- 2,116
- 10,756
- 143
Thanku soo much bhai shandar support k liyeBehtareen update to darman ka ant hua.
aise hi saath banaye rakhe??
Update 65 posted.....
Thanku soo much bhai shandar support k liyeBehtareen update to darman ka ant hua.
AMAZING UPDATE BHAI SUPER
Waiting for next update
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update dostUpdate - 53
Jaise hi dono skhalit hue woh prakash punj Dono k sharir mein sama gaya.....Abhi ..ko prapt ho gayi ....Divya drishti ....Adrishya ..hone ki shakti.....
sampurna gyan ....Nirman shakti .....aadi apni saari shaktiya ....Vibhu ..ki bhi ab saari shaktiya jaagrit ho gayi thi ....
ab aagee......
Madhur milan k ahsas ko apne bhiter sanjoye dono ek dusre ki baahon mein so jaate hai ....subah ...bramhamuhurat mein ...4 baje ...Abhi ki neend khul jaati hai ...apne nitya karm se nivrit hokar ..woh dhyan mein baith ..jaata..hai ....
Dhyan ki prakriya ..mein pratam ..triband ...pranayam .....karke ....Muladhar ...chakra se dhyan karte hue uppar k chakro mein ...ek ..ek..karke dhyan karne lagta hai ....ab ..tak ..uske Voshuddhi chakra tak k chakra hi jaagrit the ....parantu ab iss milan k baad ....aaj vishuddhi chakra se uppar ..bhrumadhya mein aagya ..chakra ...mein dhyan karte hue pahuncha ....jaha ..usse ..sampurana gyan ...aur ...brahmand k rashasyo ka pata chala ....aagya ..chakra ...mein ...pahunchte hi uski divya drishi jagrit ho gayi ...ab..usse ..kai ..drisya....
ek..saath.dikhayi..dene ..lage...inn.drishyo..mein....
Arsalan...Dhara..aur..Darmen..k jeevan ..ki ..kuch..zhalkiya thi
ab..usse..apna..sharir..pahele.se.aur..adhik..urjawan...mehsus..ho.raha..tha..apne..bhiter..kai..
prakar..ki ..siddhiya..aur..
Shaktiya..woh..spasht..dekh..
sakta..tha.....aagya..chakra..se..uppar..jab..woh...Sahstrar chakra mein pahuncha tab usse apne vastavik swarup ka gyan hua ..aur ..yahi par usse aur ek alag urja ..ka aabhas hua ...toh usne uss urja par apne dhyan kendrit kiya ..yeh urja uske chakro ki urja se bhinn thi ...uss urja ..aur ..uske ..srot ..ko..janane k liye jab woh aur gahan dhyan mein utra.....
Abhi .uss urja ..k mool tak pahunchne ka prayatna kar hi raha tha ....k usse apna sharir ..bilkul halka lagne laga ....jaise ...uska koi vajan hi na ho .....uski shwas prashwas band ho gayi thi ..phir bhi ...usse isase ...koi taklef nahi ho rahi thi ...usse aisa lag raha tha k jaise woh ...aisi jagah ..tair raha ho jaha ....kissi bhi prakar ki koi vaayu nahi thi ....
Tabhi ek bhayankar visfot ki aawaj se ...uska dhyan tut jaata hai ....saamne jo drishya tha ..usse dekhkar...Abhi ascharya chakit ho jaata hai ....woh iss samay ..antariksh mein ..bina ..kissi aadhar k tha .....waha...usne dekha .....ek bahut bada tarra ...tutkar ..antariksh mein bikhar chuka hai .....yeh woh kshan tha ..jab ..humare solar system ...ka janm hua tha ....usse ...samay ..Abhi ..ko ek chota se ..navjat shishu dikha ...jo....uss dhadhakte hue ...taare k bade se tukde ki or tezi se jaa raha tha ....jisse aaj hum ..surya ...Sun..ityadi naamo se pukarte hai ...
Abhi ..turant uss ..shishu ...k ...paas..pahuncha ..aur..jaise hi usse pakadne k liye haath badhaya ....waha ..ek prakash dwar utpanna ho gaya .....woh uss shishu k saath uss dwar mein khinchta chala gaya....atyadik prakash k kaaran uski aankhien ban ho gayi ....jab uski aankh khuli toh usne apne aapko ek jungle mein paaya ....Abhi ne dhyan se uss jungle ko ..dekha ...woh ..jungle usse ..chir..parichat ..sa..lag..raha..tha...
tabhi ..usse ..zhadiyo ..k picche kuch ..sarsarahat ..ki aawaj ..aati..hai.....toh..aage ..bahdhkar...un..zhadiyo..mein zhankne lagta hai.....usse..waha....wahi..baccha...jamin..par..pada..nazar..aata..hai....uske saamne ek ..sher....khada ..usse dekh..raha..tha....tabhi..woh..sher..jor..se..dahada.....aur...kahi..se..ek..teer..aakar...uss.sher..ki..
gardan....mein .laga..aur..woh..wahi..dher..ho..gaya......
Abhi ..apne ..bachpan ki ghatna ....apne saamne ghatit..hote ..hue..dekh..raha...tha....tabhi...uski..nazar..Karma..aur..uske...saathiyo.par.padi....Karma..ne...aage..badhkar..uss shishu ko hriday se laga liya ....yeh drishya Abhi badi utsukta k saath dekh raha tha ...tabhi ..usne un.zhadiyo ..mein se jo choti dali pakdi hui thi..woh...tut..gayi..
.jiskaaran..woh..unn zhadiyo..par..girgaya.....Karma ..ka ..dhyan ..uss taraf gaya toh usne apne saathi ko ..kaha...
Karma - shambhu ..jara dekhna toh muzhe lagta hai unn zhadiyo mein koi hai ...Abhi ne woh aawaj suni ...jab tak shambhu waha pahunchta ..Abhi waha se wapas ..apne ussi samay mein pahunch jaata hai ...jaha woh dhyan mein baitha hua tha ....
abhi ..suryaday ka samay ho raha ..tha....Vibhakta bhi uth chuki thi .....woh apne bister par nahi thi .....Abhi apne kaksh se bahar aaya......uski nazar ugte hue surya par padi ....aaj usse woh surya ....prithvi ....sab kuch apne se lag rahe the .....ab ..woh iss baat ko jaan chuka tha ....k ...uska janm inn sabke janm k saath juda hua hai ..aur ..kyu ..usse ..Arin grah ...se itni dur ....yaha iss grah par aana pada ....
Abhi ..aage badha hi tha k saamne se aata hua usse Karma nazar aata hai ...Jarma ko dekhkar ek baar phir uska mann shraddha se bhar jaata hai ....woh aage badhkar Karma k pair chuta hai ..toh Karma usse uthakar apne gale se laga leta hai ....
Karma - accha hogaya .beta ..tum yahi mil gaye ....muzhe tumse kuch jaruri baat karni thi ....
Abhi - kya baat hai pitashri .....
Karma - beta ....hum yaha aise kab tak rahenge ....ab aage kya karna hai ..sab..issi sandarbh mein tumse baat karna chahte hai ......
Abhi - thik hai pitashri ...mein bhi yahi ...baat karne aaraha tha ....
dono waha se ek bade se kaksh mein aajaate hai ....jaha sabhi ..baithkar kuch charcha kar rahe hote hai ......Abhi ko aaya hua ..dekhkar ...sabhi shant ho jaate hai ....tabhi ...Nebhru khada hota hai ...
Nebhru - dekho na Abhi ..yeh saare log apne nagar jaana chahte hai ....maine inhe bahut samzhane ka prayatna kiya ....k woh jagah surakshit nahi hai ...hai ...sabke waha jaabe se Darmen phir humla karega ....parantu yeh log sunane k liye tayyar hi nahi hai ....
Abhi - inka kahna thik hai ...hume ab aise chupkar rahene ki koi aawashyakta nahi hai ....
Ferron - parantu ..Darmen chup nahi baitha hoga ....woh...sabko ..dhund ..raha hoga ..waha sabke jaane se usse yeh baat pata chal jaayegi ...aur aise mein phir sabke prano par sankat aasakta hai.....
Abhi - ab Pata lagne par bhi woh kuch nahi kar sakega ....aap muzhpar vishwas rakhe ...
Uske baad Abhi ...sabko ...waha se ..apne tute fute nagar le jaata hai ....Abhi ..aur Vibhakta ...Nirman shakti k dwara ...uss nagar ko purvavat bana dete hai ......
Abhi ...Abhi apni Nrman shakti ...aur urja dwara ...nagar ...k charo or aise suraksha ghera banata hai ..jisse koi bhi ...shakti bhed kar nagar k bhiter pravesh nahi kar sakti thi..
Kawach ka nirman karke Abhi ..Karma ..aur Nebhru ..par yeh jimmedari saunpta hai ..k ...kissi bhi ...paristhiti mein koi bhi ....Nagar k seema ..k bahar nahi ..jaana chahiye ....
Uske baad Abhi ..Ferron ko uski ..Bijli aur baarish ..tugan ..ki shaktiyo wala trishul usse wapas karta ..hai.....
