Final Update:-3
"Aahhhhh" Surpmarich ke sar me pagal kar dena wala dard sa utha. Usse aisa mehsus hua, mano dimag ke ander maujood har sanayu tantu me, kisi ne high voltage current daura diya ho. Turant hi Surpmarich bhi wahan pahuncha aur uske sath Jivisha bhi thi, jo akeli tab se apne dimag ke ander Surpmarich se lad rahi thi, haalat uski achhi to nahi thi, lekin fir bhi wo tiki hui thi aur jaise hi Surpmarich Jivisha ko chhod'kar bhagne laga Jivisha bhi uska hath tham sath chali aayi…
Jivisha ko dekhte hi Nischal ne apne robots ko Surpmarich ke upar chhodte huye Jivisha ke ore bhaga… "Tum thik to ho na Jivisha"..
Jivisha:- Baby ye bahut bada kamina hai... Isne hume yahan bula'kar fasaya hai. Ye dikhane ke liye to hum teeno ke sath lad raha tha lekin planning iski kuch aur hi thi.. hum teeno ke dimag me ek-ek karke ghusta… aur humari shaktiyon ko nigalte huye hume maar deta… Ab bhi iske shakti pane ki lalach miti nahi… yudh ke liye bahut sahi jagah ka chunaw kiya hai love…
Jivisha apni baat samapt hi ki thi, tabhi teeno ko ek sath jhatka laga aur teeno hi dur jakar gire… Nischal khada hokar apna gala idhar se udahr hilaya aur ek hi chhalang lagakar Surpmarich ke pass pahuncha. Jitni tej uchhal'kar wo Surpmarich ke pass pahuncha, utni hi teji se Surpmarich ne Nischal ko gale se pakad kar fir se dur fenk diya…
"Ab tak to hat'kheli chal rahi thi, lekin na to tum ram ho aur na hi tumhare pass koi vibhishan .. iss Lanka se kaise nikloge…"
Jivisha khadi hokar hath ko golakar banayi, jaise-jaise gola purn hote ja raha tha, wahan ke charo ore ki hawa khinch rahi thi… "Ravan kitna bhi balsali aur buddhiman kyon na ho, Lanka dahan to ussi ka hua tha Surpmarich".. kahti hui Jivisha ne wo gola de mara…
Dahakta hua gola Surpmarich ke ore badhne laga, lekin jaise hi wo Surpmarich se takrane wala tha, usne bus ek chutki baja'kar apne ungli ko upar kiya aur wo gola fatkar charo ore pusp varsha karne lagi. Agle hi pal usne apne hath ke ishare se Jivisha ko badi teji ke sath apne pass khinch'kar, apne kanda se uske sine itna tej humala kiya ki Jivisha dur jakar giri aur uske muh se khun nikalne laga…
Wahin dusri ore se usne Nischal ko bhi khinch liya aur usse to apne kandhe se, Jivisha se 10 guna jyada tej prahar kiya… aisa laga jaise Nischal ke ander se dil gurde sab fat gaye ho…
Serin teji se daurti hui uski ore badhi.… "Mere bhai aur babhi ke sath khelna band karo"..
Surpmarich ne Serin par bhi apne dono hath ka humla kiya lekin tej chot lagne ke bawjood bhi wo khadi rahi… "kyon beta jhatka kha gaya na" .. kahti hui Serin ne apna laat uthayi aur jhatke se uske sine par aisa jama dee, ki wo kahin dur jakar gira… khun uske muh se bhi aane laga…. Serin tej-tej shwans leti hui kahne lagi… "Dono uth jao bewakoofon.. hum dimag ke ander hain aur yahan atmbal ke sath dimag ko bhi majboot rakho.. war jhelo yah sochte huye ki ye humara kuch bigar nahi sakta.."
