• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

    Votes: 173 59.5%
  • Rashmika

    Votes: 93 32.0%
  • Anu

    Votes: 37 12.7%
  • Kriti

    Votes: 56 19.2%
  • Krithi

    Votes: 37 12.7%
  • Rashi

    Votes: 37 12.7%
  • Anupama

    Votes: 32 11.0%
  • Sriya

    Votes: 34 11.7%
  • Shivangi

    Votes: 27 9.3%
  • Divya

    Votes: 22 7.6%
  • Shreya

    Votes: 26 8.9%
  • Nadhiya

    Votes: 26 8.9%
  • Ravina

    Votes: 82 28.2%
  • Nayanthara

    Votes: 29 10.0%
  • Anushka

    Votes: 25 8.6%
  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

    Votes: 26 8.9%
  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

    Votes: 17 5.8%
  • Ko

    Votes: 8 2.7%
  • Ii

    Votes: 8 2.7%

  • Total voters
    291

park

Well-Known Member
12,916
15,340
228
Update 164
Right Or Wrong

Previously ~ Arjun: Didi aap chinta na karo, yadi aapki justice ke liye hum sabko apna balidaan karna pade toh koi bhi pichhe nahi hatega.

Dhruv: Nivetha didi yadi Rohit bhaiya ki tarah mujhe apni jaan dene ka mauka milega toh main bhi apni jaan dene se pichhe nahi hatunga.

“Dhruv mere bhai, Nivetha ne Dhruv ko apne seene se laga liya.”

Priya: Nivetha didi aap chinta na karen, ab iss ladai mein kisi ki bhi jaan nahi jayegi. Ye hamari aur se last death count thi, ab dushman ki death ki bari hai. Ek, ek karke har gunehgar ko uske kiye ki saza milegi.

Now Next: >>>

[[Kriti Home]]

Samay raat ka 3 baj raha tha. Rohit, Rachit aur uski maa ko vida karne ke baad sabhi Kriti ke hi ghar par the, koi bhi apne ghar nahi gaya tha sirf Rohan wahan se gayab tha.

Sabhi ki kaan mein sirf ek hi baat gunz raha tha, jo Rohan ne kaha tha aur Kriti mam ke ghar se aadhi raat ko chala gaya tha phir bhi koi uske liye jyada pareshan nahi tha, kyunki sabhi ko Rohan par pura bharosa tha.

[[Jab tak main Rohit bhaiya ke katil ko saza nahi de deta hoon, tab tak main kisi ko apna chehra nahi dikhaunga. Koi bhi mujhe khojne ki koshish mat karna, kyunki koi bhi mujhe khoj nahi payega aur ha koi meri chinta mat karna main jahan bhi rahunga surakshit rahunga.]]

Arjun: Kalpana mom mujhe maaf kar dijiye. Rachit bhaiya ki tarah maine aapki suraksha ke baare mein bhi kuchh nahi socha. Mujhe samajh aa gaya hai ki The Ghost aur The Nightmare mujhe hurt karne ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Rachit bhaiya ke sath jo bhi hua hai uske liye sirf main jimmedar hoon.

Kalpana: Arjun beta ab jo ho gaya hai usko tum badal nahi sakte ho, tum meri suraksha ki chinta chhod do, kyunki wo dono mujhe nahi maarne wale hain. Wo dono mujhe zinda rakh kar saza dena chahte hain.

Arjun: Nahi mata wo dono kuchh bhi kar sakte hain. Mujhe peeda dene ke liye kisi bhi had* tak niche gir sakte hain aur kisi ki bhi jaan le sakte hain jo mujhse kisi bhi tarah se jude huye hain. Wo dono pal pal hum sab par nazar rakh rahe hain. Hum sabki har activity ko wo dono har samay observe kar rahe hain.

Kalpana: Sahi kaha tumne Arjun beta wo dono kuchh bhi kar sakte hain, tumhe peeda dene ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Phir bhi wo dono mujhe nahi maar sakte hain kyunki wo dono mere bhai hain.

((*Silence*!))

Sabhi ke face par shock ka expression tha, kisi ko bhi iss baat par bharosa nahi hua ki The Nightmare aur Kalpana dono sage bhai aur bahan hain, phir bhi sabka dil ye bol raha tha ki wo jo bol rahi hai wo sach bol rahi hain.

Arjun: Ye aap kya bol rahi ho mata? How is it possible?? Bhai haiwan aur bahan devi* ye kaise sambhav ho sakta hai, mata???

Kalpana: Main wahi bol rahi hoon Arjun beta jo sach hai, sach ko kahin bhi kisi awastha mein kaha jaye wo sach hi hota hai. Sach ko kisi praman ki jarurat nahi hoti hai, The Nightmare mera saga bhai hai jabki The Ghost mera cousin brother hai.

Arjun: Wo dono aisa kyun kar rahe hain mata??? Yadi kisi ki jaan lena tha toh meri mom aur Krithi didi ki mom ki jaan lena chahiye tha, Nivetha didi ki family ki jaan kyun liya dono ne????? Upendra ko meri mom aur Krithi didi ki mom ke karan peeda hua tha phir kisi dusre ki jaan kyun??

Kalpana: Kyunki wo direct uss par attack nahi karta hai jisne usko dard diya hai balki uske dost aur family par attack karte hain. Upendra aur Virendra ko dusro ko peeda mein dekh kar maza aata hai, isliye wo dono unn par attack karte hain jisse uske shatru pal pal jinda rah kar aansu *bahata() rahe.

Arjun: Phir unn dono ki aankhon se pal pal har pal aansu girte rahenge. Main unn dono ko itna dard dunga ki dono apni maut ki dua karenge, lekin dono ko maut nahi aayegi. Pal pal har pal dono ki body ko keede noch noch kar khate rahenge tab dono ko pata chalega ki peeda kya hoti hai. Abhi tak dono ne mere apno ko jitna dard diya hai, main dono ko interest sahit 1000 guna karke wapas karunga.

Arjun ki baat sun kar sabhi usko hairan bhari nazron se dekhne lage, par sabhi ke dil ko ye baat pata tha ki Arjun apno ke liye kuchh bhi kar sakta hai.

Priya: Bilkul aisa hi hoga Arjun, jaisa tum bol rahe ho. Main unn dono ki future ko dekh pa rahi hoon ki dono tumse baar baar apni maut ki bheekh maang rahe hain, lekin tum unn dono ko maut nahi de rahe ho.

Arjun: Mata kya aap mujhe aur kuchh bata sakti hain Upendra aur The Ghost ke baare mein???

Kalpana: Bilkul! Main tumhe dono ke baare mein ek short story bata rahi hoon jisse tumhe dono ke baare mein thoda aur idea ho jaye.

Arjun: Okay! Go ahead, we are all ears.

[[A Short Flashback
Kalpana point of view]]

Ek samay aisa bhi tha jab dono Upendra aur Virendra apni sabhi family members se bahut pyar karte the. Upendra mujhse chhota hone ke karan wo mera laadla bhai tha. Main usse jitna pyar karti thi wo bhi mujhse utna hi pyar karta tha.

Wah padhne mein bahut achha tha, usko sabhi subjects mein hamesha sabse jyada marks milte the, lekin Physics aur Chemistry mein uska lagav sabse jyada tha. Wah Physics aur Chemistry mein apna jyadatar time spend karta tha.

Upendra doston ke liye apni jaan de bhi sakta tha aur kisi ki jaan le bhi sakta tha.

Jogendra, Suryakant, Upendra aur Virendra ye charo jigri dost the. Charo(4) ek hi class mein hone ke karan charo(4) hamesha ek sath rahte the.

Usi tarah se mere pitaji aur tumhare nanaji mein bhi gahri dosti thi.

Tumhare nanaji aur mere pitaji ne dosti ko rishtedari mein badalne ke liye tumhari maa Raveena ki shaadi mere bhai Upendra se fix kar diya.

Kyunki tumhare nanaji ko lagta tha ki Raveena ke liye Upendra se achha ladka aur koi nahi ho sakta tha.

Upendra iss shaadi ke liye bahut khush tha kyunki wo mann hi mann tumhari maa Raveena se bahut jyada prem karta tha.

Upendra tumhari maa ki sundarta aur gun dono par mohit tha, usko ye feel hota tha ki Raveena se achha jeevan sathi usko koi nahi mil sakta hai.

Upendra ne mujhse kai baar kaha bhi tha ki wo apne bestfriend ki bahan ko kabhi bhi koi takleef nahi hone dega.

Wo Raveena se itna pyar karega ki Raveena apne bhai Jogendra aur apni bestfriend
Nayanthara ko bhul jayegi, wo kabhi Raveena ki aankhon mein aansu nahi aane dega.

Krithi ke pitaji Jogendra bhi iss shaadi ke liye bahut khush tha, kyunki wo janta tha ki Upendra bahut achha ladka hai wah uski laadli bahan Raveena ko bahut khush rakhega, kabhi koi dukh uske upar nahi aane dega.

Sab kuchh sahi chal raha tha, lekin shaadi ke din hi tumhari maa Raveena ghar chhod kar bhag gayi aur sab kuchh hamesha hamesha ke liye badal gaya.

Jogendra aur Suryakant dono ek taraf aur dusri taraf Upendra aur Virendra. Charo(4) dost jo hamesha ek sath rahte the uss din ke baad hamesha hamesha ke liye alag ho gaye.

Jab tumhare nanaji Narendra ne ye baat mere pitaji ko bataya toh Upendra aur Virendra dono uss samay wahan par maujood the.

Upendra ye baat sun kar aag babula ho gaya aur usi samay usne tumhare nanaji ke pet mein chhura ghop diya, ye bhi nahi socha ki iska anjaam kya hoga.

Jab mere pitaji ne mere bhai Upendra ko police ke hawale karna chaha toh Virendra ne Upendra ko bachane ke liye mere pitaji ke pet mein chhura ghop diya.

Pata nahi par kaise Upendra ko ye baat pata chal gaya ki Raveena ke bhagne mein Nayanthara ne help kiya hai, isliye usne Nayanthara ko dukh dene ke liye uski mayke ke sabhi logo ko zinda jala kar maar diya.

Uss din ke baad se hum mein se kisi ne dono ko aaj tak nahi dekha hai, aage ki story tumhe Krithi ki pita se janna hoga, kyunki aage ki story batana mere adhikar kshetra se bahar hai.

[[Flashback Ends]]

Arjun: Upendra ko aisa bilkul bhi nahi karna chahiye tha mata, yadi usko apni self respect ki itni hi jyada chinta thi toh usko Krithi ki mom aur meri mom ko saja dena chahiye tha, usko kisi nirdosh ko nahi maarna chahiye tha.

Kalpana: Usne dono ko hi saza diya hai Arjun beta, kyunki isi wajah se tumhari maa Raveena aur Krithi beti ki mom Nayanthara dono ek dusre se lagbhag 23 years se dur hain jo hamesha ek dusre ke sath rahna chahte the. Upendra dono ko ek dusre se dur rakh kar dono ko saja de raha hai. Isi wajah se Nayanthara aur Jogendra mein aapas mein jyada baat nahi hoti hai.

Arjun: Kya aapko pata hai meri mom kyun ghar chhod kar bhag gayi thi???

Kalpana: Ha mujhe pata hai Arjun beta, lekin main tumhe iska jawab nahi de sakti hoon. I am sorry for that.

Arjun: Why???

Kalpana: Kyunki iska jawab dene ka kaam tumhari mom ka hai, yadi tumhari mom ne ye sab tumse abhi tak chhupa kar rakha hai phir main tumhe ye baat kaise bata sakti hoon???

Arjun: It's okay! Ek baar pahle The Nightmare aur The Ghost ko dono ki kiye ki saja mil jaye phir mom ko iss baat ka jawab dena hoga.

Kalpana: Lekin dono ko saza dena itna easy nahi hoga, tum iss baat se anuman laga lo ki dono ne aaj tak kitne hi officers ko jaan se maar diya hai lekin koi bhi dono ka kuchh bhi nahi bigad saka hai.

Kalpana ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.

“Phir mere sasur ji Manikchand ke farmhouse par jo hidden archers the tum unko kaise bhul sakte ho??? Upendra ne kuchh aisi cheez bana liya hai jisse wo kisi ko bhi Invisible kar sakta hai aur kya pata usne aur kya kya bana rakha hai. Uski takat kitni hai ye koi bhi nahi janta hai, wo iss samay kahan hai ye bhi koi nahi janta hai.”

Arjun: Yeah, I know. Mujhe iss baat ka gyan hai. Mata ek last baat bataiye, nanaji ne mom aur Upendra dono ka shaadi fix karne se pahle meri mom se sahmati liya gaya tha ya nahi???