Ferron - nahi bhai ab muzhe iski koi awashyakta nahi hai .....yeh shakti tumahare paas hi thik hai ..meine humesha hi ..inn shaktiyo ko durupayog hi kiya hai
Abhi - iss samay ..hum .ek .yudh ki stithi mein hai aur aise samay mein aapka shaktihin rahna thik nahi hai ....aur waise bhi jab aapne inn shaktiyo ka durupayog kiya tha ....tab ..aap..Darmen..k sammohan mein the ....issilye aap apne mann se yeh apradh bodh ..nikaldo ...usmein aapka koi dosh nahi tha ......
Uske baad Abhi ..Glaco ..aur Catospher ko bhi maansik sandesh bhejkar bula leta hai ....dono ..thodi hi der mein dono aajaate hai ....
Abhi Galco ko bhi uski ..agni aur prakash ki ..urja wapas kar deta hai ......
Catospher ...poore hosho hawaas mein pahli baar Abhi se mil raha tha .....uske paas ...mind controlling power thi ..isskaaran ..Abhi se mukabla hone k baad ...usse kuch kuch toh yaad tha ...baaki baatein usse Glaco ne usse bata di thi .......Abhi ..se..milkar usse bahut khushi hui ....
Abhi se milkar woh apne kiye ki usse kshama maangta hai .....
Sabhi bahiyo aapas mein milkar bahut khush hue ....abhi unhe ....Zecro ...aur Neilster ..ki kami khal rahi thi ...
Catospher - Aaj ..itne varsho baad hum sab ek saath hai ..parantu abhi bhi ..Zecro aur Neilster ..ki kami khal rahi hai....jaane kyu mera antarman kah raha hai ..k ..Darmen jarur ..jarur unke saath..kuch..na..kuch..bura karne wala hai ..hume ..unhe bhi jald se jald yaha laana ..chahiye ....
Abhi - Chinta mat karo bhai ..mere hote hue ..uhne kuch nahi hoga ....bahut jald hi woh bhi humare saath hi honge ......
uske baad ..waha .ki suraksha ...aur ..yudh ..nitiyo par kuch charcha hoti hai ....uske...baad Abhi apne kaksh mein aakar ....apni nayi shakti divya drishti ...ka... prayog karke ...Darmen ki gatividhiyo par dhyan kendrit karta hai .....tabhi ..uske bhrumadhya ..mein ..waha ..drishya ..pragat hojaata hai ......
usne ..dekha ..k Darmen ..ajeeb si tarango ...se yukt ek prakash punj mein pravesh karta hai ...aur ..ek pal mein hi ...waha se ...adrishya ho jaata hai ....tabhi uska dhyan ....Neister par jaata hai ....Jo ghayal awastha mein waha pada hua tha .....aur ...eaha maujood Darmen ...k..sainik ...apni laser gun thame ....uspar pranghatak ...humla karne hi wale the ....
Darmen ki di hui samat awdhi samapt hone par jab woh prayogshala ...pahuncha ....
Darmen - Meri di hui samay seema ab samapt hogayi hai ..Neil ....
Neilster - ji Mahamahim .....humare dono prayog safal ho gaye hai ...parantu ....
Darmen - kya ..parantu .....yadi dono prayog safal ho gaye toh yeh parntu kya hai .....
Neil ster - Mahamahim ....aapki ..shakti ..aur ..vigyan ...k samanvay ..se ...banaya ...gaya...Jadui taboot ..poori tarah bankar tayar ..hai....parantu....samay ..yatra...yantra....
Darmen - Neil ...lagta ..hai ...ab...tum ab jeevit nahi rahna chahte ....tum jaante the ..yeh yantra mere liye kitna aawashyak hai ...jab tum isse bana nahi sake toh ab marne k liye tayar .ho jaao ...
Neilster - nahiii.....Mahamahim ...pahele meri poori baat toh sun lijiye ....Yeh yantra bhi poori tarah tayar hai ....Kewal kam urja k kaaran ...yeh kissi bhi time zone mein sirf 15 min hi rah sakti hai .......
phir woh Darmen ko uss yantra k baare mein saari jaankari deta hai k kis prahar woh samay mein aage ...aur piche jaa sakta hai .....
Darmen - hmm toh yeh baat hai .....koi baat nahi ...muzhe jo karya karne hai uske liye toh itna bhi samay paryapt hai ...tum ..sach mein apne pita ki hi tarah adbhut ho ....tumahari kami muzhe humesha khalegi ....
itna kahkar Darmen k chehre par ek kutil muskan aagayi ....Aur usne ..Neilster par ..apni urja se vaar kiya .....jisase woh buri tarah jakhmi ho gaya ....
Darmen ..apne sewak Evom se ...
Darmen - Evom ...Arsalan k iss bete ne hamari badi seva ki hai ....isse tohfe ..mein aisi maut do ...k ...Iski aawaj ..aur tadap ..iske apno tak pahunche ...
Evom - ji ..mahamahim .....
itna kahkar ....Darmen ...time machine mein baithkar kissi time zone mein pahunch jaata hai ....
Abhi k liye itna hi .....
Agla Update jald hi .....
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update dostUpdate - 54
Darmen Evom ko Neilster ki mrityu ka aadesh dekar time machine mein baithkar kissi time zone mein pahunch jaata hai ....
ab aagee....
Abhi ne Jab Divya Drishti se Dekha ke .....Neilster ke pranon per Sankat hai toh vah turant teleport hokar Darmen ki prayogshala mein pahuncha ......waha Darmen ke Sainik laser gun Lekar Neilster ko ghehre Hue Khade the .....Neilster Zakhmi halat mein unhen Katar Drishti se dekh raha tha ....Kisi bhi Samay vah Sainik use per Pran Ghatak Hamla Karne Wale the
Abhi ko Achanak Aaya Hua Dekhkar Evom aur vah Sainik hadbada Gaye... unn sainiko ne apni laser gun Abhi par tan di ...aur uspar ...lesar ..gun se humla karne lage ....unn laser gun ki kirno ka Abhi par koi bhi prabhav nahi pada .....usne turant apni talwar se ...ek zhatke mein unn 4 sainiko ko ..maut k ghat utar diya ....Evom abhi ko aur uski shaktiyo ko jaanta tha issiliye woh Abhi ko dekhte hi chup gaya tha ....
Neilster ki haalat bahut Gambhir thi Abhi ne usse apne kandhe par uthaya aur turant teleport hokar Apne Nagar pahuncha aur apne kaksha mein le jakar Bistar per Leta Diya... usne Apne healing power se Neilster ke ghav ko theek Kar Diya....aur apne sabhi bhaiyo ko mansik sandesh bhejkar waha bula liya ....
Tabhi ...Neilster ko bhi hosh aajaata hai ...hosh ..aate ..hi ..uski ..Nazar Abhi par aur apne bhaiyo par padti ..hai....
Neilster - kyu laaye ho tum muzhe yaha .....Nebhru ...yeh..tum acvha..nahi ..kar rahe ..ho..mahamahim k virudh jaakar .....tumahare aur uss Abhi k kaaran ...hum sab maare jaayenge ..
Nebhru - kiss mahamahim ki baat kar rahe ho ..ussiki ...jisne tumahari itne varsho ki sewa k badle yeh paritoshik diya hai .....hosh mein aao ..bhai....Darmen kabhi ..himara nahi hosakta hai ..
Neilster - woh mahamahim hai hamare kuch bhi kar sakte hai ....
Abhi jaanta tha ..iss samay bhi Neilster Darmen k sammohan mein hai ...uske paas itna samay nahi tha ...k ..woh usse sammohan se bahar laata ....uska janana ..bahut jaruri tha .k aakhir Darmen kaha ....hai ....issiliye ..usne ...Neilster ki aankhon k jariye uske dimag mein zhankar dekha toh ..Abhi ko ..Samay yatra yantra k baare mein pata chala ....
Samay yaatra par hone k kaaran .. Abhi divya drishti k dwara usse nahi dekh sakta tha ....Abhi soch hi raha tha k ab aage kya karna hai ....tabhi ..achanak .uska dam ghutne laga ....uski aankhon k aage kuch drishya aane lage ....jismein ..Dhara....pida ..k kaaran ..bahut ..adhik tadap rahi hai .....aur ...Arsalan ...uski aur uske garbh mein apne bacche ..k jeevan ki raksha ...ki ishwar se ..prarthana karte hue ....uski pida dur karne ka prayatna kar raha hai .....
woh drisya dikhte hi ..Abhi ki ..samay yatra ki shakti phir sakriya ...hogayi aur woh pahuch gaya ussi samay mein .....
Darmen ...ne ..time machine k ..dwara ..Abhi k janam lene k samay mein pahunchkar Arsalan aur uski garbwati patni ko ...maarkar .....Arsalan dwara banaye gaye mahaastra ....aur ...time machine hatiyane ki ..yojna banayi thi ....
Jiss samay ..woh uss samay mein ..Arsalan k yan mein pahuncha ....uss samay Dhara ko prasav pida shuru hui thi ..aur ...Arsalan ....usse sambhal raha tha....iss samay Arsalan ka dhyan poori tarah Dhara par tha ...
