• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

Ssking

Active Member
1,302
1,578
144
Update:-51




Jivisha ne apne aakhon ke aage ka mahol dekhi to wo daud kar bhagi aur Chirag ko Nandita se dur karti, apne bahon me samet kar, tej-tej shwans leti usne apni aakhen mundi. Aakhen mund kar usne jhatke se apni aakhen kholi aur badi badi, gusse se laal aakhen usne apni bhabhi par dali… Jab wo gusse me apni aankh dikhyi, har kisi ne hawa me ek kampan mehsus kiya, aisa jo kisi ke bhi ander bhay paida kar de.


Uski aakhen dekhkar to ek pal ke liye Nandita aur Priya bhi khauff me chali gayi…. "Khabrdar bhabhi jo mere bache ko aap ne aise punishment diya to, mujh se bura koi na hoga"..


Nandita:- Jivisha apni najren nichi karo aur Chirag ko yahan lao uski sara pagalpan ka bhoot aaj mai utar deti hun. Jivisha tumne suna nahi maine kya kaha.. apni najren niche karo.


Jaise hi Nandita ne gusse se unchi awaz me Jivisha se uski najren nichi karne kahi, tabhi Jivisha ko ehsas hua ki wo ye kya kar rahi hai… wo apne bhabhi ka chehra dekhi aur guilt feel karti hui mafi magne lagi. Kasak bhi wahin pass khadi thi, wo bhi bilkul aschrya me Jivisha ko dekh rahi thi.


Nandita, Jivisha ko ghurti hui… "Hmmm ! To mujhe tum bataogi ki bina karan jane isse kyon tumne bacha liya."


Itne me Kasak chupke se pichhe se aayi aur Nandita ke sar par ek pura jug pani urrelti hui kahne lagi… "Yahan hum 2 hain aur aap akeli bhabhi, jara shanti se baat karo"..


Kasak jaise hi pani dali, Nandita uski ore mudi aur khadi hokar gusse wala look de hi rahi thi, ki itne me Kasak ne uske chehre par sukha laal rang urrel diya… "bhabhi, ab tumhara gusse se laal chehra pura dikh raha hai"..


Kasak ki is harkat par dono bahne jor-jor se hasne lagi. Nandita ko bhi hansi aa gayi aur uska bhi gussa hawa hota wo hasne lagi, lekin apne upar ude rang ka badla to usse lena hi tha, isliye wo teji dikhati Kasak ko pakadne ke liye jhapti.. Kasak to hath nahi aayi lekin itne waqt me Jivisha ne piche se Nandita ke blouse ke ander 4-5 ice cube dal chuki tha.


"Wah bhabhi kya mast dance kar rahi ho".. piche hath na pahunch pane ki stithi me Nandita sidha apne kamer me bhagi aur bathroom me ghus gayi. Wahin dono bahne Chirag ko bhi apne sath leti chali gayi.


Kuch der baad sab log change karke wapas se hall ki baithak me sharik huye, jahan aaj ka mujrim Chirag tha. Nandita, Jivisha aur Kasak ko sunati hui kahne lagi…. "Janti bhi ho isne kya kiya tha"….


Chirag jo kisi mujrim ki tarah bich me khada tha, bhag kar Jivisha ke gode me baith'te huye kahne laga… "off o mamma, aap na dadi se bhi old model ho. Bahut hi picchdi hui soch hai."


Uski is baat par chaunk kar sabhi apna muh khole hasne lage… "betu aisi baten tumhe kaun sikha raha hai. Chalo kan pakad kar abhi sorry bolo mamma ko"..


"Didi bol rahi hai so main sorry bol raha hun, jarra puri kahani batao mamma, didi bhi aap ko yahi kahne wali hai".. Chirag gussa dikhate apni maa se sorry kaha aur wapas Jivisha ke gode me aakar baith gaya.


