Vikram singh rana
Active Member
- 510
- 3,084
- 138
Update 50“is kaam me bahut khatra hai jiva bhai ek bar fir se soch lijiye akhir komal aapki bahan hai “
Ye Tiwari ki awaj thi jo ki mere kaano me padi , main abhi uske kamre me hi jane wale the aaj MLA ke ghar me hamla karne ka irada tha sidhe sidhe ladai aar ya paar wali kahani thi ..
Bhuwan aur main wahi ruk gaye the ..
“bahan are kaha ki bahan mera baap mandir se utha kar laya tha use ..”
“kya ..” idhar Tiwari buri tarah se chouk gaya tha wahi mere kano ko is bat par abhi bhi viswas nahi ho raha tha ..
“ha .. iske maa baap ko kisi ne maar diya tha, to pujari ne ise utha liya … mere maa baap dharmik adami the , pujari ne use kaha tha ki ye koi khas ladki hai , bahut takatwar hogi aur pata nahi kya kya, iske sath ek pustak bhi diya tha pujari ne mere baap ko .. isliye mera baap use sakti sakti bolta rahta tha .. mujhe bhi lagta tha ki ye koi khas hogi lekin kabhi samjh nahi aaya ki kya khas hoga … lekin jab isne un lawando ko maara tab samjh aaya ki ye to Sali puri katil hi hai … logo ko aise katati hai jaise koi gajar muli kaat raha ho , tab apun samjh gaya tha ki isme kya khas hai aur mera baap iska itana kyo khyal rakhta tha ..”
“he bhagwan “![]()
Tiwari ka muh khula ka khula rah gaya tha ,
“aapke pas wo pustak hai, kya aapne kabhi wo purstak padhi thi “
Tiwari jaise kuchh soch kar bol utha
“are kaha re , wo to sanskrit me thi aur hame kon sa sanskrit padhna aata hai … aise bhi abhi wo kaha hai mujhe nahi pata , kabhi jyada dhyan bhi nahi diya tha … aise mera baap bolta tha ki jab sakti ko uska sachcha pyar mil jayega tab uski shakti jagrit ho jaayegi , yahi uska bhawishy hai … fir jab maine tujhe dekha to samjh gaya ki ab uske sath kuchh ho sakta hai aur dekh ………”
Tiwari bas jiva ko ankhe fade dekh raha tha
“aur aise hame in sabse kya apna to kaam ho raha hai na , ab MLA aur Kareem ko markar main aur tu is shahar me raaj karenge , tu bas komal ko control kar use pyar me fansa kar rakh taki ham jo bhi bole wo use bas chup chap karti jaaye ..”
Jiva ki bat sunkar mere nasho ka khoon mere dimag me doudane laga tha , chahra tam tama kar lal ho chuka tha , tabhi bhuwan ne mere kande par aapna hath rakha …
“nahi komal , bina puri jankari ke koi bhi nirnay lena ghatak ho sakta hai “
Uski bate jaise tapte hue marshtahl me paani gir gayi ho , main shant hone lagi lekin abhi bhi mere kaan unki bate sun rahi thi , bhaai se bichhudne ka gam to tha lekin abhi apne prem ki bat bhi sunnai baki thi ….
Aur Tiwari bola
“wo to thik hai jiva bhai lekin … main sirf MLA bankar nahi rakhna chahta aur ager aisi bat hai to iska matlab ye hua ki komal ko sirf main hi control kar sakta hu …..