Yahi sah mauka jaankar ..Darmen ..ne ..apni
paranghatak ..adrishya...
kaali..shaktiyo ka vaar ...Dhara...par..kiya ...woh vaar Dhara ko lagte ...hi ..uski pida aur badh..gayi ...Kaali shaktiyo ka woh vaar ..jaise ..uske ..aur ..garbh..mein pal rahe uske bacche k pran lene ko udyat tha...parantu ..Nebhru ka diya hua ..Raksha kawach ....uss vaar ki pranghatak shaktiyo ko rok raha tha .....uss vaar aur raksha kawach mein jause ek jang chidi hui thi ...jiss kaaran Dhara ko bahut adhik pida ho rahi thi ...Arsalan ...apni urja se ..usski pida harne ka prayatna kar raha ..tha....aur dekhte hi dekhte .....Dhara ki pida bhi samapt hui aur ussi samay uske garbh se ek divya shishu k roop mein Abhi ka janm hua ...
Apna vaar ...bekar ...hua ..Dekhkar ..Darmen ...ka krodh badh gaya ....Usne apni talwar ..nikali aur ..Arsalan ki taraf ..badh..hi ..raha..tha...k..kissi ne usse picvhe se pakad liya .....iske pahele woh kuch samazta ...woh pal bhar mein yan k bahar tha ....
kissi ne majbuti se ...apne baajuo mein uski garden jakdi hui thi ....usne apne aapko chudaya ..aur ..mudkar dekha toh waha Abhi ..tha.....
Darmen - toh aakhir ...tumne ...Samay yaatra ..ki shaktiyo ko prapt kar hi liya .....parantu tum kya sochte ho tum ...muzhe rok paaoge ......
itna ..kahkar ....usne ..urja ka ek vaar Abhi par ..kiya ....woh..vaar..itna prabhavshali tha k uske lagte hi .....Abhi antariksh mein ..tairte hue ...piche ....ek asteoride se takraya .....Darmen ek baar phir yaan ki taraf badha hi tha ..k ..ek jordar mukka ..uske jabde par pada ....woh bhi picche ...ek asteoride se takraya aur ..woh ..chur..chur..ho..gaya....
Darmen k paas samay kam tha ....kyu ki uske ....15 min poore hone mein ...2 min bakki the ....issiliye woh Abhi se iss samay ulazne nahi chahta tha ..nahi toh ..woh issi time zone mein kaid hokar rah jaata ....woh ..apne haath..k gadjet ..ka..button dabakar ..time machine ko pragat karne hi wala tha .....k Abhi phir uspar zhapat pada ....k tabhi ....ek ...bhayankar visfot k saath...ek bada sa meteorite Arsalan k ..yaan ..k saath takraya ....aur...woh yaan...aur..
Meteorid..tezi se ....Milky way ..k ek bade se taare ki ..taraf badhe ....
Vifot k kaaran Abhi ka dhyan ....bhatak gaya ..issi ..ka fayda ..uthakar ...Darmen ...wapas...uss.time zone se nikalkar .....apne ....mahal aaya .....Apne lakshya k itne paas aakar ....Abhi ..k kaaran usse paa nahi saka....iss...kaaran ..usska ..krodh ..aur..badh..gaya
.....kewal 15 min ki samay seema wali time machine k kaaran....Neilster par usse ..bahut krodh aaya ....aurAbhi k Neilster ..ko bachakar le jaane wali ..khabar ne ..iss.....krodh ....ki ..agni ..mein ...
ghee dalne ka kaam kiya ......aur ussne Evom ko maarne k liye talwar utha li ....
Evom - kshama kare mahamahim ....maine bahut prayatna kiya ..parantu ...aap jaante hai ..mein uska saamna nahi kar sakta......
Thodi hi der k Abhi se hue mukable mein usse Abhi ki shaktiyo ka andaja ho gaya tha ....issiliye usne Evom ko jaane ..diya.....
Darmen chahta ..toh ..Abhi k Dhara ..k garbh mein aane..se pahele k time zhone mein pahunchkar ....Arsalan aur Dhara ko maar sakta tha ...parantu ....usska ..pahla lakshya tha ....Arsalan dwara ..banaya gaya...Mahaastra ...aur ..time machine haasil karna ...issiliye usne ussi time zhone ko chuna tha ...
Abhi jab apne nagar se nikla tha ....toh yaha Neister ne hungama macha diya tha .....woh ab phir Darmen k paas jaana chahta tha .....iske pahele ....woh ...waha se jaata ....Catospher ne apne mind controlling power se usse shant kiya ...aur sammohit kiya ....
Catospher - kaali shakti k sammohan mein hone k kaaran yeh jyada der ..mere samohan mein nahi rah sakta ...kuch hi der mein isspar se mera sammohan hat jaayega ...phir isse rokna sambhav nahi hoga ...
Nebhru - toh aisi awastha mein hum kya kare ...kyu ki iss samay Abhi yaha nahi hai ....woh hi hai jo isse kaali shaktiyo k sammohan se mukt kar sakta hai ....
abhi yeh log charcha kar hi rahe the .....k Vibhakta ...kaksh mein pravesh karti hai .....
Vibhakata - kya baat hai aap kisse mukt karne ki baat kar rahe the .....( phir Neilster ki taraf dekhte hue ) lagta hai inhe hosh aagaya hai ..parantu yeh aise kissi mruti ki tarah baithe kyu hai .
tab Nebhru ne usse poori baat batayi...
Vibhakta - iss baare mein main aapki sahyata kar sakti hu ....
uske baad ..Vibhakta ..k nirdesh anusar Neilster ko bister par lita diya ...Vibhakta ...ne uske sar par haath rakhkar ..apne satvagun ki urja ko sakriya kiya ...jiske prabhav se ..dhire dhire ..Neilster ..Kaali shaktiyo k sammohan se mukt ho gaya ....
ussi samay ..Abhi ...bhi ..wapas ..apne kaksh mein aagaya tha ....Vibhakta ko ..Neilster par apni shakti ka prayog karte hue dekhkar ...usse badi khusi hoti hai yeh jaankar ..k Vibhu bhi ab apni shaktiyo ko samaz chuki hai ....
Neilster ab ..poori tarah se Darmen k sammohan se bahar aagaya tha .....Sammohan tutte hi ...usne apne vismay bhari drishti se apne charo taraf dekha ....
Neilster - yeh sab kya hai Glaco
...mein yaha ..iss awastha mein kaise aur tum sab ..yaha kya kar rahe ..ho ..( phir Abhi ..ki taraf dekhte hue )
yeh ..kaun kaun ..hai ...jo bilkul pitashri ki tarah dikhta hai .....muzhe kuch samaz nahi aaraha ...koi batayega muzhe .....
Neilster ki yeh baatien sunkar sab khush the ..kyu k uski aisi baatein hi iss baat ka suchak thi ..k woh ...ab...Darmen k sammohan se mukt ho gaya hai ....Nebhru ne aage badhkar usse gale lagaya ....
Nebhru - shant hoja mere bhai ...shant ho ja ...tumahare wapas aane ki hime bahut khusi hai ....
Neilster - parantu mein kaha gaya tha ...jo wapas aagaya.....
Catospher - aap kahi nahi gaye the ...bas ..kuch der shant rahiye aapko sab gyat ho jaayega ....
uske baad ...Catospher ...uski aankhon mein dekhte hue ..apni power se ...uske antarman k saath juda ..aur ..ussi..ab ..tak ki saari smritiyo ko mukt kar diya .....
Neilster ko ab sabkuch yaad aagaya ....Abhi ko dekhkar ...woh khada hua ..aur ..aage badkar gale laga liya ....
Neilster - Muzhe badi khushi hui bhai ..tumhe ...thik dekhkar ....humare lobh k kaaran Humne apne mata pita se hi vidroh kiya aur uss dusht Darmen ka saath diya ....hum sab milkar uss Samay Darmen ko rok sakte the .....parantu ..humare lobh ...k kaaran ...usne cgalaki se hume apne vash mein kiya ...aur humne apne ...devta swarup ..mata pita ko kho diya ....aaj ..ussi kaaran ..humara ..rajya ..nasth ho gaya ....aur ..hume woh chodkar yaha aana pada ....
jiss Rajya sukh ko prapt karne k liye ..humne mata pita se droh kiya ....woh hi nasth ho gaya aur hum bas Darmen k gulam bankar rah gaye.....
Abhi - woh sab ab purani baat ho gayi bhai ab hume ekjut hokar uss Darmen ka saamna karna hai ....
Neilster - ab usse rokna aur kathin ho gaya hai ....uske paas ab time machine hai ...jisase ..woh kissi bhi ..samay ..mein pahunhkar ulat pher kar sakta hai ....uff...yeh maine kya kar diya ....mere hi kaaran woh ab aur jyada shaktishali ho gaya ..
Abhi - aap iskeliye apne aapko dosh na de ....uss samay aap uske vash mein the ....
Uske baad thodi der unn sab mein baat chit hoti hai .....
Abhi ko ab apne mata pita ka pata bhi lagana tha jo uss visfot k kaaran kissi ..black hole mein kaid ho gaye the ....issiliye woh ussi samay mein phri pahuncha thik visfot se pahele ....
Abhi cahata toh Arsalan aur dhara ko ...visfot se pahele bachakar nikal sakta tha ..paratu aisa karne se ..sara ghatnakram hi badal jaata ....Unke saath saath woh ...woh apne bal roop ko bhi bacha leta ...jiss kaaran pritvi par bitaya ab tak ka uska samay nast ho jaata ...issiliye ...kissi ghatna....mein fer badal kiye bina usse bas yeh ..dekhna tha ..k uske ..Mata pita uss visfot k baad kaha kho ..gaye ...
