sabne is baat par apni sahmati de di. Is baat ko sunte hi, neha ke chehre par bhi khushi jhalakne lagi. Aakhir us ghar ki asli beti to, wo hi thi aur usko andekha kiye jane se uska pareshan hona bhi galat nahi tha.
Lekin vaani didi ki samajhdari ne uske man ke is dar ko bhi alag kar diya tha aur ab sab khush najar aa rahe the. Lekin ab neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat ne mere man me bahut saare sawal paida kar diye the.
Jinke jabab chhoti maa, vaani didi, keerti ya nikki me se hi koi de sakta tha. Magar chhoti maa se mujhe kuch puchhna nahi tha aur vaani didi se kuch puchhne ki mere andar himmat nahi thi.
Mai sirf keerti aur nikki se hi kuch puchh sakta tha. Lekin is samay apni narajgi ke chalte, mai keerti se baat karna nahi chahta tha. Jabki nikki apni narajgi ke chalte, mujhse baat nahi kar rahi thi.
Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi sabke kahkahe sunkar, mai apni soch se bahar nikal aaya aur ye dekhne laga ki, achanak sab hasne kyo lage hai. Sabki najar aman aur nisha bhabhi par tiki huyi thi.
Mujhe itna to samajh me aa gaya tha ki, sab inhi ki vajah se hans rahe hai. Lekin ye samajh me nahi aaya ki, aakhir hua kya hai. Jab meri kuch samajh me nahi aaya to, maine mere bagal me baithi barkha didi se kaha.
Mai bola “didi, kya hua.? Sab log aman aur nisha bhabhi ko dekh kar, hans kyo rahe hai.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne mujhe hairani se dekhte huye kaha.
Barkha didi boli “tum yaha baithe baithe so rahe ho kya, jo tumko nahi malum nahi ki, yaha par abhi kya hua hai.”
Barkha didi ki baat sunkar, maine thoda sharminda sa hote huye kaha.
Mai bola “didi, mai kisi soch me khoya hua tha. Isliye mera dhyan yaha ki baton par nahi tha.”
Meri baat sunkar, barkha didi ne hanste huye kaha.
Barkha didi boli “jaisa abhi tumhara haal hai, waisa hi aman jiju ka bhi haal tha. Nidhi didi unse kuch puchh rahi thi. Magar wo bas ek-tak vaani didi ko dekhne me khoye huye the.”
“Jab nidhi didi ke do teen baar puchhne par bhi un ne koi jabab nahi diya to, nisha bhabhi ne unhe jor se kohni maari aur wo hadbada kar, yaha waha sabko dekhne lage. Bas isi vajah se hum sabko hansi aa gayi.”
Barkha didi ki baat sunkar, mai bhi aman aur nisha bhabhi ki taraf dekhne laga. Nisha bhabhi dhire dhire unhe khari khoti suna rahi thi aur aman unko apni safayi dene ki kosis kar raha tha.
Aman ki baat sunne ke bad, nisha bhabhi ke chehre par muskurahat aa gayi aur un ne muskurate huye, vaani didi se kaha.
Nisha bhabhi boli “vaani, tum apne jiju ka is tarah se tumko ghurne ka koi galat matlab mat nikal lena. Asal me tumhare jiju ek Plastic and Cosmetic Surgeons hai aur inhe logon ke chehre ki sundarta jyada prabhavit karti hai.”
“In ne khalid bhai se suna tha ki, vaani ek bahut khatarnak CID officer hai. Inko laga tha ki, vaani koi bahut sakht mijaj ki kathor chehre wali ladki hogi. Lekin tum to dekhne me bhaut sundar aur bahut najuk lagti ho.”
“Tumko dekh kar, inhe yakin nahi ho raha hai ki, ek chhuyi muyi aur najuk si dikhne wali ladki, khatarnak se bhi khatarnak mujrim ke chhakke chhuda deti hai. Ye isi soch me gum the ki, tum itna sab kuch bina kisi dar ke kaise kar leti ho.
Nisha bhabhi ki baat sunkar hum sabki hansi chhut gayi. Wahin vaani didi ne muskura kar, aman ki taraf dekhte huye kaha.
Vaani didi boli “aisa nahi hai. Sabki tarah mujhe bhi dar lagta hai. Magar mujhe kisi mujrim ka nahi, balki is baat ka dar lagta hai ki, mere hath se kabhi koi masoom ya begunah na maara jaye.”
Vaani didi ki ye baat sunte hi, neha ne pahli baar apna muh kholte huye kaha.
Neha boli “didi, mere baba begunah hai. Mai manti hu ki, un ne mujhe mere mata pita se door kar diya tha. Lekin un ne meri parvarish me kabhi koi kami nahi ki hai aur mujhe bade laad pyar se paala hai.”
“Yaha tak ki, garibi ke mahol me rahne ke bad bhi, un ne mujhe bade se bade school me padaya aur meri har chhoti badi khwahish ko pura kiya hai. Un ne ek pal ke liye bhi mujhe aehsas nahi hone diya ki, mai unki beti nahi hu.”
“Fir bhala mere baba gunahgaar kaise ho sakte hai. Aap alka bua aur shikha didi se puchh kar dekh lijiye ki, mere baba kaise hai. Is sabko karne ke pichhe jarur unki koi majburi rahi hogi. Warna mere baba itna bura kaam kabhi nahi karte.”
Ye kahte kahte neha ki aankhen aansuon se bhig gayi. Uski bheegi aankhon ko dekh kar hi pata chal raha tha ki, wo durjan se kitna jyada pyar karti hai. Use rote dekh kar, vaani didi uske pas aayi aur use samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “mujhe kisi se kuch puchhne ki jarurat nahi hai. Tumhe sahi salamat dekh kar hi, mujhe samajh me aa gaya ki, un ne tumhare sath kuch bhi bura nahi kiya hai.”
“Lekin tum ye baat kyo bhulti ho ki, un ki vajah se ek maa ne apni bacchi ke liye tadap tadap kar jaan de di aur tumhe apni maa ke hote huye bhi, uski chhati se lag kar doodh pina nashib nahi hua. Tum jindgi bhar maa ke pyar ke liye tarasti rahi.”
“Ek bacche ko uski maa se door karna, sirf kanoon hi nahi, balki insaniyat ki najar me bhi gunah hai. Fir ye bhi to dekho ki, un ne punnu ke upar bhi jaan lewa hamla karwaya hai.”
Magar neha par vaani didi ki is samjhaish ka koi asar nahi hua. Usne fir durjan ka bachav karte huye kaha.
Neha boli “didi, mai nahi janti, mere baba ne aisa kyo kiya. Mai bas itna janti hu ki, jab se hosh sambhala hai. Tab se maine mere baba ko kabhi koi galat kaam karte nahi dekha.”
“Ye bhi to ho sakta hai ki, aap sabko koi galatfahmi ho rahi ho. Mere baba ne aisa kuch kiya hi na ho aur unko fasane ki kosis ki ja rahi ho. Mere baba kabhi aisa kaam kar hi nahi sakte.”
“Wo bechare abhi bahut bimar chal rahe hai. Unhe abhi ilaj ki bahut jarurat hai. Yadi mere baba ko kuch ho gaya to, mai unke bina jee nahi pahugi.”
Itna kah kar, neha fir bilakh kar rone lagi. Use is tarah se durjan ke liye rota dekh kar, mujhe bhi uske upar taras aane laga aur ab mera dil bhi yahi chah raha tha ki, durjan ko uske kiye ki, saza na di jaye.
Wahin neha ko rote dekh kar, shikha didi aur alka aunty uske pas aa gayi. Shikha didi neha ko chup karwane lagi aur alka aunty ne neha ke sar par hath ferte huye vaani didi se kaha.
Alka aunty boli “vaani beta, neha thik kah rahi hai. Durjan bhaiya pahle chahe jo rahe ho aur pahle un ne chahe jo kiya ho. Lekin ab wo waise bilkul bhi nahi hai. Wo puri tarah se badal chuke hai.”
