UPDATE-13
bahi dusri taraf jo detya dut bankar prithvi per ghum rahe the. Unhe jungle ki ghatna ki jaankari mili. Jo unhone turant hi adhira ko batane ka faisla kiya.
Adhira- ye tum log kya bakwas kar rahe ho. Aisa kaise ho sakta hai.
S1- ye Satya hai maharaj. Hamare Jo dut jungle me reh rahe the. Jinhe aapne us astra ke liye baha per pahuchaya tha. Unki hatya ho gyi hai.
Adhira- kis kis ki hatya Hui hai
D1- maharaj keval 4 ki. Jo the शूल,चाड़ौर,गुंटक और चंड
Ye Charo Bhai the. Jo pishacho ke raajkumar the.
Adhira- lekin ye Charo to maha shaktishali the. Inhe kisne Mara hai.
D1- iske bare hame koi bhi jaankari nahi mil pai hai. Hamne baha pata karne ki kosis ki thi. Lekin baha to logo ko abhi tak ye bhi pata nahi hai ki jungle me hai kya jo logo ko gayab kar raha hai. Or na hi unhe ab is baat ka pata hai ki jungle me jo bhi samasya thi vo ab nahi hai.
Adhira- ye sab kab hua hai.
D1- kal brahm muhurat me.
Adhira- ye kaise sambhav hua hai. Ab iski jaankari to gurudev hi de sakte hai. Or lagta hai jisne unhe mara hai bahi hai in devtao ka raaj. Sayad koi shakti hai. Jiska janm hua ho prithvi per. Devtao ke dwara. Ha ye jarur un devtao ki hi chal hai koi. Mujhe gurudev se jald hi milna hoga.
Ye kehke adhira foran apne raj mahel se bahar chala gya seedha gurudev ke aasram me. Jaha gurudev apne dhayn me baithe hue the.
Adhira ne unhe pranam Kiya
Adhira- hey gurudev aankhe kholiye yaha bahut badi samasya aagyi hai. Jiska Hal aap hi hame Bata sakte hai. Gurudev aankhe kholiye.
Aise hi baar baar nivedan karne per detyaguru shukracharya ne apni aankhe khol li.
Shukracharya- kya hua adhira. Aisi kya samasya aagyi hai jiske liye tumhe yaha tak aana pada.
Adhira- gurudev aapke dhyan ko bhang karne ke liye me mafi mangta hu. Lekin ye mamla hi aisa tha ki ab kya batau aapko.
Shukracharya- bekhof ho kar bolo adhira
Adhira- guruvar lagta hai hame devtao dwara rachit shadyantra ka koi surag mila hai.
Ye sunkar shukracharya turant hi khade ho gye.
Shukracharya- aisa kya bataya hai tumhare dut ne.
Adhira- gurudev hamare kuch guptcharo ki hatya ho gyi hai prithvi per. Jinhe hamne us astra ki khoj me bheja tha.
Shukracharya- kon the vo.
Adhira- gurudev bahi pishacho ke 4 raajkumar. Jinhe aapne kuch vishes shaktiya bhi pradan ki thi.
Shukracharya- ha hame gyat hai. Lekin unki hatya kaise hui.
Adhira- is bare me duto ko koi jaankari nahi mili hai. Or na hi un charo ki deh hame mili hai.
Shukracharya- un charo ki deh milegi bhi nahi. Unko brahma ka vardan tha ki unki mrityu is vanaspati ke kado se hi hogi. Or Marne ke baad vo isi me samahit ho jayenge.
Adhira- mujhe lagata hai kisi shakti ka janm hua hai sayad prithvi per. Jisne un charo ko mara ho. Kyuki aam insan ke bas ki baat ye hai nahi. Or koi bhi devta prithvi per nahi gye hai. Iski jaankari hamare dusre guptchar ne di hai.
Shukracharya- tum uchit keh rahe ho adhira. Ab hame apna har kadam soch samaj kar uthana hoga. Or vo jo bhi shakti hai. Use hame apne jaal me fasa kar nast karna hoga. Isse pehle ki vo hamse us astra ko cheen le. Or in charo ka balidan bhi byarth nahi jayega. Inlogo ne marte hue bhi hame ek bahut badi gupt suchna pradan ki hai. Or hame uska fayeda uthana hoga.
Adhira- parantu gurudev hame to abhi us shakti ke bare me koi bhi jaankari Tak prapt nahi hui hai to ham uska pata kaise lagaye.
Shukracharya- me dhyan me baithkar is shakti ke bare me pata karne ki kosis karunga. Tab tum jis jagah per inki mrityu Hui hai. Baha per Apne sabse shaktishali duto ko us jagah per bhej do. Or unse kaho ki baha per moujood kisi na kisi insan ka roop le le. Taki unka vajood bana rahe. Or fir usi roop me gupt tarike se us shakti ka pata lagaye. Or ek baar agar hame uski jaankari mil gyi to fir ham use aasani se fasa sakte hai. Or unse ye bhi kehna ki apni shaktiyo ka bharpur prayog kare. Lekin kisi ki najro me nahi aana hai. Ye sab chhip kar karna hai unhe. Apni shaktiyo se sabhi insano ki janch Kare. Or jisme bhi divya gud mile uski pori janch Kare. Baki jaise hi mujhe is shakti ke bare me koi suchana milti hai me tumhe khud batane aajaounga. Samaj gye.