Abhi Arsalan k yaan par poori satarkta se apni dristi jamaye hue tha .....tabhi ...woh Visfot hue ....usne ...uss yaan k prakhche udte hue dekhe .....aur saath hi ...apne shishu roop ...ko ..phir dekha ....tezi se ...surya ki taraf badhte hue ....aur ...Arsalan aur aur Dhara ko bhi dekha jo majbooti se ek dusre ka haath ..pakadkar ...Milky way galaxy k madhya bhag ...k black hole ki taraf badi tezi se jaa rahe the ......Abhi ne ..uss Black hole mein Arsalan ..aur Dhara ko pravesh karte hue dekha ......
Uss drishya ko dekhkar uski aankhon mein aansoo aagaye the ....kyu ki woh chahkar bhi iss samay unki koi sahyata nahi kar sakta ..tha ....kyu ki woh jaanta tha k purva mein ghatit ghatnao se ched chad ka arth hai sampurba ghtna kram ka badal jaana ....
Ab usse pata chal chuka tha ..k uske Mata pita kaha ..kaid ..hai ...issiliye ab woh apne samay mein wapas lautkar unhe jaldi se jaldi mukt karana chahta tha .....
abhi woh inn sab k baare mein soch hi raha ..tha ..k uske ..hriday ..mein usse bahut adhik pida ka anubhav hua ...kissi anishit ki aashanka se ...uska antarman kaap gaya ....woh turant waha se ..apne samay mein apne nagar pahunha ....toh yaha ka drishya dekhkar ....jaise uske pairo tale jameen khisak gayi .....
Saara nagar tahas nahas hua pada tha .....charo taraf laashe hi laashe thi .....woh ghabra kar ..apne bhawan ki taraf badha .....toh ...marg mein usse ... ..Glaco....Ferron ....Catospher ...Glaco ....sabke ..shv ..mile ....apne bhaiyo k kshat vikshat shav dekhkar ...woh poori tarah tut chuka tha ....uske aankhon se lagatar ashru dhara bah rahi thi .....woh apne bhawan k paas pahunchta hai ...jo ab poori tarah malbe mein badal chuka tha ....
wahi paas mein usse Nebhru usse apni antim saanse lete hue dikha ...Abhi daudkar ...uske paas pahuncha ....aur uska sar ...godi ..mein lekar usse pukarne laga ....
Abhi ki aawaj sunkar Nebhru ne badi mushkil se apni aankhien kholi ...
Abhi - Bahiya ...utho ..na ..bhai ...yeh..sab ..kya ..hua....kissne...
Nebhru - muzhe ...kshama ...kkk...ar...dddo..bhai...meinn..kkkkuch...nnnnahi kar saka ....Woh...Darmen ....Pitashri..ka...Mahaastra....prapt .....
itna kahkar usne apni antim saas li ..aur mrityu ko prapt ho gaya ...
Abhi apne bhawan k mable ko hatakar apne .paalak mata pita ..aur patniyo ko khojne ..laga ...toh ...usse Karma ..aur ..Neeru ki bhi kshat vikshat laashe ....malbe mein dabi hui nazar aayi ....Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ka koi pata nahi tha k woh kaha hai ....
Abhi apna sabkuch haar chuka tha ...woh wahi ghutno k bal baithkar ....rone laga .....
Abhi k liye itna hi ........
Agla Update jald hi .......
Shaandaar mazedaar lajawab update dostUpdate - 55
Abhi apne bhawan k malbe ko hatakar apne .paalak mata pita ..aur patniyo ko khojne ..laga ...toh ...usse Karma ..aur ..Neeru ki bhi kshat vikshat laashe ....malbe mein dabi hui nazar aayi ....Shivali ..Ritu ..aur Vibhakta ka koi pata nahi tha k woh kaha hai ....Abhi apna sabkuch haar chuka tha ...woh wahi ghutno k bal baithkar ....rone laga .....
ab aagee......
Abhi jab apne mata pita ka pata lagane ..uss time zone mein gaya ...tha....uske pahele ..Darmen ..waha..pahanch gaya ..tha....jis samay uss kaal k Darmen ...dwara ...Arsalan k yaan par humla hua .....
uss humle k kaaran Arsalan k antariksh yaan ki saari machinary band hone lagi aur yaan kaanpne laga ....Arsalan ko ...kissi bade khatre ka aabhas ho gaya .....usne ...Dhara aur ....apne bacche ko ..lekar apni time machine mein ..pahuncha ...tabhi usse apne banaye hue maha astra ka dhyan aaya ....
apni patni aur navjaat shishu ko uss machine mein chodka ....woh uss Maha astra ...ko lene ....badha ..jo ..uss..yaan ..mein bani ek choti si prayogshala mein ek box mein surakshit tha ....
woh uss tak ..pahunchne hi ..wala tha .....k uske pith par kissi ne ek jordar mukka maara ...jisase woh aage muh k bal gir gaya ...Arsalan ...apne par hue .apratyashit ....vaar..se..usne apne aapko turant sambhala ...aur utha gaya ...usne dekha Darmen ...uss maha astra ki taraf badh raha hai
Arsalan jaanta tha k yeh maha astra ..yadi Darmen k haatho laga toh anartha ho jaayega ...issiliye usne ..apni poori shakti ..sametkar ....uspar chalang lagayi .... aur lapakar ...piche se apni ..majbut baaju uski gardan par kad di ...Arsalan apna poora jor ..laga raha tha ....jisase Darmen ka dum ghutne laga tha ...uski saanse ukhad rahi thi ....Daen ko apni maut nazar aane lagi thi .....
Darmen ...Arsalan ..ki ..shakti ...ko ..acche se jaanta tha ...Usne ..badi ..mushkil se apne aappar niyantran ...paaya ...aur ....apni shaki ...ekatrit karke ...Arsalan k changul .....se ...gayab hokar ..uske piche ..pahunch gaya ...aur ....usse uthakar jor se patak diya ...iske pahele ...k ..woh ..sambhalta ....Woh maha astra ....Darmen k haatho ..mein tha .
Arsalan aage badha ..hi ..tha ....k Darmen ne uspar uss maha astra se vaar kar diya ....aur Astra lekar waha se chala gaya ......Dhara..ne jab dekha k ..Arsalan ..ko aane mein der ho rahi hai ..toh woh apne bacche ko wahi time machine mein chodkar ...Arsalan ..ko dhundte hue pahunchi ...Arsalan ..waha pada tadap raha tha aur apni antim saanse le raha tha ....Dhara ..rote hue turat uske paas gaya ...aur uska haath ..pakda ..hi tha ..k ....k wahi ...jordar dhamaka hua .....
Darmen ..maha astra lekar sidha ...Abhi ko dhindte hue ..uske .nagar mein pahuncha ....Aur uss maha astra se ..charo taraf tabhi machane laga ...uss maha astra k vaar se kuch hi pal mein ..saara ..nagar shamshan mein badal gaya ...tab ..tak ..Nebhru aadi ...bhi bhawan se bahar aagaye ....jinhe ...kuch hi palo mein Darmen ne samapt kar diya ....
itna vinash uss astra ki shakti se kuch hi palo mein ho gaya ...Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta ...unhe samazne ka mauka hi nahi mila ......jab tak unhe kuch samaz aata tab tak sab kuch nasht ho gaya ..tha .....woh ..teeno....ne ....Karma ..Neeru aur bhawan ..mein bache hue ..logo ..ko ..Surakshit sthan par ...pahuchane ka prayatna kar hi rahe the ...k tabhi ..Darmen k vaar se ...woh vishal ..bhawan ...bharbhara kar gir pada ...aur pal bhar mein hi uske malbe ..dabkar ...sab samapt ho gaye .....
itne Vinash k baad bhi Abhi ka koi pata nahi tha ...issiliye ...woh waha se wapas apne bhawan aagaya ....usse pata tha ..k yeh vinash dekhkar Abhi jarur ....waha aayega ....
yaha ..bhawan k malbe mein dabne ..k baad ..bhi Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta ...surakdhit thi ..unhe ek kharoch bhi ..nahi ..aayi ..thi......woh ..malba hatakar bahar aayi ...toh dekha ..kuch hi palo mein sab kuch khatam ho gaya ...jisse dekhkar unka ...krodh seema par kar gaya ....
Yaha ..Darmen apne bhawan mein baithkar ....Abhi ka ..intajar kar hi raha tha .....k achanak usska poora bhawan kaanpne laga ....Mahal ki majboot deeware ...tutne lagi ....Darmen Mahal se bahar nikla hi tha ..k uska vishal mahal ....dah gaya ....jis kaaran charo taraf ...dhul aur mitti ka gubar utne laga .....Mahal k malbe mein uske saare gulam sewak ..uski patni Claira ..aur uska beta Jacob dab gaye the .......
Darmen ne apni urja se ..jal ki varsha ki jiss kaaran ....hawa mein udti hui dhul aur mitti ..niche baith gayi aur ab usse sabkuch ..saaf saaf ...dihkayi dene laga ....
Saamne ..Abhi ..ki teeno patniya ...chandi roop dhar k khadi thi ....