Serin ki awaz par dono khanste huye uthe. Zoom se current gujri ho jaise ussi teji ke sath Nischal Surpmarich ke samne pahuncha. Uska ek jordar prahaar jhela aur apni puri kshmata se usne apna panja, Surpmarich ke sar ke upar maar diya… pure panje kaa chhap uske sar ke upar nikal aaya tha, jiske charo ore baal the. Udhar Serin ek patli sharp rassi lekar uske gale me fasayi aur uss paar kud gayi…
Nischal aage se Surpmarich ke dono hath pakad kar, apne ore khinchne laga. Jivisha ne uske paun ko apni jagah jama dee aur Serin uske pith par apne paun jamati hui, apne dono hath se, gale me fasi patli dhatu ki rassi ko piche ke ore khinchne lagi ..
Surpmarich bebas hone laga tha. Teeno ka ek sath humla usse dhire-dhire maut ke karib le jane laga. Dhire-dhire Surpmarich ki aakhen bahar aane lagi. Jaan to hakakh me atki thi, lekin Surpmarich ki dahakti aakhen jaise hi Jivisha par pari.. Jivisha ki shwans rukne lagi… tabhi Nischal ne apna panja, uske panje se fasaya aur Nischal apne sar se uske aankh oar jordar takkar marte… "Bahut lambi jindgi ji liye tum dost, ab marne ka samay aa gaya hai"…
Tabhi Surpmarich jor se hansa… aakhri shabd uske juban se kisi tarah nikle…. "Mujhe apne mirtu ka purvanuman ho chuka tha… tum teeno ka dhanywad"..
Kisi tarah wo apni baat kah gaya. Dhatu ki rassi lagatar apna pura khinchaw uske gardan par banati ja rahi thi. Dekhte hi dekhte rassi gale ko kat'ti hui, uski gardan niche utar di… jaise hi uska gardan kat kar niche gira… Nischal ne uske sar par itna tej paun mara ki uska pura sir niche chipak gaya.. wahin Jivisha ne turant uske sharir me aaga laga di…
Nischal bina koi der kiye doni ko lekar dimag se bahar aa gaya. Lekin idhar bahar to alag hi kahani chal rahi thi. Serin jab aankh kholi, tab Nischal ke pass khade uske sharir se HuYu lipta hua tha aur uske honth Serin ke honth se lage huye the…
Serin chaukar apni puri aankh kholi aur khud se chipke HuYu ko tej jhatka dekar khud se dur ki. Lekin HuYu bhi Serin ka hath pakde tha aur wapas uske upar aaya, fir se honth se honth lagakar chumne laga… Serin uski iss adaa par fida hoti hui ander se musukrai aur wo bhi sath dene lagi. Jabki Serin ke bilkul karib khade, Nischal aur Jivisha ki jaise hi aakhen khuli, unki najar Surpmarich ke badan par pari…
Dono ka pura dhyan udhar hi tha. Dono uske pass pahunch'kar bade dhyan se uske sine me ghusa khanjar dekhne lage. Chamkila khanjar jo thik dil ke bicho-bich ghusa hua tha…
Nischal uss khanjar ko sine se bahar nikalte huye, pichhe muda… Jivisha bhi pichhe mudi… "Oye ye kya ho raha hai"..
Nischal ki awaz sunkar dono teji se alag huye… Serin thodi sharmati hui kahne lagi… "Wo mujhe laga main ab bhi uske dimag me he hun aur ye kalpnik image hai"..
Nischal:- Haddiyan kadki hui hai.. medical ki jaroorat paregi.. upar se Surpmarich ke sine me utara gaya khanjar. Ye wahi khanjar lagta hai, jo kal raat se HuYu bana raha tha. Mera dimag dard se fata ja raha hai. Surpmarich ke iss jagah ko bhi dekhna hai. Itne sari baton aur sawalon ke bich tum iss gadhe ko chum rahi ho. Upar se sharmana aur nautanki karna.. puri shagird ban jao apni bhabhi ki.