“Kisi samay wo mambai ke maane huye gunde hua karte the. Lekin jaise jaise neha badi hoti gayi. Unke andar ka bura insan marta gaya aur uski jagah ek bap ne le li. Un ne neha ki dekh bhal bilkul sage bap ki tarah ki hai.”
“Maine neha ko apne inhi hathon ne paala hai. Mujhse is bacchi ka dukh dekha nahi ja raha hai. Tum se yadi ho sake to, durjan bhaiya ko chhod do. Punnu mera bhi beta hai aur mai jababdari leti hu ki, punnu ko unse koi khatra nahi hoga.”
Apni baat kahte kahte alka aunty ki aankhe bhi aansuon se bhig chuki thi. Neha aur alka aunty ke aansuon ne hum sabki aankhon me bhi nami la di thi. Wahin is mahol ko dekh kar, vaani didi bhi kuch pareshan si najar aane lagi thi.
Shayad wo is baare me kuch soch rahi thi. Vaani didi abhi apni soch me hi khoyi huyi thi ki, tabhi chhoti maa ne unke pas aate huye kaha.
Chhoti maa boli “vaani beta, yadi gunah karne wala gunahgaar hai to, gunah karne ke liye majbur karne wala bhi utna hi bada gunahgaar hai.”
“Yadi gunah karne wale ko saza mil rahi hai to, fir gunah karne ke liye majbur karne wale ko bhi saza milni chahiye aur yadi gunah ke liye majbur karne wale ko saza nahi di ja rahi hai to, fir gunah karne wale ko bhi saza nahi di jaani chahiye.”
Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi fati fati aankhon se chhoti maa ko dekhne lagi. Lekin us samay chhoti maa ke chehre par koi bhav nahi the. Unka chehra bahut sakht sa ho gaya tha.
Mujhe chhoti maa ki ye baat samajh me nahi aayi aur mai hairani se unko dekhta rah gaya. Magar shayad vaani didi unki baat ka matlab samajh chuki thi. Un ne chhoti maa ki is baat ke jabab me kaha.
Vaani didi boli “mausi, mai aapki baat ko manti hu. Lekin kanoon sirf sabuton ko manta hai aur abhi saare sabut unke khilaf hai. Gauranga aur mohini aunty ke bayan hi, unko saza dilwane ke liye kafi hai.”
Vaani didi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne fauran hi kaha.
Mohini aunty boli “yadi sab nahi chahte ki, unko saza mile to, mai apna bayan badalne ke liye taiyar hu. Mai kah dungi ki, mujhse unko pehchan ne me galti ho gayi thi.”
Mohini aunty ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “aunty sirf aapke bayan badal lene se kuch nahi hoga. Unke sabse bade gunah ka gawah to gauranga hai aur wo bhala apna bayan kyo badalne laga.”
Abhi vaani didi ki baat puri bhi nahi ho payi thi ki, ek aawaj ne hum sabko chauka diya.
Aane wali aawaj “gauranga kya, apun to gauranga ke bap ka bhi bayan badalwa dega.”
Is aawaj ko sunte hi, hum sabne pichhe palat kar dekha. Khalid bhai apni mast chaal me, humare pas hi chale aa rahe the. Unki najar ajay aur aman par thi aur un ne apni us baat ke bad, aman logon se kaha.
Khalid bola “mai waha priya aur dada ji ke pas baitha, tum logon ke aane ka intejar kar raha tha aur tum dono chindi chor yaha mahfil jama kar baithe ho.”
Ye kahte huye khalid bhai ajay aur aman ki taraf bade aa rahe the. Lekin tabhi seeru didi ko na jaane kya sujha ki, wo daud kar khalid bhai ke samne jakar khadi ho gayi aur unse kaha.
Seerat boli “bhai jaan, acha hua aap aa gaye. Hum yaha mahfil saja kar nahi baithe hai. Hum sabko police ne hirasat me le liya hai.”
Seeru didi ki baat sunte hi, khalid bhai ko gussa aa gaya. Un ne gusse me aag babula hokar apni revolver nikalte huye kaha.
Khalid bola “mere rahte kisi police wale ki itni aukat nahi ki, wo tum logon ko hath bhi laga sake. Kaun hai wo saala, jisne tum logon ko hirasat me liya hai.”
Ye kahte huye khalid bhai yaha wahan dekhne lage. Wahin seeru didi ne badi hi masumiyat se kaha.
Seerat boli “bhai jaan, wo saala nahi, saali hai.”
Ye kahte huye, seeru didi unke samne se hat gayi. Seeru didi ke unke samne se hatte hi, khalid bhai ki najar sidhe vaani didi par padi aur unhe seeru didi ki saari shararat samajh me aa gayi.
Un ne apni revolver ko wapas jeb me wapas rakha aur seeru didi ki taraf badne lage. Unhe apni taraf badte dekh, seeru didi kahkahe lagate huye nisha bhabhi ke pichhe aakar khadi ho gayi. Khalid bhai ne seeru didi ko ghurte huye kaha.
Khalid bola “tune fir apun ko mamu bana diya.”
Seeru didi se itna kahne ke bad, khalid bhai vaani didi ke pas aaye aur unse kaha.
Khalid bola “madam aap aur mumbai me, mujhe abhi bhi apni aankhon par yakin nahi ho raha hai. Aap ne to kasam khayi thi ki, aap ek CID officer ki haisiyat se kabhi mumbai me kadam nahi rakhegi.”
Khalid ki ye baat sunte hi, aman ne aage aate huye khalid se kaha.
Aman bola “abe tu aate hi ye kya bakwas lekar baith gaya. Kya tujhe pata nahi hai ki, punit inka bhai hai. Uske liye to inko yaha aana hi tha.”
Aman ki baat sunkar, khalid bhai ne sharminda sa hote huye kaha.
Khalid bola “sorry madam, mera irada aapko chot pahuchane ka nahi tha. Asal me mujhe aapki pichhli baten yaad aa gayi thi. Punit aapka hi nahi, mera bhi bhai hai. Maine jab TV par news dekha to, mera bhi khoon khaul gaya tha.”
“Yadi aapne gauranga ko nahi pakda hota to, uski is galti ke liye, mai khud waha jakar uska game baja dalta. Aapko yadi us se koi bayan dilwana hai to, mujhe bataiye. Mere ek ishare par wo koi bhi bayan dene ko taiyar ho jayega.”
Khalid ki baat sunkar, vaani didi chhoti maa ki taraf dekhne lagi. Chhoti maa ne unhe haan me sar hila kar, ishara kiya. Jiske bad, vaani didi ne khalid se kaha.
Vaani didi boli “neha ke pita ne gauranga ko punnu ke naam ki supari di thi. Jis vajah se usne punnu par jaan lewa hamla kiya tha. Iske jabab me maine gauranga ke char sathiyon ka khatma karke, uske pure giroh ko hirasat me le liya.”
“Gauranga ke bayan ke anusar humne supari dene wale ki tasweer banayi aur usi aadhar par humne neha ke pita ko hirasat me le liya hai. Lekin ye sab chahte hai ki, neha ke pita ko iski saza na mile aur unko sudharne ka ek mauka diya jaye.”
Itna kah kar vaani didi chup ho gayi. Magar khalid bhai jaise Don ke samajhne ke liye itni hi baat kaafi thi. Un ne vaani didi ki is baat ke jabab me kaha.
Khalid bola “madam samajiye ki, aapka ye kaam ho gaya. Apne diye gaye bayan se mukarna mujrimo ke liye koi nayi baat nahi hai. Punnu par hamla gauranga ne karwaya tha to, ab uski saza bhi wo ya uska koi aadmi hi bhogega.”
Khalid ki ye baat sunte hi, neha ke chehre par muskurahat aa gayi aur wo aakar vaani didi se lipat gayi. Vaani didi ne pyar se uske sar par hath ferte huye kaha.
Vaani didi boli “mai is sabke sakht khilaf hu. Magar sirf tumhari vajah se ek mujrim ka sath de rahi hu. Kal subah tak tumhare baba tumhare pas honge. Lekin ye ab tumhari jababdari hai ki, tum apne baba ko sahi raste par lekar aao.”