Darmen .....mahal k malbe ..mein dabi apni patni aur bete ko nikalne k liye aage badha hi ..tha ..k ..Shivali ne apni ..urja ka prahar ...uss par ..kiya ....jisase woh piche gir pada ..jisase uska krodh aur badh gaya .....aur Woh unn teeno k saamne aaya .....
Darmen - lagta hai ....tumahara ...pati muzhse darkar kahi chip gaya hai ....jo tumko yaha bheja hai .....aise kaayar pati k paas rahne ka kya laabh jo apni patniyo k picche chupe ....tum teeno ...meri ho jaao toh mein tumahare saare apradho ko maaf kar dunga ....
Ritu - murkh Darmen ....apni ..vaani ko viram de ....tune kya samzha hai naari ko .....aaj hum tera kaal bankar aayi ....itna kahkar Ritu ..apni shakti se uspar vaar karti hai ....
Jisse Darmen sahaj hi rok leta hai .....aur ...uska vaar palatkar uspar hi chod deta hai ....teeno ..baari baari apni urja ...se Darmen par vaar karne lagti ..hai ..parantu unka ek ..bhi vaar Darmen ko chu bhi nahi paata ..hai ....
Darmen - ab bhi samay hai ..tumahare jaise ..sundariyo ki ..shobha ...yudh bhumi mein nahi ...meri ..aagosh mein hai ......
Vibhakta - naari ..ko kewal bhog ka saaman samazne wale ....nich ...adharmi .....tayar ho jaa apni mrityu k liye ....
itna kahkar ..teeno ne apni ..urja ..milayi ...aur ...uss ..maha ghatak urja ka vaar darmen par kiya ...Jiske lagte hi woh dur jaakar gira ....uss vaar se Darmen k seene par gahra ghav ho gaya tha ...
apni pida ko sahte hue ...ladkhadate hue ..khada ...hua ....k ...phir unn teeno ...ne apni sammilit urja ka vaar uspar kiya ... .paratu ghayal hone k baad bhi iss baar Darmen ..satark tha ....Usne Maha astra ...k prabhav se unke vaar ko roka ....tab tak ..uske bhitar ki kaali shakti uske ghavo ko thik kar chuki thi ...
Darmen ..Maha astra lekar unki taraf badha......
Darmen - Bahut hua ..ab ....tumahara samay ab samapt hua ...meine tumhe jeevit rahne ka awsar ...diya ..parantu ...tumne woh kho diya ....ab marne k liye tayar ho jaao ....
itna kahkar ..woh unn teeno par maha astra ..se ....vaar karne ..hi wala tha ..k ek aawaj ne usse rok diya .....yeh aawaj thia Claira ki ...jo uss mahal....k malbe k dher se ...apne ..bete javob ko lekar bahar nikali thi ...Jacob abhi bhi murchit tha ....Darmen k bataye hue 3 din mein se abhi 2 hi din hue the ....
Claira - rukiye ..inn par aap apni shakti kyu nast kar rahe ho ..inhe toh main apne haatho se ..maarkar ..apni ..seene mein dhadhakti badle ki aag shant karungi ....inke pati ..ne ..mere vhote ..bete ..ko maut k ghat utara hai ....mein inhe maarkar ....uski aage hone wali vansh veli ko hi samat kar dungi ...
Ritu - accha tum hume samapt karogi ..aur hum dekhte rahenge ......accha hua ..tum bhi aagayi ...aaj ...tumahara saare paiwar ko samapt karke hum yeh saara khel hi khatam kar degi ...
Yaha Claira unn teeno ..ko ..apni baaton mein ulzha rahi thi .....jisase teeno ..ka poora dhyan claira par hi tha ....Claira ki ek khasiyat thi ....woh....sthir ..rahkar ...apna ... ..har vaar mastishk ki tarango dwara ..karti ..thi....
Claira ek taraf toh unn teeno se baat kar rahi thi ..aur ..dusri ..taraf.....unn teeno ...k...piche ....kaali shaktiyo ...k 3 pind apni ..mansik tarango dwara nirmit kiye ....aur ..unn teeno ..par vaar ...kiya ....
Claira se baat karte ..karte ..unn teeno ne ..dekha ..k achanak uske chehre par ek kutil muskan aagyi ..hai ...woh ....teeno ...uss muskurahat ka kuch kaaran samazhte ....uske ..pahele ....Kaali shaktiyo k woh 3 pind ...piche se unn teeno se takaraye ....
woh kaali shaktiyo ka vaar itna tez tha ....k teeno ...uske prabhav se ....aage ki or giri ...Claira toh saamne thi phir yeh piche se ..kisne ..humla ..kiya yeh ..janane k liye ...woh piche mudi ....lekin waha koi nahi tha ...
Claira - aise idhar udhar kya dekh rahi ho ...tum teeno k saath ladne k liye ..muzhe ..haat pair hilane ki ..jarurat nahi ..hai ....
abhi claira baat kar hi rahi thi .....k ..Shivali ..Ritu ..aur ..Vibhakta .par ...kaali ..shaktiyo ..k ..golo ki alag alag disha se jaise barsat si ho gayi ...koi pata nahi chal raha tha ...k vaar kab kis disha se se ho raha ...tha
teeno ..badi tezi se apni urja k vaar se ..unn kaali shaktiyo k vaar ko nast kar rahe the ...parantu phir bhi kai vaar ..unse ...takaraye ...jisase unke sharir par kai jagah ghav ban gaye the ....parantu unki healing power se saath hi saath woh ghav barne lage ...
ghav bharne k baad bhi ...unn kaali shaktiyo ..k prabhav se ...unki shaktiya ..kam hone lagi thi ...jaise woh kaali shaktiya ..unki urja ko soakh rahi ho ....lagatar hone vaale vaar unhe kuch sochne..samazhne nahi de rahe the ....
Vibakta ne apne mann ko niyantrit kiya aur ...shwet urja ka ek vaar Claira par kiya .....jo usse dur tak ghasitta hua piche le gaya ....jiskaaran ...Claira ..ka ...niyantran ...hat gaya .....aur ..unn teeno par ..ho ..rahi ..kaali shaktiyo . k golo ki varsha band ho gayi ...
teeno ab sambhal chuke the ....Claira jab tak sambhalti ....teeno ...ne apni sammilit urja se uspar vaar kiya ..jisase woh ..cheekti hui piche gir padi ....Claira ..buri tarah ghayal ho gayi thi ...
Apne patni ki aisi haalat ...dekhkar Darmen ka ...krodh ...badh gaya ...woh ab aur ..Abhi ko patniyo ko ...samay nahi dena chahta tha .....issiliye .usne un teeno ..ko ..samapt karne k liye Maha astra uthaya ...abhi woh unn teeno par vaar karne hi wala tha ...k ..ek ..teevra shwet prakash charo taraf phaila.....uski chamak itni thi ...k .. Darmen ki aankhien band hogayi ...
usne badi mushkil se apni aankhien kholi ..toh saara drishya badla hua tha ....woh apne mahal mein apne aasan par baitha hua tha .....Mahal purvavat bilkul thik tha ....usne idhar udhar dekha ..toh uska pradhan sewak ...Evom waha ..khada tha ......achanak ..badle hue drishya ...ko dekhkar ..woh ..hairan rah gaya ....usse laga k kuch toh aisa hua hai jo uske virudh hai .
Evom ko waha dekhkar ...
Darmen - tum yaha kya kar rahe ho ...bina meri aagya k ...yaha .kyu khade ho ..
Evom - ( ascharya se usse dekhte hue ) Kshama kare mahamahim ..paratu ..aapne hi toh muzhe bulaya ...tha ....
Darmen sochne laga k usne Evom ko kab ..aur kyu bulaya usse yaad kyu nahi aaraha ...woh abhi ghatit ghatnao k baare mein sochne laga ....parantu ..ab ..dhere dhere abhi ghatit ghatnakram ..ki smritiya ..uske mastishik se samapt ..hone lagi ..jaise ..usne koi swapna dekha ho .
tabhi maha astra .prapt karne ki smriti ...uske mann mein pragat hone lagi ....usse spasht roop se yaad aane laga ...k ..usne woh Maha astra kis tarah prapt kar liya tha ....aur atsra prapt hote hi woh apne mahal mein aakar ...nirnayak yudh ki tayari karne k liye ...usne Evom ko bulava bheja tha ....
tabhi uska dyan ...iss baat par jaata hai k ..uske haato mein toh maha astra hai hi nahi ....abhi toh woh ..uske haath mein hi tha ...parantu ...ab ..achanak woh astra kaha gaya ....parantu woh maha astra kaha hai ....usne ..apne ..aas paas dhundha ..parantu woh Maha astra ab ..kahi nahi tha .....
Darmen - ( krodh mein bharkar Evom se ) mera astra kaha hai ....
Evom - kaunsa astra mahamahinm ..jab mein yaha aaya toh aapke haath mein kuch nahi tha ....
Darmen krodh mein Evom ka gala pakad leta hai ..
Darmen - mein jaanta hu tu Evom nahi hai ....tu woh mayavi Abhi hi hai ..jo Evom ka roop dharkar .muzhe chalne aaya hai ....mein jaanta hu k mera astra tune hi liya hai ....ab chup chap ...mera Maha astra muzhe saup do nahi toh apna anjam bhugatne k liye tayar ho jaao ..