Aur mere karn hi uski takat hai .. tab to dhandhe me meri hissedari aur bhi badhni chahiye “
Main daya ki bato se na sirf stabdh thi balki aisa laga ki mere sine me jaise koi gahara jhakhm kar diya gaya ho …
Maine jis shakhs se prem kiya wo mujhe mahaj istmaal kar rahaa hai ……
Idhr jiva Tiwari ki bat sunkar hansane laga
“waah beta itani jaldi apne rang dikha diya .. chal thik hai lekin 2 me se ek hi chij milegi , ya to power le ya paisa le … ab tujhe khurshi bhi chahiye aur paisa bhi ye kaise ho sakta hai .. tu apne khurshi ke dam par bhi to kamayega “
Jiva ki bat sunkar Tiwari thodi der ke liye chup ho gaya
“ek kaam karte hai jiva bhai pahle is MLA aur Kareem ko nipta dete hai fir aage ki sochate hai “
“ha ye sahi rahega , ja jakar komal ko taiayr kar ..”
Unki ye bat sunkar main jaar jaar ro rahi thi lekin bhuwan mujhe samhalta hua mere kamre me le aaya tha …
Wo na jane mujhe kya kya samjha raha tha , maine use apne banho me kas liya tha .. wo mere balo ko sahlaye ja raha tha main bas roye jaa rahi thi ……..
“abhi nahi komal abhi nahi .. in sabse jawab mangenge lekin abhi nahi “
Usne mere kano me kaha aur jaise maine uske bat ko maan liya , maine apne ansu pochhe ..
“aaj sakti ka khel hoga, khooni khel “
Main apne talwar nikalte hue wanha se nikl gayi thi…………
Aur fir khooni khel shuru hua , maine MLA ko kai tukado me kaat diya , jiva aur Tiwari ka pura gussa maine wanha nikala tha , dekhne wale bas dekh rahe the , goliyo ki bhouchhar ho rahi thi aur apne tej talwaro se logo ko muli ki tarh kaat rahi thi …
Mere alawa kisi ne bhi koi hathiyar nahi uthaya ha … naa jane kitani lashe maine gira di thi ,main to ginati bhi nahi thi .. bas khoon se likh diya tha diwalo par …. Sakti ………
**********
Tiwari aur jiva MLA ke marne ka jashn mana rahe the tabhi main apne kamre me naha rahi thi ….. pure jism me khoon ki chhite thi , bathroom ke bahar Bhuwan baitha hua tha kisi soch me dooba hua tha ……..
“komal wo pustak wo to tumhare pas hai na “
Main naha kar nikali aur Bhuwan ki ankhe badi ho gayi wo bas ankhe fade mujhe hi dekh raha tha …..
“komal tum “
Bhuwan itana hi bol paya tha , mera pura jism nanga tha aur abhi abhi nahane ke karn paani se puri tarh se bheega hua tha, baalo se paani ki bunde tapak rahi thi .. mere sudol aur narm jism me abhi bhi nami barkraar thi ..
Main ithalati hui aayi aur Bhuwan ki god me baith gayi ..
Bhuwan mano kaanp gaya ho , wo abhi mere bister me hi baitha hua tha …
“ye kya kar rahi ho “
“galti ho gayi thi mujhse ,main samjh nahi paayi ki main kisse pyar karti hu “
Maine apni banhe Bhuwan ke gale me daal di thi , maine apne hotho ko uske hotho par rakh diya lekin Bhuwan abhi bhi koi pratikriya nahi de raha tha ..
“hato komal .. tum abhi pareshan ho .. ye pyar nahi hai ye bas gussa hai ..”
Maine uski ankho me dekha , meri ankhe gusse se lal ho gayi thi , ye shakhs mujhe thukara raha tha … lekin Bhuwan ki ankho me mere liye bas pyar hi tha , koi dar nahi ……..
Maine pas pada talwar utha liya jo abhi bhi na jane kitane logo ke khoon se bheega hua tha , maine use bhwuan ke gale me rakh diya
“mujhe naa bolega “
Maine gusse me kaha , aisa lag raha tha jaise main khud ke kabu me nahi rah gayi hu ,
Lekin wo hansa ..
“tum mujhe dara rahi ho “ main bas gusse se use dekhte rah gayi , mere muh se koi bhi awaj nahi nikal rahi thi ..
Tabhi kamre ka darwaja khul gaya ..