Serin:- Tum log thakte nahi itna lamba-lamba bol'kar, chalo medical section…
Sabhi viman ke ander pahunche… Serin khud thodi kam damage thi, isliye usne khud ke sath sab ko scan ki. Kamal ke scan results the. Serin ne sab ko mana kar diya purane koi bhi liquid lene se. Filhaal ke liye Serin ne dono ko kuch naye dawa ka prayog karne kahi. Dawa lene ke kuch der baad sab achha mehsus karne lage…
Nischal Surpmarich ke mirt sarir ko surakshit kar'ke, prayogsala me dal diya aur khud naha dho kar hall me pahunch gaya.
Hall me sabhi log pahle se baithe the aur jigyasa purwak HuYu ko hi dekh rahe the…. Nischal aate hi wo khanjar table par rakhte huye…. "Iske bare me bataoge jarra"..
HuYu:- Main thoda late ho gaya … kyonki Surpmarich ya koi bhi aisa prani jo khud ko prakritik bataye, uska ye ilaj hai… mere pass ek pustak hai jisme aise logon ko marne ka pura sodh likha hai… bus ek hi dikkat hai…
Nischal:- Kya…
HuYu:- Uske khun lagne ke karan, ye khanjar ek hi baar kaam karta hai… yadi dil me na ghop kar, kahin aur khanjar ghopte ho to wo nahi marega… ..
Nischal:- Tum nahi bhi ye khanjar chalate, to bhi wo marta hi.
Serin:- Ab chhodo bhi, khanjar ne usse kamjor kiya aur hum usse marne me safal rahe, ya khanjar lagne ke karan uske pran nikal rahe the aur iss wajah se hum uske dimag ke ander jit rahe the, iss baat par bahas karne se kya fayda. Wo mar gaya na, bus baat khatm. Haan lekin marte-marte sala kand kar gaya…
Nischal:- Kaisa kand…
Serin:- Humare sarir ki lagbhag 40% kashmta ko permanently le urra hai…
HuYu:- Tumlog apne 10% kshmta ke sath bhi khatarnak ho, fir to tunhare pass ab bhi 60% kashmta bacha hua hai…
Nischal:- Surpmarich jaison ko marne ke liye, yadi kashmta minus bhi ho jati aur aage ki jindgi kamjor aur nirbal hokar bhi gujarna hota, to gujar leta… Khair... Uske thikane ka purn awlokan karne ke baad, hum log yahan se niklenge…
Lagbhag 2 din lag gaye un charon ko, pura wo jagah dekhne me. Wahan par jitni bhi kaam ki chijen ho sakti thi unhe utha'kar viman me dale aur wahan se sabhi urr chale…
Nischal ne apna viman Himalya ussi kshetr me punah park kiya jahan pahle kiya tha. Aur sidha sampark Nandni se hua… Nandni ne sabko indore hi bula li, sath me ye suchna bhi de di ki Jivisha ka pura khandan yahin indore me khunta gade baithe hain...
Jivisha sab ko warning deti hui kahne lagi…. "Dhyan se suno sabhi, khaskar tum baby. Jo kuch bhi bolenge mere ghar wale, wo chup chap sun lena.. jitna safai doge, utni baat badhegi.. iss se acha hai ki sorry bol lo aur sar jhuka kar baat sun lo"..