Vaani didi ki baat sunte hi, neha ne chahakte huye kaha.
Neha boli “thanks didi, aap fikar mat karo. Mai kahugi to, mere baba aapki sab baat manege. Wo kabhi meri koi baat nahi kaatte hai. Wo aapko sikayat ka koi mauka nahi dege.”
Neha ki baat sunkar, khalid bhai ne bhi durjan ki wakalat karte huye kaha.
Khalid bola “madam, mai durjan ko achi taraf se janta hu. Wo ek bahut acha aur diler insan hai. Pata nahi, usne aisa ghatiya kaam kis khunnas me aakar kar diya. Mai bhi use apni taraf se samjhane ki kosis karuga.”
“Aapko yadi meri pahli wali baat buri lagi ho to, mai uske liye maafi chahta hu. Aap yakin maniye, aapko ek CID officer ki haisiyat se, ek baar fir se mumbai me dekh kar, mujhe sach me bahut khushi ho rahi hai.”
Khalid bhai ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “mai mumbai me jarur hu. Lekin ab mai ek CID officer nahi hu. Mumbai aane ke pahle hi, maine apni naukri se istifa de diya tha aur mere anurodh par mera istifa manjur bhi kar liya gaya hai.”
Vaani didi ki is baat ne ek-dam se sabko chauka diya tha. Nitika aur mohini aunty ke alawa, sabhi se vaani didi ko mile ek do din se jyada nahi hua the.
Iske bad bhi is baat ko sunte hi sabke chehre murjha gaye.
Lekin is baat ne sabse bada jhatka mujhe pahuchaya tha. Kyoki ek to unki ye naukri meri vajah se hi gayi thi aur dusra mujhe unke CID officer hone se, apne aap par bahut naaz tha.
Mai unke kaarname apni school me bahut bada chada kar bataya karta tha. Unke gauranga ko pakadne ke kaarname ne bhi pure west bangal me tahalka macha kar rakha kar rakha tha aur jis vajah se mera seena garv se chauda ho gaya tha.
Mujhe ummid thi ki, wo schoolgirl ke rape-case ko bhi chutkiyon me hal kar degi. Lekin unke istifa dene ki baat ne mera saara ghamnd choor choor karke rakh diya tha aur isi gusse me mai unko kha jaane wali najron se ghoor kar dekh raha tha.
Magar wo meri is haalat se anjan, aise muskuraye ja rahi thi, jaise ki kuch hua hi na ho. Achanak hi unki najar mujh par padi aur un ne mujhe is taraf se ghoorte dekha to, hanste huye kaha.
Vaani didi boli “ye tumhe kya hua. Tum aise kha jaane wali najron se mujhe kyo dekh rahe ho.”
Vaani didi ki baat ko sunkar, mai to khamosh hi raha. Lekin ajay ne pahli baar apna muh kholte huye kaha.
Ajay bola “aapke istife ki baat sunkar, jab hum logon ko itna bada jhatka laga hai to, fir punit ko to aur bhi bada jhatka laga hoga. Aakhir aapne ye sab usi ki vajah se hi to kiya hai.”
Magar ajay ki ye baat sunkar bhi vaani didi ke chehre par koi shikan nahi aayi. Wo mere pas aayi aur mere kandhe par hath rakh kar, pahle ki tarah hi, muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “tumhe to mere kaam ki vajah se mai vaani nahi, sunami lagti thi na. Lo ab maine sunami wala kaam chhod diya aur apni juban ko bhi shikha ki tarah meetha kar liya hai.”
“Ab mere ‘I love u’ bolne par tumhare hone wale jiju ko na bolne ki himmat bhi aa jayegi aur unhe shadi ke bad, USA chhod kar india bhi nahi aana padega. Ab to tumhare jiju ki kismat kharab nahi hogi na.”
Vaani didi ye baat sirf mujhe chhedne ke liye kah rahi thi. Lekin unki in baton se samajh me aa raha tha ki, un ne mehul ke ghar me mere aur keerti ke bich, unke baare me huyi saari baten sun li thi.
Is baat ka aehsas hote hi, mera sar sharam se jhuk gaya aur maine is baat par sharminda hote huye unse kaha.
Mai bola “didi, mai keerti se wo baten sirf majak me kah raha tha aur jab aap aayi tab mai jiju ki kismat kharab hone ki baat nahi kah raha tha. Mai keerti se kahne wala tha ki, humhare jiju ki kismat achi hai. Lekin meri baat puri bhi nahi ho payi aur aap mere samne aa gayi. Jis vajah se meri baat adhuri rah gayi thi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “to apni us baat ko abhi sabke samne pura kar lo.”
Lekin mai vaani didi ki ye baat sunkar, bhi chup hi khada raha to, un ne fir se mujhe is baat ko pura karne ko kaha aur unke sath sath seeru didi bhi mujhe baat pura karne ke liye uksane lagi.
Kyoki vaani didi ki baton se shayad wo bhi samajh chuki thi ki, mai dil khol kar vaani didi ki burayi karne me laga hua tha aur aage ki baat bhi aisi hi kuch niklegi. Aakhir me unke baar baar kahne par maine apni us baat ko pura karte huye kaha.
Mai bola “didi, us din mai keerti se kahne wala tha ki, humhare jiju ki kismat achi hai, jo unki shadi humari didi se ho rahi hai. Unhe shadi ke bad, duniya me kisi se bhi dar nahi lagega.”
Itna kah kar mai ruk gaya. Mujhe baat puri karte na dekh kar, vaani didi ne mujhse kaha.
Vaani didi boli “aage bolo, tumhare jiju kyo kisi se dar nahi lagega.”
Mai bola “kyoki………”
Lekin iske aage kahne ki meri himmat hi nahi ho rahi thi. Mujhe aage ki baat kahne se hichakte dekh kar, seeru didi samajh gayi ki asli baat ab hi aane wali hai. Un ne mere pas aakar, mera hath hilate huye kaha.
Seerat boli “haan, haan, ruk kyo gaye. Tum tarif hi to kar rahe ho. Ab kyoki ke bhi aage bolo.”
Seeru didi ki baat sunkar, mai unko ghurne laga. Lekin wo mujhe chhedte huye baat puri karne ko kahne lagi. Jiske bad, maine apni baat ko pura karte huye kaha.
Mai bola “kyoki aap khud hi dar ka dusra naam ho. Shadi ke bad, jiju aap se hi itna dar jayege ki, unhe aapke dar ke alawa koi dar pareshan nahi kar payega.”
Meri ye baat sunte waha khade sabhi log hasne lage aur mai sar jhuka kar khada ho gaya. Aaj pahli baar maine vaani didi se itni majak bhari baten ki thi. Lekin ab andar hi andar mujhe unse dar bhi lag raha tha.
Kyoki vaani didi in sab baton me wo bahut sakht thi aur unhe chhoto ka bado ka majak udhana jara bhi pasand nahi tha. Yadi aur koi samay hota to, is baat ke kahne par un ne abhi tak mere kaan ke niche ek do baja diye hote.
Lekin aaj apne istife ki vajah mujhe pareshan dekh kar, un ne mera dil halka karne ke liye khud hi is baat ko chheda tha. Taki mai unki is baat me ulajh jau aur unke istife wali baat mere dimag se nikal jaye.
______________________________
Kriti ko pata hai panu vo har kaam karega jo uska baap nahi karne ke liye kahega or vo janti hai ki abhi vani di bhi nahi hai yaha isliye use pannu ki liye dar lag raha hai or vo janti hai ki panu guse me apne baap ko marne se piche nahi hategaPunit ka juhi ke shadi me ye dakhal andazi kirti ko pasnd nahi aane ka kaaran samjh nahi aaya, kya wo is rishte se khus hai aur is baat ko najarandaaz kar rahi hai ki juhi ye shadi nahi karna chahti
Ya fir
Wo bas punit ko leke possessive ho gayi hai, but kirti kabhi priya ko lekar possessive nahi huyi jo ki sidha sidha kahti hai ki wo punit se pyar karti hai fir juhi se kaisa dar.
Bahut besabri se wait rahega aaage ke update ka.