Kalpana: Nahi tumhari mom uss waqt sirf 17 years ki thi aur apni intermediate ki padhai Pearl City se kar rahi thi, jo tumhara ghar hai. Jab wo apni intermediate ki padhai complete karke wapas ghar aayi tab usko ye baat bataya gaya tha.

Arjun: Ye galat baat hai mata, mom se pahle puchha jaana chahiye tha ki unhe Upendra pasand hai ya nahi, uske baad hi shaadi fix kiya jaana chahiye tha. Isme nanaji aur aapke pitaji ki galti hai, magar iska ye bilkul bhi matlab nahi hai ki aapka bhai Upendra nirdosh hai, usne jo kiya wo sahi tha.

Kalpana: Tumhari mom apne bade bhaiya Jogendra aur apne pitaji Narendra ki sabhi baat manti thi, isliye dono ko laga ki Raveena ko ye rishta manjur hoga aur dono se yahi sabse badi bhul ho gayi.

images

Kajal: Kalpana ji har insaan ko apna jeevan sathi chunne ka adhikar hai aur Raveena didi se ye baat nahi puchha gaya ye galat baat hai.

Kalpana: Main iss baat se inkar bhi nahi kar sakti hoon, kyunki ye sach hai. Raveena ka ghar chhod kar bhagne ka apna reason hai.

Arjun: Okay! Hum iss baare mein baad mein baat karenge jab hamare samne aur koi naya cheez samne aayega.

Kalpana: Yahi sahi rahega Arjun beta ab iss topic ko yahin samapt karte hain.

Madhubala: Arjun beta Rohan kahan gaya hai, kya usne tumse kuchh bola hai??? Mujhe uski badi chinta ho rahi hai, wo akele iss tarah se aaj se pahle kabhi kahin bhi ghar se bahar nahi gaya hai.

Arjun: Nahi aunty usne mujhse kuchh bhi nahi kaha hai, lekin aap bilkul bhi chinta na karen Rohan ko kuchh nahi hoga. Rohan iss waqt jahan bhi hai surakshit hai aur jaldi hi hum sabke paas surakshit laut aayega jab wo apna promise pura kar lega.

images

Madhubala: Okay! I believe in you, Arjun beta. Par mujhe Rohan ke liye darr* lag raha hai. Kya Rohan fight mein Smith aur David dono ko hara payega???

Arjun: Aapka dil kya bol raha hai aunty??? Yadi aapka dil ye bol raha hai ki Rohan dono se fight nahi kar sakta hai toh wo jahan bhi hai wapas laut aayega.

Madhubala: Sorry Arjun beta, main thodi der ke liye sirf Rohan ke baare mein soch rahi thi jabki hum sab ek family hain. Ab mere mind mein Rohan ke liye koi chinta nahi hai. Mera dil keh raha hai ki Rohan apne bhai ki maut ka badla pura karke wapas hum sabke paas jarur aayega.

Arjun: Phir aap nischint rahiye aunty. Mujhe uss par pura bharosa hai ki wo apne kisi bhi dushman ko saja dene ka samarthya rakhta hai.

***

[[4 Hours Later]]

Aaj Sunday ka din tha aur surya aasman mein nikal aaya tha.

Kalpana: Ab aap sab hum dono ko wapas apne ghar jaane ki permission dijiye.

images-2

Shivangi: Ruk jaiye kuchh kha kar chale jaiyega, aap dono pahli baar iss ghar mein aaye hain.

Dhanush: Iski koi jarurat nahi hai Shivangi beti, hum phir se kabhi aayenge. Mere pita aur chacha ne tumhari family ke sath jo bhi kiya hai uske liye ek baar phir se sorry.

Shivangi: Koi baat nahi uncle, jisne wo kaam kiya unhe unki kiye ki saza mil chuki hai. Mujhe aapse aur aunty se koi shikayat nahi hai. Phir Arjun ne Kalpana aunty ko apna mata kaha hai jisse ek tarah se aap dono mere sasur aur saas ke saman hain.

Dhanush: Theek hai phir aap sab hum dono ko jaane ki permission dijiye, phir milenge.

Arjun: Theek hai uncle aap dono ja sakte hain, aap dono ko jab bhi mujhse ya kisi aur se milne ka mann kare aap dono kabhi bhi aa sakte hain.

Kalpana: Bilkul! All of you are our family.

Arjun: Mata jaane se pahle mujhe ek aur baat ka jawab de dijiye.

Kalpana: Theek hai puchh lo jo bhi sawal tumhare mann mein hai.

Arjun: Ye Suryakant kaun hai???

Kalpana: Tum usse ek baar mil chuke ho Arjun. Suryakant koi aur nahi balki RAW Chief hain jisse tum Copper City ke police station mein mil chuke ho.

Arjun: Oh! Matlab wo sirf chachu ka sath dene ke liye nahi aaye the unke sath.

Kalpana: Yup! You are right, wo tumhe ek baar paas se dekhna chahte the aur usko ek bahana mil gaya tha tumse milne ka. Usne aur Jogendra ne pal pal tum par apni najar banaye rakha hai.

Arjun: Okay! Ab aap ja sakti hain mata.

Kalpana aur Dhanush ke sabhi se vida lekar jaane ke baad sabhi log ek, ek karke apne apne ghar chale gaye.

Chunki aaj Sunday hai toh Arjun yahin Kriti mam ke ghar par ruk gaya.

***

[[Kriti Room]]

Kriti ke room mein Arjun, Shivangi aur Kriti teeno ek sath the.

Kriti: Love! Ye The Ghost aur The Nightmare ka kuchh jaldi hi solution nikalo. Pahle The Ghost ke karan Shivangi bhabhi ki Ooty ka honeymoon trip cancel karna pada aur ab usne Shivangi bhabhi ki birthday ko barbaad kar diya.

Arjun: Jaisi meri darling ki wish! Jaldi hi dono ko uske kiye ki saza jarur milegi.

Shivangi: Pichhli 2 baar se meri birthday ke din kisi na kisi ko dukh jarur hota hai, pahle Kriti ko aur ab hum sabhi ko.

Kriti: Aisa nahi kahte hain bhabhi, aapki birthday ki wajah se meri aankh mein aansu aaya hai ye sach hai, lekin aapki birthday ki wajah se hi mujhe Arjun mil paya hai ye usse bhi badi khushi hai mere liye. Yadi Arjun ka prem pane ke liye mujhe aag ki dariya se hokar jaana padega toh main wo kaam bhi kar lungi, phir kuchh din ki peeda mujhe takleef nahi de sakti hai, Isliye aap khod ko dosh dena band kijiye.

Arjun: Ha jaan Kriti mam sahi bol rahi hai, aapki birthday par hi hum sabko pata chala ki Rohit bhaiya ka soch kitna mahan tha jisne apne dost ko loss se bachane ke liye aur apni chhoti bahan ke liye khushi khushi apna balidaan kar diya. He will always be with us in our hearts.

Shivangi: Lekin Rachit aur uski mom ka kya??? Iske baare mein tum kya kahna chahte ho???

Arjun: Silence!

Kriti: Silence!

Shivangi ke iss sawal ka dono ke paas iss baar koi jawab nahi tha, isliye dono khamosh rah gaye.

Shivangi: Maine decide kar liya hai ki aaj ke baad main kabhi bhi apna birthday celebrate nahi karungi aur koi bhi mujhe force nahi karega.

Arjun: Koi baat nahi jaan, khushi celebrate karne ke liye birthday ki kya jarurat hai??? Yadi hum sab khush hain toh har din festival hai aur yadi hum dukhi hain phir kisi ki birthday bhi usko khushi nahi de sakta hai. Aap chinta na karen jis tarah se maine aapke liye Manikchand ko samapt kiya usi tarah se The Ghost aur The Nightmare ko bhi saja jarur milegi jisne aapka birthday barbaad kiya hai.

Shivangi: Theek hai main tumhare liye kuchh bana kar lati hoon, kal dopahar se tumne kuchh bhi nahi khaya hai.

Arjun: Nods!

images-1

Kriti: Bhabhi maine aur baki sabne bhi kal dopahar se kuchh nahi khaya hai.

Shivangi: Ha* ha* mujhe pata hai, main Leela ke sath sabke liye thoda sa kuchh bana deti hoon.

***
______

2 Days Later
Location Unknown ~

The Ghost and The Nightmare dono ek kamre mein the, dono ke samne har ek scene tha jo Arjun ki family ke sath *ghatit() hua tha.

Kriti ke ghar ka har scene The Invisible ne ek mini camera mein record kiya tha jabki David ne Mumbai Fighting Ring ka har scene mini camera mein record kiya tha.

Rohit ki har cheekh aur peeda dono ke dil ko sukun de rahi thi.

Dono Kriti ke ghar ka har scene dekh rahe the aur enjoy kar rahe the.

Arjun ki har family ki aankhon se nikal rahi aansu ki har ek boond dono ke dil ko sukun de rahi thi jisse dono ke face par ek kamini muskaan thi.

The Nightmare: Yahi! Yahi toh main dekhna chahta tha, ah mere dil ko kitna thandak mil rahi hai sabki aankhon mein aansu dekh kar.

The Ghost: Yes boss aapne jaisa kaha tha bilkul waisa hi hua, koi ek second ke liye bhi so nahi paya aur darr* ke karan kai dino tak unn sabhi ko theek se neend nahi aayegi.

The Nightmare: Abhi toh ye shuruaat hai, aage aage dekhte jao main unke sath kya kya karne wala hoon. Main unn sabki raat ki neend aur chain chhin lunga, sabhi ke chehre se smile gayab kar dunga.

The Ghost: Boss Rohan ne Smith aur David dono ko challenge kiya hai aaj se 7 days ke baad fighting ke liye.

The Nightmare: Ab Rohan khud Smith ke hathon marna chahta hai toh hum kya kar sakte hain??? Bechare ne josh josh mein fight ke liye challenge kar diya, usko pata bhi nahi hai ki usne kitni badi musibat ko apne upar nimantran diya hai. Chalo aaj main tumhe apne new research dikha deta hoon.

The Ghost: Sach boss.

The Nightmare(Smiles): Yes!

The Ghost: Theek hai phir chaliye.

[[Some Moments Later]]

The Nightmare and The Ghost dono ek laboratory ke andar the, jahan par ek new research chal raha tha, jahan par 100 se bhi jyada doctors ek sath kaam kar rahe the.

The Ghost: Ye kya hai boss??? Ye toh koi robot type ka lag raha hai. Kya iss baar aap koi robot bana rahe hain????

The Nightmare: Nope! Ye mera new research hai, iska naam maine *The Ajooba* rakha hai.

The Ghost: Boss iski kya khasiyat hai???

The Nightmare: Iski khasiyat ye hai ki isko maine sunlight ki energy se banaya hai, isko apni energy sun se milta rahega. Ye sirf meri order ko follow karega.

“Iske bahut sare features hain, The Nightmare ki baat ko aage continue karte huye ek doctor ne kaha.”

[[The Features of The Ajooba]]

1)) Chunki ye sun ki energy ka ek roop hai, isliye isko kisi bhi tarah se destroy nahi kiya ja sakta hai. Ye prithvi par maujood kisi bhi weapon se jyada khatarnak hai, iske paas apna koi sentiments nahi hoga. Isliye ye apne dushmano par koi bhi raham nahi karega.

2) Ab chunki ye dharti ke liye kisi ajooba se kam nahi hai, isliye The Nightmare sir ne iska naam *The Ajooba* rakha hai. The Ajooba matlab The Nightmare sir ka sabse bada weapon jo iss dharti ka sabse vinash kari weapon hone wala hai.

3) Sath hi chunki ye sunlight ki energy se bana hai, isliye iski speed sun ke speed ke equivalent hogi jo ki dharti par maujood kisi bhi weapon se bahut bahut jyada hai.

4) Ab iski speed chunki itna jyada hai toh ye dharti ke kisi bhi chhor tak pal bhar mein hi pahuch sakta hai aur apne dushman ko khatam kar sakta hai.

5) *The Ajooba* ke karan The Nightmare sir kisi bhi country ko jab chahe barbaad kar sakte hain ya phir usko apne ghutno par la sakte hain.

6) Ye hawa mein ud sakta hai, jameen par daud sakta hai aur pani mein swimming kar sakta hai, matlab ye apne dushman ko kahin par bhi maar sakta hai. The Nightmare sir ka koi bhi dushman isse bach nahi sakta hai.

The Ghost: Wow* boss aapka ye research sach mein kisi ajooba se kam nahi hai. Aapne iska naam The Ajooba bilkul sahi rakha hai. Lekin mere mann mein abhi bhi kuchh doubts hain.

The Nightmare: Puchh lo jo bhi tumhare mann mein doubts hain.

The Ghost: Boss isko raat mein energy kahan se prapt hogi???? Raat mein isko surya se energy nahi milegi phir raat mein ye apne dushmano ko kaise maar payega?