Jivisha Chirag ko chumti hui kahne lagi… "tu ja betu aur dobara kabhi aise mammi se baat kiye to hum sab tumse baat nahi karenge. Ja tu ab khel, tunhara mamla hum dekhte hainl".. Chirag bhi Jivisha ko chumte wahan se bhag gaya…


Kasak:- ab baat ko khincho mat, jaldi se bata do hua kya tha…


Nandni:- nawabjade ko pyar hua hai..


Kasak aur Jivisha jo-jor se hansne lagi…. "Bhabhi, Chirag kya gusse ke natije me paida ho gaya tha"… Kasak, Nandita ko chhedte huye kahne lagi..


Nandita, Kasak ke sir par ek hath marti…. "Pagal kahin ki, kuch bhi bolti hai."..


Jivisha:- shopping karwaoge, tab hum seriously sunege aap ko.


Nandita:- pagal wo to aise bhi karwa dungi… bata kya chahiye..


Kasak:- bhabhi aap bolo hun sun rahe hain.. kya shopping karna hai wo hun wahin tay kar lenge…


Nandita:- kya bataun main iske bare me. Bitte bhar ka aur iski nautanki tum dono se bhi bahut aage hai… Aaj school gayi thi lene to 4-5 police walon se lad raha tha.. akele ye nahi balki iski so called piddi jitni girlfriend hai na Aarshi wo bhi..


Jivisha:- hihihihihihi… kuch aisa kaho jo nahi pata ho.. ye hume pata hai..


Nandita:- aur kya ye bhi pata hai ki dono kiss kar rahe the..


Kasam:- Thik hi to kaha tha Chirag ne, aap ki pichhadi soch hai…


Jivisha:- haan bhabhi betu ne sach hi kaha tha..


Nandita:- Thik hai lip to lip kiss karte huye yah kahna ki… "ye humare pyar ka pahla kiss hai.. taki duniyawale samjh le, hume koi juda nahi kar sakta. Fir aandhi aaye, ya toofan ya fir duniya bhar ki military"…


Nandita ki baat sunkar dono bahne ashrya se apna muh fade hasne lagi.. Nandita apna sir pit'ti hui kahne lagi… "batao mai kya karun, ye to kisi ki sunta hi nahi… Jivisha tu sambhal apne bete ko, aaj se main to surrender karti hun.. mujh se nahi ho payega"..


Jivisha thode gusse me Chirag ke kamre me gayi, wahin uske piche jab Kasak ja rahi thi, usse rokte Nandita apne sath apne saas-shasur wale kamre me lekar chali aayi. Priya ab bhi Jivisha ke us vikral roop ko yaad karke ro rahi thi aur apne pati Himanshu se apni beti ko kisi tarah bacha lene ki guhaar laga rahi thi.


Himanshu wo waqt yaad karne laga jab ek prakashth guru achanak hi Jivisha ke janm ke waqt aaye aur bhawaishywani kar gaye the ki yadi upyukt samay par Jivisha ki shadi nahi hui to behtar yahi hai ki usse jahar dekar maar de, taki kayi hone wali anhoni ghatnayen tali ja sake.


Jivisha ke ander jis shakti ne jnam liya hai, uske bahar aate hi na sirf iss prithvi par apitu kayi aise hisse hain jo prabhawit honge… kayi caror logon ke jaan jane se behtar hai kisi ek ki jaan jaye.


Himanshu apni hi chinta me tha aur koi upay na mil pane ki stithi me usne apna aakhri vichar rakh diya… "Us sadhu ki baat satya ho rahi hai. Jivisha ke ander ki shaktiyan bahar aa rahi hai. Yadi ab uski shadi nahi hui to bahut sare logon ki jaan khatre me aa jayegi. Mera prastaw hai ki Jivisha ki shadi jald hi issi hafte me karwa diya jaye.


Kasak se iss bare me vichar liya gaya aur Kasak Nischal ka naam leti hui kahne lagi.. "Jivisha ke dil me Nischal basa hai aur dono ek dusre ko chahte bhi hain".