Juhi ko ye shadi kyo nahi pasnd, is shadi ke piche amarnath ka kya hath hai, sunita is shadi ke liye kaise ready ho gayi? Aur bhi bahut sare prashn hai jinka jawaab mai aane wale update me chahunga.
Thank you for this wonderful update, i am waiting for next update bhai
Nice updateKo To Rok Lo {Update - 0256}
____________________________
“Mummy ki baat sunkar, us samay to, hum logon ne unki haan me haan mila di. Lekin fir iske do din bad juhi didi humare ghar aa gayi. Un ne mummy ko apni shadi pakki hone ke baare me saari baat bata di aur ise tudwane ke liye mummy ki madad mangne lagi.”
“Lekin mummy ne unse kah diya ki, geeta aunty ne unke baare me jo socha hai, galat nahi socha hai. Ab tumhari umar shadi layak ho gayi hai. Yadi aise me geeta tumhari shadi jaldi kar dena chahti hai to, kuch bura nahi chahti hai.”
“Mummy ki ye baat sunkar, juhi didi se fir iske aage kuch kahte nahi bana. Mummy se baat karne ke bad juhi didi ne keerti didi se kaha ki, wo punnu ka number laga rahi hai, magar uska number lag nahi raha hai.”
“Maine mehul ko bhi call kiya tha, lekin usne kah diya wo punnu ke sath hai nahi, isliye wo us se meri baat nahi karwa sakta hai. Maine mehul se punnu ka number manga to, usne mujhe fir wahi number thama diya, jo lag nahi raha tha.”
“Kya punnu ne wo number band kar diya hai. Juhi didi ki baat sunkar keerti didi ne bhi juhi didi se jhuth kah diya ki, didi hum sab to punnu se isi number par baat karte hai. Fir aapka number kaise nahi lag raha hai.”
“Keerti didi ki baat sunkar, juhi didi se unse bhi kuch kahte nahi bana. Iske bad juhi didi ne mujhse aur nimi se kaha ki, tum dono mujhe apna kamra nahi ghumaogi.”
“Juhi didi ki baat sunkar, hum juhi didi ko apna kamra ghumane ke liye apne sath apne kamre me le aaye. Humare kamre me aate hi, juhi didi mujhe aur nimi se lipat kar jor jor se rone lagi.”
“Juhi didi ka is tarah se rona mujhse aur nimi se nahi dekha gaya. Maine aur nimi ne unhe chup karate huye kaha ki, didi aap rona band kijiye. Hum aapko batate hai ki, aapki bhaiya se baat kyo nahi ho pa rahi hai.”
“Humari baat sunkar juhi didi ne apne aansu ponchhte huye humse puchha ki, kyat um logon ko is baare me kuch pata hai. Juhi didi ki is baat ko sunkar, maine unse kaha, didi aap is baat ko kisi bataiyega mat.”
“Mai aapko batati hu ki, aapki bhaiya ke number par baat kyo nahi ho pa rahi hai. Asal me baat ye hai ki, Mumbai jaane ke pahle bhaiya ne apna mobile number badal liya tha.”
“Unne apna purana mobile number band karke naya mobile number le liya tha. Isliye aap bhaiya ke number par unse baat nahi kar pa rahi hai. Aapko bhaiya ka naya number koi nahi dega.”
“Kyoki papa aur geeta aunty ne sabko aisa karne se mana kiya hai. Meri ye baat sunkar juhi didi fir se fut fut kar rone lagi. Unhe fir se rota hua dekh kar, maine unhe fir se chup karate huye kaha.”
“Didi aap fir se rone lagi. Mai aapse kah rahi hu na ki, aap bhaiya se baat na ho pane ki jara bhi chinta mat kijiye. Aapki shadi ke pahle to, bhaiya yaha par wapas aa hi jayege.”
“Mai us samay unhe aapke baare me sab kuch sach sach bata dugi. Tab wo jarur aapki ye problem door karege. Aapki is problem me koi aapke sath ho na ho. Hum dono aapke sath hai.”
“Meri baat sunkar, juhi didi fir rone lagi. Un ne rote huye hume gale se laga liya. Juhi didi ko rote huye dekh kar, nimi ne dhire se mere kaan me kuch kaha aur fir juhi didi ko bahlate huye kaha, didi mai aapko lakar ek aisi chij khilati hu, jise khakar aap rona band kar degi aur mujh par khush ho jayegi.”
“Nimi ki baat sunkar, juhi didi aansu bhari aankhon se nimi ko dekhne lagi. Lekin nimi uth kar niche chali gayi. Kuch der bad wo niche se ek plate me cutlets lekar aa gayi aur unhe juhi didi ke samne rakh kar unse khan eke liye kahne lagi.”
“Abhi juhi didi is baare me nimi se kuch kahti, uske pahle hi maine juhi didi ko tokte huye kaha, didi aap ye cutlets bilkul bhi mat khana. Is lalattu ne apna manchurian chhupa liya hai aur aapko cutlets akele khila rahi hai.”
“Meri baat sunkar, nimi ne masum bante huye juhi didi se kaha ki, manchurian thoda sa bacha tha isliye maine use apne liye bacha liya tha. Yadi aapko Manchurian khana hai to, chalo hum dono sath hi kha lete hai.”
“Nimi ki ye baat sunkar, maine us par gussa kiya aur use jaldi se Manchurian lane ko kaha. Meri baat sunkar, nimi jakar manchurian le aayi. Nimi ke manchurian le aane ke bad, nimi ne cutlets aur manchurian juhi didi ke samne rakh diye.”
“Juhi didi ye khane se mana karne lagi lekin fir mere aur nimi ke manane par wo humare sath cutlets aur manchurian khane lagi. Hum teeno ye sab kha hi rahe the ki, keerti didi humare kamre me aa gayi.”
“Keerti didi ne aakar juhi didi se kaha ki, didi wo geeta aunty ka mausi ke pas call aaya hai aur wo puchh rahi hai ki, aap ghar kab tak wapas aaogi. Keerti didi ki baat sunkar, juhi didi ne usne kaha ki, wo mummy se kah de ki, mai abhi ami nimi ke sath hu aur sham tak ghar wapas aaugi.”
“Juhi didi ki baat sunkar, keerti didi chali gayi. Magar unhe shayad humara juhi didi ke sath is tarah se rahna pasand nahi aaya tha. Keerti didi ke jaane ke bad, juhi didi ne hume bataya ki, geeta aunty unki shadi hone tak ke liye unhe Durgapur unke mama ke ghar bhej rahi hai.”
“Ab wo Durgapur me hi rahegi. Apni shadi hone tak wo apne ghar wapas nahi aa payegi. Juhi didi ki ye baat sunkar hume bahut dukh hua. Magar in sab baton ke liye hum itne chhote the ki, juhi didi ke liye kuch kar hi nahi sakte the.”
“Juhi didi sham tak humare sath rahi aur fir sham ko hume ek baar fir yaad dilaya ki, aapke Mumbai se wapas aate hi hum jarur aapki baat unse karwaye. Iske bad wo hum dono ke sath niche aa gayi.”
“Niche mummy aur keerti didi thi. Juhi didi ne unse jaane ke baare me jataya aur fir hum sabke sath bahar aa gayi. Juhi didi apni car me baithne lagi to, hum unke car dekh kar chauk gaye.”
“Nimi ne juhi didi ki car dekh kar, unse puchha, didi ye nayi car kiski hai. Aapki wali car kaha hai. Ye sunkar juhi didi ne udas hote huye kaha ki, mummy ne ye car meri shadi ke liye kharidi hai. Ab yahi meri car hai.”
“Ye sunkar, maine chaukte huye juhi didi se kaha, didi aapki pahle wali car kaha hai. Ye sunkar, juhi didi ne kaha, meri wo car mere mama ke ladke ko bahut pasand aayi hai.”
“Mere liye mummy ne ye nayi car li to, mere mama ke ladke ko meri purani car bahut pasand aayi. Wo mummy se meri wo car mangne laga. Maine mummy se use wo car dene se mana kiya.”