Darmen maha astra k khone se jaise pagal ho gaya tha ...
Abhi k liye itna hi ...
Agla update jald hi....
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update dost & very very HAPPY birthday brotherUpdate - 56
Darmen - mein jaanta hu tu Evom nahi hai ....tu woh mayavi Abhi hi hai ..jo Evom ka roop dharkar .muzhe chalne aaya hai ....mein jaanta hu k mera astra tune hi liya hai ....ab chup chap ...mera Maha astra muzhe saup do nahi toh apna anjam bhugatne k liye tayar ho jaao ..
Darmen maha astra k khone se jaise pagal ho gaya tha ...
ab aagee ........
Darmen ne krodh mein aakar ...Evom ko uthakar patak diya .....Evom ..badi mushkil se apni saanse sambhalta ..hua ...haath jodkar ..Darmen k aage let gaya ....
Darmen ne ek nazar uspar dali .....phir apne aapko niyantrit kiya ....aur saari parsthitiyo par vichar kiya .....k ...nahi yeh Abhi nahi ho sakta ..yadi yeh Abhi hota ..toh itni aasani se ...se jameen par pada na hota .....parantu woh maha astra kaha gaya ..jo maine ..Arsalan se prapt kiya tha ....
Abhi ne jab apne nagar mein vinash dekha aur apne parijano ki laashe dekhi toh kuch der k liye woh dukh aur hatasha k kaaran ...kamjor pad gaya tha ..usse aisa lagne laga tha k woh apna sabkuch kho chuka hai ....parantu ...Abhi ..ek yodha k saath saath ek yogi bhi hai ..usne apne mann ko niyantrit kiya .. ..aur saare gatna kram par gaur kiya ..toh usse Nebhru k aakhri shabdh par dhyan diya ...jo kissi Maha astra k baare mein bata raha tha ....aur Nebhru k mastishk mein usne uss astra ki zhalak bhi dekhi thi .....
inn sab baato par vichar karne par ...usse lagne ..laga ..k hona ho iss ghatna ka sambandh ...Arsalan k yaan k visfot se kuch der pahele .....k samay kaal se juda hai ....iss baat ka dhyan aate hi ....woh uss samay ..kaal ..mein pahuncha ....aur apni divya drishti ka upayog karke ...yaan k bhiter k ghatna kram ko dekhne laga .....jismein usne Darmen ko uss maha astra ko hatiyate hue dekha ......
Abhi ...phir uss samay se thoda piche gaya ....aur apni maya ka ..prayog karke ..Arsalan ...k yaan ko chupakar ...ek mayavi yaan ko pragat kiya jo hubahub ..Arsalan k yaan ....ki tarah tha ....
Darmen ne ussi mayavi yaan mein jaakar ...uss...maya se ...bane astra ko prapt kiya ..usse jara bhi andaja nahi hua ..k ...yeh sab ek maya hai ...
Abhi jaanta tha k Darmen ...sachayi pata chalne par ...chup nahi baithega ..woh ...phir se time machine ki sahyata se ..maha astra ko ..prapt ...karne ka prayatna kar sakta hai ....Abhi chata toh uss astra ko woh aasani ..se prapt kar sakta tha ..parantu ..woh ...bhutkaal mein ghati hui kissi bhi ghatna ko prabhavit nahi karna chahta tha ...woh brahmand ka rakshak tha ....iss kaaran ...samay chakra ko badalkar ..aur viddhi k virudh nahi jaana chahta tha ....
Abhi uss time zone wapas apne nagar pahuncha ...waha sab kuch purvavat thik tha ....jisse dekhkar usse bahut khusi hui ...sabse pahele apne bhawan jaakar ....apne paalak mata pita ..Karma ..aur Neeru se ..mila ...unhe sahi salamat dekhkar Abhi k saamne wahi drishya ..aagaya ..jab usne unke kshat vikshat shavo ko dekha tha ....Abhi ne unn dono ko gale se laga liya ....Adhik bhavukta k kaaran uski aankhien chalak aayi thi .....jo Neeru se chup na saki ....
Neelu - kya ..baat hai beta ..tumahari aankhon mein yeh aansoo ...aisa kya hua ...hai ....jisne mere bete ki aankhon mein aansoo la diye ...
Karma - haa beta ..kya baat hai ...tumhe itna bhauk ...maine kabhi nahi dekha ..kuch toh baat jarur hai ..
Abhi - aisi kuch baat nahi hai ....baba ...woh bas bahut din se ..aap dono se acche se mila nahi ....kaamo mein aisa ulaz gaya hu k mein aapko samay hi nahi de paaraha hu ....
Neeru - koi baat nahi beta ..hum tumahari paristhiti ko samazte hai .....tum bhale hi huse dur raho parantu hum tumahare prem ko jaante hai ....ek baat humesha dhyan rakhna mere bacche ..k ..pyatyaksha roop se hum tum se kitna bhi dur ho jaaye ....parantu ....jab bhi tumm hume yaad karoge .....tum humesha ..hime apne hi saath paaoge ....
itna kahkar Neeru apne bate ko gale laga leti hai .....Neeru ko gale lagate hue ..Abhi ko apni uss maa ka dhyan aata hai ..jo jisne usse janam diya ....ab toh usse iss baat ka bhi pata chal chuka tha ..k woh iss samay kaha hai ...woh ...unhe ab jald se jald unhe yaha laana chahta tha .....
apne mata ...pita se milne k baad Abhi ...apne teeno patniyo se mila ....Abhi ki shaktiya hone k kaaran ..unhe ...sampurna ghati hui ghatnao ka gyan tha .....Abhi k saamne woh teeno chup thi unhe iss baat ka dukh tha ..k ..Abhi ne unhe jo jimmedari saunpi thi ..unhe woh nibha nahi paayi ..Abhi unke man mein chal rahe dwandwa ko samaz chuka tha ...
Abhi - kya baat hai ..tum teeno aaj aise chup kyu ho ...kuch bologi nahi ...
Shivali - aap toh sab jaante hai ...hum teeno Darmen dwara kiye hue uss maha vinash ko rok nahi paaye ....
Abhi - ismein tumahari koi galti nahi hai ...issiliye iss baat ka apradh bodh apne mann se nikal do ..ab paristhitiya badal chuki hai ....tum teeno meri shakti ho ...yadi ..tum teeno hi aise himmat har jaaogi toh kaise chaega .....
Ritu - paratu phir aisi paristhiti aayi toh hum kya karenge .....kaise uska saamna krenge ...yadi usne phir woh Maha astra prapt kar liye toh .....
Vibhakta - usse rokne ka ek hi marg hai ...uss time machine ko nasht karna ...kyuki ...woh phir uski sahayata se ...uss astra ko prapt kar sakta hai ...
Abhi - tum toh Vaigyanik ho ..tum toh jaanti hogi k uss machine ko kaise nast kiya jaa sakta hai ..
Vibhakta - haa ...kyuki ...anjaane mein ...uss machine k...nirman mein jo badhaye aarahi thi ...unhe maine hi dur kiya tha ....mere hi sahyata k kaaran ...woh machine shuru ho paayi thi ....kahi na kahi ...iss paristhiti k liye mein hi jimmedar hu ....
Abhi - tum uss samay apne aapko nahi jaanti thi ..tumne uss samay wahi kiya jo tumahara kartvya tha ...issiliye iss baat ..k liye apne aapko dosh mat do ....hume woh machine jald se jald nast karni hogi isske pahele Darmen uss machine ki sahayata se ....aur vinash phailaye ....
Vibhakta - woh time machine ek gadjet k dwara sanchalit hoti hai .....jis samay uska upayog karna hota hai ...ussi samay ...woh ..uss gadjet ki sahayata se hi pragat hoti hai ....aur samay yaatra k turant baad ....woh sukshma anu kano mein badal jaati hai ....usse nasth karne ka ek hi marg hai ..tumhe woh gadjet nasht karna hoga .....jo dikhne mein swarn k ek kade ek kada ki tarah hi hai .....jaha tak mera animan hai woh gadget ..Darmen humesha ..apne saath hi rakhta hoga
tab Abhi ko yaad aata hai k jiss samay uska Darmen se saamna hua tha toh uske ek haath mein ek swarn ka ek kada dekha tha hona ho jiss gadjet k baare mein Vibhu baat kar rahi hai Shayed woh wahi hai......
Vibhakta se poori jaankari lene k baad ..Abhi apne bhaiyo se bhi mila aur unhe nagar ki suraksha mein aur satark rahne k liye kaha ....Nebhru aadi sab ka vichar tha k ab jald se jald Zecro ko bhi unhe apne paksh mein karna hoga ....kyu ki uske paas jo shakti hai woh unn sabki shaktiyo se khatarnak hai ....Arsalan ne ....usse ....Mrityu ki shakti se sampanna ..ek dand diya tha ....jo kissi k bhi ...prano ko uske sharir se alag karke ...mrityu de sakta tha .....issiliye uske Rajya mein usse mrityu k devta k roop se jante the ...