Himanshu achanak hi Nischal ke naam se bhadkte huye kahne lage… "Acha ladka hai lekin karta kya hai.. kewal pyar se zindgi to nahi chalti. Kya arrange marriage me log aapas me pyar nahi karte… kaise main jaan bujhkar apni beti ko andhkar me dhakel dun. Yadi us ladke ko meri beti se shadi karni hai to usse khud ko sabit karna hoga. Uske pass ek hafte ka samay hai.. Itne samay me wo yadi khud ko sabit kar saka to thik, warna main Jivisha ki shadi Shresh se karwa dunga. Jakar bata dena apni bahan ko"..


Kasak ko kuch bhi samjh me nahi aa raha tha ki wo kya kare aur kya Jivisha ko kaise samjhaye. Himanshu ki baat bhi sahi thi aur Jivisha ki haalat dekhne ke baad, Kasak ke dil me bhi dar ka ehsaas ho chala tha... Wo apne hi udher bun me kadam badha rahi thi, tabhi Jivisha Chirag ke sath khelti hui uske pass pahunchi… "Oye tu itni gumsum kyon hai.. mujhe batayegi"..


Kasam:- Yaar hum kisi ko khush nahi rakh sakte, bus hume sabko pareshan karne aata hai.. .


Jivisha:- kya hua… tu bhabhi ke sath gayi thi na wahan ander koi meeting chal rahi thi kya?


Kasak:- haan chhote papa bahut hi dukhi najar aa rahe the. Unhone kaha hai maine apni beti ko puri chhut di, lekin wo ek aise nakare ko chahti hai jo koi kaam nahi karta.. kya aisi shurat me wo kaise apni beti ki shadi uss se karwa de…


Jivisha:- mukhiya ji sathiya gaye hain. Padhte huye kaun kaam karta hai. 2 sal kaho ruk jane, fir wo bhi kuch acha kar hi lega. Yadi wo kuch nahi karega to maine kyon padhai ki hai.. main kaam karungi aur wo ghar ka chulha chauka karega. Waise dusra idea jyada achha hai.


Kasak usse ek thappad khinch kar marti… "Tumhe har baat mazak lagti hai, nahi… aur baki ke emotions koi mayne nahi rakhte, kyon? Kya kabhi teri shararton par unhone apni marji thopi… jaymala ke baad bhag gayi.. kitni bejjati jhelni padi sabko, lekin teri hansi me sab bhul gaye… tujhe jo karna hai kar ab main iske baad nahi samjhane wali… haan ek hafte ka samay diya hai chhote papa ne, yadi Nischal kuch bhi dhang ka iss dauran kar leta hai to tumhari shadi usse se karwa denge warna Shresh se tumhe shadi karni hogi"…


Pariwar walon ke Nischal se mafi magne ke baad jo Jivisha ki khushiyan lauti thi, wo ek pal me hi jaise dur ho gayi ho. Aankhon ke samne Nischal ki pahli mulakat se lekar uski har nadaniya.. uska wo mayus chhota sa chehra, Jivisha ke jhagra karne ke baad… college ki wo yaden, jab impress ke naye-naye tarikon ko dhundhna… aashu se bhinge chehre par achanak hi tej hansi aa gayi jab wo parking ke pass baith kar gaane ka kissa yaad aaya……


Iss ghar ki sari udher bun Josefer apni aakhon se dekh raha tha. Usse Aizem grah se aaye wo 2 Jasoos Ruki aur Suki ki baat yaad aane lagi…. Jab usne kaha tha waqt hamesa Nischal ke paksh me rahe, aisa sambhaw to nahi. Jis daur se Jivisha gujar rahi thi, usme bus Nischal ko bura to sabit karna tha, baki kaam khud-w-khud ho jana tha.. Aur aaj ke club ki praty se acha kaun sa mauka hota iske liye….