“Magar mummy ne meri ek baat nahi maani aur meri wo car mere mama ke ladke ko de di. Ab wo car mera mama ka ladka apne sath apne ghar le jayega. Geeta aunty ki ye baat mujhe aur nimi ko jara bhi achi nahi lagi.”
“Maine geeta aunty ki is baat ki shikayar mummy se karte huye kaha ki, mummy aapne dekha, geeta aunty juhi didi ke sath kitna bura saluki kar rahi hai. Un ne juhi didi ki car bhi chheen li aur ab wo car kisi dusre ko de rahi hai.”
“Aap chup chap ye sab hote dekh kyo rahi hai. Aap geeta aunty ko aisa karne se rokti kyo nahi hai. Meri baat sunkar, mummy ne mujh par gussa karte huye kaha ki, tum log bekar me kuch bhi mat kahne laga karo. Jaisa tum kah rahi ho, aisa geeta ne kuch bhi nahi kiya hai.”
“Geeta ne juhi se koi car nahi chheeni hai. Balki usne juhi ko ye nayi car dilayi hai. Juhi bhala us purani car ko rakh kar kya karti, isliye geeta ne wo car apne bhai ke bête ko de di. Isme bura kya hai.”
“Mummy ko hum logon par gussa karte dekh kar juhi didi ne unse kaha ki, aunty aap ami nimi par gussa mat kijiye. Inme itni samajh nahi hai ki, ye is baat ko samajh sake. Fir juhi didi ne hume samjhate huye kaha ki, tum log chinta mat karo, mere pas ye nayi car hai na, mai isi nayi car me tumhe ghumaugi.”
“Iske bad juhi didi hum sabko jata kar apni car me baith gayi aur fir unki car aage bad gayi. Juhi didi ki car ke humari aankhon se ojhal hote hi, hum sab ghar ke andar aa gaye.”
“Humare ghar ke andar aate hi, keerti didi ne hum dono par gussa karte huye kaha ki, tum dono apne kamre me juhi didi ke sath kya kar rahi thi. Mausa ji ne hum sabko mana kiya hai na ki, juhi didi ki kisi baat me nahi aana hai.”
“Abhi keerti didi is se jyada humse kuch kah pati ki, mummy ne unhe samjhate huye kaha ki, tu bekar me in par gussa kar rahi hai. Juhi jab bhi yaha aati hai, ghanton inke kamre me inke sath khelti rahti hai. Isme inka koi kasur nahi hai. Ye juhi ki aadat hai.”
“Iske bad fir keerti didi ne hume kuch nahi kaha aur us din ye baat yahi par khatam ho gayi. Magar agle din geeta aunty ghar aayi aur kal juhi didi ke humare ghar aane ki baat ke baare me pata karne lagi.”
“Is par mummy ne un par gussa karte huye kaha ki, kal juhi humare ghar jarur aayi thi. Par maine us se saaf kah diya hai ki, use apni mummy ki pasand ke ladke se shadi kar leni chahiye.”
“Uski mummy ne uske liye jo bhi faisla kiya hai, bilkul sahi kiya hai. Hum me se kisi ne bhi uski kisi baat par dhyan nahi diya hai. Iske bad bhi tumhe lagta hai ki, kal yaha juhi ki koi madad ki gayi hai.”
“Mummy ko is tarah se gussa karte dekh kar geeta aunty ne unhe samjhate huye kaha ki, jaisa wo soch rahi hai aisa kuch bhi nahi hai. Mujhe bas ye laga ki, kal juhi yaha aayi thi, wo yaha koi baat khadi karke na gayi ho.”
“Waise bhi aaj mai use uske mama ke ghar durgapur bhej de rahi hu. Juhi ke mama mami use jara bhi pasand nahi karte hai. Na hi uske mama mami ke ladke, ladki use pasand karte hai.”
“Isliye mujhe yahi sahi laga ki, juhi ko uski shadi tak uske mama mami ke ghar par hi rakha jaye. Tab hi wo sahi rahegi. Geeta aunty ko juhi didi ke sath itna bura saluk karte dekh kar hume bahut bura lag raha tha.”
“Lekin unse na to, mummy ne kuch kaha aur na hi keerti didi ne hi in sab baton ka koi virodh kiya to, hum dono ne bhi geeta aunty ke samne chup rahna hi thik samjha. Fir geeta aunty apni jaruri baten mummy se karke wapas chali gayi.”
“Us din ke bad se juhi didi apne mama ke ghar par hi hai aur wahi se unki shadi bhi ho rahi hai. Us din se unhe apne ghar wapas hi nahi aane diya gaya hai.” Apni itni baat kah kar ami chup ho gayi.
Mai bade gaur se ami ki ye sab baten sun raha tha aur ami ki ye sab baten sun kar mujhe juhi didi ke dukh ka aehsas bhi ho raha tha. Ye sab baten soch kar maine ami se kaha.
Mai bola “betu, ye badi jaruri baten thi. Ye sab baten tune mujhe pahle kyo nahi batayi.”
Meri baat sunkar, ami ne apni safayi dete huye kaha.
Ami boli “bhaiya, mai bhi janti hu ki, ye sab baten bahut jaruri baten thi aur mujhe ye sab baten aapko pahle hi bata dena thi. Lekin aap dekh to, rahe the ki, uncle ke sath Mumbai se aane ke bad, aap fir Mumbai me hi fas gaye the.”
“Usi samay chanda mausi wala hadsa bhi ho gaya. Inhi sab baton ki vajah se mai ye baat aapko pahle nahi bata payi. Lekin mujhe jaise hi aap se apni baat kahne ka sahi mauka mila, maine apni baat aapko kah di.”
Ami ki baat bahut had tak sahi hi thi. Use apni baat mujhse kahne ka sahi mauka hi nahi mil paya tha aur jab use apni baat kahne ka mauka mila to, usne apni saari baat mere samne lakar rakh di thi.
Magar ab mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai aisa kya karu, jis se juhi didi ki shadi toot jaye. Mujhe is tarah soch me khoya dekh kar ami ne mujhe tokte huye kaha.
Ami boli “bhaiya, kam se kam aapko to juhi didi ke liye kuch karna chahiye. Wo sach me bahut dukhi hai aur unke sath koi bhi nahi hai.”
Ami ki baat sunkar, maine ami se kaha.
Mai bola “betu, mai juhi didi ke sath hu. Tu chinta mat kar, mai unke liye kuch karta hu. Magar pahle tu chup chap se niche ye dekh kar aa ki, keerti abhi wapas aayi hai ki, nahi aayi hai.”
Meri baat sunkar, ami uth kar niche chali gayi. Ami ke jaane ke bad maine nimi se kaha.
Mai bola “chhoti, tujhe kya lagta hai. Hume juhi didi ke liye kya karna chahiye.”
Meri baat sunkar nimi ne bade bholepan se kaha.
Nimi boli “bhaiya, hume juhi didi ki shadi tudwa dena chahiye aur juhi didi ki car bhi juhi didi ke pas aana chahiye.”
Nimi ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.
Mai bola “tu chinta mat kar, aisa hi hoga.”
Mai abhi nimi se ye baat bol hi raha tha ki, tabhi ami aa gayi. Usne meri ye baat suni to, mujh par gussa hote huye kaha.
Ami boli “aap log mere bina kaun si khas baat kar rahe the.”
Ami ki baat sunkar, maine use nimi se huyi baten batayi. Tab jakar wo shant huyi. Fir usne mujhe keerti ke baare me batate huye kaha.
Ami boli “bhaiya, abhi keerti didi ghar wapas nahi aayi hai. Niche mummy aur neha didi baithi baten kar rahi hai.”
Ami ki baat sunkar, mujhe thodi rahat mehsus huyi. Maine apna mobile nikala aur vaani didi ko call laga diya. Mujhe nahi malum tha ki, vaani didi mera call utha pati hai ya nahi utha pati hai.
Fir bhi mai ummid kar raha tha ki, vaani didi mera call uthaye aur meri unse juhi didi ke baare me baat ho jaye. Taki wo is samasya ka koi hal nikal sake. Mera call jate hi, vaani didi ne mera call utha liya aur call uthate huye kaha.