The Nightmare: Good question. Iske paas pahle se itna energy store hai ki yadi isko 1 year tak surya ka light nahi milta hai phir bhi isko energy ki jarurat nahi padegi, isliye mujhe iss project ko pura karne mein pura 4 years ka samay lag gaya hai.

The Nightmare ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.

“Aaj se 7 days ke baad mera ye research puri tarah se ready ho jayega aur duniya mein tabahi machane ke liye.”

The Ghost: Boss lekin aapne 40 days pahle kaha tha ki abhi isko pura hone mein 2 to 3 months lagega phir 50 days mein hi ye kaise ready ho jayega????

The Nightmare: Good question kyunki iss par 60 days ka kaam sirf 50 days mein pura kar liya jayega, iske liye yahan par kaam kar rahe har doctors ka bahut bada yogdan hai.

The Ghost: Matlab jis din Rohan aur Smith ki fight hogi usi din aapka ye *The Ajooba* puri tarah se ban kar ready ho jayega.

“Yes! The Nightmare ne apne face par smile laate huye jawab diya.”

The Ghost: Matlab aaj se 7 days ke baad hamare liye double khushi ka din hone wala hai. Ek aur jahan Rohan ki maut hogi wahin dusri aur yahan hamara ye *The Ajooba* ban kar ready ho jayega.

The Nightmare: Yes! Ab tum lab se bahar jao aur mujhe apna kaam karne do, jaldi hi mera ye research tumhari tarah sirf mere order ko follow karega.

The Ghost ne aage kuchh nahi kaha aur apne face par smile liye huye laboratory se bahar chala gaya.

***

Third person POV
A Small Flashback ~

The Ghost aaj apne dost The Nightmare ke liye bahut hi jyada khush tha, kyunki ek samay aisa bhi tha jab The Nightmare aur The Ghost ke paas kuchh bhi nahi tha.

Aaj The Nightmare ke paas sab kuchh hai sirf ek jeevan sathi nahi hai, jiske liye wo ye sab kar raha hai.

The Nightmare ne Raveena ko apni jeevan sangini maan liya tha, isliye aaj tak Upendra ne kisi ladki se shaadi nahi kiya aur na* hi The Ghost ne shaadi kiya.

The Ghost aur The Nightmare ne kai begunah ki jaan liya hai kintu kabhi kisi mahila ki izzat ke sath khilwad nahi kiya, yahi baat dono ko dusre villain se alag banati hai.

The Nightmare aur The Ghost ke jitne bhi sathi huye unn sabne bhi kisi bhi mahila ki izzat ke sath kabhi khilwad nahi kiya, kyunki
The Ghost ne sabko sakht order de rakha tha ki yadi koi kisi mahila ki izzat ke sath koi khilwad karega toh wah usko jaan se maar dega.

Jab Raveena shaadi ke din ghar chhod kar bhag gayi thi tab Upendra gusse se pagal ho utha aur kai logo ko jaan se maar kar Karnataka ke Silver City ko chhod kar
Tamilnadu chala aaya aur ek jungle mein rahne laga.

The Nightmare ne sabse pahle strength increase karne wali ek medicine aur ek injection dono ka nirmaan kiya.

The Nightmare ne sabse pahle wo medicine khud par test kiya uske baad hi usne wo medicine The Ghost par istemaal kiya. Jab wo puri tarah se sunishchit ho gaya ki medicine ka koi bhi side effects nahi hai.

Usne apni research ke liye khud ko hi ek test object banaya, na* ki kisi dusre ko test object banaya jisse yadi koi side effects ho toh usko ho na* ki uske dost Virendra ko.

Medicine and injection ki wajah se The Ghost dhire dhire underground fighting mein participate karne laga aur har match mein vijayi hota chala gaya jisse dono ke pass income generate hone lagi.

Dhire dhire dono har bure logo ka sathi aur achhe logo ka dushman bante chale gaye.

Jahan dhire dhire The Ghost pure underworld ka *betaaz() badshah ban gaya, wahin dusri aur The Nightmare apni research mein laga raha aur new-new research karta chala gaya.

Usne ek aisi watch banaya jiski help se koi bhi insaan invisible ho sakta hai.

Usi watch ki wajah se *The Invisible ko koi nahi dekh pata hai aur isi wajah se Manikchand ke farmhouse par jo ped par hidden archers the unko bhi koi nahi dekh pata tha jo KAAL ke hathon bechare buri tarah se maare gaye.

Baad mein The Nightmare ne ek electric field defence system banaya jiske karan koi bhi uski permission ke bina uske area mein andar nahi ja sakta hai.

Baad mein usne ek aisa invisible shield bana liya jiske andar yadi koi cheez ho toh wo bahar se dikhayi nahi deta hai sath hi koi aawaz bahar nahi aati hai, jabki andar se bahar ki sabhi cheez ko dekha ja sakta hai aur aawaz ko suna bhi ja sakta hai.

Iss tarah se usne abhi apne aas paas wo Invisible shield aur electric field defence system dono laga rakha hai jiski wajah se uske area mein jo koi bhi jata hai wo high voltage electricity ka shikar ho jata hai aur uss insaan ki instant dardnak maut ho jati hai.

Jungle mein itne logo ki maut ho chuki hai ki darr* ki wajah se ab koi bhi uss jungle mein nahi jata hai, sabhi uss jungle ko bhutiya aur shapit jungle samajhne lage hain.

Iske karan The Nightmare aur The Ghost ne Tamilnadu ke jungle ke andar apna ek bada Empire khada kar liya hai jahan dono ki permission ke bina ek parinda bhi par nahi maar sakta hai, jiski suraksha ke liye kisi guard ki jarurat nahi hai.

The Nightmare ki iss research ne usko na sirf puri duniya se abhi tak chhupa kar rakha hai balki usko duniya ka sabse ameer vyakti bana diya hai.

[[Flashback Ends]]

***
______

[[Amika Home]]

Anu aur Priya raat mein ek kamre mein so rahe the.

Anu: Priya mere paas kuchh doubts hain, kya tum meri doubts clear karogi???

Priya: Yahi na* ki kisi ne mujhse ye sawal kyun nahi kiya ki main future kaise dekh sakti hoon, am I right chhoti maa???

Anu: Yeah!

Priya: Kyunki ye baat sirf Arjun ko yaad hai baki ye baat maine sabhi ke subconscious mind mein daal diya hai jisse jab uchit samay aayega tabhi sabko ye baat yaad aayegi.

Anu: Ye The Nightmare toh bahut hi ajeeb research kar raha hai??? Yadi Upendra ne achhai ka rasta chuna hota toh aaj wo ek great scientist hota! Shayad uska ye research usko sabse mahan scientist ki list mein shamil kar deta.

Priya: Wo achhai ka rasta nahi chun sakta tha chhoti maa, kyunki usko Arjun ka dushman banna hi tha jisse Arjun jald se jald apni lakshay ko prapt kar sake. Ye sab jo ho raha hai aur jo aage hone wala hai wo Arjun ke lakshay purti ke liye ho raha hai.

Anu: Iska matlab kya hua main kuchh samjhi nahi??? Tum jara isko achhe se explain karogi???

Priya: Abhi tak jitne bhi log Arjun se jude hain, chahe wo dost ho ya phir dushman sabhi log Arjun ko apne paas dekhna chahte the isliye wo yahan Arjun ke liye dharti par aa gaye.

images-3

Anu: Iska matlab ye hua ki jo log bhi abhi tak maare gaye hain aur jo log aage marne wale hain wo sabhi PLUTONIUM PLANET ke log hain.

Priya: Aapne bilkul sahi samajha chhoti maa. The Nightmare and The Ghost ke paas bhi isliye itni jyada knowledge aur power hai jisse wo Arjun ko takkar de sake aur koi dharti ka insaan dono ko na maar sake.

Anu: Okay! Ab mere sabhi doubts clear ho gaye hain, thank you very much Priya.

Priya: Aapne jis tarah se Arjun ko sambhala hai wo kabil ye tarif hai, isliye aapko bhi bahut bahut dhanyawad chhoti maa.

Anu: It's okay ab so jao good night.

Priya: Good night chhoti maa.

***
______________________________________________________________________________________

That's all for this episode, the update comprises 5.1k words. I hope that you guys will enjoy the update. Ab aap log soch lo Raveena ne galat kiya hai ya phir Nayanthara ne ya phir Upendra ne.
Nice and superb update....
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
5,745
16,517
174
Nice and superb update....
Thanks a lot brother!!!!
Shandaar update bro
Happy I Like It GIF
Thank you brother!!!
 
  • Like
Reactions: parkas

Avner

Wanderer
161
76
28

Amazing update
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun

RAAZ

Well-Known Member
2,715
6,973
158
Update 161
We ain't killers ⁠

Previously ~ The Ghost: Okay boss! Lekin ek samasya hai kya Rohit fight karega, kyunki usne fighting chhod diya hai???

The Nightmare: Wo jarur fight karega, jab usko ye baat pata chalega ki Smith tumhara representative hai.

The Ghost: Okay! Main aapka ishara samajh gaya.

The Nightmare: Jis din Smith aur Rohit ki fight hogi usi din Rachit aur uski maa ki maut honi chahiye.

The Ghost: Okay! Iske liye main The Invisible ko bhej deta hoon.

The Nightmare: Attack 10 days ke interval par hota rahega.

The Ghost: Okay boss.

The Nightmare: You may leave now.

Now Next: >>>

[[Raveena Home]]

Raveena ke ghar par Raveena, Akhil, Nithya, Divya aur Seetha sabhi ek sath evening mein garden mein baithe huye the.

images-2

Raveena: Kya baat hai Akhil tum mujhe aise itni gaur se kyun dekh rahe ho???

Akhil: Bhabhi main uss maa ko dekh raha hoon jisne apne darpok bete ke liye kabhi dusra bachha karne ka plan nahi kiya aur aaj wahi darr* mein jeene wala ladka sabhi ki dukh ko dur kar raha hai.

“Arjun abhi bhi kisi ki dukh ko dur karne ka paryas kar raha hai aur mujhe apne Arjun par pura bharosa hai ki wo apne maksad mein jarur kaamyaab hoga.”

Raveena: Kisko dukh hai jo wo dur karne ka paryas kar raha hai?

Akhil: Jo bhi hai uska koi apna hi hai.

Raveena: Theek hai tumne bataya nahi hai ab tak ki tum yahan par kitne din tak ke liye ho??? Aaj yahan par tumhe lagbhag 13 days ho chuka hai.

Akhil: Main abhi kahin nahi jane wala hoon bhabhi maa. Mujhe ji bhar kar aapke hathon se bhojan karna hai. Main iss baar ek lambi chhutti ke liye ghar par hoon.

Raveena: Bilkul! Jab se tumne IPS join kiya hai kabhi bhi theek se mere paas lagatar 7 days tak nahi rahe ho, jaise Arjun mera beta hai waise hi tum mere liye beta ke saman ho.

Akhil: Bilkul bhabhi mujhe aapse hi ek maa ka pyar mila hai, maa ka chehra mujhe theek se yaad bhi nahi hai.

images-3

Seetha: Akhil beta kya hum dono ne tumhe maa ki tarah pyar nahi diya hai??? Kya hamare pyar mein koi kami hai??

Akhil: Sorry! Aap dono se bhi mujhe bhabhi maa jaisa hi pyar mila hai.

images-4

Nithya: Chachu mujhe bhi shooting sikha dijiye. Divya nani ko theek se target nahi dikhta hai, nani ab buddhi ho rahi hai, hahaha 😂😂😂.

Akhil: Achhi baat hai bolo kab se seekhna hai????

Nithya: Aaj se hi sikha dijiye.

Akhil: Aaj se nahi ho sakta hai Nithya beti.

Nithya: Kyun?? Kya aaj shubh muhurt nahi hai kya???

Akhil: Kyunki abhi mere paas gun nahi hai jisse hum practice kar sake, kal main tumhare liye gun ki vyavastha karta hoon. Main abhi apne dost ko bol deta hoon wo tumhari practice ke liye gun lekar aa jayega.

Nithya: Thank you! Arjun sach bolta hai aap duniya ke sabse best chachu ho.

Akhil: Tum Arjun ke chakkar mein mat pad jana.

Nithya: Kyun apne hone wale pati ki baat nahi sunna chahiye??

Akhil: Shayad tumhe pata nahi hai, ek din wo tumhari mom se kahega aap duniya ki sabse best sasu maa ho aur agle hi din Kriti ki mom ko bolega wo duniya ki sabse best sasu maa hai.

images-1

Divya: Theek usi tarah se jaise Arjun mujhe duniya ki sabse best nani maa bolta hai aur jab wo Nadhiya ji ke sath hota hai tab usko sabse best nani maa bolta hai.