Waqt tha Kasak ka brainwash karke, Jivisha ko club tak lana aur iske liye Jatin kis din kaam aata… Josefer ka behrupiya kutta bahar gaya aur uske kuch samay baad hi Kasak ke mobile ki ganti baji..


Kasak bhi ek khamosh mahol ko jhel rahi thi, jisme rah-rah kar usse bura lag raga tha, ki usne apni bahan ko thappad mara.. bechari ke sath pahle se itna kuch chal raha hai. Kasak bhi bistar me, apni bahan ke liye roti, bus itna hi mana rahi thi ki koi to meri bahan ko iss musibat se bacha le…


Phone ki ghanti sunkar Kasak apni aashu saaf ki aur phone uthati… "Abhi mood thik nahi hai.. baad me baat karti hun Jatin".. itna kahkar Kasak call disconnet kar di.. dobara se phone ki ghanti baji aur Kasak thodi unchi awaz me baat karti hui kahne lagi… "Ek baar se tumhe samjh me nahi aata ki mera mood kharab hai"..


Jatin:- Phone rakhne se pahle meri baat sun lena fir call disconnet karna..


Kasak:- bolo..


Jatin:- agar mood kharab hai to mujhe tum bata sakti ho.. kewal bike par ghumane wala boyfriend nahi hun, balki tumhara har sukh mera sukh aur tumhara har dukh mera dukh hai... Ab jaldi se colony ke pas wale park me pahuncho.. main intzar kar raha hun..


Jatin apni baat kahkar call disconnet kar diya. Uski baat par kuch der Kasak sochti rahi, fir achanak hi uske chehre par thodi khushi aa gayi.. wo bhagkar jatin ke pass pahunchi…


"Hello handsome... So mera sukh tumhara sukh aur mera dukh tumhara dukh hai.. to batao main iss waqt kis baat se dukhi hun"…. Kasak Jatin ke pass baith'ti hui puchne lagi.

Jatin:: Ammmmm ! Tumhare chehre se lag raha hai ki tum royi ho. Iska matlab ki tumhari shadi tay ho rahi hai aur tum apne gharwalon ko humare bare me bata nahi payi..


Kasak:- aur bata kar kya karti.. puchte ladka kya karta hai to kya kahti mujhe bike par ghumana hi uska only ambition hai.


Jatin:- Yesssssssssssss … tumhe bike par ghumana he only ambition hai aur kaam karne ke liye mujhe bus 1 ghanta chahiye, taki main apne staffs ko manage kar sakun.. tumne samjh kya rakha hai.. 20 lakh rupye mahine tak salary banta hun... Minimum starting 40k salary deta hun… kal hi main papa ko bhejta hun riste ke baat ke liye...


Kasak:- Acha aisa hai kya … matlab tumhare papa bahut bare industrialist hain kya? Yadi aisa hai to apna break up pakka.. kyonki tum jhute ho Jatin .


Jatin:- Kya ek Kishan ka beta softwere engineering nahi kar sakta aur kya wo apni company developed nahi kar sakta.. ruko main tumhe kuch dikhata hun…


Jatin apna ipad open karke, usse apni company ke bare me sab kuch dikhane laga… "Ab yakin hua.. ya bank se sara cash nikalkar tumhare kadmon me dal dun"…


Kasak:- Ji nahi, bus mere ek dost ko 2 lakh ki naukri de do... Ab koi qualifications nahi puchna aur na hi wo kis tarah ka kaam kar sakta hai.. samjho ki ek bina kaam ka staff badha rahe..


Jatin:- pagal ho kya.. aisa bhi hota hai kya?


Kasak:- Oye tumse hoga ya mere mood hamesa kharab dekhna chahte ho..


Jatin:- Baat kya hai Kasak.. puri baat batao mujhe …


Kasak Jatin se puri baat sajha karti hui kahne lagi… "Bus main apni bahan ko dukhi nahi dekh sakti. Mang thodi najayaj hai.. par agar kar sako to"…


Jatin:- Tum kaho to 2 lakh kya 10 lakh ka job de dun.. Lekin Kasak jo log free ka job lete hain, wo bhi aisa ki kaam na karna pade, fir wo khud to kaam karte nahi aur wahan kaam karne wale mahol ko bhi bigad dete hain…


Kasak:- Hammm ! Koi baat nahi rahne do..