Samne Tiwari muh faade kha tha , uske hatho me sharab ki ek botal thi , wo bahut hi khus lag raha tha… lekin hame is halt me dekhte hi uske chahre ki hawaiya ud gayi …….
Main nagn bister me Bhuwan ke god me baithi hui thi aur mera talwar uske gale se laga hua tha …..
Ham dono ne Tiwari ko dekha , janha Bhuwan thoda jhep gaya tha wahi mujhe jaise koi fark hi nahi pada…
“ye.. ye kya kar rahi ho komal ..”
Mano Tiwari ka pura nasha hi kafur ho gaya ho , wo haklaane laga tha ..
“bhaag ynha se maderchod warna isi talwar se tera gala bhi kaat dungi “
Main garji aur asisa main tab garajti thi jab main shikar karti thi ..
Meri awaj sunkar hi Tiwari kaanp gaya tha , uske ankho me dar utarne laga tha .. uske kadam pichhe hone lage the ..
Wo darwaja band karne laga ..
“ruk … darwaja khol ke rakh …duniya ko bhi to pata chle ki ynha kya ho raha hai ”
Wo kuchh bhi nahi kah paaya … wo bas pichhe hat gaya … mera chahra gusse se tamtma raha tha ..
Lekin abhi bhi Bhuwan ki ankho me koi bhi dar nahi dikh raha tha aur yahi bat mujhe aur bhi bechain kar rahi thi …
Usne mere galo ko sahlaya , mere balo me apni ungaliya feri ……aur … aur mere hotho me apne hotho ko mila diya ……..
Mere ankho se ek ansu gir gaya aisa laga jaise main fir se hosh me aa gayi thi ………
“wo pustak kaha hai komal …… mere pita ji ne kabhi mujhe sakti parampara ke bare me bataya tha , mujhe lag ki wo pagal adami kuchh bhi bolta hai , lekin mere pita ji tumhare aur purajari ji ke mitra the , aur ab mujhe bhi lagta hai ki koi aisi bat hai jo hame janna bahut hi jaruri hai …..”
Maine haa me sar hilaya ..
“pita ji ne apne antim samay me mujhe wo pustak di thi , aur kaha tha ki jab tumhe apna pyar mile to ise padhna … maine aaj tak use nahi padha tha shayd aaj wo samay aa gaya hai “
Ham dono ke hoth fir se mil gaye the …….
Update 51Hamare samne ek lal rang ke kapde me lipti hui ek kitab thi , kahne ko to ye mahaj ek ktiab thi lekin mere liye ye mere jivan ka ek adhayay hone wala tha..
Bhuwan ne use khola , ek bahut purana document tha jo ki puri tarh se maila ho chuka tha , kagaj pile pad chuke the , lekin likhawat ab bhi spast thi , bas dikkat ye tha ki ye Sanskrit me tha, aisa nahi tha ki hame Sanskrit nahi aata , ham Sanskrit jante the lekin utana nahi ki pura anuwad kar sake ..
“ise kisi Sanskrit ke jankar ke pas le jana chahiye “Bhuwan ne sujhaw diya ..
“hummm lekin koun ..”
Bhuwan ne bas thode der apna dimag lagaya
“college ke Sanskrit ke professor ke pas chalte hai , wo apne time ke university topper bhi the “
Hamne jyda der nahi ki aur sastri sir ke pas pahuch gaye ..
Ab ham bhale hi pure college me badnaam the lekin fir bhi college ke kai teachers jante the ki ham log ek sidhe sadhe se student hi the jinhe wakt ne aisa bana diya tha ..
Unme ek sastri sir bhi the ..
“ye kya hai … koi bahut hi purani pustak maloom hoti hai “
Unhone pahle to bade hi dhyan se use dekha aur fir padhne lage ..
“ye to koi kahani maloom hoti hai , hai kya ye “
Ab ham unhe kya batate ..