Seetha: Aur jab mere paas hota hai tab mujhe sabse best nani maa bolta hai.

Raveena: Aur jab mere paas hota hai tab mujhe bolta hai main duniya ki sabse best mom hoon aur jab wo Kajal aur Rashmika ke sath hota hai tab unn dono ko sabse best mom bolta hai.

Akhil: Samajh aaya tumhe kuchh Nithya beti???

Nithya: Ha yahi ki Arjun bahut jhutha hai.

Akhil: Bilkul nahi, kyunki wo jis samay jiske paas hota hai uss par hi apna sara pyar nyochhawar kar deta hai.

Nithya: Samajh gayi main.

Raveena: Kya samajh gayi Nithya beti???

Nithya: Yahi ki Arjun sabhi ko itna pyar deta hai ki koi uske prem jaal se bach nahi pata hai.

Raveena: Jaise usne tumhe apne prem jaal mein phasa liya hai, hahaha 😂😂😂.

Nithya: Mujhe aaj tak yahi lagta tha ki maine usko apne prem jaal mein phasaya hai, lekin ab mujhe samajh aa raha hai main khud hi uske prem jaal mein phas gayi hoon.

Seetha: Bilkul theek, jaise usne hum sabko apne bholepan aur mitthi mitthi baaton se phasa liya hai.

Divya: Theek hai ab ghar ke andar chalte hain.

______

[[The United States of America]]

Lily apne kamre mein ek chair par baith kar John ki yaadon mein itna khoyi huyi thi ki usko apne kamre mein John ke enter hone ka pata hi nahi chala.

John ne apne dono hathon se Lily ka aankh band kar diya, jaise hi Lily ko touch ka feel hua usko samajh aa gaya ki ye koi aur nahi balki uska premi John hai.

Lily ki aankhon se khushi ke maare ek baar phir se aansu nikal pada.

John ka hath hatne ke baad Lily ne apni gardan ko tedha kar pichhe ki aur dekha, kisi tarah usne apni emotions par control kar kaha.

Lily: John tum yahan kaise aa gaye??

John: Sorry baby main kuchh der ke liye apne raste se bhatak gaya tha. Kisi ne mujhe apni bhul ka ehsaas kara diya, tumne theek kaha tha ki Arjun begunah hai.

John ne Lily ko apne aur KAAL ki conversation ko explain kiya.

images-8

Lily: Mujhe khushi hai ki tum kisi begunah ki jaan lene se bach gaye. God ne meri pukaar sun liya aur tumhe surakshit mere paas wapas bhej diya.

John: Ye sab tumhare pyar ke karan sambhav hua hai. KAAL ne mujhe tumhare prem ka ehsaas kara diya, isliye main god ka nahi balki KAAL ka shukriya ada karta hoon.

Lily: Yadi tum nahi aaye hote toh main Priya ke dad ko company ka ownership dekar khud ko samapt karne wali thi. Main tumhare bestfriend se kabhi shaadi nahi karne wali thi.

John: Itna pyar karti ho mujhse ki tum mere bina jeevan ki kalpana bhi nahi karti ho.

Lily: Apni jaan se bhi jyada, par inn sab chakkar mein tumne army chhod diya.

John: Koi baat nahi ab main hamesha tumhare sath rahunga. Ab tum mujhse koi complaint nahi karogi, isliye jo hua usko ek bura samay samajh kar bhul jao.

Lily: Kya tum Priya se mil kar aaye ho, wo bhi Karnataka ke Diamond City mein hai???

John: Nahi! Phir kabhi hum dono sath chalenge usse milne ke liye.

Lily: Hmmmm! Ab mujhe company jane do, jab se tum gaye the* tab se ek din bhi main company nahi gayi hoon. Bye! See you in the evening.

John: Bye Lily.

[((Tum dhanya ho KAAL, tum ek sath kai The Ghost ko maarne ki takat rakhte ho phir bhi tumne mere gusse aur badle ki bhavna ko shant karne ke liye tumne mujhe apna shish dena chuna. Ye sirf bharat ke log hi kar sakte hain.

Tumne sach kaha tha Lily, India is a beautiful and great country lekin isko sundar aur mahan banati hai wahan ke log. Main hamesha India ka aabhari rahunga jahan mujhe ye pata chala ki balidaan, prem aur tyag kya hota hai. Jahan har gunehgar ko saja di jati hai aur har nirdosh ko maafi.))]

[Lily ke kamre se bahar jaane ke baad John apni purani yaadon mein chala gaya jiske karan wo yahan surakshit wapas aa paya tha.]

***

Tamilnadu,
Time - 10:47 pm
A Few Days Ago ~

John injection ka pahla dose lene ke 14 days baad Rohit se fight ke liye apna naam register karwane ke liye Tamilnadu se Mumbai jaane ke liye railway station ki aur ja raha tha jab uske pichhe se usko ek aawaz sunayi diya.

Ruko John! Mujhe tumse kuchh jaruri baat karni hai.

John ne apne pichhe palat kar dekha usko apne samne ek BLACK SHADOW dikhayi diya, jiske back par 2 sword latak rahi thi.

John ko aisa laga jaise koi sher uske samne aakar khada ho gaya hai, raat ke andhere mein bhi John apne samne wali shadow ke face par glow ko dekh pa raha tha.

John: Who are you?? How do you know my name?? We haven't met before.

“Mera naam KAAL hai, mujhe tumse kuchh important baat karni hai.”

John: Theek hai boliye, kya bolna hai aapko???

KAAL: You are a soldier, am I right??

John: Yeah!

KAAL: Kya ek soldier kabhi ek begunah ki jaan leta hai???

John: No! Never.

KAAL: Phir kyun tum Rohit aur Rohan ko maarna chahte ho???

John: Kyunki Arjun dono ka bhai hai aur Arjun ne mere bhai Williams ko jaan se maara hai. Bhai ki maut ka badla bhai se liya jayega.

KAAL: Kya kisi gunehgar ko saja dena koi gunah hai???

John: Nope!

KAAL: Phir kyun tum Arjun ko saja dena chahte ho uss vyakti ke kahne par jo pure world ka dushman hai. The Ghost pure underworld ka betaaz badshah hai, wo puri duniya ka muzrim hai phir kyun tum uske kahne par Arjun ko peeda dena chahte ho jisne koi gunah hi nahi kiya hai??

KAAL ne apni baat continue rakhte huye aage kaha.

“Ye tum bhi jante ho ki tumhare bhai Williams ne galat tarike se kitne hi logo ka jaan liya hai aur Ranjan ko bhi usne galat tarike se maara tha. Kya Arjun ka tumhare bhai Williams ko saza dena gunah hai???”

KAAL ki baaton se John ka sar niche jhuk gaya.

KAAL: Shayad tumhe ye baat pata nahi hai, The Ghost ka bhi ek boss hai jiska naam hai The Nightmare usne Arjun ki bahan ki puri family ko jinda jala kar maar diya hai.

KAAL ne apni baat aage continue rakhte huye kaha.

“Kya tum aise vyakti ka sath dena chahoge??? The Ghost sirf tumhara use kar raha hai apne fayde ke liye. You are just a puppet for him, isse jyada kuchh nahi.”

John iss baar bhi kuchh nahi bol paya.

KAAL: Yadi tum Arjun ko dukh dena chahte ho toh ye lo meri talwar aur abhi mere sar ko dhad se alag kar do, sirf itna hi nahi tum Arjun ke sabhi family members ki jaan le lo, main tumse promise karta hoon Arjun ke har ek parivar ka sadasya tumhe kuchh bhi nahi kahega.

KAAL ne apni baat aage continue rakhte huye kaha.

“Arjun ka pura parivar usse bahut pyar karta hai aur Arjun sabhi se. Tumhe pata hai jab Arjun ko ye baat pata chali thi ki Williams ne dhokhe se uske bhai Ranjan ko maara hai toh wo kai dino tak na theek se so paya tha, na hi theek se padh pa raha tha aur na hi wo theek se khana kha pa raha tha.”

“Pata hai uski ek ladki se shadi ho chuki hai aur aage 2 ladki se hone wali hai, tum iss baat se anuman laga lo ki sabhi usse kitna pyar karte honge. Unn teeno ka kya hoga, tumne bhi kisi se pyar kiya hoga, yadi tumhe kuchh ho gaya toh kya wah khush rah payegi??? Ek baar apne pyar ke baare mein soch kar dekho.”

John iss baar bhi kuchh nahi bol paya.

KAAL: Arjun ne The Ghost ke pure empire ko samapt karne ka pratigya liya hai, kya aise ladke ko dukh dena sahi hoga wo bhi uske liye jo sirf maut deserve karta tha????

“Yadi Arjun *The Ghost* ke pure empire ko samapt kar deta hai toh ye tumhare desh ke liye bhi achha hoga, iss tarah se tum army se dur rah kar bhi apne soldier hone ka farz pura kar paoge. Ek saccha soldier wahi hota hai jo sabse pahle apni country ke baare mein sochta hai.”

“Bas kijiye main aur nahi sun sakta hoon aapki baat. Aapki baatein meri kaan aur seene mein kisi needle(sui) ki tarah chubh rahi hai.”

KAAL: Phir kya decision liya hai tumne???? Tumhe Arjun se badla chahiye ya phir wapas America jana hai??? Yadi tumhe Arjun se badla chahiye phir maine tumhe option diya hai, meri talwar tumhare hath mein hai mere sar ko dhad se alag kar do aur kar lo apna badla pura.

John: Mujhe apni bhul ka ehsaas ho gaya hai. Aapne theek kaha hai meri bhi ek girlfriend hai *LILY* jo mujhse bahut pyar karti hai. Lekin yadi main wapas chala gaya toh main kahin bhi chhup jaunga The Ghost mujhe khoj kar jaan se maar dega.

KAAL: Tum *The Ghost* ki chinta chhod do, kyunki jiske sath main hoon usko ek The Ghost kya, kai The Ghost mil kar bhi uska kuchh nahi kar sakte hain.

“The Ghost khud ko world ka betaaz badshah samajhne laga hai, kyunki The Ghost uss mendhak(frog) ki tarah hai jo kisi well(kuwen) mein rah kar ye samajhne lagta hai ki duniya sirf itni hi badi hai. Lekin jab wo uss well(kuwen) se bahar aata hai tab usko duniya ka vastvik aakaar ka gyan hota hai.”

John: Shukriya aapka jo aapne mujhe galat karne se rok diya.

KAAL: Shukriya karna hai toh apni girlfriend Lily* ka karna jo tumse bahut karti hai, isliye mujhe tumhare paas aana pada.

John: Kya aap mujhe Arjun ki koi help karne ki permission doge?? Main bhi Arjun ka iss fight mein sath dena chahta hoon aur main aap sabko The Ghost ka location bhi bata sakta hoon.

KAAL: Nahi John uski koi jarurat nahi hai, tum apna badla bhul kar wapas ja rahe ho yahi Arjun ki sabse badi help hai tumhari aur se.

John: Theek hai main chalta hoon, mujhe surakshit dekh kar meri girlfriend Lily bahut khush ho jayegi. Main uske face par smile dekhna chahta hoon, main abhi flight ki ticket book kar leta hoon.

KAAL: Uski koi jarurat nahi hai, ye lo tumhari flight ki ticket.

John: Matlab aapko pata tha ki main wapas jaane wala hoon???

KAAL: Ha mujhe pata tha ki ek soldier kuchh der ke liye apne raste se bhatak sakta hai par hamesha ke liye nahi, usko ek din apni bhul ka ehsaas ho hi jata hai jaise aaj tumhe ho raha hai.

John: Ek baar phir se aapka bahut bahut dhanyawad KAAL ji.

KAAL: Koi baat nahi ab tum jao, usse pahle meri talwar wapas kar do, mujhe iski bahut jarurat padne wali hai. Aur ha* jo tumne power increase karne wali dawa liya hai uska apne bhai ki tarah galat istemaal mat karna, warna phir se koi Arjun ban kar tumhe saza dene ke liye aayega, *smiles*.

John ne sirf apni sar hila kar ha* kaha aur wah KAAL ki talwar ko uske hath mein dekar aiport ki aur badh gaya.

John ke dil mein pichhle kai mahino se badle ki jo aag jal rahi thi wo ab shant ho chuka tha, wapas jate samay John ke face par ek smile aur bholapan tha jo uski girlfriend Lily ko pasand aata hai.

_____

[[Amika Home]]

Anu: Priya, KAAL ne John ko apna sar(head) dena kyun chuna jabki wo John ko easily maar sakta tha???

Priya: We ain't killers, chhoti maa. We are protectors, John sirf apne raste se bhatak gaya tha. Jahan pyar se kaam ho sakta hai wahan par fight ki kya jarurat hai??? Phir John ki girlfriend Lily hai jisne god se pray kiya ki Arjun aur John dono ki fight kabhi na* ho phir main uska bharosa kaise tutne de sakti thi???

images

Anu: Samajh gaya tum ab tak sirf isliye chup thi ki tum mujhe Lily aur John ki love story batana chahti thi.