Yaha Darmen sabhi ghatnakram par vichar kiya ....usse ..lagne laga k hona ho ...Abhi ne kissi rarah ....woh Maha astra usase hatiya liya hai ....ab tak ki uski bhutkal k time zone mein jaakar samay badlne ki saari yojnaye nakam ho gayi thi ...issiliye usne bhavisya mein jaakar ...apna bhavisya dekhne ka vichar kiya ....
parantu ab prashna tha k kiss time zone mein jaaya jaaye .....tab usne poorna ..vichar karke Abhi k saath 2 din baad nirnayak ....yudh .....ki yojna banai ...aur ...Evom ...aur ...Baki senanayako ko ...apni poori sena ko ...yudh k liye tayar rahne ka aadesh diya .....kal tak Jacob bhi aur mahabal shali bankar jaagne wala tha .....aur yadi phir bhi usse aawashyakta hui ....toh uske liye woh ....Habbis ka kabhi bhi aawahan kar sakta hai .....jiski shaktiyo k aage Darmen ko bhi bhay lagta hai ......
2 din baad k yudh ki saari tayariyo ka aadesh apni sena k mukhya adhikario ko aadesh dene k baad .....Darmen ..ne ..apne haath k gadget k dwara ...Machine ko pragat kiya ..aur usmein pravesh kar gaya ....aur 4 din k baad ka samay dala aur bhavishya mein pahuncha ...
usne dekha ....k uska mahal kai jagah se tut chuka hai ..Mahal k saamne registhan ..mein kai jagah laashe bikhri padi hai ...ek maha yudh chida hua hai ......Abhi ki sena aur ....uski sena k bich ....dono taraf k yodha ek dusre k khoon k pyase ....lad rahe hai ...charo taraf ...cheekhe ...shor gul ...gunj rahi hai .....
Darmen ne uss yudh mein apni sthiti janane k liye apne aapko khojna shuru kiya ....kuch hi palo mein ..usse ...uss kaal k Darmen ...aur Abhi mein ...bhayankar yudh chal raha tha ....usne dekha ..k Darmen ne apni sampurna urja ka waar Abhi par kiya ......jisase Abhi buri tarah jakhmi ho jaata ....hai ....ghayal awastha mein ......Abhi niche ghutno k bal baith jaata hai .. ....
Issi ka Fayda uthakar ...Darmen apni talwar lekar Abhi k piche pahuncha aur ek hi zhatke se uski gardan uda di .....jisse uss kaal ka Darmen bhi dekh raha tha .....Apne saamne Abhi ka kata hua sir dekhkar .....Darmen ki toh khushi ka thikana nahi raha ......aur woh jor jor se hasne laga ...usse dekhkar uss ..kaal ka Darmen bhi ....hasne laga ...
Abhi k liye itna hi .....
Agla Update ........
Doston ...aaj ..mera ..janamdin hai ....aur iss kaaran friends ..Family aur ..party ..ki arrangments mein busy hu .....issiliye aaj k liye yeh chota update ....
Be..Happy ..& stay safe .....
Shaandaar mazedaar lajawab update dostUpdate - 57
Darmen apni talwar lekar Abhi k piche pahuncha aur ek hi zhatke se uski gardan uda di .....jisse uss kaal ka Darmen bhi dekh raha tha .....Apne saamne Abhi ka kata hua sir dekhkar .....Darmen ki toh khushi ka thikana nahi raha ......aur woh jor jor se hasne laga ...usse dekhkar uss ..kaal ka Darmen bhi ....hasne laga ...
ab aagee....
Darmen apne sabse bade shatru ki mrityu se khush hokar tahake laga kar has raha tha ......uss kaal ka Darmen bhi haste hue apne bhutkaal k swarup se milne k liye ...aage badha ....aur Datmen k saamne khada hogaya ......
Darmen bhi apne hi swarup se milkar bahut khush hua ...woh usase milne k liye aage badha hi tha ....k dusre Darmen ne uske haat k gadjet par vaar kiya ...jisase woh gadjet tutkar ...jamin par gir pada ....Darmen ko samaz hi nahi aaya ....uske apne swarup ne aisa kyu kiya ....
Darmen - Tumne teh kya kiya ...murkh ...yeh tumne accha nahi kiya ....mera hi bhavishta ka swarup hokar ...aisi murkhta ......ab mein wapas apne samay mein kaise jaaunga .....mein toh tumhe maar bhi nahi sakta ...
Darmen 2 - Muzhe murkh kahkar tum apne aapko hi murkh kahkar tum apne aapko hi murkh kah rahe ho .....Ab tum issi samay mein laid hokar rah jaaoge ..aur ab ..mein banunga ..sarva shaktishali ......
Darmen - mein aisa nahi hone dunga ....aur usne ....niche gira hua ...gadget uthaya ...aur ..uske button dabakar ...time machine ko pragat ..karne ka prayatna kiya ....Tabhi ...uss gadjet se ..ek ..prakash dwar .utpanna hua ..aur Darmen usmein khinchta chala gaya ....aur jab usne aakhien kholi tab woh apne samay mein aaya .....usne ...bab baar baar uss gadjet k button dabakar ....time machine pragat karne ka prayatna kiya parantu sab vyarth ....woh gadjet ab bekar ho chuka tha ......
Darmen ne krodh meiin aakar uss gadjet ko uthakar ...niche patak diya aur apne pairo tale ..kuchal diya ....ysse samaz nshi aaraha tha k aakhir uske hi swarup ne uske saath aisa kyu kiya .
Parantu usse ek baat ki khushi thi ....do din baad hone wale yudh mein Abhi uske haatho maara gaya ....issiliye ab woh nischint ho gaya tha ...
ab woh aaj se teesre din honewale yudh ....yudh ki tayari mein jut gaya .....pahele usne Abhi k nagar par hi dhawa bolne ka irada kiya tha .....parantu ....bhavishya mein dekhe hue drishya ..k kaaran ab usne do tarfa yudh karne ki yojna par kaam karna shuru kiya ......
ab dekte hai Aakhir kyu Darmen k hi ...roop ne ....uske ..gadjet ko nasht kiya ...
Vibhakta dwara ...Time machine ka bhed janane k baad Abhi ..ne divya drishti ka prayog karke ....Darmen ...ki ..uss samay ki gatividhiyo ko dekha ...jab usne dekha ..k Darmen time machine ka upayog karne hi wala hai ...toh Abhi turant adrisya roop mein waha pahuncha aur sukshma roop dharan karke ...ussike time machine mei chupkar ....uss kaal mein pahuncha waha ...bhayankar yudh chal raha tha ....
Abhi ne dekha k Darmen iss yudh bhumi mein kuch khoj raha tha ...toh usse samaz mein aagaya ..yeh ...kya dhund raha hai ...tab Abhi ne apni maya ka prayog karke Ussi ka roop dharkar ....apne hi ek mayavi roop ko pragat kiya ....aur ..yudh karne laga ...jisse dekhkar ...Darmen bhi bhramit ho gaya ...usne ....uss mayavi Abhi ki garden ..uda di ....
Phir Abhi ..ne Darmen k hi roop mein uske time machine k gadjet ko nasht kiya ..aur badi hi ..sawdhani se usse wapas ..apne samay par bhej diya ...aur Darmen bhi Abhi ki chal mein faskar ..nischint ho gaya .....
Darmen k saath jaane k kaaran Abhi ko bhi ...ab ..Darmen dwara ..tay kiye gaye yudh ka samay gyat ho gaya tha .....issiliye usne Nebhru aadi apane bhaiyo ko uss hone wale yudh k liye poori tarah tayar rahne k liye kaha ...aur apni saari sena ka aur ..suraksha ka bhi nirikshan kiya ....issmein uska saara din bit gaya ..aur raat ho gayi ....
Raat k bhojan k baad .... apne kaksh mein aakar ...let gaya ....Iss samay uske man mein kai ..vichar ..aur ..bhawnaye ..umad rahi ..thi ..apni unhi ..vicharo mein khoya hua ..woh kaksh ki chatt ki or dekhte hue shunya mein khoya hua tha ....
uski teeno patniya bhi apna kaam khatam karke kaksh mein aajaati hai .....parantu Abhi apne vicharo mein itna nimagna tha ...k usse unke aane ..ka..pata ..bhi nahi chala .....Abhi ko aise vicharo mein khoya dekhkar woh teeno uske paas wahi bister par baith gayi ....
jiskaaran unke baithne se aahat hui aur Abhi ka dhyan hatkar unki or gaya ....
Abhi - arre tum teeno .kab aayi muzhe pata hi nahi chala ...
Ritu - aise bhi kin vicharo mein khoye hue the jo aapko humare aane ka bhi pata nahi chala ....
Abhi - tum teeno se kya chupa hua hai .....abhi...prithvi par ka humara karya ...bahut jald poora hone wala hai .....jiss..mitti mein khelkar bada hua ....jisne sangharsho dwara muzhe meri shakti ka parichay karaya ...jiss mata ne muzhe itna prem diya k aaj bhi mein kitni bhi dur rahu ..uhne meri pida ka aabhas ho jaata hai .....jiss pita ..ne ungli pakadkar ..muzhe chalna sikhaya ...meri ..har choti se choti uplabdi par garv se unka seena chavda ho jaaya karta tha ......unn sabko chodkar jaane ka samay nikat aagaya hai .....
kaise samzhaunga ..apni maa ko ...k ab ..unki mamta ka anchal khali ho gaya hai ...apne pita ko ji muzhe apan utaradhikari samazte hai ....samaz nahi aaraha hai ....