“pata nahi sir bas mere pita ko pandit ji ne diya tha aur kaha tha ki jab main mar jau to kisi gyani wakti ke paas jakar is kahani ko sun lena .. ab isme kya hai hame nahi pata lekin mere pita ji ki aagya thi to… kya aap ise padh sakte hai “
Professor sahab ko gyani bolne ki der thi ,unka chahra hi chamak gaya ..
“ha bilkul , baitho main ise padh kar sunata hu “
Aur wo use padhne lage ….
Saar kuchh aisa tha …….
“ye pustak use padhna ya sunna chahiye jo iska uttradhikari ho , sakti ki santaan ho .
Sakti kon hai ..??
Ek shraap diya gaya tha , ek mahila ko , ek sadhu ke dwara ..
Mahila ki bhi koi galti nahi ki wo to bas sadhu ke prem me fans gayi thi aur sadhu ki sadhna me vighan dalane ki galati kar di ..
Shrap diya gaya ki tere aur tere santaano ke ander kaali sakti aa jaaye ….
Tu manav na rahe balki rakshas ho jaaye , khud ko bhi samhal na paaye, jis prem ko paane ke liye tune ye sab kiya .. ja tu apne sachche prem ko bhi nahi pahchan payegi ………
Mahila komal hriday thi wo royi bahut maafi mangi , sadhu ka dil narm hua use apni galti ka ahsaas hua , lekin jo sankalp le liya gaya tha wo wapas nahi ho sakta tha , isliye unhone ye kaha ki shraap waisa hi rahega ..
Lekin .. ye sakti har pidhi ke sath sath kam hote jaayegi ,kewal mahila santaan me hi payi jaayegi , aur tab tak pragat nahi hongi jab tak sachcha prem na mil jaaye .. sachche prem ko tum to nahi dhundh paogi lekin wo prem tumhe dhundhega , aur tumse milan ko bechain rahega.. tum use inkaar karti rahogi … idhar udhar bhatkogi lekin akhir me pahchan hi logi …..
Ye Sakti ek shraap hai jo pidhi dar pidhi jaati jaayegi , sakti parampara me janmi har mahila ke ander wahi takat hogi jo uski maa ke pas thi , lekin jab tak koi sachcha pyar na mil jaaye ye takat viksit nahi hoga ..
Sakti hamesha apane sachche prem ko lekar uljhan me rah sakti hai , lekin apne dil ki sunne par use sachche prem ki pahchan hogi , aur uska premi hi uski takat ko kabu me karne ki yogyata rakhega ..
Dono premiyo ke milan se utpann mahila santaan ke paas hi ye adamy sakti pahuchegi aur iska jagaran aur samapan dono hi uske premi ke dwara hoga ..is tarh dheere dheere hi sahi lekin ye shrap khatm hote jayega … “
Itana bolte bolte sastri ji ruk gaye …
Aur najar uthakar mujhe dekhne lage ..
“isme antim me likha hai ki , ye pustak jankari ke liye pidhi dar pidhi badate jaayegi …….. matlab tum hi …”
Maine ek gahri sans li
“are nahi , ye pustak to Bhuwan ke pita ji ne ise di thi … bas isme likha kya hai ye jannae ki bahut hi utsukta thi ..”
“ok okk “
****************
ham dono hi ek kamre me baithe hue the ..
“to ab to maan lo ki main tumhara sachcha pyar hu ..”
Bhuwan ne sharart se kaha..
Main bhi muskura uthi ..