Priya: Smiles! Ha chhoti maa aapne bilkul sahi samajha, John apne bhai Williams se bilkul alag hai, yadi Williams burai ka sathi tha toh John achhai ka rakshak hai. Phir Lily ko main vidhwa kaise hone de sakti thi jo bilkul meri mata Kalpana ki tarah hai.

Anu: Thank you tumhara Priya ki tumne mujhe John aur Lily ki prem katha dikhaya.

Priya: Koi baat nahi chhoti maa, aap teeno ki ek din mulakaat bhi hone wali hai.

Anu: Main itna toh samajh chuka hoon ki jisko Arjun aur **The Nightmare** ke yuddh mein nahi marna hoga, tum usko marne nahi dogi.

Priya: Aapne bilkul sahi samajha lekin Rohit bhaiya aur baki 2 log ko main bhi nahi bacha sakti hoon.

Anu: Lekin kyun???

Priya: Sabka yahan dharti par aane ka ek uddeshya hota hai wo pura hone ke baad usko dharti chhod kar jaana hi hota hai. Main kisi ki destiny ko change nahi karna chahti hoon.

Anu: Matlab hum sabke upar ek toofan aane ko hai.

Priya: Ha, isliye apni kaleja ko majbut kar lijiye.

Anu: Main sirf apne saviour ke liye pareshan hoon.

Priya: Usko bhi ye dard sahna hi hoga. Ye story aaj se bahut pahle Srinidhi didi ne bol diya tha aur unki dwara bola gaya koi bhi baat jhutha nahi ho sakta hai.

Anu: Samajh gayi meri toh abhi se hi halat kharab ho rahi hai.

Priya: Sorry! Isliye main aapko bahut cheezein nahi batati hoon jisse aapko kam peeda ho.

Anu: Kya tumhe peeda nahi hoti hai Priya???

Priya: Kyun nahi hogi chhoti maa, Arjun ko jitni peeda hoti hai utni hi peeda mujhe aur Srinidhi didi ko bhi hoti hai, sath hi sath Rashi aur Rohan ko bhi kyunki hum pancho(5) ek hi hain.

Anu: Tum mujhe ye kab batane wali ho ki Rohan aur Rashi tumse judi huyi hai???

Priya: Jab sahi samay aayega.

Anu: Theek hai ab so jao.

Priya: Good night chhoti maa.

______

[Mumbai
Fighting Ring]

Smith *The Ghost* ki instructions par aaj Mumbai ke underground fighting ring mein tha.

Fight organiser: Who are you?? Kya chahte ho tum???

“I am Smith, the representative of The Ghost, main aaj se 9 days ke baad Rohit se fight karna chahta hoon, hum dono ki match fix karo.”

Dhiru Bhai(Fight organiser): Lekin Rohit ne bahut pahle se fighting chhod diya hai.

((Dhiru Bhai ne ye baat darte darte kaha.))

Smith: Tum Rohit tak ye message pahucha do, wo mujhse fight karega ya nahi tum uske upar chhod do. Yadi uss tak tumne mera message nahi pahuchaya toh phir tum ek ek fighter ko marte huye dekhoge isse tum kangali ki halat tak pahuch jaoge, tumhara biwi aur bacche kisi road par pade honge, choice is yours what you want to do.

Dhiru Bhai: Theek hai main uss tak aapka ye message pahucha dunga.

Smith: Theek hai phir main chalta hoon, aaj ke 9 days ke baad phir se mulakat hogi.

Smith ke jate hi Dhiru Bhai ke mathe se pasine ki boonde nikal aaya wah samajh chuka tha ki The Ghost ka aadmi Rohit se sirf normal fight nahi chahta hoga.

Wo situation ki seriousness ko samajh raha tha ki yadi usne ye fight fix nahi kiya toh jo bhi Rohit se jude huye hain sabhi ka bahut bura hone wala hai aur khud The Ghost uske aur uski family ke sath kya karega ye soch kar hi uska kaleja andar se pura kaanp gaya.

Finally usne bahut soch vichar karne ke baad Rohit tak ye information pass karna hi sahi samjha aur Rohit ko call laga diya.

______

Iron City
Anath Aashram
Time - 9:45 pm ~

Rohit sabhi ke sath bhojan karne baitha hua tha jab uska phone baj utha.

Rohit ne phone receive karna chaha par ashram ki Amma Roopa ne usse kaha ki wo bhojan samapt karne ke baad call receive kar le. Rohit ne bhi call par samne wala ka naam dekh kar mana nahi kiya.

5 baar lagatar ring hota raha lekin Rohit ne call receive nahi kiya.

*Beep*

Agle hi pal uske phone par message ki ghanti sunayi diya.

Rohit ne bhojan samapt karne ke baad message padha.

[Message]

((Ek aadmi hai jiska naam Smith hai, wo khud ko The Ghost ka aadmi bol raha hai, wah aaj se 9 days ke baad tumse ring mein fight karna chahta hai. Main tumse ye nahi kahunga ki tum ye fight karo, kyunki main janta hoon ki wo tumse sirf apni superiority prove karne ke liye fight nahi karna chahta hai. Yadi tum ye fight nahi karte ho toh main barbaad ho jaunga aur yadi tumne ye fight kiya toh shayad main tumhe zinda nahi dekh paunga.))

Rohit message padh kar pareshan hone ki bajaye uske face ki smile badh gayi.

images-5

Sara: Kya hua Rohit ji message mein aisa kya likha hai jo aap smile kar rahe hain???

Rohit: Aapko kuchh dino ke baad khud pata chal jayega Sara ji. Main aaj se 9 din ke baad Arjun se milne Diamond City jane wala hoon, mujhe Arjun aur Rohan se kuchh jaruri baat karni hai.

Sara: Theek hai phir mujhe bhi apne sath le chalo, kyunki uske agle hi din mera aur Shivangi ka birthday hai.

Rohit: Bilkul le chalunga aapko bhi, by the way aap bahut achha khana banati ho, aapke hath se bana bhojan kar mann aur aatma dono tript ho jati hai.

Sara: Thank you Rohit ji, aaj itne dino ke baad aapne mere bhojan ki taarif kiya hai.

Rohit: Good night Sara ji, hum subah mein milte hain.

Sara: Good night Rohit ji.

Rohit aur Sara dono ne aage kuchh nahi kaha aur dono apne apne kamre ki aur badh gaye.

[((Main tumhare paas aa raha hoon jaan, jaldi hi hum dono ki phir se mulakat hogi. Mujhe khushi hai ki mujhe apne chhote bhai ki ladai mein apna balidaan dene ka pahla mauka mil raha hai, Rohit ne apne mann mein kaha aur chain ki neend so gaya ye jante huye ki uske sath 9 days ke baad kya hone wala hai. Rohit ne apni destiny chun liya tha.))]

Sone se pahle usne Dhiru Bhai ko ek text message kar diya ki wo fight ke liye ready hai.

Dhiru Bhai jo kab se Rohit ke reply ka wait kar raha tha, Rohit ka message padh kar uski aankhon se swata 2 boond aansu tapak pada.

“Kyun tumne ye fight chuna dost, ho jaane dete mujhe barbaad kam se kam tumhari jaan toh bach jati??”

Lekin wo bhi janta tha ki ye possible nahi hai, kyunki uska fighting ring nahi toh koi dusra fighting ring, lekin ye fight hokar hi rahega aur yadi ye fight nahi hua toh The Ghost* Rohit se jude sabhi logo ko jaan se maar dega.

Aaj wo khud ko bahut hi bebas feel kar raha tha ki na* wo Ranjan ke liye kuchh kar paya tha aur na* hi Rohit ke liye kuchh kar pa raha hai.

Dhiru Bhai ne apne Fighting Ring mein kitne hi fighters ko niche se upar aur upar se niche aate huye dekha tha, lekin usko aaj tak koi bhi Ranjan aur Rohit jaisa fighter nahi mila tha.

Rohit aur Ranjan dono ne kabhi fighting mein kisi opponents fighter ki jaan nahi liya tha, phir chahe unke opponents ne unhe kitna hi ghav kyun na* diya ho.

Dhiru bhai ke liye Ranjan aur Rohit dono hi dost jaise the, isliye Dhiru Bhai ne dono ko kai baar apne ghar par dinner ke liye invite kiya tha.

Jaise jaise Dhiru Bhai Ranjan aur Rohit ke sath bitaye huye pal ko yaad kar raha uske dil mein hal pal peeda badhti hi ja rahi thi aur badhti hi ja rahi thi uski aankhon se aansu ki dhara.

Aaj wo feel kar raha tha ki ek mard hona kitna kathin hota hai ki apni peeda kisi se share bhi nahi kar sakta hai.

*Click*

Usne apni car ko start kiya aur apne ghar ki aur chal diya aur chhod diya usne apne aankhon se bahte huye aansu ki dhara, kyunki wo apni wife aur bachhon ko apni peeda nahi batana chahta tha.

______

Kajal Home
9 Days Later

Arjun aur Kajal dono college ja chuke the jab Rohit aur Sara dono ghar mein dakhil huye.

Rashmika: Bahut sahi samay par aaye ho tum dono, hum bhojan karne hi wale the. Kya baat hai Rohit aaj se pahle maine tumhare face par kabhi aisi smile nahi dekhi hai???

Rohit: Pahle khana khila dijiye mausi, aaj aap sabke hath se bana bhojan karne ko milega isliye maine abhi tak raste mein kuchh bhi nahi khaya hai.

Rashmika: Achha kiya tumne.

images-7

Shreya: Baith jaiye Rohit ji main sabke liye khana lekar aati hoon, aap bhi baith jaiye Sara didi.

“Ab batao kya baat hai, sabhi ke bhojan karne ke baad Rashmika ne Rohit se kaha??”

Rohit: Main aaj Mumbai jana chahta hoon aur apne sath Rohan ko bhi lekar jaana chahta hoon, kal raat tak wapas laut aaunga.

Rashmika: Lekin Rohit abhi situation kharab hai, pata nahi kab The Ghost ka attack hum par ho jayega??? Agar jaana bahut jaruri hai toh kal ke baad chale jaana kyunki kal Shivangi aur Sara ka birthday hai.

Rohit: Isliye main Arjun ko apne sath lekar nahi ja raha hoon mausi. Aap sab chinta mat kijiye main jaldi hi wapas laut kar aap sabke paas aa jaunga. Agar mera jaana jaruri nahi hota toh main jarur ruk jata.

Sara: Chhod dijiye mausi koi fayda nahi hai. Maine Rohit ji ko bahut baar kaha hai lekin Rohit ji ne mujhe har baar taal diya ye bol kar ki jab wo ghar wapas aayenge tab hum sabko Rohit ji par bahut hi garv hoga.

images-6

Rashmika: Theek hai lekin jab sab theek ho jayega tab mujhe bhi kabhi apne sath Mumbai lekar chalna, main kabhi bhi Mumbai ghumne nahi gayi hoon. Arjun aur Rohan dono ek baar tumhare sath ja chuke hain.

Rohit: Theek hai agli baar aap sabko apne sath le chalunga. Abhi aap Arjun ko ek text message kar dijiye ki wo apne sath Rohan ko lekar aayega.

Rashmika: Theek hai Rohit main Arjun tak tumhara ye message deliver kar deti hoon.

***

[[Time 2:20 pm]]

Arjun, Kajal aur Rohan jaise hi gate se andar dakhil huye unhe Sonu se information mil gaya ki Rohit aur Sara ghar par aaye huye hain.

Rohan aur Arjun jaise hi ghar ke andar dakhil huye Rohit dono ko apne gale lagane ke liye apni bahon ko khol kar khada tha.

Arjun aur Rohan dono Rohit ke gale se ja lage.

Arjun: Kya baat hai Rohit bhaiya aaj aap bahut khush nazar aa rahe hain??? Aapne dusri shaadi karne ka plan bana liya hai kya???

Rohan: Ha bhaiya ye aapne bahut galat kiya hai, aap apni dulhan hume khojne ka mauka dete.

Rohit: Nahi chhote bhai main tumhari bhabhi se itna pyar karta hoon ki kabhi kabhi mann karta hai ki uske paas chala jaun, lekin chinta mat karo agle janam mein tum dono ko ye mauka jarur prapt hoga.

Arjun: Aisi baat mat kijiye bhaiya aap sabke sath hone se mujhe himmat milti hai???

Rohit: Main hamesha tumhare dil mein rahta hoon. Arjun, kya main tumhare dil mein nahi rahta hoon???

Arjun: Bilkul! Mere dil mein aapke liye utna hi respect aur pyar hai jitna ki Ranjan bhaiya aur Rachit bhaiya ke liye hai.