Jatin:- Itna mayus nahi hote .. aaj sham tum usse disco me le aao… main usse parakh lunga.. bus Sharif dikh jaye fir to business partner bhi bana sakta hun.. lekin yadi kahin galat insan nikla to ek baat bata dun, meri company 500 logon ko jivika deti hai.. 1 ke wajah se main itne logon ka bhawishya daw par nahi laga sakta…


Kasak khush hoti hui Jatin ke gale lag gayi. Uska chehra bayan kar raha tha ki wo kitni khush thi… Kasak ko aisa lag raha tha, jaise bhagwan ne uski sun lee ho aur Jivisha ki samasya aaj sham disco me solve ho jani hai…
Nishchal me kuchh esi shakti ho ki wo jatin ko scan kadke samjh jaye ki te bura hai..,..only imagine aage to aap lolh hi chuke ho??
 

Ssking

Active Member
1,302
1,578
144
Update:- 53





Jatin:- Koi baat nahi agar kosis achhi rahi to mehnat karke hum 4-5 bache jaldi-jaldi paida karke yahan bhi chahal, pahal wala mahol bana sakte hain…


Kasak apni badi si aakhen ki … "Oyeee, Jyada bole to tumhara khun kar dungi… jao chup chap jaldi se kahan pakao, jabtak main fresh hokar aati hun…


Jatin:- Upar jakar left se pahla kamra…


Kasak:- Kya..


Jatin:- Arre upar jakar left se pahle kamre jao.. bus.. samajh jaogi…


Kasak, Jatin ke bataye kamre me chali gayi aur jaise hi wo kamre ke ander ghusi, charo ore ki deewar par apni badi-badi tasveere dekhkar khush ho gayi.. kayi sari tasveere thi.. kayi aise pal, jisme wo kabhi Jivisha ke sath khulkar hans rahi hai to kisi me pure pariwar ke sath baithi hui hai…


Kasak jod-jod se chillati hui Jatin ko awaz lagane lagi… Jatin teji se wahan pahuncha… "Kya ho gaya, itni ghabrayi hui awaz me kyon pukar rahi ho"..


Kasak:- Ghabrayi main hun aur kaanp tum rahe ho, kahin koi raaj to chhipa nahi rakhe yahan?


Jatin:- Ab tum aise chilla'kar pukar lagaogi, tab darna to swabhawik hai..


Kasak:- Chor !!! Tum meri jasoosi karwate ho. Jaldi batao ye sab tasveere tumhare pass kaise aayi..


Jatin Kasak ko khinch kar apne bahon me bharte, uske chehre par aaye laton ko apne hath se hata'te huye kahne laga…. "Jab tumhe dekhne ke liye pagal sa ho jata hun to ye kuch tasveere jo maine chupke se bina izazat ke khinchi hai.. usse dekh, khud ko shant kar leta hun…


"Achha, aur jab ye tasveren nahi thi, tab kya karte the"… Kasak apni bahen Jatin ke gale me dalti hui puchhne lagi…


Jatin apni aakhen mund'kar kahne laga… "Bus Yun hi aakhen mund'kar tumhare khyalon me kho jata hun"..


Jatin apni baat kah'kar apni aakhen khol'kar, Kasak ki najron se najar mila kar dekhne laga… Kasak kabhi apne palkon ko niche jhukati to kabhi Jatin ke najron par thehra leti… "Hume chalna chaiye ab"…


Jatin, Kasak se alag hote huye bilkul dhime se kahne laga… "Thik hai".. aur wo palat kar apna ek kadam aage badha liya.. Kasak thik piche se uska hath pakad lee… Jatin apne gardan ko ghuma kar piche dekha… dono ki najren jaise ek dusre par thehar kar bahut kuch kahna chah rahi ho…


Dono apni jagah thehar kar ek dusre ko kuch der dekhte rahe.. Kasak apne ek kadam aage badhati, thik Jatin ke samne pahunchi aur apni aeriyon ko uncha karke Jatin ke honth se honth lagakar chumne lagi..