Vaani didi boli “haan bol, tune achanak mujhe call kyo kiya. Kya tujhe mujhse koi jaruri kaam hai.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “ji didi, mujhe aapse bahut hi jaruri baat karni hai.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “tu 5 min. ruk, mai free hokar tujhe call lagati hu.”
Mai bola “ji didi.”
Mera jabab sunkar, vaani didi ne call kaat diya. Vaani didi ke call kaat dene ke bad mai unka call aane ka intejar karne laga. Thodi hi der me vaani didi ka wapas call aane laga. Maine call uthaya to, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “dekh, mere pas tujhse baat karne ka jyada samay nahi hai. Isliye tu apni baat kam se kam samay me niptane ki koshish karna. Ab bata, tujhe mujhse achanak kya kaam pad gaya.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine unse kaha.
Mai bola “didi, wo mujhe aapse juhi didi ki shadi ke baare me baat karna hai. Mai chahta hu ki, juhi didi ki shadi toot jaye.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye kaha.
Vaani didi boli “mai samjhi nahi ki, tu kya kahna chahta hai.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine fir apni baat dohrate huye kaha.
Mai bola “didi, mai juhi didi ki shadi tudwana chahta hu. Mai chahta hu ki, jo ye juhi didi ki shadi ho rahi hai. Ye na ho.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne hanste huye kaha.
Vaani didi boli “kahi, juhi se shadi karne ka tera irada to, nahi ban gaya hai.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “nahi didi, aisa kuch bhi nahi hai. Bas juhi didi is shadi se khush nahi hai. Wo ye shadi karna nahi chahti hai aur bahut dukhi hai. Unke is dukh me koi bhi unke sath nahi aur koi unki madad nahi kar raha hai.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “kya ye tujhse juhi ne kaha hai.”
Vaani didi ki is baat ke jabab me maine unse kaha.
Mai bola “nahi didi, juhi didi se to meri na to 2 mahine se baat huyi hai aur na mai 2 mahine se unse mila hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “fir tujse ye kisne kah diya. Mujhe saaff saaf bata mamla kya hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, maine unhe ami se huyi saari baten bata di. Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “tum mere waha na hone ki jara bhi chinta mat karo. Ye mission mai tumhe pura karne ke liye de rahi hu. Tum apna ye mission khud pura karo.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine thoda pareshan hote huye kaha.
Mai bola “lekin didi, mai ye sab kaise kar pauga. Mujhe to isme kuch bhi malum nahi ki, mai isme kya kar sakta hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe malum hai na ki, tumhara mission juhi ki shadi tudwana aur juhi ki car wapas lana hai. Bas tum apna mission yaad rakho. Mai waha nahi hu, isliye ab ye mission tumhe khud pura karna hai. Mujhe ummid hai ki, tum ye sab bade aaram se pura kar loge.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “didi, aapki ye baat to thik hai. Lekin mai ye karuga kaise.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “tum saxena uncle ko jante ho na.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi, wo humare pados me rahte hai. Lekin mai unse kabhi mila nahi hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “to ab unse jakar milo. Unhe apna parichay do aur apna kaam batao. Wo tumhari is kaam me puri madad karege.”
Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “ji didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “kya tum juhi ki sasural walo ke baare me kuch jante ho.”
Mai bola “nahi, didi.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne puchha.
Vaani didi boli “unke baare me koi to janta hoga. Tumhe unki puri jankari hona chahiye. Tabhi to tum is baare me kuch kar sakoge.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, maine ami se is baare me puchha to, usne bataya ki anu mausi unke baare me janti hai. Ami ki baat sunkar, maine vaani didi se kaha.
Mai bola “didi, juhi didi ke sasural walon ke baare me anu mausi janti hai.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “good, pahle tum jakar anu mami se juhi ke sasural walon ke baare me puri jankari le lo. Fir jakar saxena uncle se mil kar unhe apna maksad batao. Tumhara kaam ban jayega.”
______________________________
Vaani ne Punnu ko Sara plan samjha dia h ki use kia Karna h or udhar Annu mausi ne bhi Badi aasani se Juhi susral or uske mama ka pata de diaKo To Rok Lo {Update - 0257}____________________________Vaani didi boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe malum hai na ki, tumhara mission juhi ki shadi tudwana aur juhi ki car wapas lana hai. Bas tum apna mission yaad rakho. Mai waha nahi hu, isliye ab ye mission tumhe khud pura karna hai. Mujhe ummid hai ki, tum ye sab bade aaram se pura kar loge.”Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “didi, aapki ye baat to thik hai. Lekin mai ye karuga kaise.”Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “tum saxena uncle ko jante ho na.”Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “ji didi, wo humare pados me rahte hai. Lekin mai unse kabhi mila nahi hu.”Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “to ab unse jakar milo. Unhe apna parichay do aur apna kaam batao. Wo tumhari is kaam me puri madad karege.”Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “ji didi.”Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “kya tum juhi ki sasural walo ke baare me kuch jante ho.”Mai bola “nahi, didi.”Meri baat sunkar, vaani didi ne puchha.Vaani didi boli “unke baare me koi to janta hoga. Tumhe unki puri jankari hona chahiye. Tabhi to tum is baare me kuch kar sakoge.”Vaani didi ki ye baat sunkar, maine ami se is baare me puchha to, usne bataya ki anu mausi unke baare me janti hai. Ami ki baat sunkar, maine vaani didi se kaha.Mai bola “didi, juhi didi ke sasural walon ke baare me anu mausi janti hai.”Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.Vaani didi boli “good, pahle tum jakar anu mami se juhi ke sasural walon ke baare me puri jankari le lo. Fir jakar saxena uncle se mil kar unhe apna maksad batao. Tumhara kaam ban jayega.”Vaani didi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “ji didi.”Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.Vaani didi boli “mai aniruddha, niranjan aur manik ko tum logon ke sath bhej deti hu. Ye teeno tum logon ke sath shadi me chale jayege. Shayad tumhe waha inki jarurat pad jaye. Isliye bina kisi sankoch ke inse kaam lena.”“Mehul ke pas aniruddha, niranjan aur manik ke mobile number mil jayege. Wo bhi mehul se le lena. Tumhe inki jarurat pad sakti hai. Tumhe jaha meri jarurat pade mujhe call karna. Mai tumhare sath hu.”Iske bad vaani didi ne kuch jaruri baten mujhe samjhai aur fir iske bad call rakh diya. Vaani didi ke call rakhne ke bad, maine ami nimi se kaha.Mai bola “mujhe juhi didi ke sasural walon ki jaankari ke liye abhi anu mausi ke pas jana padega. Tabhi mai saxena uncle ke pas baat karne ja sakuga.”Meri baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “ji bhaiya, aap jaldi se anu mausi ke pas jaiye. Taki saxena uncle se bhi aapki baat ho sake.”Mai bola “thik hai, chalo niche chalte hai. Tum log niche sambhalna. Tab tak mai anu mausi se mil kar aa jauga.”Meri baat sunkar ami nimi ne kaha thik hai aur fir wo mere sath niche aane ke liye uth kar khadi ho gayi. Hum teeno niche pahuche to, chhoti maa ne mujhse kaha.Chhoti maa boli “tumhari juhi ki shadi me jaane ki taiyari puri ho gayi.”Chhoti maa ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “ji chhoti maa.”Abhi mert aur chhoti maa ki ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi keerti aa gayi. Keerti ko dekh kar chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “tune ghar aane me bahut samay laga diya. Itni der shilpa ke ghar me kya karti rahi.”Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “wo shilpa ki chay piye bina aane nahi de rahi thi. Isliye waha chay peene aur shilpa ki maa se baat karne me thoda samay lag gaya.”Iske bad keerti ki thodi bahut isi baare me chhoti maa se baat hoti rahi. Fir usne chhoti maa se kaha.Keerti boli “mausi, mai apna bag lene ghar ja rahi hu.”Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne kaha.Chhoti maa boli “thik hai, lekin jaldi wapas aana. Yaha bhi nikalne ki taiyari karna hai. Richa didi bhi aati hi hogi.”Chhoti maa ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “aap fikar na kare. Mai jaldi se wapas aa jaugi.”Keerti ko ghar jaate dekh kar, neha ne chhoti maa se kaha.Neha boli “aunty, keerti apna bag lene ghar ja rahi hai. Kya mai bhi iske sath ja sakti hu.”Neha ki baat sunkar chhoti maa ne hanste huye kaha.Chhoti maa boli “haan, tum bhi iske sath ja sakti ho. Magar waha jyada samay mat lagana, hume yaha se jaldi nikalna hai.”Chhoti maa ki baat sunkar, neha ne kaha.Neha boli “aunty, hume jyada samay nahi lagega. Hum jaldi wapas aa jayege.”Ye kahte huye neha bhi keerti ke sath jaane ke liye taiyar ho gayi. Mujhe bhi keerti ke hi ghar jaana tha. Isliye keerti aur neha ko waha jate dekh kar, mujhe bhi unse kahna pad gaya. Maine keerti aur neha ko tokte huye kaha.Mai bola “mai bhi tum logon ke sath chalta hu. Mausi se bhi mil luga aur tum logon ke sath hi wapas aa jauga.”Meri baat sunkar, keerti khush ho gayi. Usne khushi khushi kaha.Keerti boli “haan, ye to bahut achi baat hai. Tum bhi humare sath chalo.”Lekin mujhe keerti logon ke sath jate dekh kar, chhoti maa ne mujhe tokte huye kaha.Chhoti maa boli “tu keerti logon ke sath waha jakar kya karega. Anu didi, richa didi khud yahi aane wali hai. Tu yahi par ami nimi ke sath rah.”Chhoti maa ki baat sunkar, neha hasne lagi. Wahi maine chhoti maa ke pas aakar, unka hath pakad kar unh emanate huye kaha.Mai bola “mujhe jaane do na chhoti maa. Mai thodi hi der me anu mausi se mil kar aa jauga.”Meri is baat me keerti ne bhi mera sath dete huye kaha.Keerti boli “mausi, punnu sahi kah raha hai. Hume wapas aane me jyada samay nahi lagega. Aap ise mere sath jaane dijiye. Hum jaldi hi wapas aa jayege.”Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne mujhe gaur se dekha aur fir hanste huye kaha.Chhoti maa boli “aaj kal tu ami nimi se bhi chhota banne laga. Thik hai tu, keerti logon ke sath ja sakta hai, lekin jaldi wapas aana.”Chhoti maa ki baat sunkar, ami nimi ke sath sath mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine khush hote huye kaha.Mai bola “thik hai, chhoti maa.”Ye kahte huye mai keerti aur neha ke sath bahar aa gaya. Keerti ne chhoti maa ki scooty utha li aur maine apni bike utha li. Neha keerti ke sath baith gayi aur fir hum keerti ke ghar ke liye nikal pade.Kuch hi der me hum keerti ke ghar pahuch gaye. Keerti ne scooty khadi ki aur fir neha ke sath ghar ke andar jaane ke liye mera intjar karne lagi. Mai bhi apni bike khadi karke keerti aur neha ke sath ghar ke andar aa gaya.Hum ghar ke andar pahuche to, ghar me is samay bua ji (vaani didi ki maa), dinesh mausa ji, anu mausi aur kamal baitha hua tha. Sab baithe aapas me baten kar rahe the. Hume aate dekh kar, bua ji ne kaha.Bua ji boli “are tum log yaha kyo aa gaye. Thodi der me hi to, hum log waha pahuchne wale the.”Bua ji ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “bua ji, mujhe apne shadi me jaane ki taiyari puri karna thi aur apna saman yaha se lena tha. Isliye hum log yaha aaye hai.”Keerti ki baat sunkar, bua ji muskurate huye kaha.Bua ji boli “chal thik hai, tu apni taiyari puri kar le. Hum sab ki to saari taiayri puri ho chuki hai.”Bua ji ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me jane ko huyi ki tabhi anu mausi ne keerti ko tokte huye kaha.Anu mausi boli “tu punnu ko apne sath lekar aayi hai to, kam se kam pahle uske khan eke liye kuch bana to de, fir apni taiyari puri kar lena.”Anu mausi ki baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “mummy aapki baat sahi hai. Lekin mausi ne hume jaldi wapas aane ko kaha hai. Yadi mai punnu ke liye kuch banana me lag gayi to, mujhe wapas jaane me der ho jayegi. Isliye punnu ke liye jo bhi banana hai, aap hi bana lijiye.”Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne kaha.Anu mausi boli “chal thik hai. Mai hi iske liye garma garam aalu ke parathe bana deti hu. Tu apni taiyari puri kar le.”Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti waha se jaane ko huyi thi ki, tabhi maine anu mausi ko tokte huye kaha.Mai bola “mausi aapko kisi baat ke liye pareshan hone ki jarurat nahi hai. Keerti ne aapko bataya nahi hai ki, abhi abhi hum sab log khana kha kar aa rahe hai. Aaj richa aunty ne mehul ke hath se mere liye tiffin bheja tha.”“Un ne mehul ke tiffin me aalu ke parathe bhi bheje the. Mai wahi sab khakar aaya hu. Isliye aap is baat ko lekar jara bhi pareshan mat hoiye. Mujhe sach me kuch nahi khana hai.”Meri baat sunkar, anu mausi ne khade hote huye kaha.Anu mausi boli “tu chup kar, tujhe hamesha mere hath se bana kuch khane me problem hoti hai. Mai teri ek baat nahi sunne wali hu. Mai abhi tere liye garma garam pahode bana kar lati hu.”Anu mausi ki ye baat sunkar, keerti ne kaha.Keerti boli “mummy aapko ise jo bhi khilana hai, jaldi se bana kar khila dijiye. Ise humare sath jaldi wapas jana hai.”Keerti ki baat sunkar, anu mausi ne muskurate huye kaha.Anu mausi boli “tu iski fikar mat kar, tu apni taiyari kar, tere taiyari hone ke pahle hi mere pakode ban kar taiyar ho jayege.”Anu mausi ki baat sunkar, keerti neha ke sath apne kamre me chali gayi. Uske jaane ke bad, anu mausi bhi kitchen me chali gayi. Anu mausi ke jaane ke bad, mausa ji ne mujhe baithne ko kaha to, mai bhi un logon ke sath baith gaya.Bua ji ne mera haal chal puchha. Mai unhe apna haal chaal bata hi raha tha ki, tabhi mausa ji ne mujhe bich me tokte huye kaha.Mausa ji bole “tumhari padai likhai ka kya chal raha hai. Suna hai ab tumne padai likhai me bilkul bhi dhyan dena band kar diya hai.”Mausa ji ki baat sunkar, maine chaukte huye kaha.Mai bola “meri padai likhai achi chal rahi hai. Mai kuch sabject me pichhad jarur gaya hu. Magar apne dost ke sath pad kar use milane ki koshish bhi kar raha hu.”Meri baat sunkar, mausa ji ne mujhe dantte huye kaha.Mausa ji bole “mujhse jhuth bolne ki koshish mat karo. Mujhe tumhare baare me sab pata hai, tumhe Mumbai aane jaane se fursat mile tab to tum apni padai par dhyan doge. Tumhara saara dhyan sirf Mumbai aane jaane par laga hua