Rohan: Lekin baat kya hai Rohit bhaiya ki aaj aapko hum dono par kuchh adhik hi pyar aa raha hai???

Rohit: Kyunki aaj aur abhi main tumhe apne sath Mumbai lekar jana chahta hoon, jisse tum dono mujhe maaf kar sako ki main Sara ji aur Shivangi ji ki birthday par nahi rah paunga.

Arjun: Jaana jaruri hai parso chale jate dono ke birthday ke agle din???

Rohit: Yadi jaana jaruri nahi hota toh main apne chhote bhai ko kabhi mana kar sakta hoon kya?? Aur phir tum mere ghar aane ka intezaar karna, maine aaj tak tumhare liye koi bada kaam nahi kiya hai, jab main ghar wapas aaunga tab tumhe mujhe par itna garv hoga ki tum mere surprise ko apne jeevan bhar kabhi nahi bhul paoge.

Arjun: Yadi aisi baat hai toh aap jarur jaiye, main aapka surprise dekhna chahta hoon. Shivangi ji aur Sara ji ka birthday hal saal aata rahega.

Rohit: Bilkul mere chhote bhai ab tum dono jara muskura do, tum dono ka murjhaya hua chehra mujhe bilkul bhi achha nahi lagta hai.

Arjun: Smiles!

Rohan: Smiles!

Rohit: Ab mujhe jaane ki permission do aur apni car de do. Main Rohan ke ghar ki aur se hi Mumbai ke liye nikal jaunga. Ye meri car ki key apne paas rakho aur Sara ji aur Shivangi ji ki birthday ki taiyari karo.

Arjun: Theek hai bhaiya.

Rohit ne Rashmika, Kajal, Nadhiya aur Madhuri sabhi ki paon bari bari se chhu kar ashirwad liya.

Arjun: Rohan bhaiya ki suraksha main tumhe de raha hoon, jis tarah se bhaiya ko lekar ja rahe ho usi tarah se wapas lana, aaj kal sabki suraksha ke liye mera dil bechain rahta hai. Maine ek bhai ko kho diya hai aur ab dusre bhai ko khone ki himmat nahi hai mujhme.

Rohan: Tum chinta mat karna Arjun, main bhaiya ko kisi bhi haal mein safe rakhunga. Main bhaiya ko kuchh nahi hone dunga. Rohit bhaiya ke upar koi bhi khatra aane se pahle uss khatra ko mujh se paar pana hoga.

Arjun: Ab jaldi jao jitne der aap dono yahan rahoge utna hi main aap dono se yahan rukne ki request karunga. Mujhe bhi shopping mall jaana hai kal ki birthday ki taiyari ke liye.

Rohan aur Rohit dono smile pass kar ghar se nikal gaye.

______

[[Location Unknown]]

The Ghost and The Nightmare ek kamre mein baat kar rahe the.

The Ghost: Boss aapne Rohit, Rachit aur Rachit ki mom ke liye kal ka date kyun chuna hai??? Kya main jo samajh raha hoon waisa hi aapne socha hai????

The Nightmare: Tum bilkul sahi samajh rahe ho, kal Arjun aur usse jude huye logo ki khushiyon ko main dukh ke sagar mein badal dunga.

The Ghost: Jab jab Shivangi aur Sara ka birthday ka din aayega, dono ko khushi nahi balki peeda hogi aur dono kabhi apni birthday mana nahi payenge.

The Nightmare: Nahi tumne thoda theek se nahi samjha hai, jab jab Jogendra aur Arjun se judi kisi ka bhi birthday aayega sabhi ko Rohit, Rachit aur Rachit ki mom ki yaad aayegi aur koi bhi apna birthday celebrate nahi kar payega jeevan bhar.

The Ghost: Wow* Boss! Sach hai aapka badla bada bhayankar hota hai jo ek vaar mein sabko maat de deti hai.

The Nightmare: Yahi hoga hamari aur se KAAL, Arjun aur Jogendra ko tohfa jo usne hamare ek fighter The Invincible ko maara hai.

***

______________________________________________________________________________________

That's all for this episode, the update comprises 5.2k words. I hope that you guys will enjoy the update. Bye bye till the next episode comes. Pichhle update mein John ki story ko nahi bata paya tha ki uska kya hua, wo maine iss update mein pura kar diya. Aasha karta hoon ki aap sabko Lily aur John ka as a guest character pasand aaya hoga.
Bohat khoobsurat update diya hai bahi aur sabse badi baat ki balidan ki jeet ki seedi hoti hai warna Mahabharat me itne badey logo ki jaan na jati. Lekin dekna hoga ki unka badla kab aur kitni jaldi pura hota hai in 3 logo ke balidan ko kaisay Arjun pura karta hai.
 
  • Love
Reactions: dhalchandarun

dhalchandarun

[Death is the most beautiful thing.]
5,745
16,517
174
Bohat khoobsurat update diya hai bahi
aur sabse badi baat ki balidan ki jeet ki seedi hoti hai warna Mahabharat me itne badey logo ki jaan na jati. Lekin dekna hoga ki unka badla kab aur kitni jaldi pura hota hai in 3 logo ke balidan ko kaisay Arjun pura karta hai.
Dhanyawad! Jaldi hi pura ho hone wala hai.
 
  • Like
Reactions: parkas

Sushil@10

Active Member
983
1,039
123
Update 164
Right Or Wrong

Previously ~ Arjun: Didi aap chinta na karo, yadi aapki justice ke liye hum sabko apna balidaan karna pade toh koi bhi pichhe nahi hatega.

Dhruv: Nivetha didi yadi Rohit bhaiya ki tarah mujhe apni jaan dene ka mauka milega toh main bhi apni jaan dene se pichhe nahi hatunga.

“Dhruv mere bhai, Nivetha ne Dhruv ko apne seene se laga liya.”

Priya: Nivetha didi aap chinta na karen, ab iss ladai mein kisi ki bhi jaan nahi jayegi. Ye hamari aur se last death count thi, ab dushman ki death ki bari hai. Ek, ek karke har gunehgar ko uske kiye ki saza milegi.

Now Next: >>>

[[Kriti Home]]

Samay raat ka 3 baj raha tha. Rohit, Rachit aur uski maa ko vida karne ke baad sabhi Kriti ke hi ghar par the, koi bhi apne ghar nahi gaya tha sirf Rohan wahan se gayab tha.

Sabhi ki kaan mein sirf ek hi baat gunz raha tha, jo Rohan ne kaha tha aur Kriti mam ke ghar se aadhi raat ko chala gaya tha phir bhi koi uske liye jyada pareshan nahi tha, kyunki sabhi ko Rohan par pura bharosa tha.

[[Jab tak main Rohit bhaiya ke katil ko saza nahi de deta hoon, tab tak main kisi ko apna chehra nahi dikhaunga. Koi bhi mujhe khojne ki koshish mat karna, kyunki koi bhi mujhe khoj nahi payega aur ha koi meri chinta mat karna main jahan bhi rahunga surakshit rahunga.]]

Arjun: Kalpana mom mujhe maaf kar dijiye. Rachit bhaiya ki tarah maine aapki suraksha ke baare mein bhi kuchh nahi socha. Mujhe samajh aa gaya hai ki The Ghost aur The Nightmare mujhe hurt karne ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Rachit bhaiya ke sath jo bhi hua hai uske liye sirf main jimmedar hoon.

Kalpana: Arjun beta ab jo ho gaya hai usko tum badal nahi sakte ho, tum meri suraksha ki chinta chhod do, kyunki wo dono mujhe nahi maarne wale hain. Wo dono mujhe zinda rakh kar saza dena chahte hain.

Arjun: Nahi mata wo dono kuchh bhi kar sakte hain. Mujhe peeda dene ke liye kisi bhi had* tak niche gir sakte hain aur kisi ki bhi jaan le sakte hain jo mujhse kisi bhi tarah se jude huye hain. Wo dono pal pal hum sab par nazar rakh rahe hain. Hum sabki har activity ko wo dono har samay observe kar rahe hain.

Kalpana: Sahi kaha tumne Arjun beta wo dono kuchh bhi kar sakte hain, tumhe peeda dene ke liye kisi ki bhi jaan le sakte hain. Phir bhi wo dono mujhe nahi maar sakte hain kyunki wo dono mere bhai hain.

((*Silence*!))

Sabhi ke face par shock ka expression tha, kisi ko bhi iss baat par bharosa nahi hua ki The Nightmare aur Kalpana dono sage bhai aur bahan hain, phir bhi sabka dil ye bol raha tha ki wo jo bol rahi hai wo sach bol rahi hain.

Arjun: Ye aap kya bol rahi ho mata? How is it possible?? Bhai haiwan aur bahan devi* ye kaise sambhav ho sakta hai, mata???

Kalpana: Main wahi bol rahi hoon Arjun beta jo sach hai, sach ko kahin bhi kisi awastha mein kaha jaye wo sach hi hota hai. Sach ko kisi praman ki jarurat nahi hoti hai, The Nightmare mera saga bhai hai jabki The Ghost mera cousin brother hai.

Arjun: Wo dono aisa kyun kar rahe hain mata??? Yadi kisi ki jaan lena tha toh meri mom aur Krithi didi ki mom ki jaan lena chahiye tha, Nivetha didi ki family ki jaan kyun liya dono ne????? Upendra ko meri mom aur Krithi didi ki mom ke karan peeda hua tha phir kisi dusre ki jaan kyun??

Kalpana: Kyunki wo direct uss par attack nahi karta hai jisne usko dard diya hai balki uske dost aur family par attack karte hain. Upendra aur Virendra ko dusro ko peeda mein dekh kar maza aata hai, isliye wo dono unn par attack karte hain jisse uske shatru pal pal jinda rah kar aansu *bahata() rahe.

Arjun: Phir unn dono ki aankhon se pal pal har pal aansu girte rahenge. Main unn dono ko itna dard dunga ki dono apni maut ki dua karenge, lekin dono ko maut nahi aayegi. Pal pal har pal dono ki body ko keede noch noch kar khate rahenge tab dono ko pata chalega ki peeda kya hoti hai. Abhi tak dono ne mere apno ko jitna dard diya hai, main dono ko interest sahit 1000 guna karke wapas karunga.

Arjun ki baat sun kar sabhi usko hairan bhari nazron se dekhne lage, par sabhi ke dil ko ye baat pata tha ki Arjun apno ke liye kuchh bhi kar sakta hai.

Priya: Bilkul aisa hi hoga Arjun, jaisa tum bol rahe ho. Main unn dono ki future ko dekh pa rahi hoon ki dono tumse baar baar apni maut ki bheekh maang rahe hain, lekin tum unn dono ko maut nahi de rahe ho.

Arjun: Mata kya aap mujhe aur kuchh bata sakti hain Upendra aur The Ghost ke baare mein???

Kalpana: Bilkul! Main tumhe dono ke baare mein ek short story bata rahi hoon jisse tumhe dono ke baare mein thoda aur idea ho jaye.

Arjun: Okay! Go ahead, we are all ears.

[[A Short Flashback
Kalpana point of view]]

Ek samay aisa bhi tha jab dono Upendra aur Virendra apni sabhi family members se bahut pyar karte the. Upendra mujhse chhota hone ke karan wo mera laadla bhai tha. Main usse jitna pyar karti thi wo bhi mujhse utna hi pyar karta tha.

Wah padhne mein bahut achha tha, usko sabhi subjects mein hamesha sabse jyada marks milte the, lekin Physics aur Chemistry mein uska lagav sabse jyada tha. Wah Physics aur Chemistry mein apna jyadatar time spend karta tha.

Upendra doston ke liye apni jaan de bhi sakta tha aur kisi ki jaan le bhi sakta tha.

Jogendra, Suryakant, Upendra aur Virendra ye charo jigri dost the. Charo(4) ek hi class mein hone ke karan charo(4) hamesha ek sath rahte the.

Usi tarah se mere pitaji aur tumhare nanaji mein bhi gahri dosti thi.

Tumhare nanaji aur mere pitaji ne dosti ko rishtedari mein badalne ke liye tumhari maa Raveena ki shaadi mere bhai Upendra se fix kar diya.

Kyunki tumhare nanaji ko lagta tha ki Raveena ke liye Upendra se achha ladka aur koi nahi ho sakta tha.

Upendra iss shaadi ke liye bahut khush tha kyunki wo mann hi mann tumhari maa Raveena se bahut jyada prem karta tha.

Upendra tumhari maa ki sundarta aur gun dono par mohit tha, usko ye feel hota tha ki Raveena se achha jeevan sathi usko koi nahi mil sakta hai.

Upendra ne mujhse kai baar kaha bhi tha ki wo apne bestfriend ki bahan ko kabhi bhi koi takleef nahi hone dega.