Jatin jis baat ko nahi hone dena chah raha tha, wahi kahani hote ja rahi thi... Jatin ke sabhi sathiyon ne shikar kiye the, aur lagatar karte aa rahe the, isliye unki body santulit thi.. lekin Jatin ne kayi dino se Shikar nahi kiya tha aur Kasak ke chumte hi uski pyas bhi badhne lagi…


Uske sharir ka ek swabhawik pariwaratan jo sahwas ke waqt hota hai, wo abhi se dikhne laga tha… Jatin, Kasak ko khud se dur karte huye kahne laga… "Nahi Kasak ye sab thik nahi"..


"Haan ye sab thik nahi warna jaise hi tum sex me khoti chali jaogi, ye tumhari boti-boti noch lega.."


Nischal thik uske piche bistar par baith'kar apni baat kahne laga… Nischal ko dekh'kar Jatin teji se darwaje ke ore bhaga… zoom se ek hawa gujri aur darwaje ke aage Nischal khada tha… "Aaram se baith jao, jabtak tum Kasak ke sath ho wo tumhari sequrity hai… Kasak se dur gaye to tumhara patta saaf hai"..


Jatin ne jab Kasak ko dekha to wo bistar par behosh pari thi… Usse achet awastha me dekh'kar Jatin ghabrate huye puchhne laga…. "Usse kya kiya"..


Nischal, apni badi si aakhen kiye uske ek jangh par paun rakh'kar, uske gale ko daboch liye. Apna chehra thik uske chehre ke upar le jate huye, apni bhadi si awaz me kahne laga….

"Viggo jab samne aa jaye to jante ho kya hota hai… Viggo ko kabhi apne aas-pass mehsus kiya hai.. Kya hoga jise tum Aizem ka sahjada samjhte ho, wo ek Viggo ho.


Nischal ki pakad ka pahili bar Jatin ne maza liya tha. Jaise hi gala chhuta, wo hafte huye khasne laga. Viggo naam sunkar hi Jatin ke pasine chhutne lage… wo Nischal ke vikral roop ko dekhte huye kahne laga…. "Viiii.. Viggo.. lekin ye jan-samuh to kai varshon purv aapas me lad'kar samapt ho gayi thi"


Nischal:- Yahan tum mujhe mera istihas mat batao… mujhe jo jaan'na hai kewal wo batao. Wo bhi bina bhatkaye…


Jatin, apna hath jod kar sar ko niche jhukaye…. "Viggo, Kasak ko kya hua hai.. wo aise kyon pari hai"..


Nischal:- Ye jinda rahe ya mar jaye, tumhe koi fark parna hai kya…


Jatin:- Viggo aap jaisa soch rahe hai, waisa sabhi Zoren niwasi nahi hote…


Nischal:- Jinda maans to tumne bhi khaya hai.. nocha to tumne bhi hai kaiyon ko… Jatin kuch naya batao…


Jatin:- Hmmm ! Aap sahi ho.. Main kuch bhi kar lun rahunga unme se ek hi..


Nischal:- Tum jante ho maine uss raat tumhari jaan kyon baksh di thi...


Jatin:- Koi idea nahi… waise aapne pahchana kaise mujhe...


Nischal:- Ajib si ghinn wali badbu aati hai tum logon se.... Kabhi us ghrina ke gandh ko mehsus kiya hai ki nahi..


Jatin, khud me ander se bebas aur lachar mehsus karte huye…. "Viggo aap ko kya jaan'na hai mujhse"…


Nischal:- Malkia ki jankari do mujhe..


