• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

Salu bhai

Member
456
1,303
123
Mast update bhai
Maza agya
Is update ko parh kar mujhe meri besti ke yad agye jo mujhse bohat time phle door chala gya usky sath b kuch esa hua tha aur jab usny btaya to to ham pet pakr kr hansi se pagl ho gye the

Thanks bhai purani yaden taza krwa de apny
Suprb duprb update waiting for next
 

Azagar Dada

Active Member
911
4,080
123
अच्छा फैमिली सीन था।मजा आ गया। दानव भी तैयारी कर रहे हैं।
 
  • Like
Reactions: Rahul0087@

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
UPDATE-6









ham hairan the ki ye kya ho gya or kaise.


Kyuki samne meri car pori toti futi khadi thi. Uska aage ka kanch. Uski headlight. Or jagah jagah per bahut bade bade dent. Achhi khasi car ki halat kharab ho gyi thi. Aisa lag raha tha ki ab is car ko koi bhangar me bhi nahi lega. Or car per ek kagaj chipka hua tha. Jisper likha hua tha ki.


"AAINDA MERE KAAM KE BECH ME TANG ADAI TO TUMHARI HALAT BHI AISI HI KAR DUNGI ME. NA TO DEKHNE KE KABIL RAHOGE OR NA HI CHALNE KE"


Lekin is chit ler kisi ka bhi naam nahi likha tha.



Chirag- ho gya kalyan. Sale Teri car to gyi kaam se.iske parts to yaha milenge bhi nahi.delhi le jana padega.



Lucky- Bhai ye ladki hai ya aafat. Hai kya cheez ye. Itna jyada ghamand kis baat ka hai ise. Isne to 2 cr. Ki car ki band Baja kar rakh di.




Main- chhodo. Usne seema ka gussa is car per nikal diya. Achha hi hua. Baise bhi ye car mujhe kuch jyada pasand nahi thi. Lekin khas jarur thi. Dadaji ka gift thi ye car. Ab ise theek to Karana hi hoga. Lucky tu mujhe or chirag ko ghar chhod dega. Ab isse to ja nahi sakte


Lucky- ha Bhai chhod dunga lekin tujhe gussa nahi aaraha hai.usne Teri car ko fod dala.



Main- Abe yaar gussa karke kya fayeda car to foot gyi. Or uper se vo ek ladki hai. Abhi gusse me Maine use kuch kar diya ya keh diya to uska baap jo commissioner hai aajayega mere ghar per. Samjha baat ko




Lucky- Bhai commissioner ki beti hai to kya hua. Tera itna bada nuksan Kar diya usne. Tujhe kuch to karna chahiye na.




Main- ha karna to chahiye. Or karunga bhi lekin thoda dimaag laga kar. Filhal tu hame Ghar chhod de.



Lucky- chal Bhai tripling karte hai



Uske baad ham teeno hi bike per baithe or clg se bahar nikal gye. Jaha main road per hi Prachi khadi hui thi. Or uski saheliya bhi. Jaise hi ham baha se gujre. Vo jor jor se huting karne lagi. Jo mujhe bilkul bhi achha nahi laga.


Maine apna mobile nikala or kisi ko ek msg kar diya.



Jaise taise ham chirag ke ghar tak pahunch gye.


Main- yahi chhod de mujhe bhi. Me yaha se chala jaounga.



Lucky- are chal bhi. Me chhod deta hu. Or tera ghar bhi dekh lunga. Iska to dekh liya



Lucky ke kafi kehne per me maan gya or bike per baith gya.
Or lucky ko rasta Bata diya. Lucky usi raste se hota hua mere ghar tak le aaya mujhe. Jaha Mera ghar dekhkar hi vo hairan ho gya. Kayuki karib 50 akad me faila tha mera ghar.bahar itna bada loun tha ki baha per ek international match bhi ho sakta hai. Or uske baad ghar. Jo ki kisi kothi se kam nahi thi. Or kothi ke peeche bagaan.



Lucky- Bhai tu is mehel me rehta hai.



Main- ha yaar yahi hai mera ghar.




Lucky- ab samaj me aaya ki tujhe car tootne per gussa kyu nahi aaya.



Main- good boy. Chal andar chal tujhe dadu or mom se milwata hu.



Lucky- nahi bhai fir kafi. Mujhe thoda ajeeb sa lag raha hai



Main- pagal hai kya. Chal chup chap andar. Veena tujhe kandhe per utha kar le jaounga.



