Sabhi91
Active Member
- 1,397
- 3,975
- 159
Superb Anand bhai......SAAJAN
UPDATE- 228
5th Janam Ki Love Story Continues....
Ab kisi bhi tarah ka nirnay karne ke liye meri samarthya shakti bhi jawab de chuki thi…chitra ne to kabhi socha bhi nahi tha ki kabhi ye din bhi dekhne padenge..vivash ho kar mujhe bhi uske sath bhagna pada.
Vaha se bhag kar abhi kuch door hi pahuche the ki samne ki pahadi se doodh ke jharne bahte huye nazar aane lage…gulab jamun se lade huye vriksho se bhara hua ek bagicha nazar aaya.
Chitra—arrey wah..! yuvraj dekho gulab jamun..chalo khate hain..
Jitu—chup..vo bhi mujhe to dristi bhram hi lag raha hai..iss chakkar me mat pado..aao aage chalte hain..
Main chitra ka hath pakad kar aage nikal gaya..kuch aage aur chalne par kal kal kar ke bahti huyi ek nadi dikhayi padi…chitra ko pyas lagi thi to maine socha ki chalo do ghoont pani hi pi liya jaye.
Jaise hi chitra ne hatheli me jal bhar kar pine ka prayas kiya vaise hi….
Ab Aage…….
Jaise hi chitra ne hatheli me jal bhar ke pine ka prayas kiya vaise hi uske muh me pani ki jagah par dhool bhar gayi..usne chounk kar apne hath ki taraf dekha to usme pani ka namo nishan tak nahi tha…dhool andar jate hi uska dimag bhan bhana utha..usne dubara hatheli me jal le kar dekha to pahle pani hi nazar aaya lekin muh me lagate hi vo pani gayab ho kar dhool me badal gaya.
Chitra—yuvraj..ye kya ho raha hai….? Ye pani apne aap dhool kaise ban ja raha hai…?
Jitu—shayad tum bhul rahi ho ki hum tilism ke andar hain…yaha ki har cheez tilismi hai…sab kuch ankho ka dhokha hai..isliye pani chhodo aur aage badhne ki taiyari karo..
Chitra—hmmm..chalo…manhoos nadi hai ye…dikhta to bahte huye pani hai, lekin pite hi dhool bhar jati hai muh me..
Hum dono nadi paar karte huye dusre kinare par pahuch gaye…uss kinare par niche dhalaan tha..dhalaan par utarte huye hum behad satark aur savdhan the aur kisi bhi musibat ka samna karne ke liye bhi main taiyar ho chuka tha.
Halanki bhagwan ki ye kripa rahi ki ab tak koi aisi musibat gale nahi padi jisse ki hathapayi karne ki naubat aayi ho…lekin aage bhi nahi hoga, aisa nahi kaha ja sakta hai…ye tilismi kshetra hai to aage kuch bhi ho sakta hai, kisi bhi prakar ki samasya samne aa sakti hai..marg me koi bhi kathinayi ka samna ho sakta hai..chalte huye maine apne mastisk ko chaitanya karne ka prayas kiya.
Chalte chalte andhera hone laga to aisa laga jaise ki suryast ho gaya hai ..halanki abhi tak hame ek bar bhi surya devta ke darshan nahi huye the to phir raat hone ka to prashna hi paida nahi hota hai kintu andhera hone ke karan hame aisa prateet ho raha tha jaise ki suryast ho chuka hoga.
Ab raatri vishram ke liye vaha koi sthan to tha nahi..sone ke liye palang ki vyavastha bhi nahi thi..odhna, bichhouna kaha se ayega, ye to sochna hi bekar tha.
Chitra—yuvraj, thand lag rahi hai..yaha aag nahi jal sakti kya…?
Jitu—lakdiya to mil jayengi lekin aag jalayenge kaise…?
Chitra—itna bura din bhi dekhna padega, iski to maine kalpana bhi nahi ki thi..
Chitra ka kahna bhi theek hi tha…aisa jatil samay bhi uske jeevan me aa sakta hai, usne kabhi socha nahi hoga…yeh sari jhanjhat khadi huyi thi uss gufa me pravesh karne ke baad…hum vahi ke ek vat vriksh (bargad ka ped) ke upar chadh kar baith gaye..aur soch vichar karne lage.