Wo Raveena se itna pyar karega ki Raveena apne bhai Jogendra aur apni bestfriend
Nayanthara ko bhul jayegi, wo kabhi Raveena ki aankhon mein aansu nahi aane dega.

Krithi ke pitaji Jogendra bhi iss shaadi ke liye bahut khush tha, kyunki wo janta tha ki Upendra bahut achha ladka hai wah uski laadli bahan Raveena ko bahut khush rakhega, kabhi koi dukh uske upar nahi aane dega.

Sab kuchh sahi chal raha tha, lekin shaadi ke din hi tumhari maa Raveena ghar chhod kar bhag gayi aur sab kuchh hamesha hamesha ke liye badal gaya.

Jogendra aur Suryakant dono ek taraf aur dusri taraf Upendra aur Virendra. Charo(4) dost jo hamesha ek sath rahte the uss din ke baad hamesha hamesha ke liye alag ho gaye.

Jab tumhare nanaji Narendra ne ye baat mere pitaji ko bataya toh Upendra aur Virendra dono uss samay wahan par maujood the.

Upendra ye baat sun kar aag babula ho gaya aur usi samay usne tumhare nanaji ke pet mein chhura ghop diya, ye bhi nahi socha ki iska anjaam kya hoga.

Jab mere pitaji ne mere bhai Upendra ko police ke hawale karna chaha toh Virendra ne Upendra ko bachane ke liye mere pitaji ke pet mein chhura ghop diya.

Pata nahi par kaise Upendra ko ye baat pata chal gaya ki Raveena ke bhagne mein Nayanthara ne help kiya hai, isliye usne Nayanthara ko dukh dene ke liye uski mayke ke sabhi logo ko zinda jala kar maar diya.

Uss din ke baad se hum mein se kisi ne dono ko aaj tak nahi dekha hai, aage ki story tumhe Krithi ki pita se janna hoga, kyunki aage ki story batana mere adhikar kshetra se bahar hai.

[[Flashback Ends]]

Arjun: Upendra ko aisa bilkul bhi nahi karna chahiye tha mata, yadi usko apni self respect ki itni hi jyada chinta thi toh usko Krithi ki mom aur meri mom ko saja dena chahiye tha, usko kisi nirdosh ko nahi maarna chahiye tha.

Kalpana: Usne dono ko hi saza diya hai Arjun beta, kyunki isi wajah se tumhari maa Raveena aur Krithi beti ki mom Nayanthara dono ek dusre se lagbhag 23 years se dur hain jo hamesha ek dusre ke sath rahna chahte the. Upendra dono ko ek dusre se dur rakh kar dono ko saja de raha hai. Isi wajah se Nayanthara aur Jogendra mein aapas mein jyada baat nahi hoti hai.

Arjun: Kya aapko pata hai meri mom kyun ghar chhod kar bhag gayi thi???

Kalpana: Ha mujhe pata hai Arjun beta, lekin main tumhe iska jawab nahi de sakti hoon. I am sorry for that.

Arjun: Why???

Kalpana: Kyunki iska jawab dene ka kaam tumhari mom ka hai, yadi tumhari mom ne ye sab tumse abhi tak chhupa kar rakha hai phir main tumhe ye baat kaise bata sakti hoon???

Arjun: It's okay! Ek baar pahle The Nightmare aur The Ghost ko dono ki kiye ki saja mil jaye phir mom ko iss baat ka jawab dena hoga.

Kalpana: Lekin dono ko saza dena itna easy nahi hoga, tum iss baat se anuman laga lo ki dono ne aaj tak kitne hi officers ko jaan se maar diya hai lekin koi bhi dono ka kuchh bhi nahi bigad saka hai.

Kalpana ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.

“Phir mere sasur ji Manikchand ke farmhouse par jo hidden archers the tum unko kaise bhul sakte ho??? Upendra ne kuchh aisi cheez bana liya hai jisse wo kisi ko bhi Invisible kar sakta hai aur kya pata usne aur kya kya bana rakha hai. Uski takat kitni hai ye koi bhi nahi janta hai, wo iss samay kahan hai ye bhi koi nahi janta hai.”

Arjun: Yeah, I know. Mujhe iss baat ka gyan hai. Mata ek last baat bataiye, nanaji ne mom aur Upendra dono ka shaadi fix karne se pahle meri mom se sahmati liya gaya tha ya nahi???

Kalpana: Nahi tumhari mom uss waqt sirf 17 years ki thi aur apni intermediate ki padhai Pearl City se kar rahi thi, jo tumhara ghar hai. Jab wo apni intermediate ki padhai complete karke wapas ghar aayi tab usko ye baat bataya gaya tha.

Arjun: Ye galat baat hai mata, mom se pahle puchha jaana chahiye tha ki unhe Upendra pasand hai ya nahi, uske baad hi shaadi fix kiya jaana chahiye tha. Isme nanaji aur aapke pitaji ki galti hai, magar iska ye bilkul bhi matlab nahi hai ki aapka bhai Upendra nirdosh hai, usne jo kiya wo sahi tha.

Kalpana: Tumhari mom apne bade bhaiya Jogendra aur apne pitaji Narendra ki sabhi baat manti thi, isliye dono ko laga ki Raveena ko ye rishta manjur hoga aur dono se yahi sabse badi bhul ho gayi.

images

Kajal: Kalpana ji har insaan ko apna jeevan sathi chunne ka adhikar hai aur Raveena didi se ye baat nahi puchha gaya ye galat baat hai.

Kalpana: Main iss baat se inkar bhi nahi kar sakti hoon, kyunki ye sach hai. Raveena ka ghar chhod kar bhagne ka apna reason hai.

Arjun: Okay! Hum iss baare mein baad mein baat karenge jab hamare samne aur koi naya cheez samne aayega.

Kalpana: Yahi sahi rahega Arjun beta ab iss topic ko yahin samapt karte hain.

Madhubala: Arjun beta Rohan kahan gaya hai, kya usne tumse kuchh bola hai??? Mujhe uski badi chinta ho rahi hai, wo akele iss tarah se aaj se pahle kabhi kahin bhi ghar se bahar nahi gaya hai.

Arjun: Nahi aunty usne mujhse kuchh bhi nahi kaha hai, lekin aap bilkul bhi chinta na karen Rohan ko kuchh nahi hoga. Rohan iss waqt jahan bhi hai surakshit hai aur jaldi hi hum sabke paas surakshit laut aayega jab wo apna promise pura kar lega.

images

Madhubala: Okay! I believe in you, Arjun beta. Par mujhe Rohan ke liye darr* lag raha hai. Kya Rohan fight mein Smith aur David dono ko hara payega???

Arjun: Aapka dil kya bol raha hai aunty??? Yadi aapka dil ye bol raha hai ki Rohan dono se fight nahi kar sakta hai toh wo jahan bhi hai wapas laut aayega.

Madhubala: Sorry Arjun beta, main thodi der ke liye sirf Rohan ke baare mein soch rahi thi jabki hum sab ek family hain. Ab mere mind mein Rohan ke liye koi chinta nahi hai. Mera dil keh raha hai ki Rohan apne bhai ki maut ka badla pura karke wapas hum sabke paas jarur aayega.

Arjun: Phir aap nischint rahiye aunty. Mujhe uss par pura bharosa hai ki wo apne kisi bhi dushman ko saja dene ka samarthya rakhta hai.

***

[[4 Hours Later]]

Aaj Sunday ka din tha aur surya aasman mein nikal aaya tha.

Kalpana: Ab aap sab hum dono ko wapas apne ghar jaane ki permission dijiye.

images-2

Shivangi: Ruk jaiye kuchh kha kar chale jaiyega, aap dono pahli baar iss ghar mein aaye hain.

Dhanush: Iski koi jarurat nahi hai Shivangi beti, hum phir se kabhi aayenge. Mere pita aur chacha ne tumhari family ke sath jo bhi kiya hai uske liye ek baar phir se sorry.

Shivangi: Koi baat nahi uncle, jisne wo kaam kiya unhe unki kiye ki saza mil chuki hai. Mujhe aapse aur aunty se koi shikayat nahi hai. Phir Arjun ne Kalpana aunty ko apna mata kaha hai jisse ek tarah se aap dono mere sasur aur saas ke saman hain.

Dhanush: Theek hai phir aap sab hum dono ko jaane ki permission dijiye, phir milenge.

Arjun: Theek hai uncle aap dono ja sakte hain, aap dono ko jab bhi mujhse ya kisi aur se milne ka mann kare aap dono kabhi bhi aa sakte hain.

Kalpana: Bilkul! All of you are our family.

Arjun: Mata jaane se pahle mujhe ek aur baat ka jawab de dijiye.

Kalpana: Theek hai puchh lo jo bhi sawal tumhare mann mein hai.

Arjun: Ye Suryakant kaun hai???

Kalpana: Tum usse ek baar mil chuke ho Arjun. Suryakant koi aur nahi balki RAW Chief hain jisse tum Copper City ke police station mein mil chuke ho.

Arjun: Oh! Matlab wo sirf chachu ka sath dene ke liye nahi aaye the unke sath.

Kalpana: Yup! You are right, wo tumhe ek baar paas se dekhna chahte the aur usko ek bahana mil gaya tha tumse milne ka. Usne aur Jogendra ne pal pal tum par apni najar banaye rakha hai.

Arjun: Okay! Ab aap ja sakti hain mata.

Kalpana aur Dhanush ke sabhi se vida lekar jaane ke baad sabhi log ek, ek karke apne apne ghar chale gaye.

Chunki aaj Sunday hai toh Arjun yahin Kriti mam ke ghar par ruk gaya.

***

[[Kriti Room]]

Kriti ke room mein Arjun, Shivangi aur Kriti teeno ek sath the.

Kriti: Love! Ye The Ghost aur The Nightmare ka kuchh jaldi hi solution nikalo. Pahle The Ghost ke karan Shivangi bhabhi ki Ooty ka honeymoon trip cancel karna pada aur ab usne Shivangi bhabhi ki birthday ko barbaad kar diya.

Arjun: Jaisi meri darling ki wish! Jaldi hi dono ko uske kiye ki saza jarur milegi.

Shivangi: Pichhli 2 baar se meri birthday ke din kisi na kisi ko dukh jarur hota hai, pahle Kriti ko aur ab hum sabhi ko.

Kriti: Aisa nahi kahte hain bhabhi, aapki birthday ki wajah se meri aankh mein aansu aaya hai ye sach hai, lekin aapki birthday ki wajah se hi mujhe Arjun mil paya hai ye usse bhi badi khushi hai mere liye. Yadi Arjun ka prem pane ke liye mujhe aag ki dariya se hokar jaana padega toh main wo kaam bhi kar lungi, phir kuchh din ki peeda mujhe takleef nahi de sakti hai, Isliye aap khod ko dosh dena band kijiye.

Arjun: Ha jaan Kriti mam sahi bol rahi hai, aapki birthday par hi hum sabko pata chala ki Rohit bhaiya ka soch kitna mahan tha jisne apne dost ko loss se bachane ke liye aur apni chhoti bahan ke liye khushi khushi apna balidaan kar diya. He will always be with us in our hearts.

Shivangi: Lekin Rachit aur uski mom ka kya??? Iske baare mein tum kya kahna chahte ho???

Arjun: Silence!

Kriti: Silence!

Shivangi ke iss sawal ka dono ke paas iss baar koi jawab nahi tha, isliye dono khamosh rah gaye.

Shivangi: Maine decide kar liya hai ki aaj ke baad main kabhi bhi apna birthday celebrate nahi karungi aur koi bhi mujhe force nahi karega.

Arjun: Koi baat nahi jaan, khushi celebrate karne ke liye birthday ki kya jarurat hai??? Yadi hum sab khush hain toh har din festival hai aur yadi hum dukhi hain phir kisi ki birthday bhi usko khushi nahi de sakta hai. Aap chinta na karen jis tarah se maine aapke liye Manikchand ko samapt kiya usi tarah se The Ghost aur The Nightmare ko bhi saja jarur milegi jisne aapka birthday barbaad kiya hai.

Shivangi: Theek hai main tumhare liye kuchh bana kar lati hoon, kal dopahar se tumne kuchh bhi nahi khaya hai.

Arjun: Nods!

images-1

Kriti: Bhabhi maine aur baki sabne bhi kal dopahar se kuchh nahi khaya hai.

Shivangi: Ha* ha* mujhe pata hai, main Leela ke sath sabke liye thoda sa kuchh bana deti hoon.

***
______

2 Days Later
Location Unknown ~

The Ghost and The Nightmare dono ek kamre mein the, dono ke samne har ek scene tha jo Arjun ki family ke sath *ghatit() hua tha.

Kriti ke ghar ka har scene The Invisible ne ek mini camera mein record kiya tha jabki David ne Mumbai Fighting Ring ka har scene mini camera mein record kiya tha.