Mere baar baar kehne per vo maan gya



Usne bike start ki or ham aage bad gye. Jaha gate per khade guard ne mujhe dekhkar gate khol diya. Or ham seedhe andar chale aaye. Ek lumba round laga kar ham seedhe hamare ghar ke main gate per ruke. Main bike se neeche utra. Or lucky ko bhi utara. Vo bahut hi uncomfortable feel kar raha tha. Lekin me use normal karne ki pori kosis kar raha tha. Ham andar aaye jaha dadu sofe per baithe hue the or chai ki chuski le rahe the.



Main- kya haal dadu



Dada- are aao beta. Kaisa raha aaj ka din.



Main- theek hi tha. Or isse miliye ye hai lucky meri hi class me hai. Or mera dost bhi ban gya hai. Or lucky ye hai mere pyare dadu.



Lucky- namaste dadaji.



Dada- beta mujhe dadu keh sakte ho tum. Mujhe ye sunna thoda achha lagta hai. Lagta hai me abhi bhi jawan hu.



Lucky- ohh sorry dadu



Dada- ha ye theek hai aao betho.



Main- mom Jara bahar to aaiye



Meri aawaj suke mom bahar aai.



Mom- kya hua kuch chahiye hai kya.




Main- mom Mera friend aaya hai. Usse mil leejiye.



Main- lucky or ye hai meri mom. Or mom ye hai lucky. Mera dost.



Mom- kaise ho beta. Ise apna hi Ghar samjho. Or kuch bhi chahiye ho Bina koi jijhak ke mang lena. Ruko me khana leke aati hu. Tum dono ko bhuk lagi hogi.




Lucky- nahi aunty vo clg me thoda jyada hi nasta kar liya tha. Isliye filahl bhuk nahi hai



Main- mom aap le aao. Ye sab natak kar raha hai.


Mom- abhi lati hu



Uske baad mom ne hame khana parosa. Or maine or lucky ne khana start kiya. Halaki lucky bahut sharma raha tha. Lekin mom or dadu ke behaviour se vo bhi ab khulne laga tha. Or khana khatam hote hote uski sari jhijhak mit gayi. Fir ham bahi sofe per baith gye.



Dada- khana kaisa tha



Lucky- dadu ek dum jhakas.



Dada- kya baat hai. Or sunao clg kaisa chal raha hai. Koi dikkat ho to dev ko bata dena vo chutkiyo me solve kar dega.




Lucky- lekin kaise.



Dada- lagta hai tune abhi tak ise bataya nahi hai




Main- kya fark padta hai dadu.



Lucky- kis bare me. Baat ho rahi hai.



Dada- are beta jis clg me aap log padte ho vo clg hamara hi hai. Yani dev ka. Isliye maine kaha ki jo bhi problem hogi ye solve kar dega.



Lucky- kya lekin dev tumne mujhe bataya kyu nahi



Main- are yaar mujhe koi rubaab nahi jhadna hai kisi per. Clg me vo dono hi kafi hai.




Dada- kiski baat kar raha hai ye.



Main- kisi ki nahi dadu.



Lucky- are dadu clg me do ladkiya hai. Ek commissioner ki beti hai or ek MLA ki dono hi apni dhus jamane me lagi rehti hai. Dusro per. Or aaj to ek ne had hi kar di.




Main- bas kar lucky.



Dada- Kyu bas kar. Jara me bhi to sunu ki kya kiya unhone.




Lucky- dadu dev ki car ko tod fod dala us commissioner ki beti ne. Puri car ka satyanas kar diya.



Dada- kya car tod dali. Lekin kyu.



Fir lucky ne sari ghatna vistar se dadu ko bata di. Jise sunkar dadu bhi hasne lage.



Dada- pakka dono pagal hai. Bhala ye bhi koi ladne ka tarika hua. Or is sab me bichare dev ki car tod di.



Main- koi na dadu. Unse is baat ka badla to me leke rahunga



Dada- or Jara mujhe batane ka kast karega ki badla kaise liya jayega




Main- ye dekho. Maine parking ki cctv footage manga li hai. Or isme saaf saaf dikh raha hai ki usne meri car ka satyanas Kiya hai. Ab ye clip me uske baap ko dikhaunga or use arrest karwaunga. Tab Jake uski akl thikane per aayegi. Or uske sir se ye bhut utrega ki vo commissioner ki beti hai to kuch bhi karegi.




Dada- baise idea achha hai. Lekin use arrest mat karwana. Thodi dant se hi kaam chala Lena. Nahi to bichari per police case ka thappa lag jayega.