Abhi hum yaha se aage badhne ke baare me soch vichar kar hi rahe the ki tabhi hame apne sharir me jakdan si mahsoos hone lagi..maine dhyan se dekha to vat vriksha ki jade dhire dhire badhte huye hamare paas pahuch kar hame apni agosh me jakad chuki thi…maine bahut koshish ki lekin hath pair hilana to door, gardan ko idhar udhar nahi hila pa raha tha.
Chitra (tension)—yuvraj, kuch karo…ye kya nayi musibat gale aan padi…?
Jitu—main kya karu..mera bhi to vahi haal hai..jab hath pair tas se mas honge tabhi to kuch karunga na... ?
Chitra (pareshan)—ab mera kya hoga…? Main abhi nahi marna chahti yuvraj…mujhe to abhi aapke do darzan bachcho ki maa banna hai..jaldi se kuch karo na..
Jitu—arrey chup…yaha jaan bachane ki sochne ki jagah tera dhyan abhi bhi bachcho par hi atka hua hai..
Tabhi te dekh kar main chounk gaya ki samne se ek chakra badi tezi se hawa me tairta hua ussi vriksh ki taraf chala aa raha tha jiski latao ne hame jakad rakha tha.
Chitra (chilla kar)—yuvrajj..vo dekho..vo chakra hamari gardan kaatne aa raha hai..mujhe bachao yuvraj..
Jitu—chup rah..
Vaise chitra ka ghabrana bhi jayaz hi tha kyon ki uss chakra ki jamin se unchayi bilkul hamari gardan ke barabar hi thi, agar koi chamatkar nahi hua to hamari gardan ko karne se koi nahi rok sakta tha.
Chitra—hey prabhu, ab tu hi hame bacha..nahi ho ab mera pranant hone wala hai….agar main yuvraj ke bachcho ki maa bane bina hi marr gayi to tumhe bahut paap lagega bhagwan..isliye mujhe bacha le..
Chakra apni masti me apni hi raftar se vriksh ki oar badha chala aa raha tha, aur vriksh ke karib pahuchte hi chakra ne apni unchayi se kuch niche jhukna shuru kar diya aur dhire dhire vo hamare pair ke jitna jhuk gaya…aur usne uss vriksh ko kaat diya.
Ye dekh kar chitra ki jaan me jaan aayi thi ki agle pal vo phir se ghor ashcharya me doob gayi jab chakra ne vriksh ko utha kar upar hawa me udna shuru kar diya to..hum dono bhi ussi vriksh me baithe huye the isliye hum bhi vriksh ke sath sath udte ja rahe the.
Upar vriksh me baithe huye bade bade pahad, nadi, jharne niche bahte huye dikhayi de rahe the….udte huye vo chakra akash ki anant unchayi par pahuch gaya..kano me sirf chakra ke chalne ki su-su-su ki awaz ke atirikt aur kuch bhi sunayi nahi pad raha tha.
Upar se dikhne wale drishya atyant manoram the kintu hum inn manoram drishyo ka koi anand anubhav nahi kar pa rahe the aur anand anubhav karne ka prashna hi paida nahi hota jab jaan janjal me phansi ho to…sath me jab iss baat ka koi bharosa hi na ho ki kab, kaha aur koun si ghatna ghat jaye. Ya ghatna achanak kis taraf naya mod le le…drishya kab, kis prakar badal jaye.. ye sabhi prashna soch samajh aur maanviya buddhi se bahar ho chuke the.
Chakra pata nahi kitne samay tak akash me udta raha..kintu pahado ki talahti me ja kar ke vah niche ki taraf jhukne laga aur ek chote se ashram jaise lagne wale sthan par ja kar vo niche utra..niche utarte hi usne uss vat vriksh ko vaha ki samtal bhumi par sthapit kar diya aur phir chakra achanak hi gayab ho gaya.
Chitra (shocked)—ye ..ye chakra kaha gayab ho gaya…?
Jitu (hairan)—pata nahi..meri to khud hi samajh me kuch nahi aa raha hai abhi..