Vibhakta - Aap ek rakshak k saath saath ek yogi bhi hai ....aapko ..inn sab bhawnao se uppar uthna hoga ...katm path par aise tyag na jaane aapne kitni baar kai janmo mien kiya hai ...( kuch sochte hue ) ..aur bhavishya k garbh mein kya chupa hai ....vidhi ne kya khel rachaya hai yeh toh kissi ki gyat nahi hai .....
Abhi - tum thik kahti ho Vibhu ....prantu ..yeh pritvi ka hi goon hai ..yaha aajar ..toh swayam parmatma bhi ....moh mein pad jaate hai ...mein toh bas unka ansh hu .....
thodi der teeno ki aisi hi baatein hoti hai .....uske baad Abhi apni teeno pstniyo saath ....kuch pyar bhare ...pal bitakar so jaata hai ....
Dusre din subah bramha muhurat mein apne samay par uthkar apne nityakarm niptakar ..dhyan mein baith jaata hai .....apne sabhi chakro mein dyan jarte hue apni saari shaktiyo ka awalokan karta hai ...aaj uske bhiter ..usse ashta siddiyo k darshan ho hai ....uski saari siddhiya astha maha siddiyo k hi ang the ....ab unn maha siddiyo k jaagrit hone k kaaran ..woh ab apne poorna swarup mein aagaya tha .. .parantu manav sharir hone k kaaran abhi bhi uska sharir kuch maryadao mein bandha hua tha ....
abhi ..Abhi maha yudh shuru hone k liye aaj ka din shesh tha ....usse pata tha k Bhavishya mein dekhe gaye drishya k kaaran ..Darmen ..abhi kuch nahi karega ....uske paas . abhi aaj ka poora din baaki tha .......toh usne Apne asli mata pita .. Arsalan aur Dhara aur uss maha astra ko dhundkar laane ka nischay kiya ...ab woh jaanta tha ..k uske mata pita kaha hai ....aur ...jaha tak usne dekha tha k woh Maha astra ...visfot k samay Arsalna k haath mein hi tha ...toh ho sakta hai jaha usse apne mata pita milenge wahi usse Maha astra bhi orapt ho jaayega ......
Apni sampurna shakti aur gyan prapt hone k kaaran Abhi jaanta tha k K kissi bhi galaxy k madhya ka black hole jo hota hai ..woh bahut shaktihali hota hai ....jiss prakar saur mandal mein Surya ki asim urja k kaaran ...sabhi grah uski ....dhuri mein bandkar ..uski parikrama karte hai ...ussi prakar .....har galaxy k madhya ..bhag ...k...black hole mein itni urja hoti hai ...k uss galaxy k ..saare saur mandal ...meteorite ..waigere sabkuch ...uss ..black hole ki parikrama karte hai ....
Yeh black hole ...ek bhawar ki tarah hota hai jo sabkuch nikalne k liye udyat rahta hai ....parantu brahmand ki urja usse aise karne nahi deti ....
Abhi jaanta tha ....Yadi woh sthool sharir k saath waha jaayega toh woh bhi Apne mata pita ki tarah waha faskar rah jaayega ...kyuki sthul sgarir ki kou bhi shakti waha kaam nahi karti ...isske liye usse waha ....apne sukshma sharir se hi jaana hoga ....inhi sab vicharo mein suryo day ho jaata hai ..Abhi apne sabhi bhaiyo ko apne vicharo awgat karata hai .....
iss baat ko sunkar uske sabhi bhai bade hi khush ho gaye ....parantu ...Black hole ki urja ko woh bhi jaante the ...unhone bhi Abhi ki iss bare mein bataya...unhe pata tha k kissi bhi sharir dhari k liye yeh asambhav tha .....issliye unhe chinta toh thi hi ...parantu ab tak woh Abhi ki shaktiyo ko samaz chuke the ...issiliye unhe Abhi par vishwas bhi tha ....
Abhi ne apni teeno patniyo k saath bhi iss baat ki charha ki ....aur Ritu ko prakriti ki shakti dwara uske sharir ko surakshit rakhne ka kahkar pubah dhyan mein baitha ...Dhyan k dwara usne apni saari urja ...apne sukshma sharir mein ekatrit ki ...aur apne sthool sharir se alag ho gaya ....aur badh gaya pane lakshya ki or ....
Abhi ab sthool sharir se alag hokar bahar aagaya tha ...usne apne sharir par ek nazar dali ..Ritu ne bhi turant uske sharir ...k charo taraf prakriti ki urja ka ek ghera banaya ..jisase uska sharir surakshit rah sake ....
Abhi ab pritvi chodkar ...Milky way ..galaxy k ...kai saur mandal paar karta hua ....tezi se ..balack hole ki taraf badha ....jaise jaise woh Black hole k nazdik ..pahunchne laga ....waise waise hi ...woh aur tezi se uss black hole ki taraf khicha chala gaya ....
Black hole ki bahari orbit itni tezi se ghum rahi thi ...k Abhi ..ka sukshma sharir ...uss ..orbit k vegg ...mein faskar kar ...uske bahav mein ...black hole k chaaro taraf ...gol gol chakkar lagane laga .....iss samay uska sharir urja aur vayu tava pradhan tha ....issiliye usse uss tez ghumte hue orbit se nikalne mein usse badi katinayi ho rahi ....thi ...
Apni saari urja aur aatmashaki ka prayog karke badi kathinayi se woh uss Orbit se bahar nikalkar ...Black hole mein pahunch chuka tha .....
Black hole mein charo taraf neeravta ...waha kuch bhi nahi tha ..bas ...Abhi aage badha ....usse aage ..kuch tute fute antariksh yaan k tukde nazar aaye ....jisse dekhkar ...Abhi ko andaja ho gaya k ..uske mata pita ..yahi kahi ...hone chahiye ....
woh unn yaan k tukdo ko gaur se dekhta hua ....aage badhraha tha ......jaise jaise woh aage badh raha tha usse aise lag raha tha k jaise koi usse pukar raha ho ....woh unn dhwani tarango ka picha karte hue ..aage .badha toh kuch hi dur usse ..ek dusre ....ka haath majbuti se pakde ...Arsalan aur Dhara dikhe ....jinhe dekhte hi Abhi k khushi ka thikana nahi raha ....
Balck hole mein samay ki shakti karya nahi karti ..yaha ..na..kuch ..bhut ..hota hai ..na..hi koi bhavishya ...issliye ...bahar ...itne varsh bitne par bhi .....Arsalan ..aur ..Dhara....k liye ..samay wahi ruka hua tha ....
Abhi unke saamne pahuncha .......Arsalan aur Dhara ki aankhien khuli hui thi parantu sthool sharir hone k kaaran unke sharir ki saari hulchal aur shwas ki gati ...band hogayi thi ....Abhi ne dekha k Arsalan k Paas maha astra nahi tha ....Parantu abhi sabse pramukh tha unhe yaha se bahar nikalna ......sukshma sharir hone k kaaran ..woh ..unhe chu bhi nahi sakta tha ...issiliye ....apni urja se ek paash nirmit kiya ....aur dono ko usmein bandhkar .....apni poori shakti lagakar ....Uss black hole k dusre chor ....se hote hue bahar nikal gaya .....
Black hole se nikalte hi woh ek nirjan grah par pahunche ...tab tak ...Arsalan aur Dhara ki chetna laut aayi .....aur chetna ...lautte hi Dhara k mukh se niklala mera baccha ...baccha ....aur jor jor se rone lagi ...Black hole mein hine k kaaran unke liye samay badha hi nahi tha ......unki smriti ussi samay ki thi jab ..unke yaan mein visfot hua tha ...
Abhi k liye itna hi .....
Agla update jald hi ....
Thanku soo much bhai aapke shandar ..jabardast ..superb fantastic Review k liye ...Tumhari dadi mhari dadi and nani sang msti kr rhi h brother....
Update bda gajab tha brother par kya sab kuchh uhi itni jaldi khatm ho gya ye baat hazam nhi ho pa rhi h ..kya elbis itni jldi ye sb khtm hone dega.... Paap ki bhi umr kya hoti h...zindgi bhr falta fulta h apna smrajya bnata h...pr punya rupi toofan ke aate hi pal bhar me hi uska pura samrajya dhwast ho jata h...sahi kaha h kisi ne adharam kitna hi taqatwar aur vishalkay kyu na ho...dharam ke aage tik nhi pata h...jeet hmesha satya ki hi hoti h...ye hi niyati h..paap , adharam, asatya burai..kisi bhi naam se pukaro inko ...ye sb kuchho hi palo ke liye rhte h jeevan me khub uchhalte kudte h pr ant inka dardnaak hi hota h...pal bhar me sb kuchh smapt...
Chliye dekhte h aage kya hota h abhi..
Kyuki itni jldi to ye sb khtm hua nhi hoga abhi....
Waiting brother dekhte h kya secret chhipa h abhi jo parde ke pichhe se nazar nhi aa rha...
Thanku soo much bhai for supportingsuper fantastic update bhai maza aa gya ....kya ye story ka ant hai?
Thanku soo much Anuj bhai for supportingAMAZING UPDATE BHAI AB AAGE DEKHTE HAIN KYA HOTA HAI