Jivisha ki baat sun'kar sabhi "jee" bolkar apna sar haan me hila diye. Chhote se viman me sawar hokar Indore khufiya thikana. Wahan Nandni ne sabke aane ke liye pahle se car bhi chhod rakhi thi… fir wahan se car me Nandni ke ghar jahan ek baar fir shadi ka mahol tha…
Jaise hi dono Durga devi ke dwar aaye.. Nischal, Jivisha ko dhakka dete aage kar deta aur khud pichhe ho jata, to Jivisha bhi wahi karti aur dakka-mukki karte huye dono, aage-pichhe karte huye, dhire-dhire aage badh rahe the. Jivisha, Nischal ko aanhen dikhati hui…
"Had hai baby, aage jao na"…. "Jisa ye tunhare gharwale hain, tum se hi sunege"….. "Baby tum hone wale jamai ho, aur jamai matlab bhagwan. Jamai jo ek baar bol de, to log sawal nahi karte"….. "Gaya wo jamana jahan jamai ke paun dho kar pite the. Jab se film ke madhyam se, jamai ko hawasi aur jaydad ka lalachi dikhaya gaya hai, tab se jamai ko jute parte hain. Example ke liye mera bita past utha lo. Tumhare Rawan khandan ko main pasand to tha, lekin mujhe kabool nahi kar rahe the"….. "Baby wo tab ki baat thi, ab to tum carorepati ho aur sath me dil ke achhe bhi"…
"Aa jao hum log, hum kuch nahi kahenge. Hume pata hai kuch bhi kar len, bita waqt lautega nahi. Khushi iss baat ki hai ki dono sath me bahut pyare lag rahe ho. Aur sath me yahi hai tumhari bahan jamai babu. Nandni ne jab hume bataya to yakin nahi hua, ab dekh rahi hun to pura yakin ho gaya".. Jivisha ki maa Priya mahol ko halka karti hui kahne lagi…
Priya ki baat kisi marham se kam nahi thi… itna sukoon to ye log Surpmarich ko marne ke baad bhi nahi mehsus kiye the, jitna sukoon ab kar rahe the. Mahol khushiyon ka tha aur 2 din ke extension par chal rahi shadi, finally ab hone ja rahi thi. Nischal ko thodi der se inke aane ki khabar lagi, lekin jab khabar mili tabhi Ansh prakat bhi ho gaya. Ansh, Nischal ka hanth khinchte… "Chal dost, tum baraat ke sath aaoge"…
Nandni, Nischal ka dusra hath khinchti… "Aise kaise ye tumhare sath jayega… mere shadi me rahega, kyon Nischal"..
Jivisha:- Nandu, jane de na … dekh tu hi kahi thi na, ladka apne baap ke bina shadi kar sakta hai, lekin dost ke bina nahi…
"Jivisha, Jhalli… tu kab badi hogi re"… Nandni fusfusahati hui uske kaan me kahi aur jab Jivisha ne samne dekha… kya najara tha… Nandni aur Jivisha ke sare gharwale unhi ko ghur rahe the…
Jivisha bilkul kadak adaa se…. "Sab ghur kyon rahe ho… bhag kar shadi hoti dono ki, to hum hi sath hote, koi baap bhai nahi hota sath me. Rasta do jarra mujhe. Main apne Love ko 2 din ki vidai de aaun … 48 ghante baad surat dekhungi"..
Jivisha Nischal ka hath tham'kar bina mude sidhe darwaje me nikal gayi. Usse jate dekh, har koi hanste huye ek hi baat kahne lage…. "Welcome back, nautanki"
Pahle shadi ki rahshmen fir shadi ki dhamaal… Nandni ki shadi attend karne, Mumbai police commissioner ko bhi aana para, apni beti Aarsi ki wajah se jo Chirag ke sath aise chipki thi, jaise fevicol se nanak chipak gaya ho…
Idhar Jyoti aur Sawaker bhi shadi attend karne pahunche... Jaise hi Nischal un dono ke samne aaya… dono ne thappad maar-maar kar Nischal ka gaal suja diya. Thoda gila-sikwa hua.. thode aanshoo aur milne ki dher sari khushiyan chehre par chamak rahi thi…
Nandni ki shadi ho gayi aur shadi me utna hi hungama bhi hua. Shadi ki khushiyon ka double dose tab ho gaya, jab pata chala ki Jivisha aur Nischal ki shadi bhi next hafte hi ho jani hai…
Nandni iss khabar se sabse jyada khush hui, kyonki 2-4 din to shadi ke baad ki rashmon me lag jani thi aur uske baad sidha Pune aur fir wahin se honeymoon…
Khushiyan aise charo ore chhayi rahi, ki kuch din pahle kya kuch saha tha sabne, pura bhul chuke the. Serin aur HuYu ke liye ye pahla awsar tha, jab wo log prithvi ke logon ke karib the… Unka apnapan dekh'kar to dono hasrat hi karne lage… "Aisa nahi ki yahan ke log achhe ya bure nahi hote honge, lekin dikhane ke liye hi sahi, khushiyon ke bich kya gair kya apne, sab sath me mehfil jamate hain..