Adhira- samaj gya gurudev. Aisa hi hoga.
..
Uske baad adhira bapis se apne mahel chala gya. Or gurudev apne dhyan me baith gye. Mahel jakar adhira ne baisa hi Kiya jaisa use shukracharya ne kaha tha. Usne apne sabse shaktishali danavo ko prithvi ke liye Ravana kar diya. Or unhe sari hidayate bhi de di.
Bahi brahma ji ye sab dekh rahe the. Or unhe bhi ab dev ki chinta hone lagi thi. Isliye unhone turant hi devraj indra ko apne pass aane ka sandesh bheja.
Sandesh milte hi indra turant baha per pahuch gye.
Indradev- pranam Brahm Dev.
Is per brahmadev ne unhen aasirbaad de diya.
Indradev- kahiye prabhu mujhe kis liye aapne sandesh de kar bulbaya hai
Brahma- indra ab or bhi bikat samasya aane wali hai jinki shuruwat bhi ho chuki hai
Indradev- kaise samasya
Brahma- Indra adhira ko iski suchna mil chuki hai ki uske dut mare ja chuke hai. Jis bajah se unke man me sandeh paida ho gya hai. Ki prithvi per kisi shakti ka janm hua hai. Or usi sandeh ka pata lagane ke liye usne Arnav ki janmbhumi per apne sabse shaktishali detyo ko bhej diya hai.
Indradev- ye to bakai me gambhir samasya hai prabhu. Parantu arnav ki shaktiya bhi jagrit hone lagi hai. Or use unhen jagrit karne ka marg bhi mil chuka hai. Or maine uski shaktiyo ko khud dekha hai. Kaise usne dhyan me baithe baithe hi un charo ko nast kiya tha.
Brahma- ham bhi arnav ki shaktiyo se parichit hai. Lekin samasya ye hai ki un detyo ke pass mayavi shaktiya hai jinke aadhar per vo arnav ko turant hi pehchan lenge ki yahi hai vo jiska janm hua hai. Or fir vo use hani pahunchane ka prayas karne lagenge. Or abhi arnav ki sari shaktiya jagrit nahi hui hai.or sabse jaruri Baat ye ki arnav ko abhi un shaktiyo ka sahi se istemaal karna nahi aata hai. Vo jyada der tak in danavo ka mukabala nahi kar payega.
Indradev- to ab ham kya kare
Brahma- indra jald hi vo samay aane wala hai jab arnav ki uske guru se mulakaat hogi. Or mujhe ye batane ki jarurat nahi hai ki Arnav ke guru akhir kon banenge.
Indradev- ha brahma dev mujhe gyat hai ki ye bhumika kisko di jane wali hai.
Brahma- to bas indra Aapko jald hi is sabki byabastha karni hogi.
Indradev- mujhe gyat hai brhma dev ki mujhe kya karna hai. Parantu un asuro ka kya kiya jaye.
Brahma- un asuro ko jo kuch bhi karna hai karne deejiye. Vo kisi bhi manusya ko filhal hani nahi pahuchayenge. Parantu apko Arnav ki urja ko chhipana hoga. Taki vo use pehchan na paye. Or jab uchit samay aayega tab arnav khud unke samne aajayega.
Indradev- samaj gya brahmadev. Aapki aagya ka palan hoga.
Brahma- or sath me hi ye bhi aap sun leejiye ki aapke swarg me is waqt ek detyo ka dut ghoom raha hai. To Aapko is Baat ka pora dhyan rakhna hai ki usko is ware me koi bhi jaankari na ho. Aapko use bhramit karna hai.
Ye sab sunne ke baad indradev samaj gye ki unhe kya karna hai.
Indradev- me samaj gya brahmadev. Aapane jaisa kaha hai baisa hi hoga…
Uske baad indradev brahmadev ji ko pranam karke baha se chale gye
Or lag gye apni tayyariyo me.
Bahi prithvi per abhi tak sab theek chal raha tha. Dev apni baheno ke sath badiya time spend kar raha tha. Or apni clg life ko injoy Kar raha tha.use koi fikr nahi thi aane wale sankato ki. Bas kabhi kabhi is ware me jarur sochta tha ki ye shaktiya usme kaise or kyu hai. Aise hi vo ek din clg se bapis aa raha tha ki use raste me ek mandir dikhai diya. Halaki vo roj hi baha per pranam karta tha. Lekin jaldbazi me kabhi andar nahi gya. Lekin aaj use mike me SHRI MAD BHAGWAT GEETA ka path hota hua sunai diya. To usne apni bike ko roka or khud hi mandir me chala gya. Jaha per pehle se hi kai log baithe hue the or is path ka aanand le rahe the. Ab unme arnav bhi shamil ho gyaor dhyan laga kar unki sari bate sunne laga. Isme BRAHMAND ki utpatti ke bare me abhi bataya ja raha tha. Karib 2 ghanto Tak arnav sari bate sunta raha. Or unhe samajne ki kosis karta raha. Use sab samaj me aaya lekin uske prasno ke Uttar nahi mile. To jab path ko aaj ke liye viraam diya gya. To sabhi baha se uthkar chale gye. Or dev baha se uthkar un Panditji. ke pass chala gya.