Jatin:- "Viggo main bus itna janta hun ki Malkia ki shaktiyan asim hoti hai. Ek Malkia huamare mahamahim ko kayi varshon tak jivit rakhti hai aur unhe asim takat pradan karti hai"…

"Ab tak hum prithvi se 12 Malkia, Zoren ki seema tak le ja chuke hain… lekin Mahamhim aur Rijo, Malkia Jivisha ke liye pagal bane huye hain... Inki shakti Zoren tak mehsus ho rahi hai. Unka ye kahna hai ki ye Pahli (first) hai.. Aur ek baar yadi Juvisha hath lag gayi, fir pure bhrhmand me kewal Mahamahim ka jhanda lahrayega"…


Nischal:- Aisi kaun si shaktiyan hain Jivisha ke ander, jo tumlog usse chain se rahne nahi de rahe…


Jatin, Nischal ki baat sunkar jor jor se hanste huye kahne laga…. "Ek Viggo Malkia ke prem me hai… hahaha… Viggo ka dil bhi prithwi par dhadkne laga"…


Nischal:- Mujhe aisa kyon lag raha hai ki main apne hath ka dawab tere gardan par dala aur tera gardan tamatar ki bhanti kachumar hokar ajib si haalat me hai.


Jatin:- Maf karna Viggo.. Jahan tak Malika ki shatiyon ki baat hai, uska namuna aap dekh chuke ho, Jab Malkia apni soyi ikcha shakti se aap par humla ki thi. (Jatin kuch pal khamosh rahkar Nischal ko gaur se dekhne ke baad)

"Jahan tak mujhe lagta hai, wo afwah sahi hai jisme ek Viggo ka jikr aata hai… Purn santulit.. shakti ke hote huye bhi shaktiyon ka prayog na karne wala… to wo cross mutant aap hi ho… Ek Viggo rani aur Aizem ke sabse surveer aur shanti priya shasak ka bacha… Nischal"..


Nischal:- Tere yahan ke school book me hai kya Viggo ka chepter, ya ek research subject hi Viggo ke upar rahta hai tumhare yahan… Ye batao Malkia ki itni shaktishali prajati ke bare me hume kaise pata nahi… inka itihas kya hai.. inke log kahan hai... Aur ye Malkia apne samaj me na paida hokar aise aam insano ke bich kahan se paida ho jati hai..


Jatin:- Iski jankari mujhe to kya pure Zoren me koi nahi bata sakta siway Mahamahim ke. Rijo tak ko iski puri jankari nahi hai. Upar se Malkia, Prithvi par basse, kamjor prajati ke yahan paida leti hai, jiski shaktiyan bahar aane se pahle hi hum Zoren ki seema tak pahuncha dete hain… Aisi shurat me Malkia ki jankari kahan se kisi anya grah par hogi….


Nischal:- "Ha ha ha… Teri Malkia, Prithvi par hai aur tu yahin ke mul niwasi ko kamjor bata raha hai. Sach me jitna suna tha, uss se kahin adhik gire huye prajati ke tum log ho… Yahan ki jalvayu kisi vardan se kam nahi.. yahan ki technology wakai kamal ki hai.. aur sabse kamal ke to yahan ke log hai… Lekin tu aur tere log nahi samjhenge.. bahut hi nich kism ke ho na"..

"Khair tu ye bata mere rahte Jivisha ko 2 din me le jane ki baat ho rahi thi … iski wajah…….."


Jatin:- Viggo, humara Rijo sabse khatrnak tukdi ke sath aa raha hai… aur uske sath kayi adrishi janwar kal raat tak yahan pahunch jayenge… Malkia ke pure pariwar ko mar'kar, sab uska roop lenge aur Malkia ko bharmakar apne sath le jaynge..


Nischal:- hahahaha… aur mere bare me kya yojna thi…


Jatin:- Viggo wo .. wo..


Nischal:- Kya wo..