Ye pura mahina aisa bita jaise har gum aur padesani ka payback mil raha ho… Ek khushal si jindgi jo pyar aur pariwar ke bich itne shandar tarike se gujar rahi thi, jiska koi jawab hi nahi tha..
Lekin kahte hai na kuch bhi shaswat nahi hota hai. Mahine din ki khushiyan aisi thi ki usme beete waqt ki kadwi yaden to gayab ho gayi thi, lekin aane wali musibat fan failaye aamantran de rahi thi.
Ek hasin sham thi. Jivisha aur Nischal nayi relese picture "Kis-Kis ko pyar karun" dekh kar aa rahe the. Nischal pure mood se tha aur Jivisha ko lagatar teen shadi ke liye chhede ja raha tha, wahin Jivisha puri tarah chidhkar film makers ko galiyan par galiyan diye ja rahi thi, aur sath me Nischal ko utne hi gusse me apni aakhen bhi dikha rahi thi.... Tabhi rajeev gandhi zoological park se Sawalker ka emergency sandesh aaya….
Nischal:- Jisa bade bhaiya musibat me hain.. bula rahe..
Jivisha:- Location share karte jao…
Nischal location share karte huye.. bina kisi ke najar me aaye teji se bhagte huye Zoological park me pahuncha… Police ki bahut badi tukdi, bahut hi buri haalat me ghayal thi.. aur Sawalker kisi lambe kad kathi wale admi ke hatho me tha.. Nischal teji se daurte huye uske pass pahucha aur apne dono hath se pura force dekar usse dhakka diya…
Jaise hi uss aadmi ko dhakka laga… wo kuch dur pichhe gaya… Usne Nischal ko upar se niche dekha aur apni raftaar ka najara, Nischal ko pesh karte huye wahan se bhag gaya…
Sawalker behosh hone se pahle Nischal se uss aadmi ka sandesh kahte huye behosh hua, jo Nischal ko dekhne ke baad dhime se kah gaya…..
"Usse se kahna iss baar mujhe dhundhna uss ke bus ki baat nahi. Isliye apni khush'haal jindgi pyar se jite rahe… wo jahan rahega hum wahan nahi honge. Ek dusre ke pichhe na aaye ye santulan bana rahna chahiye warna yadi wo parchhayi ka pichhe karna chahta hai to most welcome.
Sawalker uski baat dohra'kar behosh ho gaya aur Nischal hairan hokar bus sochta rah gaya…. "Had hai janu, hospital le jane ke badle aise pakde huye ho bade bhaiya ko"..
Nischal:- Ye thik hai inhe kuch nahi hua… commissioner ko call kar do, aur bolna ambulance bhi bhijwa dene…
Jivisha:- Tum itne hairan kyon ho Nischal…
"Baby.. Zindgi ke abhi mukam aur baki hai… jise hum anth samjh baithe the.. uss anth se hi ek surwaat abhi baki hai… jo jung hai to ab jung hi sahi… khud ko taiyar kar lo abhi ek jung aur baki hai"…
Jivisha:- Matlab…
"Matlab … Ab hum apne romance ke bich ek romanchit safar par jane wale hain… Bus kuch din aur intzar kar lo"…