Tabhi dusri ashcharya janak ghatna ghat gayi…hua ye ki vat vriksh ki jin jado ne hame jakad rakha tha, vah jade bhi vilupt ho gayi..kintu vat vriksh apni jagah vahi sthit iss tarah khada tha jaise ki yahi par chote se bada hua ho…hum dono vriksh se turant niche utar aaye.
Chitra—ye koun si jagah hai…? Hum ye kaha aa gaye hain... ?
Jitu—mujhe kya malum... ? samne ek ashram hai, chalo vahi chal kar pata karte hain..
Chitra—mujhe to ab ashram me bhi jane me darr lag raha hai…kya pata vaha jate hi koi nayi musibat gale na phans jaye…? Jane se pahle achchi tarah se soch lo yuvraj..
Jitu—chitra, jab yaha ki koi bhi ghatna hamare niyantran me nahi hai to jaisa bhi hoga dekha jayega...chalo ashram me chalte hain.
Chitra—hmmm...lekin aap pahle mera hath pakad lo kas ke..agar aap par koi sankat aaya to main apni kulhadi se kaat dungi..
Jitu—hahahaha...tum aur tumhari kulhadi....hahaha
Chitra—haso mat aur mera hath pakad kar chalo jaldi se..
Maine chitra ka hath pakad liya kyon ki main janta tha ki vo thoda dari huyi hai...uska hath pakad kar main ashram ke mukhya dwar se ashram me pravesh kar gaya...andar pahuchte hi ye samajh me aa gaya ki ashram nishchit roop se kisi yogi, sanyasi ya pahuche huye tapaswi ka raha hoga..ashram ke bhitar bade hi anokhe aur ashcharya janak drishya vidhyaman the..
Hum abhi ashram ke andar chalte huye kuch door hi gaye the ki kuch dekh kar hum chounkne par vivash ho gaye...kyon ki vaha koi sadhak ped se ulta latka hua mantro ka jaap kar raha hai..koi sadhak jal me niche sir kar ke upar pair kiye huye jal sadhana me leen hai...koi ek pair par khada hua hai to koi dharti par pada hua hai.
Kintu kul mila kar vaha jitne bhi sadhak nazar aaye sabhi chitr vichitr sadhanao me leen dikhayi pad rahe the...tabhi ashram ke bhitar se do sadhwiya prakat huyi aur hamare samne aa kar khadi ho gayi.
Unhone hamara swagat karte huye kuch kaha lekin unki bhasa hamari samajh me nahi aayi...kintu unke kahne ka ashay avashya hi main samajh gaya tha ki vo kahna kya chahti hain... ?
Shayad vo hamse bhitar chalne ka anugrah kar rahi thi..dono sadhwiyo ke sath chalte huye hum dono ashram ke ghaas phoos se nirmit ek kaksh me pahuch gaye jaha unhone hame jalpan karaya...uske baad unhone hame vishram karne ko bol kar vaha se chali gayi.
Kuch samay taduprant dono sadhwiya phir upasthit huyi aur unhone phir hamse kuch kaha lekin iss bar bhi unki bhasa hamari samajh me nahi aayi...hame to ye bhi samajh nahi aaya ki vastav me ye bhasa koun si bhasa hai... ? sansar ke kis kone me boli jati hai... ? kam se kam aaj ke adhunik sansar me to yeh bhasa shayad kisi bhi rastra me nahi boli jati hai...
Mujhe iss baat ka yakin to ho chuka tha ki ho sakta hai koi puratan bhasa rahi hogi…? Philhal sadhwiyo ka ishara samajh kar hum dono bhi unke piche piche chal pade..chitra mera hath pakad ke bilkul chipak kar chal rahi thi..
Chalte huye kuch kshan baad hum unn sadhwiyo ke sath ek bade se kaksh me pahuch gaye jaha koi mahan sadhak apni sadhana me leen baithe huye the..kintu unke darshan karte hi hame ek ashcharya ka mahan jhatka laga..
Aisa kya dhekh liya Jitu ne. Shayed wo pahle v mil chuka hoga us sadhak se....
Waiting for next.....
Hello, Ladies & Gentleman,