Jatin:- wo kal aap ke doston ko marne ke liye samst sena toot paregi, jabtak aap udhar vyast rahenge… tabtak wo Malkia ko le jayenge…


"Hahahaha…. Ja jakar mere liye 1 bottol daru le aa aur apna mobile dete jana"… Jatin chala gaya yah kahte ki.. "bus aakhri bottol hai mere pass" aur mobile dete chala gaya…


Nischal, ne Nandni ko call lagaya, lekin iss'se pahle ki wo kuch bolta, Nandni usse ghar wapas na aane ka bol'kar call disconnet kar di. Idhar Jatin bhi apni aakhri bottol lakar Nischal ko bhent kar diya… Nischal puri bottol ek baar me samapt karte...

"Achhi yojna hai … lekin main kyon na aisa karun ki tumhare khatrnak tukdi ke pahunchte hi, main unpar humla kar dun aur sabka safaya ek sath kar dun"…..


Jatin:- Viggo wo humari khatrnak tukdi hai… uske samne tik nahi paoge..


Nischal:- "Chalo maan liya main tik nahi paunga, lekin yadi main aisa micro device bana kar, yahan ke prashashan ko de dun, jo tumhare micro practical ko orignal shape me dikha sake. Fir to tum.. tumhara wo kamjor sa adrishi janwar aur tumhara sare viman, unke najar me hoga…"

"Aukkad to mujhe tum logon ki pata hi hai… ek ladki par jhund me humla karte ho. Jab tum logon se akeli si ek ladki nahi sambhalti, fir tum inke latest hathiyar aur ache trained officier se kya ladoge re Gotiya.. Tu to lut jayega re Gotiya..


Jatin:- Hammm ! Iska matlab aap wo device bana chuke ho… Mujhe Ruko aur Suki ne Jaal Mahal ke vishay me bataya tha, yakin nahi hua.. ab samjh me aa raha hai ki unhone sahi kaha tha… Waise bhi pata to ab chal raha hai ki aap ek Viggo ho. Jahan tak mujhe lagta hai, aap prithvi par bhi apni jigyasa ke karan hi aaye ho"..


Nischal:- Pata nahi kyon tu mujhe pahle din se pasand hai. Tujh se abhi baat kiya, tera dimag bahut sharp hai.. iska matlab tera Mahamahim aur Rijo kafi buddhiman log hain, jo logon ko uske talent ke hisab se kaam saunpta hai… Ek chaalak shasak aur uske sath ek yogya mantri.. Kamal ka combo hai…


Jatin:- Haan Viggo..


Nischal:- Tu apni Malkia aur uski shaktiyon ko janta hai… Mere yani ek Viggo ke bare me bhi tu suna hai. Ab tu hum dono ki shakti se tulna karke andaza laga ki Jivisha ki shakti mujh se kitne guna jyada bhadi hogi..


Jatin hanste huye…. "Bahut chahne lage ho aap Malkia ko… Khair hume Malkia ki shakti ko dekhne ka kabhi mauka nahi mila.. to kya kahun main kis tarah ki shaktiyan hai. Bus jo sunta aa raha hun wo itna ki Malkia ke pass asim shaktiyan hoti hai. Unki ikchha shakti ke virudh koi tik nahi pata…

"Main tulna karne ki stithi me nahi hun.. kyonki ek to aap Viggo upar se aise cross mutant ho jiski shaktiyon ki kalpan hi ki ja sakti hai bus. Dekhne wala to kabhi bata bhi nahi sakta, kyonki wo jivit bhi nahi bacha hoga… Ek kaam karna Viggo, aap aur Malkia ek din aamne samne ki ladai ladna fir main Judge karke bataunga"..


Nischal:- Tu to bada hi close ho raha hai.. ladwa kar dobara meri pasli tudwane ka plan hai, ya mujhe marwa dene ka…
Shndra twist he yarrrr jatin jisss pr it a gussa aaraha tha ab lagta hai ek sahi vyakti sorry allian ho sakta hai?
 
Top