Rohit ki har cheekh aur peeda dono ke dil ko sukun de rahi thi.

Dono Kriti ke ghar ka har scene dekh rahe the aur enjoy kar rahe the.

Arjun ki har family ki aankhon se nikal rahi aansu ki har ek boond dono ke dil ko sukun de rahi thi jisse dono ke face par ek kamini muskaan thi.

The Nightmare: Yahi! Yahi toh main dekhna chahta tha, ah mere dil ko kitna thandak mil rahi hai sabki aankhon mein aansu dekh kar.

The Ghost: Yes boss aapne jaisa kaha tha bilkul waisa hi hua, koi ek second ke liye bhi so nahi paya aur darr* ke karan kai dino tak unn sabhi ko theek se neend nahi aayegi.

The Nightmare: Abhi toh ye shuruaat hai, aage aage dekhte jao main unke sath kya kya karne wala hoon. Main unn sabki raat ki neend aur chain chhin lunga, sabhi ke chehre se smile gayab kar dunga.

The Ghost: Boss Rohan ne Smith aur David dono ko challenge kiya hai aaj se 7 days ke baad fighting ke liye.

The Nightmare: Ab Rohan khud Smith ke hathon marna chahta hai toh hum kya kar sakte hain??? Bechare ne josh josh mein fight ke liye challenge kar diya, usko pata bhi nahi hai ki usne kitni badi musibat ko apne upar nimantran diya hai. Chalo aaj main tumhe apne new research dikha deta hoon.

The Ghost: Sach boss.

The Nightmare(Smiles): Yes!

The Ghost: Theek hai phir chaliye.

[[Some Moments Later]]

The Nightmare and The Ghost dono ek laboratory ke andar the, jahan par ek new research chal raha tha, jahan par 100 se bhi jyada doctors ek sath kaam kar rahe the.

The Ghost: Ye kya hai boss??? Ye toh koi robot type ka lag raha hai. Kya iss baar aap koi robot bana rahe hain????

The Nightmare: Nope! Ye mera new research hai, iska naam maine *The Ajooba* rakha hai.

The Ghost: Boss iski kya khasiyat hai???

The Nightmare: Iski khasiyat ye hai ki isko maine sunlight ki energy se banaya hai, isko apni energy sun se milta rahega. Ye sirf meri order ko follow karega.

“Iske bahut sare features hain, The Nightmare ki baat ko aage continue karte huye ek doctor ne kaha.”

[[The Features of The Ajooba]]

1)) Chunki ye sun ki energy ka ek roop hai, isliye isko kisi bhi tarah se destroy nahi kiya ja sakta hai. Ye prithvi par maujood kisi bhi weapon se jyada khatarnak hai, iske paas apna koi sentiments nahi hoga. Isliye ye apne dushmano par koi bhi raham nahi karega.

2) Ab chunki ye dharti ke liye kisi ajooba se kam nahi hai, isliye The Nightmare sir ne iska naam *The Ajooba* rakha hai. The Ajooba matlab The Nightmare sir ka sabse bada weapon jo iss dharti ka sabse vinash kari weapon hone wala hai.

3) Sath hi chunki ye sunlight ki energy se bana hai, isliye iski speed sun ke speed ke equivalent hogi jo ki dharti par maujood kisi bhi weapon se bahut bahut jyada hai.

4) Ab iski speed chunki itna jyada hai toh ye dharti ke kisi bhi chhor tak pal bhar mein hi pahuch sakta hai aur apne dushman ko khatam kar sakta hai.

5) *The Ajooba* ke karan The Nightmare sir kisi bhi country ko jab chahe barbaad kar sakte hain ya phir usko apne ghutno par la sakte hain.

6) Ye hawa mein ud sakta hai, jameen par daud sakta hai aur pani mein swimming kar sakta hai, matlab ye apne dushman ko kahin par bhi maar sakta hai. The Nightmare sir ka koi bhi dushman isse bach nahi sakta hai.

The Ghost: Wow* boss aapka ye research sach mein kisi ajooba se kam nahi hai. Aapne iska naam The Ajooba bilkul sahi rakha hai. Lekin mere mann mein abhi bhi kuchh doubts hain.

The Nightmare: Puchh lo jo bhi tumhare mann mein doubts hain.

The Ghost: Boss isko raat mein energy kahan se prapt hogi???? Raat mein isko surya se energy nahi milegi phir raat mein ye apne dushmano ko kaise maar payega?

The Nightmare: Good question. Iske paas pahle se itna energy store hai ki yadi isko 1 year tak surya ka light nahi milta hai phir bhi isko energy ki jarurat nahi padegi, isliye mujhe iss project ko pura karne mein pura 4 years ka samay lag gaya hai.

The Nightmare ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.

“Aaj se 7 days ke baad mera ye research puri tarah se ready ho jayega aur duniya mein tabahi machane ke liye.”

The Ghost: Boss lekin aapne 40 days pahle kaha tha ki abhi isko pura hone mein 2 to 3 months lagega phir 50 days mein hi ye kaise ready ho jayega????

The Nightmare: Good question kyunki iss par 60 days ka kaam sirf 50 days mein pura kar liya jayega, iske liye yahan par kaam kar rahe har doctors ka bahut bada yogdan hai.

The Ghost: Matlab jis din Rohan aur Smith ki fight hogi usi din aapka ye *The Ajooba* puri tarah se ban kar ready ho jayega.

“Yes! The Nightmare ne apne face par smile laate huye jawab diya.”

The Ghost: Matlab aaj se 7 days ke baad hamare liye double khushi ka din hone wala hai. Ek aur jahan Rohan ki maut hogi wahin dusri aur yahan hamara ye *The Ajooba* ban kar ready ho jayega.

The Nightmare: Yes! Ab tum lab se bahar jao aur mujhe apna kaam karne do, jaldi hi mera ye research tumhari tarah sirf mere order ko follow karega.

The Ghost ne aage kuchh nahi kaha aur apne face par smile liye huye laboratory se bahar chala gaya.

***

Third person POV
A Small Flashback ~

The Ghost aaj apne dost The Nightmare ke liye bahut hi jyada khush tha, kyunki ek samay aisa bhi tha jab The Nightmare aur The Ghost ke paas kuchh bhi nahi tha.

Aaj The Nightmare ke paas sab kuchh hai sirf ek jeevan sathi nahi hai, jiske liye wo ye sab kar raha hai.

The Nightmare ne Raveena ko apni jeevan sangini maan liya tha, isliye aaj tak Upendra ne kisi ladki se shaadi nahi kiya aur na* hi The Ghost ne shaadi kiya.

The Ghost aur The Nightmare ne kai begunah ki jaan liya hai kintu kabhi kisi mahila ki izzat ke sath khilwad nahi kiya, yahi baat dono ko dusre villain se alag banati hai.

The Nightmare aur The Ghost ke jitne bhi sathi huye unn sabne bhi kisi bhi mahila ki izzat ke sath kabhi khilwad nahi kiya, kyunki
The Ghost ne sabko sakht order de rakha tha ki yadi koi kisi mahila ki izzat ke sath koi khilwad karega toh wah usko jaan se maar dega.

Jab Raveena shaadi ke din ghar chhod kar bhag gayi thi tab Upendra gusse se pagal ho utha aur kai logo ko jaan se maar kar Karnataka ke Silver City ko chhod kar
Tamilnadu chala aaya aur ek jungle mein rahne laga.

The Nightmare ne sabse pahle strength increase karne wali ek medicine aur ek injection dono ka nirmaan kiya.

The Nightmare ne sabse pahle wo medicine khud par test kiya uske baad hi usne wo medicine The Ghost par istemaal kiya. Jab wo puri tarah se sunishchit ho gaya ki medicine ka koi bhi side effects nahi hai.

Usne apni research ke liye khud ko hi ek test object banaya, na* ki kisi dusre ko test object banaya jisse yadi koi side effects ho toh usko ho na* ki uske dost Virendra ko.

Medicine and injection ki wajah se The Ghost dhire dhire underground fighting mein participate karne laga aur har match mein vijayi hota chala gaya jisse dono ke pass income generate hone lagi.

Dhire dhire dono har bure logo ka sathi aur achhe logo ka dushman bante chale gaye.

Jahan dhire dhire The Ghost pure underworld ka *betaaz() badshah ban gaya, wahin dusri aur The Nightmare apni research mein laga raha aur new-new research karta chala gaya.

Usne ek aisi watch banaya jiski help se koi bhi insaan invisible ho sakta hai.

Usi watch ki wajah se *The Invisible ko koi nahi dekh pata hai aur isi wajah se Manikchand ke farmhouse par jo ped par hidden archers the unko bhi koi nahi dekh pata tha jo KAAL ke hathon bechare buri tarah se maare gaye.

Baad mein The Nightmare ne ek electric field defence system banaya jiske karan koi bhi uski permission ke bina uske area mein andar nahi ja sakta hai.

Baad mein usne ek aisa invisible shield bana liya jiske andar yadi koi cheez ho toh wo bahar se dikhayi nahi deta hai sath hi koi aawaz bahar nahi aati hai, jabki andar se bahar ki sabhi cheez ko dekha ja sakta hai aur aawaz ko suna bhi ja sakta hai.

Iss tarah se usne abhi apne aas paas wo Invisible shield aur electric field defence system dono laga rakha hai jiski wajah se uske area mein jo koi bhi jata hai wo high voltage electricity ka shikar ho jata hai aur uss insaan ki instant dardnak maut ho jati hai.

Jungle mein itne logo ki maut ho chuki hai ki darr* ki wajah se ab koi bhi uss jungle mein nahi jata hai, sabhi uss jungle ko bhutiya aur shapit jungle samajhne lage hain.

Iske karan The Nightmare aur The Ghost ne Tamilnadu ke jungle ke andar apna ek bada Empire khada kar liya hai jahan dono ki permission ke bina ek parinda bhi par nahi maar sakta hai, jiski suraksha ke liye kisi guard ki jarurat nahi hai.

The Nightmare ki iss research ne usko na sirf puri duniya se abhi tak chhupa kar rakha hai balki usko duniya ka sabse ameer vyakti bana diya hai.

[[Flashback Ends]]

***
______

[[Amika Home]]

Anu aur Priya raat mein ek kamre mein so rahe the.

Anu: Priya mere paas kuchh doubts hain, kya tum meri doubts clear karogi???

Priya: Yahi na* ki kisi ne mujhse ye sawal kyun nahi kiya ki main future kaise dekh sakti hoon, am I right chhoti maa???

Anu: Yeah!

Priya: Kyunki ye baat sirf Arjun ko yaad hai baki ye baat maine sabhi ke subconscious mind mein daal diya hai jisse jab uchit samay aayega tabhi sabko ye baat yaad aayegi.

Anu: Ye The Nightmare toh bahut hi ajeeb research kar raha hai??? Yadi Upendra ne achhai ka rasta chuna hota toh aaj wo ek great scientist hota! Shayad uska ye research usko sabse mahan scientist ki list mein shamil kar deta.

Priya: Wo achhai ka rasta nahi chun sakta tha chhoti maa, kyunki usko Arjun ka dushman banna hi tha jisse Arjun jald se jald apni lakshay ko prapt kar sake. Ye sab jo ho raha hai aur jo aage hone wala hai wo Arjun ke lakshay purti ke liye ho raha hai.

Anu: Iska matlab kya hua main kuchh samjhi nahi??? Tum jara isko achhe se explain karogi???

Priya: Abhi tak jitne bhi log Arjun se jude hain, chahe wo dost ho ya phir dushman sabhi log Arjun ko apne paas dekhna chahte the isliye wo yahan Arjun ke liye dharti par aa gaye.

images-3

Anu: Iska matlab ye hua ki jo log bhi abhi tak maare gaye hain aur jo log aage marne wale hain wo sabhi PLUTONIUM PLANET ke log hain.

Priya: Aapne bilkul sahi samajha chhoti maa. The Nightmare and The Ghost ke paas bhi isliye itni jyada knowledge aur power hai jisse wo Arjun ko takkar de sake aur koi dharti ka insaan dono ko na maar sake.

Anu: Okay! Ab mere sabhi doubts clear ho gaye hain, thank you very much Priya.

Priya: Aapne jis tarah se Arjun ko sambhala hai wo kabil ye tarif hai, isliye aapko bhi bahut bahut dhanyawad chhoti maa.

Anu: It's okay ab so jao good night.

Priya: Good night chhoti maa.

***
______________________________________________________________________________________

That's all for this episode, the update comprises 5.1k words. I hope that you guys will enjoy the update. Ab aap log soch lo Raveena ne galat kiya hai ya phir Nayanthara ne ya phir Upendra ne.
Shandaar update and awesome story
 
  • Like
Reactions: dhalchandarun
Top