hai.”Mausa ji ki ye baat sunkar, mujhe jhatka sa laga. Kyoki mausi jib hale mujhe do char khari khoti baat suna le. Magar mausa ji kabhi mujhe koi galat baat nahi kahte the. Lekin aaj wo sidhe mujh par Mumbai aane jaane ka iljam diye ja rahe the.Unki ye baat jara bhi galat nahi thi ki, pichhle ek mahine se mujhe apni padai chhod kar baar baar Mumbai aana jana pad raha tha. Abhi ek baar fir mai Mumbai jaane wala tha.Lekin iska matlab ye nahi tha ki, mai bekar me Mumbai aa ja raha hu. Mumbai me mujhe kaam hi aisa pad ja raha tha ki, mera Mumbai jana jaruri ho gaya tha. Is baat ko mausa jib hi ache se jante the.Wo is baat ko bhi ache se jante the ki, is baar mai kisliye Mumbai ja raha hu. Unhe ye bhi achi tarah se pata tha ki, is baar vaani didi ne mujhe hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane ki ijajat di hai.Iske bad bhi mausa ji ka mujhe ye iljam dena mujhe acha nahi laga tha. Isliye unka ye iljam sunkar, maine unhe apni safayi dete huye kaha.Mai bola “mausa ji, aap mere baare me galat nahi kah rahe hai. Mujhe baar baar Mumbai me kaam pad raha hai. Isliye mujhe sach me apni padai chhod kar baar baar Mumbai jaana pad raha hai.”“Abhi bhi mai hetal didi ki surgery ke liye Mumbai jaane wala hu. Iske liye mujhe khud vaani didi ne ijajat di hai. Wo sab bahut ache log hai, isliye vaani didi chahti hai, hetal didi ki surgery ke samay par mai unke pas rahu.”`Lekin meri is baat ko sunkar, bhi mausa ji ke upar meri di gayi safayi ka koi asar nahi hua. Un ne mere upar dusra iljam dete huye kaha.Mausa ji bole “ye sab kuch mai nahi janta hu. Mai to bas itna janta hu ki, tum Mumbai ja jakar apni padai ka nuksan to kar hi rahe ho, sath hi apne sath ami nimi ko bhi Mumbai le jakar unki bhi padai ka nuksan karne me lage ho.”Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhe jhatka sa laga. Un ne ami nimi ke Mumbai jaane ka iljam bhi mujh par hi de diya. Jise chah kar bhi mai nakar nahi sakta tha. Kyoki ami nimi to meri vajah se hi Mumbai ja rahi thi.Yadi mai Mumbai nahi ja raha hota to, unhe bhi Mumbai jaane ka koi shauk nahi laga hota. Mausa ji ki is baat ko sunkar, mujhse kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai mausa ji ki in baton ka kya jabab du.Bua ji, bade gaur se meri aur mausa ji ki baat sun rahi thi. Kamal bhi wahi baitha humari baten sunne me laga hua tha. Usne dekha ki, mausa ji mere upar iljam par iljam diye ja rahe hai to, usne mausa ji ki sabhi baton ka jabab dete huye kaha.Kamal bola “papa, punnu bhaiya sabhi baten sahi kah rahe hai. Punnu bhaiya ke Mumbai jaane ki baat yahi par humare samne tay huyi thi. Vaani didi ne hi inhe Mumbai jaane ke liye kaha tha.”“Sath hi ami nimi ko bhi vaani didi ne humare samne hi Mumbai jaane ki ijajat di thi. Sath hi punnu bhaiya ye bhi jhuth nahi kah rahe hai ki, wo abhi tak huyi apni padai ka nuksan apne dost ke sath pad kar pura kar rahe hai.”Kamal ki baat sunkar, mausa ji use dekhne lage. Lekin uski aakhri ki baat sunkar, mai bhi chuke bina na rah saka. Wahi kamal ne apni baat puri karte huye mausa ji se kaha.Kamal bola “punnu bhaiya ki apne dost ke sath padai karne wali baat mujhe khud inke dost ne batayi thi.”Kamal ki ye baat sunkar mausa ji chaukte huye kaha.Mausa ji bole “punnu ka dost ye sab baten tujhe kyo batane laga.”Mausa ji ki baat sunkar, kamal ne unhe samjhate huye kaha.Kamal bola “baat aisi hai ki, ek din mai apne teacher ke kaam se school ke samay par school se bahar ghoom raha tha. Usi samay punnu bhaiya ke dost aslam bhaiya bhi kisi kaam se school ke bahar aaye.”“Unne mujhe apne doston ke sath school ke bahar ghumte dekha to, mujh par gussa karte huye kaha ki, aaj sham ko jab punnu mere pas padne aayega, tab mai use teri shikayat batauga ki, tu school ke samay par apne doston ke sath school ke bahar ghum raha tha.”“Unki baat sunkar, maine unhe bata diya ki, mai aur mere dost teacher ke kaam se school ke bahar aaye hai. Tab jakar unhe meri baat par viswas hua. Lekin unki baat se mujhe itna pata chal gaya ki, punnu bhaiya sham ko unke pas padne jate hai.”Kamal ki ye baten sunkar, bua ji ne bhi mausa ji ko samjhte huye kaha.Bua ji boli “mujhe lagta hai ki, kamal sahi kah raha hai. Kam se kam is samay tumhe punnu ke Mumbai jaane ka bura nahi manna chahiye. Kyoki ise vaani ne Mumbai jaane ka kaha hai.”“Tumhe kam se kam ek baar ise dekh lena chahiye ki, ye fir dobara koi bahana karke Mumbai jaane ki koshish to nahi kar raha hai. Tab tum ise khul kar bhala bura kah sakte ho.”Bua ji ki baat sunkar, mai unhe gaur se dekhne laga. Un ne meri tarafdari me saari baten kah di thi, lekin ek baat bhi mausa ji ke khilaf nahi kahi thi. Unki baat sunkar, mausa ji ne kaha.Mausa ji bole “chalo thik hai. Mai is baar is baat ka bura nahi manta hu.”Ye kahte huye mausa ji uth kar khade ho gaye aur fir bua ji ko jata kar apne kamre me chale gaye. Unke jaane ke bad bua ji, bhi keerti ke kamre me jaane ka bol kar, humare pas se uth kar chali gayi. Bua ji ke jaate hi, maine kamal se kaha.Mai bola “tu thoda yahi baith, mai anu mausi se ek jaruri baat karke aata hu.”Meri baat sunkar, kamal ne kaha.Kamal bola “thik hai, mai yahi tumhara intejar karta hu.”Kamal ki baat sunkar, mai kitchen me anu mausi ke pas aa gaya. Anu mausi garma garam pakode nikalne me lagi huyi thi. Un ne mujhe kitchen ke andar aate dekha to, hanste huye kaha.Anu mausi boli “are tu yaha kyo aa gaya. Tu aaram se wahi baith na. Mera pakode banana bas ho hi gaya.”Anu mausi ki baat sunkar, maine unse kaha.Mai bola “mausi, mai aapke pas ek bahut hi jaruri kaam se aaya hu. Mai janta hu ki, mera wo kaam bas aap hi pura kar sakti hai.”Meri baat sunkar, anu mausi pakode talte talte ruk gayi aur gaur se mujhe dekhne lagi. Un ne meri baat sunkar, mujhse puchha.Anu mausi boli “haan bol, tujhe mujhse kaun sa jaruri kaam hai.”Anu mausi ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “mausi, mujhe juhi didi ki sasural walon ke baare me jaankari chahiye hai. Mujhe pata hai ki, is baare me aap bahut kuch janti hogi.”Meri baat sunkar, anu mausi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne hanste huye kaha.Anu mausi boli “kahi tu, juhi ki shadi tudwane ke chakkar me to, ye sab jaankari hasil karna nahi chah raha hai.”Anu mausi ki baat sunkar, mujhse kuch kahte nahi bana. Lekin un ne khud hi meri is uljhan ko door karte huye kaha.Anu mausi boli “tu dar mat, mai abhi tujhe juhi ke sasural walon ke baare me jaankari deti hu.”Ye kahte huye, anu mausi ne pakode talna rok diye aur fir ek kagaj pen lekar us par juhi didi ke sasural walon ke baare me jaankari likhne lagi. Use likhne ke bad, un ne mujhse puchha.Anu mausi boli “kya tujhe juhi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”Anu mausi ki ye baat sunkar, mai khush ho gaya. Un ne to mere dono kaam aasan kar diye the. Anu mausi ki baat sunkar, maine fauran kaha.Mai bola “ji mausi, mujhe juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari chahiye hai.”Meri baat sunkar, mausi usi kagaj par juhi didi ke mama ke baare me bhi jaankari likhne lagi. Us kagaj par dono jaankari likhne ke bad, anu mausi ne wo kagaj meri taraf bada diya. Maine hanste huye wo kagaj apni jeb me rakh liya.______________________________