Main- agar usne apni galti maan li to nahi karunga lekin agar nahi mani to karwana padega use andar. Akhir mere dadu ka diya hua gift usne toda hai. Itna hak to mera banta hai. Kyu lucky



Lucky- bilkul bhai.me to kehta hu abhi chalte hai or unhe ye dikha dete hai.



Main- bilkul.lekin tum mere sath nahi chal sakte



Lucky- kyu.



Main- kyuki ik to tumne almost kal use maar hi Diya. Tha. Or vo topic badalne ke liye tumhara matter jarur bech me nikalegi. Agar tum uske samne rahoge to. Or fir uske dad tumhe bhi andar kar denge. Isliye tum niklo apne ghar me jata hu uske ghar




Lucky- ha vaise ye bhi sahi hai. Ghuma fira kar vo sara dosh mujhper hi na daal de. Isliye mera na jana hi behtar hai. Achha dadu me ab chalta hu.




Dada- bye beta aate rehna. Maja aata hai tumhare sath.



Lucky- jarur dadu ab to mujhe bhi aapki company pasand aane lagi hai. Jald hi milunga aapse.



Ye kehke vo baha se chala gya.


Dada- pakka ye karna chahte ho.



Main- baise me chahta to nahi hu. Lekin koi or Rasta bhi nahi hai. Aaj usne car fodi hai kal ko kisi ka sir bhi fod sakti hai. Aaj use uski galti ka ehsas karana hi hoga.




Dada- theek hai to jao fir. Or suno haar kar bapis mat aana samaj gye. Use dikha dena ki tum jagdish sinha ke pote ho.




Bilkul dadu.


Ye kehke me bahar aaya or apne garage me chala gya. Jaha se maine apni bike nikali or seedha nikal gya commissioner ke office per. Kyuki vo us waqt Ghar per to sayad honge nahi.



Main unke office pahucha. Or andar jane laga to kuch police walo ne mujhe rok liya. To maine apni pehchan unhe Bata di.to fir unhone mujhe Jane Diya.



Main- may I come in sir.




Comm- yes comein.



Main andar aaya.



Main- hello sir mera naam dev Sinha hai. Sinha group of companies ke malik ka pota hu me.




Comm- are aao aao beta. Baitho.



Main- thanks sir.



Me baitha



Comm- kaho aaj yaha kaise aana hua.



Main- sir ek complaint karni hai.



Comm- kaisi complain.




Main- sir ek ladki ne clg me meri car ko tod diya. Ab ladki hai to main use kuch kar bhi nahi sakta. Aapko to pata hi hai. Aajkal thoda kuch kaho to harresment ka case laga deti hai. Isliye me seedha aapke pass aagya.




Comm- bahut sahi kiya tumne beta. Batao kon hai vo ladki.



Main- sir vo aapki beti hai



Ye sunke comm seedha apni chair per se khade ho gye.



Comm- what.










To be countinue……………..
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Update please
Sir one more update pls
अब कहानी अपनें रंग में आ रही है। मजा आ गया।
अच्छा फैमिली सीन था।मजा आ गया। दानव भी तैयारी कर रहे हैं।
बहुत सुंदर अपडेट है नोंक झोंक मजेदार थी। धन्यवाद।


Leejiye dosto aap sab ke liye ek or update hajir hai....




Bas apna sath banaye rakhe Aapko update ke mamle me nirash nahi hone dunga me......





keep supporting............
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Mast update bhai
Maza agya
Is update ko parh kar mujhe meri besti ke yad agye jo mujhse bohat time phle door chala gya usky sath b kuch esa hua tha aur jab usny btaya to to ham pet pakr kr hansi se pagl ho gye the

Thanks bhai purani yaden taza krwa de apny
Suprb duprb update waiting for next

Ye update har us bestie ko hi dedicated tha jo kabhi hamare sath tha ya abhi bhi hai.....

or aane wale aise kai update un dosto ke hi naam honge.


or me ummid karta hu ki aapka bestie aapko dobara jarur mile.....



and bro next update de diya hai........




ummid hai aapko pasand aayega ....





keep supporting...........
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,856
159
Very nice and fantastic update
nice update bhai
Nice story bro
zabardast update
Nice update

Thanks Bhai log aapke sath ke liye.....



kal ka update thoda jaldi hi post kar diya hai aap sabhi ke liye.....


ummid hai aapko pasand aayega.. and padne ke baad apni raye jarur de ....





keep supporting..............
 
Top