Main- pranam pandit ji.
Pandit- tumhara kalyan ho putra. Maine aaj tumhe pehli baar yaha dekha hai.
Main- ha me aaj hi yaha sunne aaya hu.
Pandit- achha hai. Tumhari genration ko ye sab bate sunna chahiye. Isse tumhe aage margdarshan milega.
Main- ha pandit ji me bate janta bhi hu or manta bhi hu.
Pandit- bahut badiya. Tumhara chehra dekhkar lagta hai kuch puchhna chahte ho mujhse.
Main- aapne sahi kaha. Mere man me kuch sawal hai jinka jawab me dhund raha hu. Aap agar mera margdarshan kar sake to badi meharbani hogi aapki.
Pandit- isme meharbani kaisi. Tum jo chaho vo puchh sakte ho. Jitna mujhe gyat hoga me is aadhar per apne uttar de dunga tumhe.
Main- dhanyabaad pandit ji. Vaise me ye bate Aapko kahunga to kahi aap ise mera pagalpan na samaj le. Lekin pichhale kuch dino me mere sath kuch ghatit hua hai. Jisse me pori tarah se hairan hu.
Pandit- ham sun rahe hai. Aage bolo kya ghatit hua hai tumhare sath.
Main- Aapko yaad hai isi raste per jungle me log gayab ho rahe the.
Pandit- ha
Main- to baat ye hai ki.
Uske baad maine unhe sari ghatna sabistaar Bata di. Ki kya hua or kaise hua or jaisa Maine socha tha pandit ji ka muh khula ka khula reh gya ye sab bate jaankar
Pandit- kya sach me aisa hi hua tha
Main- jaha tak mujhe yaad hai bilkul aisa hi hua tha. To ab mere man me kai sawal uth gye hai ki aisa kaise sambhav hua. Or mere sath hi kyu. Or sabse bada sawal ki jis thirdeye ko shivji ke aalwa keval 1 ya 2 log hi khol paye hai. Use me itni aasani se kaise khol leta hu. Yahi sab sawal mujhe paresan Kar rahe hai. Kya aap is sab me mera margdarshan kar sakte hai.
Meri bato ko gour se pandit ji ne suna or samjha or uske baad vo bole.
Pandit- beta is sawal ka jawab tumhe bahar kahi nahi milega. Kyuki is prithvi per aisa koi nahi jo tumhare in sawalo ka jawab de sake. Sivay bhagwan ke. Or tumne kaha ki tumhare man se aawaj aai tab tumne dhyan lagaya tha. To tumhe apne in sare sawalo ke jawab apne man me hi talash karne honge. Apni thirdeye ka istemal Karo or apne sawalo ke jawab prapt karne ki kosis Karo. Or agar tumhe ye karne se safalta nahi milti hai. To jaha tak me janta hu jald hi tumhare jeevan me kisi ka aagman hoga. Jo tumhare sare sawalo ke jawab dega. Or tumhare is jeevan ka kya lakshya hai vo tumhe batayega. Ab jab tak aisa koi tumhare jeevan me nahi aata hai tab tak tum swayam hi apne sawalo ke jawab dhundne ki kosis Karo. Mujhe lagta hai ki tumhara janm jarur hi kisi mahan uddesya ko pora karne ke liye hua hai.
Ye sab sunne ke baad mere man ko thodi shanti to mil hi gyi thi ki mujhe mere sawalo ke jawab jald hi Milne lagenge.
Main- aapki bate sunkar mujhe ye aabhas ho raha hai ki jald hi ye samay bhi aane wala hai. Or me us samay ki besabri se pratiksha karunga. Or aapse ek vinti bhi karna chahunga ki aap ye bate kisi ko bhi na bataye. Kyuki ek to koi inper Yakeen nahi karega. Or dusra kisi ko agar is Baat per Yakeen ho gya to meri samasya bad sakti hai.
Pandit- beta tum bilkul bhi chinta mat karo. Ye baat mere seene me marte dum tak dafn rahegi. Or me bhagwan se prarthna karunga ki jald hi tumhare sare sawalo ke jawab tumhe mil jaye. Or tumhare jeevan ka lakshya bhi tumhe prapt ho jaye .
..
Ye sab sunkar Maine pandit ji ka aasirbaad liya. Or baha se ghar nikal gya.
To be countinue……………..