“lekin Bhuwan mere maa baap ko kisne mara hoga “
Bhuwan ne ek gahri sans li ,
“jiske pas aisi takat ho uske to kai dushman ho sakte hai komal … aur ye mat bhulo ki ye takat koi wardaan nahi hai , balki ek shraap hai … tumhe isse mukt hona hoga .. “
Maine bhi ek gahri sans li
“ha lein shraap ya vardaan ye kon tay karega , wo to isse hi tay hoga na ki iska istmaal kaise kiya jata hai “
“nahi komal … aaj tak iska upyoge sirf logo ke katal karne ke liye hi kiya gaya hai , tumne naa jane kitane logo ko aise hi kaat diya .. bina kisi karan hai … ha kya karan tha unhe marne ka .. power .. wo bhi dusaro ke liye .. nahi komal tumhe bas use kiya jaa raha hai aur main ye nahi hone dunga “
Bhuwan ne ek gahri sans chhodi ………
Wahi main bhi isi soch me dubi hui thi …………..
HmmmmmmmUpdate 52flashback over
“to kya uske baad aapne un logo ko chhod diya “
Is bar maine prashn kiya tha , komal ne mere ankho me dhyan se dekha aur fir apni beti yani bhabhi ko bade hi pyar se dekha ..
“ha bachcho , uske bad hi maine aur Bhuwan ne ye faisala kar liya tha ki ham dono in sabse dur chale jayenge , main aur katale aam nahi karna chahti thi , isliye ham dono ne ganw me aakar basane ka faisala kiya ..
Aur rato rat hi wanha se bhaag gaye ,aur Bhuwan ke sath rahte rahte main shant hote gayi , ye sakti badi hi ajib chij hai .. prem se hi jagati hai aur premi ke sath shanti se rahne par dheere dheere ye kam hote jati hai aur ant me khatm ho jati hai …. Shayd meri maa isiliye maari gayi kyoki unki sakti khatm ho chuki thi “
Ham sabhi raat se baithe the abhi subah ke 6 baj chuke the , chaay aa chuki thi aur chuskiyo ke sath sabhi apne apne khayalo me kho gaye the …abhi hame bahut kuchh janna baki tha lekin sabse bada sawaal jo mere dil me aa raha tha wo ye tha ki kya bhabhi me bhi wo takat hogi aur akhir kon hoga unka ashiq ..??
Bhaiya to nahi the ye bat to saaf thi , ager wo hote to abhi tak unme ye power jaag gayi hoti , kahe anusar bhabhi us premi ko nahi pahchan payegi lekin wo usse milan ko bekraar rahega , akhir koun hai jo unse milan ko bekraar rahta hai …??
Main soch me pada tha ki meri najar bhabhi par gayi , wo mujhe ajib nigaho se dekh rahi thi aur mere dil me ek bijali si koundh gayi ………
Main …………
Ha main ……
Main hi to wo ashiq hu … main hi to bhabhi se milan ke liye bekrar rahta hu , main bhabhi ke liye waisa hi hu jaisa komal ke liye Bhuwan tha , jisse bhabhi bhi bahut pyar karti hai lekin us pyar ka naam kuch alag tha , yahi Bhuwan ke sath bhi tha , Bhuwan komal ko pyar karta tha ,use apna banana chahta tha , maje ki bat ye hai ki komal bhi use pyar karti thi lekin uske pyar ko kabhi pahchan nahi paayi , jab tak ki use Tiwari ki bewafai ke bare me nahi pata chal gaya , aur Bhuwan par hi hamla hone par komal ki sakti bahar aayi thi ………?
Yahi same case to mere aur bhabhi ke sath bhi tha , bhabhi ko hamesha hi laga ki wo bhaiya se pyar karti hai , lekin asal me wo mujhse bhai se bhi jyada pyar karti thi, lekin us pyar ka Swaroop kuch aalag hi tha …
Shayd hamare bich jo akarshan hai , wo isi ki or sanket de raha hai ki ham ek dusare ke liye hi hai .. lekin main bhabhi ke liye hu to fir Neha ?? Neha ka kya hoga ..
Meri najar Neha par padi , wo bhi bade hi gahare soch me doobi hui mujhe dekh rahi thi , naa jane uske dil me kya chal raha ho ..
Tabhi mere phone ka ring baja , ye Akki tha …
“Akki itane subah subah kaise phone kar raha hai “
Maine apne man me hi kaha
“hello bro “
“bhai ek ajib chij ho gayi “
“kya ..?”
“yaar mujhe kisi ne dhamki di hai, wo khud ko Shiva batata hai , wahi jisne itane sare katl kiye hai ,wo bol raha tha ki jis ladki se main jyda mil jul raha hu usse na milu warna mujhe bhi waise hi maar dalega jaise ** ganw me logo ko maara tha, wo ye bhi bol raha ha ki jis aourat ganw me wo log pakde hai wo asali Shiva nahi hai asali Shiva to wo hai …….”
Akki ki bat sunkar mere chahre ka rang hi ud gaya tha ,
“tune ye bat aur kisi ko batai kya ??”
“ha sus ko batai thi , usi ne kaha ki tumhe call karu ..”
“okk main tujhe ek no. de raha hu usse bat kar le mera naam batana aur puri bat bata dena… aur ek chij bata aaj kal kya tu sus ke sath jyda ghum raha hai “
“ha tu aur Neha jab se ynha se gaye ho tab se sus ke sath hi ghumta hu , uske sath hi tuition jata hu aur aajkal wo mujhe college ke liye lene bhi aa rahi hai “
Maine ek gahri sans li aur use na darne ka bolkar Kajal ka no. de diya ……
“kya hua “
Bhabhi ke pochhne par maine sari bat bata di
“kya ..?? lekin Shiva bankar to katal komal hi kar rahi thi na ..??”
Neha chilla uthi thi ..
Wahi komal ne Neha ko ajib nigaho se dekha
“tum pagal ho gayi ho kya , maine kab kaha ki main katl kar rahi thi .. maine to bas ye bataya ki main hi sakti thi , aur ha abhi ganw me jo Chanchal ko fasaay tha usme mera hath jarur tha , ye kaam maine aur sonu ne milkar kiya tha .. lekin baki ke katal se mera koi lena dena nahi hai “
Unki bat sunkar sabhi ke chahre ka rang ud gaya tha , abhi tak to sabhi unhe hi wo katil samjh rahe the jisne shahar me bhi Shiva ke naam se katal kiye the ..
“abhi bhi phone karne wala mard hi tha aur sabhi katal to ek aourat ne kiye hai , aisa phone mujhe bhi aaya tha jab main sus ke sath jyada ghum raha tha mere khayal se iske pichhe sus ke bhai sager bhi ho sakta hai kyoki wo sus ke pichhe pagal hai “
“un sabka pata Kajal laga legi , tum log abhi thoda aaram kar lo raat bhar se jaag rahe ho “
Is bat bolne wala Dr. tha …
Ham sabhi ne haa me sar hilaa diya .. aur apne apne kamre me chale gaye , abhi bhi bahut sari bate khulani baki thi , shayd aaj ki mahfil me baki ki bate pata chale ……
Dophar ka waqt tha ham sabhi fir se ek jagah ikaththe hue the abhi bahut sari bate Janani bachi thi …
“to aap logo ne bataya nahi ki komal ji aapke sath kab se thi “
Maine sabse puchha , bhabhi aur mahima (Neha ki maa) ne ek dusare ko dekha ..
Fir mahima bol padi
“shuruwat to tumhe hi karni chahiye Ankit “
Maine muskurate hue komal ki or dekha unhone bhi ankho ke ishare se mujhe aage badne ki hami de di ..
“humm bat tab ki hai jab bhabhi aur bhaiya ki shadi hui , uske bad se hi main kabhi kabhi college ki tarh ghumane jata to inki chay ki dukaan me jarur jata tha , wanha ye(komal ) mujhe pyar se biscuit, ya samoshe khilaya karti thi ,isliye main aur mere dost free ki biscuit ya samoshe khane pahuch jate the …aur ye kyoki meri bhabhi maa ki tarh dikhati thi mujhe inke pas jana aur bhi achcha lagta tha…
Ganw chhodne ke bad mujhe kabhi kabhi inki chinta hote rahti thi ki kahi bhaiya inpar bhi apna gussa na dikha de ..
Jab us din main apne dosto ke paas ganw gaya tha aur wanha se lout raha tha to ynha aane ke bad main fir se wapas ganw chala gaya , main un logo ko jaan se maar dena chahta tha jinhone meri bhabhi aur bhai ki ye halt kar di thi , main wapas ja hi raha tha ki mujhe ye mil gayi .. ye Dr. ke bulawe par wapas aa rahi thi , main behad nashe me tha aur maine inhe bataya ki main Chanchal ka katal karna chahta hu , to inhone meri madad ki bat ki , mujhe laga ki yahi Shiva bhi hai aur isliye logo ko maarna inke liye koi badi bat nahi hogi, to ham dono milkar mere purane gahar pahuch gaye… main apne ghar ke bare me achche se janta tha isliye mujhe jyda dikkat nahi hui aur jo hua wo aap sabke samne hai …….”
Sabhi ne ek bar komal ki taraf dekha jo ki halke halke muskura rahi thi ..
“dekho maine us din sonu ki madad isliye ki kyoki un logo ki wajah se meri beti ko ye din dekhna pada tha, wo to main is ganw me nahi thi warna in logo ko pahle hi sabak sikha deti … lekin main Shiva nahi hu , bas is katal ke liye Shiva ka naam liya tha “
Komal ne bade hi masoom se andaaj me kaha , itane logo ko gajar muli ki tarh katane wali masoom si komal
“aur aap dono .. aapko ye kab mil gayi thi “
Maine bhabhi aur Mahima ( meri sas) ko dekhte hue kaha ..
Dono ke chahre khail gaye the ..
“to pahle koun batayega “
Bhabhi ne Mahima ki or dekha …
Aur Mahima ke kahna shuru kiya …………
Good updates
All are good
Mostly last 52.....very good....
50and 51 thode disappointing the.....or iska reason he.....bina kisi kaaran ke fantasy ki shuruwat hona.....
Jabki aapne kanhi bhi fantasy or supernatural ya magic ko tag nahi kiya he....
Dusri chij SUSPENSE or THRILLER tab tak hee dam dar hota hai jab tak ki usme fantasy ko na milaaya jaaye....
Ise aise dekh sakte hai ki....fantasy ko aap kabhi bhi kaise bhi mod sakte ho.....mare ko Zindagi kar sakte ho....Zindagi of mar sakte ho....kisi ko bhi god level power me dikha sakte ho....
Lekin suspense or thriller aisa jo ak bar likh diya jata hai...wo waisa hee rahta hai....fantasy ki tarah usne baad mai sadharan a hi kiya jaaye sakta....
Third.....jiva ka to pahle hee pata the ki use komal se koi khas laga available nahi hai..use paisa or power chahiye Saath hee don ban na he....
Lekin use kaise pata ki komal aisa kuch power hai jo hidden hai.....Saath hee wo markat karegi to iska fayada hoga....
Use to sanskrit padhna nahi aata....prabha a uske baba ne use kuch bataya tha....
Ha last wala update52 kaafi jyada achcha tha...khas kar tab jab Shiva naam use karne wala koi or hee nikla jo ki abhi tak chhupa hua hai....
Ankit agar komal ko pahle se jaanta tha to use iss baat ka kaise pata nahi ki aarti kis gaanv ki hai or agar pata tha to use iss baat ka bhi pata hona chahiye ki ak hee gaanv me ak hee shakal ke 2 logo ka hona coincidence nahi ho sakta.....
Ya to use pahle se pata tha ya phir aapne kuch loop chhod diya...
Khair Dekhte hai aage kya hota hai
Anyways
Good update
Thanks
Last edited:


) ko dekhte hue kaha ..

